Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Friday 26 May 2017

Radd e Deoband ; Hazrat Musa Suhag k aitraz per Jawab

Deoband o Wahbi Ala Hazrat Imam Ahmed Raza Rehmatullah alaih per aitraz karte hai k Hazrat Musah Suhag ALLAH taala ki biwi hai likha hai , NAUZBILLAH

Is aitraz per jawab mulahiza kare

Awwal toh yeh Ibarat me pesh karta hu , Jis per Wahbi Deobandi ka Aitraz hai

Ala Hazrat Se kisi ne Sawal pucha

Sawal :Hazrat Majzoob Ki Kya Pehchan hai?

Jawab : (( Sacche majzoob ki ye pehchan hai ke Shariat-e-Mutahrah ka kabhi muqabla na karega.
Hazrat Sayeduna Musa Suhan rehmatullah alai mashoor majaib se the.Ahmadabaad mein mazar shareef hai.mai zyarat se musharraf hua hun. zana waza rakhte the.
Ek baar Qahat Shadeed para. Bashah wa Qazi wa Akabir jama hokar Hazrat ke pass dua ke liyee gayee, inkar farmate rage ke mai dua ke qabil nahi hun. jab log ki Ah wa zari had se guzri. Ek patthar aur doosre hath ki chudiyon ki taraf layee aur asman ki janib mu utha kar farmaya “Meh na Behjiyee ya apna suhag lijiyee” ye kehna tha ke Ghatai Pahad ki taraf umdi aur jal thal bhar diyee.

Ek din namaz Juma ke waqt bazar mein jaa rahe the.Udher se Qazi-e-Shahar jama masjid ko jaate the ayee. Unhe dekh kar amr bil maroof (Bhale kaam ki dawat) kya ke Ye waza mardon ko haram hai. Mardana libas pehne aur namaz ko chalein. is par inkar wa muqabla na kiyaa.Choodiya aur zewar aur zana libass utar kar masjid mein ho liyee.Khutba SUna.Jab Jamaat Qaym hui aur Imam ne takbeer tahreema kahi ALLAH HU AKBAR sunte hi unki halat badli farmaya “ALLAH HU AKBAR mera Khawind La ya mut hai ke kabhi na marega aur ye Mujhe Bewa kiyee dete hai!” Itna kehna tha ke sar se paw wahi surkh libas tha aur wahi choodiyan. ))

Yeh Jawab Padhkar Deobandi aur Wahbi Ala Hazrat ko Bura bhala kehte hai , galiya dete hai , ab yahi Galiya kya unke liye b hogi jinhone isi waqyat ko apni kitabo me likha hai ??

aaye dekhte hai kisne likha hai

Hazrat Shah Waliullah Muhaddis Dehlwi ki MALFUZ hai

Kitab Ka Naam “Al Qaulool Jali Fi Zikr Asaar e Wali”.

Muallif : Hazrat Muhammad Ashiq Phulti Rahimahullah

Mutarajim : Maulana Mohammad Taqi Anwar Ali.

Safa 448 per Yahi Waqya Likha hai.

Front Cover.






Lagao wahi Gaaliya ab Hazrat Shah Waliullah per........

Deoband k Kaleje ko Thandak na mili ho toh ek aur hawala detau

Kitab Ka Naam “Mashaikh e Ahmedabad”

Likhne wala kaun ???????????????????

ZAKARIYA MADNI........k Khalifa e Ajl “Maulana
Mohammad Yusuf Ibn Suleyman Mutala”

Front Cover





Kya Deobandi ab Apne alimo k liye b yahi kehdo k , ALLAH ki BIWI (NAUZBILLAH MAZ ALLAH) ka zikr kiya hai , aur khub khub galiya bako

-Shaikh Mohammad Imran Saifi

No comments:

Post a Comment

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers