Imam Hussain Ibn Ali Radiallahu Anhu Ke Liye Aasman De Roshni Ka Aana
Hazrat Abu Hurairah Radiallahu Anhu Bayan Karte Hain Ki Hazrat Imam Hussain رضي الله عنه Nabi Kareem ﷺ Ke Pass Mawjudh The Nabi E Akram ﷺ Unse Shadeed (Bahut Zyada Be'Panah) Muhabbat Rakhte They, Phir Hazrat Imam Hussain رضي الله عنه Ne Huzoor ﷺ Se Kaha Me Apni Walida Ke Pass Chala Jaon ? Toh Ye Sunkar Hazrat Abu Hurairah رضي الله عنه Ne Arz Ki Ya Rasool Allah ﷺ Agar Aap Kahe To Me Unke Saath Chala Jaata Hoon Toh Nabi Akram ﷺ Ne Farmaya Nahi To Itne Me Asmaan Se Ek Roshni Aayi Aur Hazrat Hussain رضي الله عنه Us Roshni Me Uske Saath Chalte Hue Apni Walida Ke Paas Apne Ghar Pahuch Gaye"
(Imam Abu Baqr Al Ajurri Kitab Al Shariah, Vol : 03, Pg : 312, Hadees : 1699)
Imam Hussain Ibn Ali Radiallahu Anhu Ke Sir E Mubarak Ki KaramatHafiz Ali Ibn Al Hasan Al Maroof Imam Ibn Asakir Damishqi Al Shafai Rahmatullah Alaih Al Mutwaffa 571 Hizri apni tareekh me mukammal sanad se likhte hai
"Minhal Ibn Amr Farmate hai Maine Hazrat Imam Hussain Ibn Ali Radiallahu Anhu Ka Sir E Mubarak Dekha Jab Usse Uthakar Le Jaya Jaa Raha Tha, Us Waqt Mai Damishq Me Tha Ek Shakhs Aage Aage Surah Kahaf Ki Tilawat Kar Raha Tha Jab Wo is aayat par aaya
أَمْ حَسِبْتَ أَنَّ أَصْحَابَ الْكَهْفِ وَالرَّقِيمِ كَانُوا مِنْ آيَاتِنَا عَجَبًا
Kya Tumhe Maloom Huwa Pahad Ki Kho Aur Jungle Ke Kinare Wale Hamari Ek Azeeb Nishani They {Surah Kahaf Ayat 9}
To Allah Pak Ne Sir E Mubarak Me Woh Kuwwat e goyayi ata farmayi To usse awaaz aayi Mera Shaheed Hona aur Uthaya Jaana Aahaab E Kahaf Se Zyada Ajeeb Hai
(Tareekh E Madina Tul Damishq, Vol : 60, Pg : 369-370, Raqam : 7688)
(Imam Adbur Rehman Jalaludin Suyuti Shara us Sudoor Pg : 212)
No comments:
Post a Comment