Fazail E Ammar Ibn Yasir Radiallahu Anhu
Aur Walida Hazrat Summaayah Bint Khayyat Radiallahu Anha
Islam Laane aur Ailan Karne Me Awwaleen Sahaba
Hadees :
"Hazrat Abdullah Ibn Masood Radiallahu Anhu Farmate hai 7 Logo ne sabse pahle Islam laaya aur Ailan Kiya Hazrat Abu Bakr Siddique, Hazrat Ammar, Hazrat Summayah, Hazrat Bilal, Hazrat Suhaib, Hazrat Miqdad Radiallahu Anhuma Azmayeen"
(Sunan Ibn Majah Hadees : 150)
Hazrat Ammar Ibn Yasir Radiallahu Anhu aur Aapki Walida Mazida Hazrat Summaya Radiallahu Anha pe kuffar e Makkah ne bada julm kiya garm ret pe lita kar chabuk lagaye jate Hazrat Summaya Radiallahu Anha Jo ek kamzor jaeeful umr khatun thi magar iman pahad se zyada mustahkam tha kafir Abu Jahel unke pet mubarak pe ek neza mara aur Aap Shaheed Hogayi
Is tarah Islam ke liye sabse pahle shaheed hone ka ejaj bhi ek khatun ke sir aaya aur Aap Radiallahu Anha ko Nabi ﷺ ne jannat ki basharat di
Islam Ke Liye Sabse Pahli Masjid E Quba Ki tameer ke liye sabse pahla patthar rakhne wale Sahabi bhi Hazrat Ammar Ibn Yasir Radiallahu Anhu hai
Hadees :
"Hazrat Ali Radiallahu Anhu Bayan karte hai Kay Mai Nabi E Karim ﷺ ki bargah me hazir tha Kay Hazrat Ammar Ibn Yasir Ne bargaah e Risalat ﷺ me aane ki izazat maangi to Huzur E Akram ﷺ ne farmaya Unhe Izazat Dedo, Marhaba Mard E Paak Wa Jaat Sifat Ko"
(Imam Tirmizi Sunan Kitabul Manaqib, Hadees : 3798)
قَالَ: هَذَا حَسَنٌ صَحِيحٌ.
Imam Tirmizi Farmate Hai Ye Hadees Hasan Sahih Hai
(Imam Ibn Majah Sunan, Kitab Al Muqaddama, Hadees : 146)
(Imam Abu Bakr Aajuri Kitab Us Shariya, Hadees : 2026, 2027)
(Imam Ahmad ibn Hanbal Fazail E Sahaba Hadees : 1606)
Hazrat Ammar Radiallahu Anhu Allah Ki Narazgi Allah Pak Ki Narazgi Hai
Ek Masle Me Hazrat Saifullah Khalid Ibn Walid Radiallahu Anhu aur Hazrat Ammar Ibn Yasir Radiallahu Anhu me kuch talkh Bahes hogayi maamla Rasoolallah ﷺ tak pahucha
Hadees :
"Huzur Nabi E Karim ﷺ ne apna Sir Mubarak Uthaye aur irshad Farmaye
Jisne Ammar Ibn Yasir Radiallahu Anhu Se aadawat rakhi usne Allah Pak se adawat rakhi, jisne Ammar Se buzg rakha usne Allah Pak se Bugz rakha, ye sunke Hazrat Khalid Ibn Walid Radiallahu Anhu Bayan karte hai Chunanche mai Wahan se nikla to Hazrat Ammar Ibn Yasir Radiallahu Anhu ki Raza mandi badhkar koi chiz mujhe mehboob na rahi,. Mai unhe milta to razi karta (yani humesha Unki Raza mandi chahte)"
(Imam Ibn Abi Shayba Al Musannaf 12/120)
(Musnad Imam Ahmad Ibn Hanbal 04/89)
(Imam Tabrani Al Mujam Ul Kabir, Hadees : 3835)
(Hakim Al Mustadraq, 03/390-391)
(Imam Ibn Hibban As Sahih, Hadees : 7081)
(Fazail E Sahaba Imam Nasai, Hadees : 164)
Shaitan Se Hifazat Me Hai
Hadees :
"Hazrat Alqama Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Farmate hai Main Shaam (Syria) pahucha to Hazrat Abu Darda Radiallahu Anhu Aaye kahne lage tum logo me wo shaksh hai jisko Allah Paak Ne apne Rasool ﷺ ki jabaan se Shaitan se mehfuz rakha hai ?
Hazrat Mugira Farmate hai Allah Pak ne Apne Habib Karim ﷺ ki jaban e mubarak se jis shakhs ko shaitan se apni panah me rakhne ka ailan kiya tha usse murad Hazrat Ammar Ibn Yasir Radiallahu Anhu Hai"
(Sahih Bukhari Hadees : 3287)
Hazrat Ammar Radiallahu Anhu Ki Shahadat Ki Peshangoyi
Hadees :
"Hazrat Abdullah Ibn Umar Radiallahu Anhu Se Marvi hai Nabi E Karim ﷺ ne farmaya Hazrat Ammar Radiallahu Anhu ko ek baagi giroh qatl karega"
(Imam Al Ajurri Shariya Hadees : 2029)
Sahih Muslim 2916
Fazail E Sahaba Imam Nasai Hadees : 170
Ye rivayat Umme Sulaim Radiallahu Anhu se hai
Shahadat se Qabl Jung E Siffin Me Hazrat Ammar Radiallahu Anhu ko dudh pesh kiya gaya dudh dekh kar hi Aap Radiallahu Anhu Samaj gaye ke waqt e shahadat aachuka hai kyuki Nabi E Karim ﷺ se unhone suna tha Shahadat se pahle aakhri chiz jo piyoge wo dudh hoga..
94 Saal Ki Umr Mubarak Me jung e Siffin ke waqt Aapki Shahadat Huwi
Allah Pak Inke Sadke hamari magfirat kare
Post By Shaikh Sher Ali
Avr jisne qatl kiya ur giroh par lanat to bhejen bhai
ReplyDelete