Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Tuesday, 18 April 2017

Ilm E Gaib Aur Aimma E Muhaddiseen wa Mufassireen

Itlaq Ilm E Gaib Aur Aimma E Muhaddiseen

Imam # 1

Imam Ahle Sunnat Abu Mansur Al Matrudi Rehmutullah Alaih (Wafat: 333 H) Ka Aqeedah Ilm E Ghaib Per Tafseer Al Matrudi, Taweelat Ahle Sunnah Jild 2 Safa 541

Tarjuma: Ilm E Ghaib Janna Rasulo Ki Risalat Ki Daleel Hai.

Ullema E Deoband Ne Fakhriya Taur Per Khud Ko Aqaid Me Matrudi Tasleem Kiya Hai

(Aqaid Ullema E Deoband 213)

Ullema E Deoband Namak Halali Ka Saboot Dete Hue Imam Ahle Sunnat Abu Masur Al Matrudi Rehmutullah Alaih Ka Aqeedah Ilm E Ghaib Qabul Karna Chahiye.

Imam # 2

Imam Qazi Bedawi Rehmutullah Alaih Surah Kahf Aayat 65  Ki Tafseer Me Farmate Hai

(Khizr Alaihissalam) Ko Humne (Allah Taala Ne) Apne Paas Se Ilm Diya Jis Ko Humare Diye Bagair Koi Nahi Jaan Sakta Aur Woh Ilm E Ghaib Hai

Imam # 3

Hafiz Ibn Kathir Rahima Hullah Surah Al Kahf Aayat 60 Se 65 Ki Tafseer Me Hazrat Khizr Alaihissalam K Hawale Se Likhte Hai Tafseer Ibn Kaseer Ta Salamat Jild 5 Safa179

Yaani Hazrat Khizr Alaihissalam Ilm E Ghaib Jante Hai.

Aur

Hafiz Ibn Kathir Aur Muhammad Ibn 'Abd Al-Wahhab An-Najdi Suad Ibn Qarib Ne Naath Padhi Nabi Swallallahualaihiwasallam Ki Shaan Me Aur Kaha
“Me Gawahi Deta Hu Ki Allah Ibadat Kay Layak Aur Allah Taala Ne Nabi Sallallahualaihwasallam Ko Tamam Uloom E Ghaib Ataa Kiye”

Ibn Kathir, Sirat An-Nabi Aur Ibn 'Abd Al-Wahhab, Mukhtasar Sirat Ar-Rasul, Qissa 'Suad Ibn Qarib'

Imam # 4

Imam Qurtabi Rehmatullah Alaih Surah Al Kahf Ki Tafseer Me Khizr Alaihissalam K Hawale Se Likhte Hai
Tafseer Qurtabi (16/11)

Tarjuma: (Khizr Alaihissalam) Ko Humne (Allah Taala Ne ) Apne Paas Se Ilm Diya Yaani Ilm E Ghaib.

Imam # 5

Imam Abi Sauood Hanfi Rehmatullah Alaih Surah Kahf Aayat 65 Ki Tafseer Me Hazrat Khizr Alaihissalam K Hawale Se Likhte Hai

تفسير أبي السعود = إرشاد العقل السليم إلى مزايا الكتاب الكريم (234/5 ) {وَعَلَّمْنَاهُ مِن لَّدُنَّا عِلْمًا} خاصاً لا يُكتنه كُنهُه ولا يُقادَرُ قدرُه وهو علمُ الغيوب.

Tarjuma: (Khizr Alaihisalam Ko Humne (Allah Taala Ne) Apne Paas Se Khas Ilm Diya Jiski Haqeeqat Wa Martaba Koi Nahi Jaanta Aur Woh Ilm E Ghaib Hai.

Gaur Kare Hazrat Khizar Alaihissalam Jinke Nabi Hone Me Ikhtilaf Hai Jab Inke Ilm Per Ilm E Ghaib Ka Itlaq Jaiz Hai Toh Imam Ul Ambiya Huzur Swallallahualaihiwasallam K Ilm Per Badarja Aula Jaiz Hai.

Imam # 6

Hazrat Shaikh Abdul Haq Muhaddis Delhvi Apni Kitab Madaraaj Un Nabuwa Jild 1 Safa 267 Baab “Itla Bar Uloom E Gaibiya” K Tahet Likhte Hai

“Huzur E Akram Swallallahualaihiwasallam K Roshan Tareen Maojazat Mein Aapka Gaib Per Matlaa Hona Aur Jo Kuch Aage Hone Wala Hai,In Uloom Guyub Ki Khabar Dena Hai,Bizzat Ilm E Gaib Allah Taala K Saath Makhsus Hai Kyukay Woh Alamul Gaib Hai Aur Ilm E Gaib Jo Rasul Allah Swallallahualaihiwasallam Ki Zaban Mubarak Zahir Hua Hai Khwa Woh Wahi Zariye Ho Ya Ilham Se,Iske Mutaliq Hadees E Paak Me Aaya Hai Farmaya “Allah Ki Qasam Mein Apne Aap Se Kuch Nahi Jaanta Magar Woh Sab Kuch Jiska Mere Rabb Ne Mujhe Ilm Marhat Farmaya”.

Imam # 7

Hazrat Maulana Mulla Mueen Waiz Al Khashifi Al Harawi Apni Kitab Marij Al Nabuwat Jild 3 Me Likhte Hai Huzur Nabi Swallallahualaihiwasallam Gaibda’n Aalim Hai.

Imam # 8

Imam Ismail Al Hiqqi (Rehmatulla Alaih) In Ruh Ul Bayan Likhte Hai

وعلمك} بالوحى من الغيب وخفيات الامور { ما لم تكن تعلم } ذلك الى وقت التعليم}

Tarjuma: Allah Taala Ne Ghaib Sikhaya Aur Chupi Hui Baate Jo Pehle Na Pata Thi.

Imam # 9

Imam Khazin Rehmatulla Alaih Likhte Hai

وعلمك ما لم تكن تعلم }يعني من أحكام الشرع وأمور الدين وقيل علمك من علم الغيب ما لم تكن تعلم وقيل معناه وعلمك من خفيات الأمور وأطلعك على ضمائر القلوب وعلمك من أحوال المنافقين وكيدهم ما لم تكن تعلم

Tarjuma: Allah Ne Nabi Swallallahualaihiwasallam Ko Ahkaam Sikhaye Aur Umoor E Deen Sikhaye Aur Ilmul Ghaib Sikhaya Jo Aap Na Jaante The Aur Yeh B Sikhaya Jo Dilo’n Me Hai Aur Ahwaal Aur Munafiqeen Ki Chalakiyan Jo Tum Nahi Jante.

Imam # 10

Ahle Hadees K Imam Molvi Mohammad Juna Garhi
Tafseer Ahsanul Bayan Me Surah Imran Ki Aayat 179 K Tahet Likhte Hai:

“Haa Albatta Allah Taala Apne Rasulo Mein Se Jisko Chahta Hai Gaib Ka Ilm Ataa Farmata Hai"

Subhan Allah Abtak 10 Imam K Hawale Se Humne Yeh Bataya Ki Inhone Lafz “Ilm E Gaib” Gairullah K Liye Istemal Kiya Hai.



Aqeeda Ilm E Gaib Aur Aimma E Mufassireen

Imam # 1

Imam Ibn Hajar Asqalani Likhte Hai:

"Nabi Ki Ek Khubi Yeh Hai K Wo Jante Hy Jo Ho Chuka Hy Past (Mazi) Me, Aur Kiya Hoga Future (Mustaqbil) Me...”

Fath Ul Bari Shara Sahi Bukhri Baab Al Anbiya.

Imam # 2

Hazrat Li Moosa Bin Uqba (141 Hijri) Safa 265 Jamia Ibnu Zahr Likhte Hai:

Ghazwa E Mawta Ki Khabar Dene Ek Shaks Aaya Toh Aap Swallallahualaihiwasallam Ne Farmaya “Kya Tum Mujhe Bataoge (Yaani Kya Hua) Ya Mein Tumhe Khabar Du?

Subhan Allah Ilm E Gaib E Mustafa K Pehle Se Hi Khabar Hai K Kya Hua.

Imam # 3

Allama Ahmed Saavi Maliki Apni “Tafseer-E-Saavi” Jild 4, Safa # 245 Pe Ayat

سئلونک عن الساعۃ مرسھا

K Teht Farmty Hain:

وھذا قبل اعلامہ بوقتھا فلاینا فی انہ صلی اللہ علیہ وسلم لم یخرج من الدنیا حتی اعلمہ اللہ بجمیع مغیبات الدنعا والآخرہ ولکن امر بکتم اشیاء منھا کما تقدم

“Ye Ayat Kareema Huzur Ko Waqt-E-Qayamat Ka Ilm Diye Janay Se Pehle Ki Hai. Lihaza Ayat Kareema Ka Mazmoon Hargiz Iss Maslak K Khilaf Nahi K Huzur Us Wakt Tak Dunya Se Tashreef Nahi Le Gye Jab Tak Allah Ne Nabi-E-Paak Swallallahualaihiwasallam Ko Dunya Aur Akhrat K Tamam Ghayoob Na Bata Diye. Lekin Un Main Se Baaz Ko Chuupanay Ka Hukm Huzur Ko Dia Gaya. Jesa K Hamari Issi Kitab Main Iss Per Baar Baar Tambeeh Guzri Hai.”

Imam # 4

Tafseer Araais Al-Bayan Me Dar Al Kutb Ilmiyah (Berut - Lebenon), Jild 3, Safa 126 Per Likhte Hai

سمعت ايضا من بعض الاولياء انه اخبر ما في الرحم من ذكر و انثي ورأيت بعيني ما اخبر

Auliya Allah Ne Kaha Ki Fula K Shikamb Me Ladka Hai Ya Ladki Aur Humne Apni Ankhon Se Dekha K Jo Auliya Ne Farma Diya Woh Sahi Hai.

Imam # 5

Hazrat Hasan Ibn Thabit Radialla Taala Anhu Farmate Hai,

نبي يرى ما لا يرى الناس حوله
ويتلو كتاب الله في كل مشهد
وإن قال في يوم مقالة غائب
فتصديقها في اليوم أو في غد

“Nabi Woh Dekhte Hai Jo Dusre Nahi
Aur Quran Padhte Hai
Aur Agar Woh Kisi Gaib Chiz K Bare Farmade
So Waisa Hi Aaj Aur Kal Me Hoga”
Aapka B Yehi Aqeeda Tha K Nabi Swallallahualaihiwasallam Kal Ki Baat Jante Hai Yaani Gaib

Hawala: Maujam Al-Kabir At-Tibraani, Jild 4, Safa 48-50

Alahad Wal Mathani Jild 9, Safa 463

Ma'arafatis Sahaba Li Abi Naeem Isbahani, Jild 6, Safa 398

Al-Isti'aab Fi Ma'arfatil Ashaab, Jild 2, Safa 137

Simtun Nujoom, Jild 1, Safa 150

Al-Waafi Bil Wafyaat, Jild 5, Safa 313

Taraakh-E-Damishq, Jild 3, Safa 322

Al-Hakim Jild 3, Safa 9-10

Al-Isti'ab Jild 4, Safa 1958-1962

Dala'il Al-Nubuwwa Lil Baheeqi, Jild 1, Safa 266

Dala'il Al-Nubuwwa Li Abi Naeem Isbahani, Jild 1, Safa 276

Sharh Usuli I'tiqadi Ahlas Sunnah, Jild 4, Safa 780

Tafseer At-Tibri, Book 102, Jild 2, Safa 411

Ibn Habban In Al-Thiqat Jild 1, Safa 128

Al-Iktifa Jild 1, Safa 343

Imam # 6

Imam Qastalani Apni Kitab Irshad As Saari.Kitabut Tafseer Surah Raad Darul Kitab Al Arabi Jild 7 Safa 186 Per Likhte Hai

لا یعلم متی تقوم الساعة الا اللہ الا من ارتضی من رسول فانه من یشاء من غیبیه والولی التابع له یا خذ عنه

Koi Nahi Jaanta Siwaye Allah K , K Qayamat Kab Aayegi Lekin Uske Mehbub Bande ,Jise Woh (Allah) Chahe Usey Batade Aur Wali Uska Taaabe Hote Hai Ussey Hasil Karte Hai.

Imam # 7

Hafiz-Ul-Hadith Sayyidi Ahmad Maliki Kehte Hai Gaus Apne Waqt K Sayyid Shareef Abdul Azeez Mas'ood Hasani (Radi Allahu Ta'ala Anhu) Kehte Hai

ھوا صلى اﷲ تعالى عليه وسلم لا یخفی علیه شئ من الخمس المذكورة فی الایة الشریفة وكیف یخفی علیه ذالك والاقطاب السبعة من امته الشریفة یعلمونہا وھم دون الغوث فكیف بالغوث فكیف بسید الاولین و الاخرین الذی ھوا سبب كل شئ ومنه كل شئ

Uloom E Khamsa Ka Ilm Nabi Swallallahualaihiwasallam Se Posheeda Nahi (Mukhtsar Tarjuma Kiya Hai)

Al-Ibriz, Baab 2, Mustafa Albaabi (Egypt), Safa 167/168.

Imam # 8

Imam Suyuti Rehmatullah Alaih Khasa'is Al-Kubra, Jild 2, Safa 292 Per Likhte Hai

وعرض عليه ما هو كائن في أمته حتى تقوم الساعة

Jo Kuch Ummat K Bare Qayamat Tak Hone Wali Hai Sab Nabi Swallallahualaihiwasallam K Saamne Pesh Kardi Gai Hai.

Aur

“Huzoor Alaihissalam Ka Ye Farmana "Illa Hua " Uske Meinne Ye Hai K Unko Apne Aap Khuda K Siwa Koi Nhi Janta Lekin Kabhi Allah K Batane Se Jan Lete Hai Q K Yaha Wo Log Hai Jo Jante Hai Humne Mutaddid Ko Aisa Paya Hai Jaise Humne Ek Jamat Dekha K Wo Jan Lete Hai K Kab Marege Aur Jante Hai Shikam K Bache Ko "Imam Jalaluddin Suyuti, Rouzunnasheer Sharah Jame Sager”

Imam # 09 Aur 10

Allama Bajouri Sharh Qasida Burdah Aur Shaykh Ahmad Bin Muhammad As-Sawi Me Hashiya Ala Tafsir Jalalain Me Likhte Hai:

لم يخرج النبي عليه السلام من الدنيا الا بعد ان اعلمه الله بهذه الامور الخمسة

Nabi Swallallahualaihiwasallam Is Duniya Se Wisal Na Kiye Jabtak Unhe Uloom E Khamsa Ka Ilm Hasil Na Hua.

Hashiya Ala Tafsir Jalalain, Jild 3, Safa 215 - Hashiya Al-Bajouri Alal Burda, Safa 92.

Imam # 11

Allama Uthmawi Kehte Hai

قیل انه صلى اﷲ تعالى عليه وسلم اوتی علمہا ای الخمس فی اخر الامر لكنه امر فیھا بالكتمان وھذا القیل ھوا الصحیح

Nabi Swallallahualaihiwasallam Ko Uloom E Khamsa Ka Ilm Ataa Hua Aur Huqum Hua K Apne Paas Rakhe.
Hawala: Ajab Al-Ajaib Sharah Salat Syed Ahmad Kabeer Badawi.

Imam # 12

Deoband K Molvi Shabbir Usmani Jinhone Tafseer E Usmani Likha Hai , Woh Apni Tafseer E Usmani Surah Taqweer Ki Aayat 24 K Tahet Likhte Hai

"Ye Nabi Swallallahualaihiwasallam Har Qisam K Ghuyoob Ki Khabar Deta Hai."

Imam # 13

Shah Abdul Azeez Muhaddith Dehlvi  Apni Tafseer Me Surah Jinn Ki Ghaib Wali Ayah K Taluq Likhtey Hai

"Jo Cheez Tamam Makhluq Ki Ba Nisbat Ghayab Hai Woh Gaib Mutlaq Hai Jaise Qayamat Ka Waqt Aur Bari Taala K Rozana K Takweene Aur Har Shariyat Ke Sharai Ahkam Aur Bari Taala Ki Zaat Wa Sifaat K Tafseeli Haqaiaq Is Qism Ko Allah Tala Ka Khas Gaib Kaha Gaya Hai Pas Woh Apne Khas Gaib Per Kisi Ko Mutlaa Nahi Karta Siwaye Us Fard K Jise Wo Pasand Farma Leta Hai Aur Fard Rasool Hota Hai Khwah Farishta Ho Jaise Jibrayil Alaishissalam Ya Insan Jaise Mohammad Swallallahualaihiwasallam ,Hazrat Moosa ,Hazrat Eisa Alaihimussalam Usey Apne Baaz Guyub Par Mutla Farmata Hai "

Tafseer Azeezi, Para 29, 60, 259

Aur

"Aap Swallallahualaihiwasallam Pe Ye Ayat Me Mazkoora Panch (5) Ashya Me Se Koi Shai Bhi Makhfi Na Rhi Aur Aap Swallallahualaihiwasallam Par Ye Makhfi Kaise Reh Sakti Thi Dar-Halanki Aap Swallallahualaihiwasallam Ki Ummat K Saatho Qutub Inko Jante Hai Aur Unka Muqaam Gaus Se Nichey Hai To Fir Ghaus Ka Kya Aalam Hoga Aur Fir Sayyadul Awwaleen Wal Aakhireen Jo K Har Shay Ki Waha Takhleeq Hai Ka Aalam Kya Hoga “

Al-Abrez, Albabul-Ashar, Safa 318


Imam # 14

Molvee Sarfraaz Ghakarvee (Deobandi)
Ahday Hazir Main Deoband K Tarjmaan Molvee Sarfraaz Ghakarvee Sahib Likhtay Hain Aur Matlab Ye Hay K Janaab Rasool Ay Khudaa Swallallahualaihhiwasallam Ko Tamaam Wo Juzee Or Kulli Aloom Hasil Ho Gay Thay Jo Haq Talaa K Nazdeek Apki Shaan Aqdas K Laaiq Orr Munasib The

Izaalaa Tul Raib Safa 148

Imam # 15

Allama Shunwani Jamunahaya Me Likhtey Hai

"Beshak Warid Hai K Allah Taala Nabi E Akram Swallallahualaihiwasallam Ko (Duniya Se ) Ne Le Gaya Jab Tak Ke Aap Swallallahualaihiwasallam Ko Har Shaiy Par Mutla Na Farma Dia"

Bahawala Khalisul -Aetiqad, 43


-SHaikh mohammad imran saifi

No comments:

Post a Comment

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers