Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Saturday 18 July 2020

Ilme Gaib Hazrat Ayesha Ki hadees pe aitraz ka Jawab

سم الله الرحمن الرحيم 
                                               ♥ السلام عليك يا رسول الله ♥ ♥ السلام عليك يا حبيب الله ♥

Nabi E Karim ﷺ ko Ilme Gaib Na Hone Par Mukhalifeen ki Ek Dalil
Hazrat Ayesha Siddiqua Radiallahu Anha Ki rivayat
Hadees : 
Jisne Ye Kaha Nabi E Karim Gaib ka Ilm Jante Hai Usne Jhuth Kaha (Sahih Bukhari Hadees :7380) 
Jisne Ye Kaha Nabi E Karim Kal Kya Hoga Ye Jante Hai Usne Jhuth Kaha (Sahih Bukhari Hadees : 4855 ) Ye Do Hadees Aqsar pesh ki jati hai Munkireen E Ilme Gaib E Nabi Ki Janib Se kay In Hadees Se saabit hai Nabi E Karim Ko Gaib Ka Ilm na tha.

Baab 02 : Nabi E Karim ﷺ kay Ilme Gaib Hone Ka Bayan
Ilme Gaib E Nabi ka Par hamara Aqeedah : Hum Ahle Sunnat Wa Jamaat ka Aqeeda hai Kay Allah Pak Ne Apne Mehboob Ko dhire dhire gaib ka Ilm ata kiya Nabi E Karim kay pass jo bhi gaib Ka Ilm hai wo khud ka nahi Balki Unhe Ye ilm Allah Rabbul Izzat ne ata kiya hai. Allah Paak Kay Liye Koi Cheez Poshida Nahi Hai Allah Ka Jo Ilm hai wo laa Mehdood Hai jiski koi hadh nahi Allah ko wo Ilm Kisi se mila nahi wo Allah Taa'la ka jaati hai lekin Nabi E Karim ka Ilm Mehdood hai Atayi hai yaani jo bhi ilm hai wo Allah Pak Ki Ata Se hai yahan tak kay Allah pak Ne Apne Pyare Mehboob Ko Ilm Maa Kana Wama Yakun ka ilm ata kiya jo hochuka aur kayamat tak hatta kay jannati jannat me chale jayenga jahannami Jahannam me Jannat me jannati rahenge kaise kya karenge har chiz ka bayan Nabi E Karim ko Allah Pak ne ata farma diya jiska zikr aage hadees me aayega. Nabi E Karim Ka Ilm Atayi Hai Aur Pak Parwardigar Ka Ilm Jaati Hai Aur Ye Jo Hadees bayan Ki Gayi Hazrat Ayesha Radiallahu Anha wali wo Is baat ki taraf hai kay Nabi E karim Ko Ilme Gaib Khud Se nahi hai yaani Syeda Ayesha Radiallahu Anha Jaati Ilme Gaib ka Inkar kar rahi hai Atayi ki to khud wo bhi kayal hai jo aage hadees me pesh hoga.

Ilme Gaib E Nabi Quran E Karim Se
Ilme Gaib E Nabi Quran E Karim Se Yun to Quran E Muqaddas me Ilme Gaib Kay Sabut me kayi aayatein hai magar yahan hum bas Panjetan Pak ki nisbat Se 05 aayat e karima pesh karte hai
Ayat 01 :
وَما كانَ اللَّهُ لِيُطلِعَكُم عَلَى الغَيبِ وَلٰكِنَّ اللَّهَ يَجتَبي مِن رُسُلِهِ مَن يَشاءُ ۖ فَآمِنوا بِاللَّهِ وَرُسُلِهِ"Aur ALLAH ki Shaan Yeh Nahin Hai k Ae Aam Logon Tumhe GAIB ka ILM de, Haan ALLAH Chun Leta Hai Apne Rasoolon Main Se Jisko Chahe" (Surah Al Imran, Ayat : 179)
Ayat 02 :
وَعَلَّمَكَ ما لَم تَكُن تَعلَمُ ۚ وَكانَ فَضلُ اللَّهِ عَلَيكَ عَظيمًا “Aur Tum ko Sikha Diya Jo Kuch Tum Na Jaante They, aur ALLAH ka Tum Par Bara Fazal Hai" (Surah Nisa Ayat : 113) 

Ayat 03 : عالِمُ الغَيبِ فَلا يُظهِرُ عَلىٰ غَيبِهِ أَحَدًا لّا مَنِ ارتَضىٰ مِن رَسولٍ
"Allah Apne GAIB Par Kisi ko Musallat Nahin Karta,Siwaye Apne Pasandeedah Rasoolon k”
(Surah Jinn Ayat : 26-27)

Ayat 04 :
وَما هُوَ عَلَى الغَيبِ بِضَنينٍ "Aur Aye Nabi Gaib Batane Me Bakhil Nahi” (Surah Al Takwir Ayat 24)
Ayat 05 :
الرَّحمٰنُ عَلَّمَ القُرآنَ خَلَقَ الإِنسانَ عَلَّمَهُ البَيانَ “Rehman Ne Apne Mehboob Ko Quran Sikhaya Insaniat ki Jaan Muhammad Ko Paida Kiya MAKAAN WAMA YAKOON ka Bayan Unhe Sikhaya” (Surah Ar Rahman Ayat 01- 04)

Ilme Gaib E Nabi Hadees E Paak Se Saboot
Jo Hochuka Jo Hoga Huzoor Jante Hai (Ma Kana Wama Yakun)
Hadees 01: "Hazrat Umar Ibn Khattab Radiallahu Anhu Bayan Karte hai Ek Roz Nabi E Karim hamare darmiyan Apne mimber par kayam farma huwe Makhlookat Ki Ibteda se lekar Jannatiyo Kay Jannat me Dakhil Hone jane Aur Dozakhiyo kay dozakh me dakhil hone hojane tak hume Sab Kuch bata diya jisne jo yaad rakha, yaad rakha jo usse bhul gaya wo bhul gaya"
(Sahih Bukhari, Kitab Badi Al Khalq, بَابُ مَا جَاءَ فِي قَوْلِ اللَّهِ تَعَالَى: {وَهُوَ الَّذِي يَبْدَأُ الْخَلْقَ ثُمَّ يُعِيدُهُ} Pg :790,  Hadees : 3192) 
Scan Page Sahih Bukhari 
Hadees 02: 
"Hazrat Amr Ibn Akhtab Ansari Radiallahu Anhu Bayan Farmate hai Kay Huzoor Nabi E Karim Ne Namaz E Fazr Me hamari Imamat farmayi aur Mimber par jalwa afroz huwe aur humse khitab farmaya yahan tak ki Namaz e Zuhar ka waqt hogaya, Phir Aap Mimber par tashreef farma huwe Aur humse khitab farmaya yahan tak kay Asr ka waqt hogaya Phir Aap ne hume Asr ki namaz padhayi aur phir mimber pe tashreef farma huwe yahan tak ki suraj guroob hogaya, Phir Aap ne Hume har us baat ki khabar de di jo aaj tak Waqu pazir hochuki thi aur kayamat tak runuma hone wali thi, Hazrat Amr ibn Akhtab Radiallahu Anhu Farmate hai hum me zyada jaan ne wala wohi hai jo hum me sabse zyada hafize wala tha"
(Sahih Muslim, Kitab Al Fitan, باب إِخْبَارِ النَّبِيِّ ﷺ فِيمَا يَكُونُ إِلَى قِيَامِ السَّاعَةِ Pg 1415, Hadees : 2892) (Sunan Tirmizi, Kitabul Fitan, Hadees : 2191 Rivayat Hazrat Abu Saeed Khudri Radiallahu Anhu) (Imam Nawai Riyadusalaheen, Hadees : 1861)
Scan Page Front Cover
Kayamat Taq Hone Wale Har Chiz Ko Bata Diya
Hadees 03:
"Hazrat Huzaifa Ibn Al Yaman Radiallahu Anhu bayan farmate hai kay Huzoor Nabi E Karim Ne Mujhe kayamat tak runuma Hone wali har baat bata di thi aur koi Aisi baat na rahi jise maine Aap Ne naa pucha ho albatta Maine ye naa Pucha Ki Ahle Madina Ko Kaunsi Cheez Madina Se nikalegi"
(Sahih Muslim, Kitab Al Fitan, باب إِخْبَارِ النَّبِيِّ ﷺ فِيمَا يَكُونُ إِلَى قِيَامِ السَّاعَةِ Pg : 1415 Hadees : 2891) (Imam Ahmad Ibn Hanbal Al Musnad, Vol : 05, Pg : 386, Hadees : 23239)
(Imam Hakim Al Mustadraq Vol : 04, Pg :472, Hadees : 8311)
(Imam Ibn Manda Kitab Al Iman, Vol : 02, Pg : 912, Hadees : 996) ye hadees Sahih hai
Scan Page 
Jahil Nau Umr Log Niklenge Baatein Badi Deen ki Karenge Iman Halak Se Nahi Utrega Hadees 04: 
سَيَخْرُجُ قَوْمٌ فِي آخِرِ الزَّمَانِ، حُدَّاثُ الأَسْنَانِ، سُفَهَاءُ الأَحْلاَمِ، يَقُولُونَ مِنْ خَيْرِ قَوْلِ الْبَرِيَّةِ، لاَ يُجَاوِزُ إِيمَانُهُمْ حَنَاجِرَهُمْ، يَمْرُقُونَ مِنَ الدِّينِ كَمَا يَمْرُقُ السَّهْمُ مِنَ الرَّمِيَّةِ، فَأَيْنَمَا لَقِيتُمُوهُمْ فَاقْتُلُوهُمْ، فَإِنَّ فِي قَتْلِهِمْ أَجْرًا لِمَنْ قَتَلَهُمْ يَوْمَ الْقِيَامَةِ "Hazrat Ali Radiallahu Anhu Se Marvi hai wo Kahte Maine Nabi E Karim Ko Farmate Huwe Suna ankarib aakhri jamane me aise log jahir honge ya niklenge jo nau umr honge aur aql se kore honge, Baatein Wo Bazahir Acchi Kahenge (yaani hadees bayan karenge) Lekin Imaan Unke Halak se niche Nahi Utrega Wo Deen Se Aise Nikal Jaynge Jaise Teer Kamaan Se Nikal Jaata Hai Bas Tum Unhe Jahan Paana (yaani maidan e jung me) Katl Kardena ki Kayamat k Din Unke Kaatil k Liye Azro Sawab Hai "
(Sahih Bukhari, Kitab Al Murtadeen, باب قَتْلِ الْخَوَارِجِ وَالْمُلْحِدِينَ بَعْدَ إِقَامَةِ الْحُجَّةِ عَلَيْهِمْ, Pg :1714, Hadees : 6930)
(Sahih Bukhari, Hadees : 3611, 5057)
(Sahih Muslim Kitab Uz Zakat, باب التَّحْرِيضِ عَلَى قَتْلِ الْخَوَارِجِ ‏ Hadees : 1066)
(Sunan Nasai, Kitab Al Tahreem, Hadees : 4102)
Scan Page Sahih Bukhari
Aaj ye Chiz hamare Saamne hai jahil kam ilm log kuch maloom nahi kuch websites aur adhura lecture dene wale logo ko sunke watsapp forward kar gumrah karne me lage hai jaisa kay Ilme gaib par Hazrat Ayesha Siddiqua Radiallahu Anha ki hadees ko kaise galat bayan kiya gaya aur baaki saari hadees side kar di gayi ya ye kahe kay padha nahi ya samjha nahi baato aaj puri wahabiyat dekhe to nau umr kam ilm tabka deen ka thekedar bana hai.


Kaun Shaheed Hoga kaun Nahi Uski Bhi Khabar DediHadees 05:
“Hazrat Abu Hurairah Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Ke Huzoor Nabi E Akram ﷺ Hira Pahaar Par Tashreef Farma They Aur Aap Nabi ﷺ Key Saath Hazrat Abu Bakr, Hazrat Umar, Hazrat Usman, Hazrat Ali, Hazrat Talha Aur Hazrat Zubair Radiallahu Anhu Aj’maeen They Itney Mey Pahaar Ney Harkat Ki, To Aap ﷺ Ney Farmaya : Thahar Ja Kay Tere Upar Nabi, Siddique Aur Shaheed Key Siwa Koi Nahin.”
(Sahih Muslim Pg :1205, Kitab Fazail E Sahaba, Baab : Min Fazail E Talha Wa Zubair, Hadees :2417)
(Jamai Tirmizi Kitab Manaqib, Hadees : 3696) هَذَا حَدِيثٌ صَحِيحٌ ‏ Ye Hadees Sahih hai (Imam Ahmad Al Musnad Ahmad Ibn Hambal Vol : 02, 419, Hadees : 9420) (Sahih Ibn Hibban Vol : 15, Pg : 441, Hadees : 6983) Scan Page Sahih Muslim Arabic Nusqha

Konsa Kafir Kis Jagah Marega Uska Bhi Ilm
Hadees 06: 
"Hazrat Anas Bin Malik Radiallahu Anhu Riwayat Karte Hain Ki Jab Hume Abu Sufyan (Ke Qaafile Ki Shaam Se) Aane Ki Khabar Pahunchi To Huzoor Nabi E Akram  Ne Sahaba Kiram Rizwanullahi Ta’ala Alaihim Aj’maeen Se Mashwira Farmaya. Hazrat Saad Bin Ubaada Radiallahu Anhu Ne Khade Ho Kar Arz Kiya Ya RasoolAllah ﷺ ! Us Zaat Ki Qasam Jis Ke Qabza-E-Qudarat Me Meri Jaan Hai Agar Aap Hamein Samundar Me Ghode Daalne Ka Hukm De To Hum Samumdar Me Ghode Daal Denge Aur Agar Aap Hamein Barkil Ghimaad (Pahaad Ka Naam) Pahaad Se Ghodon Ke Seene Takaraane Ka Hukm De To Hum Aisa Bhi Karenge. Tab Rasoolullah  Ne Logon Ko Bulaaya, Log Aaye Aur Waadi-E-Badr Me Utare Phir Huzoor Nabi E Akram  Ne Farmaya Yen Fula’n Kafir Ke Girne Ki Jageh Hai, Aap  Zameen Par Us Jageh Aur Is Jageh Apna Mubarak Haath Rakhte. Hazrat Anas Radiallahu Anhu Farmate Hain Ki Phir Dusre Din Dauraane Jung Koi Kafir Huzoor Nabi E Akram  Ki Bataayi Huwi Jageh Se Zarra Baraabar Bhi Idhar-Udhar Nahin Mara.” 
(Sahih Muslim Kitab Al Jihad, 
باب غَزْوَةِ بَدْر ‏‏ Pg : 900, Hadees :1779)
(Imam Ahmad Ibn Hanbal Al Musnad Vol : 03, Pg : 219, Hadees : 13320)
(Sunan Abu Dawood Vol : 03, Pg : 58, Hadees : 2071)
(Imam Nasai Sunan, Vol : 04, Pg : 108, Hadees : 2074 || Sunan Al Kubra Hadees : 2201)
(Imam Ibn Hibban Sahih Vol :11, Pg : 24, Hadees : 4722)

(Imam Ibn Abi Shaybah Al Musannaf, Vol : 07, Pg : 362, Hadees :36708)
Scan Page
Bhediye Ki Gawahi Nabi E Karim Kay Ilme Gaib par Yahudi Ka Iman Lana Aur Nabi E Pak Ki tasdeeq
Hadees 07: "Hazrat Abu Huraira Radiallahu Anhu bayan karte hai ek bhediya bakrio ke rewad ke charwahe ke paas aya aur usne waha se ek bakri utha li, charwahe ne uska picha kiya hatta ke usko usse chudwa liya, ravi bayan karte hai bhediya ek tile pe chad aya aur waha sarin ke bal baith gaya aur dum dono pao ke darmiyan dakhil ker li, phir usne kaha : maine rozi ka kasad kiya jo Allah ne mujhe ata ki thi aur maine isse hasil ker liya tha, magar tune usse mujhse chuda liya. Us admi me kaha Allah ki kasam ! Maine aaj kay din ki tarha koi bhediya bolte hue nahi dekha, bhediye ne kaha isse bhi ajeeb baat ye hai ke Aadmi (Hazrat Muhammad ) jo do pahado ke darmiyan wakeh nakhalistan (Madina) me rehte hai, wo tumhe maazi aur hone wale wakiyat ke Muttalik batate hai. Ravi kehte hai wo shaksh Yahudi tha wo Nabi ﷺ ke paas aya roh usne us wakya ke mutaluk ap ko bataya aur islam kabool ker liya. Nabi ﷺ ne uski tasdeek farmai, fir Nabi ﷺ ne farmaya ye qayamat se pehle ki nishaniya hai qareeb hai ke admi ghar se nikle phir wo wapis ae toh us ke jute aur uska koda usse un halaat ke mutaluk batae jo uske baad uske ahle khana ke sath pesh aye ho"
(Imam Ahmad Ibn Hanbal Al Musnad, Vol :02, Pg :147,148 - 149, Hadees : 8049) Iski Sanad Sahih
(Imam Baghawi Shafai Shara Us Sunnah, Vol : 15, Pg : 87, Hadees : 4282)
(Khatib Tabrezi Mishkat Al Masabih, Kitab Fazail Wa Shamil, Pg : 1666, Hadees : 5927)
Scan Page
Hazrat Ayesha Siddiqua ka Aqeeda Ilme Gaib Par
Chunki Aitraaz Syeda Ayesha Siddiqua Radiallahu Anha Ki Marvi Rivayat Se Hai Lihaja Jaruri Samajhta hain Kay Syeda Tahira kay aqaid ki bhi wajahat yahan kardi jaaye kay kya sach me Unka Aqeeda yehi tha kay Nabi E Karim Ko kal hone wali khabar ka Ilm na Tha yaa unki baat ka matlab badhmazhab ne galat bayan kiya
Azwaj-e-Mutaharat Me Kaun pahle Wisal Karega Uska Pata Hadees 08:
"Hazrat Ayesha Nabi Karim ﷺ Ki Baaz Biwiyon Ne Aap  Se pucha Sabse Pehle Hum mese Aap  Se kon Jakar Milegi To Aap  Ne Farmaya Jiska Haath Sabse Zada Lamba Hoga. Ab Humne Lakdi Se Napna Shuru Kardiya To Sawdah Radiallahu Anha Sabse Lambe Haath Wali Niklen. Humne Baad Me Samjha Ke Lambe Haath Hone Wali Se Aap  Ki Murad Sadqa Zada Karne Wali Thi.Aur Zainab Radiallahu Anha Hum Sabse Pehle Nabi Karim ﷺ Se Jakar Milen,Sadqa Karna Aap  Ko Sabse Zyada Mehboob tha"
(Sahih Bukhari, Kitab Uz Zakat, Pg :  340, Hadees 1420) (Sahih Muslim, Kitabul Manakib, باب مِنْ فَضَائِلِ زَيْنَبَ أُمِّ الْمُؤْمِنِينَ رضى الله عنها ‏‏ Hadees : 2452)
Scan Page
Ahle Bayt Me Kaun Pahle Nabi E Karim Se Milega Uski Khabar
Hadees 09:
"Ummul Momineen Sayyida Tahira Ayesha Siddiqa Radi Allahu Anha Farmati hai, Rasool e Karim Rauf O Rahim Ne Apni Shahzadi Sayyida Fatima Tuz Zahra Radi Allahu Anha ko bulaya Aur Kaan Me Koi Baat Farmayi Woh Baat Sun Kar Khatoon E Jannat Rone Lagi, Aaka  Ne phir Sargoshi ki (yaani Kaan me Koi baat farmayi) To Khatoon e Jannat Hasne Lagi, Hazrat Sayyida Ayesha Siddiqa, Tayyiba, Tahira Radi Allahu Anha Farmati hai Mai Ne Khatoon E Jannat Se Kaha Aapke Babajan Rahmat E Aalam Ne Aap k Kaan me Kya Farmaya Jo Aap Royi Aur Do Baar Sargoshi Me Kya Farmaya jo aap Hansi ? Nabi E Konan  Ne Pahli Baar Sargoshi me Apne Wafat ki khabar Di to mai Royi aur Dusri baar Sargoshi ME YE FARMAYA K MERI AHLE BAIT ME SABSE PAHLE MAI AAP  SE MILUNGI.
(Sahih Bukhari, Kitabul Manaqib, باب عَلاَمَاتِ النُّبُوَّةِ فِي الإِسْلاَمِ ,  Pg : 892, Hadees : 3625, 3626)
Scan Page
Sayyidna Siddique E Akbar Radi Allahu Anhu Ka Ilm Ladka Hoga Ya Ladki Uski Khabar
Hadees 10: 
“Huzoor Nabi E Akram Ki Azwaaz Mubaraka Hazrat Ayesha Siddiqua Radiallahu Anha Ta’ala Anha Bayan Karti Hain Ki Hazrat Abu Bakr Siddique Radiallahu Anhu Gaaba (Naami Waadi) Me Unhein Khajooor Ke Chand Darakht Hiba Kiye Jin Me Se Bees Wasaq Khajoorein Aati Thi.
Jab Hazrat Abu Bakr Siddique Radiallahu Anhu Ki Wafaat Ka Waqt Qareeb Aaya To Unhone Farmaya
Aye Meri Pyari Beti!
Aisa Doosara Koi Nahin Jis Ka Apne Baad Ghani Hona Mujhe Tum Se Zyada Pasand Ho Aur Apne Baad Mujhe Kisi Muflisi Zyada Gara’n Nahin.
Mein Ne Tumhein Kuchh Darakht Diye They Jin Se Bees Wasak Khajoorein Aati Thi Agar Tumne Un Par Qabja Kiya Hota To Woh Tumhare Ho Jaate.
Ab Woh Miraas Ka Maal Hai Aur Tumhare Do² Bhai Aur Do Behnein Hain.
So Saare Maal Ko Allah Ki Kitaab (Ke Hukm) Ke Mutabik Taqseem Kar Lena.
Hazrat Ayesha Radiallahu Anha Farmati Hain :
Mein Ne Arz Kiya :
Abba Jaan!
Maal Khwaah Kitna Hee Zyada Hota Mein Chhod Deti Lekin Meri Bahen To Sirf Hazrat Asma Hain Doosari Kaun Hai?
Hazrat Abu Bakr Radiallahu Anhu Ne Farmaya Woh Binte Khaarija Ke Pet Me Hai Aur Mere Khayaal Me Woh Ladki Hai Phir Unhone Umme Kulsoom (Naami) Beti Ko Janm Diya.”
(Muwatta Imam Malik, Pg : 571 - 572, Kitabul Quz’aat, Hadees : 1512)
(Imam Bayhaqi Al Sunan ul Kubra Vol : 06, Pg : 169, Hadees : 11728 12268)
(Imam Abu Jafar Tabari Riyazun Nazurah Vol : 02, Pg : 123)
(Imam Ibn Saad At Tabqaat Ul Kubra Vol : 03, Pg : 194)
(Imam Suyuti Tarikhul Khulfa Pg : 63)
(Huzzatulahil Aalameen Pg : 611)
Scan Page Imam Malik Al Muwatta

Chunache Imam Abdul Baqir Jurqani Rahmatullah Alaih Farmate hai
“Aisa Hi Huwa Ladki Paida Huwi Jiska Naam Umme Kulsoom Rakha Gaya”
(Imam Zurqani Shara E Muwatta Kitabul Quzaat, Vol : 04, Pg : 61)
Ab in hadees ka kya karenge ek taraf Kal Ki khabar ka inkar dusri taraf Kaun Pahle Wisal karega ispe Ummul Momineen ka Sawal Syeda Fatima Zahra Radiallahu Anha Kay jannati hone pe sabse pahle milne pe aqeedah, hadh to ye hai kay Siddique E Akbar Radiallah Anhu ko Nabi E Karim Kay waaste se wo ilm hasil huwa kay unki Ahliya Radiallahu Anha kay shikam me ladka hai ya ladki uska ilm Hazrat Ayesha Siddiqua Radiallahu Anha ne ye kahna tha na kay Abbu jaan mera to ye aqeeda hai Kay Nabi E Karim ko Kal ki khabar nahi hai aur Aap Radiallahu Anhu Maa Kay Pet me kya hai wo khabar de rahe ho jo kayi mahine baad hona hai, magar unhone aisa kuch na kaha Na deegar Ummul Momineen Se Na Nabi E Karim Ki mauzudgi me aur naa hi Syeda Fatima Zahra Radiallahu Anha se kyuki wo jo bayan kar rahi hai wo Ilme gaib Jaati ki nafi me tha aur jo iqraar kar rahi hai wo Atayi hai lihaja natiza aqeeda wohi banega jo Hum Ahle Sunnat Wa Jamaat ka hai Allah Ka Ilm Jaati hai aur Nabi E Pak ka Atayi. Din Raat Bukhari Muslim karne wale jahil kya ye hadees nahi padhte ? Ya bayan karne se darte hai ?
(Issi tarah Ek Aitraaz Aur hota Nabi E Karim Ko Deewar Kay Piche ka Ilm Na Tha Is Link Me Uska tafseeli Jawab padhe Aur Wahabiya Deobandiya kay makr se bache CLICK HERE TO READ)

Post By Shaikh Sher Ali Hanfi

3 comments:

  1. Huzur hadis KI Sarah bhi honi chahiye

    ReplyDelete
  2. Assalamu alaykum

    Ek bahot importent nakis mashwara aap tk pesh karna chahta hu ho sake to is pr jald se jald kaam karne ki kosis kigiye.

    Palhe to ye bata du k
    Aapki is website se bahot ilmi fayede hasil hote hai
    Aap sbki in kosiso ko allah paak qubool farmaye
    Aameen

    07 august ko meri ek ahle hadees vale se ilme gaib aur Murd e qabr me sunte hai .
    Is pr debate honi hai

    Aapki website mujje bahot help kr rahi in se related ba havala daleel hasil karne me. Jazakallah bahot shukriya.

    Lekin agar ek kaam isme aur ho jaye to best n best ho jayega

    Vo ue ki jo bhi Quraani aayat ya hadees isme Di jaati hai

    Agar us aayat ka SHANE NUZOOL aur Hadees Kis Maoq e Par Kahi Gayi
    ki bhi tafseel hr aayat aur hadees k neeche de di jaye to isse bahot hi zyada baat cler hoti hai ki asal me ye aayat kb kaha kis maoqe pr kiske liye nazil hui

    Is trha aayat k neeche de digiye

    Click Hear
    Ayat Shaane Nujool

    Is pr zaroor hi zaroor kaam kr k website me jald update kr digiye

    Agar 03 Aug.21 se pahle pahle ho jayega ye kaam to mere liye tayyari karne me majeed madad hasil ho jayegi

    Plz is pr bhi tavajjo zaroor farmayem.

    Allah paak aap sb ko salamat rakhe aur aap sbki in qeemti kosiso ko apni bargaah me qubool farmakar ummat k iman akeede ki islaah ka ise bahetareen zariya banaye.

    Is website ko to har sunni aalim hafiz masjid k imam aur moballigon tak pahuncha chahiye
    Taaki in masail pr juma k din ya vaise bhi bayanaat me guftugu kar sake with havala aur daleel.


    Aameen

    ReplyDelete
  3. Assalamualaikum

    ReplyDelete

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers