Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Tuesday, 23 July 2019

Tawassul Hazrat Adam Alayhissalam Per Tehqeeqi Jayza


الرد الصارم علی منکر روایت وسیلہ آدم ۔

Tawassul Hazrat Adam Alayhissalam



Sallu Alal Habib Sallallahu Ala Mohammad Swallallahualaihiwasallam
Tujh Ko Kya Degay Yeh Shah E Madina Per Chodde
Tu Ghulam Hai Unka Sab Kuch Unki Ataa Per Chodde
Apni Bakshish Ki Fikr Karnay Wala Tu Hai Kaun
Yeh Mustafa Ka Kaam Hai Mustafa Per Chodday (Swallallahualaihiwasallam)
Aur Kya Hai Biddat Kya Hai Sunnat
Faisla Tu Khud Na Kar
Yeh Barelvi Kay Shah E Imam Ahmed Raza Per Chodday.

Wajah Talif

Yeh Risala Badi Mashoor Hadees Hazrat Adam Alayhissalam Kay Ta’luq Say Hai Jis Per Hum In Sha Allah Taala Badi Wazahat Say Likhege Jissey Wazeh Hojayega Kay Hazrat Adam Alayhissalam Nay Nabi Alayhissalam Ka Waseela Liya Hai Aur Allah Taala Ka Qurb Hasil Kiya Hai

Wajah Is Hadees Ki Tehqeeq Likhne Ki Munkir E Tawassul Hai Jo Kay Awam Un Naas Ko Gumrah Baddeen Karnay Kay Liye Har Tarah Ki Koshish Kartay Hai Mas’alan Sahih Hadees Ko Zaef Bana Detay Hai Aur Zaef Hadees Ko Mauzu Bana Detay Hai Lekin Jaha Inkay Apne Nafs Ki Baat Aati Hai Waha Yeh Mauzu Hadees Ko Bhi Sahih Tak Bana Detay Hai Jiski Daleelein In Sha Allah Taala Aagay I Gi

Albani Jo Wahbiyo Ka Sabsay Bada Muhaqeeq Hai Usne Apni Kitab “At Tawassul” Safa 115 Per Hazrat Adam Alayhissalam Ki Tawassul Wali Hadees Ko Mauzu Likha Hai , Isi Tarah Wahbiyo K Shaikh Abu Zaid Zameer Bhi Is Hadees Ko Mauzu Manghadat Kehta Hai
May Yeh Samajhta Hu Kay Wahbiyo Ko Mauzu Aur Zaef Hadees May Farq Hi Nai Pata Lekin Jab Inkay Nafs Wali Mauzu Hadees Inko Miljaye Toh Yehi Hai Jo Makhlooq May Sabse Zyada Usper Amal Karnay Lagjaate Hai.

Ab Hum Pehle Asal Hadees Pesh Kartay Hai Aur Un Imamo Kay Hawale Jaat Jinhone Is Hadees Ko Apni Kitabo Me Nakal Kiya Hai.


Hadees Shareef Yun Hai.

حدّثنا أبو سعيد عمرو بن محمد بن منصور العدل ، ثنا أبو الحسن محمد بن إسحاق بن إبراهيم الحنظلي ، ثنا أبو الحارث عبد الله بن مسلم الفهري ، ثنا إسماعيل بن مسلمة ، أنبأ عبد الرحمن بن زيد بن أسلم ، عن أبيه، عن جدّه، عن عمر بن الخطاب رضي الله عنه قال:  قال رسول الله : «لَمّا اقْتَرَفَ آدَمُ الْخَطِيئَةَ قالَ: يا رَبّ أَسْأَلُكَ بِحَقّ مُحَمَّدٍ لما غَفَرْتَ لِي، فَقالَ الله: يا آدَمُ وَكَيْفَ عَرَفْتَ مُحَمّداً وَلَمْ أَخْلُقْهُ؟ قالَ: يا رَبّ لأَنَّكَ لَمّا خَلَقْتَنِي بِيَدِكَ وَنَفَخْتَ فِيَّ مِنْ روحِكَ رَفَعْتُ رَأْسِي فَرَأَيْتُ على قوائِمِ الْعَرْشِ مَكْتوباً لا إِلهَ إِلا الله مُحَمَّدٌ رَسولُ الله، فَعَلِمْتُ أَنَّكَ لَمْ تُضِفْ إِلى اسْمِكَ إِلا أَحَبَّ الْخَلْقِ إِلَيْكَ، فقالَ الله: صَدَقْتَ يا آدَمُ إِنَّهُ لأَحَبُّ الْخَلْقِ إِلَيَّ ادْعُني بِحَقِّهِ فَقَدْ غَفَرْتُ لَكَ وَلَوْلا مُحَمَّدٌ ما خَلَقْتُكَ . هذا حديث صحيح الإسناد وهو أول حديث ذكرته لعبد الرحمن بن زيد بن أسلم في هذا الكتاب 

Sanad :
Hazrat Abu Sa'ed Amr Bin Mohammad Bin Mansoor Adal > Abu Hasan Mohammad Bin Ishaq Bin Ibrahim Hanzali > Abu Haris Abdullah Bin Muslim Fahri > Ismail Bin Muslimah > Abdur Rehman Bin Zayd Bin Aslam > An Zayd > An Aslam > An Umar Bin Khattab Radialla Taala Anhu

Matan Tarjuma :
Hazrat Umar Farooq E Aazam Radialla Taala Anhu Say Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi E Kareem Alayhissalam Ne Farmaya Jab Adam Alayhissalam Say Lagjish Hui Toh Hazrat Adam Alayhissalam Nay Arz Ki,A Rabb Azzawazal May Mohammad Alayhissalam Kay Waseele Say Maafi Ka Talabgaar Hu,
Allah Azzawazal Nay Irshad Farmaya
A Adam Tunay Mohammad Alayhissalam Ko Kaise Jaana ? Halanki Mene Unhe Paida Bhi Nahi Kiya,
Hazrat Adam Alayhissalam Nay Arz Ki A Mere Rabb Azzawazal Jab Tunay Mujhe Apne Daste Qudrat Say Paida Farmaya Aur Mere Andar Rooh Daali Toh Mene Apna Sar Uthaya Aur Arsh Kay Paayo Par
"Laillaha Illallah Mohammadur Rasoolallah"
Likha Hua Dekha Toh Mene Jaan Liya Ki Jis Ka Naam Tunay Apnay Naam Kay Sath Joda Hai Yaqinan Makhlukaat May Say Jyada Aziz Hai,
Allah Taala Nay Irshad Farmaya A Adam Tunay Sach Kaha Beshaq Wo (Huzoor Alayhissalam Mujhe Makhlukaat May Say Sab Say Zyada Pyaare Hai Tumne Usi Mehbub Kay Waseele Say Mujhe Pukara Pas May Nay Tumhay Muaf Farma Diya Aur Agar Mohammad Alayhissalam Na Hote Toh May Tujhe Paida Na Karta"


Is Hadees Ko Kai Imamo Ne Apni Kitab May Naqal Kiya Hai, Hawala Pesh E Khidmat Hai
     1)    Imam Hakim , Al Mustadarak Jild 2 Safa 722 Hadees 4278 ( Imam Hakim Is Hadees Kay Tahet Likhtay Hai , “Haza Hadeesun Sahih Ul Isnad” Yeh Hadees Ki Sanad Sahih Hai Aur Yeh Pehli Hadees Hai Jismay Abdur Rehman Bin Zayd Bin Aslam Ko Laaya Hai.   
     2)      Imam Tabrani , Muajam Ul Ausat Jild 6 Safa 313 – 314 Hadees 6502
     3)      Imam Tabrani , Muajam Ul Sagir Jild 2 Safa 83 Hadees 952
     4)      Imam Bayhaqi , Dalail Un Nabuwat Jild 5 Safa 489
     5)      Imam Abu Nuaym , Dalail Un Nabuwat Jild 1 Safa 36
     6)      Imam Qazi Ayaz , Ash Shifa Jild 1 Safa 173
     7)      Imam Ibn Asir , Tarikh E Damishq Jild 4 Safa 437
     8)      Imam Haythami , Majma Uz Zawaid Jild 8 Safa 253
     9)      Imam Ibn Rajab , Nuktul Kitab Jild 1 Safa 318
   10)   Imam Abdur Rehman Ibn Jawzi , Al Wafa Bi Ahwalil Mustafa Safa 47
   11)   Imam Taqi Ud Din Subki , Shifa Us Siqam Safa 359
   12)   Imam Ibn Asakir , Tarikh E Damishq Jild 2 Safa 332
   13)   Imam Samhudi , Al Wafa Ul Wafa Jild 4 Safa 1371
   14)   Imam Hussamuddin Hindi , Kanzul Ummal Jild 11 Safa 455 Hadees 32138
   15)   Imam Shahbuddin Qastalani , Al Muwahib Al Addunya Jild 1 Safa 55
   16)   Imam Burhanuddin Halbi, Seerat Ul Halbiya Jild 1 Safa 354
   17)   Imam Mohammad Abdul Baqi Zarqani , Sharah Zurqani Jild 1 Safa 119
   18)   Imam Ibn Hajar Asqalani , Lisan Ul Meezan
   19)   Imam Jalaluddin Suyuti , Tafseer E Durre Mansoor Jild 1 Safa 242
   20)   Imam Jalaluddin Suyuti , Al Khasais Ul Kubra Jild 1 Safa 12 
   21)   Imam Ismail Nabhani , Tafseer Rooh Ul Bayan Jild 2 Safa 370
   22)   Imam Ismail Nabhani , Hujjat Ul Islam Alal Alameen Jild 1 Safa 129
   23)   Imam Mohammad Yusuf Shami , Sublul Huda Jild 12 Safa 403
   24)   Imam Salabi , Tafseer E Salabi Safa 189
   25)   Imam Ibn Hajar Al Haytami , Fatawa E Hadeesiya Safa 134
   26)   Imam Shah Abdul Haq Ilahbaadi ,Ad Durul Munazzam Safa 15
   27)   Imam Abid Sindhi , At Tawassul Safa 49
   28)   Ibn Taymiyah , Majmua Ul Fatawa Jild 2 Safa 95
   29)   Ibn Kaseer , Al Bidaya Wan Nihaya Jild 1 Safa 323
   30)   Ibn Kaseer , Seerat Un Nabi Jild 1 Safa 320
   31)   Ibn Kaseer , Qasas Ul Ambiya Safa 40-41
   32)   Ibn Kaseer, Mojazat Un Nabi Alayhissalam Safa 242
   33)   Imam Abu Abdullah Waqidi , Futuhat E Sham Jild 1 Safa 105
   34)   Imam Mulla Mu’een Waiz Al Khashifi Al Harawi , Maarij un Nabuwat Jild 1 Safa 463

Issey Bhi Kahi Zyada Hawalay Maujud Hai Kitabo May Jo Kay Filwaqt Zarurat Nai K Saaray K Saaray Yaha Dediye Jaye Balke Haq Walo Kay Liye Ek Hi Hawala Kaafi Hota Hai , Saniyan In Aimma May Say Kisi Nay Bhi Is Hadees Ko Mauzu Wa Manghadat Hadees Qarar Nai Diya Jaisa Kay Dawah Munkir E Tawassul Wahbiya Kehte Hai.

Jo Hadees In Munkiro Kay Nafs Kay Khilaf Ho Wo Hadeesein Mauzu Banjaati Hai Aur Usey Mauzu Qarar Dene Kay Liye Yeh Aydi Choti Ka Zor Laga Dete Hai Aur Logo Ko Gumrah Wa Baddeen Banane Nikal Padhtay Hai Lekin Jo Hadees Waqai May Mauzu Hai Uski Difa Kay Liye Kis Tarah Kay Paitre Aazmate Hai

Mas’alan

Wahbiyo Kay Ek Molvi Irshad Ul Haq Asari Jo Kay Apne Nafs Kay Mutabik Wali Hadees Ki Ek Riwayat Per Mauzu Kay Aitraz Kay Jawabat May Likhtay Hai

“Agar Isey Mauzu Qarar Diya Jaye , Jaisa Kay Asar Hazir Ya Maazi Qarib Kay Mut’asabeen Hanfiya Is Jurrat Ka Muzahira Farma Rahay Hai Toh Batlaya Jaye Kay Is Mauzu Per Allama Ibn Daqiq Al Ayd , Allama Zil’ae , Hafiz Ibn Hajar Ki Khamoshi Che Maani Daarad , Kya Mauzu Riwayat Se Istedlal Durust Hai ? Kya Mutaqaddimeen May Say Kisi Nay Isey Mauzu Qarar Diya Hai ? Qatan Nahi Toh Nau Amooz Ki Mahez Garam Guftari Say Isey Mauzu Qarar Dene Kay Natijay May Allama Zil’ae Wagaira Per Kya Fatwa Saadir Kiya Jayega?”

Aur Isi Safah Per Kuch Aagay Likhtay Hai

“Mauzu Qarar Diya Jaye Toh Mutaqaddimeen Per Harf Hoti Hai, Batlaye Salaf Ka Ehtaram Aur Usool Ki Paasdari Kidhar Hai?”
Ba Hawala Maqalat Irshad Ul Haq Asari Jild 2 Safa 42

Kamal Ki Baat Hai Jab Wahabi Ki Apne Nafs Kay Mutabik Wali Hadees Ko Sahih Qarar Dena Hai Toh Kaisay Kaisay Paitray Aazmatay Hai Aur Hume Ehtaram Aur Usool Ki Paasdari Sikhate Hai, May Puchta Hu Hazrat Adam Alayhissalam Ki Hadees Ko Jin Aimma E Kram Ne Apni Kitabo May Nakal Kiya Hai Jinkay Hawale Qul 34 Upar Humnay Diye Hai, Is Hadees Ko Mauzu Qarar Dene Say Mutaqaddimeen Per Harf Gairi Hogi Ya Nai? Kya Mutaqaddimeen May say Kisi Nay Isey Mauzu Qarar Diya Hai ? Qatan Nahi Toh Nau Amooz Ki Mahez Garam Guftari Say Isey Mauzu Qarar Dene Kay Natijay May Mutaqaddimeen Per Kya Fatwa Saadir Kiya Jayega?”

Dusri Taraf Gair Muqallid Kay Apne Usool Hai Jo Kay Kitabo May Maujud Hai Aur Inhi Usoolo Kay Buniyad Per Hazrat Adam Alayhissalam Kay Tawassul Wali Hadees Bilkul Sahih Aur Durust Sabit Hoti Hai

Gair Muqallid K Usool

Wahbiyo Kay Ek Molvi Zuber Ali Zai Jo Kay Muhaddis E Asar Hai, Yeh Apni Kitab Anwar Ut Tareeq Safa 5 Per Likhta Hai
“Aur Zahir Hai Kay Hadees Kay Sahih Wa Zaef Honay Ka Daromadar Muhaddiseen E Kram Per Hai”

Yahi Usool Kitab Ahle Hadees Jannat Ka Rasta Safa 6 Per B Likha Hai .

Gair Muqallid Zuber Ali Zai Jo Ek Bahut Bada Makam Rakhte Hai Apni Jamat May Aur Aaj K Tarikh May Yeh Markar Mitti Me Puri Tarah Mil Chukay Hai , Inhi K Usool Per Hum Aagay Aimma Ki Tasheeh Wa Ta’ed Pesh Karegay Jissey Saabit Hojayega Kay Hazrat Adam Alayhissalam Ki Tawassul Wali Hadees Na Toh Mauzu Hai Na Zaef Balkay Bilkul Sahih Hadees Hai.


Tasheeh Wa Ta’ed
Ab Hum Un Muhaddiseen Ki Tasheeh Pesh Karege Isi Hadees Per:
     1)     Imam Hakim Rahimahullah Ka Aqeeda
Imam Hakim Apni Mustadarak May Kehte Hai  “Haza Hadeesun Sahih Ul Isnad” Yeh Hadees Ki Sanad Sahih Hai ( Ba Hawala Al Mustadarak Jild 2 Safa 722 Hadees 4278 )

     2)      Imam Subki Rahimmahullah Ka Aqeeda
Imam Subki Apni Kitab (Shifa Us Siqam Safa 134-135) Me Is Hadees Ki Sanad Ki Ta’ed Kartay Hai

     3)      Imam Qazi Ayaz Rahimahullah Ka Aqeeda
Imam Qazi Ayaz , (Shifa Shareef Jild 1 Safa 173) Per Isi Hadees Ki Sanad Ki Ta’ed Kartay Hai

     4)      Imam E Azam Abu Hanifa Radialla Taala Anhu Ka Aqeeda
Imam E Azam Abu Hanifa Farmatay Hai “Aap Wo Hai Kay Jab Hazrat Adam Alayhissalam Nay Apko Waseela Banaya Toh Wo Kamyab Hue Qabuliyat Dua Say Halankay Wo Apkay Baap Hai” ( Ba Hawala Rehmat Ur Rehman , Urdu Tarjuma Qasida E Noman Safa 47)

     5)      Imam Malik Radialla Taala Anhu Ka Aqeeda
Hazrat Imam Qazi Ayaz Alayhirrehma Tehreer Farmatay Hai Kay Ameer Ul Mo’mineen Abu Jafar Mansoor Yaani Bani Abbas Ka Dusra Khalifa Jab Nabi Alayhissalam Kay Mazar Aqdas Ki Ziyarat Kay Liye Hazir Hua Toh Us Waqt Masjid E Nabawi May Hazrat Imam Malik Radialla Taala Anhu Maujud Thay , Khalifa Mansoor Nay Apko Mukhatib Kartay Hue Kaha ,
A Abu Abdullah May Kaabay Ki Taraf Ki Muh Karkay Dua Karu Ya Rasul Allah Alayhissalam Ki Taraf Muh Karu? Hazrat Imam Mallik Nay Farmaya Kis Tarah Tum Apna Chehra Huzur Ki Taraf Pher Sakte Ho Halanke Wo Allah Ki Bargah Hai Tumharay Aur Tumharay Baap Adam Alayhissalam Kay Waseele Hai , Lihaza Tum Huzur Hi Ki Taraf Rukh Karo Aur Unse Shafa’at Talab Karo ,Allah Taala Unki Shafa’at Qabul Farmayega.
(Shifa Sharif Jild 2 Safa 33)


    6)      Imam Mohammad Bin Yusuf Al Salih Rahimahulah Ka Aqeeda
Imam Suyuti Kay Shagird, Imam Mohammad Bin Yusuf Al Salih Nay Is Hadees Ki Ta’ed Ki Hai (Subul Ul Hadi Wal Rashhad, Jild 1 Safa 86.)

    7)      Ibn Taymiyah Aqeeda Aur Likhta Hai
Yeh Hadees Us Hadees K (Yaani Hazrat Umar Bin Khattab Radialla Taala Anhu) Kay Mutaliq Hai Aur Yeh Dono Hadees Ek Dusre Ki Tafseer Hai Aur Yeh Sahih Hadees Hai
(Majmua Al Fatawa Jild 2 Safa 150)



    8)      Ibn Jawzi Ka Aqeeda
Ibn Jawzi Kitab Al Wafa Bi Ahwaal Lil Mustafa Kay Muqadmay May Likhtay Hai Kay Isme Koi Bhi Mauzu Riwayat Nai Likhegay Aur Isi Kitab Kay  Safa 45-46 Per Ek Alag Sanad Say Is Riwayat Ko Jiska Matan Zara Alag Hai Usey Naqal Kartay

    9)      Imam Zarqani Rahimahullah Ka Aqeeda
Imam Zarqani Nay Iski Ta’ed Ki Hai (Sharah Zurqani Jild 1 Safa 119 )

   10)   Imam Abid Sindhi Rahimahullah Ka Aqeeda
Imam Abid Sindhi Nay Is Hadees Ki Ta’ed Ki Hai ( At Tawassul Safa 49 )

Jo 10 Pesh Kiye Hai In Muhaddiseen May Kisi Nay Bhi Is Hadees Ko Mauzu Toh Door Zaef Tak Qarar Nai Diya Aur Yeh Tamam Ala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan Radialla Taala Anhu Say Pehle Kay Hai

Saniyan Yaha Bhi May Puchna Chahta Hu Kay Zuber Ali Zai Kay Usool Kay Mutabik
“Hadees Kay Sahih Wa Zaef Hone Ka Daromadar Muhaddiseen E Kram Per Hai” (Anwar Ut Tareeq Safa 5)..

Toh In Muhaddiseen Nay Mauzu Qarar Na Diya Toh Bilashuba Yeh Sahih Saabit Hoti Hai Aur Thodi Wazahat Kay Liye May Inhi Gair Muqallideen Kay Dusre Usool Bhi Pesh Karta Hu Jiska Majmua Maana Hai Kay

“Muhaddiseen Ki Tasheeh Uske Har Har Rawi Ki Tauseeq Hoti Hai”

Gair Muqallid Kay Muhaddis E Kabir Mohammad Raes Nadwi Sahab Ibn Hajar Asqalani Rahimahullah Kay Ek Riwayat Ki Sanad Ko Rijal Us Siqat Kehne Per Likhtay Hai : “ Issey Malum Hua Kay Hafiz Ibn Hajar Rahimahullah Ki Nazar May Imam Darqutni Nay Hadees Mazkoor Ko Aisay Mutassil Sanad Kay Saath Riwayat Kiya Hai Jiskay Sabhi Ruwaat Siqah Hai Aur Jab Ittesal Sanad Kay Saath Sabhi Ruwaat Sanad Siqah Ho Toh Wo Hadees Sahih Wa Muatbar Hoti Hai,Iska Dusra Matlab Yeh Hua Kay Hafiz Ibn Hajar Hadees Mazkoor Ki Is Sanad Ko Mutassil Sahih Mantay Hai.
((Ba Hawala Gayat Al Tehqeeq Fee Tazeehya Ayaam Attashreek Safa 77))

Isi Kitab May Ek Aur Maqam Per Likhtay Hai :
“Yaha Bhi Imam Bayhaqi Nay Sahih Ibn Hibban Wa Bazzar Wali Sanad Ko Mursal Nai Kaha Hai Na Iskay Kisi Rawi Per Koi Kalam Kiya Issey Mustafad Hota Kay Bayhaqi Sahih Ibn Hibban Wali Sanad Ko Mutassil Mante Aur Iskay Sabhi Ruwaat Ko Siqah Tasleem Kartay Hai”
((Ba Hawala Gayat Al Tehqeeq Fee Tazeehya Ayaam Attashreek Safa 62 ))

Is Tarah Ek Aur Mashoor Naasbi Alim Kifayatullah Sanabali Sahab Likhtay Hai :
“Ibn Hibban Rahimahullah Nay Sahih Ibn Hibban May Is Sanad Ko Sahih Kaha Hai Jo Is Baat Ko Mustalzim Hai Kay Ibn Hibban Kay Nazdeek Yeh Sanad Mutassil Hai
Yeh Aam Fahem Baat Hai Kay Jis Tarah Naaqid Muhaddis Kisi Sanad Ko Sahih Kahe Toh Uski Tasheeh May Sanad Kay Rijal Ki Tauseeq Hoti Hai, Thik Usi Tarah Iski Tahseeh May Sanad Ittesaal Wa A’dam Inqet’a Ka Hukm Bhi Hota Hai”
((Ba Hawala Chaar Din Qurbani Ki Mashru’iyat Safa 25))

Isi Tarah Yeh Naasbi Alim Kifayatullah Apni Dusri Kitab Anwar Ul Badar May Likhta Hai
“Aur Kisi Rawi Ki Sanad Ki Tasheeh Ya Tehseen Us Sanad K Rawiyo Ki Tauseeq Hoti Hai”
((Ba Hawala Anwar Ul Badar Safa 84))

Is Tarah Ek Aur Mashoor Muhaddis E Asar Wagaira Wagaira Zuber Ali Zai Likhta Hai :
“Muhaddiseen Ka Kisi Riwayat Ya Sanad Ki Tasheeh Karna Us Riwayat Ya Sanad Kay Tamam Rawiyo Ki Tauseeq Hoti Hai”
((Ba Hawala Tehqeeqi Islahi Aur Ilmi Maqalat, Safa 456))

Arz Hai Phir Humari Pesh Kardah Tawassul Ki Riwayat Ko Kai Imamo Nay Naqal Kiya Hai Aur Koi Jarah Nai Ki Hai Jissey Mohammad Raes Nadwi Sahab Ne Ehtijaj Kiya Hai Balke Iske Alawa 10 Aimma Wa Muhaddiseen Ba Shamul Ibn Taymiyah Kay Naam Ba Hawala Diye Hai Jinhone Is Riwayat Ki Tasheeh Wa Ta’ed Ki Hai Lihaza Humari Pesh Karda Riwayat Badarja Aula Sahih Wa Mutassil Hai.

Saniyan Gair Muqallid Kay Usool Say Sabit Hua Kay Muhaddiseen Ki Tasheeh Uske Har Har Rawi Ki Tauseeq Hoti Hai Toh Isi Usool Per Hadees Sanad Kay Aitbaar Say Sahih Sabit Hoti Hai.


Is Hadees Per Aitrazat Sanad Kay Aitbar Say Aur Uskay Jawabat

Is Hadees May Gair Muqallid Ka Aitraz Hai Kay Sanad May Ek Rawi Hai “Abdur Rehman Bin Zayd Bin Aslam” Aur Gair Muqallid Is Rawi Kay Baare Daleel Pesh Kartay Kay Yeh Zaef Hai Aur Is Buniyad Per Yeh Hadees Mauzu Hai Aur Ibn Jawzi Kay Hawalay Say Kehtay Hai Kay Is Per Ijma Hai Kay Yeh Rawi Zaef Hai.

Gair Muqallid Ka Dhoka Abhi Sabkay Saamne Pesh Hai.

Abhi Upar Hi Gair Muqallid Kay Usool Say Sabit Kiya Kay Muhaddiseen Ki Tasheeh Uske Har Har Rawi Ki Tauseeq Hoti Hai , Is Buniyad Per Tamam Rawi Siqah Hai , Saath Hi Saath May Iskay Alaawa Aur Bhi Jawabat Pesh Karta Hu

Abdur Rehman Bin Zayd Bin Aslam Say Jame Tirmizi Aur Sunan Ibn Majah May Hadees I Hai Aur Un Ahadees Ko Khud Darussalam Nay Sahih Kaha Hai.

Darussalam Wahbiyo Ki Site Hai , Sunnah.Com , Koi Bhi Dekh Sakta Hai

Hadees 1
Jame Tirmizi : Kitab Al Witr : Hadees 465

حَدَّثَنَا مَحْمُودُ بْنُ غَيْلاَنَ، حَدَّثَنَا وَكِيعٌ، حَدَّثَنَا عَبْدُ الرَّحْمَنِ بْنُ زَيْدِ بْنِ أَسْلَمَ، عَنْ أَبِيهِ، عَنْ عَطَاءِ بْنِ يَسَارٍ، عَنْ أَبِي سَعِيدٍ الْخُدْرِيِّ، قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ‏ "‏ مَنْ نَامَ عَنِ الْوِتْرِ أَوْ نَسِيَهُ فَلْيُصَلِّ إِذَا ذَكَرَ وَإِذَا اسْتَيْقَظَ ‏"


Hadees 2
Sunan Ibn Majah : Kitab 5 : Iqamat As Salat Wa Sunnah : Hadees 1244
حَدَّثَنَا أَبُو مُصْعَبٍ، أَحْمَدُ بْنُ أَبِي بَكْرٍ الْمَدِينِيُّ وَسُوَيْدُ بْنُ سَعِيدٍ قَالاَ حَدَّثَنَا عَبْدُ الرَّحْمَنِ بْنُ زَيْدِ بْنِ أَسْلَمَ، عَنْ أَبِيهِ، عَنْ عَطَاءِ بْنِ يَسَارٍ، عَنْ أَبِي سَعِيدٍ، قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ ـ صلى الله عليه وسلم ـ ‏ "‏ مَنْ نَامَ عَنِ الْوِتْرِ أَوْ نَسِيَهُ فَلْيُصَلِّ إِذَا أَصْبَحَ أَوْ ذَكَرَهُ ‏"‏


Hadees 3
Sunan Ibn Majah  : Kitab 16 : Hadees 2537
حَدَّثَنَا الْعَبَّاسُ بْنُ الْوَلِيدِ الدِّمَشْقِيُّ، حَدَّثَنَا وَهْبُ بْنُ سَعِيدِ بْنِ عَطِيَّةَ السُّلَمِيُّ، حَدَّثَنَا عَبْدُ الرَّحْمَنِ بْنُ زَيْدِ بْنِ أَسْلَمَ، عَنْ أَبِيهِ، عَنْ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ عُمَرَ، قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ‏ "‏ أَعْطُوا الأَجِيرَ أَجْرَهُ قَبْلَ أَنْ يَجِفَّ عَرَقُهُ ‏"‏

Hadees 4
Sunan Ibn Majah : Kitab 28 : Hadees 3339
حَدَّثَنَا أَبُو مُصْعَبٍ، حَدَّثَنَا عَبْدُ الرَّحْمَنِ بْنُ زَيْدِ بْنِ أَسْلَمَ، عَنْ أَبِيهِ، عَنْ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ عُمَرَ، أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ ـ صلى الله عليه وسلم ـ قَالَ ‏ "‏ أُحِلَّتْ لَنَا مَيْتَتَانِ الْحُوتُ وَالْجَرَادُ ‏"‏
 
Hadees 5
Sunan Ibn Majah  : Kitab 29 : Hadees 3439
حَدَّثَنَا أَبُو مُصْعَبٍ، حَدَّثَنَا عَبْدُ الرَّحْمَنِ بْنُ زَيْدِ بْنِ أَسْلَمَ، عَنْ أَبِيهِ، عَنْ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ عُمَرَ، أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ ـ صلى الله عليه وسلم ـ قَالَ ‏ "‏ أُحِلَّتْ لَنَا مَيْتَتَانِ وَدَمَانِ فَأَمَّا الْمَيْتَتَانِ فَالْحُوتُ وَالْجَرَادُ وَأَمَّا الدَّمَانِ فَالْكَبِدُ وَالطِّحَالُ ‏"‏

Hadees 6
Sunan Ibn Majah : Kitab 36 : Hadees 4197
حَدَّثَنَا أَبُو مُصْعَبٍ، حَدَّثَنَا عَبْدُ الرَّحْمَنِ بْنُ زَيْدِ بْنِ أَسْلَمَ، عَنْ أَبِي حَازِمِ بْنِ دِينَارٍ، عَنْ سَهْلِ بْنِ سَعْدٍ، أَنَّهُ سَمِعَ النَّبِيَّ ـ صلى الله عليه وسلم ـ يَقُولُ ‏ "‏ يَكُونُ فِي آخِرِ أُمَّتِي خَسْفٌ وَمَسْخٌ وَقَذْفٌ ‏"‏ 


Yeh Tamam Hadeesein Jo Pesh Ki Gai Hai Usmay Abdur Rehman Bin Zayd Bin Aslam Rawi Hai Aur In Sab Ahadees Ko Gair Muqallid Kay Darussalam Nay Sahih Kaha Hai Phir Yeh Kay Isi Rawi Ki Buniyad Per Hazrat Adam Alayhissalam Kay Tawassul Wali Hadees Kyu Mauzu Hai ? Gair Muqallid Kay Nafs Kay Khilaf Ahadees I Toh Hadees Zaef Bhi Nai Balke Sidha Mauzu Hi Qarar Dediya Lekin Yehi Rawi Dusri Ahadees May Aaye Jaisa Kay Upar Guzri Toh Yeh Tamam Ahadees Sahih Banjaati Hai , Gair Muqallid Say Sawal Hai Mera Kay Awam Ko Kabtak Is Tarah Gumrah O Baddeen Banate Rahoge ? Kya Tumhay AllahTaala Khauf Nai? Kya Tumhay Akhirat Per Imaan Nai? Phir Kya Wajah Hai Jo Aise Harkato Say Hadeeso Ko Mauzu Bana Dete Ho

“Kuch Toh Hai Jiski Parda Daari Hai”

Saniyan Is Hadees Ki Sanad Ko Khud Imam Hakim Apni Mustadarak May Kehte Hai  “Haza Hadeesun Sahih Ul Isnad” Yeh Hadees Ki Sanad Sahih Hai Ba Hawala Al Mustadarak Jild 2 Safa 722 Hadees 4278 Aur Iski Ta’ed Khud Imam Subki Apni Kitab Shifa Us Siqam Safa 134-135 May Ki Hai.

Agarche Yeh Rawi Zaef Hai Lekin Imam Hakim Aur Imam Subki K Nazdeek Bilkul Sahih Hai Aur Agar Fir Bhi Gair Muqallid Kay Nazdeek Yeh Hadees Mauzu Hi Hai Toh Usool E Hadees Kay Mutabik Ek Se Zyada Sanad Wali Zaef Wa Mauzu Hadees Bhi Hasan Banjaati Hai.
Toh Aaye Is Hadees Per Kitni Alag Sanadein Hai , Dekhte Hai
Hadees Ki Ek Sanad Jo Upar Guzri Hai , Usey Yaha Dobara Deta

Hadees Ki Shawahid

Hadees 1
حدّثنا أبو سعيد عمرو بن محمد بن منصور العدل ، ثنا أبو الحسن محمد بن إسحاق بن إبراهيم الحنظلي ، ثنا أبو الحارث عبد الله بن مسلم الفهري ، ثنا إسماعيل بن مسلمة ، أنبأ عبد الرحمن بن زيد بن أسلم ، عن أبيه، عن جدّه، عن عمر بن الخطاب رضي الله عنه قال:  قال رسول الله : «لَمّا اقْتَرَفَ آدَمُ الْخَطِيئَةَ قالَ: يا رَبّ أَسْأَلُكَ بِحَقّ مُحَمَّدٍ لما غَفَرْتَ لِي، فَقالَ الله: يا آدَمُ وَكَيْفَ عَرَفْتَ مُحَمّداً وَلَمْ أَخْلُقْهُ؟ قالَ: يا رَبّ لأَنَّكَ لَمّا خَلَقْتَنِي بِيَدِكَ وَنَفَخْتَ فِيَّ مِنْ روحِكَ رَفَعْتُ رَأْسِي فَرَأَيْتُ على قوائِمِ الْعَرْشِ مَكْتوباً لا إِلهَ إِلا الله مُحَمَّدٌ رَسولُ الله، فَعَلِمْتُ أَنَّكَ لَمْ تُضِفْ إِلى اسْمِكَ إِلا أَحَبَّ الْخَلْقِ إِلَيْكَ، فقالَ الله: صَدَقْتَ يا آدَمُ إِنَّهُ لأَحَبُّ الْخَلْقِ إِلَيَّ ادْعُني بِحَقِّهِ فَقَدْ غَفَرْتُ لَكَ وَلَوْلا مُحَمَّدٌ ما خَلَقْتُكَ . هذا حديث صحيح الإسناد وهو أول حديث ذكرته لعبد الرحمن بن زيد بن أسلم في هذا الكتاب 

Sanad 1 :
Hazrat Abu Sa'ed Umro Bin Mohammad Bin Mansoor Adal > Abu Hasan Mohammad Bin Ishaq Bin Ibrahim Hanzala > Abu Haris Abdullah Bin Muslim Fahri > Ismail Bin Muslimah > Abdur Rehman Bin Zayd Bin Aslam > An Zayd > An Aslam > An Umar Bin Khattab Radialla Taala Anhu

Matan
Piche Guzar Chuka

Hadees 2



Sanad 2
Mohammad Bin Dawud > Ahmed Bin Sa’ed > Abdullah Ibn Ismail Madni > Abdur Rehman Bin Zayd Bin Aslam > An Zayd > An Aslam > An Umar Bin Khattab Radialla Taala Anhu

Matan
Hazrat Umar Bin Khattab Radialla Taala Anhu Say Riwayat Hai Nabi Alayhissalam Nay Farmaya , Jab Adam Alayhissalam Say Lagjish Hogai Tab Adam Nay Ruju Kiya Aur Kaha Kay May Mohammad Kay Vaastay Say Tauba Karta Hu,Allah Nay Farmaya Kay Tumne Mohammad Ko Kaise Pehchana? Adam Nay Arz Kiya , A Allah , Jab Tunay Mujhay Apni Dast E Qudrat Say Banaya Aur Apni Rooh Mujh May Daali ,Tab Menay Apna Sir Uthaya Aur Dekha “La Ilaha Illalah Mohammad Ur Rasul Allah”  Har Arsh Kay Khambo Per Likha Hua Dekha , May Samaj Gaya Kay Jo Naam Allah Kay Saath Hai Wo Zarur Sabsay Mehboob Hogi Makhloq May , Is Per Allah Taala Nay Farmaya , Sahi Kaha , Sab Makhlooq May Sabsay Zyada Mehboob Hai Aur Iskay Zariye May Tumhari Dua Qabul Karta Hu , Agar Mohammad Na Hotay Toh May Tumhay Bhi Paida Na Karta.
Imam Tabrani , Muajam Ul Ausat Jild 6 Safa 313 – 314 Hadees 6502


Hadees 3
Ibn Jawzi Apni Kitab Al Wafa Bi Ahwaal Lil Mustafa Kay Muqadmay May Likhtay Hai Kay Isme Koi B Mauzu Riwayat Nai Likhege Aur Isi Kitab K  Safa 45-46 Per Ek Alag Sanad Se Is Riwayat Ko Jiska Matan Zara Alag Hai Usey Naqal Kartay Hai

وقد رواه أبو الحسن بن بشران من طريق الشيخ أبي الفرج بن الجوزي في (الوفا، بفضائل المصطفى) صلى الله عليه وسلّم: حدّثنا أبو جعفر محمد بن عمرو، حدّثنا أحمد بن إسحاق بن صالح، حدّثنا محمد ابن صالح، حدّثنا محمد بن سنان العوفي، حدّثنا إبراهيم بن طهمان عن يزيد بن ميسرة، عن عبد الله بن سفيان، عن ميسرة قال قلت: يا رسول الله، متى كنت نبياً؟ قال: «لَمَّا خَلَقَ اللَّهُ الأرْضَ وَاسْتَوَى إلَى السَّمَاءِ فَسَوَّاهنَّ سَبْعَ سَمَواتٍ وَخَلَقَ العَرْشَ كَتَبَ عَلَى سَاقِ العَرْشِ مُحَمَّدٌ رَسُولُ ااِ خَاتَمُ الأنْبِيَاءِ وَخَلَقَ اللَّهُ الجَنَّةَ الَّتي أسْكَنَهَا آدَمَ وَحَوَّاءَ فَكَتَبَ اسْمِي عَلَى الأبْوَابِ وَالأوْرَاقِ وَالقِبَابِ وَالخِيَامِ وَآدَمُ بَيْنَ الرُّوحِ والجَسَدِ، فَلَمَّا أَحْيَاهُ الله تَعَالَى نَظَرَ إلَى العَرْشِ فَرَأَى اسمِي فأخْبَرَهُ ااُ أنَّهُ سَيِّدُ وَلَدِكَ، فَلَمَّا غَرَّهُمَا الشَّيْطَانُ تَابَا وَاسْتَشْفَعَا بِاسْمِي إِلَيْهِ

Al wafa bi Ahwaal lil Mustafa Safa  45 - 46

Sanad 3
Abu Hasan Bin Bashar > Abu Jafar Mohammad Bin Umro > Ahmed Bin Ishaq Bin Saleh > Mohammad Bin Saleh > Mohammad Bin Sunan Al Aufi > Ibrahim Bin Tehman > Yazid Bin Maysara > An Abdullah Bin Sufyan > An Maysara Radialla Taala Anh

Matan
Hazrat Maysara Radialla Taala Anhu Say Riwayat Hai Kay Apnay Nabi Alayhissalam Say Pucha Kay Aap Kabse Nabi Hai Isper Nabi Alayhissalam Nay Farmaya Jab Allah Nay Duniya Banai Aur “Phir Asman Ki Taraf Istewa Hua” Aur Usne Arsh Banaya Aur Har Arsh Kay Khambo Per “Mohammad Ur Rasul Allah Khatam Ul Anbiya” Likha , Phir Baag Banaye Jisme Adam Aur Hawwa Ko Rakha , Aur Har Darwaze Per , Har Patto Per Aur Har Gumbad Per Jo Kay Is Waqt Adam Rooh Aur Jism Kay Darmiyan Thay Aur Jab Allah Nay Adam May Rooh Daali Aur Adam Nay Arsh Per Mera Naam Likha Hua Dekha Tab Allah Nay Farmaya Mohammad Tumhari Aulad May Say Hai Aur Jab Shaytan Nay Ki Wajah Say Jo Lagjish Hui , Tab Adam Nay Mere Waseele Say Tauba Ki.             
Yeh Teesri Sanad Is Hadees Per Jo Sahih Hai , Bas Hadees Kay Kuch  Matan Alag Hai Lekin Hadees Wahi Hai
Is Hadees Kay Baaray Imam Suyuti K Shagird, Imam Mohammad Bin Yusuf Al Salih Nay Kaha
وروى ابن الجوزي بسند جيد لا بأس به

Yeh Hadees Ibn Jawzi Nay Riwayat Ki Hai Aur Iski Sanad Jayyad Hai Yaani Strong Hai Aur Ismay Koi Kharabi Nai.
Subul Ul Hadi Wal Rashhad, Jild 1 Safa 86.
Ibn Taymiyah Likhta Hai:
فهذا الحديث يؤيد الذي قبله وهما كالتفسير للأحاديث الصحيحة

Yeh Hadees Us Hadees Kay (Yaani Hazrat Umar Bin Khattab Radialla Taala Anhu) Kay Mutaliq Hai Aur Yeh Dono Hadees Ek Dusre Ki Tafseer Hai Aur Yeh Sahih Hadees Hai
Majmua Al Fatawa Jild 2 Safa 150

Is Hadees ki Rawiyo ki Tauseeq

Pehla Rawi :  Abu Hasan Bin Bashar
Imam Bayhaqi insay marwi ek mursal riwayat kay baaray may farmatay hai “Haaza Sahih” yaani yeh Sahih hai.
 وأخبرنا أبو الحسن بن بشران، أنبأنا إسماعيل الصفار، حدثنا الرمادي، حدثنا عبد الرزاق، أنبأنا معمر، عن الزهري قال: سئل رسول الله صلى الله عليه وسلم: أي الشراب أطيب، فقال: «الحلو البارد» هذا أصح، وكذلك رواه ابن المبارك، عن معمر مرسلا، وكذلك رواه يونس بن يزيد، عن الزهري مرسلا
(الآداب للبيهقي برقم ۴۲۱)


Dusra Rawi : Abu Jafar Mohammad Bin Umro
Imam Zahbi inko Tabqat ul Muhaddiseen may inko siqah farmatay hai.
1246-
ومحدث بَغْدَاد أَبُو جَعْفَر مُحَمَّد بن عَمْرو بن البخْترِي الرزاز ثِقَة
(الكتاب: المعين في طبقات المحدثين :امام الذهبي)

Aur Siyar ul Alam An Nubala may bhi inko Musnad al Iraq Siqah kehkar Tauseeq kartay hai
3055-
ابن البَخْتَرِيّ:
مسندُ العِرَاق الثِّقَة المُحَدِّث الإِمَامُ, أَبُو جَعْفَرٍ مُحَمَّدُ بنُ عَمْرِو بنِ البَخْتَرِيِّ بنِ مُدْرِك البغدادي الرزاز.
(سیر اعلام النبلاء امام ذھبی برقم ۳۰۵۵)

Teesra Rawi : Ahmed Bin Ishaq Bin Saleh
Imam Zahbai Tarikh ul Aasma may Imam ibn abi hatim say naqal kartay hai wo kehte hai meray walid ( Imam Abi Hatim ) say likha hai aur wo sudooq hai
Imam Darqutni bhi inki taareef kartay hai
أبو بكر البغدادي.
عن: مسلم بن إِبْرَاهِيم، وجنْدل بن والق، وَقُرَّةَ بن حبيب، وطبقتهم.
وعنه: ابن مَخْلَد، وأبو جعفر بن البَخْتَرِيّ، وعبد الله بن إِسْحَاق الخُرَاسَانِيّ، وأبو عَمْرو بن السَّمَّاك.
قَالَ اب أبي حاتم: كتبت عنه أنا وأبي، وَهُوَ صدوق.
أثنى عليه الدَّارَقُطْنيّ.
تُوُفِّي في أول سنة إحدى وثمانين.
(تاریخ الاسلام امام ذھبی برقم ۶)

Inkay Tarjume may Aham baat yeh hai kay inkay shagirdo may mohammad bin mukhlad ka naam hai yaani inse riwayat Karnay walo may mohammad bin mukhlad bhi hai aur humnay inke shagirdo may mohammad bin mukhlad ka naam kyu zikr kiya hai ? jabke is hadees ki sanad may toh yeh rawi nai lekin yeh nuqta agle rawi k tarjume may bayan karenge.

Imam Khateeb Baghdadi nay b inki tauseeq naqal ki hai
1898-
أحمد بن إسحاق بن صالح بن عطاء أبو بكر الوزان حدث ببغداد، وسر من رأى عن مسلم بن إبراهيم الفراهيدي، والربيع بن يحيى الأشناني، وقرة بن حبيب القنوي، وهريم بن عثمان، وخالد بن خداش، وعلي ابن المديني، وسعيد بن محمد الجرمي، وجندل بن والق، وغيرهم.
روى عنه: محمد بن مخلد العطار، ومحمد بن عمرو الرزاز، وعبد الله بن إسحاق البغوي.
وقال عبد الرحمن بن أبي حاتم، كتبت عنه مع أبي بسر من رأى، وهو صدوق.
وقال الدارقطني لا بأس به.
(تاریخ بغداد برقم ۱۸۹۸)

Chautha (Fourth) Rawi : Mohammad Bin Saleh ( Yeh Iraq say hai aur yeh Baghdadi hai )
Mohammad bin Saleh abu bakar al Baghdadi al maaruf kalija (کلیجہ)k laqab say mashur thay Hafiz inkay baaray may farmatay hai “al Hafiz , Hujjat , Al Mashur”
Imam Darqutni , Imam Nasai say tauseeq pesh kartay hai
Kyukay kutub rijal may is sanad kay mutabik Mohammad bin saleh kay shagirdo aur shuyook may yeh naam nai milte kay aasani say taayun hojaata per kyukay sab siqah aur kaseer ul aasma hai kay muhaddiseen ka inkay puray shagird aur shuyook ka naam likhna mumkin nahi tha iska yeh matlab nai kay inka taayun karna koi na mumkin baat hai.
Sanad me faqat inka naam Mohammad bin saleh hai aur inka taayun humne sahih kiya hai isko sabit karnay kay liye hum qareena sabut kay taur per pesh Kartay hai:
“Aur inkay yaani Mohammad bin saleh al maaruf kalija kay shagirdo may bhi Mohammad bin Mukhlad hai yaani inse mohammad bin mukhlad nay riwayat li hai aur inse pichle rawi ahmed bin ishaq say bhi mohammad bin mukhlad riwayat letay hai”

Saniyan Imam Zahbi nay tarikh ul aasma may inki tauseeq naqal kartay hai
567- محمد بْن صالح .
أبو بَكْر الأنماطيّ الْبَغْدَادِيّ كَيْلَجَة. حافظ حُجّة مشهور.
طوَّف وسمع: عفّان بْن مُسْلِم، وسعيد بْن أبي مريم، ومسلم بن إبراهيم، وطبقتهم.
روى عنه: المحاملي، ومحمد بن مخلد، وإسماعيل الصفار.
قال أبو داود: صدوق.
توفي بمكة سنة إحدى وسبعين.
وقد سماه ابن مخلد في بعض المواضع: أحمد .
وقال النسائي: أحمد بن صالح بغداديّ ثقة.
وقال الدّار الدارقطني كذلك، وزاد فقال: اسمه محمد بن صالح.
وقال الخطيب: هو محمد بلا شك .
(تاریخ الاسلام للذھبی)

Imam Zahbi nay Mohammad bin saleh kay shagirdo may bhi mohammad bin mukhlad ka naam likha hai aur inkay tarjume say qabal humnay pichlay rawi ahmed bin ishaq bin saleh kay tarjume may bhi bayan kiya hai kay insay bhi mohammad bin mukhlad riwayat letay hai aur ab taayun karnay may koi mushkil nai kay mohammad bin saleh say murad al maaruf kalija hi hai , nez hum is rawi kay taayun ko mazeed mazboot bananay kay liye ek aur qareena bhi pesh karenge agle rawi kay tarjume may

Panchwa Rawi :  Mohammad Bin Sinan Al Aufi
Imam Ibn Hajar Asqalani Likhtay hai “gyarvhe tabkay kay kubbar hazraat may say siqah pukhtakaar rawi”
Taqreeb Ut Tehzeeb Jild 2 Safa 89 Rawi 5935
Imam Ibn hibban inko siqah may shumar kartay hai aur inkay tarjume may ek aham baat yeh bhi bayan kartay hai kay inse ahle Iraq walay riwayat kartay hai.

15284 –
مُحَمَّد بن سِنَان العوقي الْبَاهِلِيّ من أهل الْبَصْرَة وعوقة مَوضِع بهَا يروي عَن همام بن مُنَبّه ومُوسَى بن عَليّ بن رَبَاح روى عَنهُ أهل الْعرَاق مَاتَ سنة ثِنْتَيْنِ أَو ثَلَاث وَعشْرين وَمِائَتَيْنِ
(الثقات لا ابن حبان)

Humnay apko insay pichlay rawi mohammad bin saleh al Baghdadi kay baaray may yeh baat bata chukay hai kay wo ahle Iraq say hai aur imam ibn hibban nay mohammad bin sinan kay tarjume say yeh baat bayan kardi hai kay inse ahle Iraq walay riwayat Kartay hai toh yeh baat ab bilkul tehqeeqa sabit hogai kay humne mohammad bin saleh al maaruf kalija ka taayun bilkul sahih kiya hai

Iskay alawa imam ibn abi hatim nay bhi apnay walid say inki tauseeq sudook kay saath ki hai
1516 –
محمد بن سنان العوقى أبو بكر البصري روى عن همام وابراهيم بن طهمان وعلى بن مسعدة وجهضم اليمامى سمع منه أبي وروى عنه سمعت أبي يقول ذلك، حدثنا عبد الرحمن نا أبي حدثنا محمد بن عبد الله بن ابى الثلج قال ما رأيت عفان يثنى على احد الا على محمد بن سنان العوقى لا بلغه انه حدث فقال عن مثله فاكتبوا، سمعت أبي يقول هو صدوق روى عنه أبو بدر عباد بن الوليد الغبرى.
(الجرح و التعدیل لا ابن ابی حاتم)

Chatha Rawi : Ibrahim Bin Tehman
Imam Ibn Hajar Asqalani inko Siqah likhtay hai
Taqreeb ut Tehzeeb jild 1 safa 40 Rawi 189
Imam Ibn Shaheen inko Siqat may darj Kartay hai
38 –
 إِبْرَاهِيم بن طهْمَان ثِقَة وَقَالَ مرّة أُخْرَى صَالح
(الثقات لا ابن شاھین)

Imam Ajli bhi inko siqat may shumar kartay hai hue kehtay hai inmay koi harj nai
27-
إبراهيم بن طهمان بن شعبة الخراساني: لا بأس به.
(الثقات لا ابن علجلی)

Iskay alawa imam ibn hatim nay bhi imam yahya bin mae’en say bhi la baas baa ki tauseeq naqal ki hai aur muhaddiseen kay nazdeek imam ibn mae’en (mutashaddid Imam) ki la baas baa ki tauseeq siqah kay barabar darja rakhti hai
307- إبراهيم بن طهمان أبو سعيد الهروي روى عن أبي إسحاق الهمداني وقتادة وأبي الزبير، روى عنه عبد الرحمن بن مهدي ومعن بن عيسى وأبو عامر العقدي وأبو داود سمعت أبي يقول ذلك.

حدثنا عبد الرحمن نا أبي قال سألت يحيى بن معين عن إبراهيم ابن طهمان قال لا بأس به.
(الجرح و تعدیل لا ابن ابی حاتم)

Saathwa Rawi : Yazid bin Maysarah
Apka pura naam Yazid bin Maysarah bin Halbs.
Kuniyat : Abu Yusuf , Abu Halbs
Imam Bukhari nay Tarikh ul Kabeer (3315) may apko Siqah likha hai.
Imam Mizzi nay apko Tehzeeb ul Kamal may siqah likha  hai.

Anthwa (Eight) Rawi : Abdullah bin Sufyan (Tabai)
Imam Ibn Hajar Asqalani inko Siqah likhtay hai
Taqreeb ut Tehzeeb

Nawwa (Ninth) Rawi : Hazrat Maysarah Al Fjr radialla taala anhu
Aap Sahabi e rasool hai.

Is Hadees ( Hazrat Maysara radialla taala anhu) ki tehqeeq say malum hua kay is sanad kay saaray rawi muttafika taur per siqah hai aur mohammad bin saleh is sanad may al maaruf kilija hai kyukay is sanad may ahmed bin ishaq aur mohammad bin saleh al maaruf kilija dono ka mushtarika shagird mohammad bin mukhlad hai aur dusra qareena yeh hai kay is sanad may mohammad bin saleh kay sheikh mohammad bin sinan say ahle Iraq walay riwayat kartay hai aur mohammad bin saleh kilija khud Baghdadi hai aur ahle Iraq say hai , toh issay malum hua yeh taayun mazboot dalail per hua hai.

Hasil Qalam Yeh Kay Sanad Per Jo Aitraz Hai Kay Abdul Rehman Bin Zayd Bin Aslam Zaef Hai Aur Isi Rawi Ki Buniyad Per Hadees Mauzu Hai Yeh Mahez Batil Aur Khokla Aitraz Nikla Kyukay Yehi Rawi Wahbiyo Kay Nazdeek Kahi Hadeeso May Maujud Hai Aur Wahi Hadees Wahbiyo Kay Nazdeek Bilkul Sahih Bhi Hai , Phir Apne Nafs Ki Pairwi May Is Hadees Ko Abdul Rehman Bin Zayd Bin Aslam Ki Buniyad Per Mauzu Kehna Kaha Ka Insaaf Hai ?



Hadees Matan Per Aitraz Aur Uska Jawab

Ab In Sha Allah Taala Is Hadees Kay Matan Per Jo Gair Muqallid Aitraz Kartay Hai Us Per Jawab Hoga

Aitraz: Surah Baqrah Ayat 37 May Hai Jiska Tarjuma Hai: “Phir Sikhliye Adam Nay Apnay Rab Say Kuch Kalmay Toh Allah Nay Iski Tauba Qabul Ki”
Surah Araf Ayat May 23 Hai Jo Kalma Hazrat Adam Alayhissalam Aur Amma Hawwa Nay Sikhay Jiska Tarjuma Hai “Dono Ne Arz Ki , A Rab Humaray , Humnay Apna Aap Bura Kiya , Toh Agar Tu Hume Na Bakshe Aur Hum Per Rahem Na Karay Toh Hum Zarur Nuqsan Walo May Hue”
Aur Inhi Kalimat Ki Wajah Say Tauba Qabul Hui Toh Wo Hadees Iskay Khilaf Hai Warna Quran May Zikr Zarur Aata Aur Isi Buniyad Per Wo Mauzu Hai.

Jawab : May Samajh Sakta Hu Kay Gair Muqallid Kay Paas Ab Kuch Chara Nai Toh Jaisay Chahay Waisay Mantik Maarkar Apna Ullu Sidha Karay , Jab Kai Yeh Aayat Toh Humari Ta’ed Karti Hai Naa Kay Humaray Aqeeday Ya Is Hadees Kay Khilaf Hai.
Kyukay Ismay Yeh Bhi Tatbeek Hai Kay Hazrat Adam Alayhissalam Aur Amma Hawwa Nay Dua Yun Ki Kay Humnay Apna Bura Kiya, Humay Baksh Day , Hum Per Rahem Farma , Agar Tu Na Bakshega Toh Hum Nuqsan Walo May Say Hojayege, A Rab, Tujhe Is Mohammad Ka Waasta Kay Tu Humay Baksh Day.

Mumkin Hai Kay Is Tarah Kay Kalimat Sikhaye Ho Jisey Quran Shareef May Mukhtasar Sa Zikr Kiya Hai

Saniyan Gair Muqallido Kay Paas Iski Kya Daleel Hai Kay Hazrat Adam Alayhissalam Nay Sirf Utna Hi Kaha Jitna Ayat May Aaya Hai? Jabkay Quran Shareef Jab Bhi Qalam Karta Hai Toh Mukhtasar Hota Hai Usmay Tafseelat Nai Hoti , Mas’alan Quran Shareef May Namaz Ka Hukm Hai Lekin Kitni Namaz Padhni Hai , Kaise Padhni Hai Wagaira Ki Tafseel Nai I Hai , Isi Tarah Quran May Zakat Ka Zikr Hai Lekin Iski Tafseel Quran Shareef May Nai I , Toh Malum Hua Kai Quran Shareef May Mukhtasar Bataya Gaya Hai Aur Iski Tafseel Sharah Hadeeso Say Malum Hoti Hai Aur Bilkul Is Ayat Ki Tashreeh Is Hadees Me I Hai Jisey Muhaddiseen Nay Apni Kitabo May Naqal Farmaya Warna Yeh Muhaddiseen Quran Shareef Kay Khilaf Kabhi Na Jaate Aur Tamam Jama’at Ka Aqeeda Hai Kay Yeh Muhaddiseen Ka Khatma Imaan Per Hua Hai Warna Jo Quran Shareef Kay Khilaf Aqeeda Banaye Uska Khatma Imaan Per Nai Hosakta.
Salisan Jo Log Hadees Ko Yeh Kehkar Choddete Hai, Kay Yeh Hadees Quran Kay Khilaf Hai, Isliye Hum Hadees Ko Nai Manege, Inke Is Mardood Wa Batil Qaul Ka Zikr Aimma E Muhaddiseen Se Bhi Deta hu
      1)      Imam Abu Abdullah Mohammad Bin Idris Al Shafai Mutawaffa 204 Hijri
Farmatay Hai “Kisi Bhi Soorat Haal May Nabi Alayhissalam Ki Sunnat Quran Kay Mukhalif Nai Hosakti”
(Ar Risalat Fee Ilmi Usool Al Fiqhi As Shafai Safa 546)
      2)      Imam Abu Dawud Al Baqvi Mutawaffa 516 Hijri
Farmatay Hai “Yeh Hadees Is Baat Per Daleel Hai Kay Hadees Ko Quran Per Pesh Karnay Ki Koi Zarurat Nai, Balke Jab Wo Sahih Ho Toh Bizzat Khud Sharee Hujjat Hogi”
(Sharah Sunnah Bagvi Jild 1 Safa 201)
      3)      Imam Abi Qasim Asbahani Mutawaffa 535 Hijri
Farmatay Hai “Yeh Kehna Sunnat Kay Quran Per Pesh Kiya Jaye, Agar Wo Quran Kay Muwafik Ho Toh Thik Hai, Warna Hum Quran Kay Zahir Ko Lege, Aur Hadees Ko Choddege, Yeh Jahalat Hai Kyukay Hadees Rasool Alayhissalam Quran Kay Muwafik Hoti Hai
(Al Hujjat Fee Bayan Mahjatul Wa Sharah Aqeeda Ahle Sunnah)
      4)      Imam Al Muhaqeeq Shatbi Mutawaffa 790 Hijri
Farmatay Hai “Ta’aruz Ki Do(2) Qismein Hai, Ya Toh Wo Haqeeqi Hoga, Ya Sirf Mujhtahid Ki Nazr Mehoga, Haqeeqi Ta’aruz Bilkul Na Mumkin Hai.
(Al Muwafiqat, Jild 4 Safa 294)

Malum Hua Kay Is Hadees Yaani Hazrat Adam Alayhissalam Ki Tawassul Wali Hadees Jo Sahih Sanad Se Sabit Hai Us Per Yeh Aitraz Karna Kay Yeh Hadees Quran Shareef Ki Ayat Kay Khilaf Hai Batil Sabit Hoti Hai Muhaddiseen Ki Nazar Me Kay Yeh Quran Se Takrati Hai Aur Yeh Mauzu Hai.

Is Tamam Tehqeeq Ka Hasil Qalam

Yeh Hadees May Jo Rawi Hai Abdul Rehman Bin Zayd Bin Aslam Yeh Zaef Hai Lekin Inka Zauf Utna Nai Kay Inki Bayan Karda Hadees Ko Mauzu Wa Manghadat Kehdiya Jaye Isliye Muhaddiseen E Kram Bashamul Wahbi Peshwa Ibn Taymiyah, Albani Ne Inki Dusri Ahadees Ko Sahih Qarar Kabhi Na Dete Aur Isliye Imam Hakim, Imam Subki, Imam Qazi Rahimahullah Ajma’en Wagaira Nay Inki Is Hadees Ko Sahih Kaha Aur Uski Ta’ed Ki Hai.
Saniyan Gair Muqallid Kay Khud Kay Usool Ki Buniyad Per Bhi Yeh Hadees Bilkul Sahih Saabit Hui Hai
Salisan Yeh Hadees Shawahid Ki Buniyad Per Hasan Sahih Saabit Hui Hai Lihaza Gair Muqallid Ka Is Hadees Per Aitraz Karna Aqlan Naqlan Dono Baatil Sabit Hua.
Allah Taala Hume Haq Per Amal Karnay Ki Taufeeq Ataa Farmaye

Dua ki Guzarish.
-Sheyckh Mohammad Imran.

1 comment:

  1. Subha Allah Kya baat hai kharjiyat Wahabiyat Deobandiyat jhute Makkar Jahile Mutlaq Naakisul Aqal hai

    ReplyDelete

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers