Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Saturday 8 April 2017

Ilm-E-Gaib Ka Saboot Quran Ki Roshni Mein.

Ilm-E-Gaib Ka Saboot Quran Ki Roshni Mein.

Aayat#1:

Tarjuma Kanzul Imaan: “Aur Aye Mehboob Tumhe In Sab Per Gawah Aur Nigehbaan Banakar Laaye”
(Parah#5, Surah#4(Nisaa), Aayat#41)

Tafseer Nesha Poori Main Isi Aayat K Ma Tehet Hai.

"Is Liye Huzoor (Aleh Salaam) Ki Rooh Mubarak Tamaam Roohon Aur Dilon Aur Nafson Ko Dekhne Waali Hai, Q K Huzoor (Aleh Salaam) Ne Farmaya K Allah Ne Jo Pehle Paida Farmaya Woh Mera Noor Hai".

Tafseer Rooh Ul Bayaan Main Isi Aayat K Ma Tehet Hai.
“Huzoor (Aleh Salaam) Par Aap Ki Ummat K Aamaal Subah-O-Shaaam Pesh Kiye Jaate Hain, Lihaaza Aap Ummat Ko Un Ki Alaamaat Se Jaante Hain, Aur In K Aaamaal Ko Bhi, Is Liye Aap In Par Gawahi Denge".

Tafseer Madarak Main Isi Aayat K Ma Tehet Hai.
“Huzoor (Aleh Salaam) Gawah Hain, Mominon Par Un K Eemaan K Kaafiron Par Un K Kufar K Aur Munaafiqon Par Un K Naffaaq K".

Is Aayat Aur In Tafaaseeron Se Maaloom Huwa K Huzoor (Aleh Salaam) Az Awwal Ta Qayaamat Tum Logon K Kufr-O-Eemaan-O-Naffaaq-O-Aamaal Wagera Sab Ko Jaante Hain, Is Liye Aap Sab Ki Gawahi Denge, Yeh Hi To Ilm-E-Gaib Hai..

Aayat#2:

Tarjuma Kanzul Imaan: "Aur Allah Ki Yeh Shaan Nahin Hai K Aye Aam Logon Tum Ko Gaib Ka Ilm Dede Haan Allah Chun Leta Hai Apne Rasoolon Se Jise Chahe". (Parah#4,Surah # Al-Imran, Aayat#179)

Tafseer E Be Zaawi Main Isi Aayat K Ma Tehet Hai.
Tarjuma: " Khuda Ta'ala Tum Main Se Har Kisi Ko Ilm-E-Gaib Nahin Dene Ka Muattla’a Kare, Is Kufar O Imaan Par Jo Dilon Main Hota Hai, Lekin Allah Ne Pegambari K Liye Jis Ko Chun Leta Hai, Pas Us Ki Taraf Wahi Farmata Hai, Aur Ba'az Gaiyoob (Gaib Ki Jama) Ki Un Ko Khabar Deta Hai, Ya Un K Liye Aese Dalael Farmata Hai, Jo Gaib Par Rehbari Karen"
(Anwaar Ul Tanzeel, Jild#1, Page#308, Matbooa Mustafal Baabi, Misar)

Tafseer E Khazin Main Hai.
Tarjuma: " Lekin Allah Chun Leta Hai, Apne Rasoolon Main Jis Ko Chahta Hai, Pas Unko Khabardaar Karta Hai, Baaz Ilm-E-Gaib Par."
(Al Baab Taweel Fi Ma'ani Ul Tanzeel Ul Ma'aroof,

Tafseer E Khazin, Jild#1, Page#308, Matbooa Daar Ul Ma'arfah, Beroot)

Tafseer E Kabeer Main Isi Aayat K Ma Tehet Hai.
Tarjuma: "Lekin In Baaton Ka Batareek, Gaib Par Muattla’a Hone, K Jaan Lena, Yeh Ambiya Karaam Ki Khoososiyat Hai".

(Tafseer Ul Kabeer, Jild#9, Page#111, Matbooa Daar Ul Fikar, Beroot)

Tafseer E Jalalen Main Hai.
Tarjuma: " Maaenay (Meaning) Yeh Hain K Allah Apne Rasoolon Main Jis Ko Chahta Hai,Chun Leta Hai, Pas In Ko Gaib Par Muattla’a Kar Deta Hai" " Khuda Ta'ala Tum Ko Gaib Par Muattla’a Nahin Karneka, Taa K Farq Karne Se Pehle Munaafiqon Ko Jaan Lo. Lekin Allah Jis Ko Chahta Hai, Chaant Leta Hai, To Us Ko Apne Gaib Par Muattla’a Farmata Hai, Jese Nabi (Aleh Salaam) Ko Munaafiqeen K Haal Par Muattla’a Farmaya".

(Tafseer-E-Jalaalen, Page 92, Matbooa Daar Ul Hadees Al Qaira)

In Tamam Tafseero Se Maaloom Hua K Allah Ta'ala Ne Nabi (Aleh Salaam) Ko Ilm E Gaib Ataa Farmaya.

Tafseer Rooh Ul Bayaan Main Hai.
Tarjuma: "Q K Haqeeqaton Aur Haalaat K Gaib Zaahir Nahin Hote Bager Rasool (Aleh Salaam) K Waastay Se".
(Tafseer E Rooh Ur Bayaan, Jild#2, Page#162, Matbooa Daar Ul Ahya At Turaas Ul A'arabi, Beroot)

Aayat#3:

(Surah # Al-Nisaa, Aayat No # 113)
Tarjuma Kanzul Iman: " Aur Tumhe Sikha Diya Jo Kuch Tum Na Jaante The, Aur Allah Ka Tum Par Bara Fazal Hai".

Tafseer-E-Jalaleen, Page 97, Main Hai.
Tarjuma: "Yaani Ahkaam Sikhae, Aur Ilm-E-Gaib Sikhaya"

Imaam Hussain Bin Mas'ood Bagwi 516 Hijri Main Likhte Hain:
Tarjuma: " (Aur Allah Ne Aap Ko Woh Sab Ilm Ata Kar Diye Jo, Aap Nahin Jaante The) Yaani Ahkaam Aur Ilm-E-Gaib Main Se.

(Tafseer Mo'allam Ul Tanzeel, Jild#1, Page#479, Matboo'a Darul Ma'arfa'a, Beroot)

Ab Yeh Jo Baat Likhi Gai Hai, Yeh Tafseer Aaj Se Taqreeban 900 Saal Pelhle Likhi Gai, Agar Yeh Baat Galat Hoti, To Kiya In Likhne Waale Sahab Ko Roka Na Jaata???

Tafseer-E-Madarik Main Hai.
Tarjuma: "Deen Aur Shariyat K Umoor Sikhae, Aur Chupi Huwi Baaten, Dilon K Raaz Batae".

(Tafseer-E-Madarik, Jil#1, Page#282, Matboo'a Maktab Ul Qura'an, Peshawar)

Jaame Al Bayaan Main Hai.
Tarjuma: " Yaani Aap Ko Woh Sab Baaten Bata De, Jo Aap Qura'an K Nuzool Se Pehle Na Jaante The".

(Tafseer-E-Tibri, Jild#5, Page#270, Matboo'a Dar Ul Fikar, Beroot)

Is Aayat Aur In Tafaseeron Se Maaloom Huwa K Huzoor (Aleh Salaam) Ko Tamaam Aaenda Aur Guzishta Waakiyaat Ki Khabar Di Gai, Yaani Ilm-E-Gaib..

Aayat#4:

Tarjuma Kanzul Imaan: "Tum Apne Rab K Fazal Se Majnoon Nahin".  (Parah#29, Surah#68 (Surah Qalam), Aayat#2)

Tafseer-E-Rooh Ul Bayaan Main Isi Aayat K Ma Tehet Hai.
Tarjuma: " Yaani Aap Se Woh Baaten Chuip Huwi Nahin Hain, Jo Azal Main Thin, Aur Jo Abad Tak Hongi, Q K Jin K Maaenay (Meaning) Hain Chupna, Aap Us Ko Jaantay Hain Jo Ho Chuka, Aur Khabardaar Hain Us K Jo Hoga".

Is Aayat Ki Is Tafseer Se Saaf Saaf Ilm-E-Gaib K Baaray Main Maaloom Hota Hai..

Aayat#5:

Tarjuma Kanzul Imaan: " Aur Aye Mehboob Agar Tum In Se Puchoge, To Kahenge K Hum To Yun Hi Hansi Khel Main The". (Parah#10, Surah#9 Surah Tawbah, Aayat#65)

Tafseer Durre Mansoor O Tabri Main Isi Aayat K Ma Tehet:
Tarjuma: " Hazrat Mujahid (Radialla Taala Anhu) Se Riwayat Hai, Is Aayat K Nuzool K Baaray Main Hai K Ek Munaafiq Ne Kaha K Muhammad (Swallallahualaihiwasallam) Khabar Dete Hain, K Falaan Ki Oontni (Camel) Falaan Jangal Main Hai, In Ko Gaib Ki Kiya Khabar".

( Al-Darar Al Masoorni Fi Tafseer, Al-Maasoor, Surah Toba, Aayat#65, Jild#3, Page#456, Matboo'a Darul Qutub Ul Ilmiya, Beroot)

Imaam Mujaahid Bin Jabar Al Makhzoomi At'taba'i, 104 Hijri Main.. (Yaani Aaj Se Taqreeban 1300 Saal Pehle) Likhte Hain:
Tarjuma: “Imaam Mujaahid (Rehmatullah Aleh) Is Aayat Ki Tafseer Main Farmatay Hain, K Ek Munaafiq Ne Kaha Muhammad (Aleh Salaam) Humein Yeh Hadees Sunaate Hain K Falaan Shakhs Ki Oontni (Camel) Falaan Waadi Main Falaan Falaan Din Hai, Yeh Gaib Ko Kiya Jaanen".

(Tafseer Mujaahid, Tehet, Surah Toba, Aayat#66, Jild#1,Page#283, Matboo'a Al Mansooraat, Ul Ilmiya, Beroot)

Imaam Abu Jaafar Bin Jareer Tibri 311 Hijri Main Imaam Mujaahid (Rehmatullah Aleh) Se Riwayat Nakal Karte Hain:

"Inhon Ne Farmaya K Munaafiqeen Main Se Ek Shakhs Ne Kaha K Muhammad (Aleh Salaam) Hum Se Bayaan Karte Hain K Falaan Ki Oontni Falaan Falaan Waadi Main Hai, Bhala Woh Gaib Ki Baaten Kiya Jaanen".

(Jaamein Ul Bayaan, Fi Tafseer Ul Qura'an, Al Maaroof Tafseer Tibri, Surah Toba, Aayat#65, Jild#10, Page#196, Matboo'a Daarul Haya, Beroot)

Is Aayat Aur Tafseeron Se Saaf Maaloom Huwa K Huzoor (Aleh Salaam) K Gaib Se Inkaar Karna Munaafiqeen Ka Kaam Tha, Jis Ko Qura'an Ne Kufr Qarar Diya..

Aayat#6:

Tarjuma Kanzul Imaan: "Gaib Ka Janne Wala Toh Apne Gaib Per Kisi Ko Musallat Nahi Karta, Siwaye Apne Pasandida Rasulo K,K Inke Aage Piche Pehra Muqarar Kardeta Hai ".

(Parah#29, Surah#Jinn, Aayat#26, 27)

Tafseer E Kabeer Main Isi Aayat K Tehet Hai:
Tarjuma: “Yani Qayamat K Aaney Ka Waqt Un Gaibon Main Se Hai Jis Ko Allah Ta’ala Kisi Per Zaahir Nahin Farmaata, Pas Agar Kaha Jaawey K Jab Tum Ne Is Gaib Ko Qayamat Per Mehmool Ker Liya To Ab Rab Ta’ala Ne Kesay Farmaya, “Magar Pasandeedah Rasoolon Ko” Halaankey Yeh Gaib To Kisi Per Bhi Zaaihr Nahin Kiya Jaata, To Hum Kahengey K Rab Ta’ala Qayamat K Qareeb Zaahir Farmaawey Ga”..

(Tafseer-E-Kabeer, Jild#10, Page#678, Matboo’a Dar Ul Ehya Ut Turas Ul Arabi, Beroot)

Tafseer Azeezi Main Isi Aayat K Ma Tehet, Page 173 Pe Hai:
Tarjuma: " Jo Cheez Tamaam Makhlooqaat Se Gayab Ho, Woh Gayab E Matlaq Hai, Jese Qayaamat K Aane Ka Waqt, Aur Rozaana Aur Har Cheez Ki Pedaaishi Aur Shar'ai Ehkaam Aur Jese Parwardigaar Ki Zaat-O-Siffaat Bar Tareeq Tafseel, Is Qisam Ko Rab Ta'ala Ka Khaas Gaib Kehte Hain. Pas Apne Khaas Gaib Par Woh Kisi Ko Muattla'a Nahin Karta, Is K Siwa Jis Ko Pasand Farma De, Aur Woh Rasool Hote Hain, Chahey Farishtey Ki Jins Se Hon Ya Insaan Ki Jins Se, Jese Hazrat Muhammad (Swallallahualaihiwasallam) Ko Apne Ba'az Gaib Zaahir Farmata Hai".

Tafseer-E-Khazin Main Isi Aayat K Ma Tehet Hai:
Tarjuma: “Siwaye Is K Jis Ko Apni Nabuwat Aur Risaalat K Liye Chun Liya, Pas Zaahir Farmata Hai, Jis Par Chahta Hai Gaib, Taa K Inki Nabuwat Par Daleel Pakri Jaaway, In Gaib Ki Cheezon Se Jis Ki Woh Khabar Dete Hain, Pas Yeh In Ka Mojaza Hota Hai".

(Al-Baab Ut Taaweel, Fi Maani U Tanzeel Ul Maaroof, Tafseer-E-Khazin, Jild#4, Page#319, Matboo'a Darul Ma'arfah Beroot)

Tafseer Rooh Ul Bayaan Main Yahi Aayat K Tahet Hai:
Tarjuma: " Ibn-E-Shiekh Ne Farmaya K Rab Ta'ala Is Gaib Par Jo Is Se Khaas Hai, Kisi Ko Muattla'a Nahin Farmata Siwae Burgazeedah Rasoolo K Aur Jo Gaib K Rab Se Khaas Nahin, Us Par Gair Rasool Ko Bhi Muattla'a Farma Deta Hai".

(Tafseer Rooh Ul Bayaan, Jild#10, Page#236, Matboo'a Darul Haya, Beroot)

Tafseer-E-Khazin Main Isi Aayat K Ma Tehet Hai:
Tarjuma: "Siwaye Is K Jis Ko Apni Nabuwat Aur Risaalat K Liye Chun Liya, Pas Zaahir Farmata Hai, Jis Par Chahta Hai Gaib, Taa K Inki Nabuwat Par Daleel Pakri Jaaway, In Gaib Cheezon Se Jis Ki Woh Khabar Dete Hain, Pas Yeh In Ka Mojaza Hota Hai.

(aL-baab Ul Taaweel, Fi Maani U Tanzeel Ul Maaroof, Tafseer-E-Khazin, Jild#4, Page#319, Matboo'a Darul Ma'arfatah Beroot)

Is Aayat Aur In Tafaseeron Se Maaloom Huwa K Khuda Ta'ala Apne Pasandeedah Rasoolon Ko Ilm-E-Gaib Ata Karta Hai... Aur Sab Se Ziyadah Mehboob Allah K Nazdeeq, Hazrat Muhammad (Swallallahualaihiwasallam) Hain To Jo Bad Aqeedah Log, Huzoor (Aleh Salaam) Ki Shaan Kam Karne Ki Koshish Karte Hain... Unko Allah Ta'ala K Azaab Se Darna Chahiye..

Aayat#7:

Tarjuma Kaznul Imaan: "Aur Yeh Nabi, Gaib Batane Main Bukheel Nahin".(Surah Taqveer)Aayat No.24
Yeh Jab Hi Hosakta Hai, Jab Huzoor (Aleh Salaam) Ko Ilm-E-Gaib Ho, Aur Huzoor (Aleh Salaam) Logon Ko Is Se Muattla’a Farma Dete Hon.

Mu'aalim Ut Tanzeel Main Isi Aayat K Ma Tehet Hai:
Tarjuma: "Huzoor (Aleh Salaam) Gaib Aur Aasmani Khabron Par Aur In Khabron Aur Qisson Par Bukheel Nahin Hain. Muraad Yeh Hai K Huzoor (Aleh Salaam) K Pass Gaib Aata Hai, Pas Woh Is Main Tum Par Bukhal Nahin Karte, Balkey Tumhen Sikhate Hain, Aur Tum Ko Khabar Dete Hain, Jaise K Kaahin Chupate Hain, Wese Nahin Chupaate".

(Mu'aalim Ut Tanzeel, Jild#4, Page#422, Matboo'a Darul Kitaab Ul Ilmiya, Beroot)

Tafseer-E-Khazin Main Hai:
Tarjuma: "Muraad Yeh Hai K Huzoor (Aleh Salaam) K Pass Ilm-E-Gaib Aata Hai, To Tum Par Is Main Bukhal Nahin Farmate, Balkay Tum Ko Sikhate Hain".

(Lubaab U Taaweel, Al Tanzeel Ul Ma'aroof, Tafseer-E-Khazin, Jild#4, Page#357, Matboo'a Darul Ma'arfatah, Beroot)

Is Aayat O Ibaarat Se Maaloom Huwa K Huzoor (Aleh Salaam) Logon Ko Ilm-E-Gaib Sikhate Hain. Aur Sikhae Ga Wohi, Jo Khud Jaanta Hoga..

Aayat#8:

Tarjuma Kanzul Imaan: "Aur Isey Apna Ilm-E-Ladunni Ataa Kiya, (Yaani Hazrat Khizar Ko)".

(Parah#15, Surah#18 Surah Kahf, Aayat#65)

Tafseer Bezaawi Main Hai:
Tarjuma: “Hazrat Khizar (Aleh Salaam) Ko Woh Ilm Sikhae Jo, Hamare Saath Khaas Hain, Bagair Hamare Batae Koi Nahin Jaanta Aur Woh Ilm-E-Gaib Hai".

(Tafseer-E-Be Zaawi, Jild#3, Page#510, Matboo'a Darul Fikar, Beroot)

Tafseer Ibn-E-Jareer Main Abdullah Ibn-E-Abbas Se Riwayat Hai:
Tarjuma:  "Hazrat Khizar (Aleh Salaam) Ne Farmaya Tha, Hazrat Moosa (Aleh Salaam) Se K Tum Mere Saath Sabar Na Kar Sako Ge, Woh Khizar, Ilm-E-Gaib Jaante The, K Unhon Ne Jaan Liya".

(Jaame Ul Bayaan, Fi Tafseer Ul Qura'an, Al Ma'aroof, Tafseer Tibri, Jild#15, Page#323, Matboo'a Darul Haya, Beroot)

Tafseer Rooh Ul Bayaan Main Hai:
Tarjuma:  " Hazrat Khizar Ko Jo Ladunni Ilm Sikhaya Gaya, Woh Ilm-E-Gaib Hai Aur Is Gaib K Muta'alliq Khabar Dena Hai, Khuda K Hukum Se, Jese Uski Taraf Ibn-E-Abbas  (Razi Allah Anhu) Gaye Hain".

(Tafseer-E-Rooh Ul Bayaan, Jild#5, Page#321, Matboo'a Darul Haya, Beroot)

Tafseer-E-Madarik Main Hai:
Tarjuma:  " Yaani Hazrat Khizar Ko Gaib Ki Khabren Di, Aur Kaha Gaya Hai, K Ilm-E-Ladunni Woh Hota Hai, Jo Banday Ko Ilhaam K Tareeqay Par Haasil Ho".

(Tafseer-E-Madaarik, Jild#2, Page#22, Matboo'a Maktab Ul Qura'an, Peshaawar)

Tafseer-E-Khazin Main Isi Aayat K Tehet Hai:
Tarjuma: “Yaani Hazrat Khizar Ko Ilm-E-Baatin Ilhaam K Tareeqay Par Ata Farmaya".

Is Aayat O Tafseeron Se Maaloom Huwa K Rab Ta'ala Ne Hazrat Khizar Ko Bhi Ilm-E-Gaib Ata Farmaya Tha, Jis Se Laazim Aya K Huzoor (Aleh Salaam) Ko Bhi Ilm-E-Gaib Ata Huwa, Q K Aap Tamaam Makhlooqaat-E-Ilahi Main Sab Se Ziyaada Afzal Aur Aalim (Yaani Ilm Waalay) Hain, Aur Hazrat Khizar (Aleh Salaam) Bhi Makhlooq Hain..


Aayat#9:

Tarjuma Kanzul Imaan: “Aur Isi Tarah Hum Ibraahim Ko Dikhate Hain. Saari Baadshahi Aasmaanon Aur Zameen Ki".
(Parah#7, Surah#6 Surah An-‘Aam, Aayat#75)

Tafseer-E-Khaazin Main Hai:
Tarjuma: " Hazrat Ibraahim (Aleh Salaam) Ko Sehra Par Khara Kiya Gaya, Aur Un K Liye Aasmaan Khol Diye Gaye, Yahaan Tak K Unhon Ne Arsh O Kursi Aur Jo Kuch Aasmaanon Main Hai Dekh Liya, Aur Aap K Liye Zameen Khol Di Gai, Yahaan Tak K Inhon Ne Zameenon K Neeche Zameen Aur Un K Ajaibaat Ko Dekh Liya Jo Zameenon Main Hai".

(aL Baab Taaweel Fi Tanzeel, Al Ma'aroof, Tafsser-E-Khaazin, Jild#2, Page#126, Matboo'a Darul Qut8b Ilmiya, Beroot)

Tafseer-E-Madarik Main Isi Aayat K Ma Tehet Hai:
Tarjuma: " Mujaahid Ne Hazrat Ibraahim (Aleh Salaam) K Liye Saaton (7), Aasmaan Khol Diye Gaye, Aur Unhon Ne Dekh Liya, Jo Kuch Aasmaanon Main Hai, Yahaan Tak K Un Ki Nazar Arsh Tak Puhanch Gai, Aur Un K Liye, Saat (7), Zameen Kholi Gain K Unhon Ne Woh Cheezen Dekh Lin, Jo Zameenon Main Hai".

Tafseer-E-Madarik, Jild#1, Page#373, Matboo'a, Maktabul Qura'an, Peshaawar)

Tafsee Rooh-Ul-Bayaan Main Is Aayat K Ma Tehet Hai:
Tarjuma: “Ibraahim Ko Aasman O Zameen Ki Ajaebaat O Garaebaat Dikha Diye, Aur Arsh Ki Bulandi Se Tehet-Suri Tak Khol Diye".

(Tafseer-E-Rooh-Ur-Bayaan), Jild#3, Page#72, Matboo'a Darul Haya, Beroot)

Tafseer-E-Ibn-E-Jareer-Abi-Haatim Main Hai:
Tarjuma: “Hazrat Ibraahim Pe Khuli Posheedah Tamaam Cheezen Khul Gai, Pas In Par Makhlooq K Aamaal Main Se Bhi Kuch Posheedah Na Raha".

(Jam-E-Ul-Bayaann-Fi-Tafseer-Ul-Qura'an, Al-Ma'aroof, Tafseer-E-Tibri, Jil#246, Matboo'a Darul Haya, Beroot)

Tafseer-E-Kabeer Main Hai:
Tarjuma: “Allah Ta'ala Ne Hazrat Ibraahim (Aleh Salaam) K Liye Aasmaanon Ko Cheer Diya, Yahaan Tak K Inhon Ne, Arsh-O-Kursi Aur Jahaan Tak Jismaani Ilm Ki Fauqiyat Khatam Hoti Hai, Dekh Liya. Aur Woh Ajeeb O Gareeeb Cheezen Bhi Dekh Lin, Jo Aasmaanon Main Hain, Aur Woh Ajeeb-O-Gareeb Cheezen Bhi Dekh Lin, Jo Zameen K Pait Main Hai".

(Tafseer-E-Kabeer, Jild#5, Page#35, Matboo'a Darul Haya, Beroot)

Is Aayaat Aur In Tafaaseeron Se Maaloom Huwa K Arsh Se Le K Aur Zameen K Andarooni Hissay Tak Hazrat Ibraahim (Aleh Salaam) Ko Dikhae Gaye, Aur Huzoor (Aleh Salaam) Ka Ilm In Se Kahin Ziyaada Hai To Maanna Parega, K Huzoor (Aleh Salaam) Ko Bhi Yeh Tamaaam Uloom Ata Huwe.

Khayaal Rahe K Arsh K Ilm Main Looh-E-Mehfooz Bhi Aagaya Aur (Looh-E-Mehfooz Main Tamaam Uloom Aur Sab Kuch Likh Diya Gaya Hai, Duniya O Aakhirat K Tamaam Mu'aamlaat Is Main Likhe Gaye Hain), Lihaaza Yeh Ilm-E-Ibraahimi Ki Shaan Hai To, Aap Khud Sochen K Nabi-E-Pak (Swallallahualaihiwasallam) Ka Kiya Ilm Hoga, Q K Ilm-E-Ibraahim (Aleh Salaam) Aur Ilm-E-Aadam (Aleh Salaam) To Huzoor (Aleh Salaam) K Ilm Ka Ek Qatra Hai..

Aayat#10:

Tarjuma Kaznul Imaan: "Aye Eemaan Waalo, Aesi Baaten Se Na Pucho Jo Tum Per Zaahir Ki Jaye, To Tumhe Buri Lage".

(Parah#7, Surah#5 Surah Maai’dah, Aayat#101)

Imaam Abu Abdullah Bin Ismail Bukhaari 256 Hijri Main Riwaayat Karte Hain:
Tarjuma: "Ek Shakhs Ne Kaha Aye Allah K Nabi (Aleh Salaam) Mera Baap Kaun Hai?? To Aap (Swallallahualaihiwasallam) Ne Farmaya Tera Baap Falaan Hai, Aur Phir Yeh Aayat-E-Kareema Naazil Huwi,  Aye Imaan Waalon Aesi Baaten Mat Pucha Karo, K Agar Tumhare Aage, Bayaan Kardi Jaye To Tumhein Bura Lage".

(Sahi Bukhari Kitaab Ul A'atasaam, Jild# 2, Page# 1083, Matboo'a Qadeemi Kutub Khaana, Karachi)

Jab Mu'aanideen Haq Ki Gustaakhiyaan Haad Se Barh Gayen, Aur In Ki Taraf Uthaae Gaye, Sawaalaat Ka Silsila Tool Pakar Gaya, To Huzoor (Aleh Salaam) K Rookh Anwaar Par Naaraazgi K Aasaar Namoodaar Huwe, Riwaayat Main Aata Hai K Aap (Sallalho Alehe Wassallam) Jalaal Main Akar Mimbar Par Jalwa Afroz Huwe, Aur Yeh Aelaaan Farmaya, Jis Ka Zikar Hazrat Abu Moosa Ashari (Razi Allah Anhu) Ki Riwaayat Main Yun Kiya Gaya Hai:
Tarjuma: " Huzoor (Aleh Salaam) Se Kuch Cheezon K Baaray Main Pucha Gaya Jinhen Aap (Swallallahualaihiwasallam) Ne Na Pasand Farmaya, Jab Sawaalaat Ka Silsila Tawaalat Ekhtiyaar Kar Gaya, To Aap (Swallallahualaihiwasallam) Naaraaz Hogaye, Phir Logon Se Farmaya, Tum Mujh Se Jis Cheez K Baaray Main Chaho Sawaaal Karo,
Ek Shakhs Ne Kaha Mera Baap Kaun Hai???
Aap (Swallallahualaihiwasallam) Ne Farmaya Tera Baap Huzaifa Hai,
Phir Dusra Shakhs Khara Huwa, Aaur Us Ne Kaha Ya Rasool Allah! Mera Baap Kaun Hai??
Aap (Sallalho Alehe Wassallam) Ne Farmaya Tera Baap Sheeba Ka Ghulaam Saalim Hai.
Jab Hazrat Umar (Razi Allah Anhu) Ne Aap K Chehray Par Naaraazgi Ki Kefiyat Dekhi To Kaha Ya Rasool Allah! Hum Allah Ki Baargah Main Tauba Karte Hain".

(Sahih Bukhari, Kitaab Ul Ilm, Jild#1, Page#19, Matboo'a Qadeemi, Kutub Khana Karachi),

(Al Beher Az Khaar, Al Maaroof, Bamusnad Al Bazaar, Jild#8, Page# 146, Raqam Ul Hadees 3165, Matboo'a Maktabul Uloom O Al Hakam, Ul Madina Tul Munawwarah),

(Musnad Abi Ya'ali, Jild#13, Page#288-289, Rakam Ul Hadees 7303),

(Muslim Shareef Baab Fil Fazail, Baaab Touqeer (Swallallahualaihiwasallam), Jild#4, Page#1834-1835, Rakamul Hadees, 2360)

Hazrat Anas (Razi Allah Anhu) Se Marvi Hai.
Tarjuma: " Huzoor (Aleh Salaam) (Mimbar Par) Tashreef Laye, Aur Khutba Diya, Abdullah Bin Huzaifa Ne Khare Ho Kar Arz Kiya.. Mera Baap Kaun Hai?? Aap (Swallallahualaihiwasallam) Ne Farmaya Tera Baap Huzaifa Hai? Phir Aap (Swallallahualaihiwasallam) Baaar Baar Farmane Lage, Mujh Se Pucho... Hazrat Umar (Razi Allah Anhu) Ne Do (2) Zaanon Beth Kar Arz Ki Hum Allah Ta'ala K Rab Hone Par, Aur Islaam K Deen Hone Par, Aur Muhammad (Swallallahualaihiwasallam) K Nabi Hone Par Raazi Huwe, Aap Ne Yeh Kalimaat Teen (3) Martabaa Dohrae, Phir Huzoor (Aleh Salaam) Ne Sakoot Ekhtiyaar Farmaya".

Sahih Bukhari Kitaab Ul Ilm, Jild#1, Page#20, Matboo'a Qadeemi, Kutub Khaana Karachi

Bukhari As-Sahih,Jild 06, Hadees-6864, & Jild 01 Safa 200, Hadees-2001, 2278, & Jild 01 Safa 47, Hadees 93,

Al-Adab-Ul-Mufrad Safa 404, Hadees-1184.
Muslim As-Sahih, Jild 04, Hadees-2359.

Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad,Jild  03 Safa 162, Hadees-12681.

Aboo Ya’ala Al-Musnad, Jild 06 Safa 286, Hadees-3201.

Ibn Hibban As-Sahih, Jild 01 Safa 309, Hadees-106.

Tabarani Al-Muajam-Ul-Awsat, Jild 09 Safa 76, Hadees-9155

Imaam Ahmed Bin Hambal 241 Hijri Mai Riwayat Karte Hain:
Tarjuma: " Huzoor (Aleh Salaam) Ne Farmaya Tum Mujh Se Jis Cheez K Muta'aliq Sawaal Karoge, Main Tumhein Us Cheez K Muta'aliq Bayaan Karunga".
(Musnad Ahmed, Jild#3, Page#177, Raqam Ul Hadees 12843,Misar)

Is Aayat Aur In Tafaaseeron Se Ilm-E-Gaib Ka Mukammal Saboot Milta Hai, K Agar Koi Yeh Aqeedah Rakhta Tha, K Nabi (Aleh Salaam) Ko Ilm Nahin Hai, To Nabi (Aleh Salaam) K Chehrey Mubarak Pe Naaraazgi K Aasaar Aa Jate The, Aur Huzoor (Aleh Salaam) Ka Mimbar Pe Khare Ho K Aelaan Karna K Jo Puchna Hai, Jisne Puchna Hai, Puch Le... Aap (Aleh Salaam) Jawaab Denge, Jis Par Phir Yeh Aayat Naazil Huwi...
Bad Aqeeedah Logon Ko Chahiye K Woh Apne Aqaid Ilm-E-Gaib K Muta'aliq Durust Karlen, Q K Khaq Aur Baatil Un K Saamne Hai, Jis Raah Pe Chalna Chahen Chalay Jaen.. Bas Itna Zarur Yaad Rakhna.. Huzoor (Aleh Salaam) Main Ilm-E-Gaib Na Maanna Munaafiqon Ka Kaam Tha..


Aayat # 12:

Surah Al-Baqrah Aayat No.31.

Tarjuma Kanzul Imaan: Aur Allah Taala Ne Adam Alaihissalam Ko Tamam Aashiya K Naam Sikhaye.Phir Sab Aashiya Malaika Par Pesh Kar K Farmaya Sacche Ho Toh In K Naam Batao..

Tafseer Khazain Ul Irfan Me Is Aayat K Baare Hai...
Allah Taala Ne Hazrat Adam Alaihissalam Par Tamam Aashiya Wa Jumla Masmiyaat Pesh Farama Kar Aapko Unke Isma Wa Sifat Wa Afaal Wa Khuas Wa Usool Uloom Wa Sana’at Sab Ka Ilm Bataur Ilham Ataa Farmaya....
Yaani Agar Tum Apne Is Khel Me Sacche Ho K Me Koi Makhluq Tum Se Zyada Ilm Paida Na Karuga Aur Khilafat K Tumhi Mustahak Hotoh Un Chizon K Naam Batao Kyuki Khalifa Ka Kaam Tasruf Wa Tadbeed Aur Adl Wa Insaaf Hai Aur Yeh Bagair Is K Mumkin Nahi K Khalifa Ko In Tamam Chizon Ka Ilm Ho Jin Par Inko Mutassruf Faramaya Gaya Aur Jin Ka Is Ko Faisla Karna Hai..Masla: Allah Taala Ne Hazrat Adam Alaihissalam K Malaika Par Afzal Hone Ka Sabab Ilm Zaahir Farmaya Isse Saabit Hua K Ilm Isma’a Khlutu Aur Tanhai K Ibaadat Se Afzal Hai,Masla: Is Aayat Se Yeh B Saabit Hua K Ambiya Alaihissalam Maliaka Se Afzal Hai.....


Aayat # 13:

Surah Rehman Aayat No 1-4

Tarjuma Kanzul Imaan: Rehman Ne Apne Mehboob Ko Quran Sikhaya Insaniyat Ki Jaan Mohammed Ko Paida Kiya Makaan Wa Mayakoonka Bayaan Inhe Sikhaya.
Tafseer Al Sawi Me Hai Ki Mohammed Swallallahualaihiwasallam Jo Al Insan Al Kamil Hai Jinhe Makaan Wa Mayakoonka Ilm Ataa Kiya Gaya Hai(Woh Sab Kuch Jo Ho Chuka,Jo Ho Raha Hai Aur Jo Hone Wala Hai.)

Imam Abu Muhammad Husain Bin Mas'ud Ibn Muhammad
Al-Farra' Baghawi Al Shafi’i (D.516h/1122), Apni
Tafseer Al Baghawi Me Likhte Hai Ki “Allah Ne Mohammed Swallallahualaihiwasallam Ko Paida Kiya Aur Unhe Har Woh Baat Sikha Di Jo Ho Chuka Aur Jo Hone Wala Hai.

وقال ابن كيسان: { خَلَقَ ٱلإِنسَـٰنَ } يعني: محمداًً صلى الله عليه وسلم { عَلَّمَهُ ٱلبَيَانَ } يعني: بيان ما كان وما يكون لأنه كان يبين ع
ن الأولين والآخرينوعن يوم الدين

(Tafsir Al Baghawi Matahet Sura Rahman, Ayat 3-4).
Note: Imam Baghawi Ne Hadith Classics Sharh Al-Sunnah And Masabih Al-Sunnah Likhi Jo Baad Me Mishkat Al-Masabih Addition K Saath Al-Tibrizi D.741h.
Ala'uddin Ali Bin Muhammad Khazin Al Shafi’i [ D. 725 Ah] Apni Tafsir Me Likhte Hai “Mohammed Swallallahualaihiwasallam Ko Ma Kaan Wa Ma Yakoon Ka Ilm Ataa Kiya Gaya”
[Tafsir Al Khazin]

Aayat # 14:

Surah Yusuf Aayat No. 37.

Tarjuma Kanzul Imaan:- Yusuf Ne Kaha Jo Khana Tumhe Mila Karta Hai Woh Tumhare Paas Na Aane Paayega K Me Uski Taabir Uske Aane Se Pehle Tumhe Bata Duga.(Is Aayat Se Hazrat Yusuf Alaihissalam Ka Ilm E Gaib Saabit Hai)

Is Ki Tafseer Rooh Ul Bayan O Kabeer O Khazin Main Hai, Is K Maeney (Meaning) Yeh Hain K Main Tumhen Khaaney K Guzishta O Aaendah K Saarey Halaat Bata Sakta Hun K Galla Kahaan Se Aaya Aur Ab Kahaan Jaega, Tafseer E Kabeer Ne To Farmaya K Yeh Bhi Bata Sakta Hun K Yeh Khana Naf’aa Dega Ya Nuqsan, Yeh Cheezen Woh Hi Bata Sakta Hai, Jo Har Zarrey Ki Khabar Rakhta Ho, Phir Farmaatey Hain.


Aayat # 15 :

Surah Al-Imran Aayat No. 49.

Tarjuma Kanzul Imaan:- Aur Tumhe Batata Hu Jo Tum Khate Aur Jo Tum Apne Gharo Me Jama Kar Rakhte Ho.(Yaani Woh Jo B Chupate Apne Ghar Ki 4 Diwari Me Woh Sab Hazrat Isa Alaihissalam Ko Khabar Hai)

Imam Ali Bin Muhammad Al Khazin 765 Hijri Main Likhtey Hain:
Tarjuma: “ Aap Dekho Khana Ghar Main Khaya Aur Rakha Gaya, Jahaan Hazrat Eesa (Aleh Salam) Mojood Nahin They, Aur Is Ki Khabar Aap Baahir De Rahey Hain, Yeh Hai Ilm-E-Gaib”

(Al-Baab Ul Taweel Fi Ma’ani Ul Tanzeel, Al-Maroof, Tafseer E Khazin, Jild#3, Page#19, Matboo’a Dar Ul Ma’arfah, Beroot)

(Yeh Upper Jo Ibaarat Likhi Gai Yeh Aaj Se 700 Saal Pehley Ki Hai, Aur Is Main Saaf Saaf Ilm-E-Gaib K Alfaaz Hazrat Eesa K Liye Istimal Kiye Gaye, Kisi Molvi Ne Is Ibaarat Pe Shirk Ka Fatawa Q Na Lagaya ???)

Imam Ali Bin Muhammad Al Khazin 765 Hijri Main Is K Baad Hi Likhtey Hain:
Tarjuma: “Yaani Main Tumhein Is Ki Miqdar, Is Ka Rang Aur Puhanchney Ka Waqt Khana Puhanchney Se Qabal Hi Bata Dunga Aur Yeh K Kaunsa Khana Tum Ne Kab Aur Kitna Khaya Hai Tumhen Is Ki Bhi Khabar Dunga”..

(Al-Baab Ul Taweel Fi Ma’ani Ul Tanzeel Al Maroof Tafseer Al Khazin)

Imam Abdul Maalik Bin Hasshaam 213 Hijri Main Likhtey Hain:
Tarjuma: “Aayat Se Murad Woh Mojizaat Hain, Jo Hazrat Eesa (Aleh Salam) K Dast-E-Aqdas Se Zahoor Pazeer Hotey They, Aap (Aleh Salam) Murdon Ko Zindah Kar Detay They, Woh Mitti Se Parindey Ki Shakal Banatey Phir Is Per Phoonk Maartey To Woh Allah K Hukum Se Parindah Ban Jaata, Mareez Ko Shifa’yab Farmaa Detay They, Woh Log Jo Kuch Apney Gharon Main Zakheerah Kartey They, Aap Is K Mutalliq Inhen Bata Detay Bohat Se Uloom-E-Gaibiyah Ka Izhaar Farmaatey”..

(Al-Seerat Un Nabuwiyyah, Al-Maroof, Seerat Ibn-E-Hasshaam, Jild#3, Page#77, Matboo’a Dar Ul Jeel, Beroot)

(Upper Di Gai Ibaarat 213 Hijri Main Likhi Gai (Yaani Aaj 1200 Saal Pehley), Aur Is Main Saaf Hai K Hazrat Eesa (Aleh Salam) Uloom E Gaibiyah Ki Khaber Detay They, Aur Zaahir Hai Insaan Gaib Ki Khaber Tab Hi Dega Jab Us Ko Khud Gaib Ka Ilm Hoga, (Yaani Ilm-E-Gaib Hoga), Ab Jab Hazrat Eesa (Aleh Salam) Ko Allah Ki Ata Se Ilm-E-Gaib Haasil Hai, To Huzoor (Swallallahualaihiwasallam) K Pass Bhi Ataai Ilm-E-Gaib Manna Hoga, Q K Huzoor (Swallallahualaihiwasallam) Ko Allah Ki Ata Se Tamaam Makhlooqaat Se Ziyadah Ilm Hai…

Imam Abdur Razzaak Bin Hamaam San’aani 211 Hijri Main Riwaayat Kartey Hain:
Tarjuma: “Qatadah (Rehmatullah Aleh) Is Aayat E Kareemah K Tehet Farmaya, Main Tumhein Khabar Deta Hun Un Cheezon Ka Jo Tum Khaatey Ho, Aur Jo Tum Dastarkhuwaan Main Bachatey Ho”..

(Tafseer-E-Abdur Razzaak, Jild#1, Page#121-122, Matboo’a Maktaba-Tur-Rushd-Ul-Riyaz)

Imam Fakher Ud Deen Raazi 606 Hijri Main Likhtey Hain:
Tarjuma: “Is Aayat Ki Tafseer Main Do (2) Qol Hain,

Pehla Yeh K Aap Ne Pehli Mertabah Gaiyoob (Gaib Ki Jama) Ki Khabar Us Waqt Di (Sadi Ne Riwaayat Ki) K Jab Aap Bachon K Saath Kheltey Phir Unhen Un K Waalden K Af’aal Ki Khabar Detay,
Aap Bachey Ko Khabar Detay K Us Ki Maa Ne Fulaan Shey (Cheez) Us K Liye Fulaan Jagah Chupa Ker Rakhi Hai, Bacha Ghar Aata Aur Ro Ro Ker Woh Shey Haasil Kar Leta,Un Logon Ne (Yaani Un Bachon K Maa Baap Ne) Bachon Se Kaha K Us Jaadugar K Saath Na Khela Karen, Unhon Ne Tamaam Bachon Ko Ek Makaan Main Jama Ker Diya,
Hazrat Eesa (Aleh Salam) Ne In Se Bachon K Baarey Main Dariyaaft Farmaaya To Unhon Ne Kaha K Woh Is Makaan Main Nahin Hain,
Aap Ne (Yaani Hazrat Eesa Ne) Ne Pucha K Acha Phir Is Makaan Main Kiya Hai, To Unhon Ne (Yaani Maa Baap Ne) Kaha K Is Makaan Main Khinzeer Hain,
Aap (Hazrat Eesa) Ne Farmaya, K Aesa Hi Hoga, Phir Jab Makaan Ko Dekha Gaya To Dekha K Woh Bachey Khinzeer Ban Chukey They…
Dusra Qol Yeh Hai K Aap (Hazrat Eesa) Ka Mojizah E Akhbar-E-Gaib Ba-Waqt-E-Nuzool E Maedah Zaahir Huwa,Woh Aesay K Aap (Hazrat Eesa) Ki Qaum Ko (Maedah) K Jama Karney Aur Zakheerah Karney Se Mana Kiya Gaya Tha, Is K Ba-Wajood Woh Log Jama Kar Liya Kartey They, Hazrat Eesa (Aleh Salam) Unhen Is Ki Khabar Diya Kartey They”..

(Al-Tafseer-E-Kabeer, Jild#8, Page#57, Matboo’a Dar Ul Fikar Beroot)

Imam Ali Bin Muhammad Al-Khazin 765 Hijri Main Likhtey Hain:
Tarjuma: “Aur Main Tumhen Batata Hun Jo Kuch Tum Kha Ker Aaey Yaani Us Shey (Cheez) K Baarey Main Batata Hun Jisey Menay Dekha Bhi Nahin Aur Jo Kuch Tum Apney Gharon Main Jama Kartey Ho, Yaani Jo Kuch Tum Aendah Kal K Liye Jama Kartey Ho, Kaha Gaya K Hazrat Eesa (Aleh Salam) Kisi Shakhs Ne Jo Guzishta Kal Khaya Tha Aur Jo Aaj Khaey Ga, Aur Jo Raat K Khaney K Liye Jama Karey Ga Sab Ki Khabar De Detay They”..

(Al Baab Ul Taweel Fi Ma’ani Ul Tanzeel Al Maroof Tafseer-E-Khazin, Jild#1, Page#237, Matboo’a Dar Ul Ma’arfah, Beroot)

Haafiz Imaam Ud Deen Ismail Bin Umar Bin Kaseer 774 Hijri Main Likhtey Hain:
Tarjuma: “Main Tumhen Us Se Shey (Cheez) Ki Khabar Deta Hun Jo Tum Main Se Kisi Ne Abhi Abhi Khaai Hai, Aur Us Shey (Cheez) Ki Bhi Jo Aaendah Kal K Liye Zakheerah Ki Hai”..

(Tafseer-E-Ibn-E-Kaseer, Jild#1, Page#365, Matboo’a Dar Ul Fikar, Beroot)

Imam-E-Kabeer Muhaddis Sha’heer Hafiz Hadees Abu Na’eem Ahmed Bin Abdullah Asfahaani 430 Hijri Main Riwaayat Kartey Hain:
“Ager Kaha Jaye K Hazrat Eesa (Aleh Salam) Gaib Ki Khabar Diya Kartey They Aur Woh Sab Kuch Batla Detay Jo Log Gharon Main Khaa Ker Aatey Aur Jo Kuch Ghar Main Chor Ker Aatey They To Nabi E Kareem (Swallallahualaihiwasallam) Ne Is Se Bhi Kahin Ajeeb Ter Khabren Di Hain (Yani Gaib Ki Khabren Di Hain),Q K Hazrat Eesa (Aleh Salam) To Yahi Batlaatey They K Log Ghar Ki Deewari K Peechey Kiya Khatey Aur Kiya Chor Ker Aatey Hain, Magar Nabi E Kareem (Swallallahualaihiwasallam) Ek Maah (Month) Ya Is Se Bhi Ziyadah Musaafat Per Waaqey Honey Waaley Hawadis Se Aagahi De Detay They,Jaisay Aap Ne Nijaashi K Wisal Aur Gazwa-E-Mo’ta Main Zaid Jaafer Aur Abdullah Bin Rawah (Razi Allah Anhum) Ki Shahadat Ki It’tala Di, Basa Auqaat Aap K Pass Koi Shakhs Kuch Puchney Aata To Aap Farmaatey Agar Tum Chaho To Main Tumhein Batla Dun K Tum Kiya Sawal Karna Chahtey Ho”..

(Dalael Un Nabuwwah-Tul-Abi Na’eem Asfahaani Urdu, Page#551-552, Matboo’a Ziya Ul Quran Publications Lahore)

Aayat # 16 :

Surah Yusuf Aayat No. 22.

Tarjuma Kanzul Imaan: Aur Jab Apni Pure Quwat Ko Pahucha, Humne Ise Hukum Aur Ilm Ataa Farmaya.


Aayat # 17 :

Surah Yusuf Aayat No. 96

Tarjuma Kanzul Imaan: Fir Jab Khushi Sunane Wala Aaya, Usne Wa Kurta Yaqub K Muh Par Daala Usi Waqt Uski Aankhen Fir Aai Kaha Mena Kehta Tha K Mujhe Allah Ki Woh Shaani Maalum Hai Jo Tum Nahi Jaante.

Aayat # 18.

Surah Ambiya Aayat No. 74

Tarjuma Kanzul Imaan: Aur Lut Ko Humne Hukumat
Aur Ilm Diya.

Aayat # 19

فاوحی الی عبدہ ما اوحی۔

Tarjuma Kanzul Imaan: “Ab Wahi Farmai Apney Bandey Ko Jo Wahi Farmai”..
(Parah#27, Surah# An Najm, Aayat#10)

Madarij Un Nabuwwah Jild#1 Main Hai:
Tarjuma: “ Me’raj Main Rab Ne Huzoor (Swallallahualaihiwasallam) Per Jo Saarey Uloom Aur Ma’arfat Aur Basharaten Aur Ishaarey Aur Khabren Aur Karamaten O Kamalaat Wahi Farmaey Woh Is Ibhaam Main Daakhil Hain, Aur Sab Ko Shaamil Hain, In Ki Ziyaadati Aur Azmat Ki Wajah Se Hi In Cheezon Ko Bator-E-Ibhaam Zikar Kiya , Bayan Na Farmaya, Is Main Is Taraf Ishaarah Hai K In Uloom E Gaibiyah Ko Siwaey Rab Ta’ala Aur Mehboob (Aleh Salam) K Koi Nahin Ihaata Kar Sakta, Haan Jis Qadar Huzoor Ne Bayan Farma Diya Woh Maloom Hai”..

(Madarij Un Nabuwwah Farsi, Jild#1, Page#170, Matboo’a Nooriyah Rizawiyah, Publishing Bilal Ganj, Lahore)

Is Aayat Aur Ibaarat Se Maloom Huwa K Me’raj Main Huzoor (Swallallahualaihiwasallam) Ko Woh Uloom Ata Huwey Jin Ko Na Koi Bayan Kar Sakta Hai ,Aur Na Kisi K Khayal Main Aasaktey Hain, Maakaan O Maayakoon To Sirf Bayaan Karney K Liye Hai Warna Is Se Bhi Kahin Ziyaadah Ka Ata Hua
In Tamam Aayat Se Saabit Hai Ki Allah Taala Ne Sarkar Swallallahualaihiwasallam K Saath Digar Ambiya Alaihissalam Ko B Ilm E Gaib Ataa Kiya Hai.


Note : Alhamdulillah Humne 19 Aayat Pesh Ki Jisme Allah Taala Ne Apne Ambiya E Kram Alaihimussalam Ko Ilm E Gaib Ataa Kiya.Ab Agar Koi Kahe K Allah Taala K Alawa Koi Im E Gaib Nahi Jaanta Toh Ussey Zarur Puchiyega Surah Jinn Ki Aayat No 27 Ka Tarjuma B Kardo( Siwaye Apne Pasandida Raasulo K) Yaani Allah Taala Ataa Karta Hai.

Ab Hadees E Paak Ki Taraf Ruju Karte Hai.

-SHaikh Mohammad Imran Saifi

12 comments:

  1. SUBHANALLAH MASHALLAH...
    Aapne Bahot Hadees Pesh Kiye Hai Is Mozu Per..
    Per Bhai,,Agar Ho Sake To Wahabi Ke Sawal Ilme Gaib Ke Khilaaf Ke Bhi Jawaab De Dijiye...

    Jaise Wo Ye Aksar Hadees Pesh Karte Hai
    1.Huzoor Sallalahoalihivasalm Ko Zaher Diya Gaya,Sahabi Ne Khaye Aur SHahid Ho Gaye...
    2.Hazrat Ayesha Siddiqa Ka Haar Gum Hogaya ...
    Aur Kahe Saare...

    ReplyDelete
    Replies
    1. in sha ALLAH , jald daaluga.

      Delete
    2. Yeh lo bhai ek baab update kiya hu , baaki karuga

      http://786sho.blogspot.in/2017/04/ilm-e-gaib-ki-woh-hadees-jise-gustakh.html

      Delete
    3. MASHALLAH
      ALLAH PAK APKO SALAMAT RAKHYN..

      Delete
  2. MashaALLAH❤ SUBHANALLAH❤ JAZAKALLAH❤

    ReplyDelete
  3. Assalamu alaikum, agar ho sake to insab ko arbi mein to script hai vo bhi daal do yahan, kyunki internet par zyada se zyada website ye kawwa khoron ki hai aur dhundna mushkil ho jata hai.

    ReplyDelete

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers