Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Friday, 24 January 2020

Waseela : Baad az Wafat Waseela ki Hadees per Tehqeeqi jawab

Hadees :

حَدَّثَنَا طَاهِرُ بْنُ عِيسَى بْنِ قَيْرَسَ المُقْرِي الْمِصْرِيُّ التَّمِيمِيُّ، حَدَّثَنَا أَصْبَغُ بْنُ الْفَرَجِ، حَدَّثَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ وَهْبٍ، عَنْ شَبِيبِ بْنِ سَعِيدٍ الْمَكِّيِّ، عَنْ رَوْحِ بْنِ الْقَاسِمِ، عَنْ أَبِي جَعْفَرٍ الْخَطْمِيِّ الْمَدَنِيِّ، عَنْ أَبِي أُمَامَةَ بْنِ سَهْلِ بْنِ حُنَيْفٍ، عَنْ عَمِّهِ عُثْمَانَ بْنِ حُنَيْفٍ ” أَنَّ رَجُلًا كَانَ يَخْتَلِفُ إِلَى عُثْمَانَ بْنِ عَفَّانَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ فِي حَاجَةٍ لَهُ , فَكَانَ عُثْمَانُ لَا يَلْتَفِتُ إِلَيْهِ , وَلَا يَنْظُرُ فِي حَاجَتِهِ , فَلَقِيَ عُثْمَانَ بْنَ حَنِيفٍ , فَشَكَا ذَلِكَ إِلَيْهِ , فَقَالَ لَهُ عُثْمَانُ بْنُ حَنِيفٍ: ائْتِ الْمِيضَأَةَ فَتَوَضَّأْ , ثُمَّ ائْتِ الْمَسْجِدَ فَصَلِّ فِيهِ رَكْعَتَيْنِ , ثُمَّ قُلِ: اللَّهُمَّ , إِنِّي أَسْأَلُكَ وَأَتَوَجَّهُ إِلَيْكَ بِنَبِيِّنَا مُحَمَّدٍ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ نَبِيِّ الرَّحْمَةِ يَا مُحَمَّدُ إِنِّي أَتَوَجَّهُ بِكَ إِلَى رَبِّكَ عَزَّ وَجَلَّ فَيَقْضِي لِي حَاجَتِي , وَتَذْكُرُ حَاجَتَكَ , وَرُحْ إِلَيَّ حَتَّى أَرُوحَ مَعَكَ , فَانْطَلَقَ الرَّجُلُ , فَصَنَعَ مَا قَالَ لَهُ عُثْمَانُ , ثُمَّ أَتَى بَابَ عُثْمَانَ , فَجَاءَ الْبَوَّابُ حَتَّى أَخَذَ بِيَدِهِ , فَأَدْخَلَهُ عَلَى عُثْمَانَ بْنِ عَفَّانَ , فَأَجْلَسَهُ مَعَهُ عَلَى الطِّنْفِسَةِ , وَقَالَ: حَاجَتُكَ؟ فَذَكَرَ حَاجَتَهُ , فَقَضَاهَا لَهُ , ثُمَّ قَالَ لَهُ: مَا ذَكَرْتَ حَاجَتَكَ حَتَّى كَانَتْ هَذِهِ السَّاعَةُ , وَقَالَ: مَا كَانَتْ لَكَ مِنْ حَاجَةٍ , فَأْتِنَا , ثُمَّ إِنَّ الرَّجُلَ خَرَجَ مِنْ عِنْدِهِ , فَلَقِيَ عُثْمَانَ بْنَ حُنَيْفٍ , فَقَالَ: لَهُ جَزَاكَ اللَّهُ خَيْرًا , مَا كَانَ يَنْظُرُ فِي حَاجَتِي , وَلَا يَلْتَفِتُ إِلَيَّ حَتَّى كَلَّمْتَهُ




Sanad :

Imam Tabraani Rehamatullah Alayh — > Taahir bin Isaa Rehamatullah Alayh — > Asbaq Ibn ul Farj Rehamatullah Alayh — > Abdullah bin Wahab Rehamatullah Alayh — > Shabeeb bin Saeed Rehamatullah Alayh — > Rooh Ibn ul Qaasim Rehamatullah Alayh — > Abi Jafer Al Khatmi Al Madani Rehamatullah Alayh — > Abi Umaama Bin Sahel bin Hunaif Radialla taala anhu. — > Usmaan bin Hunaif Radialla taala anhu se marwi hai

Matan:

Ek Shaks Kai Bar Hazrat Usman Bin Affan Radialla Taala Anhu Ke Paas Apni Hajat Rawai Ke Liye Aata, Lekin Hazrat Usman Radialla Taala Anhu Ne Uspar Tawajjoh Nahi Diya,
Tab Wo Hazrat Usman Bin Hunaif Radialla Taala Anhu Ke Paas Gaya Aur Maamle Ki Shikayat Ki.
To Hazrat Usman Bin Hunaif Radialla Taala Anhu Ne Farmaya:
Jaao, Achhi Tarah Wuzu Karo, Aur Fir Masjid Me Aakar 2 Rakat Namaz Ada Karo, Aur Fir Is Tarah Kaho,
''Aye Allah! Mai Tujhse Sawal Karta Hu, Aur Teri Taraf Rukh Karta Hu, Aur Muhammed SAllallaho Alaihe Wasallam Nabi-E-Rehmat Ke Waseele Se Tujhse Dua Karta Hu, Aye Mohammed Sallallaho Alaihe Wasallam, Maine Apni Hajat Ke Liye Apke Waseele Se Allah Ki Taraf Rukh Kiya, Aye Allah! Ye Waseela Qubul Farma''
Aur Fir Apni Haajat Pesh Karo, Aur Fir Mai Tumhare Sath Hazrat Usman Radialla Taala Anhu Ke Paas Chalta Hu.
To Us Shaks Ne Waisa Hi Kiya, Jaisa Ki Use Karne Ke Liye Kaha Gaya Tha,
Fir Iske Baad Wo Hazrat Usman Radialla Taala Anhu Ki Bargah Me Hazir Hua, Darwaze Wale Ne Is Shaks Ka Hath Pakda Aur Hazrat Usman Radialla Taala Anhu Ke Paas Le Jaakar Bitha Diya,
Hazrat Usman Radialla Taala Anhu Ne Pucha, 'Tumhe Kya Chahiye?'
To Us Shaks Ne Apni Hajat Pesh Kiya, Jo Kuch Use Zarurat Thi, Tab Hazrat Usman Radialla Taala Anhu Ne Use Ata Farma Diya.
(Mua-jjamus Sagheer Lit Tabraani : Jild 1 : Safa 183-184)

Sanad ki Tehqeeq :

1 – Imam Abul Qaasim at Tabraani Rehamatullah Alayh Al Mutawaffa 360 Hij. Mashoor Imam hai.

Aimma ne Unko Hafiz, Mashoor, Musnad e Duniya aur SIQA Qaraar Diya hai.
Lehaaza Yeh Bil-ittefaaq Siqa hai.
(Taarikh ul Islaam : Jild 8 : Safa 143)
(Seer Alamun Nubula : Jild 16 : Safa 119)


2 – Imam Taahir Bin Isaa 292 Hij , Imam Tabraani Rehamatullah Alayh ke Ustaad hai.
Imam Ibn Maakula Rehamatullah Alayh Al Mutawaffa 475 Hij. Farmaate hai ke wo SIQA hai.

(At-Taz-yeel Alaa Kitaab Al Jarah Wa Ta’adeel : Jild 1 : Safa 146)
(Al Ikmaal Li Ibn Maakulaa : Jild 1 : Safa 296)


3 – Imam Asbagh Bin Al Farj Al Misri Rehamatullah Alayh Al Mutawaffa 225 Hij , Yeh Saheeh Bukhari , Abu Dawud , Tirmizi aur Nasaai ke Raavi Hone hone ke saat SIQA hai.
(Taqreeb : Raqm no 536)


4 – Imam Abdullah bin Wahab Al Misri Rehamatullah Alayh Al Mutawaffa 197 Hij, bhi Saheehain (Saheeh Bukhari aur Saheeh Muslim) aur Sunan e Arba ke Raavi hai.
Aur wo SIQA, Aabid aur Hafiz hai. (Taqreeb : Raqm no 3694)


5 – Imam Shabeeb Bin Saeed Rehamatullah Alayh Al Mutawaffa 186 Hij. Bhi Saheeh Bukhari aur Sunan e Nasaai ke Raavi hai.


Shabeeb bin Saeed Rehamatullah Alayh Saheeh bukhari ke Raavi hone ke saat saat SIQA hai aur unki Tauseeq kai imamo nay ki hai:

1 – Imam Ali bin Madeeni Rehamatullah Alayh
2 – Imam Darqutni Rehamatullah Alayh
3 – Imam Tabraani Rehamatullah Alayh
4 – Imam Zohli Rehamatullah Alayh
5 – Imam Ibn Khalfoon Rehamatullah Alayh
Aur
6 – Imam Zehbi Rehamatullah Alayh
7 – Imam Ibn Hibban Rehamatullah Alayh ne Shabeeb Bin Saeed Rehamatullah Alayh ko SIQA Qaraar diya hai.
Mazeed Suniye,
8 – Imam Abu Zura’a Rehamatullah Alayh
9 – Imam Abu Haatim Ar Raazi Rehamatullah Alayh Aur
10 – Imam Nasaai Rehamatullah Alayh Farmaate hai ke Usme Koi Kharaabi Nahi hai.
11 – Imam Zehbi Rehamatullah Alayh Farmaate hai ke Sadooq hai.
12 – Imam Abu Haatim Rehamatullah Alayh Farmaate hai ke Uski Ahadees Durust hai.

(Tehzeeb ut Tehzeeb : Jild 2 : Safa 150-151)
(Al Ikmaal Tehzeeb ul Kamaal : Jild 6 : Safa 212. Raqm 2343)
(Dewaan e Zuaafa Liz Zehbi : Safa 185, Raqm 1862)
(Al Kaashif : Jild 1 : Safa 479, Raqm 2235)


6 – Imam Ruh Ibn ul Qaasim Rehamatullah Alayh Al Mutawaffa 141 Hij. Bhi Saheehain ke Raavi hai aur SIQA Hafiz hai. (Taqreeb : Raqm 1970)


7 – Imam Abu Jafer Al Qatami Al Madani Rehamatullah Alayh Sunan e Arba ke Raavi hai aur Siqa hai.


Imam Ibn Maeen Rehamatullah Alayh, Imam Ibn e Numair Rehamatullah Alayh, Imam Ibn Hibban Rehamatullah Alayh, Imam Ijli Rehamatullah Alayh, Imam Ibn Khalfoon Rehamatullah Alayh, Imam Tabraani Rehamatullah Alayh, Imam Nasaai Rehamatullah Alayh, Imam Abdur Rehman bin Mehdi Rehamatullah Alayh aur Imam Zehbi Rehamatullah Alayh ne Unhe SIQA Qaraar diya hai.
(Tehzeeb ut Tehzeeb : Jild 8 : Safa 151)
(Al Kaashif)


8 – Abi Umaama Bin Sahel bin Hunaif Rehamatullah Alayh Al Mutawaffa 100 Hij. Sahabi e Rasool hai. (Taqreeb : Raqm 402)


9 – Usmaan bin Hunaif Radialla taala anho Bhi Mashoor Sahabi hai. (Taqreeb : Raqm 4462)


Algarz Yeh hadees Bil-Tehqeeq Wal Yaqeen Saheeh hai aur Munkireen e Tawassul par Bhaari Daleel wa Hujjat hai.


Is Hadees ko Saheeh Kehne Waale Muhaddiseen :


1 – Imam Tabraani Rehamatullah Alayh Al Mutawaffa 360 Hij.
(Mua-jjamus Sagheer Lit Tabraani : Jild 1 : Safa 184)


2 – Imam Abu Bakr Al Behaiqi Rehamatullah Alayh Al Mutawaffa 458 Hij.
(Haashiya Alaa Al Izaah Lin Nawawi Li Ibn Hajar Haismi : Safa 500)


3 – Imam Munziri Rehamatullah Alayh Al Mutawaffa 656 Hij.
(Targheeb ut Tarheeb Lil Munziri : Jild 1 : Safa 241)


4 – Imam Taqiuddin Subki Rehamatullah Alayh Al Mutawaffa 752 Hij. (Ba-aitejaaj Saheeh Kaha hai)
(Shaafa ul Saqaam Lis Subki : Safa 125)


5 – Imam Nuruddin Ali Ibn Ahmed Al Samhudi Rehamatullah Alayh Al Mutawaffa 911 Hij. (Ba-aitejaaj Saheeh Kaha hai)
(Wafaa ul Wafaa Lil Samhudi : Jild 4 : Safa 194-195)


6 – Imam Ibn Hajar Haismi Rehamatullah Alayh Al Mutawaffa 974 Hij. (Ba-aitejaaj Saheeh Kaha hai)
(Haashiya Alaa Al Izaah Lin Nawawi Li Ibn Hajar Haismi : Safa 500)


7 – Imam Al Muhaddis Shaykh Muhammed Aabid Sindhi Al Mutawaffa 1257 Hij. Ne Farmaaya ke Iske Rijaal Saheeh ke Rijaal hai.
(Anjaahul Hajaah Sharah Ibn Majaah : Safa 230)


8 – Imam Suyuti Rehamatullah Alayh Al Mutawaffa 911 Hij.  (Ba-aitejaaj Saheeh Kaha hai)
(Khasaaisul Kubra : Jild 3 : Safa 175-176)


9 – Ghair Muqallideen ke Imam Shaukaani Rehamatullah Alayh ne bhi Is Hadees se Tawassul ke Jayez Hone par Istedlaal Kiya hai.(Tohfatul Ahwazi : Jild 10 : Safa 25)


Wazaahat : Is ke Baad Imam Subki Rehamatullah Alayh aur Imam Samhudi Rehamatullah Alayh Wagaira ne Tasreeh ki hai ke Nabi e Aqdas Alayhissalam ki Wafaat ke Baad bhi Aap alayhissalam ka Tawassul / Waseela (Lena) Durust hai.


Wahabiyo ka aitraz.

Aiteraaz no 1 :

Shabeeb Bin Saeed Rehamatullah Alayh ke bare me Imam Ibn A’adi  Rehamatullah Alayh ne kaha Jiska Khulaasa yeh hai ke

Abdullah bin Wahab Rehamatullah Alayh se Jab Shabeeb bin Saeed Riwayat kare, toh wo Hadees Munkar hai. (Al Kaamil)

Aur is Riwayat me Shabeeb Rehamatullah Alayh se Ibn Wahab riwayat kar rahe hai.
Lehaaza Yeh hadees saheeh nahi hai.

Al – Jawaab no 1 :

Yahi riwayat Shabeeb bin Saeed Rehamatullah Alayh se Unke  Bete Ahmed Bin Shabeeb bin Saeed Rehamatullah Alayh se bhi marwi hai.

Muta’abe no 1 :

Imam Abdullah bin Jafer Rehamatullah Alayh — > Yaqoob bin Sufiyan Rehamatullah Alayh — > Ahmed Bin Shabeeb bin Saeed Rehamatullah Alayh — > Waalid (Shabeeb bin Saeed Rehamatullah Alayh) — >  Ruh Ibn ul Qaasim Rehamatullah Alayh — > Abi Jafer Al Khatmi Al Madani Rehamatullah Alayh — > Abi Umaama Bin Sahel bin Hunaif Radialla taala anho — > Usmaan bin Hunaif Radialla taala anho
(Mashaaik Yaqoob bin Sufiyan : Safa 94-95)

Sanad ki Raawiyo ki Tehqeeq :

1 – Imam Abdullah bin Jafer Rehamatullah Alayh

An-Nahwi Rehamatullah Alayh Al Mutawaffa 347 Hij. aur Aapko Imam Zehbi Rehamatullah Alayh ne Imam, Allama aur Shaykh un Nahu Qaraar diya hai.

Imam Zehbi Rehamatullah Alayh, Imam Ibn Mundah Rehamatullah Alayh aur Imam Qaasim Rehamatullah Alayh ne Aapko Siqa Qaraar diya hai.

Balke Imam Hussain bin Usmaan Rehamatullah Alayh Farmaate hai ke Aap Rehamatullah Alayh SIQA hai SIQA hai.
(Lizaan ul Mizaan : Jild 4 : Safa 449)
(Seer Alamun Nubula : Jild 15 : Safa 531)
(Siqaat Lil Qaasim : Jild 5 : Safa 496)


2 – Imam Yaqoob bin sufiyaan Al Faarsi Rehamatullah Alayh Al Mutawaffa 276 Hij. Mashoor Muhaddis aur Siqa, Hafiz hai. (Taqreeb : Raqm no 7817)


3 – Ahmed bin Shabeeb bin Saeed Rehamatullah Alayh Saheeh Bukhari ke raavi hai aur Sadooq 
hai. (Taqreeb : Raqm no 46)


Mazeed Aap ko Imam Ibn Hibban Rehamatullah Alayh, Imam Abu Haatim Rehamatullah Alayh aur Imam Ahmed bin A’adi Rehamatullah Alayh ne SIQA qaraar diya hai. (Tehzeeb ut Tehzeeb)
Lehaaza Aap bhi SIQA hai.


5 – Imam Shabeeb Bin Saeed Rehamatullah Alayh hai.

6 – Imam Ruh Ibn ul Qaasim Rehamatullah Alayh hai.

7 – Imam Abu Jafer Al Qatami Al Madani Rehamatullah Alayh hai.

8 – Abi Umaama Bin Sahel bin Hunaif Rehamatullah Alayh hai.

9 – Usmaan bin Hunaif Radialla taala anho hai.


Yeh Tamaam ka Tazkirah Pehle guzar chuka,

Algarz Yeh Sanad Saheeh hai.

Isi Tarah Abdullah Bin Wahab Rehamatullah Alayh ki Degar Muta’abiyaat Maujood hai.


Muta’abe no 2 :

(Dalail e Nabuwwaah : Jild 6 : Safa 167-168)

Imam Behaiqi Rehamatullah Alayh > Imam Abdul Malik Bin Abi Usmaan Rehamatullah Alayh > Imam Muhammed bin Ali Bin Ismail Ash-shaashi Rehamatullah Alayh > Imam Abu Arooba Rehamatullah Alayh >  Imam Abbas bin Farj Rehamatullah Alayh >  Ismaail bin Shabeeb Rehamatullah Alayh > Imam Shabeeb Bin Saeed Rehamatullah Alayh  > Imam Ruh Ibn ul Qaasim Rehamatullah Alayh hai. > Imam Abu Jafer Al Qatami Al Madani Rehamatullah Alayh > Abi Umaama Bin Sahel bin Hunaif Rehamatullah Alayh > Usmaan bin Hunaif Radialla taala anho 

Sanad ke Raaviyo ka Ta’aruf :

1 – Imam Behaiqi Rehamatullah Alayh Al Mutawaffa 458 Hij. Mashoor Muhaddis e Waqt hai aur Siqa hai.
(Taarikh ul Islaam : Jild 10 : Safa 95)


2 – Imam Abdul Malik Bin Abi Usmaan Rehamatullah Alayh Al Mutawaffa 407 Hij. Mashoor Muhaddis, Musannif aur Siqa hai.
(Taarikh ul Islaam Liz Zehbi : Jild 9 : Safa 120)


3 – Imam Muhammed bin Ali Bin Ismail Ash-shaashi Rehamatullah Alayh Al Mutawaffa 365 Hij. Hai jo ke Waqt ke Imam, Muhaddis, Faqi aur Saaleh hai.
(Taarikh ul Islaam Liz Zehbi : Jild 8 : Safa 245 to 247)


4 – Imam Abu Arooba Rehamatullah Alayh Al Mutawaffa 318 Hij. Bhi Siqa hai.

Imam Qaasim bin Qutlubughaa Rehamatullah Alayh, Imam Khaleeli Rehamatullah Alayh, Imam Ibn Qaasim Rehamatullah Alayh aur Imam Abu Ahmed Al Haakim Rehamatullah Alayh ne Aap ko Siqa aur Mazboot Qaraar diya hai. (Siqa Li Ibn ul Qaasim : Jild 3 : Safa 440)


Lehaaza Yeh Raavi bhi Siqa Raavi hai.


5 – Imam Abbas bin Farj Rehamatullah Alayh hai Jinki Wafaat 250 Hij. Aur 260 Hij. Ke Darmiyaan me hai, Mashoor Sahaab e Arabi aur SIQA hai.
(Taarekh ul Islaam : Jild 6 : Safa 99)


6 – Ismaail bin Shabeeb Rehamatullah Alayh
Yeh Raavi agarche Majhool hai.

Lekin Ahnaaf ke nazdeek Khair ul Quroon ke Majhool Raavi ki riwayat Maqbool hai.

Chunaanche Imam Abdul Aziz bin Ahmed Al Bukhari  Al Hanafi Rehamatullah Alayh Farmaate hai ke

Hamaare Nazdeek  Khair ul Quroon ke Majhool ki Khabar Maqbool hai.Kyunke Us Zamaana me Adaalat Asal hai. (Kashf ul Asraar : Jild 2 : Safa 386)

Lehaaza Yeh Riwayat Hamaare Nazdeek Qaabil e Qubool hai.


Note : aur Yeh riwayat  Muta’abiyaat me Pesh kar rahe hai, Jabke Muta’abiyaat me Aisi riwayaat Jisme Kuch Z’of ho bhi agar [Agarche Yeh riwayat me Z’of Nahi hai], Tab bhi Pesh ki jaasakti hai.

7 – Imam Shabeeb Bin Saeed Rehamatullah Alayh hai.

8 – Imam Ruh Ibn ul Qaasim Rehamatullah Alayh hai.

9 – Imam Abu Jafer Al Qatami Al Madani Rehamatullah Alayh hai.

10 – Abi Umaama Bin Sahel bin Hunaif Rehamatullah Alayh hai.

11 – Usmaan bin Hunaif Radialla taala anho hai.


Yeh Baaqi 5 Raaviyo ke Halaat upar Guzar chuke.

Is riwayat me Abdullah bin Wahab Rehamatullah Alayh ki Muta’abiyat Ismail bin Shaheeb Rehamatullah Alayh Kar rahe hai.


Muta’abe no 3 :

Sanad :

Imam Behaiqi Rehamatullah Alayh — > Abu Ali ul Hasan bin Ahmed Rehamatullah Alayh — >Abdullah  bin Jafer Durustawai Rehamatullah Alayh — > Yaqoob bin Sufiyan Rehamatullah Alayh — > Ahmed Bin Shabeeb bin Saeed Rehamatullah Alayh — > Waalid (Shabeeb bin Saeed Rehamatullah Alayh) — >  Hishaam Dastuwai Rehamatullah Alayh — > Abi Jafer Al Khatmi Al Madani Rehamatullah Alayh — > Abi Umaama Bin Sahel bin Hunaif Radialla taala anho — > Usmaan bin Hunaif Radialla taala anho
(Dalaail e Nabuwwaah : Jild 6 : Safa 168)

Sanad ke Raaviyo ki Tehqeeq :

1 – Imam Behaiqi Rehamatullah Alayh Al Mutawaffa 458 Hij. Mashoor Muhaddis e Waqt hai aur Siqa hai.
(Taarikh ul Islaam : Jild 10 : Safa 95)


2 – Abu Ali ul Hasan bin Ahmed Rehamatullah Alayh Al Mutawaffa 425 Hij. Hai Jo ke Siqa aur Sadooq hai.
(Taarikh ul Islaam : Jild 9 : Safa 407)


3 – Abdullah bin Jafer Durustawai Rehamatullah Alayh hai.

4 – Yaqoob bin Sufiyan Rehamatullah Alayh hai.

5 – Ahmed Bin Shabeeb bin Saeed Rehamatullah Alayh hai.

6 – Shabeeb bin Saeed Rehamatullah Alayh hai.

7 – Hishaam Dastuwai Rehamatullah Alayh Al Mutawaffa 154 Hij. Saheeh Bukhari aur Saheeh Muslim ke Raavi hai aur Siqa wa Mazboot hai.
(Taqreeb : Raqm no 7299)


8 – Imam Abu Jafer Al Qatami Al Madani Rehamatullah Alayh hai.

9 – Abi Umaama Bin Sahel bin Hunaif Rehamatullah Alayh hai.

10 – Usmaan bin Hunaif Radialla taala anho hai.


Baaqi Yeh Tamaam Raaviyo ka Ta’aruf Pehle Guzar Chuka,


Muta’abe no 4 :

(Ma’arifatus Sahaba  Li Ibn Abi Nuaim : Jild 4 : Safa 1960)

Imam Abu Nu-aim Rehamatullah Alayh > Abu Muhammed bin Hayyaan Rehamatullah Alayh > Abul Abbas Al Harawi Rehamatullah Alayh > Muhammed bin Abdul Malik Al Waasti Rh > Aaun bin Ammaar Rehamatullah Alayh > Imam Ruh Ibn ul Qaasim Rh > Imam Abu Jafer Al Qatami Al Madani Rehamatullah Alayh > Abi Umaama Bin Sahel bin Hunaif Rh > Usmaan bin Hunaif Radialla taala anho

1 – Imam Abu Nu-aim Rehamatullah Alayh Al Mutawaffa 430 Hij. Mashoor Muhaddis, Hafiz aur Siqa Logo me se hai.
(Taarikhul Islaam : Jild 9 : Safa 468)


2 – Abu Muhammed bin Hayyaan Rehamatullah Alayh Al Mutawaffa 369 Hij. hai Jinka Pura Naam Abdullah Muhammed bin Jafer bin Hayyaan Rehamatullah Alayh hai aur wo Ulama e Huffaaz wa Hadees hai. (Al’alam : Jild 4 : Safa 120)


3 – Abul Abbas Al Harawi Rehamatullah Alayh hai Jinka Pura Abul Abbas Muhammed bin Ahmed bin Sulaimaan Al Harawi Rehamatullah Alayh hai.Aur Aap Faqi, Muhaddis e Kabeer aur Sahaab e Tasnifaat hai.
(Tabqaat ul Muhaddiseen Ba-Asbahaan : Jild 3 : Safa 429)
(Taarikh e Asbahaan : Jild  2 : Safa 189)


4 – Muhammed bin Abdul Malik Al Waasti Rehamatullah Alayh Al Mutawaffa 266 Hij. hai aur Sadooq hai. (Taqreeb : Raqm no 6101)


Isi Tarah Imam Ibn Qaasim Rehamatullah Alayh, Imam Ibn hibban Rehamatullah Alayh, Imam Darqutni Rehamatullah Alayh aur Imam Muhammed bin Abdullah Rehamatullah Alayh ne Inko SIQA Qaraar diya hai.
(Tehzeeb ut Tehzeeb)


Lehaaza Yeh raavi bhi Siqa wa Sadooq hai.


5 – Aaun bin Ammaar Rehamatullah Alayh Al Mutawaffa 212 Hij. Hai.Unke bare me
Imam Ibn A’adi Rehamatullah Alayh Farmaate hai ke Unki Hadeese Likhi Jaayegi.
Imam Ibn Hibban Farmaate hai ke Unse Aitejaaj Baatil hai Magar Un Riwayat me Jinme Siqa Unki Muwaafiqat (Taa-id) Kare.
(Taarikh ul Islaam Liz Zehbi : Jild 5 : Safa 416)
(Al Majruheen Li Ibn Hibban : Jild 2 : Safa 203)


Note : Is Riwayat ke Taa-id me 3 Mukhtalif Sanadein Humne Pehle Zikr kardi hai Jisme Siqa wa Sadooq Raavi Shabeeb bin Saeed Rehamatullah Alayh ne Is raavi ki Muta’abiyaat ki hai, Lehaaza Is Raavi par Is riwayat me Aiteraaz karna Baatil wa Mardood hai.

6 – Imam Ruh Ibn ul Qaasim Rehamatullah Alayh hai.

7 – Imam Abu Jafer Al Qatami Al Madani Rehamatullah Alayh hai.

8 – Abi Umaama Bin Sahel bin Hunaif Rehamatullah Alayh hai.

9 – Usmaan bin Hunaif Radialla taala anho hai.


Baaqi 4 Raaviyo ke Halaat Pehle Guzar chuke.


Wazaahat :

Yeh Alag Alag Sanade Humne Aapke Saamne Pesh ki hai, Jisme Mukhtalif Raavi Qususan Khud Shabeeb bin Saeed Rehamatullah Alayh ke Bete Ahmed Bin Shabeeb Rehamatullah Alayh Abdullah bin Wahab Rehamatullah Alayh ki Muta’abiyat kar rahe hai.

Aur Isi Tarah  Ma’arifatus Sahaba  Li Ibn Abi Nuaim me (Jiski Puri Sanad hi Alag hai Usme)bhi Abdullah bin Wahab Rehamatullah Alayh ki Muta’abiyat Maujood hai.

Lehaaza Yeh Aiteraaz Baatil wa Mardood hai.


Al – Jawaab no 2 :


Ghair Muqallideen ke Mashoor Aalim Hafiz Sanaullah Ziyaa Sahaab Ek Raavi Aasim bin Kulaib Rehamatullah Alayh ke bare me Likhte hai ke

Imam Ali bin Madeeni Rehamatullah Alayh ki Agarche Raaye hai ke Aasim bin Kulaib Rehamatullah Alayh Jab kisi riwayat ke bayaan karne me munfarid honge toh wo riwayat qaabil e hujjat na hogi.

Magar Degar “Maahireen e Fann Aasim Bin Kulaib Ko Beghair Kisi Shart Ke Hujjat Tasleem Karte Hai”.
(Namaz me Haat Kaha Bandhe : Safa 21)

Lehaaza Isi Usool ki Rooshni me Hamaara bhi Yahi Kehna hai ke

Agarche Imam Ibn A’adi Rehamatullah Alayh ne kaha ke

Shabeeb bin Saeed se Jab Abdullah bin Wahab Rehamatullah AlayhRiwayat kare, toh wo Hadees Munkar hai.

Lekin Iske Khilaaf

Imam Darqutni Rehamatullah Alayh

Imam Haakim Rehamatullah Alayh

Imam Ali bin Madeeni Rehamatullah Alayh

Imam Zohli Rehamatullah Alayh

Imam Ibn Khalfoon Rehamatullah Alayh

Imam Zehbi Rehamatullah Alayh

Imam Ibn hibban Rehamatullah Alayh aur

Imam Tabraani Rehamatullah Alayh, Insab Muhaddiseen ne Shabeeb bin Saeed Rehamatullah Alayh ko Beghair Kisi Shart ke Mutlaqan SIQA Qaraar diya hai.

Algarz Khud Ghair muqallideen ke usoolo ke rooshni me yeh Aiteraaz Baatil hai.


Al – Jawaab no 3 :

Wahabiyo kay Maulana Irshaad ul Haq Asri Sahaab Likhte hai ke

Yaani Imam Ahmed Rehamatullah Alayh, Imam Nasaai Rehamatullah Alayh aur Bahut se Aimma e Niqaad ne MUNKAR ka Itlaaq Mutlaqan Tafarrud par kiya hai. (Tauzihul Kalaam : Jild 1 : Safa 200)

Aur Yaad Rahe Shabeeb bin Saeed Rehamatullah Alayh par Jarah Karne waale Imam, Imam Ibn A’adi Rehamatullah Alayh bhi Bahut Bade Aimma e Niqaad aur Jarah Wa Ta’adeel ke Maahir wa Imaam hai.

Balke Khud Wahabiyo kay Maulana Irshaad ul Haq Asri Sahaab ne Tasleem kiya hai ke Munkar ka Alfaaz Siqa Raavi ka Tafarrud [Akeele] hone par bhi Kaha Jaata hai. (Tauzihul Kalaam : Jild 1 : Safa 170)


Mazeed Ghair Muqallideen Yahi Muhaddis e Asar Imam Zehbi Rehamatullah Alayh ki Ibaarat se Istedlaal Karte huwe Likhte hai ke
Munkar Riwayate Bayaan karne waale, Har Shaks Zaeef nahi hota. (Tauzihul Kalaam : Jild 1 : safa 303)


Lehaaza Ghair Muqallideen ke Usool ki Rooshni me Munkar ka Lafz Siqa Raavi ke Akeele hone par Istemaal hota hai, Toh Is Usool ki Rooshni me


Shabeeb bin Saeed Rehamatullah Alayh ke Akeele hone par hi Munkar ka Lafz Bola gaya aur Iske Wajeh yeh nahi ke Shabeeb Rehamatullah Alayh Zaeef hai, Balke Wajeh yeh hai ke Shabeeb Rehamatullah Alayh Is Riwayat Karne me Akeele hai.

Aur Khud Ulama e Ghair muqallideen ne Iqraar kiya hai ke Munkar Riwayate Naql Karne waala Har Shaks Zaeef Nahi hota.

Toh Shabeeb bin Saeed Rehamatullah Alayh ko Munkar riwayate Naql Karne ki Wajeh se Zaeef Qaraar dena Kaha tak Durust Saheeh hoga ? Saheeh Nahi, Bilkul ghalat hai, Jabke Unke upar Kisi Muhaddis Jarah Mufassar nahi hai.


Lehaaza Munkar Riwayate Naql karne ki wajeh se, Yeh riwayat ko Zaeef ya Qaabil e Radd Samjhna Baatil aur Mardood hai.


Aiteraaz no 2 :


Baaz Muta’asib Qism ke Ghair muqallideen ne yeh bhi aiteraaz kiya hai ke
Shaheeb bin saeed Rehamatullah Alayh agarche bukhari ke raavi hai, lekin inki tamaam tar riwayaat jo bukhari me hai, usme unke shaagird Ahmed bin Shabeeb Rehamatullah Alayh hai aur Unke Ustaad Yunus bin Yazeed Rehamatullah Alayh hai.


Imam Bukhari Rehamatullah Alayh ke Is Tarz se Unhone yeh Usool Gada ke Shabeeb bin Saeed Rehamatullah Alayh ki wo riwayaat hi Qaabil e Qubool hai.
Jisme Unke Ustaad Yunus ho aur Unke Shaagird Ahmed bin Shabeeb Rehamatullah Alayh ho.


Al – Jawaab :

Yeh Aiteraaz Usool e Hadees ki Rooshni me Bilkul Baatil wa Mardood hai.

Kyunke Muhaddiseen ki Ek Jamaat, Khaas Taur se Yahi Tawassul Waali riwayat ko Ishaaratan aur Saharatan Saheeh Qaraar diya hai.Jinke Naam hai :

1 – Imam Tabraani Rehamatullah Alayh

2 – Imam Behaiqi Rehamatullah Alayh

3 – Imam Munziri Rehamatullah Alayh

4 – Imam Taqiuddin Subki Rehamatullah Alayh

5 – Imam Nuruddin Ali Ibn Ahmed Al Samhudi Rehamatullah Alayh

6 – Imam Ibn Hajar Haismi Rehamatullah Alayh

7 – Imam Al Muhaddis Shaykh Muhammed Aabid Sindhi

8 – Imam Suyuti Rehamatullah Alayh


Jaisa ke Iski Tafseel, Hawaale Pehle Zikr Kiye Jaachuke.

Mazeed Jaha Tak Imam Bukhari Rehamatullah Alayh ka tarz e amal hai ke Inhone Shabeeb bin Saeed Rehamatullah Alayh ki sirf wo riwayaat hi Apni Saheeh me naql ki hai Jisme unka ustaad yunus bin yazeed Rehamatullah Alayh hai aur unke shaagird unke bete ahmed bin shabeeb Rehamatullah Alayh hai.

Isse Yeh Qatan Qatan Laazim NAHI aata ke Imam Bukhari Rehamatullah Alayh ke Nazdeek Shabeeb bin Saeed Rehamatullah Alayh ki Sirf Yahi Sanad (Jisme Unka Ustaad Yunus Rehamatullah Alayh ho aur Unke Shaagird Ahmed Bin Shabeeb Rehamatullah Alayh ho) Saheeh hai, Baaqi Nahi.


Balke Muhaddiseen ne Shabeeb Rehamatullah Alayh ki wo riwayaat se bhi Istedlaal Kiya, Saheeh Qaraar diya hai Jinme Unke Ustaad Yunus bin Yazeed Rehamatullah Alayh Nahi hai. Chunaanche,


1 – Imam Ibn Hibban Rehamatullah Alayh Al Mutawaffa 354 Hij.
(Saheeh Ibn Hibban : Jild 2 : Safa 170, Hadees no 428)


2 – Imam Ibn Sunni Rehamatullah Alayh Al Mutawaffa 364 Hij.
(Amal ul Yaum Wal Laila Li Ibn Sunni : Jild 1 : Safa 581)


3 – Imam Ziyauddin Maqdasi Rehamatullah Alayh Al Mutawaffa 643 Hij.
(Al Mukhtaara : Jild 13 : Safa 65)


4 – Imam Ibn Mulaqqan Rehamatullah Alayh Al Mutawaffa 804 Hij. 
(Badr ul Muneer : Jild 1 : Safa 543)


Wagaira ne Unki Hadees ko Ba-aitejaaj Saheeh Qaraar diya hai.


5 – Imam Haakim Rehamatullah Alayh Al Mutawaffa 405 Hij. Ne Unse Marwi Hadees ko Saaf Taur Kaha ke SAHEEH ALA SHART E BUKHARI.
(Mustadrak Al Haakim : Jild 1 : Safa 707)


6 – Imam Tabraani Rehamatullah Alayh Al Mutawaffa 360 Hij. ne Unki Hadees ko Saheeh Qaraar diya hai.
(Mua-jjamus Sagheer Lit Tabraani : Jild 1 : Safa 183-184)


7 – Imam Ibn Abi Haatim Rehamatullah Alayh Al Mutawaffa 327 Hij.  Ne Unse Marwi Hadees ko Durust Qaraar diya hai.
(Elal e Ibn Abi Haatim : Jild 5 : safa 387)


8 – Imam Ibn Hajar Asqalaani Rehamatullah Alayh Al Mutawaffa 852 Hij.  ne Unki Marwi hadees ke bare kaha ke Iske Sanad ke Raavi Siqa hai. (Talkhees ul Habeer : Jild 1 : safa 77)


9 – Ghair Muqallideen ke Muhaddis Imam Shaukaani Rehamatullah Alayh ne bhi Unki Hadees ko Saheeh Tasleem Kiya hai. (Nail ul Autaar : Jild 1 : Safa 88)


10 – Ghair Muqallideen ke Imam Nasiruddin Albaani ne Unki Riwayat ko Saaf Alfaaz me likha hai ke Saheeh hai. (Silailatul Ahadees us Sahiya : Hadees no 3223)


Ghaur Farmaaye ! Muhaddiseen ki Ek Badi Jamaat ne Shabeeb bin Saeed Rehamatullah Alayh se Marwi wo Riwaayat ko Saheeh, durust aur Hujjat wa Istedlaal Qaayam kiya hai Jinme UNKE USTAAD YUNUS BIN YAZEED REHAMATULLAH ALAYH NAHI HAI.


Iske Bil-Muqaabil, Ghair Muqallideen se Guzaarish hai ke Ek Muhaddis ka Hawaala Pesh kare ke Jinhone Saaf Taur se Waazeh Alfaaz ke saat Kaha ho ke Shabeeb bin Saeed Rehamatullah Alayh ki wo hi Riwayaat Sahi aur Durust hai Jo ke Sirf Yunus bin Yazeed Rehamatullah Alayh se Marwi ho.


Sirf Hawaa me Baat karne se Kaam Nahi Chalega, Yeh Tehqeeq ka Maidaan hai.

Algarz Ghair Muqallideen ka Aiteraaz Baatil wa Mardood hai aur Yeh Hadees Bilkul Saheeh aur Qaabil e Istedlaal hai Jisse Yeh Baat Subaah ki Rooshni ki Taraf Nazar Aati hai ke Huzur Swallallahualaihiwasallam ki Wafaat ke baad Aap ka Waseela wa Tawassul Jayez aur Saabit hai.

ALLAH taala Hums sabko Haq Samahne ki Taufeeq ataa farmaye

Ameen Sum Ameen.

2 comments:

  1. If you're looking to lose fat then you absolutely have to jump on this totally brand new tailor-made keto diet.

    To create this keto diet service, licensed nutritionists, personal trainers, and chefs have joined together to produce keto meal plans that are powerful, decent, cost-efficient, and fun.

    From their first launch in early 2019, 1000's of clients have already remodeled their body and health with the benefits a certified keto diet can provide.

    Speaking of benefits: clicking this link, you'll discover eight scientifically-proven ones given by the keto diet.

    ReplyDelete
  2. Scans kaha milenge hazrat?

    ReplyDelete

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers