Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Sunday, 5 January 2025

,
Hazrat Ali Ibn Usman Hujweri Data Ganz Baksh Lahori Hanafi Rahmatullah Alaih (Al Mutawaffa 464 Hizri)
Aap wo buzurg hai jo kisi tarruf Kay mohtaz nahi hai Hazrat Sultan Ul Hind Khwaja Garib Nawaz Rahmatullah Alaih ne apne Ajmer kay safar me 40 din Data Ali Hujveri Rahmatullah Alaih ki Mazar Par chilla kiya aur wahan se jo Faiz Hasil kiya hai wo ek ashaar me milta hai jo Aaj Bhi Darbar E Data me naksh hai
"Ganj E Baksh E Faiz E Alam Mazhar E Nur E Khuda,
Na Qasaan Ra Pir E Kamil, Kamilaan Ra Rahnuma"
Hazrat Data Ali Hujveri Rahmatullah Alaih Apni mashoor tasneef Kashf Al Mahjoob me Likhte hai 
Siddique E Akbar Radiallahu Anhu Ki Afzaliat Aur Aapke tamam Ahle Tarikat kay Imam Hone par
"Sahaba E Kiram Me Se Shaykul Islam Baad Az Ambiya Khairul Anam Alaihmusalam Khalifa Wa Imam Tarakine Duniya Kay Sardar Sahibaane Khilwat Kay Shahenshah Aafat Dunwayi Se paak Amirul Momineen Syedna Abu Baqr Abdullah Ibn Usman Ibn Abi Kahafa Sididque Akbar Radiallahu Anhu,

Syedna Siddique E Akbar Radiallahu Anhu Ka Rutba Ambiya Alaihmusalam Kay baad Saari makhlook se afzal wa Mukaddas hai, aur ye jaiz nahi kay koi unse aage kadam rakhe,

Sufiya E Kiram Ne Tarke duniya aur hirs wa manzilat kay chodne ko fakr par aur tarke riyasat ki tammana ko isliye pasand kiya ki Deen me Hazrat Abu Baqr Radiallahu Anhu Tamam Musalmano Kay Imam E Aam Hai aur Tarikat me Aap Radiallahu Anhu Tamam Sufiya Kay Imam E Khas.
(Kashful Mahjoob pg : 42-43 Farsi)

Makdoom E Jahan Makdoom E Bihar Hazrat Makhdoom E Jahan Makhdoom Ul Mulk Bihari Sharfuddin Ahmad Yahya Maneri Firdausi Rahmatullah (Al Mutwaffa 782 Hizri)
Aap mohtaz e tarruf nahi hai Aap Rehmatullah Alaih wo buzurg hai jinki namaz e janaza Hazrat Makdhoom Ashraf Simnani Rahmatullah Alaih ne padhayi thi

Hazrat Makhdoom Ul Mulk Afzaliat Kay Masle me Irshad Farmate hai 
"Ahle sunnat Wal jamat ke nazdik makame Mustafa ﷺ aur Muratib khulfa E Rashideen
Hazrat Maqdoom Azmullah Ne farmaya ke in sab sawalat ka ijmala jawab ye hai ke Hazrat Muhammad ﷺ tamam makhlook se Afzal tareen hai Aur Huzur ﷺ Ke baad Tamam khlaik me Afzal Hazraat Ambiya aur saare Rasool hai, Ambiya aur Rasool ke baad tamam ummatio me afzal Hazrat Muhammad ﷺ ki ummat hai Aur tamam ummato me afzal Hazrat Siddique Abu Baqr رضی اللہ تعالی عنہ hai Unke baad Hazrat Umar khattab رضی اللہ تعالی عنہ hai aur unke baad Hazrat Usman Gani رضی اللہ تعالی عنہ aur Hazrat Ali Murtuza رضی اللہ تعالی عنہ hai"
(Madan'ul Maani Malfoozat E Yahya Maneri Baab 10 : Pg : 133)
Scan Page 
Hazrat Gaus Ul Alam Mehboob E Yazdani Sultan Sarkar Sayyed Makhdoom E Ashraf Jahangir Simnani Hanfi Rahmatullah Alaih (Al Mutwaffa 808 Hizri) 

Masla E Afzaliyat Par Bayan Ahle Sunnat Wa Jamaat Ka Aqeeda Bayan Karte hai 

"Hazrat Abdullah Ibn Abbas Radiallahu Anhu Se Mankool Hai Kay Ahle Sunnat Wa Jamat 10 Umoor kay mutaqid hai Awwal Dono Peero'n Yaani Hazrat Abu Baqr Siddique Radiallahu Anhu Aur Hazrat Umar Radiallahu Anhu Ki Afzaliyat Kay qail hai aur dono damado yaani Hazrat Usman Radiallahu Anhu aur Hazrat Ali Radiallahu Anhu Ki Buzurgon Taslim karta ho" 
(Lataif E Ashrafi Vol : 02, Pg : 220)
Scan Page
Ek Aur Dusre Makam Par Hazrat Gaus Ul Aalam Rahmatullah Alaih Farmate hai 
"Ye Fakeer Baaj Rafziyo Se Mila Jo Hazrat Ali Radiallahu Anhu Ki Muhabbat Me Bahut Zyada Gulu Karte They Aur Apni Jahalat Par Misar They, Main Kahta Hoon Kay Ahle Sunnat Wa Jamaat Kahte hai Kay Hazrat Abu Baqr Siddique Radiallahu Anhu Afzal Wa Akmal They Aur Rafzi Tarjeeh aur Tazleel kay qail hai"
(Lataif E Ashrafi Vol : 03, Pg : 414)
Scan Page 
Maloom Huwa Kay Huzur Syedi Makhdoom Ashraf Simnani Rahmatullah Alaih ka aqeeda bhi afzaliyat e shaykhen Ka raha hai aur naa kay tafzeel agar koi khud ko Ashrafi Likhe aur aqeeda tafzeel ka kayal hai to usko apne Nazariyat pe gaur Fiqr karna chahiye

Hazrat Khwaja Banda Nawaz Gesu Daraj 
*Afzaliyat E Siddiq E Akbar رضي الله عنه Aur Silsila Chisht Ke Baghi Mujawar*

Hindustan Ki Bahut Badi Dargah Ke Ek Ghair Maroof Mujawar Ki Ek Video Clip Sunne Mein Aai jis Mein is Mujawar Ne Apne Batil Aqaid Wa Rafazi Nazriyat Ka Khul kar Muzahera Kiya Hai. Is Clip Mein Mujawar Ne Hazrat Abubakr Siddiq رضي الله عنه Ki Afzaliyat Aur Khilafat Awal Hone Ka inkar Kiya Hai Jabke Hazrat Abubakr Siddiq رضي الله عنه Ki Afzaliyat Aur Khalifa E Awal Hona Ye Ahlesunnat Ka Muttafiqa Aqida Hai jisper Ahlesunnat wa Jama'at Ka ijma Hai Aur Yahi Aqida Sisila e Chisht Ke Auliya عليهم الرحمة Ka Hai 

 Chunke Mujwar Aur Uske Manne Walun Ke Nazdik kutub E Ahlesunnat Motabar Nahi Hain is Liye Hum Silsila e Chisht Ke Bahut Bade Buzurug Hazrat Syedna Banda Nawaz Gesu Daraz رحمة الله عليه Apne malfozat Mein faramte Hain 

“Bahut Loag Ameer ul Mominin Hazrat Syedna Ali كرم الله وجهه الكريم Ki Shan Mubaligha (Hadd se Zyada Tareef o Tauseef) Karte Hain Aur Nabi ﷺ Aur Khuda Kehte hain. In Logo Ke Baut Se Giroh Hain jin ka Naam Garrabiya ,Sohabbiya aur Habiya Hain. Har Giroh Ke Mukhtalif Aqaid Hain Jin Ka Zikr Baise Tuwalat (lambi post hone ki wajah banega) Hoga 
 Lekin Sahih Mazhab Haq Ye Hai Ke Ameer Ul Mominin Hazrat Syedna Abubakar Siddiq رضي الله عنه Sab Sahaba Se Afzal Hain Aap Ke Baad Hazrat Omer رضي الله عنه Aapke Baad Hazrat Usman Ghani رضي الله عنه Aur Aapke Baad Hazrat Ali Ka Darja Hai 
{ Sharah Jawame Ul Kalim Page 59 ,Jawame Ul Kalim Page 67}

💠 Is ibarat Se pata Chalta Hai Ke silsila e Chisht Ke Buzurgun Ka Aqida Hazrat Abubakar رضي الله عنه Ki Afzaliyat Ka Tha Wo Hazrat Ali Ko chautha (4th) Khalifa Mante Thy is Se Saaf Zahir Hogaya Ke Mujawar Ne Jhoot Se Kaam Liya Hai Aur Awam Ko Dhuka Diya hai. Awam E Ahle sunnat Ko Chahiye Ke Wo Aise Fasiq Wa Fajir Mujawaron Se Door Rahen Aur Kutub e Ahlesunnat Ka Mutala karen Take Asal Aqida Malum Ho Sake !
فخر سادات اولاد رسول فاتح قادیانیت تاجدار گولڑہ پیر مہر علی شاہ رحمۃ اللہ علیہ کے مجموعہ فتاوی میں ہے
اور رافضیوں کے وہ اقوال جو بدعت ہیں کفر نہیں بنتے وہ یہ کہ مولی علی کو شیخین سے افضل بتائے
(فتاوی مہریہ ص 245)

معلوم ہوا پیر مہر علی شاہ صاحب رحمۃ اللہ علیہ کا بھی عقیدہ تھا کہ شیخین کی افضلیت ایسی قطعی ہے کہ اس خلاف اعتقاد رکھنے والا روافض میں سے ہے اب بندہ گولڑہ کا لنگر بھی کھائے سیدوں کی محبت کا دن رات شور بھی مچائے اور سادات کی بات بھی نہ مانے ایسے شخص پر افسوس ہی کیا جاسکتا ہے اور اسکے بے وقوف ہونے میں کوئی شبہ نہیں ہے
تیسری صدی ہجری کے عظیم محدث امام آجری رحمۃ اللہ علیہ (المتوفی 360ھ) اپنی مشھور کتاب الشریعہ میں فرماتے ہیں
ان حضرات کے بارے میں ہمارا مسلک یہ ہے کہ ہم خلافت اور افضلیت کے اعتبار سے اس بات کے قائل ہیں کہ پہلے حضرت ابوبکر پھر عمر پھر عثمان پھر علی رضی اللہ عنھم ہیں ان حضرات سے اللہ تعالی راضی ہوا
(الشریعہ ج3 ص441پروگریسو بکس لاہور)

پتہ چلا تیسری صدی میں بھی یہی نعرہ یہی عقیدہ تھا کہ افضلیت میں ابوبکرصدیق رضی اللہ عنہ کا پہلا نمبر ہے لہذا آج کل کہ رفض آلود پیروں کے یتیمی نعروں کی طرف کان نہ دھریں۔۔۔۔ 

✍🏻وقار رضا القادری
عارف باللہ شیخ طریقت شیخ اکبر محی الدین ابن عربی رحمۃ اللہ علیہ(المتوفی 638ھ) اپنی معروف کتاب فتوحات مکیہ میں مقام خلفاء راشدین کو بیان کرتے ہوئے فرماتے ہیں
"ان اولیاء میں سے وہ لوگ بھی ہیں جنکے لیے ایک ظاہری حکم ہوتا ہے اور انکے لیے جیسے خلافت ظاہرہ ہوتی ہے اسی طرح خلافت باطنہ بھی ہوتی ہے جیسے ابوبکر،عمر،عثمان،علی، حسن، معاویہ بن یزید،عمر بن عبدالعزیز اور متوکل اور ان میں سے وہ لوگ بھی ہیں جنکے لیے صرف خلافت باطنہ ہوتی ہے جیسے احمد بن ہارون الرشید السبتی اور ابو یزید بسطامی

(الفتوحات المکیہ باب 73ص297)
اہل بیت کے راستے گمراہی

فخر السادات اولاد علی ولی کامل عارف بااللہ امیر کبیر سید علی ہمدانی رحمۃ اللہ علیہ المتوفی 786ھ اپنے رسالہ خواطریہ میں لکھتے ہیں
شیطان ان میں سے اکثر شیعہ فرقہ بالخصوص امامیہ فرقہ میں ظاہر ہوا ہے سب سے پہلے شیطان جنی ان میں حب اہل بیت کے ذریعے داخل ہوتا ہے وہ انہیں دیکھاتا ہے کہ یہ حب اہل بیت انمول قرب الہی ہے اگر وہ یہاں تک رہیں تو حقیقت امر میں بھی ایسا ہی ہے لیکن وہ اس پر نہیں بیٹھتا بلکے وہ اس محبت اہل بیت کی راہ میں حد سے تجاوز کرجاتا ہے۔۔بعض بغض صحابہ کی طرف بڑھتے ہیں اسی طرح وہ ان پر قائم نہیں رہتے اور یہ سوچتے ہیں کہ اہل بیت اس دنیاوی مناصب کے زیادہ حقدار ہیں دوسرا گروہ صحابہ کو گالیاں دینے کا اضافہ کرتا ہے وہ رسول اللہ جبریل اور اللہ تعالی پر جرح و قدح کا مرتکب ہوتا ہے یوں وہ انکے مراتب اور خلافت میں تقدیم و تاخیر کو نظر انداز کرتے ہیں اسکی اصل صحیح واقع ہوا ہے اور وہ ہے حب اہل بیت
(مجموعہ رسائل شاہ ہمدان رسالہ خواطریہ ص 171)

آج کل جنکے محبت اہل بیت کے مینارے تنقیص صحابیت کے بغیر کھڑے ہی نہیں ہوتے ان پیر خطیبوں کے لیے بہت بڑی دعوت فکر ہے ایسے رفض آلود پیروں کوشیطان انگلیوں میں ناچ رہا ہوتا ہے اور ایسے احمق اس کو آخروی نجات سمجھ رہے ہوتے ہیں شیطان انکو رفتہ رفتہ ایسے ہی گمراہ کرتا ہے افسوس اہل بیت کی محبت کا تقاضہ تو یہ تھا کہ سب صحابہ و اہل بیت سے دل وجاں سے محبت کی جائے لیکن شیطان نے انکو سبز باغ دیکھایا اور انکے دماغ میں یہ بات ڈال دی جب تک صحابہ کو گالی نہ دوگے اہل بیت کی محبت کامل نہیں ہوگی یوں وہ خود بھی گمراہ ہوئے اور دوسروں کو بھی گمراہ کر ڈالا

اللہ تعالی اہل بیت کی سچی محبت نصیب فرمائے

✍🏻وقار رضا القادری
شیخ اکبر محی الدین ابن عربی رحمۃ اللہ علیہ کی اس عبارت سے معلوم ہوا کہ سیدنا صدیق اکبر رضی اللہ عنہ سمیت بقیہ تینوں خلفاء جیسے ظاہری خلافت سے متصف تھے اسی طرح باطنی خلافت سے بھی متصف تھے اور جو عروج و کمال خلافت ظاہرہ میں حاصل تھا ایسا ہی کمال خلافت باطنہ میں حاصل تھا اس سے ان لوگوں سبق حاصل کرنا چاہیے جو دن رات ظاہری باطنی کا راگ الاپتے ہیں وہ خود تو باطنی فیوض سے کورے ہیں ہی صحابہ جیسے جلیل القدر ہستیوں کو بھی اپنی کور باطنی کے سبب خلافت باطنہ سے محروم رکھنے کی سعی لاحاصل کرتے ہیں

ایسے بدبختوں کو اللہ ہدایت عطا فرمائے

✍🏻وقار رضا القادری
Hazrat Peer Syed Mir Abdul Wahid Bilgrami Rahmatullah Alaih (Al Mutawaffa 1017 Hizri)
Afzaliyat E Shaykhen Aur Muhabbat E Siddique Wa Umar Rizwanallihim Azmayeen kis liye jaruri hai 

Aale Rasool Sufi Hazrat Meer Syed Abdul Wahid Bilrgami Rahmatullah Alaih (Al Mutwaffa 1017 Hizri)jinhone 10 kay karib Badhshaho ka waqt paaya jo 

Lodhi Se Leke Mugal Sultanat tak aur Wisal huwa Badhshah Jahangir Kay daur me unhone apni mashoor kitab Saba E Sanabil Sharif Jo Aqaid Shariat Tariqat Tassawuf kay unwan par likhi hai usme Pahle Sambula Aqaid Aur Mazhab Kay Baab Me Kayam kiya Usme Likhte hai 

"Janabe Muhammad Rasoolullah ﷺ Tamam Rasool´on Aur Nabiyo Se Afzal Wa Bartar Hai Aur Allah Taala Ne Paigambari Aap ﷺ Par Khatm Farmayi Hai, 

Ispar Ahle Sunnat Ka Izma Hai Kay Ki Nabiyo Kay baad dusri tamam makhlook se Behtar Hazrat Abu Baqr Siddique Radiallahu Anhu Hai, unke Baad Hazrat Umar, Unke Baad Hazrat Usman Aur Unke Baad Hazrat Ali ul Murtaza Radiallahu anhum hai,¨ - (Pg 56)

Fasley Imam E Azam Abu Hanifa Kufi Rahmatullah Alaih Se logo ne Mazhab E Ahle Sunnat Wa Jamaat kay mutallik pucha to farmaya Mazhab E Ahle Sunnat Ye Hai kay tum Hazrat Abu Baqr Siddique Radiallahu Anhu, Hazrat Farooque E Azam Radiallahu Anhu ko Fazilat do aur Hazrat Usman Radiallahu Anhu Aur Hazrat Ali Radiallahu Anhu Se Muhabbat Karo. (Pg : 60)

Yaani In Charo Se Muhabbat Karna bhalayi hai Aur Shaykhen Ko Fazilat dene me teri behtari un charo se sacchi muhabbat rakh lekin Shaykhen Ki Fazilat Zyada Maan, Aur Agar Tere Dil Me Shaykhen Ki Muhabbat Kam Hai to jaan le kay teri buniyaad rifz me mazboot hoti chali jaa rahi hai¨ (Pg :61)
 
(Hazrat Peer Syed Mir Abdul Wahid Bilgrami, Saba E Sanabil Sharif, Pahle Sambula Aqaid Aur Mazhab Ka Bayan, Pg : 56, 60, 61) Scan page

Aakhiri Jumla Likh kar Hazrat ne saare neem rafziyo ki naa sirf behtar islah ki hai balki kattaro ki to haddi tod dali hai Kay kahte hai jiske dil me Muhabbat Kam hai to jaan le teri buniyad Rafziyat ki taraf majbut hoti jaa rahi hai.

Aaj neem rafzi tola aqsar ye bakwas karta hai Kay wo sab to thik hai Kay kuch sahaba Ki fazilat hai Magr humare saamne sirf ahle bait aur Maula Ali Radiallahu Anhu ka zikr kiya karo baaki kisi ka nahi hum gustakhi kisi ki nahi kar rahe magar bas kisi aur ki baat naa karo sirf ahle bait ki baat karo 

Ye asl me ye logo ka Rafziyat ka kida hai jo indirect tarike se bahar aata hai agr kisi me aisa aqeeda hai to usko dekhna chahye khud Kay andar Kay Aqabireen ka aqaid kuch hai aur inka kuch ye rafziyat ki manzil pe khade hai.

Scan Page

*Aitraz E Khilafat Abu bakr bani Ruhaniyat me Rukawat*
Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi Rehmatullah alaih ne farmaya , "Ek Fazil Shaks thay jo Ek buzurg ki Khidmat me 12 sal tak rahe magar unko kuch hasil na ho saka ,ek din unhone peer sahab se kaha ke mai itni muddat se apki khidmat mein Hu magar kuch hasil na hua. Peer sahab ne kaha, "Tumko kisi sahabi ke sath kisi tarah ka khayal to nahi? " Us fazil ne kaha ke sirf ye khayal hai ke Hazrat Ali murtaza Radi Allahu anhu Khalifa awwal kyu na huwe? .Unke peer ne kaha ke kambakht! Jald tauba kar, khalifa Awwal Sayyedina abu bakr siddique Radi Allahu anhu ko to khud Rasool Allah ne apni hayat me hi Khalifa (Imam Namaz) kiya .Us shaks ne dil se tauba ki aur usi rat ko us Fazil shaks ko Woh baat(Ruhaniyat O Tarakki) Hasil ho gayi. Phir farmaya ke abu bakr aur umar Sam'ee wa Basri hai(yani Sunte aur dekhte hai) fir yeh hadees sunayi:-
*"حب ابی بکر و عمر ایمان و بغضھما نفاق"*
ابو بکر و عمر (رضی اللہ عنھما) کی محبت ایمان ہے اور ان دونوں سے بغض رکھنا کفر ہے۔

Fb group :https://www.facebook.com/groups/hazratfazlerehma
Firka e shia tafziliya ke #jahil sufi awaam e ahle sunnat ko ye keh kar gumrah kar rahe hai ke hazrat e abu bakar siddique radiallah anhu sirf zahiri khalifa hai batini nai hai
Jab ke 
👇👇👇👇👇👇👇👇

#kaamil sufi yaani hazrat e fariduddin Attar radiallah anhu farmate hai
Ke 
Wo pehla khalifa hai jo huzoor aleyhis salam ke pehle yaar hai balke yaar e gaar hai jesa ke quraane karim me irshad hota Hai #sani_isnain_izhuma_fil_gaar jo din ke alambardaar hai siddique e akbar radiallah anhu hai or haq ke qutub hai or tamam khubiyo me dusre sahaba se sabkat le gye hai
Or
Ruhaaniyat ke muta'alliq bhi zikr hai
Scan paige me mazid tafsil se padiye

Allah ham sunniyo ke imaan ko in jahil gumrah tafzili piro molviyo se mehfooz rakhe

Hawala...mantiq ut tair
Safa no..52

Tafsil se padiye
👇👇👇👇👇👇👇👇

Saturday, 4 January 2025

,
Buzurgon ki Mazar pr Dua Qabool hoti h

𝐒𝐚𝐥𝐚𝐚𝐟 𝐀𝐡𝐥𝐞 𝐈𝐥𝐦 𝐁𝐚𝐝𝐞 𝐁𝐚𝐝𝐞 𝐌𝐚𝐬𝐡𝐚𝐲𝐢𝐤𝐡 𝐊𝐢𝐬𝐢 𝐊𝐚𝐚𝐦 𝐊𝐚 𝐈𝐫𝐚𝐝𝐚 𝐊𝐚𝐫𝐭𝐞, 𝐓𝐨𝐡 𝐏𝐞𝐡𝐥𝐞 𝐒𝐚𝐥𝐢𝐡𝐞𝐞𝐧 𝐊𝐞 𝐐𝐚𝐛𝐚𝐫 𝐄 𝐌𝐮𝐛𝐚𝐫𝐚𝐤 𝐊𝐞 𝐏𝐚𝐬𝐬 𝐉𝐚𝐚𝐭𝐞 𝐀𝐮𝐫 𝐖𝐚𝐡𝐚 𝐃𝐮𝐚 𝐊𝐚𝐫𝐭𝐞 𝐀𝐮𝐫 𝐃𝐮𝐚 𝐐𝐚𝐛𝐨𝐨𝐥 𝐁𝐡𝐢 𝐇𝐨𝐭𝐢

Imam Abu Nu'aim (Rahmatullaah 'Alaihi) Ne Seyyidna Talhah Bin Ubaydullah (Radhiallahu'anhu) Ki Fazail Mein (Ma'rifat Al-Sahaba 1/100) Riwayat Ki Hai, Keh
حدثنا عبد الله بن محمد ، ثنا أبو بكر بن أبي عاصم، قال : قد رأيت جماعة من أهل العلم والفضل إذا هم أحدهم بأمر قصد إلى قبره فسلم عليه فدعا بحضرته فيكاد يعرف الإجابة .
Abdullah Bin Muhammad, Aur Abu Bakr Bin Abi Aasim, Ne Humse Bayaan Kiya : Hamne Ahle Im Ki Ek Jamaat Ko Dekha Jab Unmein Se Koi Kisi Kaam Ka Irada Karte, Toh Woh Apne Kaam Se Pehle Seyyidna Talhah Bin Ubaydullah (Radhiallahu'anhu) Qabar-E-Mubarak Par Jate, Unpar Salaam Karte, Aur Waha Dua Karte Aur Dua Qabool Bhi Hoti. 
وأخبرنا مشايخنا به قديما أنهم رأوا من كان قبلهم يفعله .
Humare Mashayikh Ne Humein Purani Daur Mein Bataya Tha Ke Unhone Apne Se Pehle Walon Ko Yeh Karte Hue Dekha.'"
(Ma'rifat Al-Sahaba Jild 1, Safa 100)
Scan Page
𝐀𝐰𝐥𝐢𝐲𝐚 𝐊𝐞 𝐌𝐚𝐳𝐚𝐫/𝐃𝐚𝐫𝐠𝐚𝐡 𝐏𝐚𝐫 𝐃𝐮𝐚 𝐐𝐚𝐛𝐨𝐨𝐥 𝐇𝐨𝐭𝐢 𝐇𝐚𝐢𝐧 𝐘𝐚𝐡𝐢 𝐀𝐪𝐞𝐞𝐝𝐚𝐡 𝐌𝐮𝐡𝐚𝐝𝐢𝐭𝐡 𝐀𝐮𝐫 𝐒𝐚𝐥𝐚𝐚𝐟 𝐊𝐚 𝐇𝐚𝐢𝐧

Part 27

Imam Ibn Al-Jazari Ne Imam Al-Shatibi, Jo Ke Imam Al-Qiraat Hain, Unkqe Maqbaray (Mazar) Ke Baare Mein Apni Kitaab "Ghayat Al-Nihaya Fi Tabaqat Al-Qurra" Mein Likhtey Hain: 

 “وقبره مشهور معروف، يقصد للزيارة، وقد زرته مرات، وعرض علي بعض أصحابي الشاطبية عند قبره، ورأيت بركة الدعاء عند قبره بالإجابة – رحمه الله ورضي عنه”.
Unka Maqbara Mashhoor Hai Aur Usay Ziyarat Ke Liye Jaana Jaata Hai. Main Ne Khud Bhi Unko Kai Dafa Ziyarat Ki Hai, Aur Mere Ek Dost Ne Mujhse Shatibi Ki Shatibi Kitaab Unke Maqbaray Ke Pass Padhkar Dikhayi, Aur Maine Wahan Dua Karte Hue Barkaat Dekhi, Jo Qabool Hui – Rahmatullahi Alayh Wa Radhiyallahu 'Anhu.”

(Kitab Ghayat Al Nihayah Tabaqat A Qurra Jild 02, Safa 22)

Scan Page

Toh Ab, Aaj Ke Wahabi Log Imam Ibn Al-Jazari, Jo Ke Imam Al-Qiraat Hain, Ke Baare Mein Kya Kahenge? Kya Woh Unhe Bhi Bidaati Samajhte Hain, Aur Kya Unhone Sahi Tareeqay Se Salaf Ka Usool Nahi Apnaya?

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers