Ilm-E-Gaib Ka Saboot Ahadees Ki Roshni Mein
Hadees # 1:
Bukhari Kitaab Bada'a Ul Khalq Aur Mishkaat, Jild#2, Baab Bada'a Ul Khalq O Zikar Ul Ambiya Mainhazrat Umar-E-Farooq (Razi Allah Anhu) Se Riwaayat Hai:
Tarjuma: " Huzoor (Aleh Salaam) Ne Ek Jagah Qayaam Farmaya, Pas Hum Ko Ibtada-E-Pedaish Ki Khabar De Di, Yahaan Tak K Jannati Log, Apni Apni Manzilon Main Puhanch Gaye, Aur Jahannumi Log Apni Main Jis Ne Yaad Rakha , Us Ne Yaad Rakha, Aur Jo Bhool Gaya, Woh Bhool Gaya".
(Sahi Ul Bukhaari, Kitaab Bada'a Ul Khalq, Jild#1, Page#453,Hadees No. 3020, Matboo'a Qadeemi, Kutub Khaana Karachi),
(Sahi Muslim Kitaab Ul Fatan, Jild#2, Page#390, Matboo'a Qadeemi Kutub Khaana Karachi)
(Mishqaat Ul Musaabeh, Page#506, Matboo'a Noor Muhammad Qutub Khana)
Is Jagah Huzoor (Aleh Salaam) Ne 2 Qisam K Waqi'aat Ki Khabar Di
1) Aalam Ki Pedaish Ki Ibtada Kis Tarah Huwi..
2) Phir Aalam Ki Intaha Kis Tarah Hogi..
Yaani Az Roz Awwal Ta Qayaamat Ek Ek Zarra Bayaan Kar Diya..
Issi Hadith Ki Sharah Main Allama Badaruddin A'ni "A'ini
Sharah-E-Bukahri Jild 7 Safa # 214, 215 Per Farmatay Hian:
والغرض انہ اخبر عن المبداء والمعاش والمعاد جمیعا
"Gharz Ye K Huzur Sarwar-E-Aalam Ne Makhlooqat K Mubda Aur Mu'ash Aur Ma'ad Sab Ki Khabar De Di
Aur Imam Badr Ud Din Aini Agay Chal K Farmaty Hain:
وفیہ دلالۃ علٰی انہ اخبر فی المجلس الواحد بجمیع احوال المخلوقات من ابتدائھا وفی ایراد ذٰلک کلہ فی مجلس واحد امر عظیم من خوارق فدیف وقد اعطی جوامع الکلم مع ذٰلک
"Aur Iss Hadith Main Iss Baat Pe Dalalat Hai Nabi-E-Paak Swallallahualaihiwasallam Ne Ek Hi Majlish Main Tamam Makhlooqat K Tamam Ahwaal Ki Khabar Di. Ibtada Se Intehaa Tak Aur Ek Hi Majlis Main Iss Ka Waarid Farmana Khwariq-E-Adat Se Amr-E-Azeem Hai Aur Q Na Ho? Iss K Bawajood K Nabi-E-Paak Swallallahualaihiwasallam Jawam Al’kalam Bhi Diye Gaye.”
Aini Sharah Bukhari. Fatah Ul Baari, Irshad-Us-Saari, Sharah Bukhari, Marqaat Sharah, Mishqaat Main Upar Di Gai Hadees K Ma Tehet Hai:
Tarjuma: "Is Hadees Main Dalalat Hai K Huzoor (Aleh Salaam) Ne Ek Hi Majlis Main Saari Makhlooqaat K Saaray Haalaat Ki Az Ibtada Ta Inteha Tak Khabar Di".
(Marqaat Sharah Ul Mishqaat, Jild#11, Page#$, Maktab-E-Imdaadiya, Multan)
(Irshaad Us Saari Jild#5, Page#250)
(Haashiya Sahi Bukhari, Jild#1, Page#453, Matboo'a Qadeemi, Kutub Khana Karachi)
Is Hadees Aur Sharah Se Saaf Maaloom Hota Hai K Huzoor (Aleh Salaam) Ko Ilm-E-Gaib Ata Kiya Gaya Hai, Q K Bager Ilm-E-Gaib K Woh Az Awwal (Yaani Duniya Ki Ibtada) Se Le Kar Ta Aakhir (Qayaamat Tak) K Tamaam Waqiyaat Kese Bata Sakte Hain... Unhon Ne Sab Kuch Ilm-E-Gaib Se Hi Bataya Jo Allah Ta'ala Ne Inko Ata Kiya Hai...
Hadees # 2:
Mishkaat Baab Ul Mojizaat Main Muslim Se Ba Riwaayat Umar-O-Ibn-E-Khattab Isi Tarah Manqool Hai Magar Is Main Itna Aur Hai:
Tarujuma: "Hum Ko Tamaam Un Waaqiyaat Ki Khabar De Di, Jo Qayaamat Tak Hone Waale Hain, Pas Hum Main Bara Aalim Woh Hai, Jo In Baaton Ka Ziyaadah Haafiz Hai".
Muslim As-Sahih, Jild 04, Hadees-2892.
Tirmidhi As-Sunan, Jild 04 Safa 483, Hadees-2191.
Ibn Hibban As-Sahih, Jild 15 Safa 09, Hadees-6638.
Hakim Al-Mustadrak, Jild 04 Safa 533, Hadees-8498.
Aboo Ya’ala Al-Musnad, Jild 12 Safa 237, Hadees-2844.
Tabarani Al-Muajam-Ul-Kabir, Jild 17 Safa 28, Hadees-46.
Ibn Abi Asim Ahaad-Ul-Masaani, Jild 04 Safa 199, Hadees-2183
Hadees # 3:
Mishkaat Baab Ul Fitan Main Bukhaari O Muslim Se Bariwaayat Hazrat Huzefa (Razi Allah Anhu) Hai.
Tarjuma: " Huzoor (Aleh Salaam) Ne Us Jagah Qayaamat Tak Koi Cheez Na Chori, Magar Uski Khabar De Di, Jis Ne Yaad Rakha, Yaad Rakha, Jo Bhool Gaya Woh Bhool Gaya".
Bukhari As-Sahih, Jild 06, Hadees- 6230.
Muslim As-Sahih, Jild 04, Hadees-2891.
Tirmidhi Jild 04 Safa 483, Hadees-2191.
Aboo Dawud As-Sunan,Jild 04 Safa 94, Hadees-464.
Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, Jild 05 Safa 385, Hadees-23322.
Bazzar Al-Musnad, Jild 07 Safa 231, Hadees-8499,
Tabarani Jild 02 Safa 247, Hadees-1278.
Khatib Tabrizi Mishkat-Ul-Masabih,Jild 02 Safa 278, Hadees-5379
Haafiz Shaha Buddeen 862 Hijri Main Likhte Hain:
Tarjuma: " Huzoor (Aleh Salaam) Ka Ek Hi Majlis Main Roz-E-Qayaamat Tak K Ehwaal O Waaqiyaat Ka Bayaan Farmana, Aap Ka Azeem Mojiza Hai, Aur Aap (Swallallahualaihiwasallam) Ki Shaan Taweel Kalaam Ko Chand Jumlon Main Bayaan Karna Is Ka Andaar Hai Aur Is Ki Misaal Ek Dusri Jahat Se Abdullah Bin Umar O Aas (Razi Allah Anhum) Ki Hadees Main Hai Jisay Imaam Tarmizi (Rehmatullah Aleh) Ne Riwaayat Kiya Hai, K Huzoor (Aleh Salaam) Hamaray Pass Tashreef Laye, Aap K Haath Main 2 Kitaaben Thin.. Seedhay Haath Waali Kitaab K Baaray Main Farmaya Yeh Kitaab Rabbul Aalameen Ki Taraf Se Hai, Is Main Ahl-E-Jannat Aur In K Aaba'a Aur In K Kabeelon K Naam Hain, In Par Kabhi Bhi Na Koi Naam Ziyaadah Ho Sakta Hai Aur Na Ko Naam Kam Ho Sakta Hai.. Phir Aap (Swallallahualaihiwasallam) Ne Baayen Haath Waali Kitaab K Baaray Main Ahle Dozakh Ki Nisbat Isi Misal Bayaan Farmaya".
(Fatah-Ul-Baari, Sharah Sahi Bukhari, Jild#6, Page#291, Matboo'a Dar-Un-Nashar,Kitaab Ul Islaamiya, Lahore)
Imaam Badaruddeen Aeni Hanfi 855 Hijri Main Likhte Hain:
Tarjuma: " Huzoor (Aleh Salaam) Ka Ek Hi Majlis Main Roz-E-Qayaamat Tak K Ehwaal O Waqiyaat Ka Bayaan Farmana Aap (Swallallahualaihiwasallam) K Mojizaat Main Se Ek Azeem Mojiza Hai, Aur Aesa Q Na Ho K Aap (Aleh Salaam) Ko Is K Saath Jo Taweel Kalaam Ko Thoray Waqt Main Bayan Karne Ka Mojiza Bhi Ata Kiya".
(Umdah Qaari , Jild#15, Page#110, Matboo'a Darul Fikar
Beroot)
Allama Ahmed Qastlaani Bhi 911 Hijri Main Yahi Likhte Hain:
(Bahawala: Irshaad Us Saari, Jild#5, Page#250)
Hadees # 4:
Mishkaat Baab Fazael Syed Ul Mursaleen Main Muslim Se Ba Riwaayat Sobaan (Razi Allah Anhu) Hai:
Tarjuma: “Allah Ne Mere Liye, Zameen Samait Di, Pas Main Ne Zameen K Mashriqon Aur Magribon Ko Dekh Liya".
(Sahi Muslim Kitaab Ul Fitan O Sharaet O Sa'at, Jild#2, Page#390, Matboo'a E Qadeemi, Kutub Khaana Karachi)
(Sahi Muslim, Jild#4, Page#2216, Raqamul Hadees#2889, Matboo'a Darul Kutub Ilmiya, Beroot)
Mirqaat Sharah Mishkaat Aur Sharah Shifa Ul Mulla Qaari O Zarqaani Sharah Muwaahib, Naseem Ur Riyaaz, Sharah Shifa Main Hadees # 4 Main Hai..
Tarjuma: "Is Hadees Ka Khulasa Yeh Hai K Huzoor (Aleh Salaam) K Liye Zameen Samait Di Gai, Aur Is Ko Aesa Jama Farma Diya Gaya, Jese Ek Haath Main Aaenay Ko Dekhta Hai Aur Zameen Ko Is Tarah Sameta K Door Waali Ko Qareeb Kar Diya Is K Qareeb Ki Taraf, Yahaan Tak K Hum Ne Dekh Liya Un Tamaam Cheezon Ko Jo Zameen Main Hain"..
Hadees # 5:
Mishkaat Ul Masaajid Main Abdur Rehman Bin Aaish Se Riwaayat Hai:
Tarjuma: " Hum Ne Apne Rab Ko Achi Soorat Main Dekha, Rab Ta'ala Ne Apna Dast Qudrat Hamaray Seenay Par Rakha, Jis Ki Thandak Hum Ne Apne Qalb Main Paai, Pas Tamaam Aasmaan O Zameen Ki Cheezon Ko Hum Ne Jaan Liya".
(Sunan Daarmi Kitaab Ur Roya, Baab Fi Roiyyah Rab Ta'ala, Fi Nom, Jild#2, Page#51, Raqamul Hadees, 2155, Matboo'a Nashar Us Sana, Multan)
Imaam Abdullah Bin Abdur Rehman Daarmi 255 Hijri Main Riwaayat Karte Hain:
Tarjuma: “Mene Apne Rab Azzawajal Ko Behtareen Soorat Main Deekha, Rab-E-Zul Jalaalne Mujh Se Farmaya K Malaika Muqqabareen Kis Baat Par Jhagra Karte Hain?? Mene Arz Ki Maula Tu Khoob Jaanta Hai, Huzoor (Aleh Salaam) Ne Farmaya Phir Mere Rab Ne Apni Rehmat Ka Haath Mere Donon Shaanon K Darmiyaan Rakh Diya, Mene Us Ki Thandak Apni Dono Chaatiyon K Darmiyaan Paai, Pas Mujhey In Tamaam Cheezon Ka Ilm Hogaya, Jo K Aasmaaanon Aur Zameenon Main Thin".

Imaam Ahmed Bin Hambal 241 Hijri Main Riwaayat Karte Hin:
Tarjuma: “Hazrat Ibn-E-Abbas (Razi Allah Anhu) Bayaan Karte Hain K Nabi (Aleh Salaam) Ne Farmaya Aaj Raat Ko Neend Main Mera Rab Azzawajal Haseen Soorat Main Mere Pass Aaya, Aur Farmaya Aye Muhammad! Kiya Tum Jaante Ho K Malaikah Kis Chiz Par Behes Kar Rahe Hain??
Hazrat Ibn-E-Abbas (Razi Allah Anhu) Kehte Hain K Aap Ne Farmaya Nahi Phir Nabi (Aleh Salaam) Farmate Hain, K Allah Ta'ala Ne Apna Haath Mere Donon Kandhon K Darmiyaan Rakha Hat'ta K Main Ne Apne Seene Main Is Ki Thandak Mehsoos Ki Aur Mene In Tamaam Cheezon Ko Jaan Liya Jo Aasmaanon Aur Zameenon Main Hain".
(Musnad Ahmed, Jild#1, Page#368, Raqqamul Hadees 3484, Matboo'a Mosasta Qurtaba Misar)
Hadees # 6:
Sharah Mowaahib Ladniyah Main Hazrat Abdullah Bin Umar (Razi Allah Anhu) Ki Riwaayat Se Hai:
Tarjuma: " Allah Ta'ala Ne Hamare Saamne Saari Duniya Ko Pesh Farmaa Diya Pas Hum Is Duniya Ko Aur Jo Kuch Is Main Qayamat Tak Hone Waala Hai Is Tarah Dekh Rahe Hain, Jese Apne Haaath Ko Dekhte Hain".
(Sharah Ul Allama Zarqaani Ali Ul Mowaahib Ul Ladniyah Ul Maqsad Us Saaamin Ul Fasal Us Salis Ul Qasam Us Saani, Jild#7, Page#206, Matboo'a Darul Ma'arfatah, Beroot)
Hadees # 7:
Mishkaat Baab Ul Masaajid Bariwaayat Tarmizi Hai:
Tarjuma: “Pas Hamare Liye Har Cheez Zaahir Hogai Aur Hum Ne Pehchaan Li ".
(Jaamein Sunan Tarmizi Kitaab Ul Tafseer, Jild#5, Page#160, Raqamul Hadees 3246 Matboo'a Daarul Fikar Beroot)
Imaam Jalaludeen 911 Hijri Main Likhte Hain:
Tarjuma: " Tibraani (Rehmatullah Aleh) Ne Ibn-E-Umar (Razi Allah Anhu) Se Riwaayat Ki, Inhon Ne Kaha K Rasool Allah (Aleh Salaam) Ne Farmaya, Allah Azzawajal Ne Saari Duniya Ko Utha Kar Mere Pesh-E-Nazar Kar Diya, Aur Main Ise Dekh Raha Hun, Aur Qayaamat Tak Jo Kuch Us Main Hone Waala Hai Main Use Us Tarah Waazeh Tor Par Dekh Raha Hun Jese Meri Yeh Hatheli Hai, Allah Azzawajal Ne Apne Nabi K Liye Munqashaf Farmaya, Jis Tarah Aap Se Pehle Nabiyon Ki Taraf Kiya".
(Khasaesul Kubra, Jil#2, Page#185, Matboo'a Daarul Kutub Ilmiya, Beroot)
Hadees 4, 5, 6, 7 Ki Takhreej
Tirmidhi As-Sunan, Jild 05 Safa 366,368, Hadees-3233, 3235.
Darmi As-Sunan, Jild 02 Safa 170, Hadees-2149.
Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, Jild 01 Safa 368, Hadees-3484, & Jild 04 Safa 66, & Jild 05 Safa 243, Hadees-22162, 23258.
Tabarani Al-Muajam-Ul-Kabir, Jild 08 Safa 290, Hadees-8117, & Jild 20 Safa 109, 141, Hadees-216, 690.
Ruyani Al-Musnad, Jild 01 Safa 429, Hadees-656, & Jild 02 Safa 299, Hadees-1241.
Aboo Ya’ala Al-Musnad, Jild 04 Safa 475, Hadees-2608.
Ibn Abi Sbaybah Al-Musannaf, Jild 06 Safa 313, Hadees-31706.
Ibn Abi Asim Al Ahaad-Ul-Masaani, Jild 05 Safa 49, Hadees-2575, & As-Sunnah, Jild 01 Safa 203, Hadees-465,
Abd Bin Humeind Al-Musnad, Jild 01 Safa 228, Hadees-682.
Abdullah Bin Ahmad As-Sunnah, Jild 02 Safa 489, Hadees-1121.
Hakeem Tirmidhi Nawadir-Ul-Usul, Jild 03 Safa 120.
Mundhiri At-Targhib Wat-Tarhib, Jild 01 Safa 159, Hadees-591.
Ibn Abd-Ul-Barr At-Tamhid, Jild 24 Safa 323.
Haythami Majma-Uz-Zawa’id, Jild 07 Safa 176, 178
Hadees # 8:
Musnad Imaam Ahmed Bin Hambal Main Ba Riwaayat Abu Zar Gafari (Razi Allah Anhu) Hai:
Tarjuma: " Hum Ko Huzoor (Aleh Salaam) Ne Is Haal Par Chora K Koi Parindah Apne Par Bhi Nahin Hilaata, Magar Us Ka Hum Ko Ilm Bata Diya".
(Musnad Ahmed, Jild#5, Page53, Raqamul Hadees 21399, Matboo'a Mosasta, Qurtuba Misar)
Imaam Bo Saf Bin Ismail Nibhani (Rehmatullah Aleh) Likhte Hain".
Tarjuma: " Imaam Ahmed-O-Ibn-E-Saad Aur Tabraani (Rehmatullah Aleh) Ne Hazrat Abu Zar (Razi Allah Anhu) Se Riwaayat Ki, Inhon Ne Kaha K Rasool Allah (Swallallahualaihiwasallam) Ne Humen Is Haal Main Chora Hai, K Fiza-E-Aasmaani Main Jo Parinda Par Maarta Hai Aap Ne Az Roe Ilm Hum Se Uska Zikar Kar Diya".
(Musnad Ahmed, Jild#5, Page#153, Matboo'a Darul Fikar Beroot)
Imaam Muhammad Bin Ahmed Bin Jamee'e Us Sedaawi 402 Hijri Main Riwaayat Karte Hain:
Tarjuma: " Hazrat Abu Zar (Razi Allah Anh) Se Riwaayat Hai K Inhon Ne Kaha K Rasool Allah (Swallallahualaihiwasallam) Ne Humein Is Haal Par Chora K Fiza-E-Aasmaani Main Jo Parinda Par Maarta Hai Aap Ne Az Roe Ilm Hum Se Us Ka Zikar Kar Diya Hai".
(Majma-E-Sheyookh, Page#142, Matboo'a Mosasta Ur Risaala, Beroot)
Imaam Ahmed Bin Hambal 241 Hjiri Main Riwaayat Karte Hain:
Tarjuma: " Hazrat Abu Zar (Razi Allah Anhu) Farmate Hain K Humein Rasool Allah (Swallallahualaihiwasallam) Ne Is Haal Par Chora K Fiza Main Jo Bhi Apne Paron Se Urne Waala Parinda Tha, Aap Ne Humen Us Se Muta'aliq Zikar Kiya".
(Musnad Ahmed, Jild#5, Page#153, Raqamul Hadees 21399, Matboo'a Mosasta Qurtuba Misar)
Ab Aap Khud Faisla Karen... K Kiya Bager Ilm K Aasmaan Main Urne Waale Parinday K K Baaray Main Maaloom Kiya Ja Sakta Hai???
Woh Bhi Itni Jaldi Maaloom Karna, K Parinday K Par Hilaanay Se Pehle Hi Dusron Ko Bhi Parinday K Baaray Main Bata Diya Jae...
Ab Aap Khud Hi Faisla Kar Sakte Hain, Q K Aasmaan Main Urne Waala Parinday K Baaray Main Maaloomat To Gaib Hai, Q K Gaib Har Chupi Huwi Cheez Ko Kehte Hain, Jo Kisi Hawaas K Bager Maaloom Na Ki Ja Sake... To Is Gaib K Ilm Ko Kiya Kahen Ge???
Hadees # 9:
Mishkaat Baab Ul Fitan Fasal Saani Main Hazrat Huzefa (Razi Allah Anhu) Se Riwaayat Hai..
Tarjuma: “Nahin Chora Huzoor (Aleh Salaam) Ne Kisi Fitna Chalanay Waalay Ko Duniya K Khatam Hone Tak, Jin Ki Taadaad 300 Se Ziyada Tak Puhnchay Gi Magar Hum Ko Is Ka Naam Is K Baap Ka Naam Aur Is K Qabeelay Ka Naam Bata Diya"
(Mishkaat Ul Musaabeh, Baab Ul Fitan Fasal Saani, Page#463, Matboo'a Qadeemi Kutub Khana Karachi)
Hadees # 10:
Mishkaat Baab Zikar Ul Ambiya Main Bukhaari Se Ba Riwaayat Abu Hurerah (Razi Allah Anhu) Hai:
Tarjuma: " Hazrat Daawood (Aleh Salaam) Par Qura'an (Zaboor) Ko Is Qadar Halka Kar Diya Gaya Tha, K Woh Apne Ghoron Ko Zain Laganay Ka Hukum Dete The To Aap In Ki Zain Se Pehle Zaboor Parh Lete The"..
(Sahi Bukhari Kitaab Ul Ambiya, Jild#1, Page#475, Matboo'a Qadeemi Kutub Khana Karachi)
Yeh Hadees Is Jagah Is Liye Bayaan Ki Gai K Agar Huzoor (Aleh Salaam) Ne Ek Wa'az Main Az Awwal Ta Aakhir Waaqiyaat Bayaan Farma Diye To Yeh Bhi Aap Ka Ek Mojiza Tha Jese K Hazrat Daawood (Aleh Salaam) Aan Ki Aan Main Saari Zaboor Shareef Parh Lete The..
Hadees # 11:
Mishkaat Baab Munaakib Ahle Bait Main Hai..
Tarjuma: “Huzoor (Aleh Salaam) Ne Khabar Di K Fatima Zohra (Razi Allah Anhu) K Farzand Paida Hoga, Jo Tumhari Parwarish Main Rahega"..
(Mishkaat Ul Musaabeh Baab Munaaqib Ahle Bait Un Nabi Ul Fasal Ul Awwal, Page#572, Matboo'a Qadeemi Kutub Khana Karachi)
Tamaam Baad K Hone Waale Fitnon Ka Bata Dena, Aur Aise Batana, K Fitnah Karne Waalon K Naam Batana, Un K Baap Ka Naam Batana, Aur Qabeelay Ka Naam Batana..
Yeh Ilm E Gaib Hi Hai.
Aap Khud Faisla Kar Sakte Hain K Fatima Zohra (Razi Allah Anhu) Ko Batana K Un K Yahaan Farzand Paida Hoga.. Yeh Gaib Hai Ya Nahin??? Beshak Gaib Hai Aur Uloom E Khamsa Mein Se Hai.
Hadees # 12:
Bukhari Baab Asbaat Azaab Ul Qabar Main Hazrat Ibn-E-Abbas (Razi Allah Anhu) Se Naqal Hai:
Tarjuma: " Huzoor (Aleh Salaam) Do Qabron Par Se Guzre Jin Main Azaab Horaha Tha, To Farmaya K Dono Shakhson Ko Azaab Diya Ja Raha Hai, Aur Kisi Dushwaar Baat Mai Azaab Nahin Ho Raha In Main Se Ek To Peeshaab Se Na Bachta Tha, Aur Dusra Chugli Kiya Karta Tha, Phir Ek Tar Shaakh Ko Le Kar Is Ko Aadha Aadha Cheera Phir Har Qabar Main Ek Ek Ko Gaarh Diya Aur Farmaya K Jab Tak Yeh Tukray Khushk Naa Honge, In Dono Shakhson Se Azaab Main Kami Ki Jaawe Gi"..
Sahi Bukhari, Jild#1, Page#611, Matboo'a Qadeemi Kutub Khana Karachi
Sahih Muslim Jild#1, Page#141
Sunan Abi Daaoud Baab Ul Istabra, Jild#1, Page#6,
Raqam Ul Hadees#20-21, Matboo’a Dar Ul Fikar Beroot
Sunan Nisai, Jild#1, Page#7
Sunan Ul Kubra Imam Baehaki, Jild#1, Page#104
Hadees # 13:
Bukhari Kitaab Ul Aatasaam Bil Kitaab Wa Sunna Aur
Tafseer E Khazin Main Hai:
Tarjuma: " Huzoor (Aleh Salaam) Mimbar Par Kharay Huwe, Pas Qayamat Ka Zikar Farmaya K Is Se Pehle Baray Baray Waaqiyaat Hain, Phir Farmaya Jo Shakhs Jo Baat Puchna Chahay Puch Le, Qasam Khuda Ki Jab Tak Hum Is Jagah Yaani Mimbar Par Hain, Tum Koi Baat Hum Se Na Pucho Ge, Magar Hum Tum Ko Is Ki Khabar Denge, Ek Shakhs Ne Khare Ho Kar Arz Kiya, K Mera Thikaana Kahaan Hai?? Farmaya Jahannum Main... Abdullah Bin Huzaifa Ne Khare Ho Kar Dariyaft Kiya K Mera Baap Kaun Hai?? Farmaya Huzaifa... Phir Baar Baar Farmate Rahe K Pucho Pucho"..
(Sahi Ul Bukhari Kitaab Ul Aatasaam, Jild#2, Page#1083, Matboo'a Qadeemi, Kutub Khaana Karachi)
Khayaal Rahe K Jahannumi Ya Jannati Hona Uloom E Khamsa Main Se Hai K Saeed Hai Ya Shakki, Isi Tarah Kaun Kis Kaa Beta Hai Yeh Aesi Baat Hai K Jis Ka Ilm Siwaye Is Ki Maa K Aur Kisi Ko Nahin Hosakta,
Qurbaan Un Nigaahon K Jo K Andheray Ujaalay, Duniya O Aakhirat Sab Ko Dekhti Hain..
Hadees # 14:
Mishkaat Baab Minaakib Ali (Razi Allah Anhu) Main Hai:
Tarjuma: " Huzoor (Aleh Salaam) Ne Khaibar K Din Farmaya K Hum Kal Yeh Jhanda Us Ko Denge, Jis K Haath Par Allah Khaibar Fatah Farma Dega, Aur Woh Allah Aur Us K Rasool Se Muhabbat Karta Hai"..
(Mishkaa Ul Musaahib, Page#563, Matboo'a Noor Muhammad Qutub Khaana, Karachi)
(Sahi Bukhari, Kitaaab Ul Fazail Us Sahaba Baab Min Fazail Ali Bin Abi Taalib (Razi Allah Anhu, Jild#4, Page#1872, Raqam Ul Hadees 2407, Al Hadees 3499, Matboo'a Dar Ibn E Kaseer, Beroot)
Imaam Muhammad Bin Saad 230 Hijri Main Likhte Hain:
Tarjuma: " Huzoor (Aleh Salaam) Ne Khaiber K Din Farmaya K Main Aese Shakhs Ko Jhanda Dunga, Jo Allah Azzawajal Aur Uske Rasool (Aleh Salaam) Ko Mehboob Rakhta Hai Aur Allah Aur Us K Rasool Use Dost Rakhte Hain Aur Woh Mehsoor Yahood K Qilay Ko Fatah Karega"..
(Tabqaat Ul Qubra Ibn-E-Saad Gazwah E Khaibar, Jild#2, Page#110, Matboo'a Dar Us Saadir, Beroot)
Imaam Abdul Maalik Bin Hashaam 213 Hijri Main Likhte Hain:
Tarjuma: " Huzoor (Aleh Salaam) Ne Farmaya Main Kal Aese Aadmi Ko Jhanda Ata Karunga Jo Allah Aur Is K Rasool Se Muhabbat Karta Hai, Allah Ta'ala Is K Haath Par Musalmaanon Ko Fatah Naseeb Farmayega Woh Bhaagayge Nahin"..
(Al Seerah Annabuwwah Al Maaroof Seerat Ibn-E-Hashaam Zikar Ul Muyyassar, Jild#4, Page#305, Matboo'a Daar Ul Jeel, Beroot)
Sahi Bukhari Kitab Al Maghazai Baab Zameen E Shaam Main Ghazwa E Mota Hadith Number: 4014
Sahi Bukhari Kitab Al Janaiz Jild 1 Safa 420 Hadith Number: 1189
Sahi Bukhari Kitab Al Jihaad Jild 3 Safa1030 Hadith Number: 2645
Sahi Bukhari Kitab Fadael E Sahaba Baab Khalid Bin Waleed K Manaqib Hadith Number: 3547
Nisai Sunan Al Kubra Jild 5 Safa180 Hadith Number: 8604
Ahmad Bin Hambal Al Musnad Jild 1 Safa 204 Hadith Number: 1750
Haakim Al Mustadrak Jild 3 Safa 337 Hadith Number: 5295
Hadees # 15:
Mishkaat Baab Ul Masaajid Main Abu Zar Gaffari (Razi Allah Anhu) Se Hai:
Tarjuma: " Hum Par Hamari Ummat K Aamaal Pesh Kiye Gaye, Ache Bhi Aur Buray Bhi, Hum Ne Un K Achay Aamaal Main Woh Takleef De Cheez Bhi Paai Jo Raaste Se Hata Di Jae"..
(Sahi Muslim Kitaab Ul Masaajid Baab Ul Nahi An Ul Bassaaq Fil Masjid, Jild#1, Page#207, Matboo'a Qadeemi, Kutub Khaana Karachi)
Upar Dono Ahaadees Se Saaf Saaf Ilm-E-Gaib Saaabit Hai..
K Khaiber Ki Jang Kaun Fatah Karega Yeh Batana Gaib Nahin To Aur Kiya Hai?? Gustaakhon Se Sawaal.. Batao Jawaab Do??
Dusri Hadees Se To Ab Koi Shak Hi Nahin Bachta.. Aur Nabi (Aleh Salaam) Khud Farma Rahe Hain.. K Un K Saamne Unki Ummat K Aamaal Pesh Kiye Jaate Hain...
Hadees # 16:
Hazart Anas Bin Maalik Radiyallahu Ta’ala Anhu Bayan Farmate Hain Ki Jab Hamein Aboo Sufyan Ke (Qaafile Ki Shaam Se Vaapas) Aane Ki Khabar Pahunchi To Huzoor Nabi-E-Akram Sallallahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Sahaaba Kiram Ridwanullahi Ta’ala Alaihim Aj’maeen Se Mashvira Farmaya : Hazrat Saa’d Bin Ubaadah Radiyallahu Ta’ala Anhu Khade Ho Kar Arz Kiya : Ya Rasoolallah ﷺ ! Aap Hamaari Raay Jaan’na Chaahte Hain To (Arz Hai Ki) Us Zaat Ki Qasam Jis Ke Qabza-E-Qudarat Me Meri Jaan Hai ! Agar Aap Hamein Samundar Me Ghode Daalne Ka Hukm De To Ham Samundar Me Bhi Ghode Daal Denge, Agar Aap Hamein Barkil Ghimaad Pahaad Se Ghodon Ke Seene Takraane Ka Hukm De To Ham Aisa Bhi Karenge. Tab Aap Sallallahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Logon Ko Bulaaya, Log Aaye Aur Waadee-E-Badr Me Utare. Phir Huzoor Nabi-E-Akram Sallallahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya : Yah Fula’n Kaafir Ke (Qatl Ho Kar) Girne Ki Jagah Hai, Aap Sallallahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Zameen Par Is Jagah Aur Kabhi Us Jagah Dast-E-Aqdas Rakhte. Hazrat Anas Radiyallahu Ta’ala Anhu Kahte Hain Ki Phir (Doosare Din) Ko’i Kaafir Huzoor Nabi-E-Akram Sallallahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ki Bataayi Huwi Jagah Se Zarra Baraabar Bhi Idhar-Udhar Nahin Mara.”
Muslim As-Sahih, Jild 03 Hadith-1779, Jild 04 Hadith-2873.
Aboo Dawood As-Sunan, Jild 03 Safa 58, Hadith-2071.
Nasa’i As-Sunan, Jild 04 Safa 108, Hadith-2074,
As-Sunan-Ul-Kubra, Jild 01 Safa 658, Hadith-2201.
Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, Jild 03safa 219, Hadith-13320.
Ibn Hibban As-Sahih, Jild 11 Safa 24, Hadith-4766.
Bazzar Al-Musnad, Jild 01 Safa 340, Hadith-222.
Ibn Abi Sbaybah Al-Musannaf, Jild 07 Safa 362, Hadith-36708.
Tabarani Al-Muajam-Ul-Awsat, Jild 08 Safa 219, Hadith-8453,
Al-Muajam-Us-Saghir, Jild 02 Safa 233, Hadith-1085.
Aboo Ya’ala Al-Musnad, Jild 06 Safa 69, Hadith-3322.
Ibn Jawzi Sifat-Us-Safwah, Jild 01 Safa 102.
Khatib Tabrizi Mishkat-Ul-Masabih, Jild 02 Safa 381,
Hadith-5871
Note: Khayaal Rahe K Kaun Kis Jagah Mare Ga, Yeh Uloom E Khamsa Main Se Hai, Jis Ki Khabar Huzoor (Aleh Salaam) Jang-E-Badar Main Ek Roz Pehle De Rahe Hain..
Imaam Abu Daawood 275 Hijri Main Riwaayat Karte Hain:
Tarjuma: " Hazrat Anas (Razi Allah Anhu) Bayaan Karte Hain K (Jang-E-Badar K Din) Rasool Allah (Aleh Salaam) Ne Farmaya Kal Yeh Falaan K Girne Ki Jagah Hai Aur Aap Ne Zameen Par Haath Rakha Aur Kal Yeh Falaan K Girne Ki Jagah Hai Aur Zameen Par Haath Rakha Aur Kal Yeh Falaaan K Girne Ki Jagah Hai Aur Zameen Par Haath Rakha Tha, Koi Shakhs Is K Bilkul Mutuwaajis Nahin Huwa. (Isi Jagah Gir Kar Mara), Phir Rasool Allah (Swallallahualaihiwasallam) K Hukum Se Unko Ghaseet Kar Badar K Kooen Main Daal Diya Gaya"..
(Sunan Abu Daawood, Baab Fil Aseer, Jild#3, Page#58, Raqam Ul Hadees 2681, Matboo'a Dar Ul Fikar, Beroot)
Allama Yahya Bin Sharaf Noo'wi Shaafai 676 Hijri Main Is Hadees Mubaraka Ki Sharah Main Likhte Hain:
Tarjuma: " Is Hadees Mubaraka Main Huzoor (Aleh Salaam) K 2 Mojazon Ka Zikar Hai, Jo K Aap Ki Nabuwat Ki Nishaaniyaan Hain, Ek Aap (Swallallahualaihiwasallam) Ka In Un K Jaabir Sardaaron K Qatal Gaahon Ki Khabar Dena K Kisi Ne Apni Qatal Gaah Se Tajaawuz Na Kiya, Dusra Mojaza Aap (Swallallahualaihiwasallam) Ka Yeh Batana K Jis Larkay Ko Woh Maar Rahe The, Jab Use Chortay To Woh Such Bolta, Aur Jab Use Maarte To Woh Jhoot Bolta Aur Yahi Haqeeqat Thi"..
(Such Kiya Tha Aur Jhoot Kiya?? Is Ko Sahaba E Karaam (Razi Allah Anhum) Na Samajh Sake Aur Huzoor (Aleh Salaam) Ne Waazeh Farma Diya, Yahi Gaib Batana Huzoor (Aleh Salaam) Ka Dusra Mojiza Tha)
(Sahi Muslim Ma Noo'wi Kitaab Ul Jihaad Baab Gazwa-E-Badar, Jild#2, Page#102, Matboo'a Qadeemi Kutub Khaana Karachi)
Hadees # 17:
Mishkaat Baab Ul Mojizaat Main Hazrat Abu Hurera (Razi Allah Anhu) Se Riwaayat Hai:
Tarjuma: "Shikaari Aadmi Ne Kaha Mene Aaj Ki Tarah Kabhi Na Dekha K Bheriya Baaten Kar Raha Hai, To Bheriya Bola, K Is Se Ajeeb Baat Yeh Hai K Ek Sahab (Huzoor Aleh Salaam) Do (2) Medaanon K Darmiyaani Nakhlistaan (Madina Munawaarra) Main Hain Aur Tum Ko Gusishta Aur Aaendah Ki Khabren De Rahe Hain".
(Seerat Ibn-E-Ishaaq Aalaam Un Nabbuwwah, Page#261, Raqam Ul Hadees, 433, Matboo'a Ma'ahad Duraasaat Wala Bahas Ut Taareeb)
Imaam Abi Ul Farj Abdur Rehmaan Bin Al Jazwi 597 Hijri Main Likhte Hain:
Tarjuma: " Bheriye Ne Kaha Yeh To Koi Ta'ajub Khez Baat Nahin Hai, Dar Asal Herat Aur Ta'ajub Ka Mojib To Yeh Baat Hai K Sangistaanon K Darmiyaan Nakhlistan Main Ek Hasti Jalwah Farma Hain, Jo Guzre Huwe Waaqiyaat Bhi Batlaate Hain, Aur Aane Waale Bhi"..
( Al Wafa Ba Hawal Ul Mustafa, Baab Us Saani Zikar Aalaam Ul Hawaash, Jild#1, Page159, Matboo'a Mustafa Ul Baabi, Misar)
Allama Abu Abdullah Muhammad Bin Ahmed Maaliki Qurtubi 668 Hijri Main Likhte Hain:
Tarjuma: " Bheriya Kehne Laga, Ae Bakriyon Waale!! Is Se Kahin Ziyaadah Ajeeb Baat To Yeh Hai K In Do (2) Sangistaanon K Darmiyaan Khajooron K Baagaat Waale Sheher Main Ek Mard Jalwah Farma Hai, Jo Tumhen Maazi Ki Khabren Bhi Deta Hai, Aur Jo Kuch Tumhare Mustaqbil Main Hone Waala Hai Un Waaqiyaat Ki Khabren Bhi Deta Hai"..
(At Tazkara Fi Ehwaal Al Moti Wa Umoor Takoon Ben Yadi Us Sa'at, Jild#2, Page#527, Matboo'a Saeediya, Kutub Khana, Sadaf Plaza Muhalla Jangi Peshawar)
Imaam Kabeer Muhaddis Haafiz Hadees Abu Naeem Ahmed Bin Abdullah Asfahani 430 Hijri Main Likhte Hain:
Tarjuma: " Bheriye Ne Kaha Is Se Bhi Ajeeb Tar Baat Yeh Hai K Ek Aadmi Do (2) Medaanon K Darmiyaan, Waaqiye Nakhlistaan (Madina) Main Beth Kar Batla Raha Hai K Kiya Ho Chuka Hai Aur Aaendah Kiya Hoga"...
(Dalael Un Nabuwwah, Imaam Abu Naeem Asfahaani, Page#337-338, Matboo'a Ziya Al Qura'an , Publications, Lahore)
1. Musnad Ahmed Jild 2 Safa 306, Hadith: 8049
2. Musannaf Abdur Razzaq, Jild 11 Safa 383, Hadith: 20808
3. Musnad Ibn Rahwiya Jild 1 Safa 357,Hadith:360
4. Ibn Kaseer, Shumail E Rasool Safa 341
5. Haithmi, Majma Az Zawaid,Jild 8 Safa 291
6. Musnad Humaidi, Jild 1 Safa 277, Hadith: 877
7. Baihaqi, Dalail Un Nubuwwah,Jild 6 Safa 41,42,43
8. Asbahani, Dalail Un Nabuwwah, Jild 1 Safa 113,
Hadith: 116
Hadees # 18:
Tafseer-E-Khazin Main (Parah 4, Surah 3, Aayat 179) K Tehet Hai:
Tarjuma: " Huzoor (Aleh Salaam) Ne Farmaya K Hum Par Humari Ummat Pesh Farmai Gai, Apni Apni Sooraton Main, Matti Main, Jis Tarah K Hazrat Adam (Aleh Salaam) Par Pesh Huwin Thin, Hum Ko Bata Diya Gaya, K Kaun Hum Par Eemaan Laawega, Aur Kaun Kufr Karega, Yeh Khabar Munaafiqeen Tak Puhnchi To Woh Hans Kar Kehne Lage, K Huzoor (Aleh Salaam) Farmate Hain, K Un Ko Logon Ki Pedaish Se Pehle Hi Kaafir O Momineen Ki Khabar Hogai, Hum To Un K Saath Hain, Aur Hum Ko Nahin Pehchaante, Yeh Khabar Huzoor (Aleh Salaam) Tak Puhnchi To Mimbar Par Khare Huwe, Aur Khuda Ki Hamd O Sana Ki Phir Farmaya K Qaumon Ka Kiya Haal Hai K Hamaray Ilm Main Taana Karte Hain, Ab Se Qayaamat Tak Kisi Cheez K Baaray Main Jo Bhi Tum Hum Se Pucho Ge, Hum Tum Ko Khabar Denge"..
Is Hadees Se 2 Baaten Maaloom Huwin...
1) Ek Yeh K Huzoor (Aleh Salaam) K Ilm Main Taana Karna, Munaafiqon Ka Tareeqah Hai..
2) Dusray Yeh K Qayaamat Tak K Waaqiyaat Saaray Huzoor (Aleh Salaam) K Ilm Main Hain..
(Al Baab Ul Taaweel Fi Ma'ani Ut Tanzeel Ul Maaroof, Tafseer Khazin, Jild#1, Page#324, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiya, Beroot)
Hadees # 19:
Mishkaaat Kitaab Ul Fitan, Baab Ul Malaahim, Fasal Awwal Main Muslim Se Ba Riwaayat Ibn-E-Mas'ood (Razi Allah Anhu) Hai:
Tarjuma: " Hum In (Dajjal Se Jihaad Ki Tayyari Karne Waalon) K Naam, In K Baap Daadon K Naam, In K Ghoron K Rang Pehchaante Hain, Woh Ro-E-Zameen Par Behtareen Sawaar Hain"..
(Muslim Raqam Ul Hadees 2224, Kitaab Ul Fitan, Baab Fasal Fi Ashraat Us Saa'a, Jild#2, Page#392, Matboo'a Qadeemi Qutub Khaana, Karachi)
Hadees # 20:
Mishkaat Shareef, Baab Minaaqib Abu Bakar O Umar Main Hai K Hazrat Aayesha (Razi Allah Anha) Ne Baargah Risaalat Main Arz Kiya K Kya Koi Aesa Bhi Hai, Jis Ki Nekiyaan Taaron K Barabar Bhi Hon, Farmaya Woh Umar Hai...
(Mishkaat Ul Musaabeh Baab Munaaqib Abi Bakar O Umar Ul Fasal Us Saalis, Page#560 Matboo'a Qademi, Kutub Khaana, Karachi)
Is Se Maaloom Huwa K Huzoor (Aleh Salaam) Ko Qayaamat Tak K Saaray Logon K Zaahiri Aur Posheedah Aamal Ki Puri Khabar Hai, Aur Aasmaanon K Tamaam Zaahiri Aur Posheedah Taaron Ka Bhi Tafseeli Ilm Hai, Haalankay, Ba'az Taaray Ab Tak Sciencey Aalaat Se Bhi Maaloom Na Ho Sake, Huzoor (Aleh Salaam) Ne In Dono Cheezon Ko Mulaahiza Farma Liya, K Umar Ki Nekiyan Taaron K Barabar Hain, Do Cheezon Ki Barabari Ya Kami Beshi Wohi Bata Sakta Hai, Jise Donon Cheezon Ka Ilm Bhi Ho Aur Miqdaar Bhi Maaloom Ho....
Hadees # 21:
Nijaashi Mulq-E-Habsha K Baadsha Ka Laqab Tha, Jo Koi Wahaan Ka Baadsha Hota Tha, Use Nijaashi Kehte The, Woh Nijaashi Pehle Eesaai Tha, Lekin Jab Huzoor( Aleh Salaam) Ka Naam-E-Mubaarak Jis Main Us Ko Daawat-E-Islaam Di Gai Thi, Mila To Huzoor (Aleh Salaam) Pe Eemaan Le Aaya Aur Aap (Swallallahualaihiwasallam) Ki Risaalat Ka Iqraar Kiya..
Imaam Ali Bin Mehmood Bim Saood-Ul-Khazai 789 Hijri Main Likhte Hain:
Tarjuma: " Nijaashi (Razi Allah Anhu) Eemaan Laye Aur Gawaahi Di Tauheed O Risaalat Ki"..
(Takhreej-Ur-Dalaalaat Us Samee'a, Page#297, Matboo'a Daar-Ul-Garb Ul Islaami, Beroot)
Imaam Abi Ul Farj Abdur Rehman Bin Al Juzwi 597 Hijri Main Likhte Hain:
Nijaashi (Razi Allah Anhu) Ne Farmaya:
Tarjuma: " Agar Main Mulq (Hukmaraani) K Masael Main Na Hota, To Main Aap (Swallallahualaihiwasallam) K Pass Aa Kar Aap (Swallallahualaihiwasallam) Ki Naal'en Ko Choomta"..
(Safoo'o Al Safoo'o, Jild#1, Page#518, Matboo'a Daar Ulma'arfatah, Beroot)
Haafiz Abu Al Qaasim Sulemaan Bin Ahmed Tibraani 360 Hijri Main Ek Taweel Riwaayat Main Likhte Hain:
Tarjuma: " Huzoor (Aleh Salaam) Kharay Huwe Aur Wazu Kiya Aur Phir 3 Martaba Yeh Dua Ki K Aye Allah Nijaashi Ki Magfirat Farma Pas Sahaba (Razi Allah Anhu) Ne Aameen Kaha"..
(Mo'ajjam Ul Kabeer Tibraani Ma Asnad Jaafar (Razi Allah Anhu), Jild#2, Page#110, Raqam Ul Hadees 478, Matboo'a Maktab Tul Uloom O Al Haka, Ul Mosal)
Imaam Shamsuddeen Muhammad Bin Ahmed Zehbi 748 Hijri Main Likhte Hain:
Tarjuma: " Huzoor (Aleh Salaam) Kharay Huwe Aur Wazu Kiya Aur Phir 3 Martaba Yeh Dua Ki, Aye Allah Nijaashi Ki Magfirat Farma Pas Sahaba (Razi Allah Anhu) Ne Aameen Kaha"..
(Seera Aalaaam Un Niblaal, Jid#1, Page#437, Matboo'a Mo'sasta, Ur Risaala, Beroot)

Tarjuma: " Hazrat Aayesha Siddique'ah (Razi Allah Anhu) Se Riwaayat Hai K Woh Farmaati Hain, Hum Guftugoo Kiya Karte The K Nijaashi (Razi Allah Anhu) Ki Qabar Par Hamesha Ek Noor Nazar Aata Hai"..
(Sunan Abu Daa'ood, Kitaab Ul Jihaad, Baab Fin Nooweri, Jild#1, Page#341,342, Matboo'a Maktab-A-Hukaaniyah Peshaawar)
(Sunan Abi Daa'ood, Kitaab Ul Jihaad, Baab Fin Nooreri, And Kabar Us Shaheed, Jild#3, Page#16, Raqamul Hadees 2523, Matboo'a Dar Ul Fiqar Beroot)
Aur Jab Nijaashi (Razi Allah Anhu) Wafaat Paa Gaye, To Huzoor (Aleh Salaam) Ne Usi Din Sahaba-E-Karaam (Razi Allah Anhu) Ko Un Ki Wafaaat Ki Khabar Sunai Aur Un Par Namaz-E-Janaza Parha Aur Namaz-E-Janaza K Baad Hazarat Nijaashi K Liye Dua Bhi Farmai..
Imaam Muslim Bin Hajjaj 261 Hijri Main Riwaayat Karte Hain:
Tarjuma: " Hazrat Abu Hurera (Razi Allah Anhu) Bayaan Karte Hain, K Rasool Allah (Swallallahualaihiwasallam) Ne Habsha K Baadsha Nijaashi Ki Wafaat Ki Khabar Usi Din Di, Jis Din Us Ka Inteqaal Huwa Tha, Aap Ne Farmaya Apne Bhai K Liye Astagfaar Kar Do"..
(Muslim Shareef, Jild#1, Page#309, Matboo'a Qadeemi Kutub Khaana Karachi)
(Akmaal Akmaal Ul Mu'allim, Sharah Sahi Muslim, Jild#3, Page#88, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiy, Beroot)
Imaam Abdur Rehman Ahmed Bin Shoib Nisaai 303 Hijri Main Riwaayat Karte Hain K:
Tarjuma: " Hazrat Abu Hurerah (Razi Allah Anhu0 Se Riwaayat Hai K Jab Nijaashi (Razi Allah Anhu) Ka Inteqaal Huwa To, Nabi-E-Kareem (Aleh Salaam) Ne Farmaya K In K Liye Istagfaar Karo"..
(Sunan Ul Kubra Ul Nisaai, Jild#1, Ppage#657, Raqam Ul Hadees 2169-2168, Matboo'a Daar Ul Kutub Ul Ilmiyah, Beroot)
(Nisaai Shareef, Jild#1, Page#287, Mujtaba'i Pakistan, Lahore)
Imaam Abi Mansoor Muhammad Bin Mehmood Al Matrudi 333 Hijri Main Likhte Hain:
Tarjuma: " Hazarat Hasan Basri (Rehmatullah Aleh) Se Riwaayat Hai K Jab Nijaashi (Razi Allah Anhu) Ka Inteqaal Huwa To Nabi-E-Kareem (Swallallahualaihiwasallam) Ne Farmaya K Apne Bhai K Liye Istagfaar Karo"..
(Taawweelaat-E-Ahle Sunnah, Tafseer Ul Ma Taredi,
Jild#2, Page#567, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah Beroot)
Haafiz Abu Ul Qasim Sulemaan Bin Ahmed Ut Tabraani 360 Hijri Main Riwaayat Karte Hain:
Tarjuma: " Hazrat Jareer (Razi Allah Anhu) Se Riwaayat Hai K Huzoor (Aleh Salaam) Ne Farmaya Tumhara Bhai Nijaashi Wafaat Farma Gaya Hai, Un K Liye Istagfaar Karo"..
(Al Mo'ajjam Ul Kabeer Ut Tabrani, Jild#1, Raqam Ul Hadees 2347-2348-2350, Matboo'a Ahya Ut Turaas Ul Islaami, Iraq)
Imaam Abu Bakar Ahmed Bin Muhammad Al Tahawi 321 Hiri Main Riwaayat Karte Hain:
Tarjuma: " Hazrat Abu Hurerah (Razi Allah Anhu) Bayaan Karte Hain K Rasool Allah (Sallalaho Aleh E Wassalam) Ne Habsha K Badsha Nijaashi Ki Khabar Usi Din Di, Jis Din Us Ka Inteqaal Huwa Tha, Aap Ne Farmaya Apne Bhai K Liye Istagfaar Karo"..
(Sunan Ul Kubra, Jild#4, Page#57, Raqam Ul Hadees 6932, Page#82, Raqam Ul Hadees 7026, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiya, Beroot)
Imaam Abu Bakar Ahmed Bin Hussain Behki 458 Hijri Main Riwaaayat Karte Hain K:
Tarjuma: " Imaam Behki (Rehmatullah Aleh) Farmate Hain K Rasool Allah (Swallallahualaihiwasallam) Ka Yeh Farmana K " Main Nahin Dekhta Magar Yeh K Woh Foat Hogaya Hai", Wallaho Ilm Aap Ne Hadiyon Ko Us Ki Taraf Bhejne Se Pehle Khabar Kardene Ka Iradah Farmaya, Aur Us K Foat Hone Se Pehle Aap Ne In Kalimaat Ko Saadir Farmaya, Is K Baad Jab Woh Foat Huwa To Huzoor (Aleh Salaam) Ne Usi Din Us K Foat Hone Ki Khabar De Di, Aur Us Par Namaz Parhi Thi"..
(Khasaais Ul Kubra, Jild#2, Page#168, Matboo'a Daar Ul Qutub Ul Ilmiyah Beroot)
Haafiz Amaa Duddeen Ismail Bin Umar Bin Kaseer 774 Hijri Main Riwaayat Karte Hain:
Tarjuma: " Behki (Rehmatullah Aleh) Ne Hazrat Umme Kulsoom (Razi Allah Anhu) Se Riwaayat Ki, Inhon Ne Kaha K Rasool Allah (Swallallahualaihiwasallam) Ne Farmaya Jab Umme Salma (Razi Allah Anhu) Se Nikah Farmaya To Aap Ne Farmaya, Main Ne Nijaashi Ki Taraf Se Chand Mashq K Joray Bhejey Hain, Main Use Nahin Dekhta Magar Yeh K Woh Foat Hogaya Hai, Aur Main In Hadiyon Ko Nahin Dekhta Magar Yeh K Ise Meri Taraf Waapis Kar Diya Gaya Hai, To Yeh Gaibi Khabar Aese Hi Waaqey Huwi Jese K Rasool Allah (Swallallahualaihiwasallam) Ne Farmaya K Nijaashi Foat Hogaya, Aur Hadiyah Waapis Aagaye"..
(Al Seerah Un Nabbuwah Na'i Rasool Allah (Swallallahualaihiwasallam) Nijaashi Fi Yom-E-Zi Maat Fee Baariz Habsha, Jild#3,Page#493, Matbo'a Daar Ul Kitaab Ul Aa'raabi, Beroot)
Ilm-E-Gaib-E-Mustafa (Swallallahualaihiwasallam):
Is Hadees-E-Mubarakah Se Huzoor (Aleh Salaam) Ka Ilm-E-Gaib Saaf Wazeh Hai K Huzoor (Aleh Salaam) Ne Habsha K Baadsha Nijaashi (Razi Allah Anhu) K Inteqaal Ki Khabar Usi Din Di, Jis Din Us Ka Inteqaal Huwa..
Aagay Aap Khud Faisla Kar Sakte Hain, K Kisi K Batae Bager, Kisi Hawaas K Bager Kisi K Inteqaal Ki Khabar De Dena, Yeh Ilm-E-Gaib Nahin To Aur Kiya Hai...
Hadees # 22:
Imaam Ismail Bin Ul Fazal 535 Hijri Main Likhte Hain:
Tarjuma: " Hazrat Wabsah Asadi (Razi Allah Anhu) Se Riwaayat Hai K Unhon Ne Kaha, Main Nabi-E-Kareem (Aleh Salaam) Ki Baargah Main Is Liye Aaya K Main Neki Aur Badi K Baaray Main Puchon, Magar Mere Puchne Se Qabal Huzoor (Aleh Salaam) Ne Farmaya:
“Ae Wabsah (Razi Allah Anhu) Kiya Main Tumhen Bata Dun, Jo Tum Mujh Se Puchna Chahtay Ho?
Main Ne Arz Kiya, Ya Rasool Allah (Swallallahualaihiwasallam) Mujhey Bataiye,
Farmaya Tum Muhj Se Neki Aur Badi K Baary Main Puchne Aae Ho??
Main Ne Arz Kiya.. Qasam Hai Us Zaat Ki Jis Ne Aap Ko Haq K Saath Mab'oos Farmaya, Aap Ne Bilkul Sahi Farmaya..
Farmaya Neki Woh Amal Hai, Jis Se Inshrah Sadar Tumhen Haasil Ho, Aur Badi Woh Hai, Jis Se Tumharay Dil Main Inqabaaz Ho, Agar Chay Logon Ne Tumhen Is Ko Karne Se Kaha Ho..
(Dalael Un Nabuuwah, Page#115, Raqamul Hadees 119, Matboo'a Daar Ut Taebah Riyaaz)
Imaam Daarmi (Rehmatullah) Likhte Hain:
Tarjuma: " Hazrat Wabsah Asadi (Razi Allah Anhu) Bayaan Karte Hain, K Rasool Allah (Swallallahualaihiwasallam) Ne Wabsah Se Farmaya Tum Neki Aur Gunah K Muta'alliq Puchne Aae Ho?? Unhon Ne Kaha Jee Haan..
(Sunan Daarmi, Jild#2, Page#320, Raqamul Hadees 2533, Daar Ul Kitaab Ul Arbi, Beroot)
Imaam Ahmed Bin Hambal 241 Hijri Main Riwaayat Karte Hain:
Tarjuma: " Huzoor (Aleh Salaam) Ne Irshaad Farmaya Ae Wabsah (Razi Allah Anhu)! Kiya Main Tumhen Bata Dun Jo Tum Mujh Se Puchna Chahtay Ho??
Mene Arz Kiya Ya Rasool Allah (Swallallahualaihiwasallam) Mujheu Bataeye..
Farmaya Tum Mujh Se Neki Aur Badi K Baaray Main Puchne Aae Ho,
Wabsah (Rzai Allah Anhu) Ne Farmaya Aap Ne Bilkul Sahi Farmaya"..
(Musannad Ahmed, Jild#4, Page#228, Matboo'a Mo'sasta, Qurtuba Misar)
Imaam Jalaal Ud Deen Suyooti 911 Hijri Main Riwayat Karte Hain:
Tarjuma: " Imaam Ahmed O Bazaar, Abu Ya'ala, Behki Aur Abu Naeem (Rehmatullah Aleh) Ne Hazrat Wabsah (Razi Allah Anhu) Se Riwaayat Ki, Unhon Ne Kaha Main Nabi-E-Kareem (Swallallahualaihiwasallam) Ki Baargah Main Is Liye Aaya K Main Neki Aur Badi K Baaray Main Puchon Magar Mere Puchne Se Qabal Huzoor (Aleh Salaam) Ne Farmaya:
Ae Wabsah (Razi Allah Anhu)! Kiya Main Tumhen Yeh Na Bata Dun Jo Tum Mujh Se Puchna Chahtay Ho??
Mene Arz Kiya, Ya Rasool Allah (Swallallahualaihiwasallam) Mujhey Bataiye,
Farmaya Tum Mujh Se Neki Aur Badi K Baaray Main Puchne Aae Ho??
Mene Arz Kiya, Qasam Hai Us Zaat Ki, Jis Ne Aap Ko Haq K Saath Mab'oos Farmaya, Aap Ne Bilkul Sahi Farmaya..

(Khasa-E-Sul Kubra, Jild#2, Page#171, Matboo'a Daar Ul Qutub Ilmiyah, Beroot)
Ab Aap Hi Bataen, K Kisi K Dil Ki Baat Jaan Lena, Kiya Hai?? Kiya Yeh Ilm-E-Gaib Nahin??
Hadees#23:
Imaam Jalaal Ud Deen Seyooti 911 Hijri Main Riwaayat Karte Hain:
Tarjuma: " Behki (Rehmatullah Aleh) Ne Ek Ansaari Se Riwaayat Ki, Us Ne Kaha K Ek Aurat Ne Nabi-E-Kareem (Swallallahualaihiwasallam) K Khaanay Ki Daawat Ki, Jab Khaana Rakha Gaya To Huzoor (Aleh Salaam) Ne Ek Luqma Le Kar Muh Main Chabaya To Farmaya, Mujhe Is Gosht K Is Bakri K Baare Pata Hai, Jise Na Haq Pakar Liya Gaya Tha, Us Aurat Se Pucha Gaya, Us Aurat Ne Kaha, K Is Ki Hamsaaya Ne Us Gosht Ko Apne Shohar Ki Ijaazat Liye Bager Bheja Tha"..
(Khasaes Ul Kubra, Jild#2, Page#176, Matboo'a Daar Ul Qutub, Ilmiyah Beroot)
(Dalael Un Nabuwwah, Jild#6, Page#310, Matboo'a Dar Ul Qutub Ilmiyah Beroot)
Imaam Abu Daaood 275 Hijri Main Riwaayat Karte Hain:
Tarjuma: " Ansaar K Ek Aadmi Se Riwaayat Hai, K Hum Rasool Allah (Swallallahualaihiwasallam) K Saath Ek Janaazay Main Gaye, Aap Qabar Khodney Waaalay Ko Waseeiyat Farma Rahe The, K Peron Ki Jaaanib Se Qabar Ko Kushaada Karo, Aur Sar Ki Jaanib Se Qabar Ko Kushaadah Karo, Jab Aap Waaapis Huwe To Ek Aurat Ki Taraf Se Daawat Dene Waala Aaya, Aap Ne Us Ki Daawat Ko Qubool Kar Liya, Aur Hum Bhi Aap K Saath The Pas Khaana Laaya Gaya, Aap Ne Apna Haath Rakha, Phir Qoum Ne Apna Haath Rakha, Sab Ne Khaaya Hum Ne Huzoor (Aleh Salaam) Ki Taraf Dekha, Aap Apne Muh Main Ek Luqma Chaba Rahe The, Aap Ne Farmaya, Muhjey Yeh Ilm Huwa Hai, K Yeh Us Bakri Ka Ghosht Hai, Jise Us K Maalik Ki Marzi K Bager Laaya Gaya Hai, Phir Us Aurat Ko Bulaaya Gaya, Us Ne Kaha Ya Rasool Allah (Swallallahualaihiwasallam) Main Ne Kisi Ko Mandi Ki Taraf Bheja Tha, Taa K Meray Liye Bakri Khared Li Jae, To Bakri Nahin Mili, Mene Apne Parosi Ko Pegaam Bheja, Jis Ne Ek Bakri Khareedi Thi, K Woh Bakri Qeemat K Aewaz Muhjey Bhej De To Woh Parosi Nahin Mila, Mene Us Ki Biwi Ko Peghaam Bheja, To Usne Woh Bakri Mujhey Dedi, Tab Rasool Allah (Swallallahualaihiwasallam) Ne Farmaya, Yeh Khaana Qediyon Ko Khila Do"..
(Sunan Abi Daa'ood, Baab Fi Ijtanaab Us Shabhaat, Jild#3, Page#244, Raqam Ul Hadees 3332, Matboo'a Daar Ul Fiqar, Beroot)
Imaam Ali Bin Umar Al Daar Qatni Ul Baghdaadi 385 Hijri Main Likhte Hain:
Tarjuma: " Aap (Swallallahualaihiwasallam) Ne
Farmaya, Main Is Ghosht Ko Is Bakri Ka Paata Hun, Jise Is K Maalik Ki Ijaazat K Bager Zibah Kiya Gaya Ho"..
(Sunan Al Daar Qatni, Jild#4, Page#285, Matboo'a Daar Ul Ma'arfatah, Beroot)
Imaam Ani Al Farj Abdur Rehmaan Bin Al Jazwi 597 Hijri Main Likhte Hain:
Tarjuma: " Huzoor (Aleh Salaam) Ne Farmaya, Yeh Us Bakri Ka Ghosht Hai, Jo Maalik Ki Ijaazat K Bager Haasil Kar K Zibah Ki Gai"..
(Al Tehqeeq Fi Al Hadees Ul Khilaaf, Jild#2, Page#212, Raqam Ul Hadees 555, Matboo'a Daar Ul Qutub Ilmiyah Beroot)
Faisla Aap K Haath Main Hai, K Ghosht Ka Luqma Muh Main Rakhte Hi, Pata Chal Jaana K Bakri Bina Ijaazat K Zibah Ki Gai, Ya Bager Ijaazat Liye Zibah Kiye Gaye, Gaib Hai Ya Nahin, Aur Is Ka Jaan Lena, Ilm-E-Gaib Hai Ya Nahin..
Hadees#24:
Muhammad Bin Abdullah Abu Abdullah Al Haakim Neshapuri 405 Hijri Main Hazrat Abdullah Bin Mas'ood (Razi Allah Anhu) Se Riwaayat Karte Hain:
Tarjuma: " Hum Nabi-E-Kareem (Swallallahualaihiwasallam) Ki Bargah Main Haazir The, To Rasool Allah (Swallallahualaihiwasallam) Ne Farmaya Tumharay Pass Ahl-E-Jannat Ka Ek Shakhs Aaraha Hai, To Hazrat Abu Bakar Siddique (Razi Allah Anhu) Aae, Aur Salaam Kar K Beth Gaye"..
(Al Mustadrik Kitaab Ma'arfah L Sahabah, Jild#3, Page#73, Raqamul Hadees 4443, Matboo'a Daar Ul Qutub Ilmiyah Beroot)
Imaam Jalaal Ud Deen Suyooti 911 Hijri Main Likhte Hain:
Tarjuma: " Haakim (Rematullah Aleh) Ne Sahi Bata Kar Hazrat Ibn-E-Mas'ood (Razi Allah Anhu) Se Riwaayat Ki, Unhon Ne Kaaha K Rasool Allah (Swallallahualaihiwasallam) Ne Farmaya Tumharay Pass Ahl-E-Jannat Ka Ek Shakhs Aarha Hai, To Hazrat Abu Bakar Siddique (Razi Allah Anhu) Aaye, Aur Salaam Kar K Beth Gaye"..
(Khasa-E-S Ul Kubra, Jild#2, Page#180, Matboo'a Darul Qutub Ilmiyah Beroot)
Imaam Abu Bakar Ahmed Bin Ali Khateeb Baghdaadi 463 Hijri Main Riwaayat Karte Hain:
Tarjuma: " Hazrat Jaabir Bin Abdullah (Razi Allah Anhu) Bayaan Karte Hain K Hum Nabi-E-Kareem (Aleh Salaam) Ki Bargaah Main Haazir The K, Huzoor (Aleh Salaam) Ne Irshaad Farmaya, Is Waqt Tum Par Woh Shakhs Chamkay Ga K, Allah Ne Mere Baad Us Se Behtar O Buzrug Tar Kisi Ko Nahin Banaya, Aur Us Ki Shafa'at Ambiya Ki Shafa'at Ki Misal Hogi, Pas Hum Haazir Hi The K Hazrat Abu Bakar Siddique (Razi Allah Anhu) Aae, To Huzoor (Aleh Salaam) Ne Qayaam Farmaya Phir In Ko Bosa Diya Aur Galay Lagaya"..
(Taareekh-E-Baghdaad, Jild#3, Page#123-124, Matboo'a Dar Ul Fiqar Beroot)
Imaam Muhib Ud Deen Tinri (Rehmatullah Aleh) Farmatay Hain:
Tarjuma: " Hazrat Jaabir Bin Abdullah (Razi Allah Anhu) Bayaan Karte Hain K Hum Nabi-E-Kareem (Aleh Salaam) Ki Bargaah Main Haazir The, K Huzoor (Aleh Salaam) Ne Irshaad Farmaya, Is Waqt Tum Par Woh Shakhs Chamkay Ga, K Allah Ne Mere Baad Us Se Behter O Buzrug Tar Kisi Ko Nahin Banaya Aur Us Ki Shafa'at Ambiya Ki Shaffa'at Ki Misal Hogi, Pas Hum Haazir Hi The, K Hazrat Abu Bakar Siddique (Razi Allah Anhu) Aae, To Huzoor (Aleh Salaam) Ne Qayaam Farmaya Phir Un Ko Bosa Diya Aur Galay Lage"..
(Ar Riyaaz Ul Nazrah Ul Ashrah, Jild#2, Page#28, Raqamulhadees 435, Matboo'a Daar Ul Guroob Ul Islaami, Beroot)
Kisi Ko Ahl-E-Jannat Kehna Kiya Hai?? Haqeeqat Aap K Saamnay Hai... Hazrat Abu Bakar Siddique Ko Ahl-E-Jannat Keh Kar Pukaara, Yaani Huzoor (Aleh Salaam) Jaantay They K Woh Jannati Hain, Aur Jannat Aur Dozakh K Baaray Main Jaanna Yaani Kaun Jannati Hai Aur Kaun Dozakhi Yeh Ilm-E-Gaib Hai Ya Nahin, Is Ka Faisla Aap Hi Kar Len.
Hadees # 25:
Sab Se Bad Bakht Insaan Kaun Hai??:
Imaam E Kabeer Muhaddis Shaheer Haafiz Hadees Abu Naeem Ahmed Bin Abdullah Asfahaani 430 Hijri Main Is Riwaayat K Baad Likhte Hain:
Hazrat Ammaar Bin Yaasir (Razi Allah Anhu) Se Riwaaayat Hai, Kehte Hain, Main Aur Hazrat Ali (Razi Allah Anhu) Gazwah E Asheerah Main Hum Ruqaab The, Ek Jagah Hum Ne Parao Kiya, Wahaan Hum Ne Chand Choti Se Khajooron Ko Dekha, Aur Un K Neechay Maati Ki Dhool Par Hi Sogaye, Humen Nabi (Aleh Salaam) K Siwa Kisi Ne Bedaar Na Kiya, Aap Tashreef Laye, Aur Hazrat Ali (Razi Allah Anhu) K Paaon Ko Aahista Tatola Aur Haalat Yeh Thi K Hum Mitti Se Lat Pat The, Aap (Swallallahualaihiwasallam) Ne Farmaya Ali Utho! Kiya Main Tumhen Batlaon Nahin K Sab Se Bad Bakht Kaun Hai??
Ek To Qom E Samoood Ka Woh Mard Ahmer Jis Ne Saleh (Aleh Salaam) Ki Ooontni K Paaon Kaate The, Aur Dusra Woh Jo Tum Par Is Jagah Waar Karega, Aap Ne Apne Sir Ki Ek Jaanib Ishaara Kiya Aur Yeh Tar Hojae Gi, Aap Ne Apni Daarhi Mubarak Pakar Li..(Yaani Sir Se Le Kar Daarhi Tak Khon Hi Khoon Hoga)
(Dalael Un Nabuwwah Laabi Naeem Asfahaani Urdu, Page#497, Matboo'a Ziya Ul Quran Publications Lahore)
Imaam Ahmed Bin Hambal 241 Hijri Main Bhi Yahi Riwaayat Karte Hain:
(Bahawaala: Fazael E Sahaba La Bin Hambal, Jild#1, Page#566, Raqam Ul Hadees 953, Matboo'a Mosasta Ur Risaala, Beroot)
Imaam Abu Abdullah Muhammad Bin Abdul Wahid Hambali 643 Main Riwaayat Karte Hain:
Tarjuma: " To Hazrat Ali (Razi Allah Anhu) Ne Farmaya K Beshak Rasool Allah (Aleh Salaam) Ne Mujh Se Uhad (Waada) Farmaya K Main Us Waqt Tak Nahin Marunga, Jab Tak Main Khaleefa Na Ban Jaoun, Phir Meri Daarhi Ko Mere Khoon Se Rang Diya Jae.. To Aap (Razi Allah Anhu) Bhi Qatal Huwe, Aur Abu Al Fazaalah (Razi Allah Anhu) Bhi Yom E Safeen K Roz Qatal Huwe"..
(Al Ahaadees Ul Mukhtaar, Jild#2, Page#326, Raqam Ul Hadees 702, Makah Mukarrama)
Imaam Abu Ul Hasan Ali Bin Muhammad Bin Habeeb Ul Maawardi 429 Hijri Main Riwaayat Karte Hain:
Tarjuma: " Main Nahin Marunga Jab Tak Meri Daarhi Ko Meray Chehray K Khoon Se Rang Na Diya Jae"..
(Aalaam Un Nabuwwah Al Baaab As Saani Asharfi, Page#79, Awwal Baab Us Shaer Feema Sama Min Mojizaat, Akhbaar Ul Ahad, Page#157, Matboo'a Daar Ul Kitaab, Beroot)
Imaam Muhammad Bin Saad (Rehmatullah Aleh) Lihkte Hain:
Tarjuma: " Hazrat Ubaidullah Se Marwih Hai K Nabi E Kareem (Swallallahualaihiwasallam) Ne Hazrat Ali (Razi Allah Anhu) Se Farmaya Ae Ali (Razi Allah Anhu)Aglon Aur Pichlon Main Bad Bakht Tareen Kaun Hai??
Unhon Ne Kaha Allah Aur Us Ka Rasool (Swallallahualaihiwasallam) Ziyaadah Jaante Hain, Unhon Ne Farmaya, Aglon Ka Sab Se Ziyadah Bad Bakht Saleh (Aleh Salaam) Ki Ooontni K Haath Paaon Kaatne Waala Tha, Aur Pichlon Ka Bad Bakht Tareen Woh Hoga, Jo Tumhen Neza Maaray Ga, Aur Aap (Swallallahualaihiwasallam) Ne Is Muqaam Par Ishaara Kiya, Jahaan Woh Neza Marey Ga"
Imaam Jafar Suraiya Ali (Razi Allah Anhu) Se Marwih Hai K Main Hazrat Ali (Razi Allah Anhu) K Haathon Par Paaani Daal Rahi Thi, Yaka Yak Unhon Ne Apna Sir Uthaya, Phir Apni Daaarhi Pakar Kar Use Naak Tak Buland Kiya K Tere Liye Khushi Hai K Tu Zarur Zarur Khoon Main Rangi Jaegi, Phir Jummein K Din Un Par Hamla Kiya Gaya"..
(Tabkat E Ibn-E-Saad, Jild#3, Page#35, Matboo'a Dar Us Saadir, Beroot)
Imaam Jalal Ud Deen 911 Hijri Main Likhte Hain:
Tarjuma: " Hakim (Rematullah) Ne Sahi Bata Kar Hazrat Ali (Razi Allah Anhu) Se Riwaayat Ki, Aap Ne Kaha Mujh Se Rasool Allah (Swallallahualaihiwasallam) Ne Farmaya,Tumhen Is Jagah Aur Is Jagah Zarb Lagai Jaegi, Aur Huzoor (Aleh Salaam) Ne Donon Kanpatiyon Ki Taraf Ishaarah Kiya, Aur In Donon Se Khoon Beh Kar Tumhari Daarhi Ko Rangeen Kar Dega"..
(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#210, Matboo'a Daar Ul Kutub, Ilmiyah, Beroot)
Haafiz Abu Ul Qasim Sulemaan Suleman Bin Ahmed Tibraani 360 Hijri Main Riwaayat Karte Hain:
Tarjuma: "Hazrat Usman Bin Suhaib Apne Baap Suhaib (Razi Allah Anhu) Se Naqal Farmate Hain, K Ek Din Huzoor (Aleh Salaam) Ne Hazrat Ali (Razi Allah Anhu) Ko Farmaya Yeh Batlao, Pehle Logon Main Se Bad Bakht Kaun Tha?
Aap Ne Arz Kiya Jis Ne Saleh (Aleh Salaam) Ki Ooontni Ko Qatal Kiya, Aur Paaon Kaatey, Aap Ne Farmaya Tum Ne Theek Jawaab Diya..
Phir Pucha Acha Yeh Batlao Pichlay Logon Aur Aane Waalay Logon Main Se Bad Bakht Kaun Hai??
Unhon Ne Arz Kiya Maalom Nahin, Aap Ne Farmaya, Jo Shakhs Aap Ko Kanpati Par Waar Kar K Shaheed Karega..
Hazrat Ali (Razi Allah Anhu) Ahl-E-Iraq Ko Farmatey The, Ba Khuda Main Chahta Hun Aur Pasand Karta Hun K Koi Bad Bakht Uthey Aur Is Aur Is Jagah (Yaani Daarhi Mubarak Aur Sar-E-Aqdas Ki Isi Jaanib) Ko Khoon Aalood Karta Aur Main Darjah E Shahaaadat Ko Paa Leta"..
(Al Mu'ajjim Ul Kabeer Ul Tibraani, Jild#8, Page#38, Raqam Ul Hadees 37311, Jild#2, Page#247, Raqam Ul Hadees 2037-2038, Matboo'a Maktab Ul Uloom O Al Hakam O Al Mosal)

Tarjuma: " Huzoor (Aleh Salaam) Ne Farmaya Kiya Main Tumhen Tamaam Logon Main Se Do Bad Bakht Aadmiyon K Mutaa'alik Na Bataon??
Hum Ne Arz Ki Zarur Ya Rasool Allah (Aleh Salaam), Huzoor (Aleh Salaam) Ne Farmaya Ek Qaum E Sammod Ka Woh Shakhs Jis Ne Ooontni Ki Koonchen Kaat Din Thin, Aur Dusra Woh Shakhs, Jo Ae Ali! Tere Is Maqaam Par Zarb Lagaye Ga ( Huzoor (Aleh Salaam) Ne Apna Dast E Aqdas Hazart Ali (Razi Allah Anhu) K Sir Ki Choti Par Rakha), Yahaan Tak K Is Maqaam K Khoon Se Yeh Jagah Bhi Tar Hojae Gi"...
(As Seearah Un Nabuwwah Al Maaroof Seerat Ibn E
Hasshaam Gazwah E Asheerah, Jild#3, Page#144, Matboo'a Daar Ul Jeel, Beroot)
Imaam Ali Bin Mehmood Bin Saood Al Khazai 789 Hijri Main Likhte Hain:
Tarjuma: " Yeh Mojizaat E Nabi (Aleh Salaam) Main Se Hain, Aur Yeh Akhbaar Ul Gaib K Baab Main Se Hai"..
(Takhreej Ur Dalaalaat Us Samee'a Ul Fasal Fi Zakar O Akhbaar, Page#188, Matboo'a Daar Ul Garab Ul Islaami, Beroot)
Faisla Aap Khud Karen.. K Hazrat Ali (Razi Allah Anhu) Ko Batana K Un Ki Shahaadat Kis Tarah Hogi Yeh Ilm-E-Gaib Hai Ya Nahin..
Hadees # 26:
Imaam Abu Ul Hasan Ali Bin Habeeb Ul Mawardi 429 Hijri Main Riwaayat Karte Hain:
Tarjuma: " Hazrat Jaabir (Razi Allah Anhu) Se Riwaayat Hai K Nabi-E-Kareem (Sallalaho Alehe) Ne Farmaya, Jo Iraadah Rakhta Ho K Main Zameen Par Chalta Phirta Shaheed Dekhun To Use Chahiye K Talha Bin Ubaidullah (Razi Allah Anhu) Ko Dekhey"..
(Aalaam Un Nabuwwah, Al Baab Us Saani, Ashar Fi Anzaarah Bama Sehdas Baada, Page#181, Matboo'a Daar Ul Kitaab Ul Arbi, Beroot)
Imaam Ibn-E-Abdul Bar (Rehmatullah Aleh) Likhte Hain:
Tarjuma: " Beshak Huzoor (Aleh Salaam) Ne Farmaya Jo Chahay K Zameen Par Chalta Phirta Shaheed Dekhun To Use Chahiye K Talha Bin Ubaidullah (Razi Allah Anhu) Ko Dekhay, Phir Talha (Razi Allah Anhu) Yom E Jaml Main Shaheed Huwe"..
(Dalael Un Nabuuwah Al Behki, Jild#3, Page#32, Matboo'a Dar Ul Kitaab Ul Ilmiyah, Beroot)
Imaam Abu Abdullah Muhammad Bin Abdul Waahid Hambli Ul Muqaddasi 643 Hijri Main Riwaayat Karte Hain:
Tarjuma: " Hazrat Moosa Bin Talha (Razi Allah Anhu) Ne Apne Waalid Se Riwaayat Ki K Nabi E Kareem (Aleh Salaam) Ne Farmaya, Jo Mehboob Rakhta Hai K Zameen Par Chalta Phirta Shaheed Dekhe, To Usey Chahiye K Talha Bin Ubaidullah (Razi Allah Anhu) Ko Dekhey, Is Hadees E Mubaraka Ki Sanad Hasan Hai"..
(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#211, Matboo'a Daar Ul Kitaab Ul Ilmiyah, Beroot)
Imaam Ibn-E-Maaja (Rehmatullah Aleh) Riwayat Karte Hain:
Tarjuma: " Hazrat Jaabir Bin Abdullah (Razi Allah
Anhu) Riwaayat Karte Hain K Hazrat Talha (Razi Allah Anhu) Ek Martaba Nabi E Kareem (Aleh Salaam) K Pass Se Guzrey Toaap (Aleh Salaam) Ne Farmaya, Shaheed Zameen Par Chal Raha Hai"..
(Sunan Abi Maaja, Fazal Talha Bin Ubaidullah (Razi Allah Anhu), Jild#1, Page#46, Raqam Ul Hadees 125, Matboo'a Daar Ul Fiqar Beroot)
Imaam Abdul Maalik Bin Hasshaam 213 Hiri Main Likhte Hain:
Tarjuma: " Hazrat Abdul Aziz (Rehmatullah Aleh) Ne
Zikar Kiya K Nabi E Kareem (Aleh Salaam) Ne Farmaya Jo Shakhs Kisi Shaheed Ko Zameen Par Chalta Phirta Dekhna Chahay Woh Talha Bin Ubaidullah (Razi Allah Anhu) Ko Dekh Le"..
(As Seerat Un Nabuwwah Al Maaroof, Seerat Ibn-E-Hasshaam, Jild#4, Page#29, Matboo'a Daar Ul Jeel, Beroot)
Imaam Abu Eesaa Tarmizi 279 Hijri Main Riwaayat Karte Hain:
Jaabir Bin Abdullah (Razi Allah Anhu) Farmatay Hain K Mene Huzoor (Aleh Salaam) Ko Farmate Huwe Suna,
Tarjuma: " Jo Shakhs Shaheed Ko Zameen Par Chalte Phirte Dekhne Se Khush Ho Woh Talha Bin Ubaidullah (Razi Allah Anhu) Ko Dekh Le"..
(Sunan Tirmizi, Jild#5, Page#644, Raqam Ul Hadees 3739, Matboo'a Daar Ul Haya, Beroot)
Ab Yeh Batana K Talha Bin Ubaidullah (Razi Allah Anhu) Shaheed Honge, Yeh Gaib Ka Ilm Hai Ya Nahin??
Hadees # 27:
Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri Main Riwaayat Karte Hain:
Tarjuma: " Ibn-E-Asakir (Rehmatullah Aleh) Ne Muhammad Bin Umro Bin Hasan (Razi Allah Anhu) Se Riwaayat Ki, Unhon Ne Kaha Hum Imaam Hussain (Razi Allah Anhu) K Saath Karbala Ki Neher Par The, Aap Ne Shamar Bin Zil Joshan Ko Dekh Kar Farmaya, Allah Ta'ala Aur Us K Rasool (Aleh Salaam) Ne Such Farmaya, Goya Main Chitkabray Kuttay Ko Dekh Raha Hun, Jo Meri Ahl-E-Bait Ka Khoon Pee Raha Hai, Q K Shamar Mal'oon Bars K Marz Main Mubtala Tha"..
(Khasaes Ul Kubra, Jild#2, Page#213, Matboo'a Daar Ul Kitaab Ul Ilmiyah, Beroot)

Tarjuma: " Behki (Rehmatullah Aleh) Ne Shobi (Rehmatullah Aleh) Se Riwaayat Ki, Unhon Ne Kaha Hazrat Ibn-E-Umar (Razi Allah Anhu) Madina Munawwara Aaye, Unhen Maaloom Huwa K Imaam Hussain (Razi Allah Anhu) Iraq Ki Taraf Rawaana Ho Chukay Hain, To Woh Madinay Se Do Din Ki Musaafat Par Jaa Kar Un Se Mile Aur Un Se Kaha Allah Ta'ala Ne Apne Nabi E Kareem (Aleh Salaam) Ko Duniya O Akhirat K Darmiyaan Ekhtiyaar Karne Ko Farmaya To Huzoor (Aleh Salaam) Ne Aakhirat Ko Ekhtiyaar Kiya Aur Dunya Ko Rad Kiya, Q K Aap, Rasool (Aleh Salaam) K Juzo Hain, Khuda Ki Qasam Aap Main Se Kisi Ko Duniya Kabhi Nahin Haasil Hogi, Aur Allah Ta'ala Ne Aap Hazraat Se Is Duniya Ko Is Cheez K Saath Pher Diya Hai, Aur Jo Aap Hazraat K Liye Is Se Behtar Hai, Lihaaza Aap Waapis Chaliye, Magar Imaam Hussain (Razi Allah Anhu) Ne Waapisi Se Inkaar Kar Diya, To Ibn-E-Umar (Razi Allah Anhu) Ne Aap Se Yeh Kehte Huwe Mu'aanikah Kiya K Aap Ko Aalah Ta'ala K Supard Karta Hun, Q K Aap Shaheed Hain"..
(Khasaes Ul Kubra, Jild#2, Page#213, Daar Ul Kitaab Ul Ilmiyah, Beroot)
Hafiz Abu Bakar Bin Hussain Behki 458 Hijri Main Likhte Hain:
Tarjuma: " Hazrat Ibn-E-Abbas (Razi Allah Anhu) Se Riwaayat Hai Unhon Ne Kaha K Main Ne Rasool Allah (Swallallahualaihiwasallam) Ko Ek Din Dopaher K Waqt Khwaab Ki Haalat Main Dekha K Aap K Baal Mubaarak Gard Aalood Hain, Aur Aap K Dast E Mubarak Main Khoon Ki Botal Hai, Mene Pucha Yeh Kiya Hai??
Aap Ne Farmaya Yeh Hussain (Razi Allah Anhu) Aur In K Saathiyon Ka Khoon Hai.. Aaj Main Shoru Din Se Is Khoon Ko Is Waqt Tak Jama Karta Raha Hun, To Mene Apne Khwaab K Waqt Ko Yaad Rakha To Yehi Waqt Tha, Jis Din Woh Shaheed Kiye Gaye"..
(Dalael Un Nabuwwah, Jild#7, Page#48, Matboo'a Daar Ul Kutub Ul Ilmiyah, Beroot)

Tarjuma: " Hazrat Ammar Bin Abi Ammar (Razi Allah Anhu) Bayaan Karte Hain K Hazrat Ibn-E-Abbas (Razi Allah Anhu) Ne Kaha, Mene Khwaab Main Dekha K Nabi E Kareem (Aleh Salaam) K Baal Bikhre Huwe, Aur Gubaar Aalood Hain, Aur Aap Dopaher K Waqt Ek Sheeshi Uthae Hain, Jis Main Khoon Bhara Huwa Hai, Mene Arz Kiya, Ya Rasool Allah! Yeh Kiya Cheez Hai??
Aap (Aleh Salaam) Ne Farmaya, Yeh Hussain (Razi Allah Anhu) Aur In K Ashaab (Razi Allah Anhu) Ka Khoon Hai, Main Aaj Din Se Le Kar Ab Tak Yeh Khoon Jama Kara Raha Hun, Hazrat Ammaar Ibn-E-Abi Ammaar (Razi Allah Anhu) Farmaatey Hain K Hum Ne Woh Din Yaad Rakha, Phir Maaloom Huwa, K Hazrat Imaam Hussain (Razi Allah Anhu) Ko Usi Din Shaheed Kiya Gaya Tha"..
(Musnad Ahmed, Jild#1, Page#242, Raqam Ul Hadees, Matboo'a Mosasta, Qurtuba, Misar)
Imaam Hafiz Abu Bakar Ahmed Bin Hussain Behki 458 Hijri Main Riwaayat Karte Hain:
Tarjuma: " Hazrat Umm-E-Salma (Razi Allah Anhu) Se Riwaayat Hai K Unhon Ne Kaha K Mene Rasool Allah (Aleh Salaam) Ko Khwaab Main Dekha K Aap K Sar-E-Mubaarak Aur Aap Ki Daarhi Shareef Gard Aalood Hai, Yeh Haal Dekh Kar Mene Arz Kiya, Ya Rasool Allah (Aleh Salaam) Aap Ka Kiya Haal Hai??
Aap Ne Farmaya, Abhi Abhi Maqtal-E-Hussain Se Aaraha Hun"..

Fasila Aap K Haath Main.. Haq Ki Pehchaan Khud Karen..
Hadees # 28:

Tarjuma: " Hazrat Abu Saeed Khadri (Razi Allah Anhu) Bayaan Karte Hain, Rasool Allah (Swallallahualaihiwasallam) Ne Farmaya, Hasan Aur Hussain (Razi Allah Anhu) Jannat K Nojawaanon K Sardaar Hain"..
(Sunan Tarmizi, Hadees Hasan Sahi, Jild#5, Page#656, Raqam Ul Hadees 3768, Matboo'a Daar Ul Ahya At Turaas Al Arabi, Beroot)
Allama Abu Abdullah Muhammad Bin Ahmed Maliki 668 Hijri Main Likhte Hain:
Tarjuma: " Huzoor (Aleh Salaam) Ne Hazrat Hussain (Razi Allah Anhu) Aur Baray Bhai Hazrat Hasan (Razi Allah Anhu) K Muta'alliq Farmaya:
"Beshak Imaam Hasan Aur Imaam Hussain (Razi Allah Anhu) Jannati Nojawaanon K Sardar Hain"..
(Musnad Ahmed, Jild#3, Page#623)
(Ibn-E-Maaja, Raqam Ul Hadees 118)
Yeh Batana K, Hazrat Imaaam Hasan Aur Hazrat Imaam Hussain (Razi Allah Anhu) Jannati Aur Jannati Nojawaanon K Sardaar Hain, Yeh Gaib Hai Ya Nahin??
Faisla Aap K Haath Main Hai..
Hadees # 29:
Tarjuma: " Muslim (Rehmatullah) Ne Hazrat Aayesha Siddique'ah (Razi Allah Anhu) Se Riwaayat Ki, Unhon Ne Kaha K Rasool Allah (Aleh Salaam) Ne Farmaya, Tum Azwaaj Main Se Woh Zoja Mujhey Sab Se Pehle Milegi, , Jo Tum Sab Main Daraz-E-Dast Hai, To Hum Naapnti Thin, K Kis Ka Haath Taweel Hain, To Woh Hazrat Zainab (Razi Allah Anhu) Thin, Un K Haath Taweel The, Q K Woh Apney Haath Se Amal Kartin, Aur Sadqa Kiya Karti Thin"..
(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#219, Matboo'a Daar Ul Kutub Ul Ilmiyah Beroot)
Imaam Muhammad Bin Habbaan Bin Ahmed Abu Haatim 354 Hijri Main Likhte Hain:
Tarjuma: " Woh (Zainab (Razi Allah Anhu)) Rasool Allah (Aleh Salaam) Ki Wafaat Hone Waali Sab Se Pehli Biwi Thin"..
(As Suqaat, Jild#3, Page#144,Bar Raqam 485, Matboo'a Daar Us Saadir Beroot)

Tarjuma: " Woh (Zainab (Razi Allah Anhu)) Sab Se Pehle Milne Waali Biwi Thin"..
(Al Isti'aab, Jild#4, Page#1850, Bar Raqam 3355, Matboo'a Daar Ul Jeel, Beroot)
Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri Main Bhi Yahi Riwaayat Karte Hai:
(Ba Hawaala: Al Jaamein Us Sageer, Fi Ahaadees Ul Basheer Un Nazeer, Jild#1, Page#168, Raqam Ul Hades 2832, Matboo'a Daaar Ul Kutub Ul Ilmyah Beroot)
Allama Abu Al Qaasim Abdur Rehmaan Bin Abdullah 571 Hijri Main Likhte Hain:
Tarjuma: " Hadees Shareef Main Hai K Huzoor (Aleh Salaam) Ne Apni Azwaaj E Mutah'hiraat Se Kaha, Tum Main Sab Se Pehle Mujhey Woh Milegi, Jis K Haath Lambay Honge, Azwaaj E Mutah'hiraat (Razi Allah Anhu) Ek Jagah Jama Ho Kar Apne Haathon Ki Pemaish Karne Lageen, Hazrat Soodah (Razi Allah Anhu) K Haath Taweel The, Magar In Main Sab Se Pehle, Hazrat Zainab (Razi Allah Anhu) Ka Wisaal Huwa, Huzoor (Aleh Salaam) Ne Haath Ki Tawaalat Se Sadqah Aur Neki Main Ziyad'dati Ki Muraad Li Thi, Aur Yeh Khoobi Hazrat Zainab Bint-E-Hajash (Razi Allah Anhu) Main Paai Jaati Thi"..
(Roz Ul Atfaal Man Sharah Shura, Jild#2, Page#364, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
Muhaddis E Kabeer Imaam Abu Naeem Ahmed Bin Abdullah Asfahaani 430 Hijri Main Riwaayat Karte Hain:
Tarjuma: " Hazrat Abdur Rehman Abzi (Rehmatullah) Kehte Hain K Main Ne Madina Munawwarah Main Hazrat Ibn-E-Umar (Razi Allah Anhu) K Peeche, Zainab (Razi Allah Anhu) Zoj-E-Nabi (Aleh Salaam) Ki Namaz-E-Janaza Parhi, Aap (Swallallahualaihiwasallam) K Pardah Farmane K Baad, Hazrat Zainab (Razi Allah Anhu) Pehli Azwaj E Mutah'hira Thin, Jinhon Ne Wafaat Paai, Aur Hazrat Ibn-E-Umar (Razi Allah Anhu) Ne In Ki Namaz Main 4 Takbeeren Kahin"..
(Halya Tul Oliya, Tabkaat Ul Asfaya, Jild#8, Page#211, Matboo'a Daar Ul Kitaab Ul Arabi, Beroot)
Imaam Abu Bakar Ahmed Hussain Behki 258 Hijri Main Riwaayat Karte Hain:
Tarjuma: " Woh Zainab Bint-E-Hajazh (Razi Allah Anhu), Rasool Allah (Aleh Salaam) Ki Wafaat Hone Waali Sab Se Pehli Biwi Thin"..
(Dalael Un Nabuwwah, Jild#7, Page#285, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
Imaam Abi Al Abbas Ahmed Bin Al Khateeb 810 Hijri Main
Likhte Hain:
Tarjuma: " Woh (Zainab Bint-E-Hajash (Razi Allah Anhu) Sab Se Pehli Milne Waali Biwi Thin"..
(Waseela E Islaam, Matboo'a Daar Ul Garb Ul Islaami, Beroot)
Faisla Aap Karen.. K Jis Nabi (Aleh Salaam) Ne Yeh Bata Diya, K Unki Azwaaj Main Sab Se Pehle Un Ko Woh Zoja Milengi Jin K Haath Taweel Honge (Yaani Zainab Bint-E-Hajash (Razi Allah Anhu)) Unhen Gaib Ka Ilm Hai Ya Nahin..
Hadees # 30:

Tarjuma: " Muslim (Aleh Rehmah) Ne Ameer Ul Momineen Hazrat Umar-E-Faarooq (Razi Allah Anhu) Se Riwaayat Ki, Unhon Ne Kaha K Rasool Allah (Aleh Salaam) Ne Hum Se Irshaad Farmaya K Ahl-E-Aman Ka Ek Shakhs Tumharay Pass Aaega, Aur Yaman Main Sirf Apni Waalidah Ko Hi Chor Kar Aaaega, Is K Jism Par Safedi Thi To, Usne Allah Azzawajal Se Use Dur Karne Ki Dua Ki To, Woh Safedi Dur Jati Rahi, Sirf Ek Deenaar K Barabar Safedi Baaqi Hai, Is Ka Naam Owais (Aleh Rehmah) Hai, To Tum Main Se Jo Koi Us Se Mulaqaat Kare, To Use Chahiye K Us Se Magfirat Ki Darkhuwaast Ki Dua Kare"..
(Khasaes Ul Kubra, Jild#2, Page#220, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)

Tarjuma: " Behki (Rehmatullah) Ne Dusri Sanad K Saath, Hazrat Umar-E-Farooq (Razi Allah Anhu) Se Riwaayat Ki, K Rasool (Aleh Salaam) Ne Farmaya, K Taba'een Main, Qur'n Ka Ek Shakhs Hoga, Jis Ka Naam Owais E Karni (Aleh Rehmah) Hoga, Is K Jisam Main Safedi Zaahir Hogi, Woh Allah Azzawajal Se Use Dur Karne Ki Dua Karega, Aur Woh Dur Hojaegi,Woh Dua Karega, " Ae Khuda! Mere Jism Se Is Safedi Ko Dur Kar De, Aur Mere Jism Main Itni Safedi Chor De, K Main Teri Nemat Ko Yaad Rakhun, To Allah Ta'ala Azzawajal Us K Jism Main Itni Safedi Chor De Ga, Lihaaza Tum Main Se Agar Koi Us Se Mile, Aur Woh Ista'taa'at Rakhta Ho K Is Se Istagfar Kare To Use Laazim Hai K Us Se Istagfaar Ki Darkhuwaast Kare"..

Muhaddis E Kabeer Imaam Abu Naeem Ahmed Bin Abdullah Asfahaani 430 Hijri Main Likhte Hain:
Tarjuma: " Sahaba E Karaam (Razi Allah Anhu) Kehne Lage, Ya Rasool Allah (Aleh Salaam) In Buzurgon Main Humen Koi Aadmi Mil Sakta Hai??
Farmaya: Haan " Owais Karni" Hai, Jis Se Tumhari Mulaaqaat Hogi, Sahab E Karaam (Razi Allah Anhu) Ne Owais Karni (Razi Allah Anhu) Ki Alaamaat Puchin,Farmaya: Jis Ki Aankhen Surkh Maael Hongi, Surkh Baalon Waala Hoga, Kushada Kaandhon Waala, Darmiyaan E Qad Waala, Gandum Go, Seenay Par Baalon Waala, Daayaan Baaen Par Rakhe Ga, Qura'an Ki Tilaawat Kare Ga, Aur Apne Par Bohat Rota Hoga, Suno Us K Baa'en Kaandhay K Neeche Ek Chamak Hogi, Ahl E Zameen Main Use Koi Nahin Jaanta, Ooon Ka Ozaar Baandha Hoga, Ooon Hi Ki Chaadar Orhi Hogi, Khoob Sun Lo , Qayaamat K Din Aam Logon Se Kaha Jayega, K Jannat Main Daakhil Hojao, Aur Owais Karni (Razi Allah Anhu) Se Kaha Jaega, K Idhar Kharey Hojao, Aur Shafa'at Karo, Tumhaari Shafa'at Kabool Ki Jae Gi, Ae Umar O Ali Jab Tumhari In Se Mulaaqaat Hogi, To In Se Istagfaar Karwaana, Allah Tumhari Magfirat Farmae Ga"..
(Haliya Tul Oliya O Tabkaat, Jild#2, Page#82, Matboo'a Daar Ul Kitaab Ul Ilmiyah Beroot)
Imaam Muhammad Bin Saad (Rehmatullah Aleh) Likhte
Hain:
Tarjuma: " Huzoor (Aleh Salaam) Ne Farmaya, Is Ummat Main Mera Khaleel Owais Karni Hai"..
(Tabkaat Ibn-E-Saad, Jild#6, Page#163, Matbo'a Daar Us Saadir Beroot)

Tarjuma: " Ibn-E-Saad O Haakim (Aleh Rehmah) Ne Abdur Rehman Bin Abu Laili (Razi Allah Anhu) Se Riwaayat Ki, Unhon Ne Kaha K Jang Safeen K Roz Ahl-E-Shaam K Ek Aadmi Ne Pukaara K Kiya Tum Main Owais Karni (Aleh Rehma) Hain??
Logon Ne Jawaab Diya, Haan Hain..
Us Ne Kaha Mene Nabi (Aleh Salaam) Se Suna Hai, K Owais Karni (Aleh Rehma) Khair Ut Ta'ba'een Hain..
Is K Baad Woh Shakhs Apne Ghoray Ko Aerh Laga Kar Apne Lashkar Main Chala Gaya"..
(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#220, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah Beroot)
Imaam Abu Naeem Asfahaani (Rehmatullah Aleh) Likhte Hain:
Tarjuma: " Hazrat Muhaarib Bin Dasaar (Razi Allah Anhu) Bayaan Karte Hain K Huzoor (Aleh Salaam) Ne Irshaad Farmaya, Bila Shuba Meri Ummat Main Se Aese Log Hain, Jo Nangay Honay Ki Wajah Se Apni Masjid Aur Eid Gah Main Nahin Ja Sakte, Aur Un Ka Eemaan Unko Logon Se Maangne Se Rokta Hai, Un Main Se Owais Karni Aur Faraat Bin Hayaar (Razi Allah Anhu) Hain"..
(Halya Tul Oliya O Tabkaat, Jild#9, Page#38, Matboo'a Daar Ul Kitaab Ul Ilmiyah, Beroot)

Tarjuma: " Ibn E Saad O Haakim (Rehmatullah) Ne Batareek Aseer Bin Jaabir (Aleh Rehmah) Hazrat Umar (Razi Allah Anhu) Se Riwaayat Ki, Inhon Ne Hazrat Owais Karni (Rehmatullah Aleh) Se Farmaya, Aap Mere Liye Istagfaar Farmaen, Owais Karni (Rehmatullah Aleh) Ne Famraya, Main Aap K Liye Q Kar Istagfaar Karun?? Jab K Aap Khud Rasool Allah (Aleh Salaam) K Sahaabi Hain..
Hazrat Umar (Razi Allah Anhu) Ne Farmaya, Main Ne Rasool Allah (Aleh Salaam) Se Suna Hai, Aap (Aleh Salaam) Ne Farmaya, Khair Ut Taab'aeen Woh Shakhs Hai, Jis Ka Naam Owais Karni (Rehmatullah Aleh) Hai"..
(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#221, Matboo’a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
Yeh Hadees Bad Aqeedah Fitnon K Moon Par Tamacha Hai.. Q K Is Main Huzoor (Aleh Salaam) K Ilm-E-Gaib Ki Daleel Bhi Hai, Aur Waseelay Ka Saboot Bhi...
Huzoor (Aleh Salaam) Ka Sahaba E Karaam Ko Owais Karni K Baaray Main Batana, K Woh Kis Tarah K Honge, Aur Mulaaqaat Bhi Hogi, Wagera.. Aur Woh Baroz E Qayaamat Shafa'at Bhi Karenge, Yeh Ilm-E-Gaib Ka Saboot Hai..
Aur Owais Karni Se Dua Ki Darkhuwaast Karna, Aur Allah Ka Istagfaar Kabool Karna, Yeh Waseelay K Dalael Main Se Hai..
Hadees # 31:

Tarjuma: " Bukhari (Rehmatullah Aleh) Ne, Abu Bakar (Razi Allah Anhu) Se Riwaayat Ki, Unhon Ne Kaha K Huzoor (Aleh Salaam) Ne Hazrat Imaam Hasan (Razi Allah Anhu) Ki Baabat Farmaya, Mera Yeh Farzand Sardaar Hai, Aur Tawwaqqah Hai K Allah Azzawajal Musalmaanon K Do Azeem Girohon K Darmiyaan Us K Zariye Sulah Karae Ga"..
(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#226, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
Imaam Ismail Bin Muhammad Bin Al Fazal Al As Subhani 535 Hijri Main Likhte Hain:
Tarjuma: " Imaam (Rehmatullah Aleh) Farmate Hain K Yeh Hadees Nabuwwat Par Dalaalat Karti Hai K Isi Tarah Huwa Jesa K Huzoor (Aleh Salaam) Ne Farmaya Tha, K Allah Azzawajal Ne Us K Zariye Iraaqi Aur Shaami Lashkaron Main Sulah Farmadi"..
(Dalael E Nabuwwah, Page#112, Raqam Ul Hadees 114, Matboo'a Daar Ul Taeba Riyaaz)
Faisla Khud Karen K Nabi (Aleh Salaam) Ne Pehle Hi Bata Diya K Imaam Hassan (Razi Allah Anhu) Do (2) Baray Giroh K Darmiyaan Sulah Karwaen Ge.. Aur Aesa Hi Juwa, To Yeh Ilm-E-Gaib Nahin To Aur Kiya Hai??
Hadees # 32:
Imaam Behki (Rehmatullah) Likhte Hain:
Tarjuma: " Hazrat Umm E Warqah Bint Al Haaris (Razi Allah Anhu) Ki Mulaaqat K Liye Rrasool Allah (Aleh Salaam) Tashreef Le Jaate, Aur Aap Ne Un Ka Naam As Shaheedah Rakha Tha, Woh Quraan Ki Haafiza Thin, Jab Rasool Allah (Aleh Salaam) Gazwah E Badar Tashreef Le Gaye, To Unhon Ne Kaha Aap Mujhey Ijaazat Den, To Main Bhi Aap K Saath Jaaoun Aur Mareezon Ki Zakham Patti Aur Beemaaaron Ki Temaadaari Karun, Shayad Allah Ta'ala Mujhey Shahaadat Ata Farmae, Aap (Aleh Salaam) Ne Farmaya, Allah Ta'ala Tum Ko Shahaadat Ata Farmae Ga, Aur Aap In Ko As Shaheedah Kehte The, Aur Nabi E Kareem (Aleh Salaam) Ne In Ko Hukum Diya Tha, K Woh Apne Ghar Ki Khawaateen Ki Imaamat Kiya Karen, In Ko Maal E Ganeemat Main Se Ek Baandi Aur Ek Ghulaam Mila Tha, Jin Ko Unhon Ne Madbar Kar Diya Tha, (Yaani Un Se Keh Diya Tha, K Mere Marnay K Baad Tum Azaad Ho).. Hazrat Umar (Razi Allah Anhu) K Dor E Khilaafat Main In Donon Ne Hazrat Umme Warqah (Razi Allah Anhu) Ko Qatal Kar Diya Aur Donon Bhaag Gaye, Hazrat Umar (Razi Allah Anhu) K Hukum Se Unko Pakar Liya Gaya, Aur Un Donon Ko Suli Par Latka Diya Gaya, Madinay Taebah Main In Ko Sab Se Pehli Sooli Di Gai Thi, Hazrat Umar (Razi Allah Anhu) Ne Kaha, Huzoor (Aleh Salaam) Ne Sach Farmaya Tha, Aap Farmate The, Chalo As Shaheedah Ki Ziyaarat K Liye Chalen"..
(Sunan Al Kubra,Jild#3,Page#130,Raqam Ul Hadees 5136, Matboo'a Maktab Daar Ul Baaz, Makah Mukarrama)

Tarjuma: " Abu Daawood Naeem (Aleh Rehmah) Ne Jamee Aur Abdur Rehman Bin Khalaad Ansaari (Razi Allah Annhu) Se In Donon Ne Umme Warqah (Razi Allah Anhu) Se Riwaayat Ki K Nabi (Aleh Salaam) Jab Badar Gaye To, Umme Warqah Bin Nofil (Razi Allah Anhu) Ne Arz Kiya, Ya Rasool Allah (Aleh Salaam)! Mujhey Gazwah E Badar Main Apni Ma'yyat Main Jaane Ki Ijaazat Dijiye, Mumkin Hai K Allah Ta'ala Mujhey Shahaadat Naseeb Farmae, Aap Ne Farmaya Tum Apne Ghar Main Bethi Raho, Allah Azzawajal Tumhen Shahaadat Naseeb Farmae Ga, To In Ko Log Shaheedah K Naam Se Pukaarte The..
Is Ki Shahaadat Ka Waqiyah Yeh Huwa K Woh Quraan E Kareem Ki Tilaawat Kar Rahi Thin, Aur Unhon Ne Ek Ghulaam Aur Baandhi Ko Madbar Kiya Tha, Woh Donon Raat K Waqt In K Pass Aae, Aur Ek Chaadar Se In Ka Gala Ghont Diya, Yahaan Tak K Woh Foat Hogain, Yeh Waqiyah Hazrat Umar E Farooq (Razi Allah Anhu) K Zamana E Khilaafat Ka Hai, Phir Un Ko Pakar K Sooli De Di Gai, Yeh Madine Munawwarah Ki Se Pehli Sooli Charne Waalay The"..
(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#228-229, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah Beroot)
Imaam Ibn-E-Saad (Aleh Rehmah) Likhte Hain:
Tarjuma: " Hazrat Umar E Faarooq (Razi Allah Anhu) Ne Farmaya, Huzoor (Aleh Salaam) Ne Sach Farmaya Tha, K Aap (Aleh Salaam) Farmate The, K Aao Shaheedah Ki Mulaaqaat K Liye Chalen"..
(Tabqaat Ibn-E-Saad, Jild#8,Page#475,Matboo'a Daar Us Saadir, Beroot)
Faisla Khud Karen, K Umme Warqah Ko Shaheed Hone S Pehle Batana, K Woh Shaheed Hongi, Aur Un Ko As Shaheedah Keh K Pukaarna Yeh Ilm-E-Gaib Hai Ya Nahin??
Hadees # 33:
Imaam Muhib'bud'deen Abu Al Abbas Ahmed Bin Abdullah 694 Hijri Main Likhte Hain:
Tarjuma: " Hazrat Abu Saeed Khudri (Razi Allah Anhu) Bayaan Karte Hain, K Mene Huzoor (Aleh Salaam) Se Suna K Beshak Tum Main Se Ek Taaweel Qura'an Pe Jhagra Karega, Jese K Is K Nuzool Par Jhagra Kiya Tha To, Hazrat Abu Bakkar (Razi Allah Anhu) Farmane Lage, Kiya Woh Main Hun Ae Allah K Rasool (Aleh Salaam), To Huzoor (Aleh Salaam) Farmaanay Lage, Nahin, Balkay Jootay K Seenay Waala Hujray Main Hai,Aur Hazrat Ali (Razi Allah Anhu) Ko Joota Mubaarak Diya Tha, Taa K Is Ko Si Lay"..
(Zakhair Ul Aqi Fi Manaqib Zawi Al Qarbi, Page#76, Matboo'a Daar Ul Kutub Ul Masriyah)
Imaam Ahmed Bin Hambal 241 Hijri Main Yahi Riwaayat Karte Hain:
(Ba Hawala: Fazail E Sahaba La Bin Hambal, Jild#1, Age#571, Raqam Ul Hadees 966, Matboo'a Mosasta Ar Risaala, Beroot)
Imaam Bagdaadi (Rehmatullah) Ne Bhi Yahi Likha:
(Ba Hawala: Taareekh E Bagdaadi, Jild#8, Page#433, Ba Raqam 4540, Matboo'a Daar Ul Kutub Ul Ilmiyah Beroot)

Tarjuma: " Haakim (Rehmatullah) Ne Sahi Bata Kar Behki (Rehmatullah Aleh) Ne Abu Saeed (Razi Allah Anhu) Se Riwaayat Ki Unhon Ne Kaha K Hum Rasool Allah (Aleh Salaam) K Saath The, Aap Ki Naalen Mubaarak Toot Gai, To Hazrat Ali Murtaza (Razi Allah Anhu) Peeche Reh Kar Ise Seenay Lage, Phir Kuch Door Chal Kar Farmaya, Tum Main Se Ek Shakhs Woh Hai Jo Quraan Ki Taaweel Par Jang Karega, Jis Tarah K Main Us Ki Tanzeel Par Jang Karta Hun, Hazrat Abu Bakar Siddique (Razi Allah Anhu) Ne Arz Kiya, Kiya Woh Main Hun??
Farmaya: Nahin
Hazrat Umar E Faarooq (Razi Allah Anhu) Ne Arz Ki Kiya Ya Rasool Allah (Aleh Salaam) Main Hun??
Farmaya: Nahin
Lekin Woh Shakhs Naalen Mubarak Ko Seenay Waala Shakhs Hai, Yaani Hazrat Ali Murtaza (Razi Allah Anhu)"..
(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#234,Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
Faisla Khud Karen, Pehle Se Hi Bata Dena, K Woh Shakhs Hazrat Ali (Razi Allah Anhu) Honge, Yeh Gaib Ka Ilm Hai Ya Nahin..
Hadees # 34:

Tarjuma: " Ibn-E-Abi-Sheeba O Abu Ya'ali Aur Behki (Rehmatullah) Abu Zar (Razi Allah Anhu) Se Riwaayat Ki K Mene Rasool Allah (Aleh Salaam) Se Suna Hai K Aap Ne Farmaya, Sab Se Pehle Jo Meri Sunnat Ko Badlay Ga, Woh Bani Ummaiyah Ka Aadmi Hoga".
Behqi (Rehmatullah Aleh) Ne Farmaya, Shuba Hota Hai, K Gaaliban Woh Aadmi Yazeed Bin Maawiyah Hai"..
(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#236, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
Imaam Haaris Bin Abi Usama 282 Hijri Main Riwaayat Karte Hain:
Tarjuma: " Hazrat Abu Ubaidah Bin Al Jarah (Razi Allah Anhu) Se Riwaayat Hai K Unhon Ne Kaha K Rasool Allah (Aleh Salaam) Ne Farmaya, Yeh Deen Hamesha Mu'at'tadal Aur Adal O Insaaf Par Qaem Rahe Ga, Al Bat'ta, Bani Ummaiyyah Ka Ek Aadmi Jis Ka Naam Yazeed Hai, Us Main Rakhna Daaley Ga"..
(Bagyat Ul Baahis An Zawaid, Musannad Ul Haaris,Jild#2, Page#642, Raqam Ul Hadees 616, Matboo'a Markaz E Khidmat Al Sunnah, Wa Seerat Un Nabuuwwah, Al Madina Tul Munawwarah)
Imaam Jalaal Ud Deen Sayoti 911 Hijri Main Riwaayat Karte Hain:
Tarjuma: " Ibn-E-Mani O Behki Aur Abu Naeem (Rehmatullah Aleh) Ne Abu Ubaidah Bin Al Jarrah (Razi Allah Anhu) Se Riwaayat Ki K Unhon Ne Kaha K Rasool Allah (Aleh Salaam) Ne Farmaya, Yeh Deen Hamesha Mu'attadal Aur Insaaf Par Qaem Rahe Ga, Al Bat'ta Bani Ummaiyyah Ka Ek Aadmi Jis Ka Naam Yazeed Hai, Is Main Rakhna Daale Ga"..

Tarjuma: " Abu Naeem (Rehmatullah Aleh) Ne Maaz Bin Jabal (Razi Allah Anhu) Se Riwaayat Ki K Nabi E Kareem (Aleh Salaam) Ne Farmaya Tum Par Andheri Raat K Tukray Ki Maanind Fitnay Aaye, Jab Ek Rasool Gaya, Aur Dusra Rasool Aa Gaya,Aur Nabuwwat Mansookh Hogai, Aur Baadshahat Aagai, Ae Maaz (Razi Allah Anhu) Yaad Rakho, Aur Gino (Phir Fitnay Batana Shoru Kiye) Aur Jab 5 Tak Puhnchay, To Farmaya, Yazeed, Allah Azzawajal, Yazeed Main Barkat Na De, Is K Baad Aap (Aleh Salaam) Ki Aankhon Se Behnay Lage, Aur Farmaya, Mujhey Imaam Hussain (Razi Allah Anhu) Ki Shahaadat Ki Khabar Di Gai, Aur In K Maqtal Ki Mitti Lai Gai, Aur Mujhey In K Qaatil Ki Khabar Di Gai, Is K Baad Jab 10 Tak Puhchay, To Farmaya, Waleed, Yeh Firon Ka Naam Hai, Woh Islami Shariyat Ka Dhaanay Waala Hoga, Is K Ahl-E-Bait Ka Ek Aadmi Us Ka Khoon Bahaega"..
(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#237,Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
Faisla Khud Karen.. Kiya Yeh Ilm-E-Gaib Nahin, K Pehle Se Yazeed Ka Bata Dena, K Sab Se Pehle Sunnat Badalna Wala Aadmi Yazeed Hoga..
Note: Wahabi Yazeed Ko Sahi Maante Hain, Ab Aage Aap Khud Samajh Jaen, K Wohi Pehla Aadmi Tha, Nabi (Aleh Salaam) Ki Sunnat Ko Badalne Waala, To Us K Chahne Waale Kese Honge, Aur Yahi Baat Hai, K Yeh Log Ilm-E-Gaib K Munkir Hain..
Hadees # 35:

Tarjuma: " Shekheen (Rehmatullah) Ne Abu Saeed O Muslim (Rehmatullah Aleh) Ne Umme Salma (Razi Allah Anhu) Aur Abu Qatadah (Razi Allah Anhu) Se Riwaayat Ki K Rasool Allah (Aleh Salaam) Ne Hazrat Ammar (Razi Allah Anhu) Se Farmaya,Tumhen Baagi Jama'at Shaheed Karegi, Yeh Hadees Mutawatir Hai, Ise 10 Shabiyon Ne Riwaayat Kiya Hai".
(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#239, Matboo'a Daar Ul Kutub, Ilmiyah, Beroot)

Tarjuma: " Huzoor (Aleh Salaam) Se Aksar Is Baaray Main Naqal Ki Gai Hai K Ammar (Razi Allah Anhu) Ko Ek Baagi Giroh Qatal Karega, Aur Yeh Rasool Allah (Aleh Salaam) Ka Akhbaar Ul Gaib Hai Aur Yeh Alaam Un Nabuwwah Hai, Aur Yeh Hadees Sahi Hai"..
(Al Astiyaab, Zikar Hazrat Ammar Bin Yaasir (Razi Allah Anhu), Jild#3, Page#1140, Ba Raqam 1863, Matboo'a Daar Ul Jeel, Beroot)
Imaam Abi Al Abbas Ahmed Bin Ahmed Al Khateeb 810 Hijri Main Bhi Yahi Likhte Hain:
(Bahwala: Waseela Tul Salaam Ba Nabi (Aleh Salaam), Page#133, Matboo'a Daar Ul Garb Ul Islaami, Beroot)
Imaam No'wi (Rehmatullah Aleh) Ne Bhi Yahi Likha:
(Bahawala: Tehzeeb Ul Asma, Jild#2, Page#351, Ba Raqam#465, Matboo'a Daar Ul Fiqar, Beroot)
Imaam Ahmed Bin Umar O Bin Azhaak Abu Bakar As Shebaani 287 Hijri Main Bhi Yahi Likhte Hain:
(Bahawala: Al Ahaad O Al Mashaani Zikar Ammaar Bin Yaasir, Jild#1, Page#207, Raqam Ul Hadees 271, Matboo'a Daar Ur Ra'ya Ur Riyaaz)
Imaam Ibn E Abdul Bar (Rehmatullah Aleh) Bhi Yahi Likhte Hain:
(Bahawala: Al Isti'aab Zikar Hazrat Ammaar Bin Yasir (Razi Allah Anhu), Jild#3, Page#1139, Baraqam 1863, Matboo'a Daar Ul Jeel, Beroot)
Muhaddis E Kabeer Imaam Abu Naeem Ahmed Bin Adullah Asfahani 430 Hijri Main Riwaayat Karte Hain:
Tarjuma: Hazrat Umar O Bin Deenaar (Rehmatullah Aleh) Bayaaan Karte Hain, K Ek Misri Shakhs Ne Farmaya, K Ek Baar Hazrat Umar O Bin Al Aas (Razi Allah Anhu) Ne Logon Main Hidaaya Taqseem Kiya, Hazrat Ammaar (Razi Allah Anhu) Ko Dusron K Muqaablay Main Ziyaadah Diya, Un Se In Ki Wajah Puchi Gai, Inhon Ne Farmaya, Main Ne In K Muta'alliq Huzoor (Aleh Salaam) Ko Yeh Kehte Huwe Suna, Ae Ammaar Tera Qaatil Ek Baagi Giroh Hoga"..
(Halyat Ul Oliya O Tabqaat O Al Asfiyah,Jild#7,Page#197,Matboo'a Daar Ul Kitaab Al Arabi, Beroot)
In K Ilawa Muhaddis E Kabeer Imaam Abu Naeem Ahmed Bin Abdullah Asfahani 430 Hijri Main Do (2) Sanadon K Saaath Umm Ul Momineen Hazrat Umme Salma (Razi Allah Anhu) Se Aur Chaar (4) Sanadon K Saath Hazrat Abu Saeed Khudri (Rehmatullah Aleh) Aur Ek Sanad K Saath Hazrat Abdullah Bin Umar O (Razi Allah Anhu) Se Aur Ek Sanad K Saath Hanzla Bin Sawaid (Razi Allah Anhu) Se Is Riwaayat Ko Naqal Karte Hain"..
(Halyat Ul Oliya O Tabqaat O Al Asfiyah,Jild#7,Page#196-197,Matboo'a Daar Ul Kitaab Al Arabi, Beroot)
Yahi Muhadis E Kabeer Imaam Abu Naeem Ahmed Bin Abdullah Asfahani 430 Hijri Main Likhte Hain:
Tarjuma: " Ataab Bin Saaeb K Silsila E Sanad Se Abu Al Bakhtari Aur Mesrah Ka Qol Marwi Hai:
Hazrat Ammaar Bin Yaasir (Razi Allah Anhu) Ko Jang Safeen K Roz Doodh Pesh Kiya Gaya, Aap (Razi Allah Anhu) Ne Nosh Kar K Farmaya, Huzoor Nabi E Kareem (Aleh Salaam) K Farmaan K Mutaabik, Is K Baad Mere Batan Main Koi Cheez Nahin Jaegi, Is K Baad Ammaar (Razi Allah Anhu) Qataal Main Mashgool Hogaye, Aur Bil Aakhir, Qataal Karte Karte Duniya Se Chale Ge"..
(Hulyat Ul Oliya O Tabqaat Ul Asfiyah Zikar Ammaar Bin Yaasir, Jild#1, Page#141, Matboo'a Daar Ul Kitaab Al Arabi, Beroot)
Imaam Abdul Maalik Bin Hasshaam 213 Hjiri Main Likhte Hain:
Tarjuma: " Hazrat Ammaar Bin Yasir (Razi Allah Anhu) Masjid Ki Jagah Main Daakhil Huwe,Sahab E Karaaam Ne In Par Bohat Ziyaadah Inten Rekhin Thin, Inhon Ne Arz Ki Ya Rasool Allah (Aleh Salaam) Inhon Ne Mujhey Halaak Kar Diya Hai Aur Mujh Pe Itna Bojh Daala Hai Jise Main Utha Nahin Sakta, Hazrat Ameer Ul Momineen Umme Salma (Razi Allah Anhu) Farmaati Hain, Mene Nabi E Kareem (Aleh Salaam) Ko Dekha, Aap Apni Zulf Mubaarak Ko Dast E Aqdas Se Saaf Farma Rahe The, Aap (Swallallahualaihiwasallam) K Baal Mubaarak K Baal Ghumgraalay (Curly) The, Aap (Aleh Salaam) Ne Farmaya, Ae Sumaiyyah K Noor E Nazar Yeh Log Tumhen Qatal Nahin Karenge, Tumhen To Ek Baagi Giroh Shaheed Karega"..
(As Seerat Un Nabuwwah Al Maaroof Seerat Ibn-E-Hasshaam, Jild#3, Page#25, Matboo'a Daar Ul Jeel, Beroot)
Allama Abdul Qasim Abdur Rehman Bin Abdullah 571 Hijri Main Likhte Hain:
Tarjuma: " Jaama Mu'ammar Raashid Main Hai K Taameer Masjid E Nabwi K Waqt Hazrat Ammaar (Razi Allah Anhu) Bayak Waqt Do Do (2,2) Eenten Utha Kar Laa Rahe The, Ek Eent Apni Taraf Se, Aur Dusri Eent Huzoor (Aleh Salaam) Ki Taraf Se, Jab K Baaqi Log Ek Ek Eent Utha Kar Laa Rahe The, Huzoor (Aleh Salaam) Ne Hazrat Ammar (Razi Allah Anhu) Se Farmaya, Logon K Liye Ek Gunah Jab K Tumharay Liye Do (2) Gunah Ajar (Sawaab) Hai, Aur Dunya Se Tumhari Aakhri Khuraak Doodh Hoga, Aur Tujhey Ek Baagi Giroh Qatal Karega"..
(Roza Al Anaf Zikar Sumiya Um Ammar, Jild#2, Page#338, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
Imaam Muhammad Bin Saad (Rehmatullah Aleh) Likhte Hain:
Tarjuma: " Abi Al Bakhtari (Rehmatullah Aleh) Bayaan Karte Hain K Jang E Safeen Main Ammaar Bin Yaasir (Razi Allah Anhu) Ne Kaha K Mere Pass Doodh Ka Sharbat Laao Q K Rasool Allah (Aleh Salaam) Ne Mujh Se Farmaya K Dunya Ka Aakhri Sharbat Jo Tum Piyo Ge, Woh Doodh Ka Sharabat Hoga, Doodh Laya Gaya, Us Doodh Ko Unhon Ne Nosh Farmaya, Phir Aage Barhe Aur Shaheed Hogaye...
Abi Al Bakhtari (Rehmatullah Aleh) Bayaan Karte Hain K Us Roz Ammaar Bin Yasir (Razi Allah Anhu) K Pass Doodh Laya Gaya, To Woh Muskurae Aur Kaha K Mujh Se Rasool Allah (Aleh Salaam) Ne Farmaya, K Sab Se Aakhri Mashroob Jo Tum Piyo Ge, Woh Doodh Hoga, Yahaan Tak Ise Pee Kar Tum Dunya Se Rukhsat Hojao Ge"..
(Tabqaat Ibn-E-Saad, Jild#3,Page#257, Matboo'a Daar Us Saadir, Beroot)
Imaam Abu Bakar Ahmed Bin Hussain Behki 458 Hijri Main Riwaayat Karte Hain:
Tarjuma: " Hazrat Ammaaar (Razi Allah Anhu) Ki Kaneez Se Riwaayat Hai K Unhon Ne Kaha K Hazrat Ammaar (Razi Allah Anhu) Ko Sakht Beemaari Laahak Huwi Aur Un Par Behoshi Taari Hogai, Phir Unhen Afaaqa Huwa, To Dekha K Sab In Gird Ro Rahe Hain, Unhon Ne Farmaya, Kiya Log Dar Rahe The K Main Apne Bistar Par Mar Jaounga, Mujhey Mere Habeeb Rasool Allah (Swallallahualaihiwasallam) Ne Khabar Di Hai K Mujhey Baagi Jama'at Qatal Karegi Aur Dunya Main Meri Aakhri Giza Paani Mila Huwa Doodh Hoga"..
(Dalael Un Nabuwwaah, Jild#6, Page#421, Matboo'a Daar Ul Qutub, Ilmiyah, Beroot)

Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hiri Main Riwaayat Karte Hain:
Tarjuma: " Imaam Ahmed Bin Saad O Tibraani O Haakim (Rehmatullah Aleh) Ne Sahikar Behki O Abu Naeem (Rehamtullah Aleh) Se Abu Al Bakhtari (Rehamtullah Aleh) Se Riwaayat Ki K, Yom E Safeen Ko Hazrat Ammaar Bin Yaasir (Razi Allah Anhu) K Paas Doodh Ka Piyaala Laaya Gaya, Use Dekh Kar Unhon Ne Tabassum Kiya, Logon Ne Pucha Is Main Hansne Ki Kaunsi Baat Hai, Unhon Ne Kaha K Rasool Allah (Aleh Salaam) Ne Farmaya, Dunya Main Aakhri Giza Jise Tum Piyo Ge, Woh Doodh Ka Sharbat Hai, Is K Baad Woh Aage Barhe Aur Shaheed Hogaye"..

Tarjuma: " Hazrat Huzail (Razi Allah Anhu) Se Riwaayat Ki K Unhon Ne Kaha K Rasool Allah (Aleh Salaam) Tashreef Lae, Logon Ne Arz Kiya Hazrat Ammaar (Razi Allah Anhu) Par Chat Gir Gai Hai, Aur Woh Foat Hogaye Hain, Aap (Aleh Salaam) Ne Farmaya, Woh Foat Nahin Huwe Hain"..
(Fazail E Sahaba, La Bin Hambal,Jild#2, Page#857, Raqam Ul Hadees 1597, Matboo'a Mosasta Ar Risaala, Beroot)

Tarjuma: " Ibn-E-Saad (Rehmatullah Aleh) Ne Huzail (Razi Allah Anhu) Se Riwaayat Kik Unhon Ne Kaha K Rasool Allah (Aleh Salaam) Tashreef Lae, Logon Ne Kaha K Hazrat Ammaar Par Chat Gir Gai Hai, Aur Woh Foat Hogaye Hain, Aap (Aleh Salaam) Ne Farmaya, Hazrat Ammaar (Razi Allah Anhu) Foat Nahin Huwe Hain"..

Faisla Khud Karen, Hazrat Ammaar Ko Batana, K Un Ko Ek Baagi Giroh Qatal Karega Aur Un Ki Aakhri Giza Doodh Hogi, Yeh Ilm-E-Gaib Hai Ya Nahin??
Hazrat Ammaar (Razi Allah Anhu) Ka Ilm-E-Gaib Ka Aqeeedah Dekhen, K Un Ko Pakka Yakeen Tha, K Bas Un K Habeeb Nabi (Aleh Salaam) Ne Keh Diya, K Baagi Giroh Qatal Karega, Aur Aakhri Giza Doodh Hai To Bas... Yeh Hota Hai Ishq E Rasool (Aleh Salaam) Aur Un K Atai Ilm-E-Gaib Pe Aqeedah Rakhna..
Hadees # 36:
Hafiz Abu Al Qaasim Sulemaan Bin Ahmed Al Tabraani 360 Hijri Main Riwaayat Karte Hain:
Tarjuma: " Tumhare Pass Ahl-E-Jannat Main Se Ek Shakhs Aaega, To Hazrat Umar (Razi Allah Anhu) Tashreef Le Aae, Phir Farmaya, Tumhare Pass Ahl E Jannat Amin Se Ek Shakhs Aega, To Hazrat Usman (Razi Allah Anh) Tashreef Le Aae"..
(Tibraani Al Osatm Jild#7, Page#504, Raqam Ul Hadees 66998, Matboo'a Maktaba Al Ma'aarif Ar Riyaaz)
Imaam Jalaal Ud Deen Sayoti 911 Hijri Main Yahi Riwaayat Karte Hain:
(Bahawala: Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#207, Matboo'a Daar Ul Kutub, Ilmiyah, Berooot)

Tarjuma: " Tibraani (Rehmatulah Aleh) Ne Zaid Bin Saabit (Razi Allah Anhu) Se Riwaayat Ki K Mene Rasool Allah (Aleh Salaam) Se Suna, K Aap Ne Farmaya, Mere Saath Usman (Razi Allah Anhu) Chaley, Us Waqt Mere Pass Ek Farishta Tha, Us Na Kaha Yeh Shaheed Honge, Aur In Ki Qoam In Ko Shaheed Karegi, Aur Hum Tamaaam Farishte In Se Haya Karte Hain"..
(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#207, Matboo'a Daar Ul Kutub, Ilmiyah, Berooot)
Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijir Main Riwaayat Karte Hain:
Tarjuma: " Bazaar O Tibraani (Rehamtullah Aleh) Ne " Osat" Main Hazrat Zubair Bin Awaam (Razi Allah Anhu)Se Riwaayat Ki, Inhon Ne Kaha K Nabi E Kareem (Aleh Salaam) Ne Fatah E Maakkah K Din Ek Qureshi Aadmi Ko Qatal Kar K Farmaya, Aaj K Baad Jabar K Saath Kisi Qureshi Ko Qatal Nahin Kiya Jaega, Magar Ek Aadmi Usman Bin Af'aan (Razi Allah Anhu) Ko Qatal Karega, Lihaaza Tum Us Aadmi Ko Qatal Kardena, Agar Tum Ne Use Qatal Na Kiya To Tum Bakriyon Ki Maanind Qatal Kar Diye Jao Ge"..

Imaam Jalaal Ude Deen Sayooti 911 Hijri Main Riwaayat Karte Hain:
Tarjuma: " Haakim (Rehmatullah Aleh) Ne Sahi Bata Kar Aur Behki (Rehmatullah) Ne Abu Hurerah (Razi Allah Anhu) Se Riwaayat Ki, Unhon Ne Us Waqt Farmaya, Jab K Hazrat Usman (Razi Allah Anhu) Ko Balwaaiyon Ne Mehsoor Kar Rakha Tha, K Main Ne Rasool Allah (Aleh Salaam) Se Suna Hai, Aap Ne Farmaya, Fitnah ) Ikhtalaaf Ronama Hoga, Hum Ne Arz Kiya Ya Rasool Allah (Aleh Salaam) Hamaray Liye Is Waqt Kiya Hukum Hai??
Aap Ne Farmaya, Tum Ameer Aur In Ashaab K Daaman Se Waabasta Rehna Aur Hazrat Usman (Razi Allah Anhu) Ki Taraf Ishaara Kiya"..
(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#207, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)

Tarjuma: " Hazrat Ka'ab Marah Bin Ka'ab (Razi Allah Anhu) Bayaan Karte Hain, K Rasool Allah (Aleh Salaam) Ne Fitnon Ka Zikar Kiya, Aur Bataya, K Woh Anqareeb Waqey Hone Waalay Hain, Us Waqt Ek Shakhs Kapray Se Apne Aap Ko Dhaanpay Huwe Guzra, Nabi E Kareem (Aleh Salaam) Ne Farmaya, Yeh Shakhs Us Waqt Hidaayat Par Hoga, Main Ne Kharay Ho Kar Dekha To Woh Hazrat Usman Bin Afaan (Razi Allah Anhu), Mene Phir Aap (Aleh Salaam) Ki Taraf Rukh Kar K Pucha, Aap (Aleh Salaam) Ne Farmaya: Haan"..
(Sunan Tarmizi Baab Fi Manaaqib E Usman Bin Afaan (Razi Allah Anhu), Jild#5, Page#628, Raqam Ul Hadees 3704, Matboo'a Daar Ul Ahya At Turaas, Al Arabi, Beroot)

Tarjuma: " Hazrat Abdullah Bin Umar (Razi Allah Anhu) Bayaan Karte Hain K Huzoor (Aleh Salaam) Ne Fitnon Ka Zikar Kiya, Phir Aap (Aleh Salaam) Ne Hazrat Usman Bin Af'aan (Razi Allah Anhu) K Muta'alliq Farmaya, K Yeh Shakhs Fitnon Main Mazlooman Qatal Kiya Jaega"..
(Sunan Tarmizi Baab Fi Manaaqib E Usman Bin Afaan (Razi Allah Anhu), Jild#5, Page#630, Raqam Ul Hadees 3708, Matboo'a Daar Ul Ahya At Turaas, Al Arabi, Beroot)

Tarjuma: " Ibn-E-Maaja O Haakim (Rehmatullah) Ne Sahi Bata Kar, Aur Behki O Abu Naeem (Rehamtullah Aleh) Ne Hazrat Ayesha Siddique'ah (Razi Allah Anhu) Se Riwaayat Ki Rasool Allah (Aleh Salaam) Ne Hazrat Usman (Razi Allah Anhu) Ko Bulaya Aur Aap (Aleh Salaam) In Ki Taraf Ishara Farma Rahe Tha, Aur Hazrat Usman (Razi Allah Anhu) Ka Rang Mutayaggar Horaha Tha, Aur Jab Yom Ud Daar Yaani Woh Din Aaya, Jis Main Unhen Mehsoor Kiya Gaya, To Hum Ne Arz Kiya Aap Jang Nahin Karen Ge? To Hazrat Usman (Razi Allah Anhu) Ne Farmaya, Nahin, Q K Nabi (Aleh Salaam) Ne Is Amar Ka Mujh Se Uhad (Waada) Liya Hain, Lihaaza Main Is Par Apni Jaan Ka Khayaal Na Rakhunga, Aur Saabir Rahun Ga"..
(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#207, Matboo'a Daar Ul Qutub Ilmiyah, Beroot)

Tarjuma: " Haakim O Ibn-E-Maaja Aur Abu Naeem (Aleh Rehmah) Ne Hazrat Ayesha Siddique'ah (Razi Allah Anhu) Se Riwaayat Ki Unhon Ne Kaha K Rasool Allah (Aleh Salaam) Ne Hazrat Usmaan E Gani (Razi Allah Anhu) Se Farmaya, Bila Shuba Allah Ta'ala Tumhen Ek Qameez Pehnae Ga"..
(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#208, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)

Tarjuma: " Hazrat Ameer Ul Momineen Ayesha Siddique'ah (Razi Allah Anhu) Bayaan Karti Hain K Huzoor (Aleh Salaam) Ne Muhjey Farmaya, Mere Baaz Sahaba Ko Mere Pass Bulao, Mene Arz Kiya, Ya Rasool Allah! Abu Bakar (Razi Allah Anhu) Ko Bulaon? Aap (Aleh Salaam) Ne Mana Farmaya, Phir Mene Arz Kiya, Umar (Razi Allah Anhu) Ko? Aap (Aleh Salaam) Ne Farmaya: Nahin.. Phir Mene Arz Kiya Aap K Chacha K Betay Hazrat Ali (Razi Allah Anhu) Ko Aap (Aleh Salaam) Ne Farmya: Nahin, Phir Mene Arz Kiya, Usman (Razi Allah Anhu) Ko? Aap (Aleh Salaam) Ne Farmaya: Haan, Pas Jab Woh Aagaye To Aap (Aleh Salaam) Ne Farmaya, (Ae Ayesha) Zara Peeche Ho Kar Beth Jao, Phir Aap (Aleh Salaam) Un Se Sargoshi Farmaanay Lage, Hazrat Usman (Razi Allah Anhu) Ka Rang Tabdeel Hone Laga, Phir Yom-E-Daar Aaya, Aur Hazrat Usman (Razi Allah Anhu) Us Main Mehsoor Hogaye, Hum Ne Kaha Ae Ameer Ul Momineen Aap Qataal Nahin Karenge?? Aap (Razi Allah Anhu) Ne Farmaya: Nahin, Beshak Huzoor (Aleh Salaam) Ne Mujhey (Is Din) Wasiyat Farmai Thi, Aur Main Is Wasiyat Par Sabar Karne Waala Hun"..
(Musnad Ahmed, Jild#6, Page#51, Matboo'a Mosasta Qurtuba Misar)
Imaam Tibraani (Rehamtullah Aleh) Likhte Hain:
Tarjuma: " Hazrat Badar Bin Khaalid (Razi Allah Anhu) Bayaan Karte Hain, K Yom-E-Daar Ko Hazrat Zain Bin Saabit (Razi Allah Anhu) Hamaray Pass Kharay Huwe Aur Kaha, Kiya Tum Us Shakhs Se Haya Nahin Karte, Jis Se Malaikah Bhi Haya Karte Hain, Hum Ne Kaha Woh Kaun Hai?? Raawi Ne Kaha Mene Huzoor (Aleh Salaam) Ko Farmaate Huwe Suna, K Aap (Aleh Salaaam) Ne Farmaya, Farishton Main Se Ek Farishta Mere Pass Tha, Jab Usman (Razi Allah Anhu) Mere Pass Se Guzra To, Us Ne Kaha Yeh Shakhs Shaheed Hai, Is Ki Qoam Us Ko Qatal Karegi ,Aur Hum Malaikah Is Se Haya Karte Hain, Badar Bin Khaalid (Razi Allah Anhu) Kehte Hain K Phir Hum Ne Aap (Razi Allah Anhu) Se Logon K Ek Giroh Ko Door Kiya"..
(Tibraani Kabeer, Jild#5, Page#159, Raqam Ul Hadees 4939, Maktabatul Uloom O Al Hakam Al Mosal)

Tarjuma: " Hazrat Abdullah Bin Umar (Razi Allah Anhu) Bayaan Karte Han , K Main Huzoor (Aleh Salaam) K Saath Tha, Us Doraan Ek Aadmi Nabi E Kareem (Aleh Salaam) K Pass Aaya, Aur Us Ne Aap (Aleh Salaam) K Saath Musahfa Kiya, To Aap (Aleh Salaam) Ne Apne Haath Us Shakhs K Haath Se Us Waqt Na Churaya Jab Tak Khud Us Aadmi Ne Aap (Aleh Salaam) Ka Haath Na Chora, Phir Us Aadmi Ne Aap (Aleh Salaam) Se Arz Kiya, Ya Rasool Allah! Hazrat Usman (Razi Allah Anhu) Tashreef Lae Hain, Aap (Aleh Salaam) Ne Farmaya, Woh Ahl-E-Jannat Main Se Hain"..
(Tibraani Kabeer, Jild#12, Page#405, Raqam Ul Hadees 13495, Maktabatul Uloom O Al Hakam Al Mosal)
Imaam Haakim (Rehmatullah Aleh) Likhte Hain:
Tarjuma: " Hazrat Abdullah Bin Umar (Razi Allah Anhu) Bayaan Karte Hain, K Subah K Waqt Hazrat Usman (Razi Allah Anhu) Ne Humen Farmaya, Beshak Mene Huzoor (Aleh Salaam) Ko Guzishta Raat Khwaab Main Dekha, Aap (Aleh Salaam) Ne Farmaya, Ae Usman Aaj Hamaray Pas Aaj Humaray Pass Roza Iftaar Karo, Pas Hazrat Usman (Razi Allah Anhu) Ne Rozay Ki Haalat Main Subah Ki Aur Usi Roza Unhen Shaheed Kar Diya Gaya"..
(Mustard Al Haakim, Jild#3, Page#110, Raqam Ul Hadees 4554, Matboo'a Daar Ul Kutub, Ilmiyah, Beroot)
Imaam Tibraani (Rehmatullah Aleh) Likhte Hain:
Tarjuma: " Hazrat Umar Bin Khataab (Razi Allah Anhu) Lihkte Hain, K Huzoor (Aleh Salaam) Ne Farmaya, Jis Din Usman (Razi Allah Anhu) Ki Shahaadat Waaqet Hogi, Us Din Aasmaan K Farishtey Un Par Durood Bhejenge"..
(Tibraani Al Osat, Jild#3, Page#287, 3172, Matboo'a Daar Ul Harmen, Al Qahaarah)
Imaaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri Main Riwaayat Karte Hain:
Tarjuma: " Ibn-E-Adi O Ibn-E-Asakar (Rehmatullah Aleh) Ne Hazrat Anas (Razi Allah Anhu) Se Riwaayat Ki, Unhon Ne Kaha K Huzoor (Aleh Salaam) Ne Farmaya, Ae Usman (Razi Allah Anhu)! Mere Baad Tuhmen Khilaafat Di Jae Gi, Aur Munaafiqeen Chahenge K Tum Use Chor Do, Tum Use Na Chorna, Aur Tum Us Din Roza Rakhna Q K Tum Mere Pass Iftaar Karoge"..

Tarjuma: " Haakim (Rehmatullah Aleh) Ne Sahi Bata Kar, Abdullah Bin Hawaala (Razi Allah Anhu) Se Riwaayat Ki Hai, Unhon Ne Kaha K Rasool Allah (Aleh Salaam) Ne Farmaya, Tum Log Ek Aese Shakhs Par Biloh Karoge, Jo Chaadar Se Imaama Baandhay Ga, Aur Jannati Logon Ki Be'at Lega, To Jab Logon Ne Hazrat Usman (Razi Allah Anhu) Par Biloh Kiya To Woh Hari Chadar Ka Imaama Baandhay Be'at Le Rahe The"..

Tarjuma: " Hazrat Abdullah Bin Hawala (Razi Allah Anhu) Se Unhon Ne Huzoor (Aleh Salaam) Se Riwaayat Ki, Huzoor (Aleh Salaam) Ne Farmaya, Jo 3 Baaton Se Mehfooz Raha, Us Ne Nijaat Paai, Sahaba (Razi Allah Anhu) Ne Arz Kiya, Ya Rasool Allah (Aleh Salaam) Woh 3 Baaten Kiya Hain??
Farmaya Meri Rehlat Hai, Aur Us Khaleefa Ka Qatal Hai Jo Haq Par Qaem Reh Kar Haq Par Jaan De Ga"..
(Dalael Un Nabuwwah, Jild#6, Page#392, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)

Tarjuma: " Haakim (Rehmatullah Aleh) Ne Sahi Bata Kar Aur Behki (Rehmatullah Aleh) Ne Ibn-E-Masood (Razi Allah Anhu) Se Riwaayat Ki, Unhon Ne Kaha K Rasool Allah (Aleh Salaam) Ne Farmaya, Islaam Ki Chakki Pentees (35), Ya Chattees (36), Ya Sentees (37) Saal K Baad Ghoomein Ga, To Agar Woh Log Halaak Huwe, To Rah E Sawaab Halaak Hone Waalon Main Hai, Aur Agr In Ka Deen In K Liye Qaem Raha, To Sattar Saal Tak Qaem Rahe Ga, Hazrat Umar E Faarooq (Razi Allah Anhu) Ne Arz Kiya Ya Nabi (Aleh Salaam) Yeh Muddat Guzishta Saal Se Hai?? Farmaya, Nahin Jo Aaendah Aaegi..
Behqi (Rehamtullah Aleh) Ne Farmaya, Lihaaza Aesa Hi Waqey Huwa, Bani Ummaiyyah Ki Hukoomat Is Saal Main Hi Rahi, Yahaan Tak K Jab In Main Sasti Dar Inindaaz Huwi, To Sattar (70) Hijri K Kareeb Khuraasaan Se Daawa Karne Waalon Ka Zahoor Huwa"..

Tarjuma: " Aap (Aleh Salaam) Qareeb Tar Hone Waalay Finon Ka Zikar Farma Rahe The, Isi Asna Main Ek Shakhs Guzra, Aap (Aleh Salaam) Ne Farmaya, Us Din Yeh Shkahs Hidaayat Par Hoga"..
(Fazail E Sahaba, La Bin Hambal, Jild#1, Page#507, Raqam Ul Hadees 828, Matboo'a Masasta, Risaala Beroot)
Imaam Abu Bakkar Ahmed Bin Hussain Behki 458 Hijri Main Riwaayat Karte Hain:
Tarjuma: " Hazrat Huzaifa (Razi Allah Anhu) Se Riwaayat Hai K Unhon Ne Kaha Rasool Allah (Aleh Salaam) Ne Farmaya, Qayaamat Us Waqt Tak Qaem Na Hogi, Jab Tak Tum Apne Imaam Ko Qatal Na Karoge, Aur Ek Dusrey Ko Apni Talwaar Se Qatal Karoge, Aur Tumhare Shareer Log, Tumhari Dunya K Waaris Banjaen Ge"..
(Dalael Un Nabuwwah, Jild#6, Page#391, Matboo'a Daar Ul Kutun Ilmiyah, Beroot)
(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#209, Matboo'a Daar Ul Kutub, Ilmiyah, Beroot)

Tarjuma: " Behki Aur Abu Naeem (Rehamtullah Aleh) Ne Al "Ma'arfah" Main Abu Rehman Bin Adees Se Riwaayat Ki K Mene Rasool Allah (Aleh Salaam) Se Suna Hai, Aap Ne Farmaya, Log Deen Se Is Tarah Nikal Jaenge, Jese Qamaan Se Teer Nikal Jaata Hai, Aur Woh Labnaan K Pahaaron Main Qatal Kiye Jaenge, Ibn-E-Lahiya'a (Rehamtullah Aleh) Ne Kaha K Abdur Rehman Bin Adees In Bulwaaiyon Main Shaamil Tha, Jo Ahl-E-Misar K Saath Qatal-E-Usman (Razi Allah Anhu) Ki Garz Se Chale The, In Bulwaaiyon Ne Hazrat Usman (Razi Allah Anhu) Ko Qatal Kiya Tha, Is Waqey K Ek Ya Do Saal Baad Libnaan Main Ibn-E-Adees Ko Qatal Kiya Gaya"..
(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#209, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
(Dalael Un Nabuwwah Imaam Behki, Jild#6, Page#394-395, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)

Tarjuma: " Haaris Bin Abi Usama (Rehmatullah Aleh) Ne Apni Musnad Main Muhaajireen E Habib (Razi Allah Anhu) Se Riwaayat Ki, Unhon Ne Kaha K Hazrat Usman (Razi Allah Anhu) Ne Abdullah Bin Salaam (Razi Allah Anhu) Ko Kisi Ko Bhej Kar Bulwaya, Uar Woh Us Waqt Mehsoor The, Hazrat Usman (Razi Allah Anhu) Ne Abdullah (Razi Allah Anhu) Se Kaha K Apna Sir Utha K Is Rozan Ko Dekho, Aaj Raat Rasool Allah (Aleh Salaam) Is Rozan Se Ronaq Afroz Huwe, Aur Farmaya, Ae Usman (Razi Allah Anhu) Kiya Tum Mehsoor Ho?? Mene Kaha Haan, To Aap Ne Ek Dol Latkaya, Aur Mene Us Main Se Paani Piya Aur Main Apne Andar Is Ki Thandak Ab Tak Paa Raha Hun, Is K Baad Huzoor (Aleh Salaam Ne Mujh Se Farmaya, Agar Tum Chaho To Main Allah Se Dua Karun, Woh Tuhmen In Par Gaalib Karde Ga, Aur Agar Tum Chaho To Hamare Pass Iftaar Karo, To Mene Aap (Aleh Salaam) K Pass Haazir Hone Ko Ekhtiyaar Kiya Hai, Aur Woh Usi Din Shaheed Kiye Gaye"..
(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#209, Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)

Tarjuma: " Hazrat Qees Bin Abi Haazim (Razi Allah Anhu) Bayaan Karte Hain, K Abu Sahla (Razi Allah Anhu) Ne Muhjey Bataya, K Hazrat Usman (Razi Allah Anhu) Ne Yom-E-Daar (Muhaasray K Din) Ko Farmaya, Jab Woh Mehsoor The K Beshak Huzoor (Aleh Salaam) Ne Mujhey Ek Wasiyat Farmai Thi, Pas Main Isi Par Saabir Hun Aur Hazrat Qees (Razi Allah Anhu) Bayaan Karte Hain, K Woh Is Ka Intezar Kiya Karte The"..
(Musnad Ahmed, Jild#1, Page#69 Raqam Ul Hadees 501, Matbooa Mosasta, Qurtuba Misar)

Tarjuma: " Ibn-E-Mani'e (Rehmatullah Aleh) Ne Apni Musnad Main Ba Tareeq Naumaan Bin Basheer (Razi Allah Anhu) Se Riwaayat Ki K Jab Hazrat Usman (Razi Allah Anhu) Mehsoor Hogaye, To Rozay Se Rehne Lage, Ek Din Iftaar Ka Waqt Aaya, To Unhon Ne Bulwaaiyon Se Iftaar K Liye Sheereen Paani Maanga, Magar Unhon Ne Paani Dene Se Inkaar Kar Diya, Aap Ne Tashnagi K Aalam Main Raat Basar Ki, Phir Jab Seher Ka Waqt Aaya, To Aap Ne Farmaya, K Rasool Allah (Aleh Salaam) Is Chat Se Ronaq Afroz Huwe, Aap K Saath Paani Ka Dol Thaa, Aap (Aleh Salaam) Ne Farmaya, Ae Usman (Razi Allah Anhu)! Paani Piyo To Mene Paani Piya, Yahaaan Tak K Main Seraab Hogaya, Phir Farmaya, Aur Ziyaadah Piyo To Mene Piya, Yahaan Tak K Main Ser Hogaya"..

Faisla Khud Karen, Itna Sab Kuch Gaib K Baaray Main Batane K Baawajood Bhi Agar Koi Yeh Kahe K Nabi (Aleh Salaam) Ko Ataai Ilm-E-Gaib Haasil Nahin, To Woh Kis Qadar Bad Qismat Hoga, K Nabi (Aleh Salaam) Ki Is Qadar Shaan Main Kami Kare.
Hadees # 37:
Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri Main Likhte Hain:
Tarjuma: " Muslim (Rehmatullah Aleh) Ne Abi Hameed (Razi Allah Anhu) Se Riwaayat Ki K Hum Rasool Allah (Aleh Salaam) K Hamrah The, Nasraaniyon K Hamaly Ki Khabar Suni Kar, Tabook Ki Taraf Rawaana Huwe, Doraan E Safar Waadi E Qiraa'a Main Ek Khaatoon K Baag K Paas Se Guzre, Sarwar-E-Qonen (Aleh Salaam) Ne Farmaya, Tum Us Baag Ki Khajooron Ka Takhmeena Lagao, Hum Ne Takhmeena Lagaya, Huzoor (Aleh Salaam) Ka Andaaza 10 Wusaq Tha, Us Aurat Se Kaha Tum Apni Khajooron Ka Naam Tol Kar Lena, Aur Hum Inshaallah Tumhare Paas Wapis Aaenge, Hum Medaan E Tabook Main The, K Ek Roz Aap (Aleh Salaam) Ne Farmaya, Aaj Raat Main Shadeed Huwa, Aur Sakht Jharken Chalen Ge"..
(Khasais Ul Kubra, Jild#1, Page#458, Daar Ul Kutub, Ilmiyah, Beroot)
Imaam Muslim (Rehmatullah Aleh) Likhte Hain:
Tarjuma: " Huzoor (Aleh Salaam) Ne Irshaad Farmaya, Yeh Aandhi Kisi Munaafiq Ki Moat Ki Alaamat Hai, Phir Jab Hum Madinay Puhnchay To Maaloom Huwa, Munaafiqeen Ka Peshwa Mar Chuka Tha"..
(Muslim Shareef, Kitaab Us Sifaat Ul Munaafiqeen)
Imaam Abdul Maalik Bin Hasshaam 213 Hijri Main Likhte Hain:
Tarjuma: " Munaafiqeen K Sardaaaron Main Se Ek Sardaar Aaj Mar Gaya, Rafa'a Bin Zaid Taaboot Ka Ta'alluq Bhi Isi Qabeelay Se Tha, Jab Huzoor (Aleh Salaam) Gazwah Bani Mustalaq Se Waaapis Tashreef Laa Rahe The, To Raastay Main Shadeed Aandhi Ka Saamna Karna Para, Musalmaan Use Dekh Kar Bhaaag Gaye, Huzoor (Aleh Salaam) Ne Farmaya, Khofzada Hone Ki Zarurat Nahin, Yeh Aandhi Kufaar K Azeem Sardaaron Main Se Ek Sardaar Ki Moat K Liye Aai Hai, Jab Huzoor (Aleh Salaam) Madina E Teba Main Ronaq Afroz Hogaye, To Maaloom Huwa, K Rafa'a Bin Zed Isi Din Mara Tha, Jab Shadeed Aandhi Aai Thi"..
(As Seerat Un Nabuwwiyyah Al Maaroof, Seerat Ibn-E-Hasshaam, Jild#2, Page#60-61, Matboo'a Daar Ul Jeel, Beroot)
Yahi Imaam Abdul Maalik Bin Hasshaam 213 Hijri Main Dusri Jagah Likhte Hain:
Tarjuma: " Huzoor (Aleh Salaam) Ne Farmaya Is Aandhi Se Na Daro, Yeh Aandhi Ek Baray Munaafiq Ki Wajah Se Chali Hai, Jab Sahaba Madina E Teba Puhnchay To, Unhon Ne Rafa'a Bin Zaid Ki Moat Ki Khabar Suni Jo Bani Qenqah Se Ta'alluq Rakhta Tha, Yeh Yahoodiyon Ka Ek Sardaar Tha, Aur Munaafiqon Ki Panah Gaah Tha, Aur Yeh Usi Din Mara Jis Roz Aandhi Chali Thi"..
(As Seerat Un Nabuwwiyyah Al Maaroof, Seerat Ibn-E-Hasshaam, Jild#4, Page#255, Matboo'a Daar Ul Jeel, Beroot)
Haafiz Abu Bakar Ahmed Bin Hussain Behki 458 Hijri Main Riwaayat Karte Hain:
Tarjuma: " Huzoor (Aleh Salaam) Ne Farmaya Yeh Aandhi Kisi Munaafiq Ki Moat Ki Alaamat Hai, Phir Jab Hum Madinay Puhnchay To Maaloom Huwa, Munaafiqeen Ka Peshwa Foat Hogaya"..
(Dalael Un Nabuwwah, Jild#4, Page#61, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)

Tarjuma: " Huzoor (Aleh Salaam) Ne Farmaya, Ek Munaafiq Ki Moat Ki Wajah Se Yeh Aandhi Bheji Gai Hai, Jab Hum Madina Teba Puhnchay To Ek Bohat Bara Munaaafiq Mar Chuka Tha"..
(Musnad Ahmed, Jild#3, Page#315, Raqam Ul Hadees 14418, Matboo'a Mosasta Qurtuba Misar)
Imaam Abi Al Farj Abdul Rehman Al Jazwi 598 Hijri Main Likhte Hain:
Tarjuma: "Huzoor (Aleh Salaam) Ne Farmaya, Yeh Aandhi Madina E Munawwarah Main Ek Munaafiq K Marne Ki Wajah Se Chal Rahi Hai, Phir Jab Hum Madina Puhnchay To Waqa'i Munaafiqeen Main Se Ek Bohat Bara Munaafiq Isi Din Jahannum O Asal Ho Chuka Tha"..
(Al Wafa, Ba Hawal-E-Mustafa, Jild#1, Page#310, Matboo'a Mustafa Al Baabi, Beroot)

Tarjuma: " Huzoor (Aleh Salaaam) Ne Farmaya, Yeh Aandhi Ksi Munaafiq Ki Moat Ki Alaamat Hai, Phir Jab Hum Madina Puhnchay To Maaloom Huwa, Munaafiqeen Ka Peshwa Foat Hogaya"..
(Khasais Ul Kubra,Jild#1, Page#391, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
Muhammad Haaroon Ma'aawiyah Deobandi Likhte Hain:
"Hazrat Jaabir (Razi Allah Anhu) Se Riwaaayat Hai, K Ek Dafa Rasool Allah (Aleh Salaam) Ek Safar Se Waapis Tashreef La Rahe The, Jab Madinay K Kareeb Puhnchay To Ek Shadeed Hawa Chali, Huzoor (Aleh Salaam) Ne Farmya, Yeh Hawa Ek Munafiq Ki Moat K Liye Chali Hai, Lihaaza Jab Aap Madina Main Daakhil Huwe To Logon Ne Khabar Di K Aaj Rafa'a Bin Zaid Mar Gaya Hai, Yeh Shakhs Fil Haqeeqat Bohat Bara Munaafiq Tha"..
(Khusoosiyaat E Mustafa (Aleh Salaam), Jild#2 Page#250, Matboo'a Daar Ul Isha'at Karachi)
Faisla Aap Khud Karen K Itna Kuch Batane K Baad Bhi Kiya Nabi (Aleh Salaam) Ko Gaib Ka Ilm Nahin??
Hadees # 38:

Tarjuma: " Imaam Muhammad Bin Ishaaq (Rehmatullah Aleh) Ne Bayaan Kiya K Jis Shakhs Ne Akrama (Rehamtullah Aleh) Se Suna, Us Ne Mujh Se Yeh Hadees Bayaaan Ki K, Akrama (Rehamtullah Aleh) Hazrat Ibn-E-Abbas (Razi Allah Anhu) Se Riwaayat Karte Hain, K Jis Shakhs Ne Jang-E-Badar Main Abbas Bin Abdul Mutal'lib (Razi Allah Anhu) Ko Giriftaar Kiya, Woh Abu Ul Yasar Bin Umro The, Un Ka Ta'alluq Banu Salma Se Tha, Un Se Rasool Allah (Aleh Salaam) Ne Pucha, Abu Ul Yasar Tum Ne Is Ko Kese Giriftaar Kiya Tha ?? Unhon Ne Kaha, Is Ma'aamlay Main Ek Shakhs Ne Meri Madad Ki Thi, Jis Ko Mene Is Se Pehle Na Dekha Tha, Is K Baad Us Ki Esi Esi Haeiyyat Thi, Tab Rasool Allah (Aleh Salaam) Ne Farmaya, Tumhari Madad Ek Mukarram Farishte Ne Ki Thi, Aur Abbas (Razi Allah Anhu) Se Farmya, Ae Abbas Tum Apna Fidya Bhi Do, Aur Apne Bhateejay Aqeel Bin Abi Taalib Aur Nofil Bin Al Haaris Ka Fidya Bhi Do, Aur Apne Haleef Atba Bin Hajdam Ka Fidya Bhi Do, Aur Jin Ka Ta'alluq Banu Al Haaris Bin Fahar Se Hai, Abbas (Razi Allah Anhu) Ne In Ka Fidya Dene Se Inkaar Kiya, Aur Kaha Main Is Gazwah Se Pehle Islaam Kabool Kar Chuka Tha, Yeh Log Mujhey Zabardasti Apne Saath Lae Hain, Aap (Aleh Salaam) Ne Farmaya, Allah Tumhare Maamlay Ko Khoob Jaanne Waala Hai, Aur Agar Tumhara, Daaawa Bar Haq Hai, To Allah Tum Ko Is Ki Jaza Dega, Lekin Tumhara Zaahir Haal Yeh Hai K Tum Hum Par Hamla Aawar Huwe, So Tum Fidya Ada Karo, Aur Rasool (Aleh Salaam) Us Se 20 Okiyah Sona (Bator E Maal E Ganimat) Wasool Kar Chukay The, Abbas (Razi Allah Anhu) Ne Kaha Ya Rasool Allah (Aleh Salaam)!! Is 20 Okiyah Sonay Ko Mere Fidye Main Kaat Len, Aap (Aleh Salaam) Ne Farmaya: Nahin! Yeh Woh Maal Hai Jo Allah Ne Humen Tum Se Le Kar Diya Hai, Abbas (Razi Allah Anhu) Ne Kaha, Mere Pass Aur Maal To Nahin Hai, Huzoor (Aleh Salaam) Ne Farmaya, Woh Maal Kahaan Hai, Jo Tu Ne Makkah Se Rawaangi K Waqt Umm Ul Fazal K Pass Rakha Tha, , Us Waqt Tum Dono K Pass Aur Koi Nahin Tha, Aur Tum Ne Yeh Kaha Tha K Main Is Muhim Main Kaam Aagaya To, Is Maal Main Se Itna Fazal Ko Dena, Itna Qasham Ko Dena Aur Itna Abdullah Ko Dena, Tab Abbas (Razi Allah Anhu) Ne Kaha, Us Zaat Ki Qasam Jis Ne Aap Ko Haq De Kar Bheja Hai, Mere Aur Umm Ul Fazal K Ilaawah, Is Sab Ko Aur Koi Nahin Jaanta, Aur Ab Muhjey Yakeen Hogaya K Aap Allah K Rasool Hain"..
(Subhan Allah)
(Musnad Ahmed, Jild#1, Page#353, Raqam Ul Hadees 3310, Matboo'a Mosasta Qurtuba, Misar)

Tarjuma: " Imaam Muhammad Bin Ishaaq (Rehmatullah Aleh) Ne Bayaan Kiya K Jis Shakhs Ne Akrama (Rehamtullah Aleh) Se Suna, Us Ne Mujh Se Yeh Hadees Bayaaan Ki K, Akrama (Rehamtullah Aleh) Hazrat Ibn-E-Abbas (Razi Allah Anhu) Se Riwaayat Karte Hain, K Jis Shakhs Ne Jang-E-Badar Main Abbas Bin Abdul Mutal'lib (Razi Allah Anhu) Ko Giriftaar Kiya, Woh Abu Ul Yasar Bin Umro The, Un Ka Ta'alluq Banu Salma Se Tha, Un Se Rasool Allah (Aleh Salaam) Ne Pucha, Abu Ul Yasar Tum Ne Is Ko Kese Giriftaar Kiya Tha ?? Unhon Ne Kaha, Is Ma'aamlay Main Ek Shakhs Ne Meri Madad Ki Thi, Jis Ko Mene Is Se Pehle Na Dekha Tha, Is K Baad Us Ki Esi Esi Hasiyyat Thi, Tab Rasool Allah (Aleh Salaam) Ne Farmaya, Tumhari Madad Ek Mukarram Farishte Ne Ki Thi".. (Subhanallah)

Tarjuma: " Huzoor (Aleh Salaam) Ne Farmaya, K Woh Maal Kahaan Hai, Jo Tum Ne Rawaangi K Waqt Makkah Umm Ul Fazal Bint E Haaris K Pass Rakha Tha, Jab K Tum Dono K Saath Koi Na Tha?? Tum Ne Un Se Kaha Tha, Mujhey Is Safar Main Moat Aagai, To Fazal K Liye Itna Itna, Aur Abdullah K Liye Itna Itna Hai, Unhon Ne Kaha, Qasam Hai Us Zaat Ki Jis Ne Haq K Saath Aap Ko Mab'oos Kiya, K Is Ka Siwae Mere Aur Umm E Fazal K Kisi Ko Ilm Na Tha".. (Subhanallah)
(Tabqaat Ibn-E-Saad, Jild#4, Page#14, Matboo'a Daar Us Saadir, Beroot)
Allama Muhammad Bin Yousuf Al Saalhi 942 Hijri Main Likhte Hain:
Tarjuma: " Hazrat Ibn-E-Abbas (Razi Allah Anhu) Bayaan Karte Hain K Nabi E Kareem (Aleh Salaam) Ne Jang E Badar K Din Ahl-E-Jahiliyat Ka Fidya (400) Darham Muqarrar Kiya, Aur Hazrat Abbas Ne Yeh Daawa Kiya, K Un K Pass Bilkul Maal Nahin Hai, Tab Rasool Allah (Aleh Salaam) Ne Farmaya, Acha To Woh Maal Kahaan Hai ,Jo Tum Ne Umm Ul Fazal Ne Mil Kar Dafan Kiya Tha, Aur Tum Ne Kaha Tha, K Agar Main Is Moohim Main Kaam Aagaya, To Yeh Mera Maal Mere Beton Ka Hai, Al Fazal, Abdullah Aur Qasam, Hazrat Abbas (Razi Allah Anhu) Kaha, Allah Ki Qasam Mujhey Ab Yakeen Hogaya, K Aap Allah K Rasool Hain, Is Baat Ka Mere Aur Umm Ul Fazal K Siwa Kisi Ko Ilm Na Tha"..
(Naseem Ur Riyaaz, Sharah Shifa Ul Qaazi, Jild#4, Page#197, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)

Tarjuma: " Ibn-E-Ishaaq Aur Imaam Zehri Se Naqal Karte Hain K Hazrat Abbas (Razi Allah Anhu) Ne Kaha, K Ya Rasool Allah (Aleh Salaam) Mere Pass Fidya Dene K Liye Kuch Nahin, Aap Ne Farmaya, Woh Maal Kahaan Hai, Jo Tum Ne Aur Umm Ul Fazal Ne Dafan Kiya Tha, Aur Tum Ne Dam Rukhsat Yeh Kaha K Agar Main Mara Jaaoun To Yeh Maal Mere Beton Fazal Aur Qasam K Liye Hai, Yeh Sunkar Hazrat Abbas (Razi Allah Anhu)! Allah Ki Qasam Mujhey Yakeen Hogaya, K Aap Allah K Rasool Hain, Ba Khuda Is Ma'aamlay Ka Mere Aur Umm Ul Fazal K Ilaawa Kisi Ko Qat'an Ilm Na Tha"..
(Khasais Ul Kubra, Jild#1, Page#341, Matboo'a Daar Ul Qutub Ilmiyah, Beroot)
Muhammad Haroon Ma'aawiyah Deobandi Likhte Hain:
Hazrat Abdullah Ibn-E-Abbas (Razi Allah Anhu) Aur Umm Ul Momineen Ayesha (Razi Allah Anhu) Se Riwaayat Hai K Jang E Badar Main Kaafiron Ko Shikast Huwi, To Huzoor (Aleh Salaam) K Chacha Abbas Bin Abdul Mutallaib Jo Us Waqt Eemaan Nahin Lae The, Woh Bhi Aseer Ho Kar Aae The, Huzoor (Aleh Salaam) Ne Qediyon K Aewaz Fidyah Talab Kiya, To Unhon Ne Arz Ki Keh Mere Pass Itna Maal Nahin K Zar Fidyah Ada Kar Sakun, Huzoor (Aleh Salaam Ne Farmaya, Woh Maal Kiya Hua, Jo Tum Umm Ul Fazal (Hazrat Abbas Ki Zoja) K Pass Dafan Kiya Hai Aur Us Se Keh Aae The, K Agar Main Maara Jaoun To Yeh Maal Meri Aulaad K Liye Hai, Hazrat Abbas (Razi Allah Anhu) Ne Kaha, Ya Rasool Allah (Aleh Salaam) Khuda Ki Qasam Is Maal Ki Mere Aur Umm Ul Fazal K Siwa Kisi Ko Khabar Na Thi"..
(Musnad E Ahmed)
(Khoososiyaat E Mustafa (Aleh Salaam), Jild#2, Page#250-251,Matboo'a Daar Ul Isha'at, Karachi)
Faisla Khud Karen K Aaya Ab Bhi Huzoor (Aleh Salaam) Ko Ilm-E-Gaib Nahin??
Hadees # 39:

Tarjuma: " Hazrat Abdullah Bin Haaris Bin Nofil (Razi Allah Anhu) Bayaan Karte Hain, K Nofil Bin Haaris Badar Main Giraftaar Kiye Gaye To, Un Se Rasool Allah (Aleh Salaam) Ne Farmaya Ae Nofil Apni Jaan Ka Fidya Do, Arz Ki Ya Rasool Allah (Aleh Salaam)!! Mere Pass To Kuch Bhi Nahin Jis Se Main Apni Jaan Ka Fidya Ada Kar Sakun, Farmya, Apni Jaan Ka Fidya Un Nezon Se Ada Karo Jo Jadday Main Hain, Is Par Nofil (Razi Allah Anhu) Ne Arz Ki, Main Gawahi Deta Hun, Beshak Aap Allah K Rasool Hain".. (Subhan Allah)
(Tabqaat Ibn-E-Saad, Jild#4, Page46, Matboo'a Daar Us Saadir, Beroot)

Tarjuma: " Hazrat Abdullah Bin Haaris Bin Nofil Kehte Hain, K Jab Nofil Bin Haaris Badar K Muqaam Par Qedi Huwe, To Huzoor (Aleh Salaam) Ne Un Se Farmaya, Apne Fidya De Kar Azaadi Haasil Karlo, Unhon Ne Farmaya Mere Pass To Jaan Churaane K Liye Koi Cheez Nahin, Huzoor (Aleh Salaam) Ne Farmaya Us Maal Se Fidya Do, Jo Jaddah Main Hai, Yeh Sun Kar Nofil Pukaar Uthe, Main Gawahi Deta Hun, K Aap Allah K Rasool Hain, Phir Us Maal Ka Fidya De Kar, Rihaai Haasil Ki"..
(Khasais Ul Kubra, Jild#1, Page#342, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
Allama Abu Al Qasim Abdur Rehman Bin Abdullah 571 Hijri Main Likhte Hain:
Tarjuma: " Musalmaan Hone Waale Aseeran-E-Badar Main Se Ek Hazrat Nofil Bin Haaris Bin Abdul Mutallib (Razi Allah Anhu) Hain, Kaha Jaata Hai K Aap Ne Gazwahe Khandak K Saal Islam Qabool Kiya, Aur Madina E Teba Ki Taraf Hijrat Ki, Yeh Bhi Kaha Gaya Hai K Aap Usi Waqt Islam Le Aae The, Jab Aap Ko Qed Kiya Gaya, Waqiyah Yun Hai K Nabi E Pak (Aleh Salaam) Ne Farmaya, Apna Fidya Ada Karo, Unhon Ne Arz Kiya, Mere Pass Fidyeh Ki Adaegi K Liye Maal Nahin, Huzoor (Aleh Salaam) Ne Farmaya, Un Nezon K Zariye Fidya Ada Karo Jo Tum Ne Jaddah Main Rakhey Hain, Huzoor (Aleh Salaam) Ka Yeh Irshaad Sun Kar Woh Kehne Lage, Qasam Ba Khuda Allah Ta'ala K Siwa Kisi Ko Is Baat Ka Ilm Na Tha, K Jaddah Main Mere Nezay Pare Hain, Main Gawahi Deta Hun K Aap Allah Ta'ala K Sachay Rasool Hain"..
(Roz Al Anaf Tasmee'ah Man Asar Man Al Mushrikeen Yom E Badar,Jild#3, Page#76, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
Allama Yousuf Ismail 1350 Hijri Main Likhte Hain:

(Hajjatullah Ali Ul Aalameen Fi Mojizaat Saiyyad Ul Mursaleen, Page#347, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
Faisla Aap Ka.. Kiya Ab Bhi Aap Ko Yakeen Nahin K Mere Nabi (Aleh Salaam) Ko Allah Ta'ala Ne Ilm-E-Gaib Ata Kiya??
Hadees # 40:
Allama Yousuf Bin Ismail Al Nibhaani 1350 Hijri Main Likhte Hain:
Tarjuma: " Hazrat Abi Bin Roman Aur Hazrat Abdullah Bin Abi Bakar (Razi Allah Anhu)Se Marwi Hai K Nabi (Aleh Salaam) Ne Khaalid Bin Waleed Ko Domah K Hukmuraan Akedah Ki Taraf Bheja, Akedar Nasraani Tha. Huzoor (Aleh Salaam) Ne Peshan Goi Farmai K Tum Use Us Haalat Main Paao Ge K Woh Ek Jangli Gayen (Cow) K Shikaar Main Masroof Hoga, Lihaaza Hazrat Khalid Bin Waleed (Razi Allah Anhu) Rawaana Huwe, Yahaan Tak K Hazrat Khaalid Bin Waleed Qilay K Itne Qareeb Puhanch Gaye Jahaan Se Aadmi Nazar Aaskata Tha,Raat Chaandni Thi, Akeedar Apni Biwi K Hamrah Qilay Ki Chat Par Tha,Isi Asna Main Ek Jangli Gayen (Cow) Qilay K Darwaazay K Saath Apna Sir Takraaney Lagi, Akeedar Ki Biwi Ne Us Se Kaha Kiya Aap Ne Kabhi Aesa Manzar Dekha Hai?? Us Ne Kaha Nahin, Phir Us Ki Biwi Ne Kaha Kiya Is Tarah K Shikaar Ko Chora Jaa Sakta Hai? Akeedar Ne Kaha Nahin, Koi Yeh Moqa Haath Se Zaaya Nahin Kar Sakta, Woh Qilay Se Neechey Aaya, Hukum Diya K Ghoray Par Zain Rakhi Jae, Phir Us Par Sawaar Huwa, Aur Us K Saath Us K Gharaanay K Chand Admi The, Woh Apne Shikaar K Liye Rawaana Huwe To, Nabi (Aleh Salaam) K Qaflay Se Se Unki Mad Bheeer Huwi, Unhon Ne Use Giraftaar Kar Liya, Aur Us K Bhai Hassaan Ko Giraftaar Kar Liya, Jis Par Deebaaach Ki Sunehri Qubaa Thi, Hazrat Khaalid Bin Waleed Ne Use Cheen Kar Huzoor (Aleh Salaam) Ki Khidmat Main Akeedar K Hamrah Bhej Diya..
Ibn-E-Ishaaq (Rehmatullah Aleh) Kehte Hain K Jab Hazrat Khaalid Bin Waleed Akeedar Ko Le Kar Nabi (Aleh Salaam) Ki Khidmat Main Haazir Huwe To Huzoor (Aleh Salaam) Ne Unhen Jaan Bakhshi Farmai, Aur Juziyah Par Sulah Kar Li, Phir Use Riha Kar Diya, Banu Tay K Ek Shakhs Bajeer Ne Is Waqiyeh Ka Yun Zikar Kiya Hai,
Ba Barkat Hai Woh Jo Neel Gayenyon (Cows) Ko Haank Kar Laaney Waala Hai, Mene Dekha K Allah Ar Taalib-E-Hidaayat Ko Hidaaya Deta Hai..
Pas Jo Shakhs Tabook Waale Nabi Se Munharif Hota Ho, To Woh To Humen Jihaad Ka Hukum Diya Gaya Hai..
Behki (Rehmatullah Aleh) Ne Zikar Kiya, K Rasool Allah (Aleh Salaam) Ne Is Shaair Ko Dua Dete Huwe Farmaya, Allah Tumhary Moun Ko Salaamat Rakhey. Is Dua Ka Asar Yeh Hai K Nabbay (90) Ki Umar Main Bhi Us Shakhs Ki Na To Daar Main Harkat Huwi, Na Us Ka Koi Daant Toota"..
(Khasais Ul Kubra, Jild#1, Page#461, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
(Tibkaat Ul Kubra Ibn-E-Saad, Jild#2, Page#166, Matboo'a Daar Us Saadir, Beroot)

Tarjuma: " Huzoor (Aleh Salaam) Ne Hazrat Khaalid Bin Waleed (Razi Allah Anhu) Ko Bulaaya, Aur Use Doma K Akeedar Ki Taraf Bheja, Yeh Akeedar Bin Abdul Maalik Tha, Yeh Banu Kandah Ka Ek Shakhs Tha, Aur Domah Ka Baadshah Tha, Yeh Nasraani Tha, Huzoor (Aleh Salaam) Ne Hazrat Khaalid Bin Waleed Se Farmaya, Tu Use Bail Ka Shikaar Karte Huwe Paae Ga"..
(Al Seerat Un Nabuwwahiyah Al Maaroof Seerat Ibn-E-Hashaam, Jild#5, Page#207, Matboo'a Daar Ul Jeel, Beroot)
Fasila Khud Karen.. K Hazrat Khaalid Bin Waleed Ko Batana K Woh Akeedar Ko Ek Bail Ka Shikaar Karte Huwe Paaen Ge, Yeh Ilm-E-Gaib Hai Ya Nahin..
Hadees # 41:

Tarjuma: " Hazrat Ibn-E-Hashaam (Rehmatullah Aleh) Ne Kaha, K Kaha Yeh Jaata Hai, K Jab Huzoor (Aleh Salaam) Gazwah-E-Bani Mustalaq Se Waapis Huwe, Jab K Hazrat Jaweriya (Razi Allah Anhu) Aap K Saath Thin, Aap (Aleh Salaam) Ne Hazrat Jaweriyah Ko Bator E Amaanat Ek Ansaari K Din, Aur Hifaazat Ka Hukum Diya, Huzoor (Aleh Salaam) Madina E Teba Puhnchay To, Hazrat Jaweriyah (Razi Allah Anhu) Ka Baap Haaris Apni Beti Ka Fidyah Le Kar Puhncha, Jab Aqeeq K Muqaam Par Puhcha To, Apne Ooonton Ko Dekha Jo Fidyeh K Tor Par Laaya Tha, Use Do (2) Oont Bohat Achay Lage, Aur Us Ne Aqeeq Ki Waadiyon Main Use Chupa Diya, Phir Huzoor (Aleh Salaam) Ki Bargah-E-Aqdas Main Haazir Huwa, Arz Ki Ae Muhammad Aap Ne Meri Beti Ko Pakar Liya Hai, Yeh Oont Us Ka Fidya Hain, Huzoor (Aleh Salaam) Ne Farmaya, Woh Do (2) Oont Kahaan Hain, Jinhen Tum Ne Aqeeq Main Fulaan Fulaan Waadi K Peechey Chupa Diya Hai, Yeh Sun Kar Haaris Ne Kaha Main Gawahi Deta Hun, K Allah Ta'ala K Siwa Koi Maabood Nahin, Aur Aap Allah K Rasool Hain, Allah Ki Qasam Is Baat Par Allah K Siwa Koi Aagah Nahin, Haaris Musalmaan Hogaya, Saath Hi Us K Do (2) Betay Bhi Musalmaan Hogaye, Aur Us Ki Qoam K Kafi Log Bhi Musalmaan Hogaye, Haaris Ne Donon Oonton Ko Laane K Liye Ek Aadmi Bheja, Jo In Donon Oonton Ko Le Aaya, Oont Huzoor (Aleh Salaam) Ki Bargah Main Pesh Kiya Gaye, Huzoor (Aleh Salaam) Ne Hazrat Jaweriyah (Razi Allah Anhu) Ko Haaris K Hawaalay Kar Diya, Hazrat Jaweriyah (Razi Allah Anhu) Ne Islaam Kabool Kar Liya, Aur Bohat Achi Musalmaan Saaabit Huwin, Huzoor (Aleh Salaam) Ne Un K Waalid Ko Daawt-E-Nikah Di, Un K Waalid Ne Apni Beti Ka Nikah Huzoor (Aleh Salaam) Se Kar Diya, Aur Huzoor (Aleh Salaam) Ne Chaar So (400) Darham Meher Ata Kiya"..
(Al Seerat Al Nabuwwahiyah, Al Maaroof Seerat Ibn-E-Hashaam, Jild#4, Page#259, Matboo'a Daar Ul Jeel, Beroot)
Imaam Ali Bin Barhaan Ud Deen Shaafai 1066 Hijri Main Likhte Hain:
Tarjuma: " Hazrat Abdullah Bin Ziyaad Bayaan Karte Hain, Allah Ta'ala Ne Nabi-E-Kareem (Aleh Salaam) Ko Gazwah E Bani Mustalaq Main Jaweriya Bint-E-Haaris Bator E Ganeemat Ata Farmai, To Un Ka Baap Haaris Un Ki Rihaai, K Liye Fidyeh Le Kar Aaya, Jab Aqeeq Main Puhncha, To Oont Ki Taraf Dekha, Jo Apni Beti K Fidyeh Main Diye The, Us Main Se Do (2) Oont Use Bohat Pasand Aae, Pas In Donon Oonton Ko Waadiye Aqeeq Ki Ek Ghaati Main Gayab Kar Diya,Phir Deegar Oonton Ko Hanka Kar Nabi (Aleh Salaam) Ki Khidmat Main Haazir Hogaya, Aur Arz Ki Ya Muhammad! Meri Beti Aap K Yahaan Giraftaar Hai, Yeh Is Ka Fidyah Hai.. Nabi (Aleh Salaam) Ne Farmaya, Woh Donon (2) Oont Kahaan Hain, Jo Tum Ne Waadiyeh Aqeeq Main Gayab Kiya Hain, Yeh Sun Kar Haaris Ne Kaha, K Main Gawaahi Deta Hun K Aap (Aleh Salaam) Allah K Rasool Hain, Waqai Mene Un Donon (2) Oonton Ko Aqeeq Main Gayab Kiya, Aur Is Baat Par Siwae Allah K Aur Koi Aagah Na Tha, Is K Baad Haaris Ne Islam Kabool Kar Liya"..
(Hajjatullah Ali Ul Aalameen Fi Mojizaatsyed Ul Mursaleen, Apge#361, Matboo'a Daarul Kutub Ilmiyah, Beroot)
Fasila Aap Khud Karen.. K Nabi (Aleh Salaam) Ka Batana K Haaris Ne Donon Oont Aqeeq Ki Wadiyon Mai Gayab Kiya K Yeh Gaib Ka Ilm Hai Ya Nahin???
Hadees # 42:
Imaam Abu Bakar Ahmed Bin Hussain 458 Hijri Main Riwaayat Karte Hain:
Tarjuma: " Mazeeda Al Asri Bayaan Karte Hain, K Ek Dafa Nabi E Kareem (Aleh Salaam),Sahaba E Karaam (Razi Allah Anhu) K Saath Maho Guftugu The, K Doraan-E-Guftugu Farmaya, K Anqareeb Is Taraf Se Kuch Sawaar Tumhare Pass Aaenge, Jo Ahl-E-Mashrik K Behtareen Log Hain, Yeh Irshaad Sun Kar, Hazrat Umar (Razi Allah Anhu) Uthey Aur Us Jaanib Rawana Hogaye, To 13 Afraad Par Mushtamil Ek Wafd In Se Mila, Pucha: Kis Qabeelay Se Ta'alluq Hai Tumhara?? To Unhon Ne Bataya: Hum Bani Abdul Qes Se Hain"..
(Khasais Ul Kunra, Jild#2, Page#26, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
Imaam Nibhaani (Rehmatullah Aleh) Likhte Hain:
Tarjuma: " Ibn-E-Shaaheen (Rehmatullah Aleh) Sakhaar Bin Abbas Aur Mazeedah Bin Maalik Se Riwaayat Karte Hain, (Yeh Mazeedah Wafd Abdul Qes K Ek Rukan The) Woh Kehte Hain, K Abdul Qes Daaren K Raahib Ka Ek Dost Tha, Ek Saal Is Se Mulaaqaat Huwi, To Us Ne Bataya, K Makkah Shareef Main Ek Nabi Ka Zahoor Hone Waala Hai, Jo Hadiya Kabool Karta Hai, Magar Sadqa Nahin Khaata, Us K Donon Shaanon K Darmiyaaan Ek Nishaani Hai Aur Woh Saarey Adiyaan Par Gaalib Aajae Ga, Is K Baad Raahib Ki Moat Waaqey Hogai, Is K Baad Ashaj Ne Tehqeeq-E-Haal K Liyeapney Bhaanjey Ko Makkah Shareef Bheja, Woh Hijrat K Saal Aaya, Aur Nabi (Aleh Salaam) Se Mulaaqaat Ki Aur Nabuwat Ki Nishaaniyon Ko Sahi Paa Kar Islam Le Aaya, Nabi-E-Kareem (Aleh Salaam) Ne Us Ko Surah Al Hamd Aur Surah Al Alaq Ki Taaleem Di, Is K Baad Use Hukum Diya, K Ab Jaa K Apney Maamoo Ko Islam Ki Daawat Do, Lihaaza Us Ne Lot Kar Apney Maamoo Ko Tamaam Haalaat Se Aagah Kiya, Jis Ki Wajah Se Abdul Qes Islam Laya Tha, Magar Ek Arsey Tak Apney Eemaan Ko Posheedah Rakha, Phir 16 Mardon K Saath Rawana Huwa, Aur Madinah Aaya, Jis Subah Yeh Wafd Madina Puhncha, Usi Raat Nabi (Aleh Salaam) Ne Peshan Goi Farma Di Thi, K Mashriq Ki Taraf Se Ek Qaafila Aane Waala Hai, Jinhen Islam K Liye Majboor Nahin Kiya Gaya, Balkey Barza O Ragbat Aarahe Hain, In K Rehnuma Ki Ek Alaamat Hai, Lihaaza Abdul Qes Apni Qoam K Chand Nafoos K Saath Aaya, Yeh Fatah-E-Makkah K Saal Ka Waqiyah Hai"..
(Hajjat Ullah Ali Ul Aalameen Fi Mojizat Sayedul Mursaleen, Page#365, Matboo'a Daar Ul Qutub Ilmiyah, Beroot)
Imaam Muhammad Saaad 230 Hijri Main Likhte Hain:
Tarjuma: " Nabi-E-Kareem (Aleh Salaam) Ne Us Raat Jis Ki Subah Ko Banu Abdul Qes Ka Wafd Aaya Tha, Afaq Ki Taraf Dekh Kar Irshaad Farmaya, " Mashrekeen Ki Ek Jama'at Aae Gi, Jinhen Islam K Liye Majboor Nahin Kiya Gaya, Un Logon Ka Haal Yeh Hai K Safar Ki Sobaton Ne Un K Jaanwaron Ko Dubla Kar Diya Hai, In Ka Zaad Rah Khatam Ho Chuka Hai, Aur Un K Sardar Ki Ek Nishaani Hai, Phir Dua Faramai, Ae Allah! Abdul Qes Ko Maaf Farma, Woh Hoosool E Maal K Liye Mere Pass Nahin Aae, Woh Ahl-E-Mashrik K Behtareen Log Hain"
(Tabqaat Ul Kiubra, Ibn-E-Saad, Jild#1, Page#314, Matboo'a Daar Us Saadir Beroot)

Tarjuma: " Haakim (Rehamtullah Aleh) Ne Hazrat Anas (Razi Allah Anhu) Se Riwaayat Ki K Ahl-E-Hijar Se Abdul Qes Ka Ek Wafd Rasool (Aleh Salaam) Ki Khidmat Main Baaryaab Huwa, Woh Bethey The, K Achanak Aap (Aleh Salaam) Ne Un Ki Taraf Mutawwajjah Ho Kar Farmaya: " Tumharey Yahaan Kai Qisam Ki Khajooren Hoti Hain, Aur Tum Falaan Qisam Ki Khajoor Ko Is Naam Se Pukaarte Ho, Yeh Sun Kar Ek Shakhs Bola, Ya Rasool Allah (Aleh Salaam) Meray Maa Baap Aap Par Qurban Hon, Agar Aap (Aleh Salaam) Ki Wilaadat Muqaam E Hijar Main Hoti, To Is Se Ziyaadah Aap In K Muta'alliq Ilm Na Rakhte, Main Gawahi Deta Hun, Aap (Aleh Salaam) Allah K Rasool Hain.. Huzoor (Aleh Salaam) Ne Farmaya, Jab Tum Meray Pass Bethay To Tumhari Sar Zameen Utha Kar Meray Saamney Kar Di Gai, Aur Mene Use Ek Siray Se Dusray Tak Bil Tafseel Dekha, Tumhari Khajooron Main Se Behtareen Khajoor "Barni" Hao Jo Bemaari Dur Karti Hai, Aur Khud Is Main Koi Bemaari Nahin"..
(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#27, Matboo'a Daaar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
Muhaddis-E-Kabeer Imaam Muhammad Bin Ismail Bukhari 256 Hijri Main Riwaayat Karte Hain:
Tarjuma: " Mazeedah Abdi (Razi Allah Anhu) Bayaan Karte Hain K Abdul Qes (Razi Allah Anhu) Pedal Chalte Huwe, Bargah-E-Nabi (Aleh Salaam)Main Haazir Huwe, Aur Aap (Aleh Salaam) K Haath Mubarak Ko Pakar Kar Boosaa Diya,To Nabi-E-Kareem (Aleh Salaam) Ne Un Se Farmaya, K Tumharey Ander 2 Khaslaten Aesi Hain, K Jin Ko Allah Ta'ala Aur Us Ka Rasool (Aleh Salaam) Pasand Karte Hain, Us Ne Arz Kiya Kya Woh Aesi Cheezen Hain? Jin Par Main Peda Huwa Hnu, (Yaani Fitrati) Ya Woh Baad Main Peda Ki Gai Hain, Aap (Aleh Salaam) Ne Farmaya K Balkay Yeh Woh Fitri Hain, Jin Par Tum Peda Kiye Gaye Ho, Abdul Qes (Razi Allah Anhu) Ne Farmaya, Sab Taareefen Allah Ta'ala K Liye Hain, Jis Ne Meray Ander Aesi Khaslaten Peda Farmain, Jin Ko Allah Ta'ala Aur Us Ka Rasool (Aleh Salaam) Pasand Farmatey Hain"..
(Tibraani Kabeer,Jild#20, Page#345, Raqam Ul Hadees 812, Matboo'a Maktab Ul Uloom O Al Hakam Al Mosool)
Fasila Khud Karen, K Nabi (Aleh Salaam) Ka Bata Dena K Us Taraf Se Kuch Sawaar Aaenge, Jo Ahl-E-Mashrik K Behtareen Sawaar Honge, Aur Abdul Qes K Wafd Ko Us Ki Pasandeedah Khajoor Ka Batana, Yeh Ilm-E-Gaib Hai Ya Nahin
Hadees # 43:

Tarjuma: " Abu Ya'ali O Haakim Aur Abu Naeem (Rehmatullah Aleh) Ne Hazrat Ayesha Siddiqe'ah (Razi Allah Anhu) Se Riwaayat Ki K, Unhon Ne Farmaya, Nabi-E-Kareem (Aleh Salaam) Ne Masjid Ki Bunyaad K Liye Sab Se Pehle Khud Pathar Uthaya, Aap K Baad Hazrat Abu Bakar Siddique (Razi Allah Anhu) Ne Pathar Uthaya, Us Waqt Rasool Allah (Aleh Salaam) Ne Farmaya, Merey Baad (Isi Tarteeb Se) Yeh Hazraat Khulafa Honge"..
(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#194, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)

Tarjuma: " O Abu Ya'ali O Haaris Bin Usama , Ibn-E-Habbaan O Haakim (Rehmatullah Aleh) Ne Sahi Bata Kar, Aur Behki O Abu Naeem (Rehmatullah Aleh) Ne Safeena (Razi Allah Anhu) Se Riwaayat Ki K, Jab Nabi-E-Kareem (Aleh Salaam) Ne Masjid Ki Bunyaad Rakhi, To Hazrat Abu Bakar Siddique (Razi Allah Anhu) Pathar Laae, Aap (Aleh Salaam) Ne Use Rakha, Phir Hazrat Umar Faarooq (Razi Allah Anhu) Pathar Laae, Aap (Aleh Salaam) Ne Use Rakha, Phir Hazrat Usman (Razi Allah Anhu) Pathar Laae, Aur Aap (Aleh Salaam) Ne Use Rakha, Us Waqt Aap (Aleh Salaam) Ne Farmaya, Meray Baad Isi Tarteeb Se Khulafa Hongey"..

Tarjuma: " Abu Naeem (Rehmatullah Aleh) Ne Qutba Bin Maalik (Razi Allah Ahu) Se Riwaayat Ki, Unhon Ne Kaha K Rasool Allah (Aleh Salaam) K Pass Haazir Huwa To, Aap K Saath Hazrat Abu Bakar O Umar O Usman (Razi Allah Anhu) They, Aur Aap Masjid E Quba Ki Taameer Farma Rahe The, Aur Haan Aleka, Aap K Saah Sirf Yahi 3 Hazraat Hain, Aap (Aleh Salaam) Ne Farmaya, Meray Baad Yahi 3 Saahibaan Khilaafat Hain"
(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#195, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
Hadees # 44:
Imaam Abu Eesa Tarmizi 279 Hijri Main Riwaayat Karte Hain:
Tarjuma: " Umm Ul Momineen Hazrat Aayesha (Razi Allah Anhu) Bayaan Karti Hain, K Mene Hazrat Fatima (Razi Allah Anhu) Se Ziyaadah, Rasool Allah (Aleh Salaam) K Kareeb Kisi Ko Nahin Dekha, Jo Apni Nashisht Barkhuwaast Aur Zindagi K Aam Maamoolaat Main Aap (Aleh Salaam) K Sab Se Ziyadah Mushaahib Ho, Jab Woh Nabi-E-Kareem (Aleh Salaam) K Paas Aatin To Aap (Aleh Salaam) Kharey Hojaate, In Ko Bosa Dete, Aur In Ko Apney Paas Bithaate, Jab Nabi-E-Kareem (Aleh Salaam) Bemaar Hogaye, To Hazrat Fatima (Razi Allah Anhu) Aain Aur Jhuk Kar Aap Ko Salaam Kiya, Aur Sir Utha Kar Roney Lagin, Phir Dubaara Aap (Aleh Salam) Par Jhukin Aur Sir Utha Kar Hansne Lagin, Jab Nabi-E-Kareem (Aleh Salaam) Foat Hogaye To Mene Un Se Kaha K Jab Aap Pehli Baar Nabi-E-Kareem (Aleh Salam) Par Jhuki Thin, To Roney Lagin Thin, Phir Jab Aap Dusri Baar Jhukin Aur Sir Uthaya To Hansne Lagin Thin, Is Ka Kiya Sabab Tha ?? Hazrat Faatima (Razi Allah Anhu) Ne Farmaya, Main Aap Ka Raaz Bata Rahi Hun, Pehli Baar Aap (Aleh Salaam) Ne Bataya Tha K, Aap Is Dard Aur Is Bemaari Se Foat Hojaenge, To Main Roney Lagi, Phir Dusri Baar Aap (Aleh Salaam) Ne Yeh Bataya Tha, K Aap K Aehel Main Se Sab Se Pehle Main Aap K Saath Milongi, To Main Hansne Lagi"..
(Sunan Tarmizi Baab Fazal-E-Fatima Bint-E-Muhammad (Aleh Salaam), Jild#5, Page#700, Raqam Ul Hadees 3872, Matboo'a Daar Ul Ahya At'turaas Al Arabi, Beroot)
Imaam Ahmed Bin Hambal Ne 241 Hijri Main Yahi Riwaayat Ki:
(Bahawala: Fazail-E-Sahaba Laa Bin Hambal, Jild#2, Page#764, Raqam Ul Hadees 1233, Matboo'a Mosasta Risala Beroot)

Tarjuma: " Huzoor (Aleh Salaam) Ne Faramya, Ae Fatima Kiya Tum Is Baat Se Raazi Nahin Ho Kiya K Jahaanon Aur Is Ummat Ki Aurton Ki Sardaar Ho?? Main Yeh Baat Sun Kar Hans Pari"..
(Dalael Un Nabuuwaah, Page#98, Raqam Ul Hadees 93, Matboo'a Daar Ul Teba Ur Riyaaz)
Faisla Aap Khud Karen K Kiya Yeh Ilm Gaib Nahin K Huzoor (Aleh Salaam) Ne Zainab (Razi Allah Anhu) Ko Bataya K Woh Sab Se Pehle Huzoor (Aleh Salaam) Ko Milengi.
Hadees # 45:

Tarjuma: " Behki (Rehmatullah Aleh) Likhte Hain K Nabi-E-Kareem (Aleh Salaam) Ne Bani Qurezaa Ki Aurton Main Se Rehana Bint-E-Umaro Ko Apni Zojiyat K Liye Pasand Farmaya, To Us Ne Islam Laaney Se Inkaar Kar Diya.. Us Se Aap Kabeedah Khaatir Huwe, Abhi Aap Sahaba Karaam Ki Majlis Main Tashreef Farma They K Aap Ne Apne Peechey Do (2) Jooton K Girne Ki Aawaaz Suni Aur Farmaya: " Yeh Dono (2) Jootey Ibn-E-Sai'yyah K Hain, Jo Mujhey Rehana K Islam Laaney Ki Bashaarat Deraha Hai""..
(Khasais Ul Kubra, Jild#1, Page#386, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah Beroot)
Imaam Abdul Malik Bin Hashaam 213 Hijri Main Likhte Hain:
Tarjuma: " Ek Moqey Par Huzoor (Aleh Salaam) Apney Sahab K Sath Tashreef Farma They, K Apney Peechey Kisi Aaney Waaley K Jooton Ki Aawaaz Suni.. To Huzoor (Aleh Salaam) Ne Farmaya, Beshak Yeh Sho'abla Bin Sai'yyah (Razi Allah Anhu) K Jooton Ki Aawaaz Hai Jo Muhjey Rehana K Qubool-E-Islam Ki Khushkhabri Dene Aarahe Hain, Chunachay Unhon Ne Haazir-E-Khidamt Ho Kar Bataya, Ya Rasool Allah (Aleh Salaam) Rehana Ne Islam Qabool Karliya Hai.. Is K Is Amal Par Aap (Aleh Salaam) Ko Bohat Ziyaadah Khushi Huwi"
(Al Seerat Ul Nabuuwaiyyah, Seerat Ibn-E-Hashaam, Jild#4, Page#205-206, Matboo'a Dar Ul Jeel, Beroot)
Haafiz Ammad Ud Deen Ismail Bin Umar Bin Kaseer Bhi Yahi 774 Hijri Main Likhte Hain:
(Bahawala: Al Seerat Ul Nabuuwaiyyah, Jild#4, Page#503, Matboo'a Daar Ul Kitaab Ul Arabi, Beroot)
Haafiz Abu Bakar Ahmed Bin Hussain 458 Hijri Main Riwaayat Karte Hain:
Tarjuma: " Abhi Aap Sahaba E Karaam (Razi Allah Anhu) Ki Majlis Main Tashreef Farma They K Aap Ne Apney Peechay Do Jooton K Girne Ki Aawaaz Suni, Farmaya: Yeh Dono (2) Jootay Ibn-E-Sho'abla K Hain, Jo Mujhhey Rehana K Islam Laaney Ki Bashaarat De Raha Hai"..
(Dalael E Nabbuwwah, Jild#4, Page#24-25, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
Allama Yousuf Bin Ismail 1350 Hijri Main Likhte Hain:
Tarjuma: "Behqi (Rehmatullah Aleh) Likhte Hain K Nabi-E-Kareem (Aleh Salaam) Ne Bani Qurezaa Ki Aurton Main Se Rehana Bint-E-Umaro Ko Apni Zojiyat K Liye Pasand Farmaya, To Us Ne Islam Laaney Se Inkaar Kar Diya.. Us Se Aap Kabeedah Khaatir Huwe, Abhi Aap Sahaba Karaam Ki Majlis Main Tashreef Farma They K Aap Ne Apne Peechey Do (2) Jooton K Girne Ki Aawaaz Suni Aur Farmaya: " Yeh Dono (2) Jootey Ibn-E-Sai'yyah K Hain, Jo Mujhey Rehana K Islam Laaney Ki Bashaarat Deraha Hai""..
(Hajjatullah Aliulaalameen Fi Ojizaat Saeyyad Ul Mursaleen, Page#343-344, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah Beroot)
Fasila Aap Khud Karen.. Kiya Yeh Ilm-E-Gaib Nahin K Sirf Jootiyon Ki Aawaaz Sun K Bata Diya K Yeh Jootiyon Ki Aawaaz Sho'abla (Razi Allah Anhu) Ki Hai.. Aur Sirf Yeh Na Bataya K Jootiyon Ki Aawaaz Sho'abla (Razi Allah Anhu) Ki Hai, Balkey Yeh Bhi Bataya K Sho'abla (Razi Allah Anhu) Rehana K Islam Qubool Karne Ki Khushkhabri Dene Aae Hain.
Hadees#46:
Allama Abu Al Qaasim Abdur Rehman Bin Abdullah 571 Hijri Main Likhte Hain:
Tarjuma: " Hum Ne Ek Mutassil Sanad Se Abdullah Bin Abi Bakkar Se Riwaayat Naqal Ki Hai K Huzoor (Aleh Salaam) Abu Sufiyaan Ki Taraf Tashreef Le Gaye.. Jab Abu Sufiyaan Ne Aap Ko Dekha To Dil Main Kaha K Kaash Main Jaan Leta K Tune Kis Wajah Se Mujh Par Galba Paaya Hai.. Huzoor (Aleh Salaam) Tashreef Lae, Us K Donon Kandhon K Darmiyaan Apna Haath Maara, Aur Faramya, Ae Abu Sufiyaan Allah Ta'ala Ki Madad Se Tum Par Gaalin Aaya Hun, To Abu Sufiyaan Ne Kaha Main Gawahi Deta Hun K Aap Allah K Rasool Hain"
(Roz Ul Anaf Un Islam Abi Sufiyaan O Saahibiyah, Jild#4, Page#73, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
Imaam Abu Bakar Ahmed Bin Hussain 585 Hijri Main Riwaayat Karte Hain:
Tarjuma: " Abu Sufiyan Bin Harab Fatah Makkah K Baad Ek Din Betha Tha K Us Ne Apney Dil Main Kaha Ae Kaash Main Muhammad (Aleh Salaam) K Muqaabil Ek Lashkar Ikhattha Kar Sakun, Abhi Woh Yahi Soch Raha Tha, K Huzoor (Aleh Salaam) Ne Us Ki Beth Par Thappi De Kar Farmaya, Agar Aesa Huwa To Allah Ta'ala Tumhen Ruswa Kareaga, Us Ne Sir Utha Kar Dekha, To Huzoor (Aleh Salaam) Us K Sir Par Kharey The, Kehne Laga Bakhuda Main Ab Tak Yeh Yakeen Nahin Karta Tha, K Aap Nabi Hain Aur Yeh (Lashkar Jama Karne Ki) Baat To Merey Dil Main Aai Thi K Aap Is Par Aagah Hogaye"..
(Dalael Un Nabuwwah, Baab Islam Hind, Jild#5, Page#102, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
Haafiz Ammad Ud Deen Ismail Bin Umar Bin Kaseer 774 Hijri Main Riwaayat Karte Hain:

(Al Seerat Un Nabuuwaiyyah, Khutba Un Nabi (Aleh Salaam), Jild#3, Page#541, Matbo'a Daar Ul Kitaab Ul Arabi, Beroot)

Tarjuma: " Hazrat Saeed Bin Museb (Rehmatullah Aleh) Se Riwwayat Hai K Jis Raat Makkah Fatah Huwa To Us Raat Musalmaan Makkah Main Daakhil Huwe, Woh Saari Raat Tasbooeh O Tehleel Aur Tawaf-E-Kaaba Main Mashgool Rahe, Yeh Manzar Dekh Kar Abu Sufiyaan Ne Apni Biwi Hind Se Kaha: " Kiya Tujhey Allah Ki Yeh Shaan, Be Niyaazi Nazar Nahin Aarahi Hai?? Jab Subah Huwi To Darbaar-E-Risaalat Main Haazir Huwa, Nabi-E-Akram (Aleh Salaam) Ne Use Dekhte Hi Faramya: Haan Waqai Yeh Allah Ki Taraf Se Hai, Abu Sufiyan Ne Yeh Sun Kar Kaha Main Gawahi Deta Hun, K Aap Allah K Banday Aur Us K Rasool Hain, Jab Main Ne Yeh Baat Kahi Thi To Siwae Allah Aur Hind K Koi Aur Sunne Waala Na Tha"..
(Dalael Un Nabuwwah Baab Islam Hind, Jild#5, Page#103, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah Beroot)

(Al Seerat Ul Nabuwwaiyah, Khutaba Un Nabi (Aleh Salaam), Jild#3, Page#542, Matboo'a Daar Ul Kitaab Ul Arabi, Beroot)
Imaam Abi Al Farj Abdur Rehman Bin Al Jazwi 597 Hijri Main Likhte Hain:
Tarjuma: " Hazrat Ibn-E-Abbas (Razi Allah Anhu) Bayaan Karte Hain K Nabi-E-Kareem (Aleh Salaam) K Doraan-E-Tawaaf Abu Sufiyaan Aur Hind K Darmiyaan Mulaaqaat Huwi, Aap (Aleh Salaam) Ne Faramya, Ae Abu Sufiyaan Tumharey Aur Hind K Darmiyaan Aesi Aesi Baaten Huwi Hain, Abu Sufiyaan Ne Dil Main Kaha Hind Ne Mera Raaz Faash Kar Diya, Main Us Ka Aesa Aesa Hashar Karunga, Jab Nabi-E-Kareem (Aleh Salaam) Tawwaaf Se Faarig Huwe, To Abu Sufiyaan Se Mile Aur Faramya, Abu Sufiyaan! Hind Se Is Qisam Ki Guftugu Na Karna, Hind Ne Tumhara Raaz Fash Nahin Kiya, Yeh Sun Kar Abu Sufiyaan Kehne Laga, Main Gawahi Deta Hun, K Aap Allah K Rasool Hain"
(Khasais Ul Kubra, Jild#1, Page#441-442, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah Beroot)

Tarjuma: " Allama Sayyad Ahmed O Halaan Makki (Rehmatullah Aleh) Likhte Hain, Haasil Kalaam Yeh Hai K Abu Sufiyaan Ko Shoru Shoru Main Yeh Inqalaab Nagawaar Guzri, Magar Nabi-E-Akram (Aleh Salaam) Us K Saath Narmi Aur Taaleef E Qalb Se Kaam Lete Rahe, Yahaan Tak K Islam Us K Dil Main Jam Gaya, Baad Main Gazwah-E-Taef K Doraan Us Ki Ek Aankh Phoot Gai To Woh Use Hatheli Par Utha Kar Nabi-E-Kareem (Aleh Salaam) Ki Khidmat Main Haazir Huwa, Huzoor (Aleh Salaam) Ne Farmaya, Agar Tum Chaho To Allah Ta'ala Tumhari Aankh Ko Pehle Se Behtar Surat-E-Haal Main Lota De, Ya Yeh Pasand Karo K Allah Ta'ala Tumhen Jannat Main Tumhen Is Se Behtar Aankh Ata Karde, Yeh Sun Kar Abu Sufiyaan Ne Woh Aankh Phenk Di Aur Kaha K Main Jannat Ki Is Se Achi Aankh Pasand Karta Hun, Is Ki Dusri Aankh Khilaafat-E-Umar (Razi Allah Anhu) Main Yarmok Ki Larai K Doraan Phoot Gai, Woh Mujaahideen Ko Jihaad-O-Qataal Ki Targeeb Dete Huwe Keh Rahe The, Logo! Yeh Allah K Azeem Ayyaam Main Se Ek Din Hai, Tum Allah K Deen Ki Madad Karo, Allah Tumhari Madad Karega"..
(Hajjat Ul Ali Ul Aalameen, Fi Mojizaat Saeyyad Ul Mursaleen, Page#357, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
Faisla Aap Khud Kar Sakte Hain, K Abu Sufiyaan K Dil Ki Baat Jaanna Ilm-E-Gaib Hai Ya Nahin.
Hadees # 47:

Tarjuma: " Huzoor (Aleh Salaam) Ne Umair Se Farmaya, Tumhen Kiya Huwa, Jo Hathiyaar Liye Aae Ho? Unhon Ne Kaha K Haazri Hotey Waqt Main Bhoolay Se Talwaar Liye Chala Aaya, Aap (Aleh Salaam) Ne Farmaya K, Tum Q Aae?? Umair Ne Kaha K Main Apney Larkey K Fidyeh Main Aaya Hun.. Huzoor (Aleh Salaam) Ne Farmaya Kiya Tum Ne Haram Main Safwaan Bin Ummaiyyah Se Uhad Kiya Hai?? Arz Ki Main Ne Kuch Nahin Kiya.. Farmaya K Tum Ne Yeh Uhad Kiya K Muhjey Tum Is Shirt Pe Qatal Karige K Woh Tumhen Yeh Cheezen De Ga, Tumhara Qarz Ada Karega, Aur Tuhmaray Ayaal Kharch Bardaasht Karega, Umair Ne Yeh Sun Kar Kaha, Main Gawahi Deta Hun, K Allah K Siwa Koi Maaabood Nahin Aur Beshak Aap Allah K Rasool Hain, Ya Rasool Allah Wallah Mere Aur Safwaan K Ilaawa Kisi Ko Itlaa Na Thi, Main Jaanta Hun K Allah Ne Aap Ko Aagah Kar Diya"..
(Tibqaat Ibn-E-Saad, Jild#4, Page#200, Matboo'a Daar S Saadir, Beroot)
Imaam Abu L Hasan Ali Bin Muhamad Bin Habib Al Maawrdi Bhi 429 Hijri Main Yahi Riwaayat Karte Hain:
(Bahawala: Aalaam Un Nabuwwaah, Page#162, Matboo'a Daar Ul Kitaab Ul Arabi, Beroot)

Tarjuma: " Huzoor (Aleh Salaam) Ne Farmaya, Mujhey Sachi Baat Batao Tum Q Aae Ho? Us Ne Kaha Main To Isis Maqsad K Liye Aaya Hun, Aap (Aleh Salaam) Ne Farmaya, Tu Aur Sufwaan Bin Ummaiyyah Ne Hajar Main Beht Kar Koowaiin Main Daalay Jaaney Waaley Quresh Ka Tazkara Kiya, Phir Tu Ne Kaha Agar Mujh Par Qarz Na Hota Aur Agar Meray Haan Ahl-O-Ayaal Na Hote To Main Muhammad (Aleh Salaam) Ko Qatal Karne K Liye Zarur Rawaana Hota, Safwaan Bin Ummaiyah Ne Terey Qarz Aur Teray Ahl-O-Ayaal Ki Zimedaari Is Shirt Par Utha Li, K Tu Is Ki Khaatir Mujhey Qatal Karega, Haalaankay Tere Aur Is K Iraaaday K Darmiyaan Allah Ta'ala Haael Hai, Umair Keh Utha, Main Gawahi Deta Hun, K Aap Allah K Rasool Hain"..
(Al Seerat Un Nabuwwiyah Al Maaroof Seerat Ibn-E-Hashaam , Jild#3, Page#214, Matboo'a Daar Ul Jeel, Beroot)
Faisla Aap Kar Sakte Hain, Kiya Yeh Gaib Ka Ilm Nahin K Huzoor (Aleh Salaam) Ne Umair Bin Wahab K Aaney Ka Maqsad Bata Diya.. Aur Un K Safwaan Bin Ummaiyaah Ki Baat Cheet Ka Bhi Bata Diya..
Hadees # 48:

Tarjuma: " Ibn-E-Saad (Rehmatullah Aleh) Ne Hazrat Saabit (Razi Allah Anhu) Se Riwaayat Ki, Unhon Ne Kaha K Huzoor (Aleh Salaam) Ne Bani Qalb Ki Ek Aurat Ko Nikah Ka Peghaam Diya, Aur Hazrat Ayesha (Razi Allah Anhu) Ko Dekhne K Liye Bheja To Woh Gaye, Jab Woh Waapis Aaen To Rasool Allah (Aleh Salaam) Ne Un Se Pucha, Tum Ne Kiya Dekha?? Unhon Ne Kaha Mene Koi Khaas Baat Nahin Dekhi, Huzoor (Aleh Salaam) Ne Farmaya, Tum Ne Ek Khaas Baat Dekhi Hai, Tum Ne Dekha K Us K Rukhsaar Par Ek Tilhai, Jis Ko Dekh Kar Tumharey Badan K Tamaam Rongtay Kharey Hogaye, Is Par Unhon Ne Arz Kiya, Ya Rasool Allah (Aleh Salaam) Aap Se Koi Baat Posheedah Nahin Hai, Yaani Aap (Aleh Salaam) Ko Har Shey (Cheez) Ka Ilm Hai"..
(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#181, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
Imaam Abi Al Farj Abdur Rehman Al Jozi 597 Hijri Main Likhte Hain:
Tarjuma: " Hazrat Ayesha (Razi Allah Anhu) Se Riwaayat Ki K Nabi (Aleh Salaam) Ne Un Ko Us Aurat Ko Dekhne Bheja, Jis K Liye Aap Ne Peghaam E Nikah Diya Tha, To Unhon Ne Aa Kar Kaha, Main Ne Koi Khaas Baat Nahin Dekhi Hai, Aap (Aleh Salaam) Ne Farmaya, Tum Ne Us K Rukhsaar Par Til Dekha Hai, Jise Dekh Kar Tumhaarey Rongtay Kharey Hogaye, Woh Farmaati Hain, Aap (Aleh Salaam) Se Koi Baat Posheedah Nahin Reh Sakti, Khuwaaaah Koi Aap Se Kitna Hi Chupaae, Kis Main Yeh Jur'at Hai"..
(Al Wafa, Ba Hawaal Ul Mustafa, Al Baab Al Khaamis, Ashar Fi Akhbaar E Rasool Allah (Aleh Salaam) Bilgaayebaat, Jild#1, Page#314, Matboo'a Mustafa, Al Baabi, Misar)

Tarjuma: " Riwaayat Ki Gai Hai K Huzoor (Aleh Salaam) Ne Ek Aurat Ko Daawat-E-Nikah Di, Aur Umm-Ul-Momineen Hazrat Ayesha (Razi Allah Anhu) Ko Dekhney K Liye Bheja, Jab Umm-Ul-Momineen Hazrat Ayesha (Razi Allah Anhu) Waapis Aain, To Arz Ki Main To Is Main Koi Faeda Nahin Dekhti, To Huzoor (Aleh Salaaam) Ne Farmaya, Tu Ne Us K Rukhsaaar Main Ek Til Dekha Hai, Jis Ki Wajah Se Terey Jisam Ka Har Baal Khara Hogaya"..
(Roz-Ul-Anaf, Lilsaheli, Gerat-Un-Nisa Un Nabi, Jild#4, Page#20, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
Faisla Aap Khud Kar Sakte Hain, Yeh Hadees To Khulli Daleel Hai Ilm-E-Gaib Ki... Jis Main Saaf Waazeh Hai, K Huzoor (Aleh Salaam) Ne Bataya Hazrat Ayesha Ko K Unhon Ne Un K Rukhsaar Pe Til Dekha Tha, Aur Til Dekhney Se Un K Rongtey Kharey Hogaye..
Kiya Yeh Ilm-E-Gaib Nahin??
Aur To Aur Jawaab Main Hazrat Ayesha (Razi Allah Anhu) Ne Kiya Kaha??
Unhon Ne Kahaa K Huzoor (Aleh Salaam) Ko Har Shey Ka Ilm Hai, Aur Un Se Koi Bhi Baat Posheedah Nahin.. Ab Aap Hi Eemaan Ki Roshni Main Faisla Karlen.
Hadees # 49:

Tarjuma: " Allama Zubair (Bin Bakkaar Rehmatullah Aleh) Ne Riwaayat Kiya K Huzoor (Aleh Salaam) Ne Ek Shakhs Ko Kuch Tahaif De Kar, Hazrat Usman (Razi Allah Anhu) Aur Hazrat Ruqaiyyah (Razi Allah Anhu) K Pass Bheja, Woh Qaasid Kaafi Arsaa Wahin Thera Raha, Jab Woh Waapis Aaya To Huzoor (Aleh Salaam) Ne Usey Farmaya, Agar Tum Chaho To Main Tumhen Bata Deta Hun, K Kis Cheez Ne Tumhen Wahin Roqye Rakha?? Us Ne Arz Ki Haan!! Huzoor (Aleh Salaam) Ne Farmaya, Hazrat Usman (Razi Allah Anhu) Aur Hazrat Ruqaiyyah (Razi Allah Anhu) K Husan O Jamaal Ne Tujhey Wahin Roqey Rakha, Us Ne Arz Ki Huzoor (Aleh Salaam) Ne Sach Farmaya, Main Un K Husan O Jamaal Ki Dil Kashi Main Khoya Raha"..
(Roz Ul Anaf, Baab Ul Hajrah, Ali Al Arz Al Habsha, Jild#2, Page#91, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
Allama Muhammad Bin Yousuf Al Saalihi Al Shaaami 942 Hijri Main Likhte Hain:
Tarjuma: " Ibn-E-Asaakar (Rehmatullah Aleh) Ne Batareeq Abi Aasim (Razi Allah Anhu) Riwaayat Ki, Kaha K Mujh Se Hazrat Usman (Razi Allah Anhu) K Ek Ghulaam Ne Hadees Bayaan Ki K Rasool Allah (Aleh Salaam) Ne Hazrat Usman (Razi Allah Anhu) K Pass Koi Cheez Hadyatan Bheji, Aur Woh Qaasid Kuch Der Thera Raha, Phir Woh Qaasid Aaya, To Rasool Allah (Aleh Salaam) Ne Use Farmaya, Tum Kis Liye Theray Rahe..?? Phir Farmaya, Agar Tum Chaho To Main Tumhen Bataoun K Kis Bina Par Tum Theray Rahe?? Farmaya, Tum Ek Nazar Hazrat Usman (Razi Allah Anhu) Par Daaltey They, Aur Ek
Nazar Hazrat Ruqaiyyah (Razi Allah Anhu) Par, Aur Yeh Dekhtey The, K In Main Se Kaun Ziyaaadah Haseen Hai, Usne Kaha, Aap Ne Such Farmaya, Qasam Hai Us Zaat Ki, Jis Ne Aap Ko Haq K Saath Ma'oos Farmaya, Isi Baat Ne, Mujhey Therae Rakha Tha"..
(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#180, Matboo'a Daar Ul Qutub Ilmiyah, Beroot)
Yahi Allama Muhammad Bin Yousuf Al Saalihi Al Shaami 942 Hijri Main Likhte Hain:
Tarjuma: " Ibn-E-Asaakar (Rehmatullah Aleh) Ne Batareeq Zubair Bin Bakaar (Razi Allah Anhu) Se Riwaayat Ki K Mujh Se Muhammad Bin Salaam (Rehmatullah Aleh) Ne Hadees Bayaan Ki, Kaha K Mujh Se Hazrat Usman Bin Af'aan (Razi Allah Anhu) K Ghulaam Abu Al Muqaddam Ne Hadees Bayaan Ki, Unhon Ne Kaha K Rasool Allah (Aleh Salaam) Ne Ek Aadmi K Haath Bakri K Paae, Hazrat Usman Bin Af'aan (Razi Allah Anhu) K Yahaan Bhejey, Woh Aadmi Kuch Der Thera Raha, Nabi (Aleh Salaam) Ne Farmaya, Agar Tum Chaho To Main Tumhen Bata Dun, K Kis Liye Tum Wahaan Theray Rahe, Us Ne Kaha Ya Rasool Allah (Aleh Salaam)!! Zarur Bataiyeh, Aap (Aleh Salaam) Ne Farmaya, Tum Hazrat Usman (Razi Allah Anhu) Aur Hazrat Ruqqaiyyah (Razi Allah Anhu) Ko Dekh Kar Un K Husan Par Ta'ajjub Kar Rahe The"..
(Sabal Ul Huda, Jild#10, Page#54, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
Faisla Aap Khud Kar Sakte Hain, K Kiya Yeh Ilm-E-Gaib Nahin, K Huzoor (Aleh Salaam) Ne Bata Diya, K Qaasid Wahaan Kis Wajah Se Ther Gaya Tha, Khud Parhen Aur Khud Sochen.
Hadees # 50:
Muhaddis-E-Kabeer Imaam Abu Naeem Ahmed Bin Abdullah Asfahaani 430 Hijri Main Likhte Hain:
Tarjuma: " Hazrat Khazeem (Razi Allah Anhu) Muhaajireen Main Se Hain, Yeh Wohi Hain K Jab Nabi-E-Kareem (Aleh Salaam) Ne Sahaba (Razi Allah Anhu) Se Farmaya, Yeh Heerah Bezaa Hai, Jise Meray Saamney Laaya Gaya Hai, Aur Yeh Sheema Bint-E-Nafeelah Azdiyah Apney Khachar Shehba'a Par Kaala Dopatta Orhey Mojood Hai, Khazeem (Razi Allah Anhu) Ne Kaha, Ya Rasool Allah (Aleh Salaam) Hum Ne, Heera'h Ko Fatah Kar Liya, Aur Hum Ne Sheemah Ko Isi Haalat Main Paaya, To Kiya Woh Meri Hogai, Huzoor (Aleh Salaam) Ne Farmaya, Haan Woh Teri Hogai, Phir Hazrat Khazeem (Razi Allah Anhu), Hazrat Khaalid Bin Waleed (Razi Allah Anhu) K Saath K Saath Muslimah Kazzaab Ko Qatal Karne Chal Parey, Chunachay Hazraat Sahaaba-E-Karaam (Razi Allah Anhu) Ne Muslimah Kazzaab Ko Jahannum Waasil Kiya, Phir Hazrat Khazeem (Razi Allah Anhu), Hazrat Khaalod Bin Waleed (Razi Allah Anhu) K Saath Heeera'h Ki Taraf Chal Diye, Jab Musalmaanon Ka Ka Lashkar Heera'h Main Daakhil Huwa To, Sab Se Pehley Unhen (Sheemah) Bint-E-Buqeelah Siyaahi Maeel Ek Taqatwar Khachar Par Sawaar Mili, Jesa K Huzoor (Aleh Salaam) Ne Us Ki Haalat Bayaan Farmai Thi, Chunachay Use Dekhte Hi, Hazrat Khazeem (Razi Allah Anhu) Us Sey Chimat Gaye, Aur Is Ka Daawa Karne Lage, Un K Muta'alliq Huzoor (Aleh Salaam) K Farmaan Ki Gawaahi, Hazrat Muhammad Bin Musallimah, Aur Hazrat Abdullah Bin Umar (Razi Allah Anhu) Ne Di, Lihaaza Khaalid Bin Waleed (Razi Allah Anhu) Ne Sheema'a, Hazrat Khaalid Bin Waleed (Razi Allah Anhu) K Supard Kar Di, Phir Sheem'a K Pass Us Ka Bhai Abdul Maseeh, Qilay Se Neechey Utar Kar Aaya, Aur Khazeem (Razi Allah Anhu) Se Kehne Laga, Sheema'a Ko Mujhey Bech De, Khazeem (Razi Allah Anhu) Ne Jawaab Diya, Ba Khuda, Main Ek Hazaar Se Kam Nahin Karunga, Lihaaza Abdul Maseeh Ne Ek Hazaar De Kar, Sheema'a Ko Le Liya, Aur Phir Kehne Lage, Agar Tum Ek Laakh Bhi Maangte, To Main Woh Bhi Dene Ko Tayyaar Tha, Hazrat Khazeem (Razi Allah Anhu) Kehney Lagey, Main To Yahi Samajhta Raha, K Maal Dus So (10*100) (Yaani Ek Hazaar) Se Ziyaadah Hota Hi Nahin"..
(Hilyat Ul Oliya, O Tabqaat Al Asfiya, Zikar Hazrat Khazeem Bin Os (Razi Allah Anhu), Jild#1, Page#364, Matboo'a Daar Ul Kitaab Al Arabi, Beroot)

Tarjuma: " Bukhaari (Rehmatullah Aleh) Ne Apni "Taareekh" Main Aur Tibraani Ne Behki Aur Abu Naeem (Rehmatullah Aleh) Se Khazeem Bin Os Bin Haarisah, Bin Laam (Razi Allah Anhu) Se Riwaayat Ki, Unhon Ne Kaha Mene Rasool Allah (Aleh Salaam) Ki Jaanib Se Us Waqt Hijrat Ki Jab K Aap Tabook Se Waapis Tashreef Lae The, Huzoor (Aleh Salaam) Ne Us Waqt Farmaya, Yeh Heerah Beezah Hai, Jise Meray Saamney Laaya Gaya Hai, Aur Yeh Sheema'a Bint-E-Nafeelah Azdiyah Apney Khachar Sheba'ah Par Kaal Dopatta Orhey Mojood Hai, Mene Arz Kiya Ya Rasool Allah (Aleh Salaam)!! Agar Hum Heerah Main Daakhil Hon, Aur Agar Main Ise Wesa Hi Paaon Jesa K Aapney Sifat Bayaan Ki, To Kiya Woh Meray Liye Hogi, Huzoor (Aleh Salaam) Ne Farmaya, Woh Tumharey Liye Hai, Lihaaza Jab Haazrat Abu Bakkar Siddique Ka Zamana-E-Khilaafat Aaya Aur Hum Muslimah Kazzaab K Istesaal Se Faarig Huwe, To Heerah Ki Taraf Mutawwajjah Huwe, Hamarey Daakhil Honey K Baad Jo Aurat Sab Se Pehley Humen Mili, Woh Sheema'a Bint-E-Nafeelah Thin, Aur Usi Haaal Main Thin, Jis Haalat Ki Huzoor (Aleh Salaam) Ne Khabar Di Thi, Yaani Woh Apney Khachar Shebah Par Kaala Doppata Orhey Sawaar Thi, Aur Main Is K Saaath Muta'alliq Hogaya, Aur Mene Kaha Yahi Woh Aurat Hai, Jise Huzoor (Aleh Salaam) Ne Mujhey Ata Farmaya..
Hazrat Khaalid Bin Waleed (Razi Allah Anhu) Ne Is Par Mujh Se Shahaadat Talab Farmai, Aur Mene Us Ki Shahaadat Pesh Ki, Woh Shahaadat Muhammad Bin Muslimah (Razi Allah Anhu) Aur Muhammad Bin Bashar (Razi Allah Anhu) Ki Thi, To Hazrat Khaalid Bin Waleed (Razi Allah Anhu) Ne Usey Meray Hawaaley Kar Diya, Phir Uska Bhai Jamarey Pass Sulah Ki Garz Se Aaya, Aur Us Ne Kaha K Ise Farokht Kar Do, Mene Kaha Khudah Ki Qasam Dus So (10*100) Darham Se Kam Na Karunga, To Us Ne Mujhey Ek Hazaar Darham De Diye, Phir Mujh Se Kaha, Agar Tum Ek Laakh Darham Bhi ,Aamgtey To Main Zarur Deta, Mene Kaha Main Dus Soo Darhum Se Ziyaadah Ginti Jaanta Hi Nahin Tha"..
(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page186-187, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
Faisla Aap Khud Kar Sakte Hain, Yeh Batana K Sheema'h Bint-E-Nafeelah, Apney Khachar Pe Kaala Dopatta Orhey Milengi, Yeh Gaib Ki Khabar Hai Ya Nahin.
Hadees # 51
Hazrat Jabir Bin Samura (Radi Allah Ta'ala Anhu) Bayan Karty Hain K Main Nain
Huzur Akram (Sallalahu A'laihay Wa Alehi Wasallam) Ko Farmaty Huay Suna K Aap (Sallalahu A'laihay Wa Alehi Wasallam) Nain Farmaya:
“Muslmaano Ki Ya Moomino Ki Ek Jama’at Zurur Aal-E-Kisra K Us Khaziny Ko Fatah Kary Gi Jo Qasr-E-Abyad (White Palace) Main Hay.”
Sahi Muslim Kitab Al Fitan Wa Ashraat As Sa’ah Jild 4 Safa 223 Hadith Number : 2919
Ahmad Bin Hambal Al Musnad Jild 5 Safa 89, 100 Hadith Number : 20854 , 29083
Abu Y’ala Al Musnad Jild 13 Safa 441 Hadith Number : 7444
Hadees # 52
Hazrat Huzaifah (Radi Allah Ta'ala Anhu) Farmaty Hain K
"Huzur (Sallalahu A'laihay Wa Alehi Wasallam) Nain Mujhy Qayamat Tak Roonuma Honay Wali Har Baat Bata Di Aur Koi Aysi Baat Na Rahi Jisy Main Nain Aap (Sallalahu A'laihay Wa Alehi Wasallam) Say Poocha Na Ho. Albatta Main Nain Yeh Na Pucha K Ahl-E-Madinah Ko Kaunsi Cheez Madeenah Say Nikaly Gi?"
Sahi Muslim Kitab Al Fitan Wa Ashraat As Sa'ahchapter Baab Qayamat Tak Paish Any Waly Fitnon K Bary Main Aap Swallallahualaihiwasallam
Ka Khabar Dayna Jild 4 Safa 2217hadith Number: 2891
Ahmad Bin Hambal Al Mustadrak Jild 5 Safa 386 Hadith Number: 23329
Haakim Al Mustadrak Jild 4 Safa 472 Hadith Number 8311
Hadees # 53
1. Hazrat Abu Amamah (Radi Allah Ta'ala Anhu) Say Marwi Rawayat K Akhir Main Yeh Alfaaz Hain.
Aap (Sallalahu A'laihay Wa Alehi Wasallam) Farmaya:
"Pas Mujh Say Duniya Aur Akhirat K Bary Main Kiye Jaany Waly Sawalaat K Jawabaat Main Nain Usi Muqaam Par Jaan Liay."
Tabrani Aur Ruyani
Ek Aur Rawayat K Alfaaz Hain K
Aap (Sallalahu A'laihay Wa Alehi Wasallam) Nain Farmaya:
"Aur Main Duniya O Akhirat Ki Har Cheez Ki Haqeeqat Jaan Bhi Li Aur Daykh Bhi Li."
Tabrani
3. Hazrat Jabir Bin Samrah (Radi Allah Ta'ala Anhu) Say Marwi Rawayat K Akhir Main Yeh Alfaaz Hain.

"Pas Us K Baad Kabhi Aysa Nahi Hua K Mujh Say Kisi Cheez K Mutalliq Sawal Kiya Gaya Ho Aur Main Usy Na Janta Hon."
Ibn E Abi Shaibah Aur Ibn E Abi 'Asim
Yeh Hadees Hassan Hay Aur Is K Rijaal Thiqah Hain.
References
Tirmidhi Tafseer Al Quran Surah Saad Hadith Number: 3233-3235
Darimi As Sunan Jild 2 Safa 170 Hadith Number: 2149
Ahmad Bin Hambal Al Musnad Safa/Jild: 368/1, 66/4, 243/5
Tabrani M'ajam Al Kabeer Safa/Jild: 290/8, 109/20, 141/20
Ruyani Al Musnad Jild 1 Safa 429 Hadith Number: 656
Abu Y'ala Al Musnad Jild 4 Safa 475 Hadith Number: 2608
Ibn E Abu Shaibah Musannaf Jild 6 Safa 313 Hadith
Number: 31706
Hadees # 54
Hazrat Abu Bakr Siddiq Radiallahu Anh Ka Imaan Laane Ka Waqiya:
Ek Martaba Tijaarat Ke Garz Se Mulk Shaam (Syria) Rawaana Hue. Raat Ko Mahwa Isteraahat Hue To Ek Ajeeb Sa Khawaab Dekha Ke Chaand, Sooraj Aasmaan Se Utar Gaya Hai Aur Aapne In Donon Ko Seene (Chest) Se Lagaya Hai. Ala Al Sahih Baheera Raaheb (Ek Sahi Aalim Woh Zamaane Main) Ke Paas Gaye, Is Ne Poocha Kahaan Se Aaye Hain? To Farmaya Makkah Se, Phir Poocha: Kis Khandaan Se Talluq Hai? Aapne Farmaya Quraish Se, Phir Sawaal Kiya Aap Kya Kaam Karte Hai? Aapne Farmaaya Taajir Hoon, Us Ne Kahaa Aap Ke Khwaab K Taabeer Ye Bataaye Ke Tumhaara Khwaab Yoon Poora Hoga:
"Beshak Teri Qaum Se Ek Nabi Ma'aboos Hoga To Tum Is Ke Hayaat Main Is Ke Wazeer Honge Aur Baad Wafaat Is Ke Khalifa Aur Jaanasheen Banoge"
Hazrat Abu Bakr Siddiqe Radiallahu Anhu Dar E Mustafa Swallallahualaihiwasallam Per Haazir Hue Aur Poocha, Aapne Daawa E Nabuwwat Kiya Hai?? Nabi E Kareem Swallallahualaihiwasallam Ne Farmaaya Haan,(Hazrat Abu Bakr Ne) Arz Kiya Koi Daleel Hai ? Huzoor Swallallahualaihiwasallam Ne Farmaaya Kya Woh Daleel Kaafi Nahi Hai Jo Mulke Shaam (Syria) Main Dekh Kar Aaye Ho. Hazrat Abu Bakr Siddiqe Radiallahu Anhu Ne Fauran Kalima Padha Aur Islam Main Daakhil Ho Gaye.
Zurqaani Alal Mawahib Jild 1 Safa 239-240
Al Riyadh Al Azar Jild 15 Safa 413
Seerat E Halbiya Jild 1 Safa 274
Khasais Al Kubra Jild 1 Safa 72
Tareeq E Damishq Jild 2 Safa 9
Is Waqiye Ko Maulvi Nawaab Siddiq Hasan Khan Bhopali (Ahle Hadis Mohaddis) Ne Apne Kitaab "Takreem Al Momineen" Safa 10-11 Per Naqal Kiya Hai
Note: Alhamdulillah In Tamam Ahadees E Mubaraka Se B Malum Hua K Allah Taala Ne Apne Mehboob Bande Ko Ilm E Gaib Ataa Kiya Hai Aur Saath Hi Humne Uloom E Khamsa Per B Ahadees E Paak Peshki Jisse Saaf Wazeh Hogaya Ki Allah Taala Ne Nabi Swallallahualaihiwasallam Ko Uloom E Khamsa Ka B Ilm Ataa Kiya.
“Aur Koi Gaib Kya Tum Se Niha Ho Bhala,
Jab Na Khuda Hi Chupa Tum Pe Croro Durood”
Swallallahualaihiwasallam.
-shaikh mohammad imran saifi
Ilm E Gaib Ki Woh Hadees Jise Gustakh Ilm E Gaib Ki Nafi K Liye Dalil Lete Hai Aur Unke Jawabaat
http://786sho.blogspot.in/2017/04/ilm-e-gaib-ki-woh-hadees-jise-gustakh.html

No comments:
Post a Comment