Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Monday 1 June 2020

Nabi Kahin Nahi Jaa Sakte Deobandi Ulema maut kay baad ja sakte hai

بسم الله الرحمن الرحيم
♥ السلام عليك يا رسول الله ♥ ♥ السلام عليك يا حبيب الله ♥
Nabi E Karim Jism E Aqdas Kay Saath Kahin Nahi Aaja Sakte Lekin Deobandi Ulema Jahan Chahe Aa Ja Sakte Hai 


Sawal : Kya Nabi Kahin Bhi aa aur jaa sakte hai ? 
Jawab : Aap ki Hayat Barzakhi hai Aap Kahin Aaja Nahi Sakte.
Fatwa Copy aap padhlen downlaod karke


Fatwa Copy Link http://darulifta-deoband.org/showuserview.do?function=answerView&all=ur&id=6502
Sikke Ka Dusra Pahlu Nabi E Karim to Nahi aaja Sakte magar inke ulema chahe jahan jaa sakte hai padhiye

Darul Uloom Deoband Kay baani Maulana Qasim Nanatvi Sahab ka Maut kay baad Aajana 

Qari Tayyab Sahab Muhtamim Darul Uloom Deoband Bayan Karte hai Ki Jis jamane ME Maulvi Rafiuddin Sahab Madarse Kay Muhtamim they, darul uloom kay baaj mudarriseen (teacher’s) kay darmiyan aapas me kuch neza (jhagda) chid gayi.
Aage Chalkar Madarse Kay Sadar Mudariseen Maulvi Mahmadul Hasan Sahab bhi Hungame me sharik hogaye Aur jhagda tul pakad gaya.
Ab iske aage ka waqya Khud Qari Tayyab Sahab ki jubani Suniye maufus bayan karte hai…..

“Issi Dauran Ek Din Alsabbah baad namaz e fazr Maulana Rafiudddin Sahab Rahmatullah Alaih Ne Maulana Mehmoodul Hasan Saheb ko apne huzre me bulaya (Jo Darul Uloom Deoband Me hai) Aur Band Huzra kay Kewad khol (Darwaja) kar andar daakhil huwe mausam sakht sardi ka tha. 

Maulana Rafiuddin Sahab Rahmatullah Alaih Ne Farmaya Pahle Ye Mera Rui ka Lebada Dekh Lo Maulana ne Lebada dekha to tar tha aur khoob bheeg raha tha farmaya Ki Waqiya ye hai kay Maulana Qasim Nanatvi Rahmatullah Alaih jasad e unsuri (jisme jahir) kay saath mere pass tashreef laaye they, jisse mai ek dum pasina pasina hogaya aur mera lebada tar tar hogaya aur ye farmaya kay Mehmoodul Hasan ko kahdo kay is jhagde me naa pade, Bas maine ye kahne kay liye tumhe bulaya hai, Maulana Mehmoodul Hasan Sahab ne arz ki Hazrat Mai Aapke haath par tauba karta hoon ki iske baad mai is kisse me kuch na bolunga”
(Ashraf Ali Thanvi, Arwah E Salasa Yaani Hikayat E Auliya, Pg : 193-194, Hikayat No. 256, Maktaba Umar Farooque)
Scan Page Arwah E Salasa
Padhke Hairani hogayi hogi logo ko kay deobandi aisa kaise kar sakte hai ek jagah to inke fatwe Ahle Sunnat Wa Jamat ko biddati Kahne Ilme Ghaib maankar Shirk me mubtela hone ka hota hai aur Apne bado kay baare me ye aqeedah hai.

Dusra Ek Aur hairat anghez waqya Suniye
Maulana Ashraf Ali Thanvi Sahab kay Par Dada Ka Maut Kay Baad Dobara Ghar Aajana
"Kisi Baraat Me tashreef Le Jaa rahe they ki dakuoan ne aakar baraat par hamla kiya unke paas teer wa kaman bhi they, unhone in dakuoan par dile-rana teer barsana shuru kiye, Chunki Dakuoan ki tadad kaseer thi aur idhar se besar wa samani thi yeh muqable me shaheed hogaye.
Shahadat Kay Baad Ek Azeeb Waqiya Huwa Raat Kay Waqt apne ghar misle zinda kay tashreef laaye aur apne ghar walo ko mithayi laakar di aur farmaya ki agar tum kisi se jahir na karogi to is tarah se roz aaya karenge, lekin unke ghar kay logo ko ye andesha huwa ki ghar wale jab bacche ko mitha khate dekh lenge to maloom nahi kya sub'ah karenge is liye jaahir kar diya aur aap tashreef na laaye ye waqiya khandan me mashoor hai"
(Musannif Khwaja Azizul Hasan, Ashraf Us Sawaneh, Vol : 01, Pg : 39-40)



In Fatwe aur phir uske baad ye waqyat se kya mehsoos huwa ? Agar hum Musalman yehi aqeedah Nabi E Karim Kay baare me rakhe Kay Aaka Karim Apni Rauze Aqdas se Allah Pak kay diye huwe Izn se jahan chahe jaa sakte hai to hum par bina kisi baat kay aqaid jaane deobandi hazrat Kabr Pujwa, Murda Parasti, Wali Parasti biddati mushrik kahne se bilkul nahi rukte.
Dekhe kaise Insaaf ka gala ghota gaya hai Thanvi Sahab Kay Dada Mithaye leke ghar aajate hai aur jaise bhi is baare me bata diya gaya Thanvi Sahab Kay dada ko maloom bhi padh gaya kay ab raaz khul gaya aur aana band goya Kabr kay andar se hi sab pata kar le rahe ho, Qasim Nanatvi Sahab hai Qabr me magar unhe is baat ki bakhubi khabar hai kay Deoband Madrase me kya chal raha hai kaun kis se lad raha hai, balki Kisko is jhagde me rahna hai kisko nahi ye tak Amal ki khabar bhi hai inko, aur Thanvi Sahab Kay Dada ka Urs Bhi hota tha Aap Urs manalo to Aap biddati hojaoge ye manate rahe to chalega. Magar jaise hi Sunni ye kahe Kay Mere Aaka Tazdar E Kainat ko hamare amal ki khabar hai fauran aap par mushrik hone ka fatwa lagega.
Aur Ye koi ek waqya nahi humne to bas 02 likhe hai Deobandi Ulema Kay Fatwe Bade Sakht hai aur Inke apne ulema kay fazilat pe is tarah kayi waqiyat mauzud hai. Sunnio ko Ek Message : Ab Aap Ek kaam karen agar koi Deobandi Tableegi aapse agar bahes kare to aap unhe ye naa bataye kay ye waqya kiska hai aur kahan likha hai balki ye kahe pahle kay ek maulana ka aisa waqya aapne padha hai unki maut kay baad pesh aaya to deobandi fauran kahega ye sab jhuth hai Qabr parasti ka ilzaam laga denge aur uske baad unhe bataye ye waqya kahin aur nahi aapke Mujadid Thanvi aur Qasim Nanatvi ka hai phir puchna ab kya fatwa hai phir munafiqat dekhne tableegi aur deobandio ki. Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Marne Kay Baad Mithayi Leke Aaye Maulana Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Deoband Aagaye
Insha Allah Taa'la Hum Is Tarah Kishtwar inke munafiqat dogle aqaid pe scan page kay saath post karte rahenge Share This Post By Shaikh Sher Ali Hanfi Keep Remembrance At Your Prayer.

8 comments:

  1. Masha Allah Very Nice Comparison Dogli Policy ko well expose kiya aapne
    Is tarah ek ek point pe sequence wise likhiye

    ReplyDelete
  2. ماشاءاللہ آپ اسی طرح قوم کی اصلاح کرتے رہیں
    آپکی یہ ترکیب بہت اچھی ہے جناب، سبحاناللہ

    ReplyDelete
  3. Really great step to reveal deobandi's(Saitan ) fitna.
    Plz educate all Ahle Sunnat wal zamat persons.

    ReplyDelete
  4. Kya koi aisi post v ban sakti h,jisme sare sahabi,tabaeen,tabetabaeen,imamo ka zikr ho aur ye bataya gaya ho k kis imam ya tabaeen,tabetabaeen ne kon kon si kitab likhi h,,,,aur kon se aise iman hain jinko devbandi,ahlehagees,jamai v manye hain,,,aur kon kon se imam ko ye nahi mante hain aur q

    ReplyDelete
  5. Bhai sahab bilkul sahi information di hai aapne❤️❤️❤️❤️ جزاک اللہ خیرا

    ReplyDelete
  6. Bht khoob❤️👍

    ReplyDelete
  7. Mashallah Hazrat farooqkhanrazvi sahaba

    ReplyDelete

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers