Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Thursday 9 July 2020

Musafa Karne Ka Sunnat Tarika Musafa Ek Haath Se Ya Do Haath Se

سم الله الرحمن الرحيم
♥ السلام عليك يا رسول الله ♥ ♥ السلام عليك يا حبيب الله ♥
Ghair Muqallideen Wahabiya ne Koi masla aisa ab na choda jahan Ikhtilaf ko hawa na di ho ye logo ne Musafa karne kay talluk se Musalmano Ka amal raha hai dono haath se Musafa karne ka ab wahabiya ne yahan bhi fitna chod diya aur kahne lage jo log do haath se Musafa karte hai wo biddati hai unka Salam durust nahi hai inhe Musafe ki fazilat nahi hasil hogi balki koi sahih rivayat se do haath ka musafa saabit nahi hai, magar kya yehi hakikat hai isko padhke apne shak wa shubahat ka izala karen.
Baab 01 : Musafa Karna Islam Kay Adab Me Se Hai
Hadees 01:
عَنْ قَتَادَةَ، قَالَ قُلْتُ لأَنَسٍ أَكَانَتِ الْمُصَافَحَةُ فِي أَصْحَابِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم قَالَ نَعَمْ‏.‏
“Hazrat Qatada Radiallahu Anhu Farmate hai Maine Hazrat Anas Ibn Malik Radiallahu Anhu Se Daryaft kiya Kay Kya Haatho Se Musafa karne ka Dastoor Sahaba E Kiram me rayeez tha, Unhone Kaha Haan”
(Sahih Bukhari, Kitab Al kitab Al Aistidhan, باب الْمُصَافَحَةِ Pg :1564,Hadees : 6263)
(Imam Tirmizi Sunan, كتاب الاستئذان, Hadees : 2729) 
قَالَ أَبُو عِيسَى هَذَا حَدِيثٌ حَسَنٌ صَحِيحٌ
Imam Tirmizi Farmate Hai Ye Hadees Hasan Sahih hai
(Imam Nawawi Riyad Us Saliheen, Kitab Us Salam, Pg 1564, Hadees : 885) Scan Page Sahih Bukhari Sharif
Hadees 02 :
عَنِ الْبَرَاءِ بْنِ عَازِبٍ قَالَ‏:‏ مِنْ تَمَامِ التَّحِيَّةِ أَنْ تُصَافِحَ أَخَاكَ
“Hazrat Barra Ibn Azib Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Salam Yun Pura Hota Hai Kay Tum Salam kay baad Musafa bhi Kiya Karo” 
(Imam Bukhari Al Adab Ul Mufrad, Pg : 348, Kitab As Salam, Baab Al Musafa, Hadees : 968) Scan Page
Baab 02 : Musafa karna Sunnat hai Kiss (Chumna) Ya Haddh E Ruku Adab Me Jhukna Nazayz Hai 
Hadees 03: 
عَنْ أَنَسِ بْنِ مَالِكٍ، قَالَ قَالَ رَجُلٌ يَا رَسُولَ اللَّهِ الرَّجُلُ مِنَّا يَلْقَى أَخَاهُ أَوْ صَدِيقَهُ أَيَنْحَنِي لَهُ قَالَ ‏"‏ لاَ ‏"‏ ‏.‏ قَالَ أَفَيَلْتَزِمُهُ وَيُقَبِّلُهُ قَالَ ‏"‏ لاَ ‏"‏ ‏.‏ قَالَ أَفَيَأْخُذُ بِيَدِهِ وَيُصَافِحُهُ قَالَ ‏"‏ نَعَمْ 
"Hazrat Anas Ibn Malik Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Kay Ek Shaks Ne Nabi E karim  Se Arz Ki Ya Rasoolullah ﷺ Jab Hum Apne Dost ya bhai se mulakat karte hai to kya Iske saamne Jhuke (bow down) ? Farmaya NAHI, Phir usne Arz Ki Usse Chimat Kar usse Bosa Len ? Farmaya Nahi Phir usne Arz Ki Kya haath pakad kar usse musafa karen Irshad Farmaya HAAN" 
(Imam Tirmizi Sunan, Kitab Al Aistedhaan, باب مَا جَاءَ فِي الْمُصَافَحَةِ Pg : 613,Hadees : 2728)
 قَالَ أَبُو عِيسَى هَذَا حَدِيثٌ حَسَنٌ   Imam Tirmizi Farmate hai Ye hadees Hasan hai
(Imam Ibn Majah Sunan, Kitab Al Adab, باب الْمُصَافَحَة,Hadees : 3702)
Scan page Sunan Tirmizi 

Jaise Western Culture Yahud Nasara Ka tarika hai kay wo jab mulakat karte hai to milte waqt ek dusre se gale Milkar Gaalo ko chumte hai aur China Japan jaise mulko ka rivaz hai kay ye log ek dusre kay saamne jhukte hai aur Hindu Pair tak jhukte hai Jaisa kay sabse pahli upar kay image me bataya gaya hai.

Baab 03 : Musafa Karne Ki Fazilat Ka Bayan
Hadees 04 : 
عَنِ الْبَرَاءِ بْنِ عَازِبٍ، قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ‏ "‏ إِذَا الْتَقَى الْمُسْلِمَانِ فَتَصَافَحَا وَحَمِدَا اللَّهَ عَزَّ وَجَلَّ وَاسْتَغْفَرَاهُ غُفِرَ لَهُمَا ‏"
“Hazrat Bara Ibn Azib Radiallahu Anhu Se Marvi Nabi E Karim ﷺ Hai Jab Do Musalman Milkar Musafa karte hai to Juda (alag) hone Se pahle hi Unki maghfirat ho jati hai”
(Sunan Abu Dawood, Kitab Al Adab, باب فِي الْمُصَافَحَةِ, Hadees : 5212)
(Sunan Ibn Majah, Kitab Al Adab, باب فِي الْمُصَافَحَةِ, Hadees : 3703)
(Imam Tirmizi Sunan, Kitab Al Istezan, Pg 613, Hadees : 2727)
قَالَ أَبُو عِيسَى هَذَا حَدِيثٌ حَسَنٌ غَرِيبٌ
Imam Tirmizi Farmate Hai Ye Hadees Hasan Gharib Hai  
(Imam Nawawi Riyad Us Saliheen, Kitab As Salam, Hadees : 883) 
Scan Page Sunan Tirmizi Hadees 2727 Sahih

Hadees 05 : 
عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ إِنَّ الْمُسْلِمَ إِذَا صَافَحَ أَخَاهُ تَحَاتَّتْ خَطَايَاهُمَا كَمَا يَتَحَاتُّ وَرَقُ الشَّجَرِ 
"Hazrat Abu Hurraira Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Nabi E Karim ﷺ Ne Irshad Farmaya Jab Do Musalman Aapas Me Musafa karte hai to Allah Taala dono kay gunah ko is tarah Jhaad Deta hai jaise darakht se patte jhadte ho"
(Imam Bazzar Al Musnad Al Bazzar, Hadees : 8355)
(Wahabi Albani Silsila Sahih Hadees 2721)
(Imam Haythami Al Mazma Uz Zawaid Vol ;08, Pg :37, Hadees :12768) scan Page

Hadees 06 :
عَنْ حُذَيْفَةَ بْنِ الْيَمَانِ عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ إِنَّ الْمُؤْمِنَ إِذَا لَقِيَ الْمُؤْمِنَ فَسَلَّمَ عَلَيْهِ وَأَخَذَ بِيَدِهِ فَصَافَحَهُ تَنَاثَرَتْ خَطَايَاهُمَا كَمَا يَتَنَاثَرُ وَرَقُ الشَّجَرِ
"Hazrat Huzaifa Ibn Al Yaman Radiallahu Anhu Se marvi Hai Nabi E Karim  Ne Irshad Farmaya Beshaq Jab Momin Ek Dusre Se milte hai, Salam Karte hai aur Musafa Karte hai to Allah Pak Un Dono kay gunah ko is tarah jhaad deta hai jaise darakht se patte"
(Imam Tabrani Al Mujam Ul Ausat Vol : 01, Pg : 80, Hadees : 254) Scan Page

Note : Yahan Gunah Jhadne Se murad wo gunah hai jo bhul chuk se gunah e sagira chote gunah hote hai.   
Hadees 07: 
عَنِ الْبَرَاءِ بْنِ عَازِبٍ، قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ‏ "‏ إِذَا الْتَقَى الْمُسْلِمَانِ فَتَصَافَحَا وَحَمِدَا اللَّهَ عَزَّ وَجَلَّ وَاسْتَغْفَرَاهُ غُفِرَ لَهُمَا 
Hazrat Barra Ibn Azib Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Nabi E karim  Ne Irshad Farmaya Jab Do Musalman Mulakat karte Hai Allah ki hamd bayan karte hai Aur Allah Se Magfirat talab karte hai, to unhe bakhs diya jata hai"
(Sunan Abu Dawood, Kitab Al Adab, Baab Al Musahfa, Hadees : 5211)
Scan page
 

Hadees me Zikr huwa Kay Do Musalman Magfirat ki dua kare to Allah unki Magfirat farma deta hai to wo dua ye karen, ghair muqallideen Kay Shaykul Kul Nazeer Hussain Dahelvi Sahab kay Shagird Shamsul Haq Azeemabadi ne bhi iska zikr apni kitab Sharah Sunan Abu Dawood Me kiya hai pahle hadees naql ki aur Likhte hai ye Dua karen

"يغفر الله لنا ولكم  (Yaghfirullahu lana walakum) Allah tumhari aur Meri Magfirat farmaye"
(Awn Al-Ma'bood Sharh Sunan Abu Dawood, Vol : 07, Pg : 253, Kitab Al Adab, Hadees : 5202) 



Baab 04 : Do Haath Se Musafa Karna Sunnat Sahih Hadees Se Sabit Hai 
Imam Muhammad Ibn Ismail Bukhari Rahmatullah Alaih Al Mutwaffa 256 Hizri apni Sahih Me Baab Kayam Karte Hai Do Haath Se Musafa Karna Uske tahet Baab Pe Dalail Tabayn Aur Phir Sahabi Abdullah Ibn Masood Radiallahu Anhu Ka Amal naql karte hai  Hadees 08 :
ﻭَﺻَﺎﻓَﺢَ ﺣَﻤَّﺎﺩُ ﺑْﻦُ ﺯَﻳْﺪٍ ﺍﺑْﻦَ ﺍﻟْﻤُﺒَﺎﺭَﻙِ ﺑِﻴَﺪَﻳْﻪِ "Hazrat Hammad Ibn Zayd Radiallahu Anhu Abdullah Ibn Mubarak Radiallahu Anhu Se Dono Haatho Se Musafa Kiya" (Sahih BuKhari, Kitabul Istezan, باب الأَخْذِ بِالْيَدَيْنِ, (Baab 28 : Dono Haatho Se Musafa Karne Ka Bayan, Pg : 1564)
Ye Baab Kayam karke ab ispe Dalil laate Hai Hazrat Ibn Masood Radiallahu Anhu Ki rivayat
Hadees 09:
قَالَ سَمِعْتُ ابْنَ مَسْعُودٍ، يَقُولُ عَلَّمَنِي رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم وَكَفِّي بَيْنَ كَفَّيْهِ التَّشَهُّدَ، كَمَا يُعَلِّمُنِي السُّورَةَ مِنَ الْقُرْآنِ التَّحِيَّاتُ لِلَّهِ وَالصَّلَوَاتُ وَالطَّيِّبَاتُ، السَّلاَمُ عَلَيْكَ أَيُّهَا النَّبِيُّ وَرَحْمَةُ اللَّهِ وَبَرَكَاتُهُ، السَّلاَمُ عَلَيْنَا وَعَلَى عِبَادِ اللَّهِ الصَّالِحِينَ، أَشْهَدُ أَنْ لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَأَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّدًا عَبْدُهُ وَرَسُولُهُ‏.‏ وَهْوَ بَيْنَ ظَهْرَانَيْنَا، فَلَمَّا قُبِضَ قُلْنَا السَّلاَمُ‏.‏ يَعْنِي عَلَى النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم‏
"Hazrat Ibn Masood Radiallahu anhu Farmate hai Ke Muhje Nabi Kareem ﷺ Ne Tashawud sikhaya To Meri Dono Hatheli Nabi Karim ﷺ ki Dono Hatheliyo Ke Darmiyan Thi Aur Kaab Bin Malik Radiallahu Anhu Ne Bayan Kiya Ke Main Masjid Me Dakhil Huwa To Waha Nabi Karim ﷺ Tashrif Farma The Talha Bin Abdullah Radiallahu Anhu Badi Tezi Se Meri Taraf Aaaye Aur Tauba Qubul Hone Par Mujhe Mubarak Baad Di"
(Sahih BuKhari, Kitabul Istezan, باب الأَخْذِ بِالْيَدَيْنِ, (Dono Haatho Se Musafa Karne Ka Bayan, Pg :1564, Hadees :6265)
Scan Page Sahih Bukhari 
Maloom Huwa Kay Imam Bukhari Rahmatullah Alaih Ne Yahan Khaskar Do Haath Se Musafa Karna Pe Baab Kayam kiya aur uspe dalail bhi diye Sahaba Tabayn Ka Amal bhi dalail me pesh kiya hai, ek aur Sahabi Ki dalil mulahiza kare
Hadees 10: حَدَّثَنَا ابْنُ أَبِي مَرْيَمَ، قَالَ‏:‏ حَدَّثَنَا عَطَّافُ بْنُ خَالِدٍ قَالَ‏:‏ حَدَّثَنِي عَبْدُ الرَّحْمَنِ بْنُ رَزِينٍ قَالَ‏:‏ مَرَرْنَا بِالرَّبَذَةِ فَقِيلَ لَنَا‏:‏ هَا هُنَا سَلَمَةُ بْنُ الأَكْوَعِ، فَأَتَيْنَاهُ فَسَلَّمْنَا عَلَيْهِ، فَأَخْرَجَ يَدَيْهِ فَقَالَ‏:‏ بَايَعْتُ بِهَاتَيْنِ نَبِيَّ اللهِ صلى الله عليه وسلم، فَأَخْرَجَ كَفًّا لَهُ ضَخْمَةً كَأَنَّهَا كَفُّ بَعِيرٍ، فَقُمْنَا إِلَيْهَا فَقَبَّلْنَاهَا “Hazrat Abdur Rahman Ibn Razin Radiallahu Anhu Kahte hai kay hum ‘Zubda’ se guzar rahe they to hume bataya gaya kay yahan Salma Ibn Akwa Radiallahu Anhu thahre huwe hai, Hum unke pass gaye aur unhe Salam kiya to Unhone apne dono haath aage kiye Aur Bataya Kay Inhi do Haatho Se maine Nabi E Karim ﷺ Se Bayt ki thi, Aapne Apni hatheli aage ki lagta tha kay koi Oont kay agle paun hai hum uthe aur humne bosa diya” 
(Imam Bukhari Al Adab Ul Mufrad, Kitab As Salam, بَابُ تَقْبِيلِ الْيَدِ Pg : 350, Hadees : 973) Albani Ne Bhi isko Hasan kaha hai. Scan Page
Baab 05 : Kisi Ghair Mehram Se Haath Milana Uska Haath Apne Haath Me Lena Agarche Bait Ki Niyat Se Nazayz Hai
Hadees 11:
سَمِعَ مُحَمَّدَ بْنَ الْمُنْكَدِرِ، قَالَ سَمِعْتُ أُمَيْمَةَ بِنْتَ رُقَيْقَةَ، تَقُولُ جِئْتُ النَّبِيَّ صلى الله عليه وسلم فِي نِسْوَةٍ نُبَايِعُهُ فَقَالَ لَنَا ‏ "‏ فِيمَا اسْتَطَعْتُنَّ وَأَطَقْتُنَّ إِنِّي لاَ أُصَافِحُ النِّسَاءَ

"Hazrat Imam Muhammad Al Munqadir Radiallahu Anhu Kahte hai Maine Hazrat Umaima bint Ruqaiqah Radiallahu Anha Se Suna wo Kahti hai kay Mai Kuch Auraton Kay Humraah Nabi E Karim  Se bait karne aayi to Aap ne Farmaya Tumhari bayt Hogayi Jahan Tak tumhare andar taqat quwwaat ho karo, Mai aurato se haath nahi milata"
(Sunan Ibn Majah, Kitab Al Jihad, Pg 487-488,Hadees : 2874)
(Imam Nasai As Sunan, Kitab Al Bayah, Hadees : 4181)
Scan Page
 Hadees 12:
"Ummul Momineen Ayesha Siddiqua Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Nabi E Karim  ne Bayt Lete waqt kabhi kisi Ajnabi aurat kay haath na pakde albatta unse jo ahed lena tha wo liya"
(Sahih Muslim, Kitab Al Imarah, Hadees : 1866)
(Sahih Bukhari, Hadees : 2713, 4891, 5288)
(Sunan Abu Dawood, Kitab Al Kharaj Wal Fai Wal Imarah, Hadees : 2941)  Scan page Sunan Abu Dawood


Hadees 13:
"Hazrat Syedna Maqil Ibn Yasar Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Rasoolullah 
 Ne Farmaya Kisi Naa Mehram Aurat Kay jism ko haath lagana usko chhone se bahtar hai kay lohe ki salaak ko Apne Sar (head) par marwa kar bardhast karle isse behtar hai ki lohe ki salaak iske sar me maar di jaaye" 
(Imam Tabrani Al Mujam Ul Kabeer, Vol : 20, Pg : 211-212, Hadees : 486) Scan Page 


Ye aakhri baab isliye jama kia gaya baaz jahil peer apni Murid jo ladies hoti hai unse musafa karte hai balki unke haath se direct haath bait karte hai aur kuch aise bhi hai jo bas Musafe ki fazilat padh kar ghair mehram khatoon se haath milane lagte hai yaad rahe us waqt aisa karne se gunaah to hargiz na jhadenge balki banda gunah ka murtakib jarur hoga lihaja mard ka ghair mehram aurat se musafa nazayz hai.
(Note :Jin Logo ko Musafe Kay talluk se aur tafseeli detail aur masail padhna hai wo Bahar E Shariat Vol : 03, Pg : 470 se padh sakta hai Link Di Gayi Hai CLICK TO READ ONLINE)

Shaking Hands Al Musafah, Do Haath Se Musafa karna hadees, Hadith Shaking Hand, Musafa Karne Ki Fazilat, Musafa karne Ka Sunnat tarika, Ghair Mehram Se Musafa Haram Hai, 

Post By Shaikh Sher Ali Hanfi 

3 comments:

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers