Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Wednesday 10 May 2017

Taraweeh 08 Ya 20 ?



Taraweeh  08 Ya 20 ?

Sallu Alal Habib Swallallahualaihiwasallam
Tamam Taareef Khudawande Quddus K Liye

Tamheed

Mauzu Se Samaj Aata Hai K Risala Kis Per Likha Hua Hai Aur Daur E Hazir Me Ahle Hadees Kehlane Wale Jinka Taluq Na Toh Quran Se Hai Na Hadees Se Aur Naahi Sahaba E Kram Tabai Tabe Tabai Salafussaleheen Radiallataala Anhum K Amal O Aqwal Se Hai, Inka Maqsad Musalman Ko Gumrah Karna Aur Apas Me Ladwana Hai,Isi Tarah Yeh Wahbi Ramzan K Dauran Hungama Karte Hai K Taraweeh 08 Rakaat Hai 20 Nahi Kyukay 11 Rakaat Hadees Se Sabit Hai Lekin 20 Nahi.
Ab Ajeeb Tar Muamla Yeh Hai K 11rakat Taraweeh Maanle Bilfarz Tabbhi Wahbi K Khilaf Hai Kyukay 08 Taraweeh  + 03 Witr Aur Haqeeqat Me Yeh Wahbi 1 Rakaat Witr Padhte Hai, Waqai Ajeeb Hai K 08 + 01 , Qul 9 Rakaat Hoti Hai Fir B Yeh Wahbiya 11 Rakaat Kyu Sabit Karne Per Tuley Hue Rehte Hai.

Wahbi Bolta Hai Magar Samajta Nahi.

Hum Aage Aisi Daleel Pesh Karege Jissey Wahbiyat Apna Nasb Chodne Per Majbur Hojayegi Aur Agar Nasb Na Chode Tab Haq Manna Hi Padega.

Wahbiyat 08 Rakat Taraweeh Sabit Karne K Liye Har Harkat Apnati Hai Yaha Zaef Wagaira K Usool B Bhul Jaati Aur Sarahat Se Daleel Dene Se B Ajiz Hojati Hai, Aur Jo Daleel Pesh Karte Hai Woh Tahajjud Ki Namaz K Taluq Se Pesh Karte Hai.

Ab Jin Aimma Ne 20 Rakat Taraweeh Padhi Aur Padhai Hai Un Per B Hukm Nahi Lagate Lekin Apni Haddharmi Per Qayam Wahbi 08 Rakat Tahajjud Ko Taraweeh Me Badalte Hai.

Lekin 1 Rakat Witr Ka Dawah Karne K Baad 3 Witr Kaise Padh Lete Hai, Isey Hajam Kar Jaate Hai.

Ab Aaye Me In Sha ALLAH Taala Woh Dalail Pesh Karu Jaha Se 20 Rakaat Taraweeh Sabit Hai Aur Fir In Sha ALLAH Taala Wahbiyo K Dalail Per Radd Aur Wahbiyo Ko Challenge B Hai Ki In Dalail Ka Mudallal Jawab Dekar Radd Karey.


Daleel # 1

“Ummul Mominin Hazrat Aaisha Radiyallahu Ta’ala Anha Se Marwi Hai Ki Aik Raat Rasoolullah Sallallahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Masjid Me (Nafl) Namaz Padhi To Logon Ne Bhi Aap Sallallahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ke Saath Namaz Padhi.

Phir Aap Swallallahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Agli Raat Namaz Padhi To Zyaada Log Jama Ho Gaye Phir Teesri³ Ya Chauthi⁴ Raat Bhi Aa Khade Huwe Lekin Rasoolullah Sallallahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Un Ki Taraf Tashreef Na Laaye.
Jab Subah Huwi To Farmaya :

Mein Ne Dekha Jo Tum Ne Kiya Aur Mujhe Tumhare Paas (Namaz Padhaane Ke Liye) Aane Se Sirf Andeshe Ne Roka Ki Yah Tum Par Farz Kar Dee Jaayegi Aur Yah Ramdan-Ul-Mubarak Ka Waaqia Hai.”
Muttafaque Alayh

Imam Khuzayma Aur Imam Ibn Hibban Ne In Alfaz Ka Izaafa Kiya :

Aur Huzoor Nabi-E-Akram Sallallahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Unhein Qiyam-E-Ramdan (Tarawih) Kee Raghbat Dilaaya Karte They Lekin Hukman Nahin Farmate They Chunanche (Targheeb Ke Liye) Farmate Ki Jo Shakhs Ramdan-Ul-Mubarak Me Iman Aur Sawab Ki Niyyat Ke Saath Qiyaam Karte Hai To Us Ke Pichhle Tamam Gunaah Bakhsh Diye Jaate Hain.

Phir Huzoor Nabi-E-Akram Sallallahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ke Wisaal Mubarak Tak Qiyam-E-Ramdan Kee Yahi Soorat Barqaraar Rahi Aur Yahi Soorat Khilafat-E-Aboo Bakar Radiyallahu Ta’ala Anhu Aur Khilafat-E-Umar Radiyallahu Ta’ala Anhu Ke Awaa’il Daur Tak Jaari Rahi Yaha’n Tak Ki Hazrat Umar Radiyallahu Ta’ala Anhu Ne Unhein Hazrat Ubay Bin Ka’b Radiyallahu Ta’ala Anhu Kee Iqtida’ Me Jama Kar Diya Aur Woh Unhein Namaze (Tarawaih) Padhaaya Karte They, Lihaaza Yah Woh Ibtidayi Zamaana Hai Jab Log Tarawih Ke Liye (Baajama’at) Ikat’tha Hote They.”

Aur Imam Asqalani Ne ‘التلخيص’ Me Bayan Kiya Ki Huzoor Nabi-E-Akram Sallallahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Logon Ko Do² Raatein 20 Rak’at Namaz Padhaayi Jab Teesri³ Raat Log Phir Jama Ho Gaye To Aap Sallallahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Un Kee Taraf (Huzara Mubarak Se Baahar) Tashreef Nahin Laaye, Phir Subah Aap Sallallahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :

Mujhe Andesha Huwa Ki (Namaz-E-Tarawih) Tum Par Farz Kar Dee Jaayegi, Lekin Tum Is Kee Taaqat Na Rakhoge.”

Bukhari As-Sahih, Jild 01 Safa 380, Hadees-1077, Jild 02 Safa 708, Hadees-1908,

Muslim As-Sahih, Jild 01 Safa 524, Hadees-761,

Aboo Dawood As-Sunan, Jild 02 Safa 49, Hadees-1373,

Nasa’i As-Sunan, Jild 03 Safa 202, Hadees-1604, & As-Sunan-Ul-Kubra, Jild 01 Safa 410, Hadees-1297,

Malik Al-Muwatta’, Jild 01 Safa 113, Hadees-248,

Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, Jils 06 Safa 177, Hadees-25485,

Ibn Hibban As-Sahih, Jild 01 Safa 353, Hadees-141,

Ibn Khuzaymah As-Sahih, Jild 03 Safa 338, Hadees-2207,
Abd-Ur-Razzaque Al-Musannaf, Jild 03 Safa 43, Hadees-4723,

Bayhaqi As-Sunan-Ul-Kubra, Jild 02 Safa 492, Hadees-4377, & As-Sunan-Ul-Sughara, Jild 01 Safa 480, Hadees-486,

Asqalani Talkhis-Ul-Habir, Jild 02 Safa 21

Scan Page : Asqalani Talkhis-Ul-Habir, Jild 02 Safa 21


Daleel # 2

“Hazrat Maalik Ne Daaud Bin Husain Se Riwayat Kiya, Unhone Hazrat A’raj Ko Farmate Huwe Suna Ki Mein Ne Logon Ko Is Haal Me Paaya Ki Woh Ramdan Me Kafiron Par Laanat Kiya Karte They Unhone Farmaya (Namaz-E-Tarawih Me) Qaari Soorah Baqrah Ko Aanth-08 Rak’aton Me Padhta Aur Ab Baaqi Baarah-12 Rak’atein Padhi Jaati To Log Dekhte Ki Imam Inhein Halki (Mukhtasar) Kar Deta.”

“Hazrat Shaah Wali Allah Dahelwi Ne (Is Hadith Kee Sharh Me) Bayan Kiya Ki Bees-20 Rak’at Tarawih Aur Teen³ Witr Shawaafe Aur Ahnaaf Ka Mazhab Hai.
Isee Tarah Mahalli Ne Imam Bayhaqi Se Bayan Kiya.”

Imam Malik Al-Muwatta’, Jild 01 Safa 115, Hadees-253,

Imam Bayhaqi As-Sunan-Ul-Kubra, Jild 02 Safa 497, Hadees-4401, &

Shuab-Ul-Iman, Jild 03 Safa 177, Hadees-3271,

Faryabi Kitab Al-Siyam, Jild 01 Safa 133, Hadees-181,

Imam Ibn Abd-Ul-Barr At-Tamhid, Jild 17 Safa 405,

Imam Dhahabi Siyar A’lam-Un-Nubula’, Jild 05 Safa 70, Hadees-25,

Imam Suyuti Tanwir-Ul-Hawalik Sharh Muwatta’ Malik, Jild 01 Safa 105,

Imam Zurqani Sharh Ala Al-Muwatta’, Jild 01 Safa 342,

Shah Wali-Allah Ad-Dahelwi Al-Musawi Min Ahadith Al-Muwatta’, Jild 01 Safa 175.

Scan Page : Imam Malik Al-Muwatta’, Jild 01 Safa 115, Hadees-253.


Daleel # 3

Hazrat Abdullah Bin Abbas Radiyallahu Ta’ala Anhuma Se Marwi Hai Farmaya Ki Huzoor Nabi-E-Akram Sallallahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ramdan-Ul-Mubarak Me Witr Ke Alaawa Bees-20 Rak’at Tarawih Padha Karte They.”

Imam Ibn Abi Shaybah Al-Musannaf, Jild 02 Safa 164, Hadees-7692,

Imam Tabarani Al-Mu’jam-Ul-Awsat, Jild 01 Saaf 243, Hadees-798, & Jild 05 Safa 324, Hadees-5440, & Al-Mu’jam-Ul-Kabir, Jild 11 Safa 393, Hadees-12102,

Imam Bayhaqi As-Sunan-Ul-Kubra,Jild 02 Safa 496, Hadees-4391,

Imam Abd Bin Humayd Al-Musnad, Jild 01 Safa 218, Hadees-653,

Imam Khatib Baghdadi Tarikh Baghdad, Jild 06 Safa 113,

Imam Haythami Majma’-Uz-Zawa’id,Jild 03 Safa 172,

Imam Ibn Abd-Ul-Barr At-Tamhid, Jild 08 Safa 115,

Imam Asqalani Fat’h-Ul-Bari, Jild 04 Safa 254, Hadees-1908, & Dirayah, Jild 01 Safa 203, Hadees-257,

Imam Suyuti Tanwir-Ul-Hawalik, Jild 01 Safa 108, Hadees-263,

Imam Dhahabi Mizan-Ul-I’tidal, Jild 01 Safa 170,

Imam San’ani Subul-Us-Salam, Jild 02 Safa 10,

Imam Mizzi Tahdhib-Ul-Kamal, Jild 02 Safa 149,

Imam Khatib Baghdadi Mawdah Awham Al-Jami’ Wat-Tafriq, Jild 01 Safa 387,

Imam Zayla’i Nasab-Ur-Rayah, Jild 02 Safa 153,

Imam Zurqani Sharh Ala Al-Muwatta’, Jild 01 Safa 342,Safa 351,

Azim Abadi Awn-Ul-Ma’bud, Jild 04 Safa 153,

Mubarakpuri Tuhfat-Ul-Ahwadhi, Jild 03 Safa 445.


Scan Page (1) : Musannaf Ibn Abi Shayba


Scan Page (2) : Al-Mu’jam-Ul-Kabir, Jild 11 Safa 393, Hadees-12102


Daleel # 4

Hazrat Saeb Bin Yazeed Say Marwi Hay Unhoun  Bayan Kiya K
"Hazrat Umar Bin Khattab (Radi ALLAH T'ala Anhu) K 'Ehad (Daur E Khilafat) Main Sahaba Ikram (Radi ALLAH T'ala Anhu) Maah-E-Ramzan Main Bees (20) Rakat Taraweeh Padhte The Aur Un Main Sau (100) Ayaat Wali Soortain Padhte The Aur Hazrat Uthman (Radi ALLAH T'ala Anhu) K 'Ehad (Door E Khilafat) Main Shiddat E Qayam Ki Waja Say Wo Apni Laathiyun Say Tayk Lagaty The."
Is Hadith Ko Imam Bayhaqi, Imam Faryabi Aur Ibn E Ja'd Rawayat Kiya  Aur Imam Faryabi Farmaya K Is Hadith K Rijaal Thiqah Hain.

Imam Bayhaqi Sunan Al Kubra Jild 2 Safa 496 Hadith Number: 4393

Ibn E Hasan Faryabi Kitab As Siym Jild 1 Safa 131 Hadith Number: 176

Ibn E Ja'd Al Musnad Jild 1 Safa  413 Hadith Number : 2825

MubarakPuri Kitab Thfat Ul Ahwazi Jild 3 Safa  447.

Scan Page : Imam Bayhaqi Sunan Al Kubra Jild 2 Safa 496 Hadith Number: 4393


Daleel # 5


Hazrat Abu Al Hasana Bayan Karty Hain K
"Hazrat Ali (Radi ALLAH Ta'ala Anhu) Ek Shakhs Ko Ramzan Main Paanch (5) Tarweehon Main Bees (20) Rakat Parhaany Ka Hukam Diya."
Is Hadith Ko Imam Ibn E Abi Shaibah Aur Imam Bayhaqi Rawayat Kiya Hay Aur Yeh Alfaaz Imam Bayhaqi K Hain.
Imam Ibn E Abi Shaibah Al Musannaf Baab Ramzan Main (Taraweh Main) Kitni Rakatain Jaen Jild 5 Safa 163Hadith Number : 7763

Imam Bayhaqi Sunan Al Kubra Jild 2 Safa 497 Hadith Number : 4397

Imam Ibn E Abul Barr At Tamheed Jild  8 Safa 115
Mubarakfuri Tuhfatul Ahwazi Sharah Jami' Tirmidhi Jild 3 Safa 445

Imam Ibn E Qudamah Al Mughana Jild 1 Safa 456

Scan Page : Imam Ibn E Abi Shaibah Al Musannaf Baab Ramzan Main (Taraweh Main) Kitni Rakatain Jaen Jild 5 Safa 163Hadith Number : 7763


Scan Page : Imam Bayhaqi Sunan Al Kubra Jild 2 Safa 497 Hadith Number : 4397


Daleel # 6

Hazrat Hasan (Basri) (Radi ALLAH Ta'ala Anhu) Say Marwi Hay K
"Hazrat Umer Bin Khattab (Radi ALLAH Ta'ala Anhu) Nain Logoun Ko Hazrat Ubayy Bin Ka'b (Radi ALLAH Ta'ala Anhu) Ki Iqtida Main Qayam-E-Ramzan K Liay Akatha Kiya To Wo Unhain Bees (20) Rakat Parhaty Thy."

Imam Zahabi Sayyir Al A'laam An Nubala Jild 1 Safa 400

Imam Ibn E Hajr 'Asqalani  Talkhees Al Habeer Jild 2 Safa 21 Hadith Number : 540

Imam Ibn E Qudamah  Al Mughna Jild 1 Safa 456

Imam Jalal Ud Din Suyuti Tanweer Al Hawalik Jild 1 Safa 104

Ibn E Taymiyyah  Majmu' Al Fatawa Jild 2 Safa  401.

Scan Page : Imam Zahabi Sayyir Al A'laam An Nubala Jild 1 Safa 400



Scan Page : Imam Ibn E Hajr 'Asqalani  Talkhees Al Habeer Jild 2 Safa 21 Hadith Number : 540



Alhamdulillah In Dalail Se Haq Wazeh Hota Hai K Ramzaan Ul Mubarak Me Taraweeh 20 Rakat Hai Naaki 08 Rakat.


Ab Aaye Hum 08 Taraweeh Per Jo Wahbiyo Ki Dalail Hai Unka Jaiza Le Aur Us Per Hum Radd Pesh Karege.


Radd # 1

Yahya Ne Hume Khabar Di Malik Se Riwayat Kiya Unhone MUHAMMAD BIN YUSUF Se Riwayat Kiya Ki Saaib Bin Yazeed Ne Kaha Ki Umar Farooq Radiallaho Ta'ala Anhu Ne Ubay Bin Ka’ab Ko Hukm Diya Ki Wo 11 Rakat Namaz Padhaye. Qari 100-100 Rakat Wali Sureh Padhaye Hatta Ki Hum Log Lakdiyon Ke Sahare Khade Hone Lagen. Aur Hum Na Chhoden Yahan Tak Ki Fajr Ho Jaye”
Al Muwatta Imam Malik, Jild 01, Kitab 06 Baab Salati Fi Ramadan, Hadees : 250, ‘English Version : Book 06 Hadees 02’
Is Hadees Ko Qaum E Wahabiya Bataur E Dalil Pesh Karti Hai Aur Dawa Karti Hai Dekho Hadees Me Aaya Hai K Nabi E Karim 11 Rakaat Padhte The 08 Taraweeh Hogayi Baaki Witr Par Ye Sirf Unko Bata Sakte Hai Jo Inki Kabaliyat Se Wakif Nahi Hai Pehli Baat Ye Dalil Khud Gair Mukallid Wahabi K Amal K Khilaf Hai Inke Yaha Bada Masla Hai WITR Ki Rakaat Ko Leke Wo Ye K Ye KAUM WITR Bhi 1 Rakat Padhti Hai Ji Haa Ye WITR 01 Rakaat Padhte Hai Ab Is Hadees Ko Pesh Kiye Hai Jo Khud Unke Khilaf Hai.
01)
Is Hadees Me Aaya 11 Rakaat 4 + 4 = 8 Taraweeh Hogayi Baaki Bachi 03 Wo Witr To Ab Tum To 03 Witr K Munkir Ho Agar Is Hadees Ko Sach Me Sahi Maante Ho To 08 Taraweeh Aur 03 Witr Padho Witr Kyu Khaa Gaye ? Agar Tumhare Akeede Se Mel Khati To 09 Rakat Hona Tha 11 Kyu Huwi ?

Kyu Hadees K Ek Hisse Ko Maano Baaki Chod Do Ye MUNAFIKAT Hai Wahabio. Dekhte Hai Hum Tum 03 Kab Padhte Ho Ye Padhke Aap Samajh Gye Honge Kitna Dhoka Dete Hai Ye Wahabi Ye Ek Basic Baat Hai Wo Is Baat Ka Hi Jawab Nhi De Paaynge Haa Bhagenge Yaha Waha Par Jawab Nhi Aayga.

Apni Munafikat Tum Un Bholi Bhali Awaam K Saamne To Kar Sakte Ho Jo Tumhare Nautanki Waale Chehra Dekh Muttasir Hojaye Jo Jirah Tadeel Aur Asma Ur Rizal Naa Janti Ho Par Ahle Ilm K Aage Nhi.
02) Hadees Me Ek Raavi Hai Jo Jinka Naam  "MUHAMMAD BIN YUSUF AN SAIB IBN YAZID"

Ab Inhi MUHAMMAD BIN YUSUF Se Rivayat Dusri Hadees Padho Usme Kya Hai
Musannaf Abdur Razzaq Me Bhi Same Hadees Isi Sanad Se Hai Lekin Uske Alfaz Hain 

محمد بن يوسف عن السائب بن يزيد أن عمر جمع الناس في رمضان على أبي بن كعب وعلى تميم الداري على إحدى وعشرين ركعة

MUHAMMAD BIN YUSUF Se Riwayat Hai Unhone Saaib Bin Yazeed Se Riwayat Kiya Ki Umar Farooq Radiallaho Ta'ala Anhu Ne Ramzan Me Logon Ko Ubay Bin Ka’ab Ke Piche Jama Kiya Aur Unhone Logon Ko 21 Rakat Padhai. 

Musannaf Abdur Razzaq, Jild 4, Safa 260, Hadith No. 7730
Ussi Tarah Ek Rivayat Imam Muhammad Ibn Nasar Maruzi Se Inki 13 Rakaat Taraweeh Ki Riwayat Nakal Hai Pata Chala K MUHAMMAD BIN YUSUF Jo Raavi Hai Inki Rivayato Me Sakht Iztiraab Hai Lihaja Inki Rivayat Motebar Nahi Agar Tum Muwatta Imam Malik Ko Apni Nafs Se Follow Karte Ho To Musanif Ibn Abdur Razzak Ki Hadees Aur Ibn Nasar Ki Riwayat Karta Hadees Kyu Chod Bethe ?
Jab Baat Apne Matlab Ki Aayi To Hazam Kar Bethe Jab Baat Dusre Ki Aaye To Fauran Tumhare Yaha K Paan Chai Bechne Waale Bhi Keh Denge Hadees Zaif Hai Aakhir Kab Tak Dhoka Doge Kaum Ko Hadeeso K Naam Pe ?
Magar Ussi Muwatta Imam Malik Me 20 Rakaat Ki Saaf Hadees Uske Baad Hi Mauzood Hai Wo Bina Dakar K Hazam Kar Bethe Kyu ? Ye Kab Dikhaoge Awaam Ko ?
Hadees :

رواه مالك والفريابي والبيهقي. وقال الفريابي : إسناده ورجاله موثقونوقال ابن قدامة في المغني : وهذا كالإجماع.

“Hazrat Yazeed Bin Rumaan Ne Bayan Kiya Ki Hazrat Umar Bin Khattab Radiyallahu Ta’ala Anhu Ke Daur Me Log (Ba-Shumool-Witr) 23 Rak’aat Padhte They.”

Al Muwatta Imam Malik, Jild 01,Kitab 06 Baab Salati Fi Ramadan, Hadees : 251, ‘English Version : Book 06 Hadees 05’
Hadees : “Hazrat Maalik Ne Daaud Bin Husain Se Riwayat Kiya, Unhone Hazrat A’raj Ko Farmate Huwe Suna Ki Mein Ne Logon Ko Is Haal Me Paaya Ki Woh Ramdan Me Kafiron Par Laanat Kiya Karte They Unhone Farmaya (Namaz-E-Tarawih Me) Qaari Soorah Baqrah Ko Aanth-08 Rak’aton Me Padhta Aur Ab Baaqi Baarah-12 Rak’atein Padhi Jaati To Log Dekhte Ki Imam Inhein Halki (Mukhtasar) Kar Deta.”

Al Muwatta Imam Malik, Jild 01, Kitab 06 Salati Fi Ramadan, Hadees : 252, ‘English Version : Book 06 Hadees 06’
Toh Muwatta Imam Malik Ki Woh Hadees Bhi Taraweeh Ki 8 Rakat Ko Sabit Nahi Karti Jabki 20 Rakat Upar Ki Hadees Se Sabit Hai.
Ab Salafiyon Naam Nihad Ahle Hadees Firka E Victoria Jo Awaam Ko Gumraah Kar Amal Se Rokte Hai Unke Paas Ek Bhi Hadees Khulafa-E-Rashideen Ki Nahi Hai Jisme 8 Rakat Taraweeh Ho, Aur Muwatta Imam Malik Me Maujud Wo Wahid Hadees Muztarib Hai, Aur MUZTARIB Hadees Kabhi Dalil Ke Liye Pesh Nahi Ki Jati.
Khud Ibn Taymiyya Ne Bhi Kaha:

ثبت أن أبي بن كعب كان يقوم بالناس عشرين ركعة في قيام رمضان، ويوتر بثلاث. فرأي كثير من العلماء أن ذلك هو السنة؛ لأنه أقامه بين المهاجرين والأنصار، ولم ينكره منكر

Tarjuma: Ye Sabit Ho Chuka Hai Ki Ubay Bin Ka’ab Ne Ramzan Me Sahaba Ko 20 Rakat Aur 3 Witr Padhai. Is Tarah Ye Kaseer Ulama Ka Maslak Hai Ki Ye Sunnat Hai. Kyunki Ubay Bin Ka’ab Muhajirin Ke Samne Bhi Aur Ansar Ke Samne Bhi 20 Rakat Padhte The. Aur Kisi Bhi Ek Sahabi Ne Ispar Aitraz Na Kiya.!" 

Ibn Taymiyyah: Majmua Al Fatawa Jild : 1, Safa : 191


Radd # 2

Hadees :

Hazrat Abu Salma Bin Abdur Rahmaan Se Riwayat Hai Ke Inhone Hazraat Ayesha Radhi Allahu Anha Se Pucha Ke Rasool E Akram ﷺ Ki Namaz Ramzaan Ul Mubarak Me Kaise Hoti Thi ?Aap Ne Farmaaya Rasoolullah ﷺ RAMZAAN AUR GAIR RAMZAAN 11 RAKAAT SE ZYADA NAHI PADHTE The Aap 4 Rakaat Padhte Na Pucho Ke Wo Kaisi Haseen Aur Kitni Daraaz Hoti Thi ,Phir Aap 4 Rakaat Padhte Na Pucho Ke Wo Kaisi Haseen Aur Kitni Daraaz Hoti Thi PHIR AAP 3 RAKAAT AADA FARMAATE , HAZRAT AYESHA RADIALLA TAALA ANHAA FARMAATI HAI MAI NE ARZ KIYA AYE ALLAH KE RASOOL ﷺ WITR PADHNE SE PEHLE SOJAATE HAI ? AAP NE FARMAAYA AYE AYESHA MERI AANKH SOTI HAI MERAA DIL NAHI SOTA.

Sahi Bukhari, Jild : 01, Kitab No 31 Kitab Assalato Taraweeh, Baab : Fazl E Man Qiyaam E Ramzaan ,Hadees : 2013
Ye Hadees Bahot Se Makam Par Muhadiseen Ne Likhi Hai Hum Yaha Kaafi Hawaley Bayan Karnge Jo Khud Padhne K Baad Samajh Aajayga Is Hadees Ko Wahabi Sabse Zyada Motebar Dalil Banake Awaam K Saamne Pesh Karte Hai Aur Kehte Hai Dekho Nabi E Karim ﷺ Ramzan Me 08 Taraweeh Padhte They Chunki Imam Bukhari Rahimullah Ta’ala Ne Isko SALAT O TARAWEEH Me Kiyam E Ramzaan Me Likha Hai To Wahabi Ye Bolte Hai K Dekho SAHI Hadees Hai Ye Taraweeh Ki Awaam Phir Inke Dhoke Me Aajati Hai.
Magar Haqeeqat Bahot Alag Hai Isse Jo Yaha Hum Khulasa Kar Denge Dhyan Se Padhe Phir Gair Mukallid Na Nigal Sakenge Na Ugal Sakenge Aur Yaha Bahot Shara E Hadees Bhi Aage Bayan Karnge Taaki Koi Wahabi Ye Na Kahe K Khud Se Hadees Ki Shara Kardi
1) Ye Sawal Hi Namaz E Tahajjud K Baare Me Hai Agar Sawal Taraweeh K Liye Hota To Umool Momineen Ne Jawab Ramzan Ki Taraweeh Ka Dena Tha Par Jawab Diya RAMZAN AUR GAIR RAMZAN Matlab Nabi E Rehmat Ramzan Me Bhi Aur Dusre Mahine Jaise Shawwal, Jilhajja, Rajjab Etc Me Bhi Is Tarah Hi Qayaam Karte Hai Agr Sawal Taraweeh Ka Hota To Gair Ramzan Ka Zikr Hi Na Hota Kyuki Taraweeh Gair Ramzaan Me Padhi Hi Nahi Jaati Kya Wahabi Ramzan K Elava Bhi Dusre Mahino Me Taraveeh Padhte Hai ?
2) Yaha Sawal Karne Waale Ko Puchna Maksad Ye Tha Chunke Ramzan Me Nabi E Karim Taraweeh 20 Rakaat Padhte Hai Phir Tahajjud Kaise Ada Karte Hai Kahin Tark To Nhi Karte The Aur Yehi Jawab Umool Momineen Ne Diya Hai Agr Wo Iska Yehi Maana Samajhti Jo Wahabio Ne Samjha Hai K Yaha Taraweeh Ki Namaz Hai To Jarur Jawab Sirf Ramzan Ka Deti Naaki Gair Ramzan Ko Shamil Karti.
3) Ye Hadees Se Bil Farz Maan Bhi Le K Taraweeh Hai Tab Bhi Ye Hadees Aapke Favour Me Nhi Jaati Hai Kyuki Hadees Me Hai 4 + 4 Rakaat Bahot Lambi Aur Taweel Padte Uske Baad 03 Rakaat Yaani Witr Ek Saath Padte To Pata Chala Yaha Witr 03 Rakaat Saaf Sabit Hogayi Hai Aur Wo Ramzan Aur Gair Ramzaan Dono K Liye Saabit Hai To Tum To 03 Witr Padhne Ko Biddat Tak Bakte Ho Aur 01 Rakaat Witr Maante Ho To Yaha Dalil Tumhare Kaam Ki Nahi Hai. Iska Khulasa Thoda Last Post Me Bhi Kiya Tha.
4)Hadees K Aakhri Hisse Me Padhe To Pata Chalta Hai K Ummol Momineen Ne Nabi E Karim Se Pucha K Aap WITR Padhe Sojate Hai To Jawab Diya MAI SOTA HOON MERA DIL JHAGTA HAI Aur Ye 11 Namaz Ek Saath Padte The Aur Kon Apni Ammi Ka Accha Baccha Wahabi Hai Jo Isha Padh Sojata Hai Aur Raat Me Uthke Taraweeh Padhte Hai ? Balki Saare Wahabi Taraweeh Sone Se Pehle Hi Padte Hai To Ye Dalil Tumhare Kaam Ki Nahi Hai.Chunki Taraweeh Ko Sone Se Pahle Padhna Hota Hai Aur Tahajjud Ko Sone K Baad To Pata Chala Ye Hadees Taraweeh Ki Nahi Balki Tahajud Ki Hai Yaha Tak K Is Hadees Me TARAWEEH Lafz Tak Nahi Hai Bila Wajah Isko Taraweeh Banana Ki Koshish Ki Jaa Rhi Hai Halanki Ye Namaz E Tahajud Hai.
Ab Aaye Iski Is Hadees Ki Kuch Sharah Dekh Le Yu To Dalil Bahot Hai Par Kuch Hi Yaha Likh Rahe Hai Ye Utne Me Hi Inke Haath Pair Thande Padh Jaynge In Sha Allah Taa’la
1. Imam Shamsuddin Kirmaani Rehmatullah Alaih Sharah Bukhaari Is Hadees Me Farmaate Hai :
Is Hadees Se Muraad Witr (Tahajjud) Ki Namaz Hai Aur (Hazrat Ayesha Radi Allaho Anha ) Se Sawaal Aur (Unka) Jawaab Tahajjud Ke Mutalliq Tha. 

(Al Kaukab Dur-Ri Sharah Bukhari Jild : 01, Safa : 155)
2. Imam Abu Bakr Ibn Arabi Radi Allaho Anho Sharah Tirmizi Farmaate Hai : Nabi Alaihisalam Ramzaan Aur Ghair Ramzaan Me 11 Rakaat Se Zyaada Nahi Padhte The.Yeh Nabi E Karim Ki Namaz Qiyaam E Lail (Tahajjud) Thi.Pas Waajib Hai Ke Is Me Aap Swallallahualaihiwasallam Ki Iqtedaa Ki Jaaye.

(Aarizatul Hauzi Sharah Tirmizi, Jild : 04, Safa : 19)
3. Imam Ibn Hajar Asqalaani Rahmatullah Alaihi Sharah Bukhari Is Riwayat E Ayesha Radiallaho Anha Ko Tahajjud Se Mutalliq Qaraar Dekar 11 Rakaat (Tahajjud Ma’a Witr) Ki Hikmat Yeh Bayaan Farmaate Hai :

وَظَهَرَ لِي أَنَّ الْحِكْمَةَ فِي عَدَمِ الزِّيَادَةِ عَلَى إِحْدَى عَشْرَةَ أَنَّ التَّهَجُّدَ وَالْوِتْرَ مُخْتَصٌّ بِصَلَاةِ اللَّيْلِ وَفَرَائِضَ النَّهَارِ الظُّهْرُ وَهِيَ أَرْبَعٌ وَالْعَصْرُ وَهِيَ أَرْبَعٌ وَالْمَغْرِبُ وَهِيَ ثَلَاثٌ وِتْرُ النَّهَارِ فَنَاسَبَ أَنْ تَكُونَ صَلَاةُ اللَّيْلِ كَصَلَاةِ النَّهَارِ فِي الْعَدَدِ جُمْلَةً وَتَفْصِيلًا
Mere Liye Zaahir Huwa Ke 11 Rakaat Se Zyaada Rakaat Na Hone Ki Hikmat Yeh Hai Ke Tahajjud Aur Witr Raat Ki Namaz Ke Saath Khaas Hai Aur Din Ke Faraaiz 11 Hai. Zohar Ke 4 Farz , Asar Ke 4 Farz Aur Maghrib Ke 3 Farz Jo Din Ke Witr Hai Pas Munaasib Huwa Ke Raat Ki Namaz Bhi Ajmal Aur Tafseel Dono Me Din Ki Namaz Ke Mushaabe Hojaaye. 

Fathul Baari Sharah Bukhari Jild : 03, Safa : 21
4. Qaazi Ayaaz Maliki Rahimullah Ne Bhi Hazrat Ayesha Radiallaho Anha Ki Tamaam Riwaayat Ko Jinme Rasoolullah ﷺ Ki Namaz Ka Zikr Hai , Taraveh Ki Bajaaye Salaatul Lail (Namaz E Tahajjud) Ke Mutalliq Qaraar Diya Hai. 

Sharah Muslim Lil Nawawi, Jild : 06, Safa :19
5. Hazrat Shaik Abdul Haq Muhaddis Dehelwi Rahimullah Is Hadees Ke Mutalliq Likhte Hai :
Saheeh Yeh Hai Ke Nabi E Karim Swallallahualaihiwasallam Jo 11 Rakaat Padhte The Wo Tahajjud Ki Namaz Thi. 

Ash –Sha-Atul Lil Ma’aat Jild : 1, Safa : 269
In Tamam Upar Bayan Karda Dalail Ne Gair Mukallideen K Bhagne K Saare Raste Band Kar Diye Aur Bhi Bahot Hai Yaha Tak K Inke Ghar K Sanad Bhi Pass Me Hai K Yaha Tahajjud Murad Hai Par Ye Mauzuda Khwarij Apni Akabir K Bhi Baagi Hai Itni Dalil Dene K Baad Bhi Ye Kaum Ek Dhoka Deti Hai Wo Ye Hai K
Aitraaz : IMAM BUKHARI Ne Is Hadees Ko Salato Taraweeh Qayaam E Ramzan Me Likha Hai Is Se Sabut Huwa K Ye Taraweeh Hai Ye Aakhir Hathyaar Hai Wo Bhi Ab Fuski Hojayga Yaha.
Al Jawab : Imam Bukhari Ka Is Hadees Ko Salato O Taraweeh Me Laana Kuch Wajah Se Tha Aur Ye Unka Apna Ijtehad Hai.
01) Imam Bukhari Rahimullah Ka Isko Salato Taraweeh Me Qayaam E Ramzan Me Likhne Ka Matlab Ye Nahi Wo Is Hadees Ko Taraweeh Samajhte The Balki Wo Batana Chahte The K Tahajjud Ramzaan Me Bhi Padhna Hai Aur Gair E Ramzan Me Bhi Matlab Ye Hai.
02) Imam Bukhari Isko Us Baab Me Laake Ramzan Ki Fazail Bata Rahe Hai Yahi Wajeh Hai Ke Inhone Baab Ka Naam “Baab Fazl E Man Qiyaam E Ramzaan “ (Fazail E Qiyaam E Ramzaan ) Rakha Hai.Agar Imam Bukhari Rahimullah Ka Maqsad Taraveh Ki Rakaat Batanaa Hota Jaisa Ke Ghair Muqallideen Ka Dawa Hai Toh Aap Is Baab Ka Naam “ Baab Adad E Qiyaam E Ramzan “(Yaani Baab E Tadaad E Qiyaam E Ramzaan) Rakhte.Lekin Unhone Aisa Nahi Kiya Ye Khud Me Ek Dalil Hai K Ye Namaz E Taraweeh Na Thi.
03) Agar Baqaul Tumhare (Wahabio) Imam Bukhari Ka Kisi Hadees Ko Baab Me Laana Hi Uski Taraweeh Hone Ki Dalil Hai To Khud Imam Bukhari Rahimullah Ne Bukhari Sharif Me Ek Hi Hadees Ko Kaafi Alag Alag Baab Me Laaya Hai Wo Kyu Nahi Maante?
04) Agar Imam Bukhari K Khud Ka Ijtehad Ya Soch Ye Hoti K Is Se Murad Taraweeh Hai To Wo Kabhi Is Hadees Ko Dusre Baab Me Naa Laate Balki Sawal Karne Waale Ne Ye Sawal Kiya Ramzan K Talluk Se To Imam Bukhari Ne Waha Bhi Bayan Kardi Balki Imam Bukhari Ne Khud Is Hadees Ko Salato Taraweeh K Elawa Apni Hi Sahi Bukhari Me Aur Bhi Jagah Likhi Hai Jo Ye Hai Hawale
Imam Bukhari Ne Khud Isko 02 Alag Jagah Laaya 
Sahi Bukhari, Jild : 02, Kitab No. 61 Manakib E Nabi Wa Ashabun Nabi , Baab : Nabi Ki Aankh Soti Hai Par Dil Jhagta Hai, Hadees : 3569

Sahi Bukhari, Jild : 01, Kitab No. 19 Kitab At Tahazzud, Baab : Kiyameen Nabi Bil Lailee Fi Ramjaan Wa Gairihi, Nabi E Karim K Raat Me Qayaam Karne Ka Bayan Ramzaan Aur Gair E Ramjan Me, Hadees : 1147
Imam Bukhari Ne Isko Tahajjud Me Bhi Laaya Hai Wo Kyu Nahi Maante? Apne Matlab Ka Hazam Baaki Chod Diya Halanki Imam Bukhari Ka Aqeeda Bhi Taraweeh Ko Leke 08 Rakaat Ka Naa Tha Balki Khud Unhone Apni Kitab Al Kuna Me Taraweeeh K 20 Rakaat Hone Ki Hadees Likhi Hai

عن ابي الخصيب قال كان سويد بن غفلۃ يؤمنا في رمضان عشرين ركعۃ( الکنی، از امام بخاری، حدیث 234)
Abu Al Khusaib Radi Allaho Anho Farmaate Hai Ke Suwaid Bin Ghafalah Radi Allaho Anho Ramzaan Me 20 Rakaat Taraveh Padhaate The. (Al-Kuna : Jild : 2 ,Safa : 234)
Pata Chala K Imam Bukhari Khud 20 Rakaat Taraweeh K Qaayal The Aur Bil Farz Baab Me Laana Hi Tum Dalil Maante Ho To Bas Ek Sawal Kya Tum Siha Sitta K Dusre Imamo Ko Imam Muslim, Imam Nasai, Imam Abu Dawood, Imam Tirmizi ,Aur Imam Malik Rahimullah Azmain Ko Nahi Maante Ho ? Kya Unke Qayam Karda Baab Huzzat Nahi Hai ?Un Sabne Is Hadees Ko Qayam E Lail Tahajjud Me Laaya Hai Ab Kya Karoge Iska ?? Pata Chala Muhadiseen Ka Baab Me Laana Wo Nahi Hai Jo Tumne Tehkeek Kar Nikala Hai Niche Hawaley Mauzood Hai Dekhlo
Bukhari Aur Tahajjud K Alawa
01 . Sahi Muslim, Jild : 01, Kitab No 06, Kitabu Salat Al Musafiree’n Wa Kasrihi, Hadees : 738, ‘English - 1607’
02. Imam Maalik Ne Al Muwatta Imam Malik Jild : 01, Kitab No 07 Assalatul Lail ‘Tahajjud’, Hadees : 263, English Version : Book : 07, Hadees : 09
03. Sunan Tirmizi, Jild : 01, Kitab No 02 Kitabus Salat, Baab : Maa Zaa’a Fihi Wasafi Salateen Nabi ﷺ Bil Laili - Ye Rivayat Hai Saeed Bin Abi Saeed Al Maqburi Se Unhone Hazrat Abu Salma Bin Abdur Rahmaan Se Suna.
04. Sunan Abu Dawood, Jild : 01, Kitab No 05 Kitab كتاب التطوع, Baab : Fi Salatil Lail, Hadees : 1341
05. Sunan Nasai, Jild : 01, Kitab No 20 Qayaam Al Lail, Baab : Kaifa Witr Bi Salat, Hadees : 1697
Yaha Se Saaf Maloom Huwa K Majority Muhadiseen Ne Is Hadees Ko Tahajuud Hi Bayan Kiya Hai Aur Sharah Me Bhi Wohi Hai Aur Khud Imam Bukhari Bhi Tahazzud Hi Maante The.
Agar Is Namaz Se Murad Taraweeh Hota QASAM ALLAH RABBUL IZZAT Ki Jab Baa Jamat Taraweeh Daur E Umar Bin Khattab Radi Allaho Anho Ne Shuru Karwaayi To Umool Momineen Bolti K Taraweeh 08 Hai Balki Wo Khamosh Rahi Sahaba Ki Majority Ne 20 Padhi Hai Baa Jamaat Padhi Hai Kya Kisi Ko Nahi Samjha K Taraweeh 08 Hai Balki Sabne 20 Hi Likhi Hai Aur Amal 1400 Saal Se Itne Muhadiseen Ne Bayan Kiya Taraweeh K 20 Hone Ki Kya Tamam Musalman Ye Biddati The Aur Tum Padhe Likhe Hogye Ho Akal K Naakhoon Lo Aur Hosh Me Aao Kin Jahilo K Piche Chal Pade Ho
Ab Bhi Koi Aankh Me Patti Bandhe Apni Hi Khud Sakhta Tehqeeq Ko Leke Aage Badhe Apna Dimaag Lagaye Aur Awaam Ko Gumraah Khud Gumraah Ho Aiso Ko Samajhna Chahye K Kaha Jaa Rahe Hai.

Radd # 3

Ab Yeh Padhkar Wahbi Zarur Ba Zarur Nasb Ko Choddege.

Kitab Ka Naam Gunya Tu Talibeen Aur Yeh Kitab Wahbi K Nazdeek Maotbaar B Hai.

Scan Page : 


Is Kitab Ko Urdu Tarjuma Me Karne Wale Ahle Hadees Hafiz Mubashhir Ne Muqaddama Me Safa 19,20 Per Likha Hai.

Scan Page 



Mukhtasar Likhta Hu,

Likhte Hai : Gunya Tu Talibeen Shaikh Abdul Qadir Jeelani Jo 561 Hijri Me Fawth Hue Inhi Ki Kitab Hai. 

“Hafiz Ibn Kaseer Ne B Apni Tarikh Al Bidhaya Jild 12 Safa 252 Me Aur Shaikh Ibn Taymiyah Ne Apne Fatawa Jild 5 Safa 15 May Isey Shaikh Ki Tasneef Tasleem Ki Hai”.

Alhamdulillah Toh Pata Chala Ki Ahle Hadees Wahbi K Nazdeek Yeh Kitab Hazrat Gaus E Paak Ki Hai Aur Yeh Inke Nazdeek Maotbaar Hai.

Yaha Tak K Meraj Rabbani Ne B Ise Apni Taqreer Jiska Naam Hai “Sirat Wa Irshadaat Shaikh Abdul Qadir Jeelani” May K Hazrat Gaus E Paak Ki Kitaab Ko Maotbaar Bataya Hai.

Ab Aaye Isi Wahbiyo K Nazdeek Maotbaar Kitab Me Taraweeh K Mutaliq Kya Likha Hai Isey Padhe.

Isi Kitab K Safa No. 393 Aur 394 Padhe

Scan Page:




Kya Likhte Hai : Namaz Taraweeh Ki Jamat : Jab Ramzan Ka Chand Nazar Aajaye Toh Isi Raat Se Taraweeh Ki Namaz Shuru Kardi Jaye Q K Woh Ramzan Ki Raat Hai.Taraweeh Namaz Isha K Farz Aur Fir Do(2) Sunnate Padhkar Adaa Karni Chahiye Q K Sunnat Tarika Yahi Hai.Taraweeh Ki Bees (20) Rakat Hai Har Do(2) Rakat Per Salam Pheri Jaye . Bees (20) Rakat K 4 Tarawiyah Hai Yaani Har 4 Rakaat Ka 1 Tarwiyah Isliye K Har Tarwiyah K Baad Qadree Tawakkuf Kiya Jaata Hai.

Subhan ALLAH

Ahle Hadees Ko Chahiye Kab 8 Rakat Ko Chodkar 20 Rakat Padhe Q K Gawahi Ab Hazrat Gaus E Paak Abdul Qadir Jeelani De Rahe Hai.

Tamam dalail o radd k baad 1 chiz aur zahen me aati hai k Wahbi ki pesh karda Ahadees me nabi swallallahualaihiwasallam ne sirf 3 din taraweeh padhai aur fir uske baad nahi padhai aur naahi hukum diya, 

Ab sawal Yeh uthta hai k Wahbi is hadees se taraweeh kaise saabit karte hai woh b 30 din jabke Wahbi usool k mutabik kisi per amal karna ho toh hukum ya amal e nabi swallallahualaihiwasallam se sabit hona chahiye warna woh biddat kehlayegi aur aam usool k mutabik agar aimma ka accha amal hai toh woh mustahab kehlayegi lekin sunnat e nabi swallallahualaihiwasallam nahi, 

Phir Yeh Wahbi 30 din tak  8 rakat kis buniyad per padhte hai? ???

Yeh khud apne usool se biddati aur aisey biddati jo jahannam me Le jaaye  ( Shab  e meraj o barat me hungama toh wahbi ka yahi rehta hai k na hukum na amal sabit aur us raat namaz padhne wala biddati o jahannami hai).

Alhamdulillah In Tamam Dalail Aur Radd Se Haq Wazeh Hogaya K Taraweeh Haqeeqat 20 Hai Aur 08 Rakaat Ka Daawah Karne Wale Wahbi Jhutey Hai Makkar Hai.

ALLAH Taala Humsabko Haq Per Amal Karne Ki Taufeeq Ataa Farmaye.

Wama Alayna Illal Balag

-Shaikh Mohammad Imran Saifi.
















































13 comments:

  1. Ye article Jo poore hadees e Mubarak ko ek taraf Karke uspe tehkheek huwi toh Maloom ye huwa namaz e taraweeh 20 rakaat hai hadees Aur buzurgon ke khaul se Mashah Allah bahut accha kaam hai sunni hanafi organisation ka Alhamdulillah mera poora doubt clear hogaya
    Farooq khan razvi Sahab aur deegar tamam ahle sunnat ko bahut bahut shukriya AllAH subhana wa ta'ala ahle sunnat ke ulema ki umar(age) mein barkat de ind Aur ulema e ahle sunnat ke ilm mein barkat dein aur hum sunni musalmano ko gairmukallid Aur tamam fitno se mehfooz rakhein Aameen summah Aameen

    ReplyDelete
  2. Writing with style and getting good compliments on the article is quite hard, to be honest.But you've done it so calmly and with so cool feeling and you've nailed the job. This article is possessed with style and I am giving good compliment. Best! Double Front Doors

    ReplyDelete
  3. This is a fantastic website and I can not recommend you guys enough. women accessories

    ReplyDelete
  4. I feel very grateful that I read this. It is very helpful and very informative and I really learned a lot from it. Adidas

    ReplyDelete
  5. I am overwhelmed by your post with such a nice topic. Usually I visit your blogs and get updated through the information you include but today’s blog would be the most appreciable. Well done! Pi Yao Wealth Bracelet

    ReplyDelete
  6. I have read your article; it is very informative and helpful for me. I admire the valuable information you offer in your articles. Thanks for posting it. jojo's hat

    ReplyDelete
  7. Great survey. I'm sure you're getting a great response. Palm Coast Business Insurance

    ReplyDelete
  8. Thanks for the best blog. it was very useful for me.keep sharing such ideas in the future as well. Click here how to buy xanax online

    ReplyDelete
  9. I'm happy to see the considerable subtle element here!. Supreme clothing

    ReplyDelete
  10. The writer is enthusiastic about purchasing wooden furniture on the web and his exploration about best wooden furniture has brought about the arrangement of this article. Couches

    ReplyDelete
  11. Really nice and interesting post. I was looking for this kind of information and enjoyed reading this one. Publishing

    ReplyDelete
  12. I see some amazingly important and kept up to length of your strength searching for in your on the site Medicare supplements

    ReplyDelete
  13. Thanks for providing recent updates regarding the concern, I look forward to read more. buy handbags online

    ReplyDelete

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers