Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Wednesday, 4 July 2018

Jamat Ki Namaz Me Kab Khade Hona Chahiye

سم الله الرحمن الرحيم
♥ السلام عليك يا رسول الله ♥ ♥ السلام عليك يا حبيب الله ♥

Baab 01 : Farz Namaz Me Iqamat Kay Waqt Kab Khade Hona Chahiye ? NAMAZ ME KAB KHADE HONA BY FAROOQUE KHAN RAZVI SHORT VIDEO


Namaz Ki Iqamat kay waqt Imam Aur Muqtadi ko kab khade hona chahye ye silsile me jab hum aaj halaat ka jaiza le to dekhte hai hum Ahle Sunnat ki Masjid me kuch fitna parast wahabi aate hai aur intentionally Namaz ki iqamat kay waqt hi khade hojate hai aur jab unhe kaha jaaye bhai beth jao Hayya Alas Salah pe khade hona chahiye pahle se nahi khade rahna chahye ye khilaf e sunnat hai to wo naa ki beth te hai balki logo se jhagda karte hai.
Awwal to ye hai kay Jab wahabi firqe kay aqabir mufti hum Ahle Sunnat ko Musalman hi nahi maante hume Mushrik kahte hai to hamare Imam Kay piche Namaz padhne kyun aate hai ?
Jab is masle me hum Ahadees E Karima, Sahaba E Kiram ka Amal aur Fuqaha Muhadiseen ki taraf nazar daale to maloom hota hai kay wahabi ek jhuta firqa hai balki ye amal karna kay Namaz E Iqamat kay pahle hi khade hojana Makrooh aur Hadees E Rasool ﷺ Aur Sunnnat E Sahaba kay khilaf Hai. WAHABI SAZISH KO SAHIH SE SAMJHO : Ye Inki ek badi sazish ka hissa hota kay awaam kay saamne khud ko ye dikhaye kay hum to Sunnat kay tarike ko follow kar rahe hai aur hume fitna parwar bataya jaa raha taaki kisi tarah kuch himayat haasil karle. Matlab Saaf hai Namaz padhna nahi asal apne baatil firqe ka prachar karne aate hai warna Apni hi Wahabi Masjid kay Imam kay piche kyun nahi jaate ?

Hadees  01 :
أَبِي قَتَادَةَ، عَنْ أَبِي قَتَادَةَ، قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ‏"‏ إِذَا أُقِيمَتِ الصَّلاَةُ فَلاَ تَقُومُوا حَتَّى تَرَوْنِي
Hazrat Abu Qatadah Radiallahu Anhu Se Marvi hai Nabi E Akram Ne Irshad Farmaya Jab Iqamat Kahi Jaaye to tum log us waqt tak khade naa hona jab tak mujhe naa dekh lo” References : (Sahih Bukhari, Kitabul Azaan, Hadees : 637, 638)
(Sahih Bukhari, Kitabul Jumaah, Hadees : 909) (Sahih Muslim, Kitab Mawazeus Salat, Hadees 1266) (Sunan Nasai, Kitabul Azaan, Hadees : 688) (Sunan Nasai, Kitab Al Imamah, باب قِيَامِ النَّاسِ إِذَا رَأَوُا الإِمَامَ Hadees : 790) (Sunan Abu Dawood, Kitab As Salat, Hadees : 539, 540) (Jamai Tirmizi, Kitab Safar, Baab No : 29, Hadees : 592)

قَالَ أَبُو عِيسَى حَدِيثُ أَبِي قَتَادَةَ حَدِيثٌ حَسَنٌ صَحِيحٌ
Is hadees E paak se ye maloom huwa Kay Khud Nabi Ne Talim farmaya kay namaz kay liye us waqt tak khade naa hona jab tak Mujhe naa aata naa dekh lo.
Ab Yahan Sawal Hai Kay Nabi E Akram Aate Kab They ? Hadees 02:
Hazrat Umme Habiba Radiallahu Anha Farmati Hai Ki Nabi Huzre Mubarak Me Tashreef Farmat They Aur Muazzin Kay Kalimat Ka Jawab Ussi tarah de rahe they jab muazzin Ne ‘HAYYA ALAL SALAT’ kaha To aap Namaz kay liye Khade hogaye. References : (Imam Abdul Razzaq Al Musannaf Vol : 01, Pg : 481, Hadees : 1851) (Imam Tabarani Al Mu’jam Ul Kabeer Vol : 23, Hadees :485) (Imam Mutaqqi Hindi Kanjul Ummal Vol:08, Hadees :23273)
Hadees 03:
Hazrat Abdullah ibn Auf Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Ki Jab Hazrat Bilaal ‘KAD KAAMA TIS SALAT’ Kahte to Rasoolullah Takbeer Kahte huwe khade hojate.
References :
(Sunan Kubra Al Bayhaqi Vol :02, Hadees : 2297)
(Imam Bazzar Al Musnad Vol : 08, Hadees : 3371)
(Imam Ibn Hajar Asqalani Lisanul Mizaan Vol : 02, Pg : 564)
SAHABA RIZWANULLAHIM AZMAYEEN KA AMAL
HAZRAT ALI RADIALLAHU ANHU KA AMAL
Hadees 04:
Hazrat Abu Khalid Walbi Rahmatullah Alaihi Hazrat Ali Radiallahu Anhu Se Rivayat Karte Hai Ki Ek Martaba Aap Iqamat Hojane kay baad tashreef laaye aur logo ko dekha ki wo aapki aamad ka intezar kar rahe hai Aap Ne Farmaya Mujhe kya huwa kay tumhe Intezar me khada huwa dekh raha hoon. References : (Musannaf Ibn Abi Shayba Vol : 02, Pg :333, Hadees : 4117) (Musannaf Abdur Razzaq Vol : 01, Pg : 504, Hadees : 1933) (Imam Nawawi Sharh Sahih Muslim Vol : 04, Pg :231) (Sunan Al Kubra Al Bayhaqi Vol : 02, Pg :32)
HAZRAT ANAS IBN MALIK RADIALLAHU ANHU KA AMAL Hadees 05: Hazrat Anas Ibn Malik Radiallahu Anhu Se Rivayat ki Gayi kay Jab ‘KAD KAMATIS SALAT’ kaha jaata to Aap Jaldi Se khade hojate. References : (Imam Ibn Abdul Barr Al Tamheed Vol :04, Pg :174) (Imam Qazi Iyaaz, Akmalul Al Muallim Vol : 02, Pg :557) (Imam Nawawi Sharh Sahih Muslim Vol : 04, Pg :231) (Sunan Al Kubra Al Bayhaqi Vol : 02, Pg :33)
Hazrat Imam Hussain Ibn Ali Radiallahu Anhu Hadees 06: Hazrat Ubaidullah Ibn Abi Yazeed Rahmatullah Alaih Ne Imam Hussain Ibn Ali Radiallahu Anhu Ko Zam Zam Kay Kun’we kay karib dekha idhar Iqamat Kahi Jaane Lagi to Imam Aur Logo kay bich ektelaf Hogaya ek ne buland Awaaz Se Kaha Namaz Khadi hochuki hai to logo ne usse kaha beth jao Muazzin Kad Kamatis Salat Kahega (phir khade hona) References : (Al Musannaf Ibn Shayba Vol : 03, Hadees : 4123) (Musannaf Abdur Razzaq Vol : 01, Hadees : 1937)
Tabi‘een التابعين Ka Amal
Hadees :
Hazrat Ibrahim Nakhayi Rahmatulla Alaihi Farmate Hai Jab Muazzin (Iqamat Me) HAYYA ALAL SALAT Kahta To Aap (Galiban Hazrat Abdullah ibn Masood Radiallahu anhu) Uth Khade Hote Aur Jab Muazzin “Kad Kamatisalat” Kahta to Aap Takbeer Kahte
(Al Musannaf Ibn Shayba Vol : 02, Pg : 332, Hadees : 4114)
Hadees :
Imam Ibn Juraiz Rahmatullah Alaih Ne Kaha Maine Hazrat Ataa Se Pucha Jab Muazzin ‘KAD KAMATIS SALAT’ Kahe To kya Log Is Waqt Khade Hojaye,
Hazrat Ataa Ne Farmaya HAAN
(Al Musannaf Abdur Razzaq Vol : 01, Hadees : 1936)
Hadees :
“Hazrat Imam Ibrahim Al Nakha'i Rahmatullah Alaih Se Rivayat hai Ki Jab Muazzin Hayya Alal Falaah Kahe To Kaum Saff Me Khadi Ho”
(Imam Abu Yusuf, Kitabul Aasaar Pg : 19, Hadees : 89)
Hadees :
Hazrat Abu Ubaid Rahmatullah Alaih Kahte Hai Ki Maine Makame Hanasra Me Hazrat Umar Ibn Abdul Aziz Rahmatullah Alaih ko ye Farmate Huwe Suna Ki Jab Muazzin ‘Kad Kamatis Salat’ Kahe Tab Khade Huwa Karo
Reference :
(Imam Ibn Abi Shayba Al Musannaf Vol : 03, Hadees : 4121)
(Imam ibn Abdul Barr At Tamheed Vol : 04, Pg :173)
Hadees :
Imam Muhammad Rahmatullah Alaih Farmate Hai Ki Hume Imam Abu Hanifa Rahmatullah Alaih Ne Khabar Di Ki Imam Ibrahim Nakhai Farmate Hai Jab Muazzin (Iqamat Me) Hayya Alal Falah Kahe To Kaum Ko Chahye Kay Khade Hokar Saff Bandhe Aur Jab Muazzin ‘Kad Kamatis Salat’ Kahe to Imam Taqbeer Kahe.
(Imam Muhammad Kitab Ul Aasaar, Kitabus Salat, Pg : 53, Hadees : 63)
Hadees :
Hazrat Anas Ibn Malik Radiallahu Anhu Se Rivayat Ki Gayi Ki Jab “Kad Kamatisalat” Kaha Jaata To Aap Jaldi Se Khade Hojate Aur Yehi Hazrat Hasan Ibn Ali Radiallahu Anhu Ki Sunnat Hai Aur Aur Yehi Hazrat Ata Rahmatullah Alaih Aur Imam Hasan Basri Radiallahu Anhu Ka Kaul Hai.
(Sunan Kubra Al Bayhaqi Vol : 02, Pg :33)

Hadees :
Imam Tirmizi Apni Sunan me Hazrat Qatadah Waali Hadees (Jo humne 1st hadees likhi wo) Likhne kay baad farmate hai

‏‏‏‏ وَقَدْ كَرِهَ قَوْمٌ مِنْ أَهْلِ الْعِلْمِ مِنْ أَصْحَابِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم وَغَيْرِهِمْ أَنْ يَنْتَظِرَ النَّاسُ الإِمَامَ وَهُمْ قِيَامٌ ‏.
وَقَالَ بَعْضُهُمْ إِذَا كَانَ الإِمَامُ فِي الْمَسْجِدِ فَأُقِيمَتِ الصَّلاَةُ فَإِنَّمَا يَقُومُونَ إِذَا قَالَ الْمُؤَذِّنُ قَدْ قَامَتِ الصَّلاَةُ قَدْ قَامَتِ الصَّلاَةُ ‏.‏ وَهُوَ قَوْلُ ابْنِ الْمُبَارَكِ
Ulemaaye Sahaba Ki Jamaat logo kay khade hokar Imam ka Intezar Karne Ko Makrooh Samajhte Hai Aur Baaj Ahle Ilm Kahte Hai Ki Imam Kay Masjid Me Dakhil Hote Huwe Iqamat Hoto (Log) Us Waqt Khade Ho Jab Muazzin ‘Kad Kamatis Salat , Kad Kamatis Salat’ Kahe Aur Yahi Imam Ibn Mubarak Ka Kaul Hai.
(Imam Tirmizi, Kitabul Safar Hadees : 592 )
Tabe Tabain Ka Amal
Imam Muhammad Hasan Shaybani (Al Mutwaffa 189 Hizri)
Imam Muhammad Rahmatullah Alaih Farmate Hai Ki Logo Kay liye Munasib Hai ki Jab Muazzin Iqamat Me Hayya Alal Falah Kahe to Khade Hokar Apni Safe Sidhi Kare Aur Jab Muazzin “Kad Kamatis Salat” Kahe to Imam Takbeer Kahe Aur Yahi Imam Abu Hanifa Ka Kaul Hai.
(Muwatta Imam Muhammad, Kitabus Salat, Pg : 87-88)
Allama Aalam Ansari Dahelvi Rahmatullah Alaih Imam Muhammad Ka qaul naql karke farmate hai hamare teeno ulema kay nazdeeq hai.
(Fatawa Tatarkhaniya vol : 01, Pg : 387)
Allama Shami Is Masa’le Par Bahot Si Ahnaaf Ki Kitabo Ko Zikr Karne Kay baad kahte hai ki Main Kahta hoon ki Allama Muttaqi Kay matan me isko bayan kiya gaya ki Aimma E Salasa (Imam Abu Hanifa, Imam Yusuf, Aur Imam Muhammad) Kay Nazdeeq Imam Aur Muqtadi Jab takbeer me Hayya Alal Falaah Kaha Jaaye Tab Khade Ho”
(Imam Shami Al Fatawa Vol : 02, Pg :177)

Agar Muazzin Imam Kay elawa Koi Dusra Ho Aur Imam Aur Muqtadi Masjid Me Hi Hoto Phir Muazzin Iqamat Me Jab Hayya Alal Falah Kahe to Aimma E Salasa Kay Nazdeeqi Imam Aur Muqtadi Us waqt khade hojaye hamare teeno Imam Kay Nazdeeq Yehi Sahih Hai”
(Fatawa Al Alamgiri Vol : 01, Pg : 63-64 Al Fasalussani Fil Kalimatil Azaana Kitabul Azaan)
“Khulasa E Kalam Is Masle Me Yeh Hai Kay Jab Muazzin Hayya Alal Falah Kahe Agar Imam Unke (Kaum) Saath Masjid Me Hai To Logo kay Liye Mustahab Hai Kay Is Waqt Khade Ho”
(Imam Abu Baqr Al Qasani Mutwaffa 557 Hizri ,Badeussanaye Vol : 01, Pg : 296 or 200, Kitabus Salat, Fasal Wa’amma Sunnataha)

Imam Qardari Likhte Hai
“Sunnat Ye Hai Kay Imam Aur Kaum Us Waqt Khade Ho Jab Muazzin Hayya Alal Falah Kahe”
(Tabi’nul Haqaiq Shara Kanzul Daqaiq Vol : 02, Pg : 34, Baab Aada’bi’salat)
AIMMA E AHNAAF KA IQAMAT SE PAHLE KHADE HONE KO MAKROOH KAHNE KI DALIL
Hazrat Muawiya ibn Qurrah Rahmatullah Alaih Se Rivayat Hai ki (Sahaba Aur Tabaiyn) Is baat ko Maqrooh Jaante They Ki Namaz Me Muazzin Kay Iqamat Shuru Karte Hi (Koi) Khada Ho
(Musannaf Abdur Razzaq Vol : 01, Hadees : 1850)
Hazrat Atiyaa Rahmatullah Se rivayat Hai Ki Hum Hazrat Ibn Umar Radiallahu anhu Kay pass bethe they to muazzin ne iqamat shuru kardi to hum khade hogaye to hazrat ibn Umar Radiallahu anhu Ne kaha beth jao jab Muazzin ‘KAD KAMATISALAT’ Kahe To Khade Hona
(Musannaf Abdur Razzaq Vol : 01, Hadees : 1940)
(Jamiul Ahadees Ul Kabeer Vol : 20, Hadees : 17360)
Hazrat Imam Hasan Basri Rahmutallah Alaih Se Marvi Hai Ki Aap Makruh Samajhte They Ki imam Muazzin Kay Kad Kamatisalat Kahne Se Pahle Khade Ho
(Imam Ibn Abi Shayba Al Musannaf Vol : 03, Hadees : 4121)
Imam Abdul Wahab Sharani Likhte Hai Hazrat Umar Radiallahu Anhu Kaha Karte They Jab Tak muazzin Qad Kamatis Salat naa kahe Namaz Kay liye khade naa huwa karo
(Kashful Gamma Pg : 98)

Imam Badruddin Ayni Rahmatullah Alaih Ne Likha Hai Mashoor Tabayn Hisham ibn Urwa Rahmatullah Alaih Makrooh Jaante they Ki koi khada ho is se pahle muazzin Kad Kamatis Salat Kahe
(Umdatul Qari Shara Sahih Bukhari Vol : 05, Pg : 154)
Imam Ibn Hajar Asqalani (Al Mutwaffa  852 Hizri) Jalilul Qadr Sahabi E
Rasool  Hazrat Anas Ibn Malik ka amal likhte hai
“Hazrat Anas us Waqt Khade hote Jab Muazzin قد قامت الصلاة Qad Qamatis Salah Par Hota”
(Fathul Baari Shara Sahih Bukhari,  Vol : 02, Pg : 462, Kitabul Salat, baab : Mata Yakumannas)

Imam Muhammad Ibn Ahmad Al Sarakshi apni Mabsut me likhte hai
“Hazrat Imam Abu Yusuf ki hadees se dalil pesh ki kay Hazrat Umar Muazzin Ki Iqamat Se Farig hone kay baad Mahraab Me Khade Hote They”
(Kitab Al Mabsut, Vol :01, Pg :150 Kitabus Salat)  
MUHADISEEN KA AMAL WA FARMAAN
Imam Badruddin Ayni Al Hanfi Al Mutwaffa 855 Hizri Is hadees kay shara me likhte hai “Imam E Azam Abu Hanifa Imam Muhammad Ka kawl naql karte farmate hai wo unhone farmaya ki Jab Muazzin Hayya Alas Salah Kahe to saare Namazi Saff Me Khade Hojaye”
Ulema E Deoband kay Aqabir Nawab Qutbudin Khan Sahab Mishqat Al Masabih ki shara me likhte hai “Fuqaha Ne Likha hai Kay Jab Taqbeer kahne Waala Kahe us waqt muqtadi ko khada hona chahiye” (Shara E Mazahir E Haqq E Jadid Shara E Mishqat Vol : 01, Pg : 24)
KUCH MASAIL KI AHEM WAJAHAT
1) Kuch Kitabo Me Hayya ‘ala-s-Salah, pe uthne ka hukm hai aur Kuch me Hayya ‘ala-l-falah pe to kaise Aur kab khade hon ?
Al Jawab : Imam Ahle Sunnat Aala Hazrat Fazil E Barelvi likhte hai
“Hayya ‘ala-s-Salah kay aakhir me uthna shuru karen aur Hayya ‘ala-l-falah kay aakhir tak pura Sidha hojaye is se dono kaul pe amal hojayga”
(Fatawa Razviya Vol : 02, Pg : 472 Mutarzim)
(Mufti Jalaludin Amzadi Apni kitab ,08 Muhikkana Faisle Pg : 42)

02) Shara E Sahih Muslim me Imam Nawawi (Al Mutwaffa ) likhte hai
“Imam Abu Hanifah Aur Ulema E Koofa Ne Kaha Saff me us waqt khade ho jab Muazzin Hayya ‘ala-s-Salah kahe ”
(Shara E Sahih Muslim Lil Nawawi Vol : 01, Pg : 221) Wahabi Deobandi Firqe ka ye tamam saboot kay baad bhi apni ana me ada rahna ye jahalat aur hatdharmi hai unhe chahiye kay apni islaah kare.
ALLAH Unhe haq kabool karne waala banaye. Aamin

Post Written By Shaikh Sher Ali

9 comments:

  1. Replies
    1. Aap jinte bhi hadees ki tarib di or fatwa ya Qual Diya hai sahih hadess se sabit nhi jo sahih se sabit hai usme kahi nhi likha k Jab Muazzin Hayya Alas Salah Kahe toh hi khade hona hai , koi fatwa ya Qual kabile qubool nhi hai jab tak wo Sahih hadees ki roshni mai na ho , Jazak ALLAH , aap hi socho ab daeif hadess par amal kar k kon gumrah hora hai , ALLAH hidayat ata farmaye

      Delete
  2. Pyare Bhai Hazrat Abu Talib (R.A), Hazrat Abdullah (R.A) aur Hazrat Bibi Amina (R.A) kya ye hastiyan musalman thi? In ke bare main b ak post karien. Wahabi-o-Deobandi kehte han ke ye hastiyan kafir thi. Please iske bare main rehnamai karien. Shukaria

    ReplyDelete
    Replies
    1. Syeda Amina Aur Hazrat Abdullah Ibn Abu Muttalib Radiallahu anhuma Azmayeen kay muttalik Ahle Sunnat ka mauqoof hai kay wo Musalman they
      Is Topic Pe Aap Ye Pura Research Lecture Suniye
      Part 01 https://www.youtube.com/watch?v=T_NqvkueIjM
      Part 02 https://www.youtube.com/watch?v=BXrcMnab07I

      Aur Jahan Tak Sawal Hai Abu Talib Kay imaan par to Ahle Sunnat ka Jamhoor Maukuf yehi hai kay unka Imaan Saabit nahi hai Albatta wo ek kabil e ahteram shaksiyat hai unka zikr acche se kare unpar tana kashi naa kare

      Is talluk se Aala Hazrat Ne Ek Puri kitab likhi hai aap usko padhke Sahih Ahle Sunnat ka Manhaj samajh sakte hai
      http://www.alahazratnetwork.org/modules/booksofalahazrat/item.php?itemid=241&keywords=Search

      Delete
    2. Aap jinte bhi hadees ki tarib di or fatwa ya Qual Diya hai sahih hadess se sabit nhi jo sahih se sabit hai usme kahi nhi likha k Jab Muazzin Hayya Alas Salah Kahe toh hi khade hona hai , koi fatwa ya Qual kabile qubool nhi hai jab tak wo Sahih hadees ki roshni mai na ho , Jazak ALLAH , aap hi socho ab daeif hadess par amal kar k kon gumrah hora hai , ALLAH hidayat ata farmaye

      Delete
  3. Aqamat ke silsle me aap ne Masha Allah bahut acha jawab diya mgr aap wahabiyo ke aeteraz ka bhi to jawab de awam ko pta bhi to chale wo kon si hadees ke bina pr aesa kam kar rahe h wahabi

    ReplyDelete
  4. Aap jinte bhi hadees ki tarib di or fatwa ya Qual Diya hai sahih hadess se sabit nhi jo sahih se sabit hai usme kahi nhi likha k Jab Muazzin Hayya Alas Salah Kahe toh hi khade hona hai , koi fatwa ya Qual kabile qubool nhi hai jab tak wo Sahih hadees ki roshni mai na ho , Jazak ALLAH , aap hi socho ab daeif hadess par amal kar k kon gumrah hora hai , ALLAH hidayat ata farmaye

    ReplyDelete

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers