Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Friday 23 January 2015

Waseela - Tawwasul - Intercession - Quran Hadees Ki Roshni Me

WASEELA POST OR PART 01



Tujh ko Kya denge yeh shah e Madina per chodde
 Tu ghulam hai unka sab kuch unki ataa per chodde
Apni bakshish ki fikr karne wala tu hai kaun
   Yeh Mustafa ka kaam hai Mustafa per chodde   
Aur kya hai Biddat Kya hai Sunnat
Faisla tu khud na kar
 Yeh Bareli kay shah e Imam Ahmed raza per chodde.

WASILE PE KUCH ARZ


Shuru Se millate Islami me ye akeeda salf salahin se chala aaraha hai k Musalman apni duao me Allah Taa'la k Mehboob bando ka buzurgan E Din aur digar Taburrakat ka Waseela lete aaye hai magar ab kuch aise kharji firko ka wajood hua jinke saamne agar wasile ki baat kardo to unka hajma bigad jaata hai. Waseele ka lafz sunte hi wo log Shirk Biddat ki bayan baaji karne lagte hai baaj Hazrat waseele ko haraam kehte hai aur kuch kam akal k nazdeek ye shirk hojata hai. Maazallah
Ye khud me confuse hojate hai k Waseela lena shirk hai ya Haraam inke kuch maulvi haraam kehte hai kuch Shirk aur kuch k Nazdik Jaiz hojata hai.
Halanki inko khud thek se pata nhi hota bas bolne lagte hai jab inse pucha jaaye waseela kis cheez ko kaha jaata hai to waseele ka matlab batane se bhi ye dur nazar aate hai baat ko yaha waha ghumane lagenge. Hum Ahlesunnat wal Jamaat ka aqeeda hai ki beshak ALLAH TA'ALA kisi Waseele ka mohtaj to nahi wo chahe to bagair waseele ke bhi jo kuch chahe ata kar sakta hai. Lekin fir bhi usne Qainat ka jo nizam chalaya wo waseele se chalaya to pata chalta hai ki ALLAH TA'ALA ko waseela pasand hai, isiliye hum Ahlesunnat wal jamaat apni duaao ke liye ALLAH ki bargah me waseela pesh karte hain..

Misal ke taur pe aaiye dekhte hain ki ALLAH TA'ALA ne Hazrat Adam Alaih Salam ko jab paida kiya, to bagair Maa Baap ke paida kiya aur jab chaha to duniya me bhej diya, to ALLAH ne ye zahir kar diya ki wo kisi Waseele ka mohtaj nahi hai, wo chahe to bagair waseele bagair maa bap ke bhi kisi ko paida farma sakta hai aur usey khila pila sakta hai haajat rawai kar sakta hai lekin fir ALLAH ne Hazrat Adam Alaihe salam ke baad se kisi ko bhi wagair waseela, bagair maa baap ke duniya me nahi bheja, balki sabko maa baap ke zariye, sari naslo ko Hazrat Adam Alaihe Salam ke waseele se duniya ka nizam qayem kar dia, taki duniya wale ye bhi dekh len ki ALLAH ko Waseela hi pasand hai.
Waseela Quran Se Saabit Hai 


يا أَيُّهَا الَّذينَ آمَنُوا اتَّقُوا اللَّهَ وَابتَغوا إِلَيهِ الوَسيلَةَ وَجاهِدوا في سَبيلِهِ لَعَلَّكُم تُفلِحونَ
"Aye Imaan Waalo, Allah Se Daro Aur Uski Taraf Waseela Talash Karo Aur Uski Raah Me Zihad Karo, Is Ummid Par Ki Tum Falaah Paao"
(Surah Al Maida Ayat 35)
Quran e Pak ki aayat se ye wajah hua k Waseela ka saaf hukm Quran me mauzood hai ab iska direct hi inkaar karne waala kaafir hoga ye shirk to ho hi nahi sakta agar Waseela Shirk hai to kya Quran me Allah khud hi iska hukm de sakta hai ?? hargiz nahi  lekin Sawal ye hai k waseela kis ka jaiz hai kiska nahi hai zaahir si baat hai Allah Subhanawta'la uska hi waseela pakadne ko pasand karega jo Allah ki bargaah me makbool ho aur Allah un chizo ko Qurbiyat o Makbooliyat Di ho. Is pure article ko padhne k baad aap ko waseele k talluk se kaafi aitraaz khatm hojaynge. Insha Allah عزوجل

Waseele Ka Maane
"Jiske Jariye Kisi Tak Pahucha Jaaye Aur Uska Kurb Hasil Kiya Jaaye"
(Imam E Lughat Ibn Manjur Lihsansul Arab Vol : 11 Pg :  725)
Jiske Jariye Kisi Se Kurb Aur Nazdiki Haasil Ki Jaaye Usko Waseela Kehte Hai”
(Al Tarifaat Pg : 225)
Waseela ALLAH عزوجل ka Qurb haasil karna hai, Ahle Sunnat wal jamaat me Waseela kay taluq me Hayat o wafat ka paimana hi nahi Balki Qurbiyat dekhi jaati hai kay ALLAH عزوجل ne kise shafi banaya, kise qurbiyat ataa ki hai aur inhi ka waseela talash karne ka hukum bhi aaya hai Quran me. Lekin Wahabi kehte hai Baad wafat Waseela Jayaz nahi toh is per hum ilzami sawaal karte hai ki Jab NABI zahiri duniya me maujud the toh waseela Jayaz tha aur beshak ALLAH عزوجل ne aapko who qurbiyat ataa ki kay aapki dua kabhi radd nahi hosakti toh Wahbiyon ko chahiye ki aisi dalil pesh kare kay jisse yeh saabit ho ki Zahiri duniya me Qurb tha aur wafat baad Qurbiyat khatam hojaati hai.

NOTE: Qayamat tak ka waqt deta hu, yeh dalil laakar dikhade.
Huzoor  ki WILADAT Se Pehle Huzoor   K Waseele Ka Saboot : 

YAHOOD WASEELE E MUSTAFA SAL ALLAHU ALAIHI WASSALAM SE MUSHRIKEEN K KHILAF FATEH KI DUA MAANGTE THE.
Huzoor Sal Allahu Alaihi Wassalam K WILADAT Se Pehle Waseele Ka Saboot :


YAHOODI WASEELE E MUSTAFA SAL ALLAHU ALAIHI WASSALAM SE MUSHRIKEEN K KHILAF FATEH KI DUA MAANGTE THE.
Hadees 01:
Hazrat Abduallah Bin Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  ne farmaya:
"kahybar k yahoodi Ghatfaan qabeelay say bar sar e paykaar raha karty thy (Yani larty rehty thy), pas jab bhi dono ka samna hua yahoodi Shikast kha gaay. Phir Yahoodiyun nain is dua k zareeay panah mangi:
'Ay ALLAH hum tujh say Ummi NABI MUHAMMAD MUSTAFA  k waseelay say sawal karty hain jinhain to tu nain Akhri Zamana main hamary liay bhyjny ka hum say wada farmaya hay k in (Duhsmanon) k mubqably main hamary madad farma.'

Rawi kehty hain: Pas Jab bhi wo dushman k samny ay to unhoun nain yehe dua mangi aur Ghatfaan (Qabeela) ko shikast di. Laykin jab HUZUR NABI AKRAM mab'us huay to unhoun ne AAP ka inkar kiya. Is par ALLAH Ta'ala nain yeh ayat utari:

وَلَمّا جاءَهُم كِتابٌ مِن عِندِ اللَّهِ مُصَدِّقٌ لِما مَعَهُم وَكانوا مِن قَبلُ يَستَفتِحونَ عَلَى الَّذينَ كَفَروا فَلَمّا جاءَهُم ما عَرَفوا كَفَروا بِهِ ۚ فَلَعنَةُ اللَّهِ عَلَى الكافِرينَ
“Aur Jab Unke Pass Allah Ki Kitab (Quran) Aayi Jo Unke Saath Waali Kitab (Toraat) Ki Tasdeek Farmati Aur Isse Pehle Wo Isi Nabi K Waseele Se Kafiro Par Fatah Maangte The To Jab Tashrif Laaya Unke Pass Who Jaana Pehchana, Us Se Inkaar Kar Bethe To Allah Ki Lanaat Inkaar Karne Waalo Par”  
(Al Quran Surah Al Baqraah Ayat 89)
'Halnky is say pehly wo khud Ay Muhammad ! ap k waseelay say kaafiron par Fatah-yaabi ki dua mangty thy.'"
(Imam Haakim Al Mustadrak Vol : 2 Pg : 316, Hadith number : 3101)
Scan page
Front Pg of Al Mustadrak


Al Mustadrak Vol : 2 Pg : 316, Hadith  : 3101

Front Cover of Tafseer Ibn Katheer


(2) Ibn e Katheer Book : Tafseer Al Quran AL Azeem Vol : 1 Pg : 326
Scan Page of Tafseer ibn Kathir is below

Tafseer ibn Kathir Vol : 1 Pg : 326 


3) Abu Nu'ym : Dalael Un Nubuwwah Vol : 1, Pg : 82, Hadees : 43
4) Imam Jalal Ud Din Suyuti - Dar Al Manthur Vol : 1, Pg : 467-468
5)Ibn e Hajr 'Asqalani ,Al Isabah Vol : 2 Pg : 383
6)Imam Tabari - Jami' al Bayan Vol: 1 Pg : 411
7) Imam Bayhaqi - Dalaail An Nubuwwah Vol : 2 Pg : 76
aur bhi bahot se muhadiseen aur mufassireen ne isko likha hai.

Hadees 01 - A
Hazrat Abdullah Bin Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  se rivayat hai wo bayan karte hai Yahud Huzur e Akram   k waseele se Kuffar o Mushrikeen par fateh ki dua karte the aur fateh paate the par jab Aaka   jaahir hue to wo munkir hogye, ek martaba Hazrat Muadh Bin Jabal aur Bashar Bin Barra Bin Maroor Razi allaho Anho azmain ne Yahudio se kaha Aye yahud Allah عزوجل se daro hum
'Ay Yahood ! ALLAH عزوجل say daro aur Islam lay ao, Jab hum Ahl-e-Shirk thy to tum Naam e Muhammad   k sath hum par fatah manga karty thy, AAP   k be'sat aur seerat ko hum par paish karty thy.'
Yeh sun kar Salam bin Mishkam (Yahoodi) nain kaha:
'Yeh wo NABI nahi jis ka zikar hum karty thy aur jo sifaat hum bayan karty thy, wo is main nahi.
Is par ALLAH عزوجل nain yeh ayat utari Surah Baqraah ayat 89
[Abu Nu'ym Book : Dalael Un Nubuwwah Vol : 1 Pg : 82 Hadees : 43]

Is Hadees se pata chala k jab Ahle Yahood bhi Aaka k waseele se kuffar o mushrikeen se fateh paane ki dua karte to ALLAH عزوجل unki duao ko bhi kabool kar liya karte Qurban Jao Musalmano Khatiman Nabiyeen par k Allah عزوجل unke waseele se dua kabool kar liya karta hai aur Alhamdullilah Hum to musalman hai hamari duaye kyu na kabool ho wo to jalwagiri k pehle ka aalam tha to ab bhala ye kaise shirk hosakta hai ??
Hazrat Aadam Alaihi Salam ki Dua Huzoor E Kareem ﷺ K Waseele Se :
Hadees 02:
Hazrat Umar Farooq رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  se riwayat hai ki Nabi ne farmaya,
Jab Aadam alaihe salam se ek khata sarzad ho gayi aur fir unhone ALLAH عزوجل se is tarah dua ki, ''Aye Allah, عزوجل mai Muahammed ke waseele se tujhse dua mangta hu, mujhe maaf kar de,''
to Allah Taala ne pucha, 'Tumne Muhammed ko kaise jaana?' to Hazrat Aadam alaihe salam ne farmaya: Jab tune mujhe banaya tha tab maine apna sar upar ki taraf uthaya to dekha ki Arsh likha tha,
'LA ILAHA ILLALLAH MUHAMMADUR RASOOLULLAH'
tab mai samajh gaya ki inka maqam bahot Aalaha hai,
warna tumne ye naam apne naam ke sath nahi likha hota,
ALLAH عزوجل ne farmaya:
''Maine tumhe bakhsh diya, aur wo tumhari hi aulado me se mere Akhri Rasool honge, aur maine unhi ke sadqe tumhe paida farmaya hai.''
Dusri Riwayat me hai ki
Jab ALLAH عزوجل ne asman-o-zameen ko paida farmaya to
Arsh ke khambo per, Jannat ke darwazo per, Darakhto ki pattiyo par likha tha ki MUHAMMED aakhri Rasool hain,
Ye dono Riwayaten Saheeh hain,
References :
[Tabarani Mu'jam Al-Ausat Vol: 06, Pg No. 313-314, Hadees : 6502]
[ Al Majmua Fatawa Ibn Taymiyya , Vol. 2, page 150
[ Ta'rikh Ibn Kathir , chapter on 'Story of Adam']
[Shifa-us-siqam fi ziyarat khayr-il-anam Page No. 120-121]
[Imam Bulqini ne apne fatwe me is hadees ko Sahee karar diya. Hafiz Ibn Taymiyya, ke balawa bhi is riwayat ko Dusre Muhaddesin Hafiz Imam Suyuti, al-Bayhaqi aur Tabrani, ne bhi Saheeh sanad ke sath naqal farmaya hai.

Scan Page of Imam Tabrani Rehmatullah Alaihi Mujam AL Ausat
 
Masla :
1) Jab Huzoor E Akram k waseele se Adam Alaihi Salam ki dua Allah Rabbul Izzat me Makbool hui halanki us wakt to Huzur Sal Allahu Alaihi Wassalam is dunya me Paida bhi na hue us wakt bhi  Sarkar E Do Alam ka waseela Allah عزوجل ki bargah me liya jaata tha to aaj bhala ye lena kyukar Nazaiz o shirk hoga ?
2) Hazrat Adam Alaihi Salam ne Dua me Mustafa  ka waseela leke ye jahen diya mai Nabi hoke waseela talab kar raha hu to tum to ummati ho tumhe khud kitna waseela lena chahye.
3) Is masle me Shiddat pasand maulvi ibne Taimya tak Ahlus Sunnah se muttafik hua hai halanki bahot masle me Ibn Taimya ne iktelaf kiya hai Izma k khilaf par yaha ibn Taimya ne bhi ikraar kiya k ye Hadees sahi hai aur waseela e Mustafa  bhi haq hai.
4) Jab Wiladat se kabl waseela jaiz tha to abto Kainat me sirf aur sirf Huzoor  k hi ummati honge Aaka  ki hi shariyat chalegi to ab kyukar waseela haram shirk hoga ??
Pata Chala Waseela Talab karna Nabi e Karim ka khud Ambiya Alaihi Salam ki sunnat hai.

Is Hadees E Paak Par Wahabiyo Kay Aitraaz Ka Jawab CLICK HERE TO READ  
Huzoor ﷺ ki  Hayat E Tayyaba me  Waseele Ka Saboot :
Hadees 03 :
Hazrat Usman Bin Hunaif رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  se riwayat hai,ki ek Naa-beena(Andha ) shaks Nabi ki bargah m hazir hua aur bola, 'Aap mere liye dua kijiye ki ALLAH عزوجل  mujhe shifa ata farmaye,'
to Aap ne farmaya: 'Agar tum sabr karo, to ye tumhare liye zyada behtar hoga, aur agar tum chaho to mai tumhare liye dua karu' To usne kaha 'Aap Dua kijiye,' Aap alaihe salam ne farmaya: jao, achhi tarah wuzu karo, aur fir 2 Rakat namaz padho, aur fir is tarah Dua karo,
"Allahumma lnni as'aluka wa atawajjahu ilaikabimuhamma din nabiyyir-rahma. Ya Muhammadu inni qad tawajjahtu bika ila rabbi fi hajati hadhihi lituqda. Allahumma fashaffi’hu fiya.

Tarjuma: Aye ALLAH! عزوجل  mai tujhse sawal karta hu, aur teri taraf rukh karta hu, aur Muahmmed Nabi-e-Rehmat ke waseele se tujhse dua karta hu, Aye Mohammed , Maine apni hajat ke liye apke Waseele se ALLAH ki taraf rukh kiya, aye ALLAH! عزوجل  Ye Waseela qubul farma'
References :
[Tirmidhi As-Sunan, Vol-05, Page-569, Hadith-3578]
[Imam Hakim Al Mustadrak Vol : 01, Pg : 313, Hadees : 519]  

[Ibn Majah As-Sunan, Volume-01, Page-197, Kitab : Iqamat Al Salat Wa Sunnat, Hadith-1385] [Nasa’i - Amal Al Yawm Wal Layla Pg : 417, Hadees -658,659]

Scan page of Sunan Tirmidhi 




Imam Tirmizi ne Is Hadees ko Hasan Karar diya Imam Hakim ne Sahi Likha hai

Qazi Shawkani Jinhe Gair Mukallideen Ahle Hadees Jamat k nazdik bahot Motebar maana jaata hai Apni kitab Tuhfatuz Zakireen me Isi Hadees k hawale se likhte hai "Aur Is Hadees e paak se Huzoor Sal Allahu Alaihi Wassalam k Waseela Lene Ka Saboot Milta hai Lekin Ye Akeeda Ho k ALLAH HI ATA KARTA HAI WO HI LETA HAI JO ALLAH CHAHE JO NA CHAHE WO HI HONA HAI"
Scan page niche hai mulahiza ho

[Tuhfatuz Zakireen, Pg.138. By Qazi Shawkani]

Scan Page of Tuhfatuz Zakireen by Qazi Shawkani


SubhanALLAH Haq hai Sar Chad k Bolega ...
Is Hadees e Mubaraka se wajeh hua k Sahaba e Kiram Rizwanullahi Azmain ka bhi Mamoor Tha k wo Aaka
 k Waseele se dua manga karte the aur Aaka   ne kabhi khud k waseele ko bhi inkaar nahi kiya agar Huzoor ka waseela Jaiz na hota to us naabeena sahabi ko saaf inkar kardete k tu mera waseela na talab kar direct Allah se dua maang mujhe tere aur Rab k bich me na la magar aisa na kiya aur sahaba bhi chahte to Allah se hi dua maang lete magar Huzur   k pass Aake wo ye akeeda de rahe hai beshak dene waala to Allah Rabbul Izzat hi hai par Huzoor   k sadke se hi dega Subhan Allah
Note : Kuch Hazrat Ye kehte milenge k yaha Waseela Sirf us wakt tak jaiz tha jab tak Huzoor Sal Allahu Alaihi Wassalam Ba Hayat the ab waseela shirk hoga. MaazAllah
Hum yaha niche hi kuch aisi hadeese bhi pesh kar rahe hai jis se wajeh hojayga k Waseela har wakt jaiz hai.

Huzoor k Baad Az Wisal Waseele Ka Saboot :
Hadees 04 :
Ek shaks kai bar Hazrat Usman Bin Affan radialla taala anhu ke paas apni hajat rawai ke liye aata, lekin Hazrat Usman radialla taala anhu ne uspar tawajjoh nahi diya,
tab wo Hazrat Usman Bin Hunaif radialla taala anhu ke paas gaya aur maamle ki shikayat ki.
To Hazrat Usman Bin Hunaif radialla taala anhu ne farmaya:
Jaao, achhi tarah wuzu karo, aur fir Masjid me aakar 2 rakat Namaz ada karo, aur fir is tarah kaho,
''Aye ALLAH! mai tujhse sawal karta hu, aur teri taraf rukh karta hu, aur Muahmmed allallaho alaihe wasallam Nabi-e-Rehmat ke waseele se tujhse dua karta hu, Aye Mohammed sallallaho alaihe wasallam, Maine apni hajat ke liye apke Waseele se ALLAH ki taraf rukh kiya, aye ALLAH! Ye Waseela qubul farma''
aur fir apni Haajat pesh karo, aur fir mai tumhare sath Hazrat Usman radialla taala anhu ke paas chalta hu.
To us shaks ne waisa hi kiya, jaisa ki use karne ke liye kaha gaya tha,
fir iske baad wo Hazrat Usman radialla taala anhu ki bargah me hazir hua, Darwaze wale ne is shaks ka hath pakda aur Hazrat Usman radialla taala anhu ke paas le jaakar bitha diya,
Hazrat Usman radialla taala anhu ne pucha, 'Tumhe kya chahiye?'
to us Shaks ne apni Hajat pesh kiya, jo kuch use zarurat thi, tab Hazrat Usman radialla taala anhu ne use ata farma diya.

References :
[Imam Tabrani ne Ma'jam As Sagheer Vol : 01 Pg : 306-307,Hadees : 508]
[Imam Tabrani ne Ma'jam Al Kabeer Vol : 09 pg : 17-19, Hadees : 8311]
[Imam Haytami Ne Majma Az Zawaid Vol: 02, Baab : Salat Al Hajah, Hadees : 3668,]
[Imam al-Mundhiri ne At-Targheeb wa Tarheeb, Page No. 242, Baab : Salat Al Hajah]
[Imam Bayhaqi ne Dalail An nubuwwah Volume : 6 Page : 167-168]
[Imam Taqi ud Din Subki ne Shia As Siqam Vol : 1 Pg : 370-372, Baab : Baad Az Wisal Un Nabi Sal Allahu Alaihi Wassalam]
[Ibn Taymiyyah ne is hadees ko “Sahih” likha Qa'ida al Jaleela fit Tawassul wal Waseela Page No. 156]
[Imam Muhammad bin Yusuf al-Salihi Al Haadi ne Sabl al Hadi, Vol :12,Baab 05 : Waseela E Mustafa Sal Allahu Alahi Wassalam Baad Az Wisal, Pg : 407]
See Scan Pages Of Hadees
1)
[Imam Tabrani ne Ma'jam As Sagheer Vol : 01 Pg : 306-307,Hadees : 508]
Front cover of Majam As Sageer 








YE Scan Pages Imam Tabrani ne Ma'jam As Sagheer Vol : 01 Pg : 306-307, Hadees : 508 ka is hadees ko likne k baad Imam Tabrani ne Khud hi likha hai ye hadees sahi hai.. Subhan Allah

Ab Imam 
Imam al-Mundhiri ne At-Targheeb wa Tarheeb, Page No. 242, Baab : Salat Al Hajah ka Scan niche dekhiye

Aur bhi bahot se hai jo is hadees k sahi hone me gawahi dete hai ye do kaafi hai aur mazid dusri bhi hadees e paak hai jo yaha upload karni hai aur  Imam Muhammad bin Yusuf al-Salihi Al Haadi ne Sabl al Hadi me baab ka naam hi rakha hai Waseela Bad Aj Wisal aur us baab me ye hadees nakal ki hai sahi isnaad.
1) Baad az wisal Usman Bin Hunaif Radi Allaho Anho khud dusre shaks ko ye amal de rahe hai k jao aur usi trah dua karo jo nabeena sahabi ne kiya tha agar baad az wisal waseela nazaiz hota to bhala kyu hukm dete aur phr Hazrat Usmam Gani Razi Allaho anho ne bhi hazat puri ki hai aur akeeda diya hai k ye kaam hargiz shirk nahi hai.
IS HADEES PE AITRAZ KA JAWAB  CLICK TO READ


For Next Part 02 please click here NEXT POST NO : 02

 Dua ki Guzarish Sher Ali Hanfi

36 comments:

  1. masa allah
    kafi achi bat hum tak phuchayi
    allah apko apni nabi k sadke rahmato aur barkato k saye me rakhe

    ReplyDelete
  2. Allah ne quran me jo ayat utari hai aur usme jo hurf waseela aaya hai ke uska qurb talaash karo aur waseela se murad allah ka qurb hai aur talaash se murad nabi s.a.w ki sunnat aur allah ke ahkamat ko pura karne ka naam hai aur aap log use kisi nabi ya wali ka naam lekar apni hajat rawai apne dua me pesh karte ho yeh kaun sa hadith aur quran ki ayat hai aur aap logo ne waseela ko haajat rawai bana kar pesh kar diya jabke aap khud har paanch waqt ye dua padhte ho iyya kanas ta'yin ke hum sirf tujhse madad maangte hai aur kitna jhoot bolenge aap log aur aap logo ne jitni bhi hadees bayan ki un me lafz waseela ka zikr hi nahi hai

    ReplyDelete
    Replies
    1. Hazrat Moosa Alaihi Salam Ka Hazrat Haroon Alaihi Salam Ko Apna Wazir Aur Madadgaar Banwana
      Ayat 28 / 29 /30 :

      وَاجعَل لي وَزيرًا مِن أَهلي -  29
      هارونَ أَخِي - 30
      اشدُد بِهِ أَزري - 31

      “Aur Mere Liye Mere Ghar Waalo Me Se Ek Wazir Karde - 29

      Woh Kaun Mera Bhai Haroon - 30

      Usse Meri Kamar Mazboot Kar - 31”

      (Surah 20 Surah Taha Ayat 29 - 30 -31)

      Allah taala ne to ye bol dena wahabi nukte nazar se Moosa Alaihi Salam Tujhe Kalimullah Banaya Tujhe Mujhpe Tawakko na rhi jo apni madad k liye apne bhai ko intekhab kar liya Kya bharosa naa raha Apne Rab pe tune Gairullah se Madad ki maang kar li kyu naa ye farmaya Kya Moosa Alaihi Salam ko bhi tauheed nahi yaad thi ?

      Balki Quran Me Allah Taala Ne Is Darkhawast k baare me kya kaha hai padhe Quran

      Ayat 31 :
      قالَ قَد أوتيتَ سُؤلَكَ يا موسىٰ

      “Farmaya Aye Moosa Teri Maang Tujhe Ata Huwi”

      (Surah 20 Surah Taha Ayat : 36)

      Allah Taala ne Hazrat Moosa Alaihi Salam ki Darkhwast ko kabool kiya aur unhe basharat di k Haroon Alaihi salam ko wajeer bhi bana diya aur tera Madadgaar bhi bana diya..
      Kya Taweel laynge wo jinhone me’aar e uloohiyat madadgaar ko banaya hai aur shirk k fatwe maar rhe hai wohi taweel laaynge jo AHLE SUNNAT ka mazhab hai k HAKIKI Madad ALLAH Ki Hai BANDE EK DUSRE K MAZHAR HAI.

      Delete
    2. Ye daleel to Quraan me surah maida ke ayat 2 me mil jayega ye to huqm hai neki or prhezgari ke kamo me ek dusre ko madad kiya kro ye waseela pe fit krna jahil pana hai

      Delete
    3. Akal bech aaye ho yaa aankh kharab hai wo Surah Maida Ayat 35 hai jisme Waseele lene ka wajeh saaf saaf alfaz hai Aur Waseela Amal Ka Makbool Bando Ka Rab ki Sifat Kaa Jaiz O Mustahab hai


      Delete
    4. bhai Allah azzawajal ne inke dilo pe parde daal diye hain...ye gustakh e rasool khilaaf e quran aqaid rakhne waale kabhi nahi maanenge...inkaar karne waalo per Allah ki laanat

      Delete
    5. QURAN O HADEES KA ILM NET AUR TV PE AAM KARNA KIS HADEES MEIN HUKM HAI ?? AAP BATAIYYE MULLA IQBAL KHAN GUMRAAH

      Delete
    6. Surah fatiha hee bhool gayee kya....Siratal lazeena an amta alahim gairil magdoobi alahim wala doleeen...
      The path of those upon whom You have bestowed favor, not of those who have evoked [Your] anger or of those who are astray.....Tum loog abu jahal kay khandaan say hoo..

      Delete
  3. Subhan ALLAH Subhan ALLAH Bohat hi Umdah Kam kiya hai aapne ALLAH Ta'ala aapko Uske Habeeb ﷺ ke sadqe dono jahan ki kamiyabi inayat awr aise hi deen ki khidmat karne ki taufeeq o isme har tarha se madad farmae aameen summa aameen

    ReplyDelete
  4. This is owesome website about Islam.
    You can also download Quran-e-pak ringtone here.
    islamic ringtones

    ReplyDelete
  5. Masha Allah
    Bahot Sara ilm Mila pad kar

    ReplyDelete
  6. Mashah Allah
    bahot ilm hasil hua or wo b hadees ki roshni me
    Inn shah Allah age be isi tra me apne deeni malumaat hasil karne k liya padhta rahunga.

    ReplyDelete
  7. Mere ek sawal or hai ummid karta hu jawab mil jayga
    isme jitne b hadees hai usse sabit hota hai k wasila lagao or har jagah waseela rasoollaha saw ka hi laga hai kya ham wasila kisi sahaba ya ambiya iqram ya buzurg ka laga sakte hai ?

    ReplyDelete
    Replies
    1. Waseela nabi Aur Gair e Nabi Yaani Sahaba tabain Auliya ka bhi lagaya jaa sakta hai
      In Links ko padhe

      http://www.786sho.blogspot.in/2015/01/waseela-tawwasul-intercession-quran_24.html

      http://786sho.blogspot.in/2015/02/tabbarukat-mukkaddas-makamat-se.html

      http://786sho.blogspot.in/2015/03/waseela-aur-buzurgo-k-akeede.html

      Delete
  8. Jo loog wafaat pa jain unke waseely se mangna shirk hy kion ke wo na sun sakte hen or na hi bol sakty hen.oper quran ki jo ayaat or hadith ki daleel di gai hey us main kaheen nai likha k foot hovy logon k waseely se mango.zinda logon se help mangna shirk nai hy yaa kisi zinda insaan se dua ki darkhast karna shirk nai hy lekin murda logon se mangna shirk hy

    ReplyDelete
    Replies
    1. Upar jo kaha gaya h....
      Uski daleel v di gayi h....

      Lekin aap jo farma rahe h uski koi daleel nhi diya apne......
      Agr apke paas daleel h to de...

      Delete
    2. Lekin mere nabi bhi zinda hain or auliya allah bhi
      to unse mangna shirk kese

      Delete
  9. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  10. Mr./Ms. JULYA, may i have your attention here plz, Jo log wafaat pajayen unka Wasila Sahi nahi... to Qur'an me to shohda ko murda guman krne se mna kiya gya hai... IsKa matlab Shahid (who are killed/martyred in the way of Allah) ka wasila jayez hua jo Qur'an k nass e qatayee se sabit hai..... ye to alag bahes hai k Aaqa kareem sahaba ikram aulia ko qaza aayee per unhe dobara zindagi di gyee..... now your turn to prove jinki wafaat hogyee unka Wasilla haram jabke zinde ka jayez

    ReplyDelete
  11. Mashaallah Subhanallah Bahut khub Sahab Aise Jahilao k liye Bahut Unda Kam Kiya Hain Allah ka Shukaar Hai Alhamdulillah Hum Umaad e Muhammadi Hain

    ReplyDelete
  12. sabse pehle to aapne Quran par jhoot bandha he aapne surah baqra ki aayat 89 ke tarjume me aapne likha he "Aur Isse Pehle Wo Isi Nabi K Waseele Se Kafiro Par Fatah Maangte The" ab zaya bataiye ki وَلَمَّا جَآءَهُمۡ كِتٰبٌ مِّنۡ عِنۡدِ اللّٰهِ مُصَدِّقٌ لِّمَا مَعَهُمۡۙ وَكَانُوۡا مِنۡ قَبۡلُ يَسۡتَفۡتِحُوۡنَ عَلَى الَّذِيۡنَ كَفَرُوۡا  ‌ۖۚ فَلَمَّا جَآءَهُمۡ مَّا عَرَفُوۡا کَفَرُوۡا بِهٖ‌ فَلَعۡنَةُ اللّٰهِ عَلَى الۡكٰفِرِيۡنَ me aapne kis lafz ka tarjuma (Aur Isse Pehle Wo Isi Nabi K Waseele Se Kafiro Par Fatah Maangte The) kiya he ???
    Is aayat me nabi s.a.w. ka zikar hi nahi he " or jab Allah ki taraf se unke pas kitab aayi jo unki kitab ki bhi tasdeeq karti he. or wo pehle kafiro par fatah manga karte the to jis cheez ko wo khoob pehchana karte the jab unke pas aa pahunchi to isse kafir ho gaye."
    is aayat me aapne kis laft ka tarjuma ""Aur Isse Pehle Wo Isi Nabi K Waseele Se" kiya he bataiye.

    ReplyDelete
    Replies
    1. pichhla waseela ka to inkaar karke kufr kardia ispar imaan kaha se laaoge tum....jaahil aadmi...tarjuma tumhare hisaab se hoga ya Quran O Hadees ke hisaab se hoga ? abe aql ke andhe quran ki aayat ka inkaar karta hai...bol waseela wali aayat pe waseela ka inkaar q karta hai bol kaafir munaafiq

      Delete
  13. Yahi hal to barelwiyo ka hai Mohammad Rasulullah Sallallahu Allaihi Wasallam ka waseela lagaate hai Magar jab Nabi Sallallahu Allaihi Wasallam ki Taleemat ki baat aati hai to yahoo'd ki tarah palat hate hai

    ReplyDelete
    Replies
    1. Hanafi logon ki ek bimaari hai ye Rasool sallallahoalaihewasallam ka naam istemaal karke apne buzurg baabo ka rasta saaf karte hai aur unki nabiyo ke darze pe pahuchane ki koshish karte hai

      Buzurg woh jo inhone khud saabit kar rakhe hai
      Deobandi and barelvi dono hanafi hai phir bhi inke buzurg ek doosre ko kaafir aur mushriq kente rahe hai unki isi buzurg parvati ne islam ko subcontinent mein bada nuqsaan pahuchaya hai...isi liye islam subcontinent mein poori Tarah nahi Phail saka
      Allah inhe hidayat ata farmaye

      Delete
    2. Ameen , beshak,
      Bhai isliye sirf nabi k sunnat aur Allah k ahkam par chalo

      Delete
  14. Waseele ke muaamle me ahle hadith Ka mouquf bilkul durust hai
    (1) Allah ke namo Ka waseela jaiz
    (2) zinda ba-amal nek insan se duaa karwana jaiz
    (3) apne nek aamal Ka waseela jaiz
    iske alawa waseele ki har qism na-jaiz wa haram hai

    ReplyDelete
  15. Mushrik ko Quran Q samjh aati hai

    ReplyDelete
  16. Agar jawab nhi de sakte to kabristan me salaam karne ka hukm na hota aur allah se khud irshad farmata h ki saheed ko murda na kho wo zinda h jab saheed zinda h to mere nabi bhi zinda h mere wali allah bhi zinda hai

    ReplyDelete
    Replies
    1. Bhai mere ye sachch hai hamare Nabi zinda hai lekin hamari koi aukaat nahi ke ye malum karle ki kaise zinda unki Zindagi kaisi hai

      Delete
  17. Allah ke hukum aur nabi ki sunnat par chalo, bekaar ki baato ko chodo, Dino jahan me kamiyaab hoga.

    ReplyDelete
  18. This website is very awsome and real face of Islam..learnt many things on base of quran o hadith...Allah iska Ajar azeem ata farmaye Apne mahboob sallallaho alaihiwasalam k sadqe or waseele

    ReplyDelete
  19. JazakALLAHU Khair Hazrat..
    ALLAH Ta'ala Apne Habib ﷺ Ke Sadqe Dono Jahan Me Aapko Qamiyabi Ata Farmaye.
    Aameen.
    Awwal Aakhir Darood
    Get Daily Free Islamic Hadith

    ReplyDelete
    Replies
    1. Bhai Sahab Jake sahih bukhari hadees no. 1010 padho kya Likha .

      Delete

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers