بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ
الرَّحِيم
Wahabi Ka Aitraaz Aala Hazrat Fazil E Barelvi Shah Imam Ahmad Raza Khan Rahmatullah Alaih Pe
“Ek Bibi Ne Marne kay baad Khwab Me Apne ladke Se Farmaya mera Kafan Aisa Kharab hai kay mujhe Apne Saathiyo me jaate Sharm Aati hai, Parso Ek Shaks Aane Waala hai Uske Kafan Me Acce Kapde Ka Kafan Rakh Dena, Subah ko Sahabzaade ne uth kar Us Shaks Ko Daryaaft Kiya Maloom Huwa Ki Woh Bilkul tandrust hai Aur Koi Marz Nahi Teesre Roz Khabar Mili Uska Inteqal Hogaya Hai, Ladke Ne Fauran Nihayat Umda Kafan Silwa Kar Uske Kafan Me Rakh Diya Aur Kaha Meri Maa Ko Pahucha Dena Raat Ko Saaleha Khwab Me Tashreef Laayi Aur Bete Se kaha Khuda Tumhe Jaza Khair De Tumne Bahot Accha Kafan Bheja hai”
Reference :
(Muhammad Mustafa Raza Khan Al Maroof Mufti Azam Hind,
Kitab Al Malfoozat Aala Hazrat Hissa 01, Pg : 122 Hindi Edition, Print Razvi Kitab Ghar)
Isko naql karke Wahabi firqe ka Imam E Ahle Sunnat Fazil E Barelvi pe naa haq aur tassub ki bina pe aitraaz karna kay Sunniyo kay yahan murde kafn kay saath marne kay baad milte hai aur dusra ye waqya Mufti Ahmad Raza Khan Barelvi ne kya kya gad rakha hai ek aam musalman ko ye batane ki naa haq koshish hoti hai kay inke aqaid kitne kharab hai halanki isme kuch kharab nahi par apni baat ko wahabi firqa is andaaz me bayan karte hai ghair muqalideen kay turram khaan Meraj Rabbani is waqye ko bayan karke kahte hai dekho inke murde picnic manate hai aur ek aam Musalman inke makr wa fareb me aajata hai.
Imam Jalaludin Suyuti Ash Shafai
Rahmatullah Alaih Al Mutwaffa 911 Hizri ne is unwaan pe apni tasneef
Sharusudoor me kayi hadees naql ki hai jo hum yahan pesh kar rahe hai
jisko padhke aap samajh jayenge Wahabi Firqe Ki Ilmi Kabiliyat kitni hai aur Is
kaum ne kitna padha hai hote to jaahil hai par dawa hai Ahle Hadees hone ka.
Is Talluk
Se Imam Suyuti Ne kayi hadees naql ki hum yahan 06 rivayat naql kar rahe hai
aur footnote me unke hawale de rahe hai.
“Hazrat
Sayyidna Jabir Ibn Abdullah Radiallahu Anhu Se Rivayat hai ki Huzoor Nabi E
Akram ﷺ Ne
Irshad Farmaya Apne Murdo ko Acche Kafan Do Kyuki Who Apni kabro Me Baham
Mulakat Karte hai Aur (Acche Kafn) Par Fakhr Karte Hai – (01)
Muslim
Sharif Me hain Ki Jab Tum Kisi Wali hoto Usse Accha Kafan – (02)
Imam Ibn
Shireen Rahmatullah Alaih Se Marvi Hai Kay Acche Kafan Ko Pasand Kiya Jaata hai
aur Kaha Jaata Tha Murde Apne Kafan Kay saath milte hai - (03)
Hazrat
Abu Hurraira Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Rasool E Akram ﷺ Ne Farmaya Apne Murdo Ko
Accha Kafn Do Kyuki Wo Apni Kabro Me Baham Mulakat Karte Hai. (04)
Hazrat
Anas Ibn Malik Se Rivayat hai Rasool E Akram ﷺ Ne Farmaya Tum Me Se Jab Koi Kisi Ka Wali Ho To Usse Acche
Kafan De Kyuki Murde Apne Kafano Me Aapas Me Mulakat Karte hai. (05)
Hazrat
Abu Qatadah Radiallahu Se Marvi hai Nabi E Akam ﷺ Ne Farmaya Jab Tum Me Se Kisi ka Wali Ho To Usse Acche kafan De
Kyuki Murde Apni Kabr Me Aapas Me Mulakat Karte hai.(06)”
Reference
:
(Imam
Jalaludin Suyuti Sharaus Sudoor, Pg : 192 -93, Baab : Kabr Me Murdo Kay Uns,
Namaz, Tilawat, Inaamat Wa Libas Aur Deegar Ahwaal Ka Bayan)
Scan Page
of Sharaus Sudoor Lil Suyuti
01) Imam Daylami Al Musnadul Firdaus Vol : 01, Pg : 66, Hadees : 316
02) Sahih Muslim vol Pg Kitabuz Janaiz Baab : Tahseen Kafan Al Mayyat,
Hadees : 943
03) Al Musannaf Ibn Shayba Vol : 03, Pg : 468, Hadees : 11131,
Kitabuz Janaiz, Baab No 49 : Maa Yakulu Fi Tahseen Al Kafan
04) Imam Ibn Adi Al Kamil, Vol : 04, Pg : 237, Raqam : 734 Suleman
ibn Arqam
05 Kitab Zaufa Vol : 02, Pg :408, Raqam : 491
06) Sunan Ibn Majah Vol : 03, Pg : 468, Kitbuz Janaiz, Hadees : 1474
Sahih
Upar
bayan In Ahadees E Karima Se Maloom Huwa Kay Murde Kabr me Acche Kafn Kay saath
Ek Dusre Se Mulakat Karte hai to ab ye koi Imam Ahmad Raza Khan Alaihrehma ka
Aqeedah nahi balki ye to 1400 Saal Se Islami Aqaid hai jo Sahaba Se Leke
Aaj Tak rayeez hai jo hadees e karima me hai to ab yahan Aala Hazrat Alaihrehma
Par Aitraaz naa kare balki apni bad aqeedgi pe afsos kare aur tauba karke Sahih
Sunni Aqeedah ban jaaye.
Ab Dusra
Aitraaz is Waqye ko leke Kay isko bhi Imam Ahmad Raza Khan Rahmatullah Alaih ne
likh maara hai ye unhone koi Apni taraf Se Nahi bayan kiya balki ye waqya naql
kiya hai Imam Jalaludin Suyuti ki ussi kitab me se mulahiza karen Ye Ussi tarah
ka same waqya.
“Hazrat
Sayyidna Muhammad Ibn Yusuf Firyabi Rahmatullah Alaih farmate hai “Kaisarya”
me ek Aurat Faut hogayi uske Beti ne usko Khwab me Yun Kahte huwe Suna ki Tum
Logo ne Mujhe Tang Kafan Diya hai, Ab Mujhe Apne Saath Waaliyo me Sharm Mehsoos
karti hoon, Suno ! Maine falan jagah chalis dinaar rakhe hai falan din falan
aurat mere pass aayegi Lihaja Un Darahim ka kafn kharid kar us Aurat ko dedo
woh hum tak pahucha degi.
Uski
Beti Kahti Hai Maa ne Jis jagah ki nishan dehi ki thi Mere Ilm me to wahan koi
Deenar nahi tha Phir Bhi jab Maine us Jagah Dekha to Waqayi Wahan Chalis Deenar
Rakhe he Aur Walida Sahiba Ne Jis Aurat Kay marne ka kaha tha Usse bhi us waqt
koi bimaari naa thi lekin phir bhi woh bimaar hogayi.
Hazrat
Muhammad Ibn Yusuf Firyabi Alaihrehma Farmate hai Logo ne mujhe aakar ye baat
batayi aur pucha Aye Abu Abdullah ! Aap Is masle Me Kya farmate hai ? To Mujhe
Is masle Me Ummul Momineen Ayesha Siddiqa Radiallahu Anha Se marvi wo Hadees E
Paak Yaad Aagayai
“Murde
Apne Kafno Me ek dusre Se Mulaqat Karte hai” 07
To
Maine Unse Kaha Tum Bazazain Jao Wahan Do Mashoor Muhadis Ibn Neshapur aur Abu
Toba kay naam se mashoor hai wo tumhara masla hal kar denge logo ne us ladki ko
Bazazain bhej diya wahan wo Muhadiso ne usse kafan kharid kay de diya Phir jis
Aurat kay mutallik usko khwab me bataya tha wo unke pass pahuchi aur unse kaha
Muhtarma Mai Aapko Ek Cheez Dungi agar Aap Inteqal kar jaaye to usko meri
walida ko dedena unhone kaha thik hai Mai Tumhari Amanat pahucha dungi
Phir jo
waqt aur Din Us Marhooma ne khwab me bataya tha ussi din us muhtarma ka inteqal
hogaya Logo ne Ladki ka kharida huwa kafan us aurat kay kafn me rakh diya kuch
Din baad Us ladki ne Apni Walida ko khwab me dekha Aur Kahte Huwe Suna Aye Meri
Beti Fulan Aurat hamare Pass Pahuch Gayi Aur Kafan Bhi Mujhe mil chuka jo bahot
Accha hai ALLAH Taala tujhe Iski Behtareen Jaja Ata Farmaye”
Reference
:
(Imam
Jalaludin Suyuti Sharaus Sudoor, Pg : 194 Arabic)
Scan
page
Aur Isko
Imam Suyuti Rahmatullah alaih ne apni taraf se nahi likha hai unhone isko Imam
ul Hanabila Imam Ul Muhadiseen Imam Abul Faraz Abdur Rehman Ibn Jauzi
Rahmatullah Alaih Se Naql Kiya hai.
(Imam
Abul Faraz Abdur Rehman ibn Jauzi Siddique Hanbli, Al Mutwaffa 597 Hizri, Uyun
Al Hikayat Vol : 02, pg : 306 Hikayat Number : 427)
Scan Page
Scan Page
07) Imam Ibn Abi Shayba Al Musannaf Vol : 03, Pg : 469, Kitabuz
Janaiz, Baab No 49 : Maa Yakulu Fi Tahseen Al Kafan
Ab Gumraah Wahabi Firqe Ko thoda Mehnat karna chahye aur jitna bebaki se
Wo Imam Ahle Sunnat Ka Mazaak udha rahe they thoda mehnat karke Imam Suyuti aur
Imam Abul Faraz Abdur Rehman Ibn Jauzi, Imam Faryabi, Muhadis Abu Toba, Ibn
Neshapuri ka udhaye aur lagaye Shirk kay fatwe lagaye yaa tauba karke sahih aqeedah hojaye.
ALLAH Tamam Musalmano ko Fitna E Wahabiya Se Mehfooz rakhe
Aamin
Keep Remembrance at your prayer Shaikh Sher Ali Hanafi
ALLAH Tamam Musalmano ko Fitna E Wahabiya Se Mehfooz rakhe
Aamin
Keep Remembrance at your prayer Shaikh Sher Ali Hanafi
Masha Allah Bohat mudalill aur La-jawab post.
ReplyDeleteAllah Taala Jazaye khair ata farmaaye Ameen
Ameen
Deleteमाशा अल्लाह अल्लाह आपको ओर हमें सुन्नियत पे कायम रक्खे
ReplyDeleteSari baten jhoonthi aur manghadant kahani hai
ReplyDelete