𝐒𝐚𝐥𝐚𝐚𝐟 𝐀𝐡𝐥𝐞 𝐈𝐥𝐦 𝐁𝐚𝐝𝐞 𝐁𝐚𝐝𝐞 𝐌𝐚𝐬𝐡𝐚𝐲𝐢𝐤𝐡 𝐊𝐢𝐬𝐢 𝐊𝐚𝐚𝐦 𝐊𝐚 𝐈𝐫𝐚𝐝𝐚 𝐊𝐚𝐫𝐭𝐞, 𝐓𝐨𝐡 𝐏𝐞𝐡𝐥𝐞 𝐒𝐚𝐥𝐢𝐡𝐞𝐞𝐧 𝐊𝐞 𝐐𝐚𝐛𝐚𝐫 𝐄 𝐌𝐮𝐛𝐚𝐫𝐚𝐤 𝐊𝐞 𝐏𝐚𝐬𝐬 𝐉𝐚𝐚𝐭𝐞 𝐀𝐮𝐫 𝐖𝐚𝐡𝐚 𝐃𝐮𝐚 𝐊𝐚𝐫𝐭𝐞 𝐀𝐮𝐫 𝐃𝐮𝐚 𝐐𝐚𝐛𝐨𝐨𝐥 𝐁𝐡𝐢 𝐇𝐨𝐭𝐢
Imam Abu Nu'aim (Rahmatullaah 'Alaihi) Ne Seyyidna Talhah Bin Ubaydullah (Radhiallahu'anhu) Ki Fazail Mein (Ma'rifat Al-Sahaba 1/100) Riwayat Ki Hai, Keh
حدثنا عبد الله بن محمد ، ثنا أبو بكر بن أبي عاصم، قال : قد رأيت جماعة من أهل العلم والفضل إذا هم أحدهم بأمر قصد إلى قبره فسلم عليه فدعا بحضرته فيكاد يعرف الإجابة .
Abdullah Bin Muhammad, Aur Abu Bakr Bin Abi Aasim, Ne Humse Bayaan Kiya : Hamne Ahle Im Ki Ek Jamaat Ko Dekha Jab Unmein Se Koi Kisi Kaam Ka Irada Karte, Toh Woh Apne Kaam Se Pehle Seyyidna Talhah Bin Ubaydullah (Radhiallahu'anhu) Qabar-E-Mubarak Par Jate, Unpar Salaam Karte, Aur Waha Dua Karte Aur Dua Qabool Bhi Hoti.
وأخبرنا مشايخنا به قديما أنهم رأوا من كان قبلهم يفعله .
Humare Mashayikh Ne Humein Purani Daur Mein Bataya Tha Ke Unhone Apne Se Pehle Walon Ko Yeh Karte Hue Dekha.'"
(Ma'rifat Al-Sahaba Jild 1, Safa 100)
Scan Page
𝐀𝐰𝐥𝐢𝐲𝐚 𝐊𝐞 𝐌𝐚𝐳𝐚𝐫/𝐃𝐚𝐫𝐠𝐚𝐡 𝐏𝐚𝐫 𝐃𝐮𝐚 𝐐𝐚𝐛𝐨𝐨𝐥 𝐇𝐨𝐭𝐢 𝐇𝐚𝐢𝐧 𝐘𝐚𝐡𝐢 𝐀𝐪𝐞𝐞𝐝𝐚𝐡 𝐌𝐮𝐡𝐚𝐝𝐢𝐭𝐡 𝐀𝐮𝐫 𝐒𝐚𝐥𝐚𝐚𝐟 𝐊𝐚 𝐇𝐚𝐢𝐧
Part 27
Imam Ibn Al-Jazari Ne Imam Al-Shatibi, Jo Ke Imam Al-Qiraat Hain, Unkqe Maqbaray (Mazar) Ke Baare Mein Apni Kitaab "Ghayat Al-Nihaya Fi Tabaqat Al-Qurra" Mein Likhtey Hain:
“وقبره مشهور معروف، يقصد للزيارة، وقد زرته مرات، وعرض علي بعض أصحابي الشاطبية عند قبره، ورأيت بركة الدعاء عند قبره بالإجابة – رحمه الله ورضي عنه”.
Unka Maqbara Mashhoor Hai Aur Usay Ziyarat Ke Liye Jaana Jaata Hai. Main Ne Khud Bhi Unko Kai Dafa Ziyarat Ki Hai, Aur Mere Ek Dost Ne Mujhse Shatibi Ki Shatibi Kitaab Unke Maqbaray Ke Pass Padhkar Dikhayi, Aur Maine Wahan Dua Karte Hue Barkaat Dekhi, Jo Qabool Hui – Rahmatullahi Alayh Wa Radhiyallahu 'Anhu.”
(Kitab Ghayat Al Nihayah Tabaqat A Qurra Jild 02, Safa 22)
Scan Page
Toh Ab, Aaj Ke Wahabi Log Imam Ibn Al-Jazari, Jo Ke Imam Al-Qiraat Hain, Ke Baare Mein Kya Kahenge? Kya Woh Unhe Bhi Bidaati Samajhte Hain, Aur Kya Unhone Sahi Tareeqay Se Salaf Ka Usool Nahi Apnaya?
No comments:
Post a Comment