Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Tuesday 16 June 2020

Kya Nabi ﷺ ko Deewar Ke piche ka Ilm Nahi Tha

بسم الله الرحمن الرحيم
♥ السلام عليك يا رسول الله ♥ ♥ السلام عليك يا حبيب الله ♥
Ulema e Deoband ne Nabi E Karim  Ki gustakhi karne me koi qasr na chodi hai aqsar deobandi aapko kahte milenge Nabi E Karim  Ko to diwar kay piche ki bhi khabar na thi, jaahir hai jab wo Nabi E Karim  kay ilme Ghaib ko nahi maante to ye baat karenge hi,
Aqabir Ulema E Deoband Khalil Ahmad Ahmbetvi Saharanpuri Sahab (death 1927) jo Shagird e Khas they Maulana Rashid Ahmad Gangohi Sahab kay unhone apni kitab me ye rivayat naql ki hai aur aisa jhooth bola hai mulahiza kare
"
khud fakhre Alam Alaihissalam Farmate hain Riwayat karten hain ke mujheko deewar ke piche ka ilm bhi nahi"
(Braheen E Qatiya Pg :51 Khalil Ahmad Ambhetvi Saharanpuri)Scan Page 


Ye New Edition Deoband Se Print huwa Wohi Kitab Pg 121 

Ab padhna wala jahir hai isko padhke ye kahega ye jumla Khalil Ahmad Sahab ka to hai nahi balki ye jumla to Shaykh Abdul Muhaddis E Dahelvi Rahmatullah Alaih ka hai to Khalil Sahab par sunni kyun bhadke hai,
Iska Jawab hum aage denge Shaykh Abdul Haq Rahmatullah Alaih ne likha kya hai,

Khalil Ahmad Sahab kay baad ek aur aaye pet yahan bhi na bhara tha unse chote deoband kay bade munazir wo bhi kam naa they unhone kuch aisa likha
"Agar Nabi E Karim 
 ko deewar kay piche ki sab baatein maloom ho jaya karti to Hazrat Bilal Radiallahu Anhu Se (Darwaze par khadi hone walie aurato ka) naam lekar daryaft karne ki Kya Jarurat hoti"
(Maulana Manzoor Nomani Faisla Kun Munazra, Pg : 136) Scan Page
Shah Abdul Haq Muhadis E Dahelvi Rahmatullah Alaih ne kya Likha Hai

"Kuch Log Is Jagah Ye Ishkaal Laate hai kay baaj rivayato me aaya Kay Huzoor  Ne farmaya Mai Banda Hoon mai Nahi Janta Us Diwar kay piche hai kya hai, Is kalam ki koi asal nahi"
(Shaykh Abdul Haq Muhaddis Dahelvi Madarij Un Nabuwat, Vol : 01, Pg : 19)
Scan Page Front Cover

Shah Abdul Haq Muhaddis Dahelvi Rahmatullah Alaih to is rivayat ka inkaar kar rahe hai aur ulema e deoband wohi baat unki taraf mansoob kar rahe hai, ye kitni badi khayanat hai ulema e deoband ki. 

Aur Is rivayat kay baare me deegar Muhadiseen farmate hai
Imam Sakhawi Shafai Rahmatullah Alaih (Al Mutwaffa 902 Hijri) Farmate hai
"Allah kay Rasool 
 ki hadees bayan ki jaati hai Huzur  Farmate hai Mai Nahi Janta Diwar kay piche kya hai, Farmate hai Shaykh Ibn Hajar Kahte hai Ye rivayat ki koi asl nahi"
(Al Makasad Al Hasana Pg :571, Hadees : 934)Scan Page
Imam Ahmad Ibn Muhammad Qustallani Rahmatullah Alaih (Al Mutwaffa 923 Hijri)
Al Muwahibul Ladunya Vol 01, Pg : 228
Farmate hai iski koi asl nahi
Imam Jalaludin Muhammad Tahir Patni Siddique Rahmatullah Alaih (Al Mutwaffa 986 Hijri)
Tazkiratul Mauzuat Vol 01 Pg 140 Raqam No. 571 

Imam Ali Ibn Sultan Mullah Ali Qari Hanfi Rahmatullah Alaih (Al Mutwaffa 1014 Hijri)
(Al Akhbarul Mauzuat Vol 01 Pg 460 Raqam 460)

Shaykh Ul Hind Shaykh Abdul Haq Muhadise Bukhari Dahelvi Rahmatullah Alaih (Al Mutwaffa 1052 Hijri)
(Madaraj Un Nabuwat, Vol : 01, Pg : 19)
Scan Page Upar diya gya hai


Imam Ismail Ibn Muhammad Al Ajluni Al Jarrahi Rahmatullah Alaih (Al Mutwaffa 1062 Hizri) 
(Kashful Khafa' Wamuzil Al Ilbas Amna Ishtahara Min Al Hadith Ala Al Sinatil Vol : 02,Pg :207-08, Raqam :2175)
Scan Page



Imam Muhammad Al Zurqani Maliki Rahmatullah Alaih (Al Mutwaffa 1144 Hijri)
(Sharh Al Muwahibul Ladunya Pg : 269)
Farmate hai iski koi asal nahi 




Mumkin ho deobandi ye kahe kay chalo thik hai Khalil Sahab ne galti ki hai lekin ye to hai na Sahih hai Kay agar Nabi  ko Diwar kay piche ka ilm hai iski koi dalail hai, lihaja hum yahan un subhat par bhi dalail de rahe hai aur aakhir me Dogla dharm deoband ka bhi dikhaynge
Yahan Hum Panjetan 05 Ki Nisbat Se 05 Sahih Hadees Pesh karte hai kay Nabi E Karim 
 Ko Allah ne kitna ilm diya tha

Nabi E Karim 
 Kayamat Tak Hone Wale Tamam Waqiyat ko Bata Diya
Hadees 01:
“Hazrat Huzaifa Radiallahu Anhu Bayan Karte Hain Kay Huzoor Nabi E Karim  Ne Hamaare Darmiyaan Ek Maqaam Par Khade Ho Kar Khutba Farmaya Aap  Ne Apne Us Din Ke Qiyaam Farma Hone Se Le Kar Qayamat Tak Ki Ko’i Aisi Cheej Na Chhodi, Jis Ko Aap  Ne Bayan Na Farma Diya Ho. Jis Ne Use Yaad Rakha Yaad Rakha Aur Jo Use Bhool Gaya Wo Bhool Gaya. Is Waqiye Ko Mere Dost-O-Ahbaab Jaante Hain, Kayi Cheejon Ko Mein Bhool Gaya Tha Lekin Jab Maine Unhe Dekha To Wo Yaad Aagayi.
Jis Tarah Koi Shakhs Kisi Shakhs Ka Chehra Bhool Jaata Hai Aur Jab Wo Saamne Aata Hai To Use Pehchaan Leta Hai.”

(Sahih Bukhari, Kitab Al Qadar, Pg :1637,Hadees : 6604)
(Sahih Muslim, Kitabul Fitan, Vol : 04, Hadees : 2891)
(Imam Tirmizi Sunan, Kitabul Fitan, Hadees : 2183)

(Imam Ahmad Ibn Hanbal Al Musnad, Vol : 05, Pg : 381, Hadees : 23322)
(
Khatib Tabrizi Mishkat Al Masabih, Kitabul Fitan, Hadees: 5379) Scan Page Sahih Bukhari

Nabi E Karim  Se Maidan E Jung Kay Halat Bhi Poshida Nahi Hai 
Hadees 02 :
Hazrat Anas Radiallahu Anhu rivayat Farmate Hain Ki Huzoor Nabi E Akram 
 Ne Hazrat Zayd, Hazrat Jafar Aur Hazrat Ibn Rawaaha Ke Mut’alliq Khabar Aane Se Pehle Hi Unke Shaheed Ho Jaane Ke Mut’alliq Logon Ko Bata Diya Tha Chunanche Aap  Ne Farmaya Ab Jhanda Zayd Ne Sambhala Huwa Hai Lekin Woh Shaheed Ho Gaye. Ab Jafar Ne Jhanda Sambhal Liya Hai Aur Woh Bhi Shaheed Ho Gaye. Ab Ibn Rawaah Ne Jhanda Sambhala Hai Aur Woh Bhi Jaame Shahadat Nosh Kar Gaye. Yeh Farmate Huwe Aap  Ki Chashmaane Mubarak Ashk Baar Thi. (Farmaya) Yaha’n Tak Ki Ab Allah Ki Talwaron Me Se Ek Talwaar (Hazrat Khalid Bin Walid) Ne Jhanda Sambhal Liya Hai Aur Unke Haathon Allah Ta’ala Ne Kafiron Par Fateh Ata Farmayi.”
(Sahih Bukhari Pg : 692,Kitabuz Jihad, Baab 07 : Tamanna E Shahadat, Hadees : 2798)
(Sahih Bukhari Vol :04, Pg :186, Kitabuz Jihad, Hadees :3063) 
(Sahih Bukhari Vol :05, Pg : 70, Kitab Fazail E Ashabun Nabi, Baab : Manakib E Khalid Ibn Waleed, Hadees : 3757) 
(Sahih Bukhari Vol : 02, Pg :201, Kitabuz Janaiz, Hadees :1246) 
(Sahih Bukhari Vol : 05, Pg : 342, Kitabul Magahazi, Baab : Ghazwatul Muttah Min Arazil Shaam, Hadees : 4262) 
(Imam Ahmad Al Musnad Vol : 02, Pg :190, Hadees : 1750)
(Imam Nasai Sunan Ul Kubra Vol : 05, Pg : 180, Hadees : 8604)
(Imam Hakim Al Mustadraq Vol : 03, Pg :337, Hadees : 5295)
وقال : هذا حديث صحيح الإسناد.
(Imam Tabarani Al Mu'jam ul Kabir, Vol : 02, Pg : 105, Hadees :1459, 1461)
(Khatib Tabrezi Mishkat-ul-Masabih, Vol : 02, Pg : 384, Hadees : 5887)


Nabi E Karim  Saamne Jaise Dekhte Hai Peeth kay Piche Bhi Waise Hi Dekhte Hai
Hadees 03:
"Hazrat Abu Hurraira Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Nabi E Karim ﷺ Ne Irshad Farmaya Kya Tumhara Ye Gumaan hai Mera Chahra Qible Ki Taraf gai, Qasam Allah ki Mujhse na tumhara Khushu (dil ka irada) chupa hai aur naa ruku, Mai Tumko Peeth kay piche waise dekhta hoon jaise aage"
(Sahih Bukhari, Kitabus Salat, Pg : 113, Hadees : 418)
(Sahih Muslim, Kitabus Salat, Hadees : 423)
(Imam Malik Al Muwatta, Vol : 01, Hadees : 410)
(Imam Ahmad Ibn Hanbal Al Musnad Hadees : 8024)
(Imam Ibn Hibban Sahih, Hadees : 6337
(Imam Abu Yala Al Musnad Hadees : 2971)
(Imam Bayhaqi Dalail Un Nabuwah, Hadees : 2321)
Scan Page Sahih Bukhari #418

Nabi E Karim  Ne Tamam Magrib Aur Mashrik Ko Dekh Liya 
Hadees 04:
"Hazrat Sauban Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Nabi E Karim  Ne Irshad Farmaya Allah Taa'la ne Mere Liye Zameen Samait Di Pas maine Zameen kay Mashriqon (East) Aur Magribo (West) ko Dekh Liya"
(Sahih Muslim, Kitabul Fitan, Pg : 1414, Hadees :2889)
(Sunan Abu Dawood, Kitabul Fitan Wa Malahim, Hadees : 4252)
Nabi E Karim  Hazrat Bilal Kay Kadmo Ki Awaaz Jannat Me Sun Liya
Hadees 05: 
"Hazrat Abu Hurraira Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Nabi E Karim ﷺ Ne Namaz E Fazr Kay Waqt Hazrat Bilal Radiallahu Anhu Se Pucha Mujhe Tumhara Wo Aamal Batao Jo Tumne Islam lane kay baad kiya hai MAINE TUMHARE KADMO KI AWAAZ JANNAT ME MERE SAAMNE SUNA HAI.
Hazrat Bilal Radiallahu Anhu  ne jawab farmaya Mai jab bhi Wuzu karta hu to 2 Rakat Nafl, Tahayyatul Wuzu padh leta hu" 
(Sahih Bukhari, Pg 278 , Kitabut Tahajjud Baab 17 Hadees : 1149)
(Jamai Tirmizi, Kitabul Manakib, Hadees :3689)



Upar bayan karda Hadees E paak ka khulasa baatil ka aqeeda Nabi E Karim  ko deewar kay piche kya hai uska ilm nahi hai andaza ek deewar ka size kitna hoga ek eent do eent ka yaani zyada se zyada Nabi E Karim  se 8 10 feet dur hoga, magar gustakho ne isko to khub bayan kiya wo bhi jhuti rivayatein lekin jo haq sahih mustanad dalail hai unhe batane se gurez kiya.
i) Nabi  Kayamat tak hone wale waqiyat ki khabar de rahe hai,
ii) Nabi E Karim  ye khabar de rahe hai Jung E Mutah ki jo waqaye huwi Jordan me Madina Sharif Se 1,225 Kilo Mitres ki duri pe fasla itna dur magar wo bhi Nabi E Karim  bayan kar rahe hai.
iii) Ek shaks kay dil me kya chal raha hai wo bhi Rasoolullah ﷺ Se Chupa nahi hai.
iv) Nabi E karim  East West ko dekh rahe hai
v) ye tamam Faasle to chote hai Jannat kitne dur hai rehte Madina E Pak me hai Sunne Ka aalam ye hai kay jannat me Hazrat Bilal Radiallahu Anhu kay kadmo ki awaaz sunn rahe hai aur wahabi ko bas mila bhi to kya deewar kay piche ka ilm nahi,
kya ye baatil aqeedah nahi hai ? 

Ab itni dalail hi tasleem karne wale aur baatil firqe se tauba karne wale kay liye kaafi hai aur koi naa kare to unka ilaaz nahi hai bas hidayat Allah Pak kay ekteyar me hai.

Nabi E Karim  kay baare me aqaid ko to aapne dekh liya kay Huzoor ko diwar kay piche ka ilm na tha lekin inke aqabireen bado ko kitna ilm tha padhiye.

Aqeedey Ka Dogla Pan ab Dekhiye Inke Deobandi Buzurg Ko Kitna Ilm Tha 
Maa Kay Pet Me Kya Hai Uska Ilm

"Khan Sahab ne Farmaya Maulana Nanatvi Farmate They Kay Shah Abdur Raheem Wilayati Kay Ek Murid they,jinka naam  Abdullah Khan tha Kaum wo Rajpoot they aur Hazrat kay khas murideen me they Unki haalat ye thi ki agar kisi kay ghar me hamal hota aur wo ta’weez le aata to aap farma diya karte the ki tere ghar me ladki hogi ya ladka. Aur jo aap batla dete the wohi hota tha"
(Musannif Ashraf Ali Thanvi Sahab, Kitab Arwah E Salasa Yaani Hikayat E Auliya, Pg : 132, Hikayat No. 146, Maktaba Umar Farooque) Scan Page 

Dusra Waqya padhiye Aur Phir Puchiye Insaaf Kaha hai ? 
"Maulana Muhammad Tayyab Saheb Ne Yeh Ittela di hai Ki Yasin Naam Kay do sahibo ka Khususi taaluk Syedna Imamul Kabir (Maulana Qasim Nanatvi) Se tha, Jinme se ek to yehi Diwanji yehi Deoband Kay rehne wale they, Aur Baqaul Maulana Tayyab Sahab Deoband Me Hazrat Wala Ki Khangi aur Jaati Umur Ka Talluk Unhe Se tha,
Likha hai ki Saheb Nisbat Buzurg theym apne jamane makan kay Huzre me zikr karte they Maulana Habibur Rehman Sahab Sabik Muhtameem Darul Uloom Deoband Farmaya karte they ki is jamane me Kashfi Halaat Diwanji ki itni badi huwi thi ki bahar Sadaq par aane jaane wale nazar aate rahte they, Dar wa Deewar ka hizab unke darmiyan zikr kay waqt baaki nahi rahta tha"

(Syed Manazir Hasan Gilani, Kitab Swaneh Qasmi, Vol : 02, Pg : 73)Scan Page

Awaaz Do Insaaf Ko Insaaf kahan hai ? 
Apne Aalimo ki fazilat apne buzurgo ki azmat ki baat aayi to maa kay pet me 09 mahine baad kya hoga wo tak maan liya, apne bade ki baat aayi to kya darwaja kya ghar bahar Kaun aata hai kaun jata hai sabka ilm hai magar jab baat Nabi E karim  ki aayi to aqeedah sab badal gaya Nabi E Karim  kay baare me aqeedah ye kay Huzoor  Ko deewar kay piche ki khabar nahi aur apne buzurgo ko sabki khabar kya ye munafiqat nahi Deobandi Firqe Ki ? 
Aala Hazrat Alaihrehma ka inse jhagda hi is baat pe hai Deobandi har wo chiz apne buzurgo kay haq mante hai jisko Sunniyo kay khilaf shirk kahte hai,
Nabi E Karim 
 kay baare me aqeedah nahi rakhte magar apne bado kay baare me barabar rakhte hai
Ye to bas humne kuch daane nikale hai anaz kay zakhire se Deobandi ulema ki kitabein aise waqiyat se bhari padi hai jisko zyada padhna ho to Allama Arshadul Qadri Rehmatullah Alaih ki kitab Zalzala ka Muttala kare aur Allama Mushtaq Nizami Rahmatullah Alaih ki kitab Khoon kay Aansu,
Yahan Ab Sunni Hazrat ek kaam kare jab bhi koi Deoband aapse kahe Deewar kay piche ka ilm nahi to unhe ye do waqya bataye par ye na bataye ye Deoband kay waqiyat hai aur phir puche kay ye kya hai to kahega shirk hai phir jawab dena kay ye waqiyat aapke hi bado ne likha hai.
 

Kya Nabi ﷺ ko Deewar Ke piche ka Ilm Nahi Tha ?
Unseen Knowledge of Prophet 
ﷺ,

Post By Shaikh Sher Ali Hanfi keep us remember in your prayer 

4 comments:

  1. Masha Allah !!

    Ab tak ka is topic pe sabse umda article padha hai

    Naa sirf Ibarat pesh ki hai balki uske jawab aur apne Dalail pe bhi ilmi baat ki hai

    ReplyDelete
  2. Sunniyoun ki har baat haq hi hoti hai kyoun ki hum ahle sunnat Allah aur rasoolallah SAW ki jamaat hai baski sab jahannumi firqe hai

    ReplyDelete
  3. Mashallah ! Ahle Sunnat Wal Jamaat Zindabad! Maslake Alahazrat Zindabad !

    ReplyDelete
  4. Ilm e gaibe mustafa zinda baad

    ReplyDelete

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers