Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Tuesday, 27 September 2022

Milad Un Nabi ﷺ Muhadiseen Ki Nazar Me


﷽ 
Meelad Un Nabi ﷺ Manana Aimma E Muhadiseen Ki Nazar Me 

Imam Shahabuddin Ahmad Ibn Muhammad ibn Abi Bakr Qustallani Shafai Rahmatullah Alaih Al Mutawaffa 923 Hizri
Bade mashoor Muhaddis aapne Sahih Bukhari Sharif ki shara bhi likhi hai jo Mashoor hai Irshad Us Saari Kay naam se 
Aapne Nabi E Karim ﷺ ki seerat par badi jabardast kitab likhi Al Muwahibul Laduniya is kitab ki Shara Imam Abdul Baqar Jurqani Rahmatullah Alaih ne ki hai 

Imam Qustallani Shafai Rahmatullah Apni Kitab Seerat me Milad Un Nabi ﷺ kay baare me likhte hai 

"Musalman hamesha se Milad e Nabi ﷺ ke mahine me mehifil ka inaqad karte chale aye hai wo dawato ka aehtemam karte hai aur is mahine ki raato me tarha tarha ke sadqat karte aur khushi ka izhar karte hai (yun wo apni) nekio me izafa karte hai aur maulud shareef padhne ka ehtemam karte hai (yani wiladat muabark ke wakt jo mujaebaat jahir hue unko bayan karte aur Nabi E Akram ﷺ ke fazail ke bayan ka aehtemam karte hai) aur un musalmano per har kisam ka fazal aur barkat jahir hote hai. 
Milad shareef ki mehfil ke silsile me is baat ka tajurba hua hai ke is saal aman kaem rahta hai aur makasid ke husul ke lie fauri khuskhabri milti hai. Pas Allah Taala is shaksh per rahem kare jo milad shareef ke mahine ki raato ko eiden banata hai taake ye (eid) un logo ke lie sakt akaef ka baes bane jin ke dilo me bimari hai. 
(Imam Qustallani Al Muwahibul Laduniya Vol : 01, Pg : 78, Print : Darul Qutoob Ilmiya Berut Lebanon)
Scan Page 
Hazrat Shah Abdul Haque Muhadis Dahelvi Hanafi Rahmatullah Al Mutawaffa 1052 Hizri Aaj Se Kariban 390 Saal pahle kay Azim buzurg
Hindustan Ki sarzamin me Makkah E Muazzama Se Tashreef laaye aap Mudaris bhi they Madina E Munawwara Kay is qadr Nabi E Karim ﷺ ki Ziyarat Nasib Huwi Barre Sageer me koi Musalman Aisa nahi jo Aapko Tasleem na karta ho 
Aap Rahmatullah Alaih Milad Un Nabi ﷺ Aur Kayam E Milad Kay mutallik Likhte hai 
Huzur ﷺ ki Razat ka bayan 
"Aap ﷺ ko Abu Laheb ki azaad karda Bandhi Shuaiba ne doodh pilaya aur Shuaiba us wakt azaad hui thi jab usne Abu Laheb ko Huzur ﷺ ki wiladat ki khushkhabri sunai. 
Abu Laheb ke marne ke baad kisi ne usko khwab me dekha , Usse pucha tera kya haal hai? Abu Laheb ne kaha Aag ( jahanam) me hu, magar itna hai ke har peer ki raat Ko mujhper kuch takhfeef ho jati hai Aur dono unglio se kuch pani pe leta hu, aur apni un dono unlio ki taraf ishara kiya jin unglio ke ishare se Shuaiba bandi ko Huzur Nabi Karim ﷺ ki wiladat ki khushkhabri sunane per azad kiya tha Phir usne doodh pilaya tha.
Ibn Jawji Rahmatullah Alaih kehte hai jab kay us Abu Laheb kafir ko jiski mazzamat Quran me ai, us khushi ka ye sila mila Jo usne Huzur Nabi E Karim ﷺ ki paidaish per Massarat ka izhar kiya tha.  
Toh is musalman ka kya haal hoga Jo Aap ﷺ ki ummat me hokar Aap ﷺ ki paidaish ki khushi karte hai Aur Aap ﷺ ki mohabbat me jitna ho sakta hai utna kharch karte hai. 
Mujhe apni zindagi ki kasam! Yakeenan khuda e kareem ki Taraf se uski yehi jaza hogi Ke wo apne aam fazal wa karam se Jannat ke baago me dakhil farmaega Aur hamesha se hi musalman Huzur ﷺ ke wiladat ke mahine me mehfile ( Meelad ki) karte hai aur khane (sheerini wagerah) paka ker us mahine ki raton me tarha tarha ke tohfe jaat khoob taqseem kerte hai. Aur unlogo per us amal ki barkat se har kism ki barkate jahir hoti hai is mehfile meelad Ki khususi mazariyat me se ye hai ke wo saal bhar tak iman pate hai aur hajat rawai maqsood barari ke badi basharat hai. Bas allah tala us shaksh per be paya rehmate nazil farmae jisne meelad mubarak ke din ko eid banaya. Taake jiske dil me rog aur anad hai wo usme aur sakth ho"
(Maa Sabata Bi Sunnah, Pg : 74)

"Ibn Jawzi Rahmatullah Alaih ka farman
Allama ibn Jawzi Rahmatullah Alaih farmate hai ke : "Jabke usne Abu Laheb kafir ko jiski majjamat Quran me ayi hai usse khushi ka sila mila jo usne Huzur ﷺ ki paidaish per khushi ka izhar kiya tha toh us musalman ka kya haal hoga jo Aap ﷺ ki ummat me hokar Aap ﷺ ki Tashreef aawri ki khushi karte hai aur Aap ﷺ ki  mohabbat me jo ho sake kharch karte hai. Mujhe apni zindagi ki kasam yakeenan Allah Taala ki taraf se uske lie yehi jaza hogi ke Allah Taala apne fazal wa karam se jannatul firdous me dakhil farmaega. 

Meelad ki barkat
Allama ibn jawzi farmate hai ke " hamesha hi se musalman Huzur ﷺ ki mahe wiladat ba sa'adat me mehfile meelad karte hai aur taam wagera paka ker us mah ki rato me Kam wa kam ke tahaef taqseem karte hai aur un logo per is amal ki Barkat se har kisim ki barkat ka jahoor hota hai.
Is mehfil meelad ke khususi majurbaat me se ye hai ke wo pura saal imaan paate hai aur hajat rawai, maqsood barari ke badi basharat hai. Pas Allah Taala is shaksh per bhot jada rehmate farmate jisne meelad mubarak ke din ko eid banaya taake jiske dil me rog aur anad hai wo taes me aur sakth hai"
(Milad E Rasool E Azam ﷺ Pg : 33)
Scan Page
Kayam E Milad Par Aqeeda Aap Rahmatullah Alaih Apne Is amal ko hi nizaat ka jariya mante hai 
"Aye Allah ﷻ mera koi amal aisa nahi jise teri Bargah me pesh karne ke layak samjhu, lekin mujh faqir ka ek amal teri toufiq ki wajah se bohot hi shandar hai, wo ye ki Majlis e Milad un Nabi ﷺ me mai khade ho kar salaam padhta hu, aur nihayat ajzi inkisari muhabbat o khuloos ke sath tere Habeeb ﷺ par durood o salam bhejta raha hu, aye Allah wo kaunsi jagah hai jaha Milad e Mustafa ﷺ se zyada teri Rahmat nazil hoti hai?
Isliye aye Allah mujhe yaqeen hai ke mera ye amal kabhi bekar na jayega, balki yaqeenan teri Bargah me qubool hoga, aur jo koi durood o salam padhe aur uske zariye dua kare wo kabhi Rad nahi ho sakti
(Akhbar Ul Akhyar Pg : 605)
Scan Page 
Lihaja Jo Hum Sunnio Ko Milad Un Nabi ﷺ kay kayam kay sabab ahle Biddah kahta hai wo shauk se kahe unke nazdik to koi unke shirk factory fatwa se bacha hi nahi hai 

Magar wo ye bhi dekhe Kay ye tamam aqeedah pahle Kay Aqabireen buzurgo ka bhi raha hai.
Hazrat Shah Abdur Rahim Dahelvi Hanafi Rahmatullah Alaih Ka Amal Milad Un Nabi ﷺ par Aap Fatwa E Aalimgiri Tarteeb dene wale Ulema me bhi shamil hai aur Walid Hai Hazrat Ahmad Qutubudin Shah Waliullah Dahelvi Rahmatullah Alaih Kay likhte hai apne walid ka tazkira
"Mai(Shah Abdur Rahim)Hamesha Har Saal Huzoor ﷺ Ke Milaad Ke Mauqe Per Khane Pakwaya Karta Tha Lekin Ek Saal Khane Ka Intezam Na Kar Saka Haa Kuch Bhune Huye Chane Le Kar Milaad Ki Khusi Mai Logo Mai Taqseem Kar Diye Raat Ko Maine Khuwab Mai Dekha Ke Huzoor ﷺ Badi Khusi Ki Halat Mai Tasrif Farma Hai Aur Aap ﷺ Ke Samne Wahi Chane Rakhe Huye Hai".
(Rasail E Shah Waliullah Muhadis Dahelvi, Risala No. 3 Ad Durrus Sameen fi Mubashirat al Nabiyyul Ameen Pg : 254)
Scan Page
Saabit huwa kay har saal Mehfil E Milad Manana aur shirni khana langar khilana ye sab tarika koi aaj ka nahi hai ye tarika hamare bade buzurgon ka raha hai aur aise buzurg jinhe mukhalifeen bhi mante hai aur aisa amal Nabi E Karim ﷺ ko bhi pasand hai.

Sahih Bukhari Sharif Me hadees hai 
Hadees : 
Hazrat Anas ibn Malik Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Nabi E Akram ﷺ Ne Farmaya Jisne Khwab Me Mujhe Dekha Usne Mujhe Hi Dekha Kyuki Shaitan Meri Surat Ikhteyar Nahi Kar Sakta”
(Sahih Bukhari Hadees :6994)
(Musnad Ahmad Ibn Hambal Vol : 03, Pg : 268, Hadees : 3559 Rivayat Hazrat Abdullah ibn Masood)
Pata Chala shaitan khwab me bhi Nabi ﷺ ki surat ekteyar nahi kar sakta Shah Abdur Rahim Rahmatullah Alaih jinki Ziyarat se musharraf huwe wo khud Nabi E Karim ﷺ ki jaat e aqdas hi thi.

Hazrat Shah Waliullah Muhadis Dahelvi Hanfi Rahmatullah Alaih (Al Mutawaffa 1176 Hizri)
Makkah E Mukarrama Sharif me Khud Mehfil E Milad Me shirkat karke kya kuch Faiz Hasil huwa Aap Rahmatullah Alaih Farmate hai 
"Is Se Pahle Mai Makka Mukarrama Mai Huzoor ﷺ Ki Wiladat Ba Sa'adat Ke Din Ek Esi Milaad Ki Mehfil Mai Sareek Hua Jis Mai Log Aap ﷺ Ki Bargah E Aqdas Mai Hadiya E Darood O Salam Arz Kar Rahe The Aur Wo Waqiyat Bayan Kar Rahe The Jo Aap ﷺ Ki Wildat Ke Moqe Per Zahir Huye Aur Jin Ka Mushaida Aap ﷺ Ki Waisat Se Pahle Hua,
Achanak Maine Dekh Ke Is Mehfil Per Anwar O Tajjalliyat Ki Barsaat Shuru Ho Gayi Hai Mai Nahi Kahta Ke Mai Ne Ye Manzar Sirf Jism Ki Aankh Se Dekha Tha Na Ye Kahta Hu Ke Faqat Roohani Nazar Se Dekha Tha ALLAH Hi Bahtar Janta Hai Ke Un Do Maise Konsa Muamla Tha Bahrhaal Maine Un Anwar Mai Gaur O Khoz Kiya To Mujh Pe Ye Haqiqat Munkasif Huyi Ke Ye Anwar Un Malaika Ke Hai Jo Esi Majlis Aur Musahid Mai Sirkat Per Mamoor O Muqarrar Hote Hai Maine Dekha Ke Anwar E Malaika Ke Sath Sath Anwar E Rahmat Ka Nuzool Bhi Ho Raha Hai".
(Shah Waliullah Muhaddis Dahelvi, Fuyool Ul Harmain Pg : 33-34)
Scan Page 
Yehi baat dusre nuskhe me bhi hai Fuyooz Ul Harmain Pg : 115
Shabe E Yaum E Wiladat Sharif Shabe Qadar Se Afzal 
Imam Ahmad ibn Muhammad Al-Qastallani Shafi Rahmatullah Alaih (Al Mutwaffa 923 Hizri)
"Jab hum ye kahen ke Huzoor Nabi E Akram ﷺ raat ke Waqt Paida hue to sawaal paida hota hai ke Shab-e-Milad-e-Rasool ﷺ Afzal hai ya Shab-e-Qadr? Mai iske jawab me kehta hun ke Aap ﷺ ki Milad ki raat 3 wuju ki bina par Shab-e-Qadr se Afzal hai:
1. Aap ﷺ ka Zahoor Shab-e-Milad me hua jabke Shab-e-Qadr Aap ﷺ ko Ataa ki gayi, lihaza wo Raat jisko Aap ﷺ ke Zahoor ka Sharf mila us raat se zyada Sharf waali hogi jisey is Raat me Tashreef Laane Waali Hasti ke sabab se Sharf mila, aur isme koi naza nahi. Lihaza is aitabar se Shab-e-Milad, Shabe-Qadr se afzal hui.
2. Agar Lailatul Qadr ki azmat is bina par hai ke isme Farishton ka Nuzool hota hai to Shab-e-Wiladat ko ye Sharf haasil hai ke Isme Allah Ta'ala ke Mehboob ﷺ Kainat me Jalwa Farma hue. Jamhoor Ahle sunnat ke Qaul ke mutabiq Shab-e-Milad ko Jis Hasti (Yaani Huzoor ﷺ) ne Sharf Bakhsha wo Shab-e-Qadr ko Sharf Bakhshne waali hastiyon se (yaani Farishton) se kahi Buland wa Bartar aur Azmat Waali hai. Lihaza Shab-e-Wiladat he Afzal hai.
3. Shab-e-Qadr ke Baais Ummat-e-Muhammadiya ko Fazilat Bakhshi gayi aur Shab-e-Milad ke zariye jami maujudaat ko Fazilat se nawaza gaya. Pas Huzoor ﷺ he Hain Jinhe Allah Ta'ala ne Rehmatulilaalameen banakar bheja, aur is tarah Naymat-e-Rehmat Jami Kainat ke liye aam kardi gayi. Lihaza Shab-e-Wiladat Nafa Rasani me kahi zyada hai, aur is aitabaar se bhi ye Lailatul Qadr se Afzal tehri."
(Al-Muwahib al-Ladunniyyah bi al-Minah al-Muhammadiyya Vol : 01, Pg : 77)
Scan Page
Hazrat Shah Abdul Haq Muhadis Dahelvi Rahmatullah Alaih (Al Mutwaffa 1052 Hizri)
"Aur unke is kaul ke nisbat ke Bawaqt wiladat shaab gire". Iske bhi yehi mayene ho. Iske baad agar hum ye kahe ke wo raat jisme Aap ﷺ paida hue wo lailatul kadr se bila subha afzal hai. 
Islie ke ye raat toh Huzur ﷺ ki raat hai aur lailatul Qadar Huzur ﷺ ko ata hui hai Aur jo chij ke jaat sharif ke zahur ki sabab se mashraf ho, wo us chiz se jyada mashraf hogi jo unko ata hone ke waje se mashraf bani ho Aur ek waja ye bhi hai ke lailatul Qadar toh islie mashraf hai ke us raat farishte utarte hai Aur paidaish ki raat me toh Huzur ﷺ ke zahur ki sharafat hai Aur islie bhi ke lailatul Qadar ki fazilat toh Rasool Allah ﷺ ki ummat per hai, aur paidaish ki fazilat toh sari Qainat per hai, kyun ke Aap Karim ﷺ ki wo zaat hai ke Allah Taala ne sare jahan ke lie rehmat banaya aur isis zaat e mukadassa ke sadke me hi toh zameen o asman ki tamaam makhlukaat per Allah ki niyamate aam hai"
(Ma Sabata Minas Sunnah Aiyam E Islam Pg : 77 Mutarzim)
Deobandi Ulema Ka Fatwa Milad Un Nabi ﷺ Par 
Milad Un Nabi Farhat Wa Musarrat Ka Din hai Deobandi Fatwa
Deobandi Dharam Ke Mufti E Azam Rashid Ahmad Ludhiyanvi Huzoor E Nabi ﷺ Ke Zikr Pak Manane Ke Talluk Se Likhte Hai
“ AanHuzoor ﷺ Ki Wiladat Bade Suror Aur Farhat Ka Baaes Hai Aur Ye Suror Kisi Waqat Aur Mahak Ke Sath Makhsos Nahi Balke Har Musalman Ke Rag wa Pey Mein Samaya Howa Hai Abu Lahab Ki Laundi Saubiya Ne Jab AanHuzoor ﷺ Ki Wiladat Ki Khabar Abu Lahab Ko Pahunchai Tu Us Ne Khushi Mein Saubiya Ko Aazad Kar Diya Marne Ke Baad Logon Ne Khawab Mein Dekha Aur Usse Haal Dariyafat Kiya Tu Usne Kaha Jab Se Mara Hun Azab Mein Girftar Hun Magar Do Shanba Ki Shab Ko Chunke Mein Ne Milad Nabi Ki Khushi Ki Thi is Liye Azab Mein Takhfif Ho Jati Hai , Jab AbuLahab Jaise BadBakhat Kafir Kke Liye Milad e Nabi Ki Khushi Ki Waje Se Azab Mein Takhfif Hogai Tu Jo Koi Ummati Aap Ki Wiladt Ki Khushi Kare Aur Hasbe Woosat Aap Ki Mohabbat Mein Kharch Kare Tu Kyunkar Aala Maratib Hasil Na Kare Ga
(Ahsanul fatawa Vol : 01 Pg : 347,348)
Scan page
Deobandi Mufti Sahab Bhi is Baat Ka Iqrar Kar Raha Hai Ke Huzoor ﷺ Ki Wiladat Ka Ka Din Baise Barkat Hai Aur Ye Bhi Keh Raha Hai Ke Khushi Ke is Din Mein Apni Haisaiat Ke Mutabiq Kharch Bhi Kare Tu Usse Zaror is Ka Ajar Mile Ga Deobandi Wahabion Ko Chahiye Ke Wo Apne is Mufti Sahab ki is Baat Per Kam Az Kam Thuda Sa Hi Amal Kar len.

Post By Shaikh Sher Ali Hanafi

No comments:

Post a Comment

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers