Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Saturday, 6 May 2017

Shabe Baraat Shabaan ki Hakeekat

Fazail E Shabaan Pe Kuch Hadees E Paak Yahan Padh Sakte Hai CLICK HERE Shabe Baraat Ki Hakikat Post 01 Click Here
POST 02 : Shabe Baraat Shabaan ki Hakeekat
Pichli post me humne kayi hadees e paak se NISF E SHABAN shabe baraat kay fazail pe sahi mustanad hadees pesh ki hai.

15 Shaban Ko Amal Pesh Hona, Rizq Pahuchna

Imam Jalaludin Suyuti Shafai Rehmatullah Alaih Apni Tasneef Shara Us Sudoor Me Ek Baab Kayam Karte Hai  
Uske tahet hadees e paak naql karte hai

“Baab : Har Saal Umr’on Ka Munqata’y Hona”
Daylami Ne Abu Hurraira Radiallahu Anhu Se Rivayat Ki Rasoolullah Ne Farmaya Shabaan Tak Umr Munqata’y Ki Jaati Hai, Hatta Ki Aadmi Nikah Karta Hai Aur Uske Yahan Aulaad Hoti Hai Halanki Indallah uska Naam Murdo Ki Fahrisht Me Aachuka Hota hai.
Front Cover & Scan Page Shara Us Sudoor Pg 53
Imam Abi Ad’dunya Rahmatullah Alaih Ne Ata bin Yasaar Radiallahu Anhu Se Rivayat ki kay Jab NISF Shaban (yaani 15) ki Raat hoti hai To Malkul Maut Ko EK Sahifa Diya Jaata Hai aur kaha Jaata hai ki isme jitne Aadmi hain, unki rooh kabz karo kyuki insaan darakht lagata hai nikaah karta hai ghar banata haiaur uske yahan aulaad hoti hai halanki uskaa naam Murdo me likha Chuka hai.

Imam Ibn Jarir Rahmatullah Ne Hazrat Iqrama Radiallahu anhu Se Rivayat Ki Shabaan Ki 15wi Raat Se Lekar Dusre Shabaan Tak Kay Tamam  Umur Tay Hochuke Hote Hain, Zindo Aur Murdo ki Fehrisht Aur Haajiyo’n ki Fehrisht Phir Isme Zyadati Aur Kami Nahi Hoti.

Imam Daynuri Rahmatullah Alaih Ne Mazalisa Me Rivayat Ki Nabi E Karim Ne Farmaya ki Nisf Shabaan Ki Raat Me Allah Taala Farishte Ko Wohi Karta hai js Nafs ko Is saal kabz Karna hai karle.

8 to 11 Number Hadees Scan Page Shara Us Sudoor Pg 54
Imam Abdul Razzaq Rahmatullah Alaih Apni Musannaf Me Ek Baab Kayam Karte hai BAAB NISF MIN SHABAAN
Is baab kay Tahet Imam Abdul Razzaq Ne iske Fazail Me bhi kayi hadees jama ki jo khud Imam Abdul Razzaq ka bhi nazariya jaahir karti hai.
Hadees 12 :
عَنِ ابْنِ عُيَيْنَةَ، عَنْ مِسْعَرٍ، عَنْ رَجُلٍ، عَنْ عَطَاءِ بْنِ يَسَارٍ قَالَ: «تُنْسَخُ فِي النِّصْفِ مِنْ شَعْبَانَ الْآجَالُ، حَتَّى إِنَّ الرَّجُلَ ليَخْرُجُ مُسَافِرًا، وَقَدْ نُسِخَ مِنَ الْأَحْيَاءِ إِلَى الْأَمْوَاتِ، وَيَتَزَوَّجُ وَقَدْ نُسِخَ مِنَ الْأَحْيَاءِ إِلَى الْأَمْوَاتِ»
Hazrat Aata Bin Yasaar Radiallahu anhu Se Marvi Hai ke 15vi shanbaan maut likhi jaati hai yaha tak ke aadmi, safar me nikalta hai halaanke zindo se murdo me wo likha jaa chuka hota hai aur aadmi nikah karta hai halaanke zindo se nikaal kar murdo, me likaa jaachuka hota hai
Reference:
(Musannaf Abdul Razzaq Vol : 04, Pg : 317, Hadees : 7925)

Scan Page

KIN KIN LOGO KI MAGFIRAT NAHI HOTI UNKA BAYAN
Hadees 13:
Hazrat Kaseer bin Murrah Radi Allaho Se rivayat hai k Rasool ALLAH ne Farmaya 15wi Shaban ki raat ALLAH Mutawajje Hota Hai. Is Raat me wo tamam ko bakshdeta Hai Siwaye MUSHRIK aur Kina Warke (Adawat Waale Ko)"
Reference : (Musannaf Ibn Abi Shayba Vol : 09, Pg : 614, Hadees : 30462) (Musannaf Abdul Razzaq Vol : 04, Pg :316 - 317, Hadees : 7923) (Imam Bayhaqi Al Shoebul Imaan Vol : 03, Pg : 381, Hadees : 3830, Darul Fikr Berut) (Imam Tabarani Al Mujam Al Kabeer Vol : 20, Pg : 108 -09)
(Imam ibn Hibban Sahih Vol : 07, Pg : 470)
(Imam Ibn Asim Sunnah Vol :01, Pg : 224)
(Imam Ibn Rajab Hanbali Lataif Al Marif Vol 01, Pg :224 Sahih Kaha)
(Imam Ibn Hazar Haythami Majma Al Zawaid Vol : 08, Pg :65)
Imam Tabarani Mujam Al Kabir Wa Awsat Me naql kiya dono kay raavi siqah hai.
Scan Page Musannaf ibn Abi Shayba
























Hadees 14:
Ummol Momineen Ayesha Siddika Radi Allaho Anha farmati hai k Rasool Allah ne farmaya
"Mere pass Zibril Alaihsalam Aaye ye Shaban ki 15wi raat hai isme ALLAH Rabbul Izzat itno ko aaazad karta hai jitne BANI KALB ki Bakriyo k baal hai siwaye
1) Kafir Mushrik
2) Adawat waale,
3) Maa baap k nafarmaan
4) Sharabi Inki taraf Nazre Rehmat nahi farmata hai
Reference
(Imam Bayhaqi Shuyabul Imaan Vol : 03, Pg : 384, Hadees : 3837)
Scan Page















Imam Ahmad ibn Ahmal Radi allaho anha ki Musnad me aur aaya
Kapda latkane waale (takkabur ki bunyaad pe jo kapde latkate hai wo)
Katil katl Karne waale .
Hadees 15:
“Hazrat Abu Moosa Ashari Se Marvi Hai Nabi E Akram Ne Farmaya ALLAH Taala 15wi Shab Ko Zuhoor Farmata Hai Aur Mushrik Aur Chugul Khor Kay Elawa Sabki Bakshish Farma Deti Hai
References :
(Sunan Ibn Majah, Pg : 247, Kitab Iqaamah Assalah Wasunnah Fiha, Baab Maa Jaa Fee Lailatul Nisfi Shaban, Hadees : 1390)
(Imam Ahmad Ibn Hanbal #6353)
(Imam Bayhaqi Shuabul Imaan Vol : 02, Pg : 121, Hadees : 3672)
(Imam Tabarani Mujam Al Kabeer Vol :02, Pg : 109)
(Imam Abu Nauyam Hilyatul Awliya 05, Pg : 191)
(Musannaf Abdur Razzaq, Vol :4, Pg : 317, Hadees :7923)
(Khatib Tabrezi Mishkat Al Masabih Pg : 409, Hadees : 1306)
(Naseerudin Albani Sahih Abu Dawood, Hadees : 1563, 1144)
Abu Moosa Ashari Se Yehi Rivayat Dusri Sanad Se Bhi marwi Hai Jiske Raavi Hazrat Abu Hurraira Hai Jo Mishkat Hadees : 1706 Me marvi Hai.
Lihaja Wo Is Rivayat ko Hasan Darje Tak Pahucha Deti Hai.
Scan Page Sunan Abu Dawood Jiski Tehkeek Khud Shaykh Albani ne ki hai hukm lagate Hai Hasan Hadees.



Imam Bayhaqi Shafai Unhone ek kitab likhi Fazailul Awkaat jisme Pahla Baab Kayam Kiya Fazail E Razzab, Dusra baab Naam Rakha FAZAIL E SHABAAN, Teesra Baab FAZAIL LAILAT NISF MIN SHABAN
Yaani 15 wi Shaaban ki raat kay Fazail Uske Tahet Hadees naql Karte Hai.
Hadees 16:
Nabi E Karim Ne Farmaya 6 Aadmiy’on Ki Is Raat Bhi Bakhsish Nahi Hogi i) Sharab Kaa Aadi (ii) Maa Baap Ka Naa Farmaan (iii) Badkari Ka Aadi (iv) Kata’ye Talluk Karne Waala (v) Tasweer Banane Waala Aur (vi)Chugul Khor.
(Imam Bayhaqi Fazailul Awkaat Vol : 01, Pg : 130, Hadees : 27)
Ghair Mukallideen Kay Nazdeek Ek Aur Bahot Bade Aalim Jinko Ye Wahabi Bahot maante Hai Shaykh Mubarkpuri Unhone Jamai Tirmizi Sharif Ki Shara likhi Jisme 15wi Shabaan Kay Fazail Pe Hadees Naql Ki Hazrat Ali, Hazrat Ayesha, Hazrat Abdullah ibn Umar, Hazrat Maaz Bin Jabal, Hazrat Kaseer bin Murrah Rizwanullahi Taala Azmayeen Se Phir Aage Apna Faisla Sunate Hai.
“To Ye Ahaadees Majmooi taur par HUJJAT hain Un logo ke KHILAAF jo ye dawa karte hain ke koi baat 15 Shaban ki fazeelat me Saabit nahi, Wallahu Ta’ala Alam.”
(Abdul Rehman Mubarkpuri Tohfatul Ahwazi Shara Tirmizi Pg : 442)
Scan Page



Humne Albani Se Kaafi Saboot pesh kiye Jisne Shaban, Shabe Baraat Kay Fazail Pe Ahadees ko Sahi Kaha hai, Ghair Mukallideen kay apne ulema kay hawale diye aur sabse badi baat SAHI hadees pesh ki lekin phir bhi koi apni akal ko bunyaad banake hadeeso ka raddh kar 1400 Saal se chale aarahe is amal ko hi biddat kahe to bhala iska hamare pass kya ilaaz ho sakta hai ?
Aaj Jo Gair Mukallideen Wahabi Salafi Kahte hai Shaban Ki Koi Fazilat nahi hai Shab E Baraat Laylatul Barrah Nisf E Shabaan ki koi Asal nahi hai kya in Muhadiseen ko ye baat nahi pata thi ?
Khamakah Tamam Muhadiseen Ne Shaban Kay Fazail Kay Abwaab Kayam kar diye hai ?
Aajke Naam Nihad Gair Muqallideen Wahabi Saudi Return ko malum padi Hai ? Yakinan Unke Liye Ye lamha e fiqriya hai kay kaise logo ko wo sunn rahe hai aur unki andhi takleed karte hai par kahte hai hum takleed nahi karte.
SHAB E BARAAT ME KINKI MAGFIRAT NAHI HOTI ?
01) MUSHRIK - Jo Allah Taala Kay Saath Apne Butho ki parashtish me mullawis hai.
02)DIL ME BUGZ KINA HASAD RAKHNE WAALA
03) Naa Haq Kisi Insaan Ka Katl Karne Waala  
04) Sharabi
05) Maa Baap Ka Nafarmaan
06) Takubbar Me Kapda Latkana Waala
07) Chugulkhor - Geebat Karne Waala.
08) Tasweer Banane Waala
09) Badkaar - Badkaari Karne Waala
10) Kata’ye Talluk Karne Waala - Yaani Woh Jo Rishtedaro Se Rishta Todne Waala.
11) Jadugar - wo insaan jo kaala Jaadu kare,
12) Haatho Ki Lakeer Dekh Kay Mustakbil Batane Ka Dawa Karne Waala.

NOTE : Upar Bayan Ye 12 Logo ka zikr humne Mukhtalif hadeeso se nikala hai jo upar bayan hochuki hawalo kay saath jisko ek jagah jama karke likha gaya hai. Next Post No 03 We will cover Topic : - Shabe Baraat Ki Raat Me Ibadat Ka Bayan - Shabe Baraat Aur Ziyarat E Kuboor Kabristan jaana - Shabe Baraat pe Kuch Aitraaz Ka Jawab Post By Shaikh Sher Ali Hanfi keep Remember us on your Dua.

1 comment:

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers