http://www.systemoflife.com/articles/refutation/2000034-najd-in-the-eyed-of-classical-scholars#axzz5K4bBRGN8Najd Aur Iraq
Salamun Alaykum
Tamam Taareef ALLAH Taala K Liye
Sallu Alal Habib Swallallahualaihiwasallam
Yeh Ek Chota Sa Risala Is Mauzu Per K Najd Aur Iraq Yeh Dono Alag Ilaqa Hai Chunki Wahbi Apna Pura Zor Lagadete Hai Yeh Sabit Karne K Liye K Najd Wa Iraq Dono Ek Hi Hai Aur Nabi Alayhissalam Ne Jis Najd K Liye Dua Na Ki Wo Iraq Hai Aur Wahi Per Fitne Aur Zalzale Hai.
Is Risale Me In Sha ALLAH Taala Wahbiyo K Is Batil Aqeede Ki Dhajjiya Udaadi Jayegi.
Sabse Pehle Hum Najd Aur Iraq Ka Maana Dekh Lete Hai.
Najd Ka Maana Arbi Lughat Me Yun Hai : Buland Zameen : Al Kamoos Safa No. 879
Scan Page :
Salamun Alaykum
Tamam Taareef ALLAH Taala K Liye
Sallu Alal Habib Swallallahualaihiwasallam
Yeh Ek Chota Sa Risala Is Mauzu Per K Najd Aur Iraq Yeh Dono Alag Ilaqa Hai Chunki Wahbi Apna Pura Zor Lagadete Hai Yeh Sabit Karne K Liye K Najd Wa Iraq Dono Ek Hi Hai Aur Nabi Alayhissalam Ne Jis Najd K Liye Dua Na Ki Wo Iraq Hai Aur Wahi Per Fitne Aur Zalzale Hai.
Is Risale Me In Sha ALLAH Taala Wahbiyo K Is Batil Aqeede Ki Dhajjiya Udaadi Jayegi.
Sabse Pehle Hum Najd Aur Iraq Ka Maana Dekh Lete Hai.
Najd Ka Maana Arbi Lughat Me Yun Hai : Buland Zameen : Al Kamoos Safa No. 879
Scan Page :
Aur Iraq Ka Maana : Tool Me Samander Ka Kinara : Al Munjad Safa
No.555 & Misbah Ul Lughat Safa No. 526.
Scan Page :
Lughat Se Saaf Zahir Hai K Najd Buland Zameen Ko Kehte Hai
Aur Iraq Ko Tool Me Samander Ka Kinarah , Is Buniyad Per Toh Wahbi Ki Jahalat
Nazar Aati Hai K Wo Iraq Aur Najd Ko Ek Kehta Hai.
Ab Aaye Hadees Shareef Ki Taraf Jaha Se Yeh Sabit Hai K Najd
Aur Iraq Yeh Dono Alag Alag Ilaaqe Hai
Hadees # 1
Sahih Muslim English Version Book 07 Hadees 2666
وحدّثني مُحَمَّدُ بْنُ حَاتِمٍ وَ
عَبْدُ بْنُ حُمَيْدٍ . كِلاَهُمَا عَنْ مُحَمَّدِ بْنِ بَكْرٍ .
|
قَالَ عَبْدٌ : أَخْبَرَنَا مُحَمَّدٌ
أَخْبَرَنَا ابْنُ جُرَيْجٍ . أَخْبَرَنِي أَبُو الزُّبَيْرِ أَنَّهُ سَمِعَ
جَابِرَ
|
بْنَ عَبْدِ اللهِّ رَضِيَ اللهُّ
عَنْهُ مَا يُسْأَلُ عَنِ الْمُهَلِّ؟ فَقَال: سَمِعْتُ أَحْسَبُهُ
|
مُهَلُّ أَهْلِ الْمَدِينَةِ مِنْ ذِي
الْحُلَيْفَةِ. وَالطَّرِيقُ الآخَرُ « رَفَعَ إِلَى النَّبِيِّ فَقَالَ
|
الْجُحْفَةُ. وَمُهَلُّ أَهْلِ الْعِرَاقِ مِنْ ذَاتِ
عِرْقٍ. وَمُهَلُّ أَهْلِ
نَجْدٍ مِنْ قَ رْنٍ. وَمُهَلُّ
|
أَهْلِ الْيَمَنِ مِنْ يَلَمْلَمَ ».
|
Is Hadees Ka Mukhtasar Tarjuma Kardetau K Yaha Per Sahaba E
Kram Se Ihram K Halat Me Andar Dakhil Hone K Baare Pucha Gaya Toh Aapne Kaha K
Nabi Alayhissalam Ne Farmaya K Madina Walo K Liye Dhul –Hulaifa Hai , Syria Walo
K Liye Juhfa , Iraq Walo K Liye Dhat Al-Irq ,Najd Walo K Liye Qarn (Al-Manazil)
Aur Yemen Walo K Liye Yalamlam Hai.
Hadees # 2
Sunan Nisai Hadees 2657 Kitab Al Hajj Baab 22 Miqat Ahle Iraq
أَخْبَرَنِي مُحَمَّدُ بْنُ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ عَمَّارٍ الْمَوْصِلِيُّ،
قَالَ حَدَّثَنَا أَبُو هَاشِمٍ، مُحَمَّدُ بْنُ عَلِيٍّ عَنِ الْمُعَافَى، عَنْ
أَفْلَحَ بْنِ حُمَيْدٍ، عَنِ الْقَاسِمِ، عَنْ عَائِشَةَ، قَالَتْ وَقَّتَ
رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم لأَهْلِ الْمَدِينَةِ ذَا الْحُلَيْفَةِ
وَلأَهْلِ الشَّامِ وَمِصْرَ الْجُحْفَةَ وَلأَهْلِ الْعِرَاقِ ذَاتَ عِرْقٍ وَلأَهْلِ نَجْدٍ
قَرْنًا وَلأَهْلِ الْيَمَنِ يَلَمْلَمَ .
Tarjuma: NABI Alayhissalam Ne Miqat Dhul Hulaifa Bataya Ahle
Madina Walo K Liye , Juhfa Bataya Ahle Sham Aur Egypt (Misr) Walo K Liye , Dhat
‘Irq Bataya Ahle Iraq Walo K Liye , Qarn Bataya Ahle Najd Walo K Liye Aur
Yalamlam Bataya Ahle Yemen Walo K Liye.
In Ahadees Se Saabit Hogaya K Najd Aur Iraq Yeh Dono Alag
Jagah Hai.
Issey B Wahbi Ka Dil Nai Bharega Aur Naahi Wo Haq Manega
Kyukay Waqt Aane Per Apni Nasl Ko B Choddena Wahbi Ki Fitrat Hai.
Wahbi Kahega K Ek Hadees Hai Jisme Nabi Alayhissalam Ne Iraq
K Liye Dua Nai Ki Hai.
Hadees Musanad Imam Ahmed Bin Hanbal ; Safa 450, Hadees 2302
Jiska Scan Me Niche Duga , Issey Yeh Sabit Karna Chahte Hai K Iraq Se Shaytan
Ka Singh Niklega .
Iski Liye B Me Hadees Pesh Karduga Jissey Baat Ek Dum Wazeh
Hojayegi.Sabse Pehli Wah Hadees Jisme Nabi Alayhissalam Ne Najd K
Liye Dua Na Ki.
Hadees # 1
Abdullah Bin Umar Radi Allahu Anhu Se Rivayat Hai Ki Rasooll
Allah ﷺ Ne Farmaya Aye Allah Shaam Aur Yemen Par Barkat Nazil Farma Is Par
Logon Ne Kaha Ki Hamarey Najd Ke Liye Bhi Barkat Ki Dua Kar Dijiye Aap ﷺ Ne
Phir Wohi Farmaya Aye Allah Mulk E Shaam Aur Yemen Par Barkat Nazil Farma, Is
Par Logon Ne Kaha Ki Hamarey Najd Mein ? To Aap ﷺ Ne Farmaya Wahan To Zalzaley
Aur Fitney Hongey Aur Shaitan Ka Sing Wohi Se Tulu Hoga
Sahih Bukhari, Kitab Al Istisqa , Hadees 1037 ; English Book
K Hisab Se Kitab No. 15 Hadees 32
Is Hadees Se Saaf Malum Hua K NAJD Me Zalzaley Aur Fitney
Hongey Isi Wajah Se Nabi Alayhissalam Ne Dua Na Farmai ,
Ab Me Wo Hadees Pesh Karuga Jaha Nabi Alayhissalam Ne Iraq K
Liye Dua Farmai.
Imam Tabrani ,Al Mua’jam Us Sageer Jild 1 Hadees 273
إسحاق بن خالويه الواسطي حدثنا علي بن
بحر بن بري حدثنا
|
هشام بن يوسف الصنعاني أخبرنا معمر
حدثنا ثابت البناني وسليمان
|
التيمي عن أنس بن مالك أن النبي صلى
الله عليه و سلم نظر قبل
|
العراق والشام واليمن فقال اللهم أقبل
بقلوبهم على طاعتك وحط من
|
وراءهم لم يروه عن التيمي الا معمر ولا
عنه إلا هشام بن يوسف القاضي
|
تفرد به عنه علي بن بحر
|
Hazrat Anas Bin Malik Se Marwi Hai Nabi Alayhissalam Ne Iraq,Syria
Aur Yemen Ki Taraf Dekhkar Dua Farmai K A ALLAH Inke Diko Ki Farmbardari Qabul
Farma Aur Inke Ird Gird Barkat Ataa Farma.
Is Hadees K Baad Imam Haythami Ne Likha
رواه الطبراني في الصغير والأوسط
ورجاله رجال الصحيح غير علي بن بحر
|
بن بري وهو ثقة
|
K Imam Tabrani Ne Isey As Sageer Aur Al Awsat Me Riwayat Ki
Hai Iske Tamam Rawi Sahih K Hai ( Yaani Sahih Bukhari Wa Muslim K) Siwaye Ali
Bin Bahr Bin Bariy K Aur Yeh B Thiqa Hai ; Majma Uz Zawaid Jild 10 Safa 57.
Ab In Ahadees Se Saaf Zahir Hogaya K Jis Per Nabi Alayhissalam
Ne Dua Na Ki Aur Fitne Aur Zalzale Hone Ka Zikr Kiya Wo Najd Hai Aur Jinke Liye
Barkat Ki Dua Ki Wah Iraq Hai , Ab Issey B Zyada Kya Safai Hogi K Najd Wa Iraq Yeh
Dono Alag Alag Hai , Agar Ek Hote Toh Nabi Alayhissalam Kabhi Iraq K Liye Dua
Na Karte.
Me Yeh Batadu K Khud Wahbi B Maante Hai Is Baat Ko K Nabi
Alayhissalam Ne Iraq K Liye Dua Farmai Aur Inhone Yaani Wahbiyo Ne Isey Apni
Site System Of Life Per B Daala Hai , Screen Shot Zarur Dekhe
Link :
http://www.systemoflife.com/articles/refutation/2000034-najd-in-the-eyed-of-classical-scholars#axzz5K4bBRGN8
WAHBI BOLTA HAI MAGAR SAMAJTA NAI
Wama Alayna Illal Balag
-Shaikh Mohammad Imran Saifi.
Mashallah
ReplyDelete