Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Monday 15 June 2020

Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Jahannam Me Le Jayega

بسم الله الرحمن الرحيم
♥ السلام عليك يا رسول الله ♥ ♥ السلام عليك يا حبيب الله ♥
Ek aisa fitna aaj manzar e aam hai wo hai munkireen e hadees ka baaj aise gumrah hai jo khud ko bade padhe likhe aur researcher kahte hai Gulam Ahmad Parvej, Shaykh Muhammad, Rashad Misri wagairah jinhone apne naam Ahle Quran rakh liya hai, halanki ahle ilm bakhubi jante hai Ahle Quran un Aimma E Mufassireen ko kaha jata hai jinhone Qurani tafseer me bahut kaam kiya wo Mufassireen ko kaha jata hai aur na to wo hadees kay munkir they, magar humesha jo bhi firqa bana hai usme naam aise rakhe hai kay log muttasir hojaye, Is gumrah munkireen e hadees firqe ka kaam hadees ka inkar karna aur Quran ko bhi apne nafs kay mutabik bayan karna hai halanki inhe naa to Quran kay ahkam ka ilm hai aur na maane mafoom ka ye English Urdu tarjume me depend hote hai, Inka dawa hai kay Quran chunki Kitabullah hai aur Hadees Insaano ki likhi hai lihaja hadees ko kabool na kiya jaayega aaye dekhte hai inka dawa khud Quran kay bataye Ahkam aur Usool par khada utarta hai ya ye bas munafiqeen hai jinke bare me Nabi E Karim ﷺ Ne hume bata diya tha.

Hadees E Pak Ki Haisiyat 
Yeh Baat bilkul zahir hai kay Shariat ki tamam baato ka pahla sarchasma Quran E Karim Hai ki wo Allah Pak ki kitab hai, Aur Ussi Quran ne Hume Nabi E Karim ﷺ ki pairwi farmabardari ka hukm diya hai aur wo har musalman kay liye jaruri hai uske bina Allah kay hukm ki tafseel nahi jaani jaa sakti hai aur naa Quran ki ayat ka maane mafoom maksad samjha jaa sakta hai, Hadees E Paak Is wajah se Shariat kay hukm ki jadd (root) Iske bina Nabi E Karim Kay hukm, Kaam, Aur Quran ki ayat ka matlab nahi jana jaa sakta.

Quran E Karim Me Allah Aur Nabi E Karim ﷺ Ki Pairwi Ka Hukm
Ayat 01 :
يا أَيُّهَا الَّذينَ آمَنوا أَطيعُوا اللَّهَ وَرَسولَهُ
“Aye Imaan Waalo Allah Aur Uske Rasool Ki Itaat Karo” 
(Surah Anfal Ayat 20)

Ayat 02 :
وَأَطيعُوا اللَّهَ وَالرَّسولَ لَعَلَّكُم تُرحَمونَ
“Aur Allah Aur Rasool Ki Farmabardari Karte Raho Taki Tum Par Rahem Kiya Jaye.”
(Surah Al Imran Ayat 132)

Ayat 03 :
وَمَن يُطِعِ اللَّهَ وَالرَّسولَ فَأُولٰئِكَ مَعَ الَّذينَ أَنعَمَ اللَّهُ عَلَيهِم 
”Aur Jo Allah Aur Rasool Ki Ita'at kare To Wo Inlogo Ke Saath Hoga Jinpar Allah Ne Fazal Kiya ” 
(Surah Nisa Ayat 69)

Ayat 04:
تِلكَ حُدودُ اللَّهِ ۚ وَمَن يُطِعِ اللَّهَ وَرَسولَهُ يُدخِلهُ جَنّاتٍ تَجري مِن تَحتِهَا الأَنهارُ خالِدينَ فيها ۚ وَذٰلِكَ الفَوزُ العَظيمُ 
“Ye Allah Ki Haden Hain Aur Jo Allah Aur Allah Ke Rasool Ki Ita'at To Allah Use Jannati'yon Me Dakhil Farmayega Jinke Niche Nehren Beh Rahi Hai Hamesha Inme Rahenge,Aur Yahi Badi Kaamyabi Hai.” 
(Surah Nisa Ayat 13)  

Ayat 05 :
وَمَن يَعصِ اللَّهَ وَرَسولَهُ وَيَتَعَدَّ حُدودَهُ يُدخِلهُ نارًا خالِدًا فيها وَلَهُ عَذابٌ مُهينٌ
“Aur Jo Allah Aur Iske Rasool Ki Nafarmani Kare Aur Iski (Tamaam)Hadon Se Guzar Jaye To Allah Use Aage Me Dakhil Karega Jisme(Wo) Hamesha Rahega Àur Uske Liye Ruswakun Azab Hai”  
(Surah Nisa Ayat 14) 

Ayat 06 : 
يُصلِح لَكُم أَعمالَكُم وَيَغفِر لَكُم ذُنوبَكُم ۗ وَمَن يُطِعِ اللَّهَ وَرَسولَهُ فَقَد فازَ فَوزًا عَظيمًا 
“Allah Tumhare Aamal Tumhare Liye Sanwar Dega Aur Tumhare Gunah Bakhsh Dega Aur Jo Allah Aur Iske Rasool Ki Farmabardari Kare Isne Badi Kamyabi Payi.”
(Surah Ahzab Ayat 71) 

Ayat 07 :
وَأَقِمنَ الصَّلاةَ وَآتينَ الزَّكاةَ وَأَطِعنَ اللَّهَ وَرَسولَهُ ۚ 
“Namaz Qayam Rakho Aur Zakat Do Aur Allah Aur Uske Rasool Ka Hukum Mano.” 
(Surah Al Ahzab Ayat 33) 

Ayat 08 :
وَالمُؤمِنونَ وَالمُؤمِناتُ بَعضُهُم أَولِياءُ بَعضٍ ۚ يَأمُرونَ بِالمَعروفِ وَيَنهَونَ عَنِ المُنكَرِ وَيُقيمونَ الصَّلاةَ وَيُؤتونَ الزَّكاةَ وَيُطيعونَ اللَّهَ وَرَسولَهُ ۚ أُولٰئِكَ سَيَرحَمُهُمُ اللَّهُ ۗ إِنَّ اللَّهَ عَزيزٌ حَكيمٌ
“Aur Musalman Mard Aur Musalman Aurten Ek Dosre Ke Rafique Hain,Bhalai Ka Hukum Dete Hain Aur Burai Se Mana Karten Hain Aur Namaz Qayam Karten Hain Aur Zakat Dete Hain Aur Allah Aur Iske Rasool Ka Hukum Mante Hain.Ye Wo Log Hain Jinpar Unqarib Allah Reham Farmayega.Beshak Allah Galib Hikmat Wala Hai. ” 
(Surah Tauba Ayat 71) 

In Ayatein Karima Se Maloom Huwa Kay Hukm Itaat Farmabardari karni hai Allah Taa'la Ki Aur uske Pyare Habib ﷺ Ki to Rab Taa'la Ki Pairwi Quran Kay hukm Se hogi aur Nabi E Karim ﷺ Ki Pairwi ka Hukm Diya Aur ye Pairwi Kaise Hogi uske liye jo jariya hai wo Hadees E Nabwi ﷺ Hai.

Quran E Karim Me Nabi E Karim ﷺ Ki Pairwi Ka Hukm

Ayat 09 :
 مَن يُطِعِ الرَّسولَ فَقَد أَطاعَ اللَّهَ ۖ وَمَن تَوَلّىٰ فَما أَرسَلناكَ عَلَيهِم حَفيظًا
“Jisne Rasool Ka Hukum Mana  Beshak Isne Allah Ka Hukum Mana Aur Jisne Muh Mooda To Hum Ne Tumhe Inhe Bachane Ke Liye Nahi Bheja.”  
(Surah Nisa Ayat 80)

Ayat 10 :
وَما أَرسَلنا مِن رَسولٍ إِلّا لِيُطاعَ بِإِذنِ اللَّهِ  
"Aur Hamne Koi Rasool Na Bejha Magar Isliye Ki Allah Ke Hukum Se Iski Ita'at Ki Jaye” 
(Surah Nisa Ayat 64)

Ayat 11:
قُل إِن كُنتُم تُحِبّونَ اللَّهَ فَاتَّبِعوني يُحبِبكُمُ اللَّهُ وَيَغفِر لَكُم ذُنوبَكُم ۗ وَاللَّهُ غَفورٌ رَحيمٌ
“Aye Habib! Farma Do Ke Aye Logon! Agar Tum Allah Se Muhabbat Rakhte Karte Ho To Mere Farmabardar Ban Jao Allah Tumse Muhabbat Farmayega Aur Tumhare Gunah Bakhsh Dega Aur Allah Bakhshne Wala Meharban Hai.” 
(Surah Al Imran Ayat 31)  

Ayat 12:
وَإِن تُطيعوهُ تَهتَدوا ۚ وَما عَلَى الرَّسولِ إِلَّا البَلاغُ المُبينُ
“Aur Agar Rasool Ki Farmadari Karoge Raah Paoge Aur Rasool k Jimme Nahi Magar Saaf Pahucha Dena”
(Surah Noor Ayat 54)   

Ayat 13 : 
ما آتاكُمُ الرَّسولُ فَخُذوهُ وَما نَهاكُم عَنهُ فَانتَهوا ۚ وَاتَّقُوا اللَّهَ ۖ إِنَّ اللَّهَ شَديدُ العِقابِ
“Àur Rasool Jo Kuch Tumhe Ata Farmayen Wo Lelo Aur Jis Se tumhe Mana Farmayen To Tum Baaz Raho Aur Allah Se Daro Beshak Allah Sakht Azab Dene Wala Hai”  
(Surah Hashr Ayat 07)           

Ayat 14 : 
فَلا وَرَبِّكَ لا يُؤمِنونَ حَتّىٰ يُحَكِّموكَ فيما شَجَرَ بَينَهُم ثُمَّ لا يَجِدوا في أَنفُسِهِم حَرَجًا مِمّا قَضَيتَ وَيُسَلِّموا تَسليمًا
“To Ate Habib!Tumhare Rabb Ki Qasame Log Musalman Na Honge Jabtak Apne Apas Ke Jhagde Me Tumhe Hakim Na Banaleyn Phir Jo Kuch Tum Hukum Farma Do Apne Dilon Me Isse Koi Rukawat Na payen Aur Achi Tarah Dil Se Maan Leyn.”
(Surah Nisa Ayat 65)  

Ayat 15 : 
لَقَد كانَ لَكُم في رَسولِ اللَّهِ أُسوَةٌ حَسَنَةٌ لِمَن كانَ يَرجُو اللَّهَ وَاليَومَ الآخِرَ وَذَكَرَ اللَّهَ كَثيرًا
“Beshak Tumhe Allah k Rasool Ki Pairvi Behtar Hai Uske Liye Ki Allah Aur Din ki Ummid Rakhta Ho” 
(Surah Al Azhaab Ayat 21)    

Ayat 16: 
وَإِنَّ رَبَّكُمُ الرَّحمٰنُ فَاتَّبِعوني وَأَطيعوا أَمري
“Aur Beshak Tumhara Rabb Rehman Hai To Meri Pervi Karo Aur Mere Hukum Ki Ita'at Karo” 
(Surah Taha Ayat 90)  

Ayat 17: 
وَأَقيمُوا الصَّلاةَ وَآتُوا الزَّكاةَ وَأَطيعُوا الرَّسولَ لَعَلَّكُم تُرحَمونَ
“Aur Namaz Kayam Rakho Aur Zakat Do Aur Rasool Ki Farmabardri Karo Is Ummid Par Ki Tum Par Reham Ho”
(Surah An Noor Ayat 56) 

In Aayatein karima me Dekhe to Allah Pak ne Musalmano ko Nabi E Karim ﷺ Ki Pairwi Aur Itaat ka hukm diya hai ab ye Itaat kaise ki jayegi munkireen e hadees bataye ?

Quran E Karim Me Allah, Nabi E Karim ﷺ Aur Hukm Walo Ki Pairwi Ka Hukm

Ayat 18:
يا أَيُّهَا الَّذينَ آمَنوا أَطيعُوا اللَّهَ وَأَطيعُوا الرَّسولَ وَأُولِي الأَمرِ مِنكُم
“Aye Imaan walon! Allah Ki Ita'at Karo Aur Rasool Ki Ita'at Karo Aur Inki Jo Tum Mese Hukm Wale Hain”
(Surah Nisa Ayat 59) 


Yaha Kabil E Gaur baat hai اَطِيْعُوْا ka hukum lafz Allah ke baad Rasool E Karim  ke liye dobaara aaya hai jab ke اُولِى الْاَمْرِ ke lie iska takraar nahi hua. Iska matlab ye hai ke itaat jis tarha Allah Taala ke lie mustakil aur mutlaq hai ussi tarha Rasool E Khuda ﷺ ke lie bhi mustakil aur mutlaq hai magar "wa-ʾulī l-ʾamri minkum" ke lie itaat na mustakil hai na mutlaq balke aarji aur mashroot hai agar inka hukum Allah aur Rasool ﷺ ke aehqaam ke tabeh ho toh unki itaat wajib hai agar Allah aur Rasool ﷺ ki nafarmani par mabni ho toh unki itaat jaez nahi.

Nabi E Karim ﷺ Ki Itaat Wa Farmabardari Se Muh Ferne Wale Kaafir Munafiq Hai 

Ayat 19 :
وَإِذا قيلَ لَهُم تَعالَوا إِلىٰ ما أَنزَلَ اللَّهُ وَإِلَى الرَّسولِ رَأَيتَ المُنافِقينَ يَصُدّونَ عَنكَ صُدودًا
“Aur Jab Inse Kaha Jaye Ke Allah Ki Utari Huyi Kitaab Aur Rasool Ki Taraf Aao To Tum Dekhoge Munafiq Tumse Muh Mood Kar Phir Jate Hain”
(Surah Nisa Ayat 61)

Ayat 20 :
قُل أَطيعُوا اللَّهَ وَالرَّسولَ ۖ فَإِن تَوَلَّوا فَإِنَّ اللَّهَ لا يُحِبُّ الكافِرينَ
“Tum Farma Do Ke Allah Aur Rasool Ki Farmabardari Karo Phir Agar Wo Muh Pheren To Allah Kafiron Ko Pasand Nahi Karta.”
(Surah Al Imran Ayat 32)

Ayat 21:
وَيَقولونَ آمَنّا بِاللَّهِ وَبِالرَّسولِ وَأَطَعنا ثُمَّ يَتَوَلّىٰ فَريقٌ مِنهُم مِن بَعدِ ذٰلِكَ ۚ وَما أُولٰئِكَ بِالمُؤمِنينَ
“Aur Kehte Hain Imaan Laaye ALLAH AUR RASOOL PAR aur HUKM MAANA Phir Kuch Unme k Uske Baad Phir Jaate Hai Aur Wo Musalmaan Nahi”
(Surah Noor Ayat 47)

Ayat 22 :
وَإِذا دُعوا إِلَى اللَّهِ وَرَسولِهِ لِيَحكُمَ بَينَهُم إِذا فَريقٌ مِنهُم مُعرِضونَ
“Aur Jab Bulaye Jaaye Allah Aur Uske Rasool Ki Taraf Unme Faisla Farmayga To Jabhi Unka Ek Farik Muuh Pher Jaata Hai”
(Surah Noor Ayat 48)

Kayamat Kay Din Inka Bura Anzam Hoga 
Ayat 23 :
يَومَ تُقَلَّبُ وُجوهُهُم فِي النّارِ يَقولونَ يا لَيتَنا أَطَعنَا اللَّهَ وَأَطَعنَا الرَّسولا
“Jis Din Inke Chehre Aag Me Baar Baar Ulte Jayenge To Kehten Honge:Haaye!Aye Kaash! Humne Allah Ka Hukum Mana Hota Aur Rasool Ka Hukum Mana Hota.”
(Surah Al Ahzab Ayat 66)

Aayat 19 se 23 tak ka maloom huwa jo log asl me Munkireen hai Hadees kay yaa ye munafik yaa kafir hai aur inke liye kayamat kay din dardnaak anjam hai.

Nabi E Karim ﷺ Ki Seerat Tumhare Liye Namuna Hai 
Ayat 24 :
لَقَد كانَ لَكُم في رَسولِ اللَّهِ أُسوَةٌ حَسَنَةٌ لِمَن كانَ يَرجُو اللَّهَ وَاليَومَ الآخِرَ وَذَكَرَ اللَّهَ كَثيرًا
"Beshak tumhare liye Allah kay Rasool hi behtareen namuna mauzud hai iske liye Jo Allah Aur Aakhirat ki Din ki ummid Rakhte hai Aur Allah ko bahut yaad karte hai"
(Surah Al Ahzab Ayat 21)

Is aayatein Karima Me Nabi E Karim ﷺ Ki Seerat E Pak ko Musalmano Kay Liye bahtareen namuna bataya gaya jispe amal karne ki targeeb Rab Taala ne Di hai munkireen e hadees bataye kay Nabi E Karim ﷺ ki Seerat ko apne liye namuna kaise banayenge Kya unhe Nabi ﷺ Ki Seerat Quran me Mil jayegi ? Ya Hadees Ki Aur Seerat E Nabwi ﷺ Ki jarurat padegi ?

Nabi E Karim  Ne Aise Gumrah Logo Ka Zikr Pahle Hi Kar Diya Tha 
Hadees 01:
"Hazrat Miqdad Bin Ma'di Radiallahu Anhu Bayan Karte Hain Ke Rasool Kareem ﷺ Ne Farmaya,"Sun Lo Mujhe Quran Aur Iske Saath Iski Misl Ata Ki Gayi Hai,Sun Lo,Kareeb Hai Ke Koi Shikkam Ser Shakhs Apni Masnad Par Yun Kahe:Tum Is Quran Ko Lazim Pakdo Pas Tum Jo Chiz Isme Halal Pao Ise Halal Samjho Aur Tum Jo Chiz Isme Haram Pao Ise Haram Samjho,Halanki Allah Ke Rasool ﷺ Ne Jis Chiz Ko Haram Qarar Diya Hai,Wo Aise Hi Hai Jaise Allah Ne Haram Qarar Diya Hai,Sun Lo Paltu Gadhe,Kachli Wale Darinde Aur Zimmi Ki Giri Padi Koi Chiz,Ila Ye Ke Wo Khud Isse Be Niyaz Hojaye, Tumhare Liye Halal Nahi,Aur Jo Shakhs Kisi Qom Ke Yahan Padhao Dale To  Inlogo Par Lazim Hai Ke Wo Iski Ziyafat Kare,Aur Agar Wo Iski Ziyafat Na Kare,To Phir Ise Haq Hasil Hai Ke Wo Apni Ziyafat Ke Barabar Inse Wusool  Kare"
(Sunan Abu Dawood, Vol : 05, Kitab Al Sunnah, Pg :578,
باب فِي لُزُومِ السُّنَّةِ Hadees : 4604)
(Imam Tirmizi Sunan, Kitabul Ilm, Hadees : 2664)
قَالَ أَبُو عِيسَى هَذَا حَدِيثٌ حَسَنٌ غَرِيبٌ
Imam Tirmizi Rahmatullah Alaih Farmate hai Ye hadees Hasan Gharib hai
(Imam Ibn Majah Sunan,Vol : 01, Kitab Al Sunnah, Hadees : 12)
(Imam Darmi Sunan, Vol :01, Pg : 144, Hadees : 592)
(Imam Ibn Hibban Sahih, Vol : 01, Hadees 97)
(Khatib Tabrezi Mishkat Al Masabih, Vol : 01, Kitabul Ilm, Baab Al Aitesaam, Hadees : 163)
Scan Page Sunan Abu Dawood 
Hadees E Pak Me Quran Ki Misl jo cheez di gayi wo kya hai ? wo yehi hadees e paak hai, aise fitne kay bare me hi Nabi E Karim ﷺ ne farmaya kay wo tumse kahega kay Haram halal bas wo hai jo Quran me hai uske elawa nahi yaani wo ye dawa karega sirf Quran maano aur Farmaan e Rasool ﷺ Na mano aur aaj munkireen e hadees ki shakl me ye fitna hamare darmiyan aagaya hai.

Nabi E Karim  Ne Quran Aur Sunnat Ki Pairwi Ka Hukm Diya
Hadees 02 :
وَحَدَّثَنِي عَنْ مَالِكٍ، أَنَّهُ بَلَغَهُ أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم قَالَ ‏ "‏ تَرَكْتُ فِيكُمْ أَمْرَيْنِ لَنْ تَضِلُّوا مَا تَمَسَّكْتُمْ بِهِمَا كِتَابَ اللَّهِ وَسُنَّةَ نَبِيِّهِ
“Hazrat Malik Ibn Anas Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Nabi E Akram ﷺ Ne Farmaya Mai Tumhare Darmiyan Do Chize’n Chode Jaa Raha Hoon Jab Tak Inhe Thame rahoge Kabhi Gumraah naa Hoge, Ek Kitabullah (Quran) Aur Ek Meri Sunnat”
(Imam Malik Al Muwatta, Pg : 688, Kitab Al Qadr, Hadees : 1718)
(Imam Bayhaqi Sunan Al Kubra, Vol : 10, Pg : 114 Hadees E Ibn Abbas Radiallahu Anhu)
(Imam ibn Abdul Barr Maliki At Tamheed, Vol : 24, Pg :331 hadees Sahih)
Scan Page Muwatta Imam Malik Click Here Front Page #178

Munkireen E Hadees Se Kuch Sawalat Jiska Jawab Sirf Quran Ki Sari Ayat E Karima Se De Tafseer Aur Hadees Ka Sahara Na Len kyuki Aap Usko Mante Nahi

1. Qur'an ki Jo ye surat hai Inke naam jaise Surah Baqrah Surah Nisa wagairah Rakhna, Qurani Surah ki tarteeb jaise 1 Fatiha 2 Baqrah 3 Imran, Ayat E karima kahan shuru hoti hai kahan khatm, phir Usme Ayat E Karima Ki tarteeb, Jabki Sabse Pahli Wahi E Ilahi to Iqra thi Aur Quran Ki Pahli Ayat to Alhamdullilahi hai wagairah ye chiz Qur'an me kahan hai aapko kaise maloom huwa ?

2. Aap Quran kay Arabic Matan padh rahe hai wo Zer, Zabar, Hamza, Pesh wagairah to baad Me lagaya gaya hai Aapko kaise pata kay jo aap padh rahe hai wo sahih hai ?
3. Quran me Namaz Ada karne ka hukm kaafi jagah hai, Namaz kay liye Quran me waqt kahan hai ? Konsi namaz kab Ada hogi kab kaza hogi kaise padhi jayegi iska Zikr Quran se Dikhade Aur Namaz Ka Kayi mana hai aapne wohi maana kaise liye jo tamam Musalman lete hai ?

4. Quran me Zakat ada karne ka Zikr hai Zakat Kitni Deni hai kaise deni hai kis chiz pe deni hai ye kaise pata ?

5. Quran me halal haram ki takira bata den aap jo daal, Ice cream wagairah khate hai Ye Haram hai ya halal Quran Se saabit karen.

In Sha Allah Taala Isse Kaafi Subhat ka izala hogaya hoga koi kitna hi bada khud ko munkireen e hadees kahe ya dawa kare inka jawab naa la sakega albatta ye kahega iska ilm lughat se huwa ya hadees se huwa magar sahih jawab na deke baat ghumayga.

munkareen e hadees, Inkar E Hadees Ka Fitna, Hujjiyat E Hadees, Islam Me Hadees Ki Ahmiyat 

Post By Shaikh Sher Ali Hanfi keep us remember in your prayer 

4 comments:

  1. جزاك الله خير كثيرا

    ReplyDelete
  2. मस्लके आलाहजरत ज़िंदाबाद - MASLAKE AALAHAZART ZINDABAAD - مسلک اعلٰیحضرت زنداباد

    ReplyDelete
  3. Maslake ala hazrat zindabad

    ReplyDelete

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers