Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Sunday 30 April 2017

Ilm E Gaib Per Bahes O Mubahisa & Ala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan (Radialla Taala Anhu)

Is Baab Me Hum Yeh Padhege K Badmazhab Kis Tarah Ka Mughalta Dete Hai Aur Logo Ko Kis Tarah Ghumakar Unhe Gumrah Karne Ki Koshish Karte Hai.

Aitraz # 1

Jab Gaib Zahir Hogaya To Gaib Kaise Rahega, Woh Toh Sabko Pata Chal Gaya.

Jawab: Gaib Zahir Hone Se Pehle Toh Gaib Hi Tha Ya Nahi? Beshak Gaib Hi Tha Aur Gaib Ki Baat Batane Wale K Paas Jab Gaib Ka Ilm Hi Na Ho Toh Woh Kis Buniyad Per Aapko Gaib K Bare Bata Sakta Hai Aur Jab Aapko Gaib K Bare Bataya Toh Beshak Batane Wale K Paas Gaib Ka Ilm Hai Yeh Aapko Manna Lazim Aayega Warna Unki Baat Ko Aap Gaib Hi Na Kahe, Wallah Yeh Zahen Me Nahi Aasakta.

Aitraz # 2

Gaib Woh Jo Hawaas Ne Malum Hosake Yaani Aankh, Kaan, Naak Wagera, Ya Kisi Hawaas Se Mehsoos Kar Sake, Aur Na Bila Daleel Aqal Main Aasake Lekin Ambiya K Paas Jo Gaib Hai Woh “Wahi” K Zariye Aaya Hai Yaani Source Se Aur Jaha Source K Kuch Baat Pata Chal Jaye Usey Gaib Ka Ilm Nahi Kehte.

Jawab: Maana K Source K Zariye Aane Wale Ilm Ko Gaib Nahi Kehsakte Jaise Dr Ne Ek Maa K Shikamb Me Machine K Zariye Dekha Toh Usko Gaib Ka Ilm Hasil Hua Na Kaha Jayega Q K Usne Machine Ko Source Banaya Ab Aate Hai “Wahi” Ki Taraf, Wahi B Source Hai Lekin Jaisa K Gaib Ka Maana Bataya K Hawaas Me Na Aasake Toh Beshak “Wahi” Hawaas Me Nahi Aati Aur Wahi Khud Ek Gaib Hai Jaisa K Quran Shareef Me Aaya Hai.

Surah Taqweer Aayat No. 51

Tarjuma: “Aur Yeh Nabi Ghaib Batane Me Bakheel Nahi”
Aap Kisi B Salaf Ki Tafseer Uthakar Padhle Yaha Per Gaib Se Muraad “Wahi” Bataya Gaya Hai K Aap Swallallahualaihiwasallam Ko Jo “Wahi” Aati Aapse Usey Bata Dete Aur Bakheel Yaani Kanjusi Nahi Karte Yaani Kuch Batate Aur Kuch Chupate Aisa Nahi Karte The Balke Sab Batate.

Aitraz # 3

Jab Nabi Swallallahualaihiwasallam Ne Sab Sahaba E Kram Ko Bata Diya,Tab Toh Sahaba E Kram Ko B Ilm E Gaib Hasil Hogaya.

Jawab:Dusre Aitraz K Jawab Me Humne Padha K Source Se I Hue Ilm Ko Gaib Nahi Kehsakte Hai Aur Source Ki Taqseem B Batadi K Hawaas Mein Hai Ya Nahi,Ab Nabi Swallallahualaihiwasallam Ne Jo Sahaba E Kram Ko Bataya Gaib K Bare Toh Woh Sahaba E Kram K Ilm Me Zarur Aagaya Lekin Gaib Ka Ilm Nahi Kehlayega Kyukay Yaha Souce Hawaas Me Aarahi Hai Jaise K Sahaba E Kram Ne Apne Kaan Se Suna Aur Aankh Se Dekha Nabi Swallallahualaihiwasallam Ko Farmate Hue Isliye Yeh Ilm Jo Hai Ilm E Gaib Nahi Kehlayega Haa Agar Aise Source Se Ilm Haasil Ho Jo Hawaas Me Na Aasake Toh Zarur Ba Zarur Woh Ilm E Gaib Kehlayega.

Aitraz # 4

Nabi Swallallahualaihiwasallam K Ilm Ko Maakaana Wa Mayakoonbatana Shirk Hai.
Jawab: Shirk Toh Yun Hota K Jab Ilm Barabar Ka Maana Jaye Ya Gaib Per Ilm Rakhna Barabar Maana Jaye Lekin Kufr Haqeeqat Yeh Hai Ki Allah Taala K Ilm Ko Mehdud Kardiya,

Allah Taala K Ilm Ko Mehdud Kaise Kardiya?

Is Tarah K Humne Pehle Wazahat Kardi Upar Quran O Hadees Wa Ullema K Aqwal Se K Nabi Swallallahualaihiwasallam Ka Ilm Ibtida Se Inteha Tak Yaani Shuru Se Lekar Jannati K Jannat Me Jaane Tak   Aur Jahannami K Jahannam Me Jaane Tak Aapko Sab Kuch Ilm Ataa Hua, Ab Gaur Kare Toh Yaha Per Ilm Mehdud Hai Jannati K Jannat Aur Jahannami K Jahannam Jaane Tak Lekin Allah Taala Ka Ilm Issey B Kahi Zyaada Ka Hai Jise Aap Ne Mehdud Kardiya Aur Usey Shirk Janne Lage.

Hasil Qalam Iska Yeh Hua K Nabi Swallallahualaihiwasallam K Ilm Ko Maakaana Wa Mayakoonsamajhna Shirk Nahi.

Aitraaz # 5

Nabi Swallallahualahiwasallam Ko Baaz Ilm E Gaib Hasil Hai Jaisa K Humne Padha Lekin Aap Log Qul Ka Dawah Karte Ho.

Jawab: Humne Kabhi Qul Ka Dawah Na Kiya Aur Naahi Kisi Imam Ne Balke Hum Dawah Toh Yun Karte Hai K Makhluq K Muqabil Qul Ilm Hasil Hai Yaani Makhluq Me Sabse Zyada Ka Ilm Nabi Swallallahualaihiwasallam Ko Hasil Aur Allah Taala K Ilm K Saamne Aap (Swallallahualaihiwasallam) Ka Ilm Is Tarah Hai Jaise Samunder Ka Ek Chota Se Qatra Aur Puri Qaynat K Ilm Ko Jama Karde Toh Nabi Swallallahualaihiwasallam Ka Ilm Samunder Aur Qaynat Ka Ilm Us Samunder Ka Chota Sa Qatra Keh Layega.

Toh Pata Chala Qul Makhluq K Muqabil Kehlata Hai Lekin Haqeeqatan Woh Baaz Hai.

Aitraz # 6

Alimul Gaib Aur Ilmul Gaib Me Kya Farq Jabki Yeh Dono Ek Hi Hai.

Jawab: “Alif Laam “ Awwalan Do(2) Qisme Hai, 1) Ismi 2) Harfi , Alif Laam Ismi Woh Hai Jo Ismi Faael Aur Ismi Mafaul Per Dakhil Hota Hai Aur “Allazi” K Maane Mein Hota Hai Jaise “Izrab Wak Mazrub” Ka Alif Laam, Phir Alif Laam Harf Ki 2 Qisme Hai 1) Zaayed 2) Ghair Zaayed , Ab Ghair Zaayed Ki 4 Qisme Hai

A) Jinsi
B) Haqiqi
C) Ahad Zahni
D) Ahad Kharji.

Isme Alif Laam Istighraq Haqiqi Hoga Gaib Per Jo Tamam Gaib Per Dakhil Hota Hai Isliye Jaez Nahi K Alimul Gaib Aur Ilm E Gaib Ko Eksaa Samja Jaye.
Is Bahes Ko Puri Tarah Samajne K Liye Padhe Usool E Sashi Safa No. 14 “Alif Laam Ki Qisme”.

Toh Pata Chala Ki Alimul Ya Alamul Gaib Aur Ilm E Gaib Me Bahut Farq Hai.

Aitraz # 7

Nabi Swallallahualaihiwasallam Ko Qayamat Ka Ilm Ataa Na Hua Fir Woh Makaan Wa Mayakoonka Ilm Kaise Hoga Unke Paas?

Jawab: Awwal Toh Aapne Qayamat K Ilm Ka Zikr Karke Yeh Saabit Kiya Hai Ki Nabi Swallallahualaihiwasallam Ko Sab Ka Ilm E Gaib Hasil Hai Siwaye Qayamat K Aane Wale Waqt Ko Chodkar,Toh Iska B Jawab Hum Dete Hai.

Jaisa Ki Quran Ki Aayatein Aapne Padhi Jisme Saaf Wazeh Hua Ki Allah Taala Chahe Toh Ilm Ataa Karde Aur Surah Rehman Ki Aayat 1-4 K Tahet Tafseer Khazin Mein Hai

“Kaha Gaya Hai Kay Insaan Se Muraad Mohammed Swallallahualaihiwasallam Hai Kay In Ko Aglo Pichlo Umoor Ka Bayan Sikha Diya Gaya Kyuke Huzur Swallallahualaihiwasallam Ko Aglo Aur Pichlo Ki Aur Qayamat Kay Din Ki Khabar Di Gai”

Tafseer E Kabeer Mein Surah Jinn Aayat No. 26 Aur 27 K Matahet Hai

Tarjuma: “Yaani Qayamat Kay Aane Waqt In Guyubo Mese Hai Jis Ko Allah Taala Kisi Per Zaahir Nahi Farmat Pas Agar Kaha Jawe Kay Jab Tumne Is Ghaib Ko Qayamat Per Mehmool Karliya To Aap Rab Tala Ne Yeh Kaise Farmaya! Magar Pasandida Rasulo’n Ko Halanke Yeh Ghaib Toh Kisi Perbhi Zaahir Nahi Kiya Jaati Toh Hum Kahege Kay Rab Taala Qayamat Kay Qarib Zaahir Farma Dega”.

Upar Mein Ahadees Padhi Sahi Bukhari K Hawale Se K
Nabi Swallallahualaiwasallam Ne Ibtida Se Lekar Inteha Tak Yaani Jannati K Jannat Jaane Taka Ur Jahannami K Jahannam Jaane Tak Pura Ek Majlis Me Bataya.

Note: Jannati Jannat Me Aur Jahannami Jahannam Me Kab Jayege???? Qayamat Aane Kay Baad. Toh Sarkar Swallallahualaihiwasallam Ne Qayamat Hone Kay Baad Ki Bhi Khabar De Rahe Hai.

Upar Me Ullema K Aqwal B Padhe Jisme Farmaya Gaya Ki Nabi Swallallahualahiwasallam Duniya Se Parda Na Farmaya Jabtak Aap Per Tamam Ullom E Gaibiya Zahir Hogai Aur Isme Qayamat Ka Ilm B Shamil Hai.
Nabi Swallallahualaihiwasallam Ne Puri Nishaniya Zaahir Farmadi Aur Farmaya Kay In Nishani Kay Guzarne Kay Baad Qayamat Qaayam Hogi.

Ab Nishaniya Zaahir Hogai Qayamat Toh Bacha Kya???
Din, Time, Hijri Yeh Teen Nabi Swallallahualaihiwasallam Ne Bataya Ya Nahi Aaye Hadees Dekhte Hai.

ﺹ: 359 [ ﻛﺘﺎﺏﺍﻟﺠﻤﻌﺔﻋﻦﺭﺳﻮﻝ
ﺍﻟﻠﻪﺻﻠﻰﺍﻟﻠﻪﻋﻠﻴﻪﻭﺳﻠﻢﺑﺎﺏﻣﺎﺟﺎﺀ
ﻓﻲﻓﻀﻞﻳﻮﻡﺍﻟﺠﻤﻌﺔ
488 ﺣﺪﺛﻨﺎﻗﺘﻴﺒﺔﺣﺪﺛﻨﺎﺍﻟﻤﻐﻴﺮﺓﺑﻦﻋﺒﺪ
ﺍﻟﺮﺣﻤﻦﻋﻦﺃﺑﻲﺍﻟﺰﻧﺎﺩﻋﻦﺍﻷﻋﺮﺝﻋﻦ
ﺃﺑﻲﻫﺮﻳﺮﺓﺃﻥﺍﻟﻨﺒﻲﺻﻠﻰﺍﻟﻠﻪﻋﻠﻴﻪ
ﻭﺳﻠﻢﻗﺎﻝﺧﻴﺮﻳﻮﻡﻃﻠﻌﺖﻓﻴﻪﺍﻟﺸﻤﺲ
ﻳﻮﻡﺍﻟﺠﻤﻌﺔﻓﻴﻪﺧﻠﻖﺁﺩﻡﻭﻓﻴﻪﺃﺩﺧﻞ
ﺍﻟﺠﻨﺔﻭﻓﻴﻪﺃﺧﺮﺝﻣﻨﻬﺎﻭﻻ ﺗﻘﻮﻡﺍﻟﺴﺎﻋﺔ
ﺇﻻ ﻓﻲﻳﻮﻡﺍﻟﺠﻤﻌﺔﻗﺎﻝﻭﻓﻲﺍﻟﺒﺎﺏﻋﻦ
ﺃﺑﻲﻟﺒﺎﺑﺔﻭﺳﻠﻤﺎﻥﻭﺃﺑﻲﺫﺭﻭﺳﻌﺪﺑﻦ
ﻋﺒﺎﺩﺓﻭﺃﻭﺱﺑﻦﺃﻭﺱ ] ﺹ: 360 [
ﻗﺎﻝﺃﺑﻮﻋﻴﺴﻰﺣﺪﻳﺚﺃﺑﻲﻫﺮﻳﺮﺓﺣﺪﻳﺚ
ﺣﺴﻦﺻﺤﻴﺢ

Soraj Nikalnay Waly Dinoon Mai Behtareen Din Juma Ka Din Hai Esii Din Hazrat Adam (Alaihissalam) Paida Hoye Eisii Din Aap Hazrat Adam (Alaihissalam) Jinnat Sey Nikala Gaya Aur Essi Din Jannat Mein Dhakil Kia Gaye Aur Qayamat Bhi Juma Ke Din Ki Qaim Hogi

(Tirmizi 472, Darja Hassan Sahi, Abwab -Ul-Juma, Ravi Abbo Horaira Razi Allah Unho)

Is Hadees Saabit Hua Ki Qayamat Juma K Din Hogi....
Is Hadees Se Din Ka Pata Chal Gaya.

Hazrat Abu Qatada Radialla Taala Anhu Se Riwayat Hai K Huzur Swallallahualaihiwasallam Ne Farmaya K Mein Allah Se Umeed Rakhta Hu K (Uske Nazdeek) Aashura K Din Ka Roza Apne Pehle (Yaani Guzishta Saal) Ka Kaffara Kardega.

Tirmizi Shareef Jild 1 Safa 149 Hadees 270.

Hazrat Ibn Abbas Se Riwayat Ek Lambi Hadees Hai Jisme Nabi Swallallahualaihiwasallam Ne Farmaya K Ashuray K Din Qayamat Hogi

Gunyatut Talebeen Safa 425/26 Tarteeb Shareef 756/57.
Is Hadees Se Pata Chala Ki Din Ashure Ka Hoga
Yaani Juma Ka Din 10 Moharram Ul Haram Ko Qayamat Hogi.

Ab In Dono Hadees Se Din Aur Tarikh Yaani Moharram Ul Haram Ki 10wi Taarikh Hogi Aur Juma Ka Din Hoga Yeh Baat Bhi Clear Hogai Lekin Waqt Aur Hijri Baaki Hai.

Hijri Bhi Clear Hai Ilm Walo Kay Liye Jo 72 Nishaniya Bata Di Gai Un Nishaniyo’n Kay Baad Hi Qayamat Hai.
Ab Bacha Waqt

Nabi Swallallahualaihiwasallam Ne Waqt Nahi Bataya Kyukay Allah Taala Ka Hukum Tha Is Per Aur Is Per Humne Imam K Aqwal B Padhe Hai.

Alhamdulillah Yeh B Clear Hogaya Ki Nabi Swallallahualaihiwasallam Ko Qayamat K Aane Ka Ilm E Gaib B Ataa Hua Aur Usey Apne Tak Rakhne Ka Hukum B Hua.

Aitraz # 8

Kya Aulia Allah B Gaib Jante Hai?

Jawab: Allah Ki Ataa Se Beshak Jante Hai Aur Imam Qastalani Apni Kitab Irshad As Saari.Kitabut Tafseer Surah Raad Darul Kitab Al Arabi Jild 7 Safa 186 Per Likhte Hai

لا یعلم متی تقوم الساعة الا اللہ الا من ارتضی من رسول فانه من یشاء من غیبیه والولی التابع له یا خذ عنه

Koi Nahi Jaanta Siwaye Allah K, K Qayamat Kab Aayegi Lekin Uske Mehbub Bande, Jise Woh (Allah) Chahe Usey Batade Aur Wali Uska Taaabe Hote Hai Ussey Hasil Karte Hai.

Aitraz # 9

Bahut Si Jagah Per Nabi Swallallahualahiwasallam Ne Farmaya K Fula Mujhe Nahi Pata Aur Aise Sawal Kiye Jaise Aapko Na Pata The Aur Aapne Pucha Aur Kai Jagah Khamoshiya Ikhtiyar Ki, Agar Ilm E Gaib Hota Toh Yeh Sab Aapne Q Farmaya?

Jawab: Is Tarah Nabi Swallallahualahiwasallam Ka Farmana Hikmat K Tahet Hota Hai Aura Ur In Tamam Aitraz Ka Jawab Hum Sirf 1 Aayat Se Dete Hai.

Surah Nisa Aayat No. 113

Tarjuma: " Aur Tum Ko Sikha Diya Jo Kuch Tum Na Jaante The, Aur Allah Ka Tum Par Bara Fazal Hai".
Aur Isi Aayat Per Humne Upar Tafseerein Bayan Ki Jisme Mufassireen Ne Kaha Ki Ahkam Aur Ilm E Gaib Sikhaya, Yeh Aayat Nuzul K Aitbaar Se 92wi Surah Hai Aur Is Surah K Naazil Hone K Baad Nabi Swallallahualaihiwasallam Ne Aisa Kabhi Na Farmaya K Mein Fula Nahi Janta Ya Fulaa Mujhe Nahi Pata.

Dusri Chiz Yeh K Pehle Na Malum Thi Toh Ab Malum Hogai Jaisa Ki Quraan Wa Hadees Wa Ullema K Aqwal Se Zahir Hai Aur Hum B Yahi Kehte Hai K Ab Nabi Swallallahualaihiwasallam Ko Maakana Wa Mayakoonka Ilm Hasil Hai.

Agar Ab B Koi Yeh K Ambiya E Kram Ko Ya Nabi Swallallahualaihiwasallam Ko Ilm E Gaib Hasil Nahi Toh Iska Matlab Yeh Hai Ki Allah Taala Ne Usko Haq Samajne Ki Taufeeq Hi Ataa Na Farmai Kyukay Jiske Saamne Wazeh Daleel Aajaye Aur Fir B Na Mane Toh Masla Yahi Hai K Qabuliyat Ki Taufeeq Nahi Mili.
Ab Deoband K Ghar Se Hum Dalil Pesh Karte Hai.
Ashraf Ali Tanvi Aur Rasheed Ahmed Gangohi Ke Peer-O-Murshid, Haji Imdadullah Muhajir Maki R.A Farmate Hain;

“Log Kehte Hain Ki Ilm-E-Ghaib Ambiya Aur Auliya Ko Nahi Hota, Mai Kehta Hu Ki Ahle Haq Jis Taraf Bhi Nazar Karte Hain Daryaft-O-Idraak-E-Ghaibaat Inko Hota Hai, Asal Me Ye Ilm-E-Haq Hai. Hazrat Swallallahualaihiwasallam Ko Hudaibiya Wa Hazrat Ayesha Ke Muamlaat Se Khabar Na Thi Ko Dalil Apne Daawe Ki Samajhte Hain Ye Ghalat Hai, Kyunki Ilm Ke Waste Tawajjoh Zaruri Hai”

(Shamaaim Imdadiya, S-62, Imdadul Mushtaq, Safa 79-80)

Scan Page:



Ilm E Gaib Aur Ala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan (Radialla Taala Anhu)

Kuch Logo Ka Yeh B Kehna Hai K Nabi Swallallahualaihiwasallam Ko Ilm E Gaib Hai , Iske Bare Kisi Ne Nahi Balke Yeh Ijaad Imam Ahmed Raza Fazile Barelvi Ki Hai.

Is Per Hum Yeh Kahege Ki Upar Me Jitne B Hawala Jaat Pesh Kiye Gaye Hai Yaani Quran Wa Hadees Per Mufassireen K Qalam Wa Ullema K Aqwal Jitney B Hai Yeh Ala Hazrat K Zamana Mein Aane Se Pehle K Hai Yaani 14sadi K Pehle Hai,Ab Toh Masla Hi Na Raha K Yeh Aqeeda Imam Ahmed Raza Ne Apni Taraf Se Ghada  Hai Aur Imam Ahmed Raza Ka Aqeeda Padhna Ho Toh Aapki Kitab “Ad-Dawlatu’l Makkiyah Bi’l Māddati’l Ghaybiyyah” Ka Mutaala Kare Jise Aapne 8 Ghante Mein Saudiya Hukumat Me Likhi Thi Aur Apna Aqeeda Wazeh Kiya Tha Ba Dalail.

Aapka Aqeeda Ilm E Gaib Per:

1) Ilm Zaati Muhit Allah K Liye Hai,Ilm E Ataai Gair Muhit Makhlooq K Liye

2) Ilm Makhluqat Mutnahi Hai ,Ilm E Ilaahi Gair Mutnahi

3) Ilm E Zaati Wajib Ul Lizzat Aur Ilm E Ataai Mumkin.

4) Woh Azli Hai, Ya Haadis – Woh Gair Makhluq Hai- Yeh Makhluq – Woh Qudrati Nahi ,Yeh Qudrati Hai – Iska Tagayyur Muhal Hai ,Iska Mumkin Hai.

5) Ilmm Qul Allah Ko Hai Aur Ilm Baaz Rasul Allah Swallallahualaihiwasallam Ko Hai, Magar Baaz Baaz Me Farq Hai,Paani Ki Bund B Baaz Hai Aur Samander K Muqabil Darya B Baaz Hai,Toh Baaz Baaz Me Zameen Aasman Ka Farq Hai.

6) Mukhalifeen Ka Baaz Bugz Wa Tauheen Ka Hai Aur Humara Baaz Izzat Wa Tamkin Ka Hai Jiski Qadr Khuda Hi Jaane Aur Jinko Ataa Hua.

7) Jis Tarah Zaati Per Imaan Laana Zaruri Hai Usi Tarah Ataai Per Imaan Laana Zaruri Hai K Quran E Kareem Ne Dono Uloom Ki Khabre Di Hai, Puray Quran Per Imaan Lane Wala Dono Uloom Mein Se Kisi Ilm Ka Munkir Nahi Hosakta Aur Jo Munkir Hai Woh Puray Quran Per Imaan Nahi Laaya Aur Jo Uray Quran Per Imaan Nahi Laaya Uska Hokum Maloon.

Hawala: Ad-Dawlatu’l Makkiyah Bi’l Māddati’l Ghaybiyyah Safa No. 25,26.

Alhamdulillah Humne Ala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan Fazile Barelvi Ka Aqeeda Upar Padha Aur Jo B Shaks Ala Hazrat K Aqeede K Bare Mein Aur Janna Chahte Hai Woh Hazrat Ki Kitaab (Ad-Dawlatu’l Makkiyah Bi’l Māddati’l Ghaybiyyah) Ko Zarur Padhe.
Bagaur Hum Puray Risale Ko Dekhe Aur Imam Ahmed Raza K Aqeede Ko Dekhe Toh Hasil Yahi Hoga K Imam Ahmed Raza Ka Aqeeda Quran O Hadees Wa Aimma E Mujhtahideen O Mufassireen K Aqeede Se Bilkul B Bahar Nahi Aur Ala Hazrat Ka Wahi Aqeeda Hai Jo Quran O Hadees Wa Aimma E Mujhtahideen O Mufassireen K Qalam Se Saabit Hai.

SHAIKH MOHAMMAD IMRAN SAIFI


2 comments:

  1. https://mysunnihanfiaddress.blogspot.com

    ReplyDelete
  2. Who has made the universe? Who has made you? What is an incredible point? What will befall you in the afterlife? All these are questions that you can't discover answers to without Islam. In addition, you appreciate materialistic joys, yet you disregard your spirit.islamic courses for adults

    ReplyDelete

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers