Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Wednesday, 15 July 2020

Mukhtar Saqafi Kay Dawa e Nabuwwat Ki Haqeeqat

سم الله الرحمن الرحيم
                                           ♥ السلام عليك يا رسول الله ♥ ♥ السلام عليك يا حبيب الله ♥
Mukhtar Saqafi Is shaks kay baare me Shia ne to behaad gulu kiya hai aur isko aisa hero maante hai jaisa kisi aur ko nahi aur khud shia qutub me mauzud hai kay ye ek kazzab siyasi shaksh tha khair shia jo maane hume garz nahi magar Ahle Sunnat Wa Jamat ka muttafiqua faisla hai kay Shuhda E Karbala kay baad isne un tamam qatileen Ibn Ziyad aur deegar ko maara aur iske sabab ye bada mashoor bhi huwa magar shohrat milte hi isne baad me Nabuwat ka dawa kiya Aur Hazrat Musaab Ibn Zubair Radiallahu Anhu ne isko qatl kiya, 

Khud ko sunni kahne wale kuch mukarrireen ka kahna hai kay isne aisa koi dawa nahi kiya ye balki humne dekha hai kay Apne jhute dawe ko difa dene kay liye sahaba pe tankeed tak karte hai aur kahte hai Aale Zubair ne isko is tarah fasaya hai aur Shia ne to iski halaat e zindagi me ek puri web series banayi hai aur usko hi dekh kar aur kuch aise muqareerin ko sunke kuch sunni bhi isko apna hero samajhne lage hai. Khair Shia Isko Kuch bhi maane hume unse unke dalail se koi garz nahi hai magar Ahle Sunnat me to iske baare me ittefaque hi raha hai kay isne dawa e Nabuwat kiya tha.
Aqsar logo ka kahna Hai kay isne itna bada kaam kiya hai ye kaise raah e haq se bhatak sakta hai, Ye baat ek laa ilm shaksh hi karega Shaitan Farishto ko padhata tha bahut ALLAH wala tha Ibadat guzaar tha magar uski ana aur ghamand ne usko kafir kiya, Ye bas ALLAH ka Fazal hai jo banda sahih raah par kayam rahe, warna koi aisa kanoon shariat me nahi hai kay koi shaks bada kaam kare to wo gumraah nahi hosakta,
Imam Bukhari Rahmatullah Alaih Al Mutwaffa 256 Hizri apni Sahih me hadees rivayat karte hai Hadees 01 : إِنَّ اللَّهَ يُؤَيِّدُ الدِّينَ بِالرَّجُلِ الْفَاجِرِ “Allah Fazir Se Deen ki madad karwata hai ” (Sahih Bukhari, Kitab Al Maghazi, Baab Ghazwa E Khaybar, Hadees : 4203) 
Yaani kabhi kabhi aisa hota hai kay ALLAH Taa'la galat logo se bhi accha kaam le leta hai. 
ALLAH TAALA HUM SABKA IMAN PAR KHATMA FARMAYE

Ispe likhne ki jarurat kyun padi hamare Khatme Nabuwat wale post ko logo ne kaafi pasand kiya LINK yahan padhe magar baaj logo ne uspe ye aitraaz bheja kay Aapne Mukhtar Saqafi ko bhi un dajjalo ki list me dala hai jabki wo nek shakhs tha aur dusra shia’t se muttasir hamare nauzuwano ka ek alag masla, lihaja humne chaha is masle par ek detail research article likh den, taaki is masle me bhi wajahat hojaye

Hadees 02 :
“Hazrat Abu Hurraira Radiallahu Anhu Se marvi Hai Nabi E Karim ﷺ Ne Farmaya Kayamat Us Waqt tak Naa Aayegi jab tak meri ummat me 30 Dajjal naa aajaye Unme se har koi Nabi Hone Ka dawa karega” (Sahih Bukhari, Kitabul Manaqib, Hadees : 3609) (Sahih Muslim, Vol : 07, Pg : 317, Kitabul Fitan, Hadees : 7342) (Sunan Abu Dawood, Kitabul Malahim, Hadees : 4333-4334) (Sunan Tirmizi, Kitabul Fitan, Hadees : 2218) (Sunan Ibn Majah, Kitabul Fitan, Hadees : 3952 rivayat Hazrat Sauban Radiallahu Anhu) Scan Page Sahih Bukhari
Chunki aage ki kuch rivayat is rivayat se judke aayegi lihaja humne yahan ye hadees likh di hai  (Note : KHATME NABUWAT par hamari Post jarur padhe CLICK HERE TO READ)
Mukhtar Saqafi Hadees E Paak Me 
Hadees 03 :
إِنَّ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم حَدَّثَنَا ‏ "‏ أَنَّ فِي ثَقِيفٍ كَذَّابًا وَمُبِيرًا ‏"‏ ‏.‏ فَأَمَّا الْكَذَّابُ فَرَأَيْنَاهُ وَأَمَّا الْمُبِيرُ فَلاَ إِخَالُكَ إِلاَّ إِيَّاهُ - قَالَ - فَقَامَ عَنْهَا وَلَمْ يُرَاجِعْهَا
“Hazrat Asma binte Abu Baqr Radiallahu Anha Farmati hai Hajjaj ibn Yusuf Se Suno Rasoolullah ﷺ Ne Hume Bataya Tha Kay Banu Thaqif me ek Bahut Bada Kazzab hoga aur bahut bada Saffaq hoga Kazzab (Mukhtar Saqafi) ko to humne dekh liya aur Saffaq to mai nahi samajhti kay tere elawa koi aur hoga, Ye Sunke Hajjaj Wahan Se uth khada hua aur unhe koi jawab naa de saka”

(Sahih Muslim, Kitab Fazail E Sahaba, باب ذِكْرِ كَذَّابِ ثَقِيفٍ وَمُبِيرِهَا Pg 1261, Hadees
 : 6391{2541})
(Imam Ahmad Musnad Ahmad Vol : 07, Pg : 752, Hadees : 26727)
Scan Page 

Imam Tirmizi Rehmatullah Alaih Sunan Tirmizi me naql karte hai
Hadees 04 :  
 عَنِ ابْنِ عُمَرَ، قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ‏ "‏ فِي ثَقِيفٍ كَذَّابٌ وَمُبِيرٌ
Hazrat Abdullah Ibn Umar Radiallahu Anhu Se marvi Hai Nabi E Karim Ne Farmaya Banu Thaqif me Ek Jhoota Aur Halak Karne Wala Hoga. 
قَالَ أَبُو عِيسَى يُقَالُ الْكَذَّابُ الْمُخْتَارُ بْنُ أَبِي عُبَيْدٍ وَالْمُبِيرُ الْحَجَّاجُ بْنُ يُوسُفَ ‏
Imam Tirmizi Farmate Hai Kazzab Aur Jhute Se Murad Abu Ubaid Muqthar Saqafi Hai Aur Halak karne Wale Se Murad Hajjaj Ibn Yusuf hai
(Sunan Tirmizi, Kitabul Fitan, pg : 501, Hadees : 2220
باب مَا جَاءَ ‏"‏ فِي ثَقِيفٍ كَذَّابٌ وَمُبِيرٌ )
Scan Page 


Khatib Tabrezi Rehmatullah Alaih (Al Mutwaffa ne Apni Kitab Mishkat Me Hadees naql ki hai 
Hadees 05 : 
وَعَنِ ابْنِ عُمَرَ قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «فِي ثَقِيفٍ كَذَّابٌ وَمُبِيرٌ» قَالَ عَبْدُ اللَّهِ بْنُ عِصْمَةَ يُقَالُ: الْكَذَّابُ هُوَ الْمُخْتَارُ بْنُ أَبِي عُبَيْدٍ وَالْمُبِيرُ هُوَ الْحَجَّاجُ بْنُ يُوسُفَ 
Hazrat Abdullah Ibn Umar Radiallahu Anhu bayan karte hai Rasoolullah Ne Farmaya Thaqif kabile me ek Shaksh Kazzab Aur Ek Jalim Hoga, Abdullah bin Asma ne kaha Kazzab Se Muraad Mukhtar Ibn Abu Ubaid Aur Jaalim Se Muraad Hajjaj Ibn Yusuf Hai
(Mishkat Al Masabih Vol 03, Baab Manaqib Al Quraish, Pg :1689, Hadees : 5984)
Scan page Sahih Hadees Tehkeek  
Hadees 06 : 
“Hazrat Abdullah ibn Zubair Radiallahu Anhu Se Rivayat hai Kay Rasool E Karim Ne Farmaya Kayamat Us waqt tak kayam nahi hogi jab tak 30 Kazzab wa Dajjal naa nikal aayen, Unhi me se Musailma Kazzab, Aswad Al Ansi Aur Mukhtar hai”
(Imam Bayhaqi Dalailul Nabuwah, Vol : 06, Pg : 481)
(Imam Ahmad Ibn Hanbal Vol : 06, Pg : 45, Hadees : 6786 Musnad ibn Zubair Radiallahu Anhu)
(Hafiz Ibn Kathir Mozejat Un Nabi Pg : 179)
Scan Page Imam Bayhaqi Dalail 

Imam Abu Dawood Rahmatullah Alaih (Al Mutwaffa 275 Hizri) apni Sunan rivayat likhte hai  
Imam Abu Dawood Rehmatullah Alaih ne Pahle Kuch Hadees 30 Jhute dajjalo par naql ki aur us baab me aakhri hadees likhte hai jisme Imam Ibrahim ibn Al Nakhai Rehmatullah Alaih ka farman bayan karte hai 
Hadees 07: 
عَنْ إِبْرَاهِيمَ، قَالَ قَالَ عَبِيدَةُ السَّلْمَانِيُّ بِهَذَا الْخَبَرِ قَالَ فَذَكَرَ نَحْوَهُ فَقُلْتُ لَهُ أَتَرَى هَذَا مِنْهُمْ - يَعْنِي الْمُخْتَارَ - فَقَالَ عَبِيدَةُ أَمَا إِنَّهُ مِنَ الرُّءُوسِ 
Hazrat Ubaida Salmaani Rehmatullah Alaih ne hadees bayan ki 30 dajjal wali phir Hazrat Ibrahim Ibn Nakhai Rehmatullah Alaih Ne Kaha Aye Ubaida Radiallahu Anhu Kya Aap Mukhtar Saqafi ko unhi me se samajhte hai to unhone kaha Ye to Uske Sardaro me se hai”
(Sunan Abu Dawood, Pg : 542,Kitab Al Malahim, باب فِي خَبَرِ ابْنِ صَائِدٍ Hadees : 4335)
Scan page 
Imam Ibn Majah Rehmatullah Alaih (Al Mutwaffa 275 Hizri) Apni Sunan me likhte hai 
Hadees 08 : 
عَنْ رِفَاعَةَ بْنِ شَدَّادٍ الْقِتْبَانِيِّ، قَالَ لَوْلاَ كَلِمَةٌ سَمِعْتُهَا مِنْ، عَمْرِو بْنِ الْحَمِقِ الْخُزَاعِيِّ لَمَشَيْتُ فِيمَا بَيْنَ رَأْسِ الْمُخْتَارِ وَجَسَدِهِ سَمِعْتُهُ يَقُولُ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ‏ "‏ مَنْ أَمِنَ رَجُلاً عَلَى دَمِهِ فَقَتَلَهُ فَإِنَّهُ يَحْمِلُ لِوَاءَ غَدْرٍ يَوْمَ الْقِيَامَةِ ‏
“Hazrat Rifa’ah ibn Shaddad Al Qitbani Radiallahu Anhu Kahte hai Agar Wo Hadees Naa hoti jo maine Hazrat Amr Ibn Hamik Khuzayi Radiallahu Anhu Se Suna tha, To Mai Mukhtar Saqafi ka Sir uske jism se alag kar deta, Maine Hazrat Amr ibn Hamik Radiallahu Anhu Ko ye Kahte suna Nabi E Karim ﷺ Ne Irshad Farmaya hai Jisne Kisi Ko Jaan ka Aman diya Phir usko Qatl Kar diya to kayamat kay din dagabaaj ka jhanda uthane wala hoga”
(Imam Ibn Majah Kitabul Diyaa’t,Vol :03, Pg : 693, Hadees : 2688)
(Wahabi Naseerudin Albani Al Silsila Sahih, Hadees : 1679)
Scan Page Sunan Ibn Majah 
Aakhir Iska Sir Katne Ki Baat Kyun Ki Gayi Iska Jawab Uske Niche Wali Hadees Me Hai 
Hadees 09 : 
عَنْ رِفَاعَةَ، قَالَ دَخَلْتُ عَلَى الْمُخْتَارِ فِي قَصْرِهِ فَقَالَ قَامَ جِبْرَائِيلُ مِنْ عِنْدِي السَّاعَةَ ‏.‏ فَمَا مَنَعَنِي مِنْ ضَرْبِ عُنُقِهِ إِلاَّ حَدِيثٌ سَمِعْتُهُ مِنْ سُلَيْمَانَ بْنِ صُرَدٍ عَنِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم أَنَّهُ قَالَ ‏ "‏ إِذَا أَمِنَكَ الرَّجُلُ عَلَى دَمِهِ فَلاَ تَقْتُلْهُ ‏"‏ ‏.‏ فَذَاكَ الَّذِي مَنَعَنِي مِنْهُ ‏.‏
“Hazrat Rifaah Kahte hai Main Mukhtar Saqafi kay pass uske Mahal me gaya to Mukhtar ne Kaha Jibril Alaihsalam abhi abhi mere pass se gaye hai, Iski gardaan udha dene se sirf is hadees ne mujhe baaz rakha jo maine Sulaiman Ibn Surad Se Suna tha Nabi E Karim ﷺ ne farmaya Jab koi shaksh tum me se kisi ki jaan ki aman me ho to usko qatl na karo to ye baat ne mujhe usko qatl karne se rok diya”
(Imam Ibn Majah Kitabul Diyaa’t,Vol :03,Pg : 693-94, Hadees : 2689)
Scan Page Sunan Ibn Majah , #2689
Imam Hakim Al Nishapuri Rehmatullah Alaih (Al Mutwaffa 405 Hizri)
Hadees 10: 
Hazrat Aamir Bin Shaddad Radiallahu Anhu Farmate hai Mere dil me Mukhtar kay baare me kuch shaq tha Mukthar ne farmaya Abhi Jibrail Alaihsalam mere saath khade they aur maine irada kiya ki uski gardaan udha doon hatta k phir Nabi E Akram ﷺ ki hadees yaad aayi Jisne Kisi Ko Jaan ka Aman diya Phir usko Qatl Kar diya to kayamat kay din dagabaaj ka jhanda uthane wala hoga" 
(Imam Hakim Al Mustadraq Vol : 04, Pg : 404, Hadees :  8121)
(Imam Zahbi Siyar Al’am Al Nubala Vol : 03, Pg : 531) 

Imam Ahle Sunnat Imam Ahmad Ibn Hanbal Rahmutallah Alaih (Al Mutwaffa 241 Hizri) 
Hadees 11: 
حَدَّثَنَا بَهْزُ بْنُ أَسَدٍ حَدَّثَنَا حَمَّادُ بْنُ سَلَمَةَ عَنْ عَبْدِ الْمَلِكِ بْنِ عُمَيْرٍ عَنْ رِفَاعَةَ بْنِ شَدَّادٍ قَالَ كُنْتُ أَقُومُ عَلَى رَأْسِ الْمُخْتَارِ فَلَمَّا تَبَيَّنْتُ كِذَابَتَهُ هَمَمْتُ وَايْمُ اللَّهِ أَنْ أَسُلَّ سَيْفِي فَأَضْرِبَ عُنُقَهُ حَتَّى ذَكَرْتُ حَدِيثًا حَدَّثَنِيهِ عَمْرُو بْنُ الْحَمِقِ قَالَ سَمِعْتُ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَقُولُ مَنْ أَمَّنَ رَجُلًا عَلَى نَفْسِهِ فَقَتَلَهُ أُعْطِيَ لِوَاءَ الْغَدْرِ يَوْمَ الْقِيَامَةِ
“Hazrat Rafe ibn Shaddad Radiallahu Anhu bayan karte hai kay mai ek din mukhtar kay Sira’hne (Sir kay pass) Khada tha Jab Uska Jhuta hona Mujhpar roshan hogaya to Wallah maine is baat ka irada kar liya kay apni talwar nikal kar iski gardaan udha doon, Phir Mujhe ek hadees yaad aagayi jo mujhse Hazrat Amr ibn Hamik Radiallahu Anhu ne bayan ki thi kay Nabi E Karim ko farmate huwe Suna Jisne Kisi Musalmano ko pahle uski jaan ki amanat dede baad me uska qatl karde to kayamat kay din usse gaddar ka jhanda diya jayega” (Imam Ahmad Ibn Hanbal Al Musnad Vol:07, Pg :144-145, Hadees :22007)
Imam Muhammad Ibn Ismail Bukhari Rahmatullah Alaih (Al Mutwaffa 256 Hizri) (Imam Bukhari Fi Tareekh Ul Kabeer Vol : 02, Pg : 290)

Imam Abu Jafar Tahawi Rahmatullah Alaih (Al Mutwaffa 321 Hizri)
(Imam Tahawi Shara Mushkilul Aasar Vol:01, Pg :191, Hadees : 201
Scan Page Muskhkilul Aasar Lil Tahawi sanad Sahih
Hadees 12 :
Imam Tabrani “رحمة الله عليه” Sahih Sanad Se Hadees Laaye Hain
 حدثنا أحمد، قال: ناسعيد بن سليمان، عن أبي بكـر بـن عيـاش، عـن أبـي إسحاق، قال: قلت لعبدالله بن عمر: إن المختار يزعم أنه يوحى إليه. فقال: صـدق! وإن الشياطين ليوحون إلى أوليائهم

Abu Ishaq Kehte Hain Maine Abdulla Umar ( رضي الله عنه‎)Se Arz Kiya Mukhtar Saqafi Dawa Yeh Karta Hain Ki Uspar Wahi Ki aati Hain . Abdullah Ibne Umar Ne Kaha Usne Sacha Kaha . Kyu Ki Shaitan Apne Dosto Ki Taraf Wahi Karta Hain 
Imam Tabrani “رحمة الله عليه”Aage Likhtey Hain إسناده صحيح Is Hadees Ki Sanad Sahih Hain 
(Al-Mu'jam al-Awsat Pg : 267, Hadees 924)
Scan Page 
Imam Ibn Hajar Al-haytami “رحمة الله عليه” Farmatey Hain
الطبراني في الأوسط ورجاله رجال الصحيح .
Iske Rijaal Sahih Hain 
(Majmua al zuwaid d'Safa 643, Hadees 12488)
Scan Page
Hadees 13:
حَدَّثَنَا عَبْدُ الصَّمَدِ حَدَّثَنَا حَمَّادٌ عَنْ عَلِيِّ بْنِ زَيْدٍ عَنْ يُوسُفَ بْنِ مِهْرَانَ عَنْ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ عُمَرَ أَنَّهُ كَانَ عِنْدَهُ رَجُلٌ مِنْ أَهْلِ الْكُوفَةِ فَجَعَلَ يُحَدِّثُهُ عَنْ الْمُخْتَارِ فَقَالَ ابْنُ عُمَرَ إِنْ كَانَ كَمَا تَقُولُ فَإِنِّي سَمِعْتُ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَقُولُ إِنَّ بَيْنَ يَدَيْ السَّاعَةِ ثَلَاثِينَ كَذَّابًا
“Hazrat Yusuf Ibn Miraan Rahmatullah Alaih Kahte hai kay Ek martaba Hazrat ibn Umar Radiallahu Anhu kay pass kufa ka ek aadmi betha huwa tha Mukhtar Saqafi kay mutallik bayan karne laga Ispe hazrat Abdullah Ibn Umar Radiallahu Anhu kahte hai Agar aisa hi jaisa tum kah rahe ho, to maine Nabi E Karim  ko farmate huwe Suna Hai kay kayamat se pahle 30 dajjal wa kazzab log aayenge” 
(Imam Ahmad Musnad Ahmad Vol : 02, Pg : 328-29, Hadees :5985) Sanad Sahih
Scan Page

Imam Qazi Iyaz Maliki Rahmatullah Alaih likhte hai 
Kazzab Se Murad Mukhtaar hai
(Shifa Sharif Pg :466, Raqam : 979)
Imam Haythami Mazma Uz Zawaid Vol :05, Pg : 642, Hadees : 12483 Scan Page Rizaal Siqah 
Hadees 14:
حَدَّثَنَا ابْنُ نُمَيْرٍ حَدَّثَنَا عِيسَى الْقَارِئُ أَبُو عُمَرَ بْنُ عُمَرَ حَدَّثَنَا السُّدِّيُّ عَنْ رِفَاعَةَ الْقِتْبَانِيِّ قَالَ دَخَلْتُ عَلَى الْمُخْتَارِ فَأَلْقَى لِي وِسَادَةً وَقَالَ لَوْلَا أَنَّ أَخِي جِبْرِيلَ قَامَ عَنْ هَذِهِ لَأَلْقَيْتُهَا لَكَ قَالَ فَأَرَدْتُ أَنْ أَضْرِبَ عُنُقَهُ فَذَكَرْتُ حَدِيثًا حَدَّثَنِيهِ أَخِي عَمْرُو بْنُ الْحَمِقِ قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ أَيُّمَا مُؤْمِنٍ أَمَّنَ مُؤْمِنًا عَلَى دَمِهِ فَقَتَلَهُ فَأَنَا مِنْ الْقَاتِلِ بَرِيءٌ
Hazrat Rafa'e ibn Shaddad Kahte hai ek martaba mai Mukhtar kay pass gaya Isne mere liye takiya rakha aur kahne laga kay agar mere bhai Jibril Alaihsalam isse naa uthe hote to mai ye takht tumhare liye rakhta,
Mai us waqt Mukhtar kay sirahne khada tha aur uska jhuta hona mujh par roshan hogaya to wallah maine is baat ka irada kar liya kay apni talwar khinch kar Mukhtar ki gardan udha doon, lekin phir mujhe ek hadees yaad aagayi jo mujhse Hazrat Amr ibn Hamik Radiallahu Anhu ne bayan ki thi kay Maine Nabi E Karim
ko Farmate Suna Jo Shaksh Kisi Musalmano ko pahle uski jaan ki amanat dede baad me uska qatl karde to aise shaks se mai bari hoon (Yaani Uska mujhse koi talluk nahi hoga)

(Imam Ahmad Ibn Hanbal Musnad Ahmad, Vol:07, Pg :145, Hadees :22008) 
Scan page
Imam Nasai As Sunan Ul Kubra Hadees : 8739
Imam Abu Dawood Tayalisi Al Musnad Hadees : 1685
Imam Ibn Hibban As Sahih Hadees : 5982
Imam Bazzar Al Musnad Hadees : 2309

Hadees 15:
حَدَّثَنَا يُونُسُ بْنُ مُحَمَّدٍ قَالَ حَدَّثَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ مَيْسَرَةَ أَبُو لَيْلَى عَنْ أَبِي عُكَّاشَةَ الْهَمْدَانِيِّ قَالَ قَالَ رِفَاعَةُ الْبَجَلِيُّ دَخَلْتُ عَلَى الْمُخْتَارِ بْنِ أَبِي عُبَيْدٍ قَصْرَهُ فَسَمِعْتُهُ يَقُولُ مَا قَامَ جِبْرِيلُ إِلَّا مِنْ عِنْدِي قَبْلُ قَالَ فَهَمَمْتُ أَنْ أَضْرِبَ عُنُقَهُ فَذَكَرْتُ حَدِيثًا حَدَّثَنَاهُ سُلَيْمَانُ بْنُ صُرَدٍ عَنْ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ أَنَّ النَّبِيَّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ كَانَ يَقُولُ إِذَا أَمَّنَكَ الرَّجُلُ عَلَى دَمِهِ فَلَا تَقْتُلْهُ قَالَ وَكَانَ قَدْ أَمَّنَنِي عَلَى دَمِهِ فَكَرِهْتُ دَمَهُ
"Rafah Bin Shaddad Radiallahu Anhu Kehten Hain Ke Ek Martaba Mai Mukhtar Ke Paas Gaya,Isne Mere Liye Takiya Rakha Aur Kehne Laga Ke Agar Mere Bhai Jibraeel (Alaihissalam)Isse Na Uthe HoteTo Mai Ye Takiya Tumhare Liye Rakhta.Mai Is Waqt Mukhtar Ke Sirhane khada Tha Jab Iska Jhoota Hona Mujhpar Roshan Hogya To Wallah Mene Is Baat Ka Irada kar Liya ke Apni Talwar Khinch Kar Iski Gardan Uda Doon Lekin Phir Mujhe Ek Hadees Yaad AagayiJo Mujhse Suleman Bin Sard Ne Bayan Ki Thi Ke Mene Nabi  Ko Ye Farmate Suna Ke Jo Shaks Kisi Musalman Ko Pehle Iski Jaan Ki Amaan Dede To Ise Qatal Na Kare, Isliye Mene inhe Qatal Karna Munasib Nahi Samjha"
(Imam Ahmad Ibn Hanbal Vol :12, Pg : 481,Hadees : 27080) Scan Page

Hadees 16:
حَدَّثَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ مُحَمَّدٍ حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ بِشْرٍ حَدَّثَنَا زَكَرِيَّا بْنُ أَبِي زَائِدَةَ حَدَّثَنَا خَالِدُ بْنُ سَلَمَةَ حَدَّثَنَا مُسْلِمٌ مَوْلَى خَالِدِ بْنِ عُرْفُطَةَ أَنَّ خَالِدَ بْنَ عُرْفُطَةَ قَالَ وَسَمِعْتُ أَنَا مِنْ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ مُحَمَّدِ بْنِ أَبِي شَيْبَةَ يَعْنِي حَدَّثَنَا مُسْلِمٌ مَوْلَى خَالِدِ بْنِ عُرْفُطَةَ أَنَّ خَالِدَ بْنَ عُرْفُطَةَ قَالَ لِلْمُخْتَارِ هَذَا رَجُلٌ كَذَّابٌ وَلَقَدْ سَمِعْتُ النَّبِيَّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَقُولُ مَنْ كَذَبَ عَلَيَّ مُتَعَمِّدًا فَلْيَتَبَوَّأْ مَقْعَدَهُ مِنْ جَهَنَّمَ
"Hazrat Khalid Ibn Arfat Radiallahu Anhu Ne Mukhtar Saqafi kay muttalik farmaya Kazzab Aadmi hai aur maine Nabi  Ko Farmate huwe Suna kay jo shaksh Jaan Buch kar meri taraf kisi baat ko jhuthi nisbat karta ho to usse chahye jahhanam ki aag me apna thikana bana le"
(Imam Ahmad Ibn Hanbal Al Musnad, Vol : 10, Pg : 331-32,Hadees : 22400)
Scan Page

Hadees 17: 
Hazrat Halal ibn Yasaaf se rivayat hai Unhone farmaya Mujhse hazrat Burid ne bayan kiya jo Mukhtar ka sir Hazrat Abdullah ibn Zubair kay paas lekar aaye they unhone farmaya jab mai iska Sir Hazrat ibn Zubair Radiallahu Anhu kay saamne rakha to unhone farmaya mujhse Kaab Ne koi bhi baat naql nahi ki magar maine iska misdaak dekh liya siwaye iske ek aadmi mujhe qatl karega mai apne aapko dekh raha hoon kay maine isse qatl kar diya hai.
(Musannaf Ibn Abi Shayba Vol 12, Pg :128, Hadees : 38485) Scan Page
Hadees 18:
 حَدَّثَنَا عُبَیْدُ اللہِ ، قَالَ : أَخْبَرَنَا إسْرَائِیلُ ، عَنْ أَبِی إِسْحَاقَ ، عَنْ سَعِیدِ بْنِ وَہْبٍ ، قَالَ : کُنْتُ عِنْدَ عَبْدِ اللہِ بْنِ الزُّبَیْرِ فَقِیلَ لَہُ : إنَّ الْمُخْتَارَ یَزْعُمُ أَنَّہُ یُوحَی إلَیْہِ ، فَقَالَ : صَدَقَ ، ثُمَّ تَلاَ {ہَلْ أُنَبِّئُکُمْ عَلَی مَنْ تَنَزَّلُ الشَّیَاطِینُ تَنَزَّلُ عَلَی کُلِّ أَفَّاکٍ أَثِیمٍ}۔
Hazrat  Saeed Ibn Wahab Radiallahu Anhu Farmate hai kay main Hazrat Ibn Zubair kay pass tha unse kaha gaya ki Mukhtar ye dawa karta hai kay uspar Wahi Aati hai,
Ibn Zubair ne kaha kay usne sach kaha Aur aapne ye aayat tilawat farmayi هَل أُنَبِّئُكُم عَلىٰ مَن تَنَزَّلُ الشَّياطينُ تَنَزَّلُ عَلىٰ كُلِّ أَفّاكٍ أَثيمٍ
(Surah 26 Surah Al Shu’ara Ayat 221-222) 
Kya Mai Tumhe Bata Doon Shaitan Kispar Utarte Hai, Shaitan Utarte Hai Bade Bohtan Bandhne waale gunahgaar par"
(Imam Ibn Abi Shayba Al Musannaf Vol :11, Pg : 356,Hadees : 31082)
Hadees 19:
حَدَّثَنَا الأَحْمَرُ ، عَنِ الأَعْمَشِ ، عَنْ إبْرَاہِیمَ ، قَالَ : أَوَّلُ مَنْ أَحْدَثَ الْقِرَائَۃَ خَلْفَ الإِمَامِ الْمُخْتَارُ ، وَکَانُوا لاَ یَقْرَؤُونَ۔
“Hazrat Ibrahim Ibn Naqhai Rahmatullah Alaih Farmate Hai Imam Kay Piche Sabse Pahle Qira’at Mukhtar ne Shuru karwayi, Aslaaf Imam kay piche Qira’at nahi kiya karte they”
(Musannaf Ibn Abi Shayba Vol : 11,Pg 33-34 : Hadees : 36874) Scan Page
Imam Yahya Ibn Al Sharaf Nawawi Rehmatullah Alaih (Al Mutwaffa 656 Hizri) Sahih Muslim Ki Us Hadees Hazrat Asma bint Abu Baqr Siddique Radiallahu Anha ko likh kar baab Kayam Karte hai Zikr E Kazzab Thaqif Usme likhte hai “Ispe ahle sunnat kay ulema ka ittefaque hai kay Kazzab Se Murad Mukthar ibn Abu Ubaid Saqafi hai aur Mubeer (Jalim) Hajjaj ibn Yusuf hai”
(Imam Nawawi Shara E Sahih Muslim, Vol : 16, Pg : 100)  Scan Page

Hafiz Ismail Ibn Umar ibn Al Kathir Shafai (Al Mutwaffa 774 Hizri)
"Phir Mukhtar ki hukumat yun khatm hogayi goya kabhi thi hi nahi Aur isi tarah dosri hukumaten bhi khatm hogayen.aur Musalman inke zawal se kush hogaye.isliye ke wo shakhs fi nafsa acha nahi tha balki Jhoota tha aur iska khayal tha ke Jibraeel Alaihissalam Ke haath ispar wahi ati hai. Imaam Ahmad Rehmatullah Alahi ne Bayan Kiya hai ke ibne  Nameer ne hamse Bayan kiya ke Qari Isa Abu Umair Bin Al Sidi ne ba hawala Rafa'tul Qababi humse Bayan kiya ke mai Mukhtar Ke Paas Gaya To isne mujhe takya diya Aur kehne laga Agar mera bhai Jibraeel Alaihissalam issi na uththa to mai ise tere liye phenk deta."
(Hafiz Ibn Kathir Al Badaya Wan Nahaya Vol : 08, Pg : 291) Scan Page 
Imam Shamsuddin Al Zahbi Rahmatullah Alaih (Al Mutwaffa 748 Hizri) "Muqthar Ibn Abi Ubaid Saqafi Kazzab tha Jo apne pass Jibril Alaihsalam kay aane ka dawa karta tha"
(Al Mizanul Aitedal Vol : 08 Pg : 385, Raqam : 8384)
Imam Shahabudin Abul Fazl Ibn Hajar Asqalani Shafai (Al Mutwaffa 854 Hizri)
"Muqthar Saqafi kazzab Jo Hazrat Jibril Alaihsalam Ka Iske pass aane ka dawa karta tha"

(Lisan Al Mizan Vol : 08, Pg :07, Raqam : 8319)

Shah Waliullah Muhadis Dahelvi Rahmatullah Alaih (Al Mutwaffa 1186 Hizri) “Hujja Tula Ul Baligha” ke mubhis e fitan main hadees ﺛﻢ ﯾﻨﺸﺎﺀ ﺩﻋﺎﺓ ﺍﻟﻀﻼﻝ ke phir gumrahi ke taraf dawat dene waly paida hoon ge ke tashreeh main likhty hain: ­ ﻭﺩﻋﺎﺓ ﺍﻟﻀﻼﻝ ﯾﺰﯾﺪ ﺑﺎﻟﺸﺎﻡ ﻭ ﻣﺨﺘﺎﺭ ﺑﺎﻟﻌﺮﺍﻕ aur zalalat ke dai Sham(Syria) main Yazeed aur Iraq main Mukhtar they
Bahes e munaqib main farmaty hain: aur qaroon e fazla yani un sadyun me bhi jin ke fazilat hadees main warid hai bilitifaq aise log mojood they ke jo munafiq ya fasiq they aur inhe main Hajaj aur Yazeed bin Muavia aur Mukhtar ka shumar hai.(Hujjat Allah al-Baligha, Vol : 02, Pg : 330/333) Scan 
Tareekh E Islam Pe Badi Mashoor kitab Jo har jagah aasani se milti hai Nazeemabadi Likhte hai 
"Muqthar Ka Dawa E Nabuwat Aur Hazrat Ali Radiallahu Anhu Ki Kursi, (pg : 146)
Musab Ibn Zubair Basra Se Qasid bhejna pada Ko Kufa Bhejna pada Hazrat Ibn Zubair Radiallahu Anho shayad Kufa Pe Chadai Karne me Aur Ta'ammul farmate Mukhtar ne lekin jab Kufa me logo ko badi bedardi se qatl karna shuru kiya aur ye mashoor kiya kay mere pass Jibril E Ameen Aata hai Aur Allah ki janib se wahi laata hai, to log Shaher chod kar bhage kuch to Basra Ki taraf bhage aur baaj Hazrat Ibn Zubair kay pass pahuche aur Mukhtar ka Haal bhi elawa Mazalim Kay Sunaya"
(Akbar Shah Khan Nazeemabadi, Tareekh E Islam, Vol : 02, Pg: 146, 152)


Yahan humne is talluk se itne dalail de diye hai jo haq parast ko kafi hai Aimma E Muhadiseen Sahabi Tabayi Tabe Tabain Aimma E Jirah Wa Tadeel Qutoob E Hadees tareekh kay mustanad hawalo se ye saabit hai kay Mukhtar Saqafi ne dawa e nabuwat kiya tha aur Ahle Sunnat ka to ispe ittefaque hai ab aajka koi neem rafzi Peer Ahle Bayt ki muhabbat ka dawa karke Mukhtar ko apna bada rehnuma aur leader maan raha hai to isme gumrahi ki koi gunzaish nahi hai aap samajh sakte hai ye log kaise rafzi shia agende ko ahle sunnat me dakhil karna chahte hai balki khud Shia kitabo me iske jhuthe kazzab hone ka zikr hai jo hum kisi post me jarur karenge unki kitabo kay hawale se In Sha Allah Taala

Mukhtar al-Thaqafi, Al-Mukhtar b. Abi 'Ubayd al-Thaqafi, Who was Mukhtar al-Thaqafi?, Mukhtar Thaqafi the Liar,Mukhtar Saqafi Kon Tha?, Mukhtar Saqafi Kay Dawa-e-Nubuwwat Ki HAQEEQAT
Post by Shaikh Sher Ali Hanfi

3 comments:

  1. JazaKallah Allah Pak aapko iska Ajar E Azeem ata Farmaye. Hamid Nazar from Pakistan

    ReplyDelete
  2. Is post mein ek bhi mustanad hawala nahi milta jis se sabit ho ke mukhtar ne dawa e nabuwwat kiya tha... Sirf ye sabit hota hai ke jhota tha par kesa jhota wo saaf nahi hai ilawa iske in sabhi ibarston ke rawi aksar wo hazraat hai jo mukhtar se talwar se ya siyasat se lad rahe they aur dusan they...... Bahut mashkook masla hai ye

    ReplyDelete
  3. bhai sahab mai aapki baato k radd karta hu aur aapki dalilo ko bina haath pair kehta hu
    aur suno ahle bait k liye itna sab kar chuka t emam k isq une kitna hoga y muamla emane abu talib k tarah hai.. .bahut pechida kisi m h kisi m n isq k kanoon ise sirf aur sirf gaflat se bhara tumhara moju kahegi aur suno jo tum bhole bhale keh rahe ho sirf series dekbk bhatak gaye bat w nhi hai baat y hai Allahvpaaak n hi nhi emam ne jise jariyaye badla banaya kya emam k ruhaniyyat use emman p khatma bil khair nhi kara saki...had hai tumhari sunniyat aur yaqeene quwwate ahle bait p k kehte ho k wo bakhsis b karayenge aur phir kehte ho k unki isq m jisne badla liya w maazallah kufr m mara
    pechidgi ispe h sahab....

    ReplyDelete

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers