Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Monday, 27 July 2020

Qurbani Kitne Din 3 Ya 4 wahabi Ki dalil ka jaiza

سم الله الرحمن الرحيم
♥ السلام عليك يا رسول الله ♥ ♥ السلام عليك يا حبيب الله ♥
Qurbani 03 din tak ya 04 din tak jaise hi Maahe Jil Hajj ka waqt aata hai ghair muqallideen musalmano kay yahan sirf aur sirf Ahnaf dushmani ki wajah se ek masla le aate hai kay hum Nabi E Pak ﷺ Ki Wo sunnat zinda kar rahe hai jo Murda hogayi hai lihaja 04 din hum Qurbani kar rahe hai halanki kisi sahih mustanad rivayat se 04 din Qurbani sabit nahi hai, jahir hai jab wo ye dawa karte hai to apne dalail me kuch dalil bhi dete honge wo ek hadees pesh karte hai, 

Ghair Muqallideen Ki Dalil

Hadees 01:
حَدَّثَنَا أَبُو الْيَمَانِ، قَالَ: حَدَّثَنَا سَعِيدُ بْنُ عَبْدِ الْعَزِيزِ، عَنْ سُلَيْمَانَ بْنِ مُوسَى، عَنْ جُبَيْرِ بْنِ مُطْعِمٍ، عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، Sanad : Imam Ahmad Ibn Hanbal Rahmatullah Alaih –> Abul Imaan –> Saeed bin Abdul Aziz (AN) –> Sulaiman bin Moosa (AN) –> Jubair Ibn Mutim Radiallahu Anhu  –>
Huzur Nabi E Karim 
ﷺ Se فَذَكَرَ مِثْلَهُ، وَقَالَ: ” كُلُّ أَيَّامِ التَّشْرِيقِ ذَبْحٌ
Tashreeq Kay Tamam Din Zibah Karne Kay Din Hai"

(Imam Ahmad Ibn Hanbal Al Musnad, Vol : 27, Pg : 317 Hadees : 16752)
Scan page


Is Hadees Par Ghair Muqallideen ne 04 din Qurbani Ki Bunyad banayi hai kay 13 Zil Hajj ki asr tak Qurbani ki jaa sakti hai magar inka ye istedlaal baatil hai uski wajuhat padhiye
Is hadees kay raavi  Saeed ibn Abdul Aziz Aur Suleman ibn Moosa ye dono hi Mudallis hai,
Imam Ibn Hajar Asqalani Apni Mashoor kitab me likhte hai

Is riwayat me Saeed bin Abdul Aziz Mudallis hai.
(Tabqaat ul Mudalliseen pg : 31, Raqam : 49)


Is riwayat me Suleman ibn Moosa wo bhi Mudallis hai.
(Tabqaat ul Mudalliseen pg : 92, Raqam : 108)
Scan Page Imam Ibn Hajar Asqalani Tabqatul Mudalliseen


Yaani Ek hi rivayat me do Mudallis raavi hai lihaja isme do muddalis ravi dono ne ye hadees apne ustad se nahi suni hai aur muddalis ki AN wali rivayat ko ghair muqallideen khud durust nahi mante ye iski nihayat zaeef hone ki do wajah bani,  
Baaki Iske Raavi Suleman Ibn Moosa Damishque kay baare me Aimma e Muhadiseen ne sakht kalaam kiya hai padhe
i) Imam Muhammad Ibn Ismail Bukhari Rahmatullah Alaih Farmate Hai 
ke Munkar ul Hadees hai.
(Al Ilal Li Imam Tirmizi Kabeer Pg : 256-257,Raqam : 463)
Yehi Mauquf Imam Tirmizi Rahmatullah Alaih ka hai
Scan Page

ii)Imam Abu Haatim Rahmatullah Alaih Farmaate hai 
سليمان بن موسى بن الأشدق محله الصدق وفي حديثه بعض الاضطراب
ke Sach-chayi uska Mahel hai aur Uski Baaz Hadeeso me Isteraab hai.
(Al Jarah Wa Ta’adeel Vol : 04, Pg : 142, Raqam : 615)




iii) Imam Nasaai Rahmatullah Alaih Farmaate
سُلَيْمَان بن مُوسَى الدِّمَشْقِي أحد الْفُقَهَاء لَيْسَ بِالْقَوِيّ فِي الحَدِيث 
hai ke Hadees me Qawi nahi hai. 
(Al Ikmaal Tehzeeb ul Kamaal Vol : 6 Pg : 99)

iv) Imam Zuhri Rahmatullah Alaih Farmate hai hai ke Uske paas Ajeeb ahadees hai.
(Al Ikmaal Tehzeeb ul Kamaal Vol : 6 Pg : 99)

v) Imam Ibn Juraiz Rahmatullah Alaih ke Mere Nazdeek Uski Ahadees Ajeeb hai.
(Taarikh ul Ausat Lil Bukhari Vol :01 pg :304)


vi) Imam Ali bin Madeeni Rahmatullah Alaih Farmaate hai ke Unpar Kalaam kiya gaya hai.
(Imam Uqaili Kitab Az Zuaafa Vol: 2 Pg :140, Raqam : 632)





Ek Aur Ahem Wajah Suleman Ibn Moosa Damishque ne ye rivayat bayan ki hai Sahabi E Rasool  Hazrat Zuber Ibn Mutim Radiallahu Anhu Se Lekin Suleman Ibn Moosa ne Hazrat Zuber Ibn Mutim Radiallahu Anhu ko nahi paaya hai 
i) Imam Tirmizi Rahmatullah Alaih Ki Kitaab Ul Ilal Me Imam Bukhari Rahmatullah Alaih Se Riwayat Hai Ke Inhone Farmaaya Sulaimaan Ibn Mosa Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Sahaba Me Se Kisi Ko Bhi Nahi Paaya 
(Al Ilal Ul Kabeer Li Tirmizi Vol : 1 Pg : 313)

ii) Imam Bayhaqi Rahmatullah Alaih Farmate
Ye Waali Riwayat Munaqteh Aur Zaeef  Hai Sulaiman Ibn Moosa Iske Raavi Ne Jubair Ibn Mut-Im Ko Nahi Paaya Ye Wali kay Bare Me Farmaaya “Mursal” Yaani Munqateh Hai.
(Imam Bayhaqi As Sunan Ul Kubra Vol : 5 Pg : 239,  Vol :09 , Pg : 295)


Issi tarah kayi aimma e muhadiseen ne is Suleman Ibn Moosa Damishqui par kalam kiya hai ab jis rivayat me do mudallis ravi ho aur usme bhi jo ek ravi nihayat zaeef wahabi tamam siqah sahih rivato ko chodke is rivayat pe amal ki targeeb dene lage hai.

Maloom huwa kay apne mazhab ko saabit karne kay liye wahabiya nihayat kamzor aur zaeef tarr rivayat ko laake awaam par jor dete hai wahin agar aap Nabi E Karim ﷺ Ki shaan azmat me koi hadees pesh karo to inke yahan kay laa ilm yatim bhi fauran hadees ko zaeef saabit karne lagenge,  jabki iske khilaf 03 Din Qurbani karne ki sahih mustanad dalail mauzud hai uske baad bhi sirf Ummat me insteshar karne ki garz se ye 04 din Qurbani ka fitna awaam me laate hai.

Quran E Karim Aur Tafseer Se 03 Din Qurbani Kay Dalail
Ayat 01 : 
لِيَشهَدوا مَنافِعَ لَهُم وَيَذكُرُوا اسمَ اللَّهِ في أَيّامٍ مَعلوماتٍ عَلىٰ ما رَزَقَهُم مِن بَهيمَةِ الأَنعامِ ۖ فَكُلوا مِنها وَأَطعِمُوا البائِسَ الفَقيرَ
"Aur Maloom Dino Me Allah Kay Naam Ko Yaad Karen Is Baat par kay Allah ne Inhe bezaban Maweshiyon Se rizq diya to tum inse khao Aur Musibat Zada Muhtazao ko khilao"
(Surah Al Hajj Ayat 28)

Imam Abu Baqr Razi Jassas Rahmatullah Alaih (Al Mutwaffa 370 Hizri)
Farmate Hai "
مَعلوماتٍ" se Qurbani Kay Din Murad Hai jo do hai"
(Ahkamul Quran Fil Jassas Vol : 02, Pg : 235)

Imam Malik Rahmatullah Alaih (Al Mutwaffa 179 Hizri) Hadees Rivayat Karte Hai 

Hadees 01 : 
وَحَدَّثَنِي يَحْيَى، عَنْ مَالِكٍ، عَنْ نَافِعٍ، أَنَّ عَبْدَ اللَّهِ بْنَ عُمَرَ، قَالَ الأَضْحَى يَوْمَانِ بَعْدَ يَوْمِ الأَضْحَى ‏.‏
وَحَدَّثَنِي عَنْ مَالِكٍ، أَنَّهُ بَلَغَهُ عَنْ عَلِيِّ بْنِ أَبِي طَالِبٍ، مِثْلُ ذَلِكَ
"Hazrat Naafe Radiallahu Anhu Farmte hai Hazrat Abdullah ibn Umar Radiallahu Anhu Ne Irshad Farmaya Qurbani Do Din Tak durust hai baad eid ul azha kay,
Imam Malik Rahmatullah Alaih Farmate hai Hazrat Ali Ibn Abu Talib Radiallahu Anhu ne Bhi aise hi irshad farmaya"

(Imam Malik Al Muwatta Pg : 377, Hadees : 1082-83)
Scan Page 


Hadees 02 :
وَأَخْبَرَنَا أَبُو أَحْمَدَ : عَبْدُ اللَّہِ بْنُ مُحَمَّدِ بْنِ الْحَسَنِ الْمِہْرَجَانِیُّ أَخْبَرَنَا أَبُو بَکْرٍ : مُحَمَّدُ بْنُ جَعْفَرٍ الْمُزَکِّی حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ إِبْرَاہِیمَ الْعَبْدِیُّ حَدَّثَنَا ابْنُ بُکَیْرٍ حَدَّثَنَا مَالِکٌ عَنْ نَافِعٍ أَنَّ عَبْدَ اللَّہِ بْنَ عُمَرَ رَضِیَ اللَّہُ عَنْہُمَا کَانَ یَقُولُ : الأَضْحَی یَوْمَانِ بَعْدَ یَوْمِ الأَضْحَی۔
 قَالَ وَحَدَّثَنَا مَالِکٌ أَنَّہُ بَلَغَہُ
أَنَّ عَلِیَّ بْنَ أَبِی طَالِبٍ رَضِیَ اللَّہُ عَنْہُ کَانَ یَقُولُ : الأَضْحَی یَوْمَانِ بَعْدَ یَوْمِ الأَضْحَ

"Hazrat Naafe Radiallahu Anhu Farmate hai Kay Hazrat Abdullah ibn Umar Radiallahu Anhu Se Naql Karte hai Kay Eid Ul Azha Kay Baad Qurbani kay do din Hai aur mazeed hai,
Hazrat Ali Radiallahu Anhu Irshad Farmate hai Kay Eid Ul Azha kay Din kay baad Do Din Qurbani kay aur mazeed hai
(Imam Bayhaqi Al Sunan Ul Kubra Vol :09, Pg : 500, Hadees : 19254)
Scan Page




Hadees 03:
"Hazrat Ali Radiallahu Anhu Farmate Hai Ke Qurbani Ke Teen Din Hain. 
(Ahkamul Quran Tahavi Vol : 02, Pg : 205 Hadees :1569)

Hadees 04:

"Hazrat Abdullah Ibn Abbas Radiallahu Anhu Ne Farmaya Qurbani Ke Din Ke Baad Do Din Qurbani Hai, Aur Afzal Qurbani Nahar Wale(10 Zil Hajj Eid Ke) Din Hai"(Imam Tahawai Al Ahkamul Quran, Vol : 02, Pg : 205, Hadees : 1570/1571)

Hadees 05:
"Hazrat Anas Ibn Malik Radiallahu Anhu Ne Farmaya Qurbani Eid Kay baad 03 Din hai"
(Imam Tahawai Al Ahkamul Quran, Vol : 02, Pg : 205, Hadees : 1574, 1575 {Sanad Dusri})
Scan Page #1569 #1570, #1571, #1574

Front Covel Ahkmaul Quran Tahawi


Hadees 06:
"Hazrat Anas Bin Malik Radiallahu Anhu Ne Farmaya Qurbani Nahar Wale (Eid Ke) Din Ke Baad Do Din Qurbani Hai"
(Imam Tahawi Ahkamul Quran Vol : 02  Pg : 206 Hadees : 1576)
Scan Page

Hadees 07:
عَنْ عَائِشَةَ ـ رضى الله عنها ـ قَالَتِ الضَّحِيَّةُ كُنَّا نُمَلِّحُ مِنْهُ، فَنَقْدَمُ بِهِ إِلَى النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم بِالْمَدِينَةِ فَقَالَ ‏ "‏ لاَ تَأْكُلُوا إِلاَّ ثَلاَثَةَ أَيَّامٍ ‏"‏‏.‏ وَلَيْسَتْ بِعَزِيمَةٍ، وَلَكِنْ أَرَادَ أَنْ يُطْعِمَ مِنْهُ وَاللَّهُ أَعْلَمُ‏.‏
"Hazrat Ummul Momineen Syeda Tahira Ayesha Siddiqua Radiallahu Anha Bayan Karti Hai Madine Me hum Qurbani kay ghost me namak laga kar rakh diya karte they aur phir usko Rasool E Pak 
 ki bargaah e mukaddas me bhi pesh karte they, Phir Nabi E Karim  Ne Irshad Farmaya Qurbani Kay ghost ko 3 din se zyada na khaya karo, Hazrat Ayesha Siddiqua Radiallahu Anhu Farmati hai Ye Hukm Jaruri nahi tha balki Nabi E Karim  ki mansha ye thi kay Hum Qurbani kay ghost (un logo ko bhi de jinke yahan Qurbani nahi huwi), Aur Allah Pak zyada jaan ne wala hai" 
(Sahih Bukhari, Kitab Al Adaahi, باب مَا يُؤْكَلُ مِنْ لُحُومِ الأَضَاحِيِّ وَمَا يُتَزَوَّدُ مِنْهَا, Pg : 1417-18,Hadees : 5570)

Hadees 08:
يِّ بْنِ أَبِي طَالِبٍ، فَصَلَّى قَبْلَ الْخُطْبَةِ، ثُمَّ خَطَبَ النَّاسَ فَقَالَ إِنَّ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم نَهَاكُمْ أَنْ تَأْكُلُوا لُحُومَ نُسُكِكُمْ فَوْقَ ثَلاَثٍ‏.‏ وَعَنْ مَعْمَرٍ عَنِ الزُّهْرِيِّ عَنْ أَبِي عُبَيْدٍ نَحْوَهُ

"Hazrat Abu Ubaid Radiallahu Anhu Farmate Hai Eid Ki Namaz me Ali Ibn Abu Talib Radiallahu Anhu kay Saath Aaya unhone Namaz padh kar khutba diya, aur Kaha logo Rasoolullah  Ne tumhe Apni Qurbani Kay Ghost ko 03 Din Se zyada khane ki mumaniyat ki hai"
(Sahih Bukhari, Kitab Al Adaahi, باب مَا يُؤْكَلُ مِنْ لُحُومِ الأَضَاحِيِّ وَمَا يُتَزَوَّدُ مِنْهَا , Pg : 1418, Hadees : 5573)
Scan pg Sahih Bukhari #5570 & #5573

Ab yahan ye ek ishkal aata hai kay chaliye maan lete hai 03 Din Se zyada Qurbani Jaiz Nahi hai lekin hadees e paak me dusra hissa bhi to hai kay Qurbani Ka Ghost 03 Din se zyada rakhna jaiz nahi hai baaz log aqsar ye baat karte hai aaye iska jawab bhi Sahih Hadees se dekhte hai 

Kya Qurbani Ka Ghost 03 Din Se Zyada Nahi Rakh Sakte  

Imam Nasai Sunan Me Rivayat Hadees Naql Karte hai
Hadees  09:
عَنِ ابْنِ بُرَيْدَةَ، عَنْ أَبِيهِ، قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ‏ "‏ إِنِّي كُنْتُ نَهَيْتُكُمْ عَنْ لُحُومِ الأَضَاحِي بَعْدَ ثَلاَثٍ وَعَنِ النَّبِيذِ إِلاَّ فِي سِقَاءٍ وَعَنْ زِيَارَةِ الْقُبُورِ فَكُلُوا مِنْ لُحُومِ الأَضَاحِي مَا بَدَا لَكُمْ وَتَزَوَّدُوا وَادَّخِرُوا وَمَنْ أَرَادَ زِيَارَةَ الْقُبُورِ فَإِنَّهَا تُذَكِّرُ الآخِرَةَ وَاشْرَبُوا وَاتَّقُوا كُلَّ مُسْكِرٍ
"Hazrat Buraidah Radiallahu Anhu Se Mankul Hai Kay Nabi E Karim 
 ne Irshad Farmaya Maine tumhe 03 din se zyada Qurbani ka ghost khane se roka tha, Aur Mashkize kay elawa kisi bartan me nabizh banane se bhi roka tha Aur Kabro par jaane se bhi mana kiya tha, Ab Tum Jab tak chaho qurbani kay ghost kha sakte ho, safar me saath bhi le jaa sakte ho aur zakhira bhi kar sakte ho, aur jo shaks chahe kabro par jaa sakta hai kyuki wo akhirat ki yaad dilati hai, is tarah tumhare bartan me ab nabizh banakar rakh sakte ho lekin har nashe wali chiz se bacho" 
(Sunan Nasai, Kitabul Ad Dahaya, باب الإِذْنِ فِي ذَلِكَ ‏‏ Pg : 680,Hadees : 4430)
(Sunan Nasai, Kitabul Ash Sharbat, باب الإِذْنِ فِي شَىْءٍ مِنْهَا ‏‏, pg :  Hadees : 5655)
Scan Page



Hadees 10:
عَنْ سُلَيْمَانَ بْنِ بُرَيْدَةَ، عَنْ أَبِيهِ، قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ‏ "‏ كُنْتُ نَهَيْتُكُمْ عَنْ لُحُومِ الأَضَاحِي فَوْقَ ثَلاَثٍ لِيَتَّسِعَ ذُو الطَّوْلِ عَلَى مَنْ لاَ طَوْلَ لَهُ فَكُلُوا مَا بَدَا لَكُمْ وَأَطْعِمُوا وَادَّخِرُوا ‏

"Hazrat Suleman Ibn Buraidah Radiallahu Anhu Apne Walid Se rivayat Karte hai Kay Rasoolullah ﷺ Ne Irshad Farmaya Maine Tum Logo ko 03 Din Se Zyada Qurbani Ka Ghost rakhne se mana kiya tha Taaki Maaldar log un logo ki Khushadgi karde jinme Qurbani ki taqat nahi hai, To Ab Jitna Chahe Khud khao aur dusro ko khilao Aur Ghost Jama Karke rakho"
قَالَ وَفِي الْبَابِ عَنِ ابْنِ مَسْعُودٍ وَعَائِشَةَ وَنُبَيْشَةَ وَأَبِي سَعِيدٍ وَقَتَادَةَ بْنِ النُّعْمَانِ وَأَنَسٍ وَأُمِّ سَلَمَةَ
Is Baab me Hazrat Ibn Masood, Hazrat Ayesha, Hazrat Nubaisha, Hazrat Abu Saeed, Hazrat Qatada Ibn Noman, Aur Umme Sulaim Rizwanullahim Azmayeen se bhi hadees aayi hai,

قَالَ أَبُو عِيسَى حَدِيثُ بُرَيْدَةَ حَدِيثٌ حَسَنٌ صَحِيحٌ ‏
Imam Tirmizi Rahmatullah Alaih Farmate Hai Hazrat Buraidah Radiallahu Anhu ki Hadees Hasan Sahih hai,
 وَالْعَمَلُ عَلَى هَذَا عِنْدَ أَهْلِ الْعِلْمِ مِنْ أَصْحَابِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم وَغَيْرِهِمْ

Ahle Ilm Sahaba Aur Dusre Logo ka ispe amal hai
(Sunan Tirmizi, kitab al'adahaa An Rasool Allah  Pg : 357,Hadees : 1510)
Scan Page 

Hadees 11:
عَنْ نُبَيْشَةَ، أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ ـ صلى الله عليه وسلم ـ قَالَ ‏ "‏ كُنْتُ نَهَيْتُكُمْ عَنْ لُحُومِ الأَضَاحِيِّ فَوْقَ ثَلاَثَةِ أَيَّامٍ فَكُلُوا وَادَّخِرُوا
Hazrat Nubaisha Radiallahu Anhu Nabi E Karim  Ne Irshad Farmaya Maine tumhe Qurbani ka Ghost 03 Din Se zyada rakhne se mana kiya tha, Lekin Ab Isse khao aur zakhira karo"
(Sunan Ibn Majah, Kitab Al Zabiha, Pg : 535, Hadees : 3160) 
Scan page 
Lihaja saabit huwa kay 03 Din Se zyada Ghost rakhna ye hamesha kay liye nahi balki ye sirf ek khas hikmat kay wajah waqti taur pe tha baad me is qaul ko mansookh kar diya gaya ab Musalman jab tak chahe Store karke rakh sakta hai.

“Jumoor Ke Nazdeek 3 Din Qurbani Jayz Hain”
Ahle Hadees Gair muqallid Aalim Hafiz Mubashir Hussain Lahori Sahab ne “Ghunyat Al Talibeen” ka Tarjumma kiya 
Ghaus e Azam Shaykh Abdul Qadir Jilani Rahmatullah Alaihi Farmatey Hain 
Qurbani 3 Din Tak Jayz Hain Aur Aksar Fuqah Ka Yahi Qaul Hain
Aage Likhtey Hain... Hazrat Umar, Hazrat Ali, Hazrat Ibne Abbas, Hazrat Abu Hurrairah Radiallahu Talaa Anhu Se Bhi 3 Din Manqool Hain
(Ghunyat Al Talibeen, pg : 439, Print Darul Ilm Mumbai)
Scan Page

Upar di gayi tamam baato se jo chiz ka khulasa huwa wo ye
01) Ghair Muqallideen ki pesh karda 04 din tak Qurbani ki dalil nihayat zaeef hai jo kabil e amal nahi hai jabki uske khilaf Sahih Mustanad 03 din ki rivayat mauzud hai.
02) Aqabir Sahaba E Kiram Jisme Hazrat Ali Sher E Khuda, Ummul Momineen Syeda Ayesha Siddiqua, Hazrat Abdullah ibn Abbas, Hazrat Anas ibn Malik, Hazrat Qatada, Abu Saeed Khudri Rizwanullahim Azmayeen aur bhi ahle ilm ka ispe hi amal tha kay wo 3 din ki Qurbani ko hi jaiz samajte they.
03) Agar Qurbani 04 din tak hoti to Nabi E Pak 
 ne Sahaba Se ye kahna chahye tha kay 04 din se zyada Ghost na rakho ye kyun kaha 03 din, Agar Qurbani 04 din hoti to wahan khud 04 din ki qaid honi thi pata chala Qurbani ka hukm hi 03 din tha.
04) Qurbani Ka Afzal waqt to baad namaz e Eid Ul Azha Awwal din hai to jaankar 04 04 din Janwar laake Afzal ko chodke us din ki awaam me jidd karna jo sahih saabit nahi iska kya matlab hai siwaye logo ki qurbani ko jaaya karne aur fitna karne kay,
05) Baaz Kahte hai hum Murda Sunnat zinda kar rahe hai bhala konsi Hadees me hai Kay Nabi E Karim Ne khud 04 din Qurbani ki ho ? Nahi hai to konsi sunnat zinda karne nikle ho Allah Jaane.

Ye to thi hamari dalail ab Wahabiyo kay Imam Zubair Zai bhi khud 04 din Qurbani ko jayz nahi samajhte unhone pura Mahnama likha hai ispe kay 04 din Qurbani jaiz nahi Unke "Mahnama Ahle Hadees Shumarah No 44"

Ayyame Tashreeq Mein Zabah Wali Riwayaat Apni Tamam Sanado Ke Saath Zaaef Hain Ise Sahih Ya Hassan Kehna Galaat Hain 
(Fatawa Ilmiya Zuber Ali Zai Vol : 02, Pg :179) 
 Ek aur jagah Zubair Ali Zai ne Qurbani ke aayaam ke baare me likha hai: 
“Qoul-e-RAAJEH me Qurbani ke 3 Din hain.” 
(Tahqeeqi Islaahi aur Ilmi Maqaalaat, Vol :02, Pg : 219)


Ab Bhi Koi Ghair muqallid agar 04 din karna chahe to hume garz nahi hai shauk se kare hum sirf ahle sunnat wa jamat kay logo se kahte hai inke makr fareb me na aaye Qurbani sirf 03 din hai 04 din na kare Qurbani nahi hogi. 

Post By Shaikh Sher Ali Hanfi

Qurbani 03 Din Ya 04 Din,  Masla E Qurbani, Kya 03 Din Se Zyada Qurbani Nahi Kar Sakte, Kya 04 Din Qurbani Jaiz Hai,
Kya 03 Din Se Zyada Qurbani Ka Ghost nahi kha Sakte ?

No comments:

Post a Comment

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers