Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Sunday 30 April 2017

Ilm E Ghaib Akli Aitrazaat Ke Bayaan Mein

1)

Ilm E Ghaib Khuda Ki Sifat Hai Isme Kisi Ko Sharik Karna Shirk Fisifat Hai Lihaza Huzur Swallallahualaihiwasallam Ko Ghaib Manna Shirk Hai.

Jawaab: Ghaib Janna Bhi Khuda Ki Sifat Hai, Aur Haazir Chizo’n Ka Janna Bhi Khuda Ki Sifat Hai , Alimul Ghaib Washhadate Isi Tarah Sunna , Dekhna , Zinda Hona Sab Khuda Ki Sifat Hai Toh Agar Kisi Ko Haazir Chiz Ka Ilm Maana Ya Kisi Ko Sami Ya Basir Ya Hay Mana Har Tarah Shirk Hua , Fark Yehi Kiya Jaata Hai Ki Humara Dekhna Zinda Rehna Khuda Ke Dene Se Hai Aur Haadis Hai , Khuda Ki Yeh Sifat Jaati Aur Kadeem Fir Shirk Kaisa?? Isi Tarah Ilm E Ghaib Nabi Ataai Aur Haadis Aur Mutnahi Hai , Rab Ka Ilm Zaati Kadeem Aur Qul Maalum Gair Mutnaahiya Ka Hai , Neez Yeh Shirk Ko Tum Per Bhi Laazim Hai Kyo’nki Tum Huzur Alaihissalam Ke Liye Baajan Har Tarah Sharik Karna Shirk Hai ,Aur Maulvi Hussain Ali Sahab Da Bhachar Wale Jo Maulvi Rashid Ahmed Sahab Ke Khas Shagird Hai Apni Kitaab “Balagatul-Hairaan” Me Likhte Hai  Ki “Khuda Ko Har Waqt Makhlukaat Ke Amaal Ka Ilm Nahi Hota Balki Bande Jab Aamal Kar Lete Hai Tab Ilm Hota Hai” Ab Toh Ilm E Ghaib Khuda Ki Sifat Rahi Hi Nahi Fir Kisi Ko Ilmm Ghaib Manna Shirk Kyo’n Hoga .


2)

Huzur Alaihissalam Ko Ilm E Ghaib Kab Haasil Hua , Tum Kabhi Toh Kehte Ho Ki Me’raj Me Katra Tapkaya Gaya Isse Ilm Eghaib Mila Aur Kabhi Kehte Ho Ki Khwaab Me Rab Ko Dekha Usne Apne Daste Kudrat Huzur Alaihissalam Ke Shaana Par Rakha Jisse Tamam Uloom  Haasil Hue , Kabhi Kehte Ho Ki Quran Tamam Chizo’n Ka Bayan Hai Isliye Nuzule Quran Se Pehle Ilm Mil Chuka Tha Toh Quran Se Kya Mila , Tehsile Haasil Namumkin Hai .

Jawaab: Huzur Alaihissalam Ki Nafse Ilm E Ghaib Toh Wiladat Se Pehle Hi Ataa Ho Chuka Tha Kyo’nki Aap Wiladat Se Qabal Aalam E Arwah Me Nabi The , Aur Nabi Kehte Hi Usko Hai Jo Ghaib Khabre De Magar “Ma Kaana Wama Yakoon” Ki Takmil Shabe Me’raj Me Hui , Lekin Yeh Tamam Uloom E Shahudi The Ki Tamam Chizo’n Ko Nazar Se Mushaahida Farmaya , Fir Quran Ne Unhi Dekhi Hui Chizo’n Ka Bayaan Farmaya , Isliye Quran Me Hai “Fatjalla Li Qulli Shai’in Wa Araftu” Dekhna Aur Hai Bayan Kuch Aur , Jaise Hazrat Aadam Alaihissalam Ko Paida Farma Kar Unko Tamam Chizein Dikha Di , Baad Me Unke Naam Bataye , Wah Mushaahida Tha Aur Yeh Bayan , Agar Chizein Dikhai Na Gai Thi Toh “Summa Arajhoom Alal-Malaikate” Ke Kya Maana Hoga Yaani Un Chizo’n Ko Malaika Per Pesh Farmaya , Lihaza Dono Qaul Sahi Hai , Ki Me’raj Me Bhi Ilm Mila Aur Quran Se Bhi , Agar Kaha Jaaye Ki Fir Nuzul E Quran Se Fayda Kya ? Sab Baatein Toh Pehle Hi Se Huzur Ko Maalum Thi , Batai Jaati Hai Na Maalum Chiz , Tohiska Jawaab Yeh Hai Ki Nuzul E Quran Sirf Huzur Alaihissalam Ke Ilm Ke Liye Nahi Hota Balki Isse Hazarha Digar Fayde Hote Hote Hai , Maslan Yeh Ki Kisi Aayat Ke Nuzul Se Pehle Uske Ahkaam Jaari Na Honge Uski Tilawat Wagairah Na Hongi Agar Nuzul E Quran Huzur Alaihissalam Ke Ilm Ke Liye Hai Toh Baaz Soorat Dobar Kyo’n Naazil Hui , Tafseer Madarik Me Hai .

Surah: Fatiha Makki Hai Aur Kaha Gaya Hai Ki Madni Hai Aur Sahih Tar Yeh Hai Ki Yeh Makki Bhi Hai Aur Madni Bhi , Awwalan Makkah Me Naazil Hui Fir Madina Me .

Mishkat Me Hadees Me’raj Me Hai Ki Huzur Alaihissalam Ko Shab E Me’raj Me 5 Namazein Aur Surah : Bakra Ki Aakhri Aayat Hui , Is Hadees Ki Sharah Me Mulla Ali Qari Ne Sawaal Kiya Ki Me’raj Toh Makka Muajjama Me Hui Aur Surah:Bakr Madina Hai Fir Iski Aayat Me’raj Me Kaise Ataa Hui ?? Toh Jawaab Dete Hai .

Khulasa Yeh Hai Ki Isme Mukarrar Hui Huzur Alaihissalam Ki Taazim Aur Aapki Ehtamaame Shaan Ke Liye Lihaza Allah Ne Us Raat Bagair Waasta Jibrael Wahi Farma Di .

Is Hadees Ke Matahet Lamhat Me Hai ,
Shab E Me’raj Me Yeh Aayat Bagair Waaste Ke Utri Fir Unko Jibrael Ne Utara Toh Quran Me Rakhi Gai .

Batao Ki 2 Baar Nuzl Kis Liye Hua ? Huzur Alaihissalam Ko Toh Pehle Nuzul Se Ilm Haasil Ho Chuka Tha Aur Har Saal Mahe Ramzan Me Jibrael Ameen Huzur Alaihissalam Ko Saara Quran Sunate .
Mukadhma Nurul-Anwar Taarif E Kitaab Me Hai , Batao Yeh Nuzul Kyo’n Tha Balki Quran Se Maalum Hota Hai Ki Huzur Ko Tamam Aasamani Kitabo’n Ka Pura Ilm Tha , Rab Taala Farmata Hai .

Tarjuma : Yani A Ahle Kitab Tumhare Paas Humare Woh Rasul Aa Gaye Jo Tumhari Bahut Se Chupi Hui Kitaab Ki Baato’n Ko Zaahir Farmate Hai Aur Bahut Se Dar Guzar Farmate Hai , Agar Huzur Alaihissalam Ke Ilm Me Saari Qutub Aasamani Nahi Toh Unka Zaahir Farmana Ya Na Farmana Kya Maani , Haqeeqat Yeh Hai Ki Huzur Alaihissalam Awwal Hi Se Quran Ke Aarif The Magar Qurani Ahkam Nuzul Se Pehle Jaari Na Farmaya , Isliye Bukhari Ki Pehli Hadees Me Hai Ki Hazrat Jibrael Ne Gaare Hira Me Pehli Baar Aakar Arz Kiya “Ikra” Aap Padiye , Yeh Na Arz Kiya Ki Fala Aayat Padiye Aur Padho Usi Se Kehte Hai Jo Jaante Ho , Huzur Alaihissalam Ne Farmaya “Ma Anaa Bekare’in” Me Nahi Padhne Wala Yaani Me Toh Padhane Wala Hu ,Padh Toh Pehle Hi Liya Hai ,Lauh E Mehfooz Me Quran Hai Aur Lauh E Mehfooz Huzur Alaihissalam Ke Ilm Me Pehle Hi Se Hai , Aap Wiladat Se Pehle Nabi Sahbe Quran Hai Bagair Wahi Ke Nubuwat Kaisi ? Lihaza Manna Hoga Ki Qable Wiladat Hi Quran Ke Aarif Hai .
Aaj Bhi Bahut Bacche Haafiz Paida Hote Hai ,Hazrat Isa Ne Paida Hote Hi Farmaya “Ataaniyal-Kitab” Rab Ne Mujhe Kitab Di .

Maalum Hua Ki Abhi Se Kitab Ko Jaante Hai , Baaz Paighambaro’n Ke Liya Farmaya “Aataynahool-Hukma Sabiyan” , Humne Unhe Bachpan Hi Se Ilm Hikmat Di , Huzur Ne Paida Hote Hi Sajda Karke Ummat Ki Shafa’at Ki , Halaki Sajda Aur Shafa’st Hukme Qurani Hai , Gaus Paak Ne Mahe Ramzan Me Maa Ka Doodh Na Piya , Yeh Hukum Qurani Hai , Nurl-Anwaar Ke Khutba Me Khalk Ki Bahes Me Hai .

Maalum Hua Ki Quran Per Amal Karna Huzur Alaihissalam Ki Paidaishi Aadat Hai , Hamesha Halima Dai Ka Ek Ppistan Pak Chusa ,Dusra Bhai K Liye Choda , Yeh Adal Wa Insaf Bhi Qurani Huum Hai , Agar Ibtida Se Quran Ke Aarif Nahi Toh Yeh Amal Kaise Farma Rahe Hai .


3 )

Deobandiyo’n Ka Ek Mashur Etraaz Yeh Bhi Hai Ki Tumhari Pesh Karda Aayato’n Ke Ummoom Se Laazim Aata Hai Ki Huzur Ka Ilm Rab Ke Barabar Ho Magar Tum In Aayato’n Me Qayamat Tak Ki Qaid Lagate Hi “Ma Lam Takun Taalam” Na Toh Qayamat Ki Qaid Hai Na “Ma Kaana” Aur “Ma Yakun” Ka Zikr , Aur Ek Dafa Khas Hone Se Ainda Khususka Darwaza Khul Jaata Hai , Dekho Qutub E Usool Lihaza Humne In Aayato’n Me Ahkaame Shariah Ki Qaid Lagate Hai , Yaani Usse Sirf Sharai Ahkam Murad Hai .

Jawaab: Iska Yeh Hai Ki Yaha Aayat Me Takhsis Nahi Balki Akli Ist’sana Hai Kyo’ki Rab Ka Ilm Gair Mutnahi Hai Makhluq Ka Dimag Gair Mutnahi Uloom Nahi Le Sakta Burhan Ibtaale Tasalsul Wagairah Se Lihaza Mutnahi Hoga,Ahadees Se Pata Laga Ki Qayamat Tak Ki Huzur Ne Khabar Di Isliye Daawa Kiya Gaya , Ist’sana Ka Aur Hukum Hai Takhsis Ka Hukum Dusra , Dekho “Akimussalata” Se Bacche Diwana , Haiza Kharij Hai , Yeh Takhsis Nahi Balki Ist’sana Hai .

SHAIKH MOHAMMAD IMRAN SAIFI

No comments:

Post a Comment

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers