Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Thursday 25 May 2017

Karamat e Aulia

KARAMAT E AULIYA


MUTTAQI AUR PARSA KO QASRE JANNAT DEDIYA
MAST SARWAR KO DIYA ALLAH NE ROZA TERA

 1
HAZRAT SHAH ABDUL HAQ MUHADDIS DEHLVI LIKHTE HAI “WILAYAT ZILLE NABUWAT HOTA HAI”
HAWALA :
SHARAH FUTUHUL GHAIB SAFA 35

KAISE PEHCHANE WALI KAUN

HADEES # 2

TARJUMA :

“HAZRAT ABDULLAH IBN ABBAS RADIYALLAHU TA’ALA ANHUMA SEY RIWAYAT HEY KE HUZOOR NABI-E-AKRAM SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA AALEHI WA SALLAM SEY AWLIYA ALLAH KEY BAAREY MEY POOCHHA GAYA TO AAP SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA AALEHI WA SALLAM NEY FARMAYA :
WOH LOG (AWLIYA ALLAH HAIN) JINHEY DEYKHNEY SEY ALLAH AZZA WA JALLA YAAD AA JAAYE.”

HAWALA :

[NASA'I AS-SUNAN-UL-KUBRA, JILD :  06  SAFA : 362, HADEES : 11235,
IBN MUBARAK KITAB-UZ-ZUHAD, JILD :  01  SAFA : 72, HADEES : 217,
MAQDASI AL-AHADITH-UL-MUKHTARAH, JILD : 10  SAFA : 108, HADEES : 105,
HAKEEM TIRMIDHI NAWADIR-UL-USUL, JILD :  02  SAFA : 39,
HAYTHAMI MAJMA-UZ-ZAWA'ID, JILD :  10  SAFA : 78.]

HADEES # 3

TARJUMA :

“HAZRAT ABOO HURAIRAH RADIYALLAHU TA’ALA ANHU RIWAYAT KARTEY HAIN KE HUZOOR NABI-E-AKRAM SALLALLAHU TA’ALA TA’ALA ALAIHI WA AALEHI WA SALLAM NEY FARMAYA :
JAB ALLAH TA’ALA KISI BANDEY SEY MUHABBAT KARTA HEY TO HAZRAT JIBRA’IL ALAIHISSALAM KO AAWAAZ DEYTA HEY KE ALLAH TA’ALA FULA’N BANDEY SEY MUHABBAT RAKHTA HEY, LIHAAZA TUM BHI US SEY MUHABBAT KARO PHIR HAZRAT JIBRA’IL ALAIHISSALAM US SEY MUHABBAT KARTA HAIN.
PHIR HAZRAT JIBRA’IL ALAIHISSALAM AASMAANI MAKHLOOQ MEY NIDA (AAWAAZ) DEYTEY HAIN KE ALLAH TA’ALA FULA’N BANDEY SEY MUHABBAT KARTA HEY.
LIHAAZA TUM BHI US SEY MUHABBAT KARO.
PAS AASMAAN WAALEY BHI US SEY MUHABBAT KARNEY LAGTEY HEY.
PHIR ZAMEEN WAALON (KEY DILON) MEY US KI MAQBOOLIYAT RAKH DEE JAATI HEY.”
MUTTAFAQUE ALAYH

HAWALA :

[BUKHARI AS-SHAHIH, JILD : 03 SAFA : 1175, HADEES : 3037, &
JILD 05 SAFA: 2246, HADEES : 5693, &JILD : 06  SAFA : 2721, HADEES : 7047,
MUSLIM AS-SHAHIH, JILD  04  SAFA : 2030, HADEES : 2637,
MALIK AL-MUWATTA, JILD  02  SAFA : 953, HADEES : 1710.]

HADEES # 4

TARJUMA :

“HAZRAT UMAR BIN KHATTAB RADIYALLAHU TA’ALA ANHU SEY RIWAYAT HEY KE HUZOOR NABI-E-AKRAM SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA AALEHI AALEHI WA SALLAM NEY FARMAYA :BESHAK ALLAH TA’ALA KE KUCHH AISEY BARGUZEEDA BANDEY HAIN JO NA AMBIYA KIRAM HAIN NA SHOHADA, QAYAMAT KEY DIN AMBIYA KIRAM ALAIHIMUSSALAM AUR SHOHADA INHEY ALLAH TA’ALA KI TARAF SEY ATA KARDAH MAQAAM DEYKH KAR UN PAR RASHK KAREY GEY.
SAHABA-E-KIRAM RIDWANULLAHI TA’ALA ALAIHIM AJ’MAEEN NEY ARZ KIYA :
YA RASOOLALLAH ﷺ!
AAP HAMEY UN KEY BAAREY MEY BATAAYE KE WOH KAUN HAIN?
AAP SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA AALEHI WA SALLAM NEY FARMAYA :
WOH AISEY LOG HAIN JIN KI AIK DOOSAREY SEY MUHABBAT SIRF ALLAH TA’ALA KI KHAATIR HOTI HEY NA KE RISHTEYDAARI AUR MAALI LEYN-DEYN KI WAZAH SEY.
ALLAH TA’ALA KI QASAM!
UN KEY CHEHREY NOOR HO’N GEY AUR WOH NOOR (KEY MIMBARON) PAR HO’N GEY, UNHEY KOI KHAUF NAHIN HOGA, JAB LOG KHAUF ZADA HO’N GEY UNHEY KOI GAM NAHIN HOGA, JAB LOG GHAMZADA HO’N GEY.
PHIR AAP SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA AALEHI WA SALLAM NEY YEH AAYAT TILAAWAT FARMAYI,
˝KHABARDAAR AWLIYA ALLAH PAR NA KOI KHAUF HEY NA WOH RANJEEDA WA GHAMGEEN HO’N GEY.[YUNUS, 10 : 62]“

HAWALA :

[ABOO DAWOOD AS-SUNAN, JILD : 03  SAFA : 288, HADEES : 3527,
NASA'I AS-SUNAN-UL-KUBRA, JILD : 06  SAFA : 362, HADEES : 11236,
BAYHAQI SHUAB-UL-IMAN, JILD : 06  SAFA : 486, HADEES : 8998.]

HADEES # 5

TARJUMA:

“HAZRAT ABOO HURAIRAH RADIYALLAHU TA’ALA ANHU RIWAYAT KARTEY HAIN KE HUZOOR NABI-E-AKRAM SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA AALEHI WA SALLAM NEY FARMAYA :
ALLAH TA’ALA KEY KUCHH BANDEY AISEY HAIN JO AMBIYA NAHIN LEKIN AMBIYA-E-KIRAM AUR SHOHADA BHI US PAR RASHK KAREY GEY.
ARZ KIYA GAYA :
(YA RASOOLALLAH ﷺ) WOH KAUN LOG HAIN? (HAMEY UN KI SIFAAT BATA’IYE) TAAKE HUM BHI UN SEY MUHABBAT KAREY.
AAP SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA AALEHI WA SALLAM NEY FARMAYA :
WOH AISEY BANDEY HAIN JO AAPAS MEY BAGHAIR KISI QARAABATDARI AUR WAASTEY KEY MAHAZ ALLAH TA’ALA KI KHAATIR MUHABBAT KARTEY HAIN UN KEY CHEHREY POORNOOR HO’N GEY AUR WOH NOOR KEY MIMBARON PAR JALWA AFROZ HO’N GEY.
UNHEY KOI KHAUF NAHIN HOGA, JAB LOG KHAUF ZADA HO’N GEY AUR UNHEY KOI GHAM NA HOGA JAB LOG GHAMZADA HO’N GEY.
PHIR AAP SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA AALEHI WA SALLAM NEY YEH AAYAT TILAAWAT FARMAYI,
“KHABARDAAR BESHAK AWLIYA ALLAH PAR NA KOI KHAUF HEY AUR NA WOH RANJEEDA WA GHAMGEEN HO’N GEY.[YUNUS, 10 : 62]“

HAWALA :

[IBN HIBBAN AS-SHAHIH, JILD :  02  SAFA : 332, HADEES : 573,
ABOO YA'LA AL-MUSNAD, JILD : 10  SAFA : 495, HADEES : 6110,
BAYHAQI SHUAB-UL-IMAN, JILD : 06  SAFA : 485, HADEES : 8997, 8999,
MUNDHIRI AT-TARGHIB WAT-TARHIB, JILD : 04  SAFA : 12, HADEES : 4580.]

HADEES # 6

TARJUMA:

“HAZRAT ASMA BINTE YAJEED RADIYALLAHU TA’ALA ANHA SEY RIWAYAT HEY KE HUZOOR NABI-E-AKRAM SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA AALEHI WA SALLAM KO FARMATEY SUNA KE KYA MEIN TUMHEY TUM MEY SEY SAB SEY BEHTAR LOGON KEY BAAREY MEY KHABAR NA DOO’N, SAHABA KIRAM RIDWANULLAHI TA’ALA ALAIHIM AJ’MAEEN NEY ARZ KIYA :
YA RASOOLALLAH ﷺ!
KYUN NAHIN?
AAP SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA AALEHI WA SALLAM NEY FARMAYA :
TUM MEY SEY BEHTAR LOG WOH HAIN JAB UNHEY DEYKHA JAAYE TO ALLAH YAAD AA JAAYE.”

HAWALA :

[IBN MAJAH AS-SUNAN, 02  SAFA : 1379, HADEES : 4119,
AHMAD BIN HANBAL AL-MUSNAD, 06  SAFA : 459, HADEES : 27640,
BUKHARI AL-ADAB-UL-MUFRAD  SAFA : 119, HADEES : 323,
TABARANI AL-MU'JAM-UL-KABIR, 24  SAFA : 167, HADEES : 423.]

HADEES # 7

TARJUMA:

“HAZRAT AMR BIN HAMIQ RADIYALLAHU TA’ALA ANHU RIWAYAT KARTEY HAIN KE HUZOOR NABI-E-AKRAM SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA AALEHI AALEHI WA SALLAM NEY FARMAYA :
BANDA US WAQT TAK IMAN KI HAQEEQAT KO NAHIN PAA SAKTA JAB TAK KE WOH ALLAH TA’ALA KEY LIYE HEE (KISI SEY) NAARAAZ AUR ALLAH TA’ALA KEY LIYE HEE (KISI SEY) RAAZI NA HO (YA’NI US KI RAZA KA MARKAZO MEHWAR SIRF ZAATEY ELAAHI HO) AUR JAB US NEY YEH KAAM KAR LIYA TO US NEY IMAN KI HAQEEQAT KO PAA LIYA AUR BESHAK MEREY AHBAAB AUR AWLIYA WOH LOG HAIN KE MEREY ZIKR SEY UN KI YAAD AA JAATI HEY AUR UN KEY ZIKR SEY MERI YAAD AA JAATI HEY (YA’NI MEYRA ZIKR UN KA ZIKR HEY AUR UN KA ZIKR MEYRA ZIKR HEY).”

HAWALA :

[TABARANI AL-MU'JAM-UL-AWSAT, JILD :  01  SAFA : 203, HADEES : 651,
AHMAD BIN HANBAL AL-MUSNAD, JILD :  03  SAFA : 430, HADEES : 15634,
IBN ABI DUNIYA KITAB-UL-AWLIYA  SAFA : 15, HADEES : 19,
IBN RAJAB JAMI'-UL-ULOOM WAL-HIKAM, 01  SAFA : 365,
DAYLAMI MUSNAD-UL-FIRDAWS, JILD :  05  SAFA : 152, HADEES : 7789,
MUNDHIRI AT-TARGHIB WAT-TARHIB, JILD :  04  SAFA : 14,
HADEES : 4589,
HAYTHAMI MAJMA-UZ-ZAWA'ID, JILD :  01  SAFA : 58.]

HADEES # 8

TARJUMA:

“HAZRAT ABDULLAH BIN ABBAS RADIYALLAHU TA’ALA ANHUMA SEY RIWAYAT HAIN KE ARZ KIYA GAYA :
YA RASOOLALLAH Sallallahualaihiwasallam
HAMAREY BEHTAREEN HUMNASHEEN KAUN LOG HAIN?
AAP SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA AALEHI WA SALLAM NEY FARMAYA :
AISA HUMNASHEEN JIS KA DEYKHNA TUMHEY ALLAH TA’ALA KI YAAD DILAAYE AUR JIS KI GUFTAGOO TUMHAREY ELM MEY IZAAFA KAREY AUR JIS KA AMAL TUMHEY AAKHIRAT KI YAAD DILAAYE.”

HAWALA :

[ABOO YA'LA AL-MUSNAD, JILD : 04  SAFA  : 326, HADEES : 2437,
ABD BIN HUMAYD AL-MUSNAD, JILD :  01  SAFA : 213, HADEES : 631,
ABOO NU'AYM HILYAT-UL-AWLIYA, JILD : 07  SAFA : 46,
IBN MUBARAK AZ-ZUHAD,JILD :  01  SAFA : 121, HADEES : 355,
IBN ABI DUNIYA KITAB-UL-AWLIYA  SAFA : 17, HADEES : 25,
MUNDHIRI AT-TARGHIB WAT-TARHIB, JILD : 01  SAFA : 63, HADEES : 163,
HINDI KANZ-UL-UMMAL, JILD : 09  SAFA : 28, 37, HADEES : 24764, 24820,
HUSAYNI AL-BAYAN WAT-TA'RIF,JILD :  02  SAFA : 39, HADEES : 994,
ZURQANI AS-SHARH,JILD :  04  SAFA : 553,
MANAWI FAYD-UL-QADIR, JILD : 03  SAFA : 467.]


WILAYAT KI QISME

HADEES # 9

TARJUMA :

HAZRAT ABDULLAH IBN MASOOD RADIALLATAALA ANHU SE RIWAYAT HAI  ALLAH KAY RASUL SALLALLAHUALAIHIWASALLAM NE IRSHAD FARMAYA KAY 40 MERI UMMAT ME WHO LOG HAI JINKE DIL HAZRAT IBRAHIM KAY QALB KAY NICHE HAI AUR FARMAYA JAANTE HO INKI SHAAN KYA HAI KAY ALLAH TAALA INKE TUFAIL TUMSE AZAABO KO DOOR KARDETA HAI AUR JAANLO UNHE JO KAHA JAATI HAI WHO ABDAAL HAI.

HAWALA :

IMAM IBN NUYEM HILYATUL AULIYA
IMAM TABRANI MAJAME KABIR JILS 10 HADEES 1039 SAFA 181.

HADEES # 10

TARJUMA :

HAZRAT SHURI IBN UBAID NE KAHA HAZRAT ALI KAY SAAMNE MULKE SHAM KA ZIKR KIYA GAYA AUR KEHNE WALE NE KAHA AMEERUL MOMINEEN AAP MULK E SHAM PER LAANAT KIJIYE ,HAZRAT ALI NE KAHAME WAHA KAY LIYE BADDUA NAHI KARUGA , KYU , ISLIYE KI MENE MULK E SHAM KAY BARE ME NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM SE SUNA KI WAHA PER ABDAAL RAHA KARTE HAI AUR UNKI TAADAD 40 HAI UN MESE KISI EK KA BHI INTEQAL HOTA HAI TOH ALLAH TAALA USKI JAGAH DUSRA WALI BANA DETA HAI AUR JAANTE HO UNKA MAKAAM KYA HAI,UNKE SADKE ME TUM PER BAARISH FARMATA HAI AUR UNHI KI WAJAH SE TUM DUSHMANO PER FATAH PAATE HO AUR  AHLE SHAAM KAY ABDAALO KAY SABAB SE TUMHARE AZAABO KO TAAL DIYA JAATA HAI.

HAWALA :

MISHKAT SHAREEF JILD 2 HADEES 6015
MUSNAD AHMED JILD 1 SAFA 122
IMAM TABRANI NE MAJAME KABIR JILD SAFA 63

HADEES # 11

TARJUMA:

HAZRAT ABDULLAH IBN UMAR RADIALLATAALA ANHU SE RIWAYAT HAI NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM NE IRSHAD FARMAYA KAY LOGO ALLAH KAY KUCH KHAS BANDE HAI JI ALLAH NE KISI KHAS MAQSAD SE PAIDA KIYA KAY LOGO KI ZARURAT TAAKI WHO PURI KARE ,FARMAYA JAB LOG APNI HAAJAT ,TAKLIFE LE JAATE HAI TAB ALLAH UNKE SABAB SE UNKE DUA SE WHO TAKLIFE DOOR KARDETA HAI AUR WHO LOG WHO HAI JINKE SABAB SE TUMSE AZAAB DOOR KARDIYA JAATA HAI.

HAWALA :

IMAM ABU NUYEM HILYATUL AULIYA JILD 3 HADEES 308 SAFA 225
IMAM TABRANI NE MAJAME KABIR.

HADEES # 12

AULIYA SE QURB

“KARAMAT E AULIYA” IS KO CHAAPNE WALE KHUD DEOBANDI HAI AUR ISKA URDU TARJUMA KIYA HAI MOLANA IMDADULLAH SAHAB USTAD JAAME ASHRAFIYAT LAHORE
YEH KITAB IMAM YAAFI KI HAI ARABIC ME (TARJUMA : RUDOOR RIYAHEEN) SAFA 39

HAZRAT HASAN BASRI E MARWI HAI KI NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM NE IRSHAD FARMAYA FUQHRA SE JAAN PEHCHAN ZYADA RAKHA KARO ,ARZ KIYA YA RASUL ALLAH INKI JAAN PEHCHAN SE KYA FAYDA HAI,FARMAYA JAB QAYAMAT KA DIN HOGA UNSE KAHA JAYEGA JISNE TUMHE EK ROTI KA BHI TUKDA KHILAYA HAI YA EK GHUTT PAANI BHI PILAYA HAI USE TALASH KARO AUR USE JANNAT ME LEKAR CHALE JAO.

HADEES # 13

HAZRAT ANAS BIN MALIK RIWAYAT KARTE HAI NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM NE IRSHAD FARMAYA AULIYA ALLAH SE APNI JAAN PEHCHAAN RAKHA KARO UNSE QAREEB HOJAYA KARO JIS WALI SE TUUM QURB HAASIL KAROGE WHO ALLAH KA WALI ROZ E QAYAMAT TUMHARI SHAFAT KAREGA.

HAWALA :

IMAM DAILMEE NE MUSANAD UL FIRDOUS JILD 1 HADEES 2051 SAFA 81

HADEES # 14

TARJUMA:

HAZRAT AISHA RADIALLATAALA ANHA SE RIWAYAT HAI NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM NE FARMAYA YA SUNA KAY ALLAH NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM JAB KISI MARIZ O DEKHNE JAATE TOH YEH FARMAATE “BESHAK HUMARI ZAMEEN(MADINA) KI MITTI ME ALLAH NE SHIFA RAKHI HAI AUR MERI UMMAT KAY BAAZ LOG AISI HAI JINKE THUK(LUAB) ME BHI ALLAH NE SHIFA RAKHI HAI.

HAWALA :

BUKHARI JILD 2 KITABUT TIB HADEES 696
MUSLIM SHAREEF KITABUS SALAM
ABU DAWUD KITABUT TIB
IBN MAJAH KITABUT TIB
MUSANAD E IMAM AHMED JILD 6 SAFA 93

HADEES # 15

AHLE HADEES KAY MAULVI ARMAAN SARHINDI SAHAB JISNE HAZRAT GAUS E PAAK KI KITAB GUNYATUT TALIBEEN KA TARJUMA KIYA HAI USME LIKHTA HAI KI FUTUHUL GHAIB HAZRAT GAUS E PAAK KI MUSTANAD TAREEN KITAAB HAI AUR YEH WHO KITAB HAI JISE AAPNE MOHABBAT E ILAAHI ME DOOBKAR LIKHI HAI.

FUTHUL GHAIB MAQALA NO. 16

“ALLAH TAALA NE APNI BAAZ KITABI ME FARMAYA “A FARZANDE AADAM ME ALLAH HU,MERE SIWA KOI MAABUD NAHI ME JIS CHIZ KO HUKUM DETA HU “HOJA” WHO YAQEENAN HOJATI HAI PAS TOH MERI ITAAT IKHTIYAR KAR PHIR ME TUJHE BHI AISA BANA DUGA KAY TU JIS CHIZ KO HUKUM DEGA “HOJA” WHO HOJAYEGI AUR AZAAN E ILAAHI SE ALIME WAJUD ME AAYEGE AUR BILSHUBA ALLAH TAALA NE APNE AMBIYA,SIDDIQUEEN,AULIYA AUR KHAS E BANI AADAM KO AISE HI ROOHANI QUWATO’N KA HAALA BANAYA HAI.

SCAN PAGE :




AULIYA SE DUSHMANI ALLAH TAALA SE JUNG KARNA HAI

HADEES # 16

“HAZRAT ABOO HURAIRAH RADIYALLAHU TA’ALA ANHU SEY RIWAYAT HEY KE HUZOOR NABI-E-AKRAM SALLALLAHU TA’ALA TA’ALA ALAIHI WA AALEHI WA SALLAM NEY FARMAYA :
ALLAH TA’ALA FARMATA HEY :
JO MEREY KISI WALI SEY DUSHMANI RAKHEY MEY US SEY ELAANE JUNG KARTA HOO’N AUR MEYRA BANDA AISEE KISI CHEEZ KEY ZARIYE MEYRA QURB NAHIN PAATA JO MUJHEY FARZON SEY ZYADA MEHBOOB HO AUR MEYRA BANDA NAFLI IBADAT KEY ZARIYE BARAABAR MEYRA QURB HAASIL KARTA RAHTA HEY.
YAHAN TAK KE MEIN US SEY MUHABBAT KARNEY LAGTA HOO’N AUR JAB MEIN US SEY MUHABBAT KARTA HOO’N TO MEIN US KA KAAN BAN JAATA HOO’N JIS SEY WOH SUNTA HEY AUR US KI AANKH BAN JAATA HOO’N JIS SEY WOH DEYKHTA HEY AUR US KA HAATH BAN JAATA HOO’N JIS SEY WOH PAKARTA HEY AUR US KA PAANW BAN JAATA HOO’N JIS SEY WOH CHALTA HEY.
AGAR WOH MUJH SEY SAWAL KARTA HEY TO MEIN USEY ZAROOR ATA KARTA HOO’N AUR AGAR WOH MERI PANAAH MAANGTA HEY TO MEIN ZAROOR USEY PANAAH DEYTA HOO’N.
MEIN NEY JO KAAM KARNA HOTA HEY US MEY KABHI IS TARAH MUTARDID (FIKRAMAND) NAHIN HOTA JAISEY BANDA-E-MOMIN KEY JAAN LENEY MEY HOTA HOO’N, USEY MOWT PASAND NAHI AUR MUJHEY US KI TAKLEEF PASAND NAHIN.”

رواه البخاري.
-
[BUKHARI AS-SHAHIH, JILD : 05  SAFA : 2384, HADEES : 6137,
IBN HIBBAN AS-SHAHIH, JILD : 02  SAFA : 58, HADEES : 347,
BAYHAQI AS-SUNAN-UL-KUBRA, JILD : 10  SAFA : 219, BAAB(60),KITAB-UZ-ZUHAD AL-KABIR, JILD : 02  SAFA : 269, HADEES : 696.]

AWLIYA AUR SALEHEEN RADIYALLAHU TA’ALA ANHUM AJ’MAEEN KI KARAMAT KA BAYAN

HADEES # 17

TARJUMA :

“HUZOOR NABI-E-AKRAM SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA AALEHI WA SALLAM KI ZAWZAMUBARAKA HAZRAT AAISHA SIDDIQUA RADIYALLAHU TA’ALA ANHA BAYAN KARTI HAIN KI HAZRAT ABOO BAKAR SIDDIQUE RADIYALLAHU TA’ALA ANHU GAABA (NAAMI WAADI) ME UNHEIN KHAJOOOR KE CHAND DARAKHT HIBA KIYE JIN ME SE BEES WASAQ KHAJOOREIN AATI THI.
JAB HAZRAT ABOO BAKAR SIDDIQUE RADIYALLAHU TA’ALA ANHU KI WAFAAT KA WAQT QAREEB AAYA TO UNHONE FARMAYA :
AYE MERI PYARI BETI!
AISA DOOSARA KOI NAHIN JIS KA APNE BAAD GHANI HONA MUJHE TUM SE ZYADA PASAND HO AUR APNE BAAD MUJHE KISI MUFLISI ZYADA GARA’N NAHIN.
MEIN NE TUMHEIN KUCHH DARAKHT DIYE THEY JIN SE BEES WASAK KHAJOOREIN AATI THI AGAR TUMNE UN PAR QABJA KIYA HOTA TO WOH TUMHARE HO JAATE.
AB WOH MIRAAS KA MAAL HAI AUR TUMHARE DO² BHAI AUR DO² BEHNEIN HAIN.
SO SAARE MAAL KO ALLAH KI KITAAB (KE HUKM) KE MUTABIK TAQSEEM KAR LENA.
HAZRAT AAISHA RADIYALLAHU TA’ALA ANHA FARMATI HAIN :
MEIN NE ARZ KIYA :
ABBA JAAN!
MAAL KHWAAH KITNA HEE ZYADA HOTA MEIN CHHOD DETI LEKIN MERI BAHEN TO SIRF HAZRAT ASMA HAIN DOOSARI KAUN HAI?
HAZRAT ABOO BAKAR RADIYALLAHU TA’ALA ANHU NE FARMAYA WOH BINTE KHAARIJA KE PET ME HAI AUR MERE KHAYAAL ME WOH LADAKI HAI PHIR UNHONE UMME KULSOOM (NAAMI) BETI KO JANM DIYA.”
-
( MALIK AL-MUWATTA, JILD 02 SAFA : 752, HADEES-1438)
(BAYHAQI AS-SUNAN-UL-KUBRA, JILD 06 SAFA 169, HADEES-11728, 12268)
(TAHAWI SHARH MA'ANI AL-AATHAR, JILD : 04 SAFA: SAFA 88)
(LALKA'I KARAMAT-UL-AWLIYA', 01 SAFA:177, HADEES-62,
ASQALANI AL-ISABAH, 07 SAFA:575, HADEES-11023,
NAWAWI TAHDHIB-UL-ASMA', 02 SAFA:574, HADEES-1030, 1239,
ZAYLA'I NASAB-UR-RAYAH, 04 SAFA:122,
ABOO JA'FAR AT-TABARI AR-RIYADH-UN-NADHIRAH, 02 SAFA:123, 257,
IBN SA'D AT-TABQAT-UL-KUBRA, 03 SAFA:194.]

HADEES # 18

TARJUMA :

“HAZRAT ABD-UR-RAHMAN BIN ABOO BAKAR RADIYALLAHU TA’ALA ANHU SE AIK TAWEEL WAAQIYE ME MARWI HAI KI AIK MARTABA HAZRAT ABOO BAKAR SIDDIQUE RADIYALLAHU TA’ALA ANHU NE SAHABA KIRAM (ASHABE SUFFA) RIDWANULLAHI TA’ALA ALAIHIM AJ’MAEEN KI DAAWAT KI (AUR UN KE SAATH) AAP NE KHUD BHI KHAANA KHAAYA AUR DOOSARON NE BHI.
HAR LUQMA UTHAANE KE BAAD KHAANA PEHLE SE BHI ZYAADA BADH JAATA.
SAYYADANA SIDDIQUE AKBAR RADIYALLAHU TA’ALA ANHU NE APNI BEEWI SE (JO BANI FARAAS KE QABEELE SE THI) FARMAYA :
AYE HAMSHEERA BANI FAARAS!
YEH KYA MAAMALA HAI?
UNHONE ARZ KIYA :
AYE MERI AANKHON KI THANDAK (MERE SARTAAJ) IS WAQT TO YEH KHAANA PEHLE SE TEEN GUNA JYAADA HAI CHUNANCHE UN SAB SAHABA NE BHI KHOOB KHAAYA AUR HUZOOR NABI-E-AKRAM SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA AALEHI WA SALLAM KI KHIDMATE AQDAS ME BHI RAWAANA KIYA, NABI-E-AKRAM SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA AALEHI WA SALLAM NE BHI TANAAWUL FARMAYA.”
MUTTAFAQUE ALAYH
-
(BUKHARI AS-SAHIH, JILD 01 SAFA : 216, HADEES-577, &
JILD 03 SAFA : 1312, HADEES-3388,)
(MUSLIM AS-SAHIH, 03 SAFA:1627, HADEES-2057)
(BAZZAR AL-MUSNAD, JILD 06 SAFA : 228, HADEES-2263,
AHMAD BIN HANBAL AL-MUSNAD, 01 SAFA:197, HADEES-1702, 1712)

HADEES # 19

TARJUMA :

“HAZRAT ABDULLAH UMAR RADIYALLAHU TA’ALA ANHUMA NE SE MARWI HAI KI MEIN NE HAZRAT UMAR RADIYALLAHU TA’ALA ANHU SE KOI AISEE BAAT NAHIN SUNI JIS KE MUT’ALLIQ UNHONE FARMAYA HO KI MERE KHAYAAL ME YEH IS TAREH HAI AUR WOH UN KE KHAYAAL KE MUTAABIK NA NIKLI HO.”

(BUKHARI AS-SAHIH, JILD 03 SAFA:1403, HADEES-3653,
HAKIM AL-MUSTADRAK, JILD 03 SAFA:94, HADEES-4503,
LALKA'I KARAMAT-UL-AWLIYA', JILD 01 SAFA:119, HADEES-65,
NAWAWI RIYAD-US-SALEHEEN, 01 SAFA:568, HADEES-1510.]

HADEES # 20

TARJUMA :

“HAZRAT ABOO HURAIRAH RADIYALLAHU TA’ALA ANHU SE RIWAYAT HAI KI HUZOOR NABI-E-AKRAM SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA AALEHI WA SALLAM NE FARMAYA :
PEHLI UMMATON ME AISE LOG THEY JIN KE DIL ME ALLAH TA’ALA KI TARAF SE BAATEIN ILQA KI JAATI (GHAIB SE DIL ME DAALI JAATI) THI (YA’NI UNHEIN ILHAAM HOTA THA) AUR MERI UMMAT ME AGAR KOI AISA SHAKHS HAI TO WOH UMAR HAI.”
“AUR HAZRAT ABOO SAEED KHUDARI RADIYALLAHU TA’ALA ANHU SE MARWI RIWAYAT ME BAYAN KIYA KI SAHABA KIRAM RIDWANULLAHI TA’ALA ALAIHIM AJ’MAEEN NE POOCHHA (YA RASOOLALLAH ﷺ !) IS ILHAAM KI KAIFIYAT KYA HOTI HAI?
HUZOOR NABI-E-AKRAM SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA AALEHI WA SALLAM NE FARMAYA :
US KI ZUBAAN PAR FARISHE BOLTE HAIN.”
-
(BUKHARI AS-SAHIH, 03 SAFA:1349, HADEES-3486, &
03 SAFA:1279, HADEES-3282,
MUSLIM AS-SAHIH, 04 SAFA:1864, HADEES-2398,
TIRMIDHI AS-SUNAN, 05 SAFA:622, HADEES-3693,
IBN HIBBAN AS-SAHIH, 15 SAFA:317, HADEES-6894,
HAKIM AL-MUSTADRAK, 03 SAFA:92, HADEES-4499,

وقال : هذا حديث صحيح الإسناد ،

AHMAD BIN HANBAL AL-MUSNAD, 06 SAFA:55, HADEES-24330,
BAYHAQI SHUAB-UL-IMAN, 05 SAFA:48, HADEES-5734,
TABARANI AL-MU'JAM-UL-AWSAT, 07 SAFA:18, HADEES-6726,
DAYLAMI MUSNAD-UL-FIRDAWS, 03 SAFA:278, HADEES-4839,
IBN RAHAWAYH AL-MUSNAD, 02 SAFA:479, HADEES-1058,
HAKEEM TIRMIDHI NAWADIR-UL-USUL, 03 SAFA:138,
NAWAWI RIYAD-US-SALEHEEN, 01 SAFA:564, HADEES-1504,
HAYTHAMI MAJMA‘-UZ-ZAWA'ID, 09 SAFA:69,
BAYHAQI AL-I'TIQAD, 01 SAFA:315,
ASQALANI FAT'H-UL-BARI, 06 SAFA:50,
MUBARAKPURI TUHFAT-UL-AHWADHI, 10 SAFA:125.]

HADEES # 21

TARJUMA:
“HAZRAT AAISHA SIDDIQUA RADIYALLAHU TA’ALA ANHA SE MARWI HAI KI HUZOOR NABI-E-AKRAM SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA AALEHI WA SALLAM NE FARMAYA :
MEIN JINNAAT WA INSAANON KE SHAYAATIN KO DEKHTA HOO’N KI WOH UMAR KE KHAUF SE BHAAG GAYE HAIN AUR AIK RIWAYAT ME FARMAYA :
AYE UMAR!
TUM SE SHAITAAN DARTA HAI.”
-
(TIRMIDHI AS-SUNAN, 05 SAFA:621, HADEES-3690, 3691,
NASA'I AS-SUNAN-UL-KUBRA, 05 SAFA:309, HADEES-5957,
AHMAD BIN HANBAL AL-MUSNAD, 05 SAFA:353, HADEES-23039, &
01 SAFA:333, HADEES-480,
IBN HIBBAN AS-SAHIH, 10 SAFA:231, HADEES-4386,
BAYHAQI AS-SUNAN-UL-KUBRA, 10 SAFA:77.]

HADEES # 22

TARJUMA:

“HAZRAT ABDULLAH BIN UMAR RADIYALLAHU TA’ALA ANHUMA SE MARWI HAI KI HAZRAT UMAR RADIYALLAHU TA’ALA ANHU NE AIK LASHKAR LASHKAR RAWANA FARMAYA AUR US KA SAALAAR AIK SHAKHS KO MUKARRAR KIYA JIS KA NAAM SAAROYA THA.
AIK DIN AAP KHUTBA DE RAHE THE KI ACHAANAK DAURAANE KHUTBA PUKAARA:
AYE SAARIYA PAHAAD KI OT LO.
(JUNG KE BAAD) LASHKAR SE AIK QAASID AAYA AUR KEHNE LAGA :
AYE AMEER-UL-MOMINEEN HUM DUSHMAN SE LAD RAHE THEY AUR QAREEB THA KI WOH HAMEIN SHIKAST DE DE PHIR ACHANAK KISI PUKAARNE WAALE NE PUKAARA :
AYE SAARIYA PAHAAD KI OT LO HUM NE APNI PEETHEY PAHAAD KI TARAF KAR LEE TO ALLAH TA’ALA NE UNHEIN SHIKAST AUR HAMEIN FATEH ATA KI.”
-
(AHMAD BIN HANBAL AL-MUSNAD, 01 SAFA:219, HADEES-355,
BAYHAQI DALA'IL-UN-NUBUWWAH, 06 SAFA:370, &
AL-I'TIQAD, 01 SAFA:314,
ABOO NU'AYM DALA'IL-UN-NUBUWWAH, 03 SAFA:210, 211,
KHATIB TABRIZI MISHKAT-UL-MASABIH, 02 SAFA:410,
HADEES-5954,
RAZI AT-TAFSIR-UL-KABIR, 21 SAFA:87.]

HADEES # 23

TARJUMA:

“HAZRAT QAIS BIN HAZZAJ RIWAYAT KARTE HAIN US SE JIS NE UNHEIN BATAAYA KI MISR FATEH HONE KE BAAD AHLE MISR (GOVERNOR MISR) HAZRAT AMR BIN AAS RADIYALLAHU TA’ALA ANHU KI KHIDMAT ME HAAZIR HUWE JAB AJAMEE MAHINA BOONA SHURU HUWA.
AUR ARZ KIYA :
AYE AMEER!
HAMARE IS DARIYA-E-NEEL KA AIK MAAMOOL HAI JIS KI TAAMEEL KE BAGHAIR US ME RAWAANI NAHIN AATI.
HAZRAT AMR BIN AAS RADIYALLAHU TA’ALA ANHU NE FARMAYA :
BATAAWO WOH KYA MAAMOOL HAI.
UN LOGON NE JAWAAB DIYA :
JAB US MAHINE BAARAH TAARIKH AATI HAI TO HUM AIK KUNWAARI LADAKI US KE WAALIDAIN KI RAZAMANDI SE HAASIL KARTE HAIN AUR PHIR USE UMDA SE UMDA ZEWRAAT AUR KAPADE PEHNA KAR DARIYA-E-NEEL KI NAZAR KAR DETE HAIN HAZRAT AMR BIN AAS RADIYALLAHU TA’ALA ANHU NE FARMAYA :
YEH SAB ISLAM ME NAHIN HOGA.
ISLAM ZAMANA-E-JAHILIYAT KI TAMAM (BEHUDA) RASMON KO KHATM KARTA HAI.
(RAAWI NE) KAHA :
AHLE MISR BOONA, AUR MISRI TEEN MAAH TAK IS HUKM PAR QAAYAM RAHE NEEL KI RAWAANI ROOKI RAHI PAANI KA QATRA NA RAHA.
DARIYA-E-NEEL KI RAWAANI KO BAND DEKH KAR LOGON NE TARKE WATAN KA IRAADA KIYA.
HAZRAT AMR BIN AAS RADIYALLAHU TA’ALA ANHU NE TAMAAM HAALAAT KI AMEER-UL-MOMINEEN HAZRAT UMAR BIN KHATTAB RADIYALLAHU TA’ALA ANHU KO ITTILA DEE.
HAZRAT UMAR RADIYALLAHU TA’ALA ANHU NE JAWAB ME LIKHA KI AYE AMR BIN AAS TUM NE JO KUCHH KIYA DURAST KIYA ISLAM NE SAABIKA (BEHUDA) RUSOOM KO JAD SE UKHAAD PHAINKA HAI.
MEIN APNE IS KHAT KE AMDAR AIK RUQ’AA BHEJ BHEJ RAHA HOO’N USE DARIYA-E-NEEL ME DAAL DENA.
BAS JAB HAZRAT UMAR FARUQ RADIYALLAHU TA’ALA ANHU KA KHAT HAZRAT AMR BIN AAS RADIYALLAHU TA’ALA ANHU TAK PAHUNCHA TO UNHONE US KHAT KO KHOLA TO US ME DARJ ZEL IBAARAT THI :
˝ALLAH TA’ALA KE BANDE AMEER-UL-MOMINEEN UMAR KI TARAF SE MISR KE DARIYA-E-NEEL KE NAAM.
HAMDO SALAAT KE BAAD (AYE DARIYA) AGAR TOO APNI MARZI SE BEHTA HAI TO BEH.
AUR AGAR ALLAH WAAHID WA QAHHAAR HEE TUJHE RAWA’N KARTA HAI TO HUM KHUDAWANDE WAAHID WA QAHHAAR SE SAWAAL KARTE HAIN KI WOH TUJHE JAARI KAR DE.
CHUNANCHE AMR BIN AAS RADIYALLAHU TA’ALA ANHU NE WOH RUQ’AA DARIYA-E-NEEL ME DAAL DIYA.
JAB RUQ’AA DAALA HAFTE KE DEEN SUB’H LOGON NE DEKHA KI AIK RAAT ME ALLAH TA’ALA NE SOLAH HAATH (PEHLE SE BHI) OONCHA PAANI DARIYA-E-NEEL NE JAARI FARMA KAR AHLE MISR SE USEE DIN SE AAJ TAK IS QADEEM ZAALIMAANA RASM KO HAMESHA KE LIYE KHATM FARMA DIYA.”

رواه اللالكائ والقرطبي وابن كثير وأبو الشيخ في كتاب العظمة.
-
(LALKA'I KARAMAT-UL-AWLIYA', 01 SAFA:119, HADEES-66,
QURTABI AL-JAMI' LI-AHKAM-UL-QUR'AN, 13 SAFA:103,
IBN KATHIR TAFSIR-UL-QUR'AN AL-AZIM,03 SAFA:465,
RAZI TAFSIR-UL-KABIR, 21 SAFA:88,
HAMAWI MU'JAM-UL-BULDAN, 05 SAFA:335.]

HADEES # 24

TAJUMA:

“HAZRAT IMAM MALIK RADIYALLAHU TA’ALA ANHU SE AIK TAWEEL RIWAYAT ME MARWI HAI FARMATE HAIN KI HAZRAT USMAN RADIYALLAHU TA’ALA ANHU KO SHAHEED KIYA GAYA AUR DARWAJE PAR HEE UN KA SARE MUBARAK PUKAAR RAHA THA :
MUJHE DAFAN KARO.
CHUNANCHE UN KE SAATHI UN KI NA’SH MUBARAK (JANAAZE) KO BAAGHE KAWKAB ME LE GAYE JAHA’N UNHONE AAP KI TADFEEN KI.”
-
(TABARANI MU'JAM-UL-KABIR, 01 SAFA:78, HADEES-109,
IBN ASAKIR TARIKH DIMASHQ AL-KABIR, 39 SAFA:532,
HAYTHAMI MAJMA‘-UZ-ZAWA'ID, 09 SAFA:95,
IBN ABD-UL-BARR AL-ISTI'AB, 03 SAFA:1047,
IBN SA'D AT-TABQAT-UL-KUBRA, 03 SAFA:77,
MIZZI TADHIB-UL-KAMAL, 19 SAFA:457,
ASQALANI TALKHIS-UL-HUBAYR, 02 SAFA:145.]

HADEES # 25

TARJUMA:

“HAZRAT IMAM MALIK RADIYALLAHU TA’ALA ANHU SE MARWI HAI KI HAZRAT USMAN RADIYALLAHU TA’ALA ANHU BAAGHE KAWKAB KE PAAS SE GUZARTE TO FARMATE KI YAHA’N AIK NEK INSAN DAFAN KIYA JAAYEGA (CHUNANCHE WOH KHUD USEE JAGEH DAFAN KI GAYE).”
-
(TABARANI MU'JAM-UL-KABIR, 01 SAFA:78, HADEES-109,
IBN ASAKIR TARIKH DIMASHQ AL-KABIR, 39 SAFA:532,
HAYTHAMI MAJMA‘-UZ-ZAWA'ID, 09 SAFA:95,
IBN ABD-UL-BARR AL-ISTI'AB, 03 SAFA:1047,
IBN SA'D AT-TABQAT-UL-KUBRA, 03 SAFA:77,
MIZZI TAHDHIB-UL-KAMAL, 19 SAFA:457.]

HADEES # 26

TARJUMA:

“HAZRAT ABDULLAH BIN UMAR RADIYALLAHU TA’ALA ANHUMA RIWAYAT KARTE HAIN KI HAZRAT USMAN RADIYALLAHU TA’ALA ANHU NE (APNI SHAHADAT KE DIN) SUB’H HUWI TO FARMAYA :
MEIN NE RAAT KO DEKHA KI HUZOOR NABI-E-AKRAM SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA AALEHI WA SALLAM NE FARMAYA :
AYE USMAN!
AAJ KA ROZA TUM HAMARE PAAS IFTAAR KARO.
SO US DIN HAZRAT USMAN RADIYALLAHU TA’ALA ANHU NE ROZA RAKHA AUR USEE DIN UNHEIN SHAHEED KAR DIYA GAYA.”

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد.
-
(HAKIM AL-MUSTADRAK, 03 SAFA:110, HADEES-4554,
IBN ABI SHAYBAH AL-MUSANNAF, 06 SAFA:181, HADEES-30510, 30511, &
07 SAFA:442, HADEES-37085,
HAYTHAMI MAJMA‘-UZ-ZAWA'ID, 07 SAFA:232,
IBN SA'D AT-TABQAT-UL-KUBRA, 03 SAFA:74,
IBN HAYYAN TABQAT-UL-MUHADDITHIN BEASBAHAN, 02 SAFA:98, HADEES-182,
IBN ASAKIR TARIKH DIMASHQ AL-KABIR, 39, 384.]
HADI “AIK RIWAYAT ME HAZRAT USMAN RADIYALLAHU TA’ALA ANHU KI JAWZA MOHTARAM SE MARWI HAI KI HAZRAT USMAN RADIYALLAHU TA’ALA ANHU NE FARMAYA :
MEIN NE HUZOOR NABI-E-AKRAM SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA AALEHI WA SALLAM AUR HAZRAT ABOO BAKAR AUR UMAR RADIYALLAHU TA’ALA ANHUMA KO DEKHA WOH SAB MUJHE KEH RAHE THEY (AYE USMAN!) AAJ RAAT TUMHARI IFTARI HAMARE SAATH HAI.”
-
(HAKIM AL-MUSTADRAK, 03 SAFA:110, HADEES-4554,
IBN ABI SHAYBAH AL-MUSANNAF, 06 SAFA:181, HADEES-30510, 30511, &
07 SAFA:442, HADEES-37085,
HAYTHAMI MAJMA‘-UZ-ZAWA'ID, 07 SAFA:232,
IBN SA'D AT-TABQAT-UL-KUBRA, 03 SAFA:74,
IBN HAYYAN TABQAT-UL-MUHADDITHIN BEASBAHAN, 02 SAFA:98, HADEES-182,
IBN ASAKIR TARIKH DIMASHQ AL-KABIR, 39, 384.]

HADEES # 27

TARJUMA:

“HAZRAT SULAIMAN BIN YASAR RADIYALLAHU TA’ALA ANHU SE MARWI HAI KI JAHJAAH AL GHAFAARI NE HAZRAT USMAN RADIYALLAHU TA’ALA ANHU KA ASA JIS PAR TEK LAGAATE THEY APNE GHUTANE PAR RAKH KAR (GUSTAKHI KE SAATH) TOD DIYA TO US KE GHUTANE PAR FODA NIKAL AAYA.”
-
(IBN ASAKIR TARIKH DIMASHQ AL-KABIR, 39 SAFA:329,
LALKA'I KARAMAT-UL-AWLIYA', 01 SAFA:124, HADEES-70,
IBN ABD-UL-BARR AL-ISTI'AB, 01 SAFA:269,
RAZI AT-TAFSIR-UL-KABIR, 21 SAFA:88.]

HADEES # 28

TARJUMA:

“HAZRAT ABOO RAFE’ RADIYALLAHU TA’ALA ANHU JO HUZOOR NABI-E-AKRAM SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA AALEHI WA SALLAM KE AAZAAD KARDAH GHULAAM THEY RIWAYAT FARMATE HAIN KI JAB HUZOOR NABI-E-AKRAM SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA AALEHI WA SALLAM NE HAZRATE ALI KARRAMALLAHU TA’ALA WAJ’HAHUL KAREEM KO APNA JHANDA DE KAR KHAIBAR KI TARAF RAWAANA KIYA TO HUM BHI UN KE SAATH THEY JAB HUM QILA-E-KHAIBAR KE PAAS PAHUNCHE JO MADINAH MUNAWWARAH KE QAREEB HAI TO KHAIBAR WAALE ACHAANAK HAZRAT ALI KARRAMALLAHU TA’ALA WAJ’HAHUL KAREEM PAR TOOT PADE AAP BEMISAAL BAHAADURI KA MUJAAHIRA KAR RAHE THEY KI ACHAANAK UN PAR AIK YAHOODI NE CHOT KAR KE UN KE HAATH SE DHAAL GIRA DEE.
US PAR HAZRAT ALI KARRAMALLAHU TA’ALA WAJ’HAHUL KAREEM NE QILE KA AIK DARWAAZA UKHED KAR APNI DHAAL BANA LIYA AUR USE DHAAL KI HAISIYAT SE APNE HAATH ME LIYE JUNG ME SHAREEK RAHE.
BIL AAKHIR DUSHMANON PAR FATEH HAASIL HO JAANE KE BAAD US DHAAL NUMA DARWAAJE KO APNE HAATH SE PHAINK DIYA US SAFAR ME MERE SAATH SAAT AADAMI OUR BHI THEY AUR HUM AATH KE AATH MIL KAR US DARWAAZE KO ULATNE KI KOSHIS KARTE RAHE LEKIN HUM WOH DARWAZA (JISE HAZRAT ALI KARRAMALLAHU TA’ALA WAJ’HAHUL KAREEM NE TANHA UKHEDA THA) NA ULAT SAKE.”
-
(AHMAD BIN HANBAL AL-MUSNAD, 06 SAFA:08, HADEES-23909,
HAYTHAMI MAJMA‘-UZ-ZAWA'ID, 06 SAFA:152,
TABARI TARIKH-UL-UMAM WAL-MULUK, 02137,
IBN HISHAM SIRAT-UN-NABAWIYYAH, 04 SAFA:306.]

HADEES # 29

TARJUMA:

“HAZRAT ABOO RAFE’ RADIYALLAHU TA’ALA ANHU JO HUZOOR NABI-E-AKRAM SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA AALEHI WA SALLAM KE AAZAAD KARDAH GHULAAM THEY RIWAYAT FARMATE HAIN KI JAB HUZOOR NABI-E-AKRAM SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA AALEHI WA SALLAM NE HAZRATE ALI KARRAMALLAHU TA’ALA WAJ’HAHUL KAREEM KO APNA JHANDA DE KAR KHAIBAR KI TARAF RAWAANA KIYA TO HUM BHI UN KE SAATH THEY JAB HUM QILA-E-KHAIBAR KE PAAS PAHUNCHE JO MADINAH MUNAWWARAH KE QAREEB HAI TO KHAIBAR WAALE ACHAANAK HAZRAT ALI KARRAMALLAHU TA’ALA WAJ’HAHUL KAREEM PAR TOOT PADE AAP BEMISAAL BAHAADURI KA MUJAAHIRA KAR RAHE THEY KI ACHAANAK UN PAR AIK YAHOODI NE CHOT KAR KE UN KE HAATH SE DHAAL GIRA DEE.
US PAR HAZRAT ALI KARRAMALLAHU TA’ALA WAJ’HAHUL KAREEM NE QILE KA AIK DARWAAZA UKHED KAR APNI DHAAL BANA LIYA AUR USE DHAAL KI HAISIYAT SE APNE HAATH ME LIYE JUNG ME SHAREEK RAHE.
BIL AAKHIR DUSHMANON PAR FATEH HAASIL HO JAANE KE BAAD US DHAAL NUMA DARWAAJE KO APNE HAATH SE PHAINK DIYA US SAFAR ME MERE SAATH SAAT AADAMI OUR BHI THEY AUR HUM AATH KE AATH MIL KAR US DARWAAZE KO ULATNE KI KOSHIS KARTE RAHE LEKIN HUM WOH DARWAZA (JISE HAZRAT ALI KARRAMALLAHU TA’ALA WAJ’HAHUL KAREEM NE TANHA UKHEDA THA) NA ULAT SAKE.”

AHMAD BIN HANBAL AL-MUSNAD, 06 SAFA:08, HADEES-23909,
HAYTHAMI MAJMA‘-UZ-ZAWA'ID, 06 SAFA:152,
TABARI TARIKH-UL-UMAM WAL-MULUK, 02137,
IBN HISHAM SIRAT-UN-NABAWIYYAH, 04 SAFA:306.]
HADEES #30
TARJUMA:
 “HAZRAT ZAADAAN RADIYALLAHU TA’ALA ANHU SE RIWAYAT HAI KI HAZRAT ALI KARRAMALLAHU TA’ALA WAJ’HAHUL KAREEM NE GUFTAGOO FARMAYI TO AIK SHALHS NE UNHEIN JHUTHLAAYA US PAR HAZRAT ALI KARRAMALLAHU TA’ALA WAJ’HAHUL KAREEM NE FARMAYA :
AGAR TOO NE JHOOTH BOLA HO TO MEIN TUJHE BADDUAA DOO’N?
US NE KAHA HA’N BADDUAA KAREIN.
CHUNANCHE HAZRAT ALI KARRAMALLAHU TA’ALA WAJ’HAHUL KAREEM NE US KE LIYE BADDUAA KI TO WOH SHAKHS ABHI US MAJLIS SE UTHANE BHI NA PAAYA THA KI ANDHA HO GAYA.”
-
(TABARANI AL-MU'JAM-UL-AWSAT, 02 SAFA:219, HADEES-1791,
HAYTHAMI MAJMA‘-UZ-ZAWA'ID, 09 SAFA:116,
LALKA'I KARAMAT-UL-AWLIYA', 01 SAFA:126, HADEES-73.]

HADEES # 31

TARJUMA:

“HAZRAT AASIM BIN ZMARA RADIYALLAHU TA’ALA ANHU SE MARWI HAI KI JAB HAZRAT ALI KARRAMALLAHU TA’ALA WAJ’HAHUL KAREEM KO SHAHEED KAR DIYA GAYA TO HAZRAT IAME HASAN RADIYALLAHU TA’ALA ANHU NE AIK KHUTBE ME IRSHAD FARMAYA :
AYE AHLE KOOFA (YA FARMAYA) AYE AHLE IRAQ AAJ TUMHARE DARMIYAN WOH SHAKHS SHAHEED KAR DIYA GAYA JIS SE ELM ME (UMMAT KE) AWWALIN BHI SABQAT NAHIN KAR SAKE AUR AAKHIREEN ME SE BHI KOI UN KE MUQAAM (MARTABE) KO NA PAHUNCH SAKEGA.
HUZOOR NABI-E-AKRAM SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA AALEHI WA SALLAM JAB HAZRAT ALI KARRAMALLAHU TA’ALA WAJ’HAHUL KAREEM KO KISI JIHAAD KEE MUHIM PAR RAWAANA FARMATE TO UN KEE DAAYI TARAF HAZRAT JIBRA’IL AUR BAAYI TARAF HAZRAT MIKA’IL ALAIHIMUSSALAM RAHA KARTE THEY AUR WOH KABHI BHI FATEH HAASIL KIYE BAGHAIR NQHIN LAUT’TE THEY.”
-
(IBN ABI SHAYBAH AL-MUSANNAF, 06 SAFA:369, HADEES-32094,
HINDI KANZ-UL-UMMAL, 06 SAFA:412.]

HADEES # 32

TARJUMA:

“HAZRAT AMMARA BIN UMAIR RADIYALLAHU TA’ALA ANHU BAYAN KARTE HAIN KI JAB (IMAM HUSAIN RADIYALLAHU TA’ALA ANHU KE QATIL) UBAIDULLAH BIN ZIYAAD AUR US KE SAATHIYON KE SAR LA KAR MASJID KE BARAAMADE ME RAKHE GAYE AUR MEIN US WAQT UN LOGON KE PAAS PAHUNCHA JAB WOH LOG KEH RAHE THEY WOH AA GAYA, WOH AA GAYA.
ITNI DER ME AIK SAANP KAHIN SE AAYA AUR UN KE SARON PAR GHUSNA SHUROO KIYA AUR UBAIDULLAH BIN ZIYAAD KE NATHANE ME GHUSA AUR US ME THODI DER THAHER KAR PHIR BAAHAR AA GAYA AUR KAHIN CHALA GAYA YAHA’N TAK KI WOH KAHIN GHAAYAB HO GAYA.
PHIR ACHAANAK WOH KEHNE LAGE WOH AA GAYA, WOH AA GAYA.
WOH SAANP PHIR AAYA AUR YAHIN AMAL US NE DO² YA TEEN³ BAAR DOHRAAYA.”

رواه الترمزي والطبراني.
وقال : أبو عيسى : هذا حديث حسن صحيح.
-
(TIRMIDHI AS-SUNAN, 05 SAFA:660, HADEES-3780,
TABARANI AL-MU'JAM-UL-KABIR, 03 SAFA:112, HADEES-2832,
MUBARAKPURI TUHFAT-UL-AHWADHI,

HADEES # 33

TARJUMA:

“HAZRAT QURRA BIN KHALID FARMATE HAIN KI MEIN NE SUNA HAI KI HAZRAT ABOO RIZA ATAARIDEE FARMA RAHE THEY :
HAZRAT ALI KARRAMALLAHU TA’ALA WAJ’HAHUL KAREEM AUR US KHANWADA-E-(NUBUWWAT) KO GAALIYA’N MAT DO HAMARA AIK PADOSEE JO KI BIL HAJEEM SE THA KEHNE LAGA :
KYA TUM YEH NAHIN DEKHTE (MA’AZALLAH) KI US FAASIK HUSAIN IBN ALI KO ALLAH TA’ALA NE QATL KAR DIYA (US KA YEH KEHNA HEE THA KI) USEE WAQT ALLAH TA’ALA NE (AASMAAN SE) US KEE DONON AANKHON ME DO² SITAARE MAARE AUR WOH ANDHA HO GAYA.”

رواه الطبراني.
إسناده حسن ورجاله رجال الصحيح.
-
(TABARANI AL-MU'JAM-UL-KABIR, 03 SAFA:112, HADEES-2830,
HAYTHAMI MAJMA‘-UZ-ZAWA'ID, 09 SAFA:192,

وقال : ورجاله رجال الصحيح.

HADEES # 34

TARJUMA:

“HAZRAT UMME SALMA RADIYALLAHU TA’ALA ANHA RIWAYAT KARTI HAIN KI JAB HAZRAT FATIMA RADIYALLAHU TA’ALA ANHA APNE MARZE WISAAL ME MUBTILA HUWI TO MEIN UN KI TEEMARDARI KARTI THI.
BEEMAARI KE US POORE ARSE KE DAURAAN JAHA’N TAK MERA KHAYAAL HAI AIK SUB’H UN KI HAALAT QADRE BEHTAR THI (KUCHH THIK THI) HAZRAT ALI KARRAMALLAHU TA’ALA WAJ’HAHUL KAREEM KISI KAAM SE BAAHAR GAYE SAYYADA-E-QA’INAT NE KAHA :
AYE AMMA MERE GHUSL KE LIYE PAANI LAAYE, MEIN PAANI LAAYI JAHA’N TAK MERA KHAYAAL HAI (US DIN) UNHONE BEHTAREEN GHUSL KIYA.
PHIR BOLI :
AMMA JEE MUJHE NAYA LIBAAS DE.
MEIN NE AISA HEE KIYA.
PHIR WOH QIBLA ROOKH HO KAR LET GAYI HAATH ROOKHSAAR MUBARAK KE NEECHE KAR LIYA PHIR FARMAYA :
AMMA JEE AB MERI WAFAAT HO JAAYEGI MEIN (GHUSL KAR KE) PAAK HO CHUKI HOO’N LIHAAZA MUJHE KOI NA KHOLE PAS USEE JAGEH UN KI WAFAAT HO GAYI.
HAZRAT UMME SALMA FARMATI HAIN KI PHIR HAZRAT ALI KARRAMALLAHU TA’ALA WAJ’HAHUL KAREEM TASHREEF LAAYE TO MEIN NE UNHEIN SAARI BAAT SUNAAYI.”
-
(AHMAD BIN HANBAL AL-MUSNAD, 06 SAFA:461, HADEES-27656,
27657,

الدوﻻبى فى الذرية الطاهرة، ١١٣ SAFA:١،

ZAYLA'I NASAB-UR-RAYAH, 02 SAFA:250,

ومحب الدين فى ذخائر العقبى، ١٠٣ SAFA:¹،

HAYTHAMI MAJMA'-UZ-ZAWA'ID, 09 SAFA:210,
IBN ATHIR ASAD-UL-GHABAH, 07 SAFA:221.]

HADEES # 35

TARJUMA:

“HAZRAT KHAISAMA RADIYALLAHU TA’ALA ANHU SE RIWAYAT HAI KI HAZRAT KHALID BIN WALID RADIYALLAHU TA’ALA ANHU KE PAAS AIK AADAMI LAAYA GAYA US KE PAAS SHARAAB KI SURAAHI THI, AAPNE FARMAYA :
AYE ALLAH ISE SHAHAD BANA DE.
TO WOH SHARAAB FAURAN SHAHAD ME TABDEEL HO GAYI.”
“AUR AIK RIWAYAT ME HAI KI JAB HAZRAT KHALID BIN WALID RADIYALLAHU TA’ALA ANHU HURRA KE MAQAAM PAR AAYE TO UN KE PAAS ZAHRE QAATIL LAAYA GAYA, UNHONE USE HATHELI PAR DAALA AUR BISMILLAH KAR KE PEE GAYE (MAGAR US ZAHAR NE UN PAR KOI ASAR NAHIN KIYA).”

رواه اللالكاءي والذهبي والعسقلاني.
وقال : رواه أبو يعلى وابن سعد وابن أبي الدنيا بإسناد صحيح .
-
(LALKA'I KARAMAT-UL-AWLIYA', 02 SAFA:254, HADEES-94, 97,
DHAHABI SIYAR A'LAM-UN-NUBULA', 01 SAFA:375, 376,
ASQALANI AL-ISABAH, 02 SAFA:254,
RAZI AT-TAFSIR-UL-KABIR, 21 SAFA:89.]

HADEES # 36

TARJUMA:

“HAZRAT ABOO KHALDA TABA’I SE RIWAYAT HAI KI MEIN NE HAZRAT ABOO AALIYA SE POOCHHA :
KYA HAZRAT ANAS RADIYALLAHU TA’ALA ANHU NE HUZOOR NABI-E-AKRAM SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA AALEHI WA SALLAM SE HADITHON KI SAMA’AT KEE HAIN?
ABOO AALIYA NE FARMAYA :
HAZRAT ANAS RADIYALLAHU TA’ALA ANHU NE DAS-10 SAAL HUZOOR NABI-E-AKRAM SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA AALEHI WA SALLAM KI KHIDMAT KEE AUR RASOOLULLAH SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA AALEHI WA SALLAM NE UN KE LIYE DUAA FARMAYI JIS KEE WAJEH SE HAZRAT ANAS KA BAAGH SAAL ME DO² MARTABA FAL DETA THA AUR UN KE BAAGH ME AIK KHUSHBOODAR PAUDA THA JIS SE UNHEIN KASTOORI KI KHUSHABOO AATI THI.”

رواه الترمزي. وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن.
-
(TIRMIDHI AS-SUNAN, 05 SAFA:683, HADEES-3833,
DHAHABI SIYAR A'LAM-UN-NUBULA', 03 SAFA:400,
ASQALANI AL-ISABAH, 01 SAFA:127,
KHATIB TABRIZI MISHKAT-UL-MASABIH, 02 SAFA:401, HADEES-5952.]

HADEES # 37

TARJUMA:

“HAZRAT ABOO HURAIRAH RADIYALLAHU TA’ALA ANHU SE MARWI AIK TAWEEL RIWAYAT ME HAI KI HAZRAT KHUBAIB RADIYALLAHU TA’ALA ANHU NE GHAZAWA-E-BADR ME (SARDARE QURAISH) HAARIS KO QATL KIYA THA (BAAD KE AIK WAAQIYE ME) HAZRAT KHUBAIB (GIRAFTAAR HO KAR) UN KE QAIDEE BAN GAYE.
HAARIS (JISE HAZRAT KHUBAIB RADIYALLAHU TA’ALA ANHU NE QATL KIYA THA) KI AIK BETI KAHA KARTI THI KI MEIN NE HAZRAT KHUBAIB RADIYALLAHU TA’ALA ANHU SE ZYAADA ACHCHHA AUR NEK KOI QAIDEE NAHIN DEKHA AUR BESHAK MEIN NE HAZRAT KHUBAIB RADIYALLAHU TA’ALA ANHU KO (DAURAANE QAID) ANGOOR KA KHOOSA (GUCHCHHA) KHAATE HUWE DEKHA HALAN KI UN DINO MAKKA ME KOI FAL NAHIN MILTA THA (YA’NI FALON KA MAUSAM BHI NAHIN THA) AUR WAISE BHI WOH ZANJEERON ME JAKADE HUWE THEY.
SO YEH WOH ROZEE THI JO ALLAH TA’ALA UNHEIN (GHAIB SE) ATA FARMATA THA.”
-
(BUKHARI AS-SAHIH, 04 SAFA:1499, HADEES-3858, &
03 SAFA:1108, HADEES-2880,
AHMAD BIN HANBAL AL-MUSNAD, 02 SAFA:310, HADEES-8082,
ABD-UR-RAZZAQ AL-MUSANNAF, 05 SAFA:353, HADEES-9730,
TABARANI AL-MU'JAM-UL-KABIR, 04 SAFA:221, HADEES-4191,
LALKA'I KARAMAT-UL-AWLIYA', 01 SAFA:101, HADEES-53,
ASQALANI FAT'H-UL-BARI, 07 SAFA:384,
IBN ABD-UL-BARR AL-ISTI'AB, 02 SAFA:779, HADEES-1305,
TABARI TARIKH-UL-UMAM WAL-MULUK, 02 SAFA:78.]

HADEES # 38

TARJUMA:

“HAZRAT JAABIR RADIYALLAHU TA’ALA ANHU SE RIWAYAT HAI KI JAB GHAZAWA-E-UHAD KA WAQT AA GAYA TO MERE WAALID (HAZRAT ABDULLAH RADIYALLAHU TA’ALA ANHU) NE MUJHE RAAT KE WAQT BULAAYA AUR FARMAYA :
MEIN YAHIN DEKHTA HOO’N KI HUZOOR NABI-E-AKRAM SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA AALEHI WA SALLAM KE ASHAAB ME SAB SE PEHLE MEIN SHAHEED KIYA JAOONGA AUR MEIN APNE BAAD KISI KO NAHIN CHHOD RAHA HOO’N JO RASOOLULLAH SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA AALEHI WA SALLAM KE ALAAWA MUJHE TUM SE ZYAADA AZEEZ HO MUJH PAR QARZ HAIN ISE ADA KAR DENA AUR APNI BAHNON KE SAATH ACHCHHA SULOOK KARNA.
SUBAH HUWI TO SAB SE PEHLE VAHI SHAHEED KIYE GAYE.
AUR AIK DOOSARE (SHAHEED) KE SAATH DAFAN KIYE GAYE.
PHIR MERA DIL US PAR RAJAAMAND NA HUWA KI UNHEIN DOOSARON KE SAATH CHHODE RAKHOO’N LIHAAZA (TADFEEN KE BAAD) CHHE-06 : MAHINON KE BAAD MEIN NE UNHEIN NIKAALA TO WOH USEE TAREH (TAROTAAAZA) THEY JAISE DAFAN KARNE KE DIN THEY, SIWAYE AIK KAAN KE JO KI JUNG KE DAURAN SHAHEED HO GAYA THA.”

رواه البخاري.
وقال الحاكم : هذا حديث صحيح على شرط مسلم.
-
(BUKHARI AS-SAHIH, 01 SAFA:453, HADEES-1286,
HAKIM AL-MUSTADRAK, 03 SAFA:224, HADEES-4913,
BAYHAQI AS-SUNAN-UL-KUBRA, 06 SAFA:285, HADEES-12459,
ASQALANI MUQADDIMAH FAT'H-UL-BARI, 01 SAFA:270,
KHATIB TABRIZI MISHKAT-UL-MASABIH, 02 SAFA:399, HADEES-5945.]

HADEES # 39

TARJUMA:

“HAZRAT ABOO HURAIRAH RADIYALLAHU TA’ALA ANHU SE AIK LAMBI RIWAYAT ME MARWI HAI KI KUFFARE QURAISH NE (DHOKHE SE SHAHEED KARNE KE BAAD) AIK DASTE KO SHINAAKHT KE LIYE HAZRAT AASIM RADIYALLAHU TA’ALA ANHU KI LAASH ME SE TUKADA KAAT KAR LAANE KE LIYE BHEJA.
HAZRAT AASIM RADIYALLAHU TA’ALA ANHU NE GHAZAWA-E-BADR ME UN KE BADE SARDAARON ME SE AIK KO QATL KIYA THA SO (US DASTE KE PAHUNCHTE HEE) ALLAH TA’ALA NE UN KEE LAASH KE PAAS BHIDON (LAAL RANG KE TATAIYON) KI TAREH KOI JAANWAR BHEJ DIYE JINHONE KISI KO UN KE LAAAH KE PAAS BHI AANE NAHIN DIYA AUR WOH UN KE JISM KA KOI HISSA LE JAANE ME KAMYAB NA HO SAKE.”
-
(BUKHARI AS-SAHIH, 04 SAFA:1499, HADEES-3858, &
03 SAFA:1108, HADEES-2880,
AHMAD BIN HANBAL AL-MUSNAD, 02 SAFA:310, HADEES-8082,
ABD-UR-RAZZAQ AL-MUSANNAF, 05 SAFA:353, HADEES-9730,
TABARANI AL-MU'JAM-UL-KABIR, 04 SAFA:221, HADEES-4191,
LALKA'I KARAMAT-UL-AWLIYA', 01 SAFA:101, HADEES-53.]

HADEES # 40

TARJUMA:

“HAZRAT ANAS RADIYALLAHU TA’ALA ANHU RIWAYAT FARMATE HAIN KI DO² AADAMI HUZOOR NABI-E-AKRAM SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA AALEHI WA SALLAM KI BARGAH SE (MAJLIS KHATM HONE KE BAAD) ANDHERI RAAT ME (GHAR JAANE KE LIYE) NIKALE TO (US ANDHERI RAAT ME) ACHAANAK AIK NOOR UN KE SAMNE AA GAYA (AUR WOH UN KE SAATH-SAATH ROSHANI KE LIYE RAHA) AUR JAB WOH DONON AADAMI (APNE-APNE GHAR JAANE KI WAJAH SE) ALAG-ALAG RAAH PAR CHAL PADE TO WOH NOOR BHI UN DONON KE SAATH (DO² HISSO ME BAT KAR) ALAG-ALAG HO GAYA.
HAZRAT ANAS RADIYALLAHU TA’ALA ANHU SE MARWI HAI KI HUZOOR NABI-E-AKRAM SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA AALEHI WA SALLAM KI BARGAH SE (ANDHERI RAAT ME GHAR JAANE WAALE WOH DONON AADAMI HAZRAT USAYD BIN HUZAYR AUR ABBAAD BIN BISHR THEY) .”
-
(BUKHARI AS-SAHIH, 03 SAFA:1384, HADEES-3594, &
01 SAFA:177, HADEES-453, &
03 SAFA:1331, HADEES-3440,
ABOO YA'LA AL-MUSNAD, 05 SAFA:361, HADEES-3007,
BAYHAQI AL-I'TIQAD, 01 SAFA:310,
NAWAWI RIYAD-US-SALEHEEN, 01 SAFA:566, HADEES-1506,
KHATIB TABRIZI MISHKAT-UL-MASABIH, 02 SAFA:399, HADEES-5944.]

HADEES # 41

TARJUMA:

“HAZRAT AAISHA SIDDIQUA RADIYALLAHU TA’ALA ANHA RIWAYAT FARMATI HAIN KI JAB HAZRAT NAJJASHI RADIYALLAHU TA’ALA ANHU (SHAAHE HABSHA) FAUT HO GAYE TO HUM BAYAN KARTE THEY KI UN KI QABR PAR HAMESHA NOOR (BARASTA) DEKHA JAATA HAI.”
-
(ABOO DAWOOD AS-SUNAN, 03 SAFA:16, HADEES-2523,
DHAHABI SIYAR A'LAM-UN-NUBULA', 01 SAFA:430,
ASQALANI AL-ISABAH, 01 SAFA:206, KHATIB TABRIZI MISHKAT-UL-MASABIH, 02 SAFA:400, HADEES-5947,
IBN KATHIR TAFSIR-UL-QUR'AN AL-AZEEM, 01 SAFA:444.]

HADEES # 42

TARJUMA:

“HAZRAT SAFEENA RADIYALLAHU TA’ALA ANHU SE MARWI HAI KI MEIN SAMANDAR ME KASHTEE PAR SAWAAR HUWA.
WOH KASHTEE TOOT GAYI TO MEIN US KE AIK TAKHTE PAR SAWAAR HO GAYA US NE MUJHE AIK AISEE JAGEH FAINK DIYA JO SHER KI KACHCHH’HAAR (SHER KE REHNE KEE JAGEH) THI.
VAHI HUWA JIS KA DAR THA (ACHAANAK) WOH SHER SAAMNE THA, MEIN NE KAHA AYE ABOOL HAARIS (SHER) MEIN RASOOLULLAH SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA AALEHI WA SALLAM KA GHULAAM HOO’N TO US NE FAURAN APANA SAR KHAM KAR DIYA AUR APNE KANDHE SE MUJHE ISHAARA KIYA AUR WOH US WAQT TAK MUJHE ISHAARA AUR REHNUMAYI KARTA RAHA JAB TAK KI US NE MUJHE SAHEE RAAH PAR NA DAAL DIYA.
PHIR JAB US NE MUJHE SAHEE RAAH PAR DAAL DIYA TO WOH DHEEMI AAWAAZ ME GUR GURAAYA.
SO MEIN SAMAJH GAYA KI WOH MUJHE ALWIDA KEH RAHA HAI.”

رواه الحاكم والبخاري فى الكبير والطبراني والبغوي في شرح السنة.
وقال الحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد.
-
(HAKIM AL-MUSTADRAK, 02 SAFA:675, HADEES-4235, &
03 SAFA:702, HADEES-6550,
BUKHARI TARIKH-UL-KABIR, 03 SAFA:195, HADEES-663,
TABARANI AL-MU'JAM-UL-KABIR, 07 SAFA:80, HADEES-6432,
IBN RASHID AL-JAMI', 11 SAFA:281,
LALKA'I KARAMAT-UL-AWLIYA', 01 SAFA:158, HADEES-114,
BAGHAWI SHARH AS-SUNNAH, 13,313, HADEES-3732,
KHATIB TABRIZI MISHKAT-UL-MASABIH, 02 SAFA:400, HADEES-5949.]

HADEES # 43

TARJUMA:

“HAZRAT ABDULLAH BIN UMAR RADIYALLAHU TA’ALA ANHUMA SE MARWI HAI KI HUZOOR NABI-E-AKRAM SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA AALEHI WA SALLAM NE (HAZRAT SA’D BIN MUAAZ ANSAARI RADIYALLAHU TA’ALA ANHU KE MUT’ALLIQ) FARMAYA :
YEH WOH HASTEE HAI JIS KI WAFAAT SE ARSH BHI HIL GAYA, AASMAAN KE DARWAAZE KHOL DIYE GAYE AUR SATTAR HAJAAR FARISHTE US KE JANAZE ME SHAREEQ HUWE.
AIK DAFA QABR NE USE DABAAYA PHIR KUSHAADA (CHAUDI) KAR DEE GAYI.”
“AUR AIK RIWAYAT ME AAP SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA AALEHI WA SALLAM NE FARMAYA :
TAMAM TAREEFE ALLAH KE LIYE HEE HAI AGAR KOI QABR KE DABAANE SE BACH SAKTA TO SA’D BIN MUAAZ BHI ZAROOR US KE DABAANE SE BACH JAATE.
(MOMINEEN AUR SAALIHEEN KE LIYE QABR KA DABAANA BA’ISE RAAHAT HOTA HAI JAISE MAA BACHCHE KO GOD ME LE KAR MUHABBAT SE DABAATI HAI.”

وقال العسقلاني : ورجاله ثقات محتج بهم في الصحيح.
-
(NASA'I AS-SUNAN, 04 SAFA:100, HADEES-2055, &
AS-SUNAN-UL-KUBRA, 01 SAFA:660, HADEES-8182,
TABARANI AL-MU'JAM-UL-AWSAT, 02 SAFA:199, HADEES-1707, &
AL-MU'JAM-UL-KABIR, 06 SAFA:10, HADEES-5333,
IBN RAHAWAYH AL-MUSNAD, 02 SAFA:552, HADEES-1127,
ZAYLA'I NASAB-UR-RAYAH, 02 SAFA:286,
SUYUTI SHARH ALA SUNAN-UN-NASA'I, 04 SAFA:101, HADEES-2055,
ASQALANI AL-QAWL-UL-MUSADDAD, 01 SAFA:81.]

 HADEES # 44

TARJUMA:

“HAZRAT ABDULLAH BIN ABBAS RADIYALLAHU TA’ALA ANHUMA RIWAYAT FARMATE HAIN KI HUZOOR NABI-E-AKRAM SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA AALEHI WA SALLAM KE KISI SAHABI NE AIK QABR PAR KHAIMA LAGAAYA UNHEIN MAALOOM NA THA KI YEH QABR HAI ACHAANAK PATA CHALA KI YEH QABR HAI AUR US KE ANDAR KOI AADAMI SOORAH MOOLK PADH RAHA HAI YAHA’N TAK (US SAHAABI NE SUNA KI) USE PADHANE WAALE NE (QABR KE ANDAR) MUKAMMAL SOORAH MULK PADHI (YEH SUN KAR) WOH SAHABI HUZOOR NABI-E-AKRAM SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA AALEHI WA SALLAM KI KHIDMAT ME HAAZIR HUWE AUR ARZ KIYA YA RASOOLALLAH ﷺ!
MEIN NE (BHOOL KAR) AIK QABR PAR KHAIMA LAGAAYA AUR MUJHE YEH KHAYAAL NAHIN THA KI YEB QABR HAI ACHAANAK SUNA KI AIK AADAMI QABR ME SOORAH MULK PADH RAHA HAI YAHA’N TAK KI MEIN NE SUNA US NE MUKAMMAL SOORAH MULK PADHI.
HUZOOR NABI-E-AKRAM SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA AALEHI WA SALLAM NE FARMAYA :
YEH (SOORAH MULK AZAABE QABR KO) ROKNE WAALI HAI AUR AZAABE QABR SE NIZAAT DENE WAALI HAI.”

رواه الترمزي والبيهقي.
وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن.
-
(TIRMIDHI AS-SUNAN, 05 SAFA:164, HADEES-2790,
BAYHAQI SHUAB-UL-IMAN, 02 SAFA:495, HADEES-2510,
KHATIB TABRIZI MISHKAT-UL-MASABIH, 01 SAFA:405, HADEES-2153,
MUNDHIRI AT-TARGHIB WAT-TARHIB, 02 SAFA:247, HADEES-2266,
IBN KATHIR TAFSIR-UL-QUR'AN AL-AZEEM, 04 SAFA:396,
QURTABI AL-JAMI' LI-AHKAM-UL-QUR'AN, 18 SAFA:205.]


-Shaikh Mohammad Imran Saifi

No comments:

Post a Comment

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers