Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Sunday, 3 March 2019

Fazail E Siddique E Akbar Abu Bakr Siddique



بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ

Naam Aur Nasab :
Hazrat Urwa Ibn Zubair Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Hazrat Syedina Abu Baqr Siddique Radiallahu Anhu Ka Naam Abdullah ibn Usman ibn Aamir ibn Amr Ibn Kaab Ibn Saad Ibn Taim Ibn Murrah ibn Kaab Hai” Murrah Ibn Kaab tak Aap Kay Silsila E Nasab Me Kul 06 Wasite Hai Aur Allah Kay Nabi Kay Nasab Me Bhi Murrah ibn Kaab tak 06 Wasite Hai Aur Murrah ibn Kaab Par Abu Baqr Siddique Ka Silsila Sarkar E Do Aalam Se Jaa Milta Hai” References : (Mujam Al Kabir Lil Tabarani, Nasab Abu Baqr Siddique, Vol : 01, Pg : 51, #01) (Imam Ibn Hajar Asqalani, Al Isaba Fi Tamyiz Al Sahaba, Vol : 04, Pg :144)

Siddique E Akbar Radiallahu Anhu Ka Isme Girami : 01)Abdullah Ibn Usman : “Syedna Abdullah Ibn Zubair Radiallahu Anhu Apne Walid Se rivayat karte hai kay Abu Baqr Siddique Radiallahu Anhu Ka Naam Abdullah Ibn Usman Hai”
(Sahih Ibn Hibban, Vol : 09, Pg : 06, #6825) 02)Adbul Kaaba : “Jamhoor Ahle Nasab Kay Nazdiq Aapka Kadim Naam Abdul Kaaba Tha Musharraf Ba Islam Hone Kay baad Aapka Naam Allah Kay Nabi Ne Abdullah Rakh Diya”
(Al Istiyab Fi Marifat E Sahaba, Vol : 03, Pg : 315)
(Imam Abu Al Abbas Mohideen, Riyaz An Nazara, Vol : 01, Pg :77) 03) Atiq : “Imam Ibn Ishaq Rahmatullah Alaih Farmate ye naam Aapke Walid ne rakha tha, Hazrat Moosa Ibn Talha Radiallahu Anhu Farmate hai ye Naam Aapki Walida Ne Rakha”
(Imam Abu Al Abbas Mohideen, Riyaz An Nazara, Vol : 01, Pg :77)
Siddique E Akbar Radiallahu Anhu Kay Alqabat :
Hazrat Syedna Abu Baqr Siddique Kay 02 Mashoor alkabat hai i) Atiq ii) Siddique
Jahannam Se Aazadi Kay Sabab Atiq Hogaye
Hadees :
Hazrat Abdullah Ibn Zubair Se Marwi Hai Hazrat Abu Baqr Siddique Ka Naam Abdullah Tha Nabi E Akram Ne Unhe Farmaya “أنت أطيق من النار”
Tum Jahannam Se Aazad Ho Tabse Aapka Naam Atiq Hogaya. (Imam Ibn Hibban Sahih Ibn Hibban, Vol : 09, Pg : 06)

Hadees :
“Umm-ul-Momineen Hazrat Ayesha Siddiqa Radiallahu Anha Se Rivayat Hai Ki Hazrat Abu Baqr Siddique Radiallahu Anhu Huzoor  ki Khidmat Me Hazir Huwe to Aap  Ne Farmaya Tum Allah Taala ki taraf se aag se aazad ho, Pas ussi din se Aap Radiallahu Anhu Ka Naam Atiq rakh diya gaya” (Imam Tirmizi, Jamai Tirmizi, Kitabul Manakib, #3679)
(Imam Ibn Hibban Sahih, Vol : 05, Pg : 279, #6864)
(Imam Hakim Al Mustadraq, Vol :02, Pg : 450, #3557)

Hadees :
“Hazrat Ayesha Radiallahu Anha Se Marwi Hai Nabi Ne Sahaba Se Farmaya Jisko Dozakh Se Aazad Shaks ko Dekhna hai to Abu Baqr ko Dekh le” Us Din Se Atiq Naam Mashoor Hogaya”
References :
(Imam Tabarani, Al Mujam Ul Awsat, Vol : 06, Pg : 456 #9384)
(Imam Ibn Athir Usdul Ghaba Fi Marifat E Sahaba, Vol : 03, Pg : 316) (Imam Jalaludin Suyuti, Tarikhul Khulfa, Pg : 26) ii) Siddique : Tasdeeq E Meraj Kay Sabab Siddique Hogaye Hadees : “Hazrat Abu Hurraira Radiallahu Anhu Se Marwi Hai Meraj Ki raat Rasoolullah Ne Jibril E Ameen Alaihsalam Se Kaha Aye Jibril Alaihsalam Meri Kaum Mujh par tohmat lagaygi Woh Meri tasdeeq nahi karegi, Jibril E Ameen Alaihisalam ne Kaha Agar Aapki Kaum tohmat lagaygi to kya huwa Abu Baqr Radiallahu Anhu to Aapki Tasdeeq Karenge kyuki Aap Siddique Hai” References : (Imam Ibn Saad At Tabaqat Ul Kubra Vol : 01, Pg : 215) (Imam Tabarani, Al Mujam Ul Awsat, Vol :05, Pg : 662, #7148, 7173)
Hadees :
“Hazrat Ayesha Radiallahu Anha Se Marwi Hai Jab Nabi ﷺ Ki Meraj Huwi Makkah Kay Kaafir Hazrat Abu Baqr Kay paas pahuche aur kahne lage kya aap is baat ki tasdeeq karte hai jo Aapke Dost Yaani Nabi ﷺ Ne ki hai kay Masjid E Haram Se Masjid E Aqsa ki sair ki,
Hazrat Abu Bakr Siddique Radiallahu Anhu Ne Farmaya Kya Aap ﷺ Ne Sach Me Aisa kaha hai Unhone Kaha Haan, Farmaya Phir Haan Mai Tasdeeq Karta hoon,
Makkah kay Kuffaro Ne kaha Kya Aap Sach me yakin rakhte hai kay Masjid E Haram se Masjid E Aqsa Ka Safar raato raat tay karke aagye ?
Hazrat Abu Baqr Radiallahu Anhu ne Kaha Mai to Aapki Aasmano ki khabro ki bhi Subah Sham Tasdeeq Karta hoon Jo is se bhi zyada hairan kun baat hai,” Bas is waqaye kay baad Se Aap Siddique Mashoor hogaye References :
(Imam Hakim Al Mustadraq, Vol : 04, Kitab Marifat E Sahaba, Pg : 65 #4515)
(Imam Abdur Razzaq Al Musannaf Vol : 05, Pg : 438)
(Imam Abu Yaala Al Musnad Vol : 10, Pg : 45)

Hadees :
“Hazrat Abu Yahya Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Ki Hazrat Syedna Aliyul Murtaza Radiallahu Anhu Ne Kasam Kha Kar Irshad Farmaya Allah Taala Ne Syedna Abu Baqr Kaa Naam Siddique Aasman Se Nazil Farmaya Hai”
(Imam Hakim Al Mustadraq, Kitab Marifatus Sahaba, Vol : 04, Pg : 04, #4461)

******* Siddique E Akbar Kay Fazail Hadees E Sahih Se *******
Jawan Mardo Me Sabse Pahle Islam Kabool Karne Waale Hadees : “Hazrat Ayesha Siddiqua Radiallahu Anha Se Riwayat Hai Ki Hazrat Umar Bin Khattab Radiallahu Anhu Ne Farmaya Ki Hazrat Abu Bakr Radiallahu Anhu Huzoor Nabi E Akram Ko Hum Sab Se Ziyadah Mahboob They, Aur Hum Sab Se Behtar Aur Hamare Sardar They. Aap Guftagu Karte Rahe Yaha’n Tak Ki Farmaya : Mardo’n Me Sab Se Pahle Islam Qubool Karne Waale Hazrat Abu Bakr They.” (Imam Ibn Hibban Sahih, Vol : 15, Pg : 278, #6862) (Imam Bazzar Al Musnad, Vol : 01, Pg : 373, #251)
Siddique E Akbar Kay Liye Dua E Rehmat
Hadees :
“Hazrat Syedna Aliyul Murtaza Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai ki Do Jahan Kay Taazdar Nabi E Akram Ne Irshad Farmaya Allah Abu Baqr Par Rahem Farmaye Ki Inhone Apni Beti Ka Nikaah Mujhse Kiya Aur Mujhe Darul Hizrat Tak pahuchaya Neez Apne Maal Se Bilal ko aazad Kiya”
(Jamai Tirmizi, Kitabul Manakib, Vol : 05, Pg: 398, #3714)
Mehboob E Habib E Khuda
Hadees :
Hazrat Amr Ibn Aas Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Ki Nabi Ne Mujhe Ghazwa Dhaat Is Salasil ka Amir E Lashkar Bana kar rawana farmaya Jab Wapas Aaya to Nabi Ki Khidmat Me Arz Guzar Huwa Auraton Me Aapko Sabse Zyada Muhabbat Kis Se Hai Farmaya Ayesha.
Mene Arz Ki Mardo Me to Kaha Unke Walid Abu Baqr Se. References : (Sahih Bukhari, Fazail E Sahaba, Baab Fazail E Abu Baqr Siddique #2384) (Sahih Bukhari, #3662, #4358) (Sahih Muslim, Kitabul Manakib, Baab Fazail E Abu Baqr Siddique, #2384) (Imam Tirmizi, Jamai Tirmizi, Kitabul Manakib, #3885, 3886)
Hadees :
“Umm-ul-Mumineen Syeda Ayesha Siddiqa Radiallahu Anha Hazrat Umar ibn Khattab Radiallahu Anhu Se rivayat karti hai ki unhone farmaya Hazrat Abu Baqr Siddique Hamare Sardaar Hum Sabse Bahtar Aur Rasoolullah Ko Hum Sab Se Zyada Mehboob They”
References :
(Imam Hakim Al Mustadraq, Vol : 03, Pg : 69, #4221)
(Imam Tirmizi Sunan, Kitabul Manakib, #3656) Arab Danishwaro Kay Sardar
Hadees :
Hazrat Ismail Ibn Abi Khalid Se Marwi Hai Umool Momineen Ayesha Siddiqa Ne Nabi ko dekh kar Kaha “Aye Sardare Arab, Aap Nabi Ne Irshad Farmaya Mai Tamam Aulaad E Aadam Ka Sardar Hoon Aur Tumhare Wa'alid Abu Baqr Arab kay Danishwaro Kay Sardaar Hai”
(Imam Ibn Abi Shayba, Al Musannaf, Kitabul Fazail, Vol : 07, Pg : 474, # 27)
Abu Baqr Siddique Ki Muhabbat Ummat Par Wajib Hai
Hadees :
Hazrat Sahl Bin Saad Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai Farmate Hain Ki Rasool Allah Ne Farmaya :
Abu Bakr Radiallahu Anhu Se Muhabbat Aur Un Ka Shukr Ada Karna Meri Ummat Par Waajib Hai.”
(Imam Daylami Al Musnad ul Firdaus, Vol : 02, Pg : 142, #2724)
Hadees :
“Hazrat Sahl Se Rivayat Hai Nabi E Akram Ne Irshad Farmaya Logo me jisne Apni dosti aur maal kay jariye mujhpe sabse zyada ehsaan kiya woh Abu Baqr Siddique Hai, Pas inse Muhabbat rakhna inka shukriya Ada karna aur inki hifazat karna meri ummat par wajib hai”
(Imam Abu Al Abbas Mohideen, Riyaz An Nazara, Vol : 01, Pg :169)

Siwaye Abu Baqr Kay Sabke Liye Masjid Kay Darwaje Band
Hadees :
Hazrat Abdullah Ibn Abbas Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Ki Huzoor Nabi E Akram Marje Wafat Apna Sar Bandhe Masjid Me Tashreef Laaye Mimber Par Jalwa Afroz huwe Aur Allah Ki Hamd O Sana Kay Baad Irshad Farmaya Kisi Shaksh ne Siwaye Abu Qahafa Kay bete ne Mujhe Jaan O Maal Se Amn Nahi Diya Mai Kisi Ko Khalil banata to Abu Baqr ko banata Magar Islami Muhabbat aur bhai-chara afzal hai Masjid ka Har Darwaja band kardo magar Abu Baqr ka Darwaja khula rahne do
References :  
(Sahih Bukhari, Kitabus Salat, Vol : 01, Pg : 177, #467)  
(Imam Nasai, Sunan ul Kubra, Vol : 05, Pg : 35, #8102)
(Imam Ahmad Ibn Hanbal, Al Musnad Vol : 01, Pg : 770, #2432)
(Imam Ibn Hibban Sahih Ibn Hibban, Vol : 15, Pg : 275, #6860)


Abu Bakr Siddique Se Zyada Kisi Ka Ehsaan Nahi
Hadees :
Hazrat Abu Saeed Khudri Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ki Nabi Ne Farmaya Tamam Logo’n Me Se Sab Se Ziyadah Mujh Par Abu Bakr Radiallahu Anhu Ka Ihsaan Hai, Maal Ka Bhi Aur Hum Nashini Ka Bhi.”
(Sahih Bukhari, Kitabus Salat, #466)
(Sahih Bukhari, Kitab Fazail E Sahaba, #3654)


Siddique E Akbar Kay Ehsaan Ka Badla Baroz E Kayamat Allah Taala Dega
Hadees :
“Hazrat Abu Huraira Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi E Akram Ne Farmaya Kisi Ka Bhi Hamare upar Koi Aisa Ihsaan Nahin Jis Ka Hum Ne Badla Chuka Na Diya Ho, Siwaye Abu Bakr Siddique RadiAllahu Anhu Ke Beshak Un Ke Hamare upar Ihsaan Hain Jin Ka Badla Allah Ta’ala Qiyamat Ke Din Chukaayega.”
(Imam Tirmizi, Jamai Tirmizi, Vol : 05, Pg : 609, #3661)

Abu Bakr Siddique Radiallahu Anhu Kay Liye Allah Wa Rasool Kafi Hai
Hadees :
Hazrat Zayd Bin Aslam Radiallahu Anhu Apne Waalid Se Riwayat Karte Hain Ki Unhone Farmaya Mein Ne Hazrat Umar Bin Khattab Radiallahu Anhu Ko Farmate Huwe Suna Ki Hamein Huzoor Nabi E Akram Ne Sadaqa Dene Ka Hukm Farmaya Is Hukm Kee Ta’meel Ke Liye Mere Paas Maal Tha Mein Ne (Apne Aap Se) Kaha, Agar Mein Abu Bakr Siddique Radiallahu Anhu Se Kabhi Sabaqat Le Jaa Sakta Hoo’n To Aap Sabaqat Le Jaunga Hazrat Umar Radiallahu Anhu Farmate Hain Ki Mein Apna Nisf Maal Le Kar Haazir-E-Khidmat Huwa.
Huzoor Nabi E Akram Ne Farmaya :
Apne Ghar Waalo’n Ke Liye Kya Chhod Aaye Ho ?
Mein Ne Arz Kiya :
Itna Hee Maal Un Ke Liye Chhod Aaya Hoo’n.
(Itne Me) Hazrat Abu Bakr Radiallahu Anhu Jo Kuchh Un Ke Paas Tha Woh Sab Kuchh Le Kar Haazir-E-Khidmat Huwe.
Aap Ne Farmaya : Aye Abu Bakr Radiallahu Anhu !
Apne Ghar Waalo’n Ke Liye Kya Chhod Aaye Ho ? Unhone Arz Kiya
Mein Un Ke Liye Allah Aur Us Ka Rasool Chhod Aaya Hoo’n. Hazrat Umar Radiallahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hain Ki Mein Ne (Dil Me) Kaha, Mein In Se Kisi Shay Me Aage Na Badh Sakunga.”
References :
(Imam Tirmizi, Sunan Tirmizi, Vol :06, Pg : 614, #3675)
(Imam Abu Dawood, Sunan Vol : 06, Pg : 129, #1678)
(Imam Darmi Sunan Vol : 01, Pg : 480, #1660)
(Imam Hakim Al Mustadraq, Vol : 01, Pg : 574, #1510)
Abu Baqr Siddique Kaa Maal Sabse Zyada Nafa Dena Waala
Hadees :
“Hazrat Abu Hurraira Se Marwi Hai Nabi Ne Irshad Farmaya Mujhe Kisi kay maal ne itna nafa nahi pahuchaya jitna Abu Baqr Siddique kay maal ne pahuchaya hai, Abu Baqr Siddique Rone Lage aur Kaha Yaa Rasoolullah Meri Jaan Aur Maal kay maalik Aap hi to hai”
(Sunan Ibn Majah, Kitab Us Sunnah, Vol : 01, Pg: 34, #94)
Nabi E Akram Kay Baad Sabse Behtar Insaan
Hadees :
Hazrat Ali Radiallahu Anhu Ne Farmaya Huzoor Ke Baa’d Is Ummat Me Se Behtar Abu Bakr Radiallahu Anhu Hain.”
References :
(Imam Ahmad Ibn Hanbal Al Musnad, Vol : 01, Pg : 110, #879)
(Imam Tabarani Al Mujam Ul Awsat, Vol : 01, Pg : 298, #992)

Hadees :
Hazrat Asad Bin Zaraarah Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai, Woh Farmate Hain Ki Mein Ne Rasool Allah Ko Logo’n Ko Khutba Dete Huwe Dekha.
Aap Ne Tawajjuh Farmayi To Hazrat Abu Bakr Siddique Radiallahu Anhu  Ko Na Dekha To Aap Ne Pukaara :
Abu Bakr Abu Bakr !
Rooh-ul-Qudus Ne Mujhe Khabar Dee Hai Ki Meri Ummat Me Se Mere Baa’d Sab Se Behtar Abu Bakr Siddique Radiallahu Anhu Hain.”
References :
(Imam Tabarani Al Mu'jam ul Awsat, Vol : 06, Pg:692, #6448)

Hadees : “Hazrat Jabir Bin Abdullah Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ki Ek Din Hazrat Umar Bin Khattab Radiallahu Anhu Ne Hazrat Abu Bakr Siddique Radiallahu Anhu Se Kaha :
Aye Rasool-il-Allah Ke Ba’d Sab Se Behtareen Insan.”
(Imam Tirmizi, Jamai Tirmizi, Kitabul Manakib, #3684)
(Imam Hakim Al Mustadraq, Vol : 03, Pg : 96, #4508)
Siddique E Akbar Radiallahu Anhu Ki Imamat
Hadees :
“Hazrat Ali Aur Hazrat Zubayr Radiallahu Anhuma Azmayeen Farmate Hain Ki Bila Shubah Hazrat Abu Bakr Khilafat Ke Sab Se Ziyadah Haquedaar Hain Aap Huzoor Nabi E Akram Ke Ghaar Ke Saathi Hain.
Aap Thaani Ithnayn (Yar-E-Ghar) Hain Aur Hum Aap Ke Sharaf Ko Aur Aap Ke Khayr Hone Ko Jaante Hain.
Beshak Aap Ko Huzoor Nabi E Akram Ne Apni Zaahiri Hayaat-E-Tayyibah Me Namaz Kee Imamat Ka Hukm Diya Tha.”
References :
(Imam Hakim Al-Mustadrak, Vol :  03, Pg : 70,# 4422)
(Imam Bayhaqi Sunan-Ul-Kubra, Vol : 08, Pg : 152)
Hadees :
Hazrat Ummul Momineen Ayesha Siddiqua Radiallahu Anha Se Riwayat Hai Ki Rasool-ul-Allah Ne Farmaya :
Kisi Qaum Ke Liye Munaasib Nahin Jin Me Abu Bakr Siddique Mawjood Ho’n Ki Un Kee Imaamat In (Aboo Bakr Siddique RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu) Ke Ilawah Koi Aur Shakhs Karwaaye.”
(Imam Tirmizi, Sunan Tirmizi, Kitabul Manakib Vol : 05, Pg : 614, #3673)
Hadees :
“Hazrat Anas Ibn Malik Radi Allahu Anhu Se Rivayat Hai Huzoor Nabi E Karim kay bimari k wakt Hazrat Abu Baqr Siddique Radi Allahu Anhu Namaz padhate the Wo Peer Ka Din Tha Jab Log Namaz Me Saff Bandhe Khade Huwe The, To Huzoor Rehmat E Aalam Ne Apne Huzre E Mubarak Se Parda hataya aur Hamari Taraf Dekh Rahe The Aapka Chahre Mubarak Goya Mushaaf Ka Waraq Tha Huzoor Nabi E Karim Muskura Rahe The Hume Itni Khusi Huwi k Khatra Hogaya k Kaheen Hum Sab Aap Nabi E Akram Ko Dekhne Me Hi Naa Mashgul Hojaye Aur Namaz Tod De, Hazrat Abu Bakr Piche Hatke Saaf k Saath Aa Milna Chahte The Wo Samjhe Huzoor Rehmat E Aalam Namaz K Liye Tashrif Laa Rahe Hai Lekin Huzoor Rehmat E Aalam Ne Ishara Kiya Kay Namaz Puri Karlo phir Huzoor Nabi E Akram Ne Parda daal Diya Aur Ussi Din Aap ki Wafat huwi”
References :
(Sahih Bukhari Vol : 01, Pg : 386, Kitabul Azaan, Hadees : 680 & 681)
(Sahih Bukhari Hadees No : 704, 1205, 4448)
(Sahi Muslim, Vol : 01, Pg : 534, Kitabus Salat, Hadees : 944, ‘Online No : 419’)
(Sunan Nasai Kitabuz Janaiz, Baab : Peer Kay Din Wisal Hone Ka Bayan, Hadees : 1831)
(Sunan Ibn Majah Kitabuz Janaiz, Hadees : 1624)

Wisaal Ki Umr Bhi Rasoolullah Kay Mushabe
Hadees :
“Hazrat Anas Bin Malik Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi E Akram Ka Wisaal Huwa To Aap Ki Umr Mubarak  63 Saal Thi Aur Hazrat Abu Bakr Siddique Radiallahu Anhu Ka Wisaal Huwa To Un Kee Umr Bhi(Huzoor Nabi E Akram Kee Mutaaba’at Mein) 63 Saal Thi”
(Sahih Muslim, Kitabul Fazail, #2348)
(Jamai Tirmizi, Kitabul Manakib, #3653)
Hadees :
Hazrat Muawiya Radiallahu Anhu Se Marvi hai Nabi Kay Wisaal kay waqt umar sharif 63 baras thi aur Hazrat Abu Baqr Wa Umar Ki Umr Baras bhi wisal kay waqt 63 rahi.
(Imam Tirmizi, Shamail E Muhammadiya, Nabi Ki Mubarak Umr Sharif Ka Bayan #363)
Rasool Allah kay Baad Sabse Pahle Abu Baqr Siddique Qabr Se Uthenge
Hadees :
Hazrat Abdullah Ibn Umar RadiAllahu Anhu Se Riwayat Hai Ki Rasool ul Allah Ne Farmaya Sab Se Pahle Jis Se Zameen Phategi Woh Mein Hoo’n Phir Abu Bakr RadiAllahu Anhu Se, Phir Umar RadiAllahu Anhu Se, Phir Mein Ahl-E-Baqi’ Ke Paas Aaunga To Un Se Zameen Shaqq Hogi Phir Mein Un Sab De Darmiyan Uthaya Jaaunga.”
(Imam Ahmad Ibn Hanbal, Fazail E Sahaba, Vol : 01, Pg : 351, #507)
(Imam Hakim Al Mustadrak, Vol : 03, Pg : 72, #4429)
Ghaar E Thawr Aur Hawz E Kausar Kay Saathi
Hadees :
“Hazrat Abdullah Bin Umar Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ki Rasool E Akram Ne Hazrat Abu Bakr Radiallahu Anhu Se Farmaya : Aap Hawz(-E-Kawthar) Par Mere Saathi Hain Aur Ghaar(-E-Thwar) Me Bhi Mere Saathi Hain.”
(Imam Tirmizi, Sunan Vol : 05, Pg : 613, #3670)
Jannat Kay Saare Darwaze Abu Baqr Siddique Kay Liye Khule Hai
Hadees :
Hazrat Abu Huraira Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ki Mein Ne Rasool Allah Ko Yeh Farmate Huwe Suna :
Jo Allah Kee Raah Me Aik Cheez Ka Joda Kharch Karega Use Jannat Ke Darwazo’n Se Bulaaya Jaauyega.
Aye Allah Ke Bande !
Yeh Khayr Hai Pas Jo Ahl-E-Salaat(Namaziyo’n) Me Se Hoga Us Ko Bab-us-Salat Se Se Bulaaya Jaayega Aur Jo Ahl-E-Jihad Me Se Hoga Use Bab-ul-Jihad Se Bulaya Jaayega Aur Jo Ahl-E-Sadaqa (Khayrat Waalo’n) Me Se Hoga Use Bab-us-Sadaqah Se Bulaya Jaayega Aur Jo Ahl-E-Siyam(Rozahdaro’n) Me Se Hoga Use Bab-us-Siyam Aur Bab-ul-Rayyan Se Bulaaya Jaayega .
Pas Hazrat Abu Bakr Siddique Radiallahu  Anhu Ne Arz Kiya :
Jo In Saare Darwazo’n Se Bulaaya Jaaye Use To Khadsha Hee Kya.
Phir Arz Guzaar Huwe :
Ya Rasool Allah Kya Koi Aisa Bhi Hai Jo In Tamam Darwazo’n Me Se Bulaaya Jaayega ?
Aap Ne Farmaya Haa’n, Aye Abu Bakr !
Mujhe Ummid Hai Ki Tum Un Logo’n Me Se Ho(Jinhein Tamam Darwazo’n Me Se Bulaya Jaayega).”
References :
(Sahih Bukhari, Kitabul Fazail E Sahaba, #3666)
(Imam Ahmad Ibn Hanbal Musnad, Vol : 02, Pg : 268, #7621)
(Imam Nasai Sunan ul Kubra, Vol : 02, Pg : 06, #2219)
(Imam Ibn Hibban Sahih, Vol : 08, Pg : 206, #3418)
Is Ummat Me Sabse Pahle Jannat Me Jaane Waale
Hadees :
Hazrat Abu Huraira Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi E Akram Ne Farmaya Hazrat Jibra’il ‘Alayh-is-Salam Ne Mera Haath Pakda, Phir Mujhe Jannat Ka Woh Darwazah Dikhaya Jis Se Meri Ummat (Jannat Me) Daakhil Hogi.
Hazrat Abu Bakr Radiallahu Anhu Ne Arz Kiya Ya Rasool Allah  !
Mujhe Pasand Hai Ki Mein Aap Ke Saath Hota Taa Ki Mein Bhi Jannat Ka Woh Darwazah Dekhta To Huzoor Nabi E karim Ne Farmaya :
Yaqinan Tum To Meri Ummat Ke Pahle Shakhs Ho Jo Jannat Me Us Darwazah Se Daakhil Hoga.”
References :
(Imam Abu Dawud Sunan, Vol :  04, Pg : 213, Kitab Al Sunnah, #4652)
(Imam Tabarani Al Mujam ul Awsat Vol : 03, Pg : 93, #2594)
(Imam Hakim Al Mustadrak, Vol : 03, Pg : 77, # 4444) Share To Others Post by Sher Ali

5 comments:

  1. Hazrat e Ameer E Muaviya رضي الله عنه ki shaan wa nam nihaad tariqat (tabiyat) walo ke radd me post love likhiye

    ReplyDelete
  2. Very informative jazaka ALLAH

    ReplyDelete
  3. SAYYEDNA Aamir e mauviya raziyallahu Taala anhu k bare me post zaroor kare Q neem.rafzi bohot ubhar rahe hai

    ReplyDelete
  4. SAYYEDNA Aamir e mauviya raziyallahu Taala anhu k bare me post upload kare

    ReplyDelete

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers