Aurat Ki Namaz Mardo Se In Arkan Me Juda Hai
Shariat E Islamiya K Ehkam Khudawandi K Mukhatib Mard Aur
Aurat Dono Hai , Jis Tarah Arkan E Islam Mard Per Lagu Hote Hai Thik Usi Tarah
Aurat Per Bhi Lagu Hote Hai , Lekin Islam Me Aurat K Parde Ka Khayal Har Maqam
Per Rakha Gaya Hai Aur In Arkan Ki Adayegi Me Islam Ne Aisa Intezam Kiya Hai Ki
Aurat Mukammal Perde Me Mehfuz Rehsake ,Islam Me Iman K Baad Sabse Badi Nemat
Namaz Hai Aur Iski Adayegi Me Mard Wa Aurat Dono Ki Namaz Ka Tarika Alag Hai.
Ahadees E Mubarak Ki Taraf Ruju Karte Hai .
Aurat Namaz Shuru Kare Toh Seene Tak Haath Uthaye
·
Hazrat Wayl Bin Hujr Radialla Taala Anhu Farmate
Hai Ki Me Nabi Swallallahualaihiwasallam Ki Khidmat Me Hazir Hua Toh Aap Nabi
Swallallahualaihiwasallam Ne Mujhe Farmaya Aye Wayl Bin Hujr Jab Tum Namaz
Padho Toh Kano K Barabar Apne Haatho Ko Uthao Aur Aurat Apne Haatho Ko Chathi K
Barabar Uthaye.
Muazzam Ul
Kabir , Jild 22 , Safa 19 , Hadees 28
Muazzam Ul
Zawaid Lil Haismi , Jild 2 , Hadees 2594
Jame Ul Hadees
Lil Suyuti , Jild 23 , Hadees 26377
Aurat Ka Seene Per Haath Bandhna
·
Hazrat E Ata Rehmatullah Alayh Farmate Hai Ki
Aurat Apne Qayaam Me Hatho Ko Jitna Upar Karsakti Hai Kare.
Musannaf Abdur Razzaq
, Jild 3 , Hadees 5067.
·
Aur Allama Abdul Hayi Lucknowi Hanfi Likhte Hai
Ki Aurto K Liye Sabka Ittefaq Hai Unke Liye Sunnat Haatho Ko Seene Per Bandhna
Hai.
Al Sa’aya , Jild 2 , Safa 156.
Aurto Ka Sajda Karne Tarika
· Hazrat Yazeed Bin Abi Habib Rehmatullah Alayh
Farmate Hai Ki Nabi Swallallahualaihiwasallam 2 Aurto K Karib Se Guzre Jo Namaz
Adaa Karrahi Rahi Thi Toh Aap Nabi Swallallahualaihiwasallam Ne Farmaya Jab Tum
Sajda Karo Toh Apne Jism Ka Kuch Hissa Zameen Se Mila Liya Karo Kyuki Aurat Ka
Hukum Isme Mard Ki Tarah Nahi.
Mursal Abi
Dawud , Safa 191 , Hadees 89
Sunan Al
Kubra Lil Behki , Jild 2 , Hadees 3201
Jame Ul Hadees
Lil Suyuti , Jild 3 , Hadees 2110
Talkhisul
Habeer , Jild 1 , Safa 394
· Hazrat Abdullah Bin Umar Radialla Taala Anhu
Farmate Hai Ki Nabi Swallallahualaihiwasallam Ne Farmaya Ki Jab Aurat Namaz Me
Baithe Toh Apni Ek Raan Ko Dusri Raan Per Rakhe Aur Jab Sajda Kare Toh Apna
Pait Apni Raano Se Milaye Jo Ki Iske Liye Zyada Parde Ki Halat Hai Aur ALLAH Taala
Uski Taraf Dekhta Hai Aur Fermata Hai Aye Malaika Gawah Hojao Mene Is Aurat Ko
Baksh Diya.
Sunan Al Kubra
Lil Behki , Jild 2 , Hadees 3199
Al Kamil Li
Ibn Adi , Jild 2 ,Hadees 399
Jame Ul Hadees
Lil Suyuti , Jild 3 , Hadees 1759
Kanzul Ummal
Hadees 20199
· Hazrat Ali Radialla Taala Anhu Farmate Hai Ki
Aurat Jab Sajda Toh Apni Raano Ko (Pait Se) Milaye
Musannaf Abdur
Razzaq , Jild 3 , Hadees 5072
Sunan Al
Kubra Lil Behki , Jild 2 , Hadees 3197
Musannaf Ibn
Abi Shayba , Jild 1 , Hadees 2793
·Hazrat Ibrahim Nakhai Rehmatullah Alayh Farmate
Hai Ki Aurat Jab Sajda Karegi Toh Apni Rano Ko Pait Se Milayegi Aur Apni Sureen
Ko Upar Nahi Uthayegi Aur Naahi Sajde Me Mardo Ki Tarah Apne Haatho Ko Khinch
Kar Ucha Karegi.
Musannaf Ibn Abi Shayba , Jild 2 , Hadees 2798
Aurat Ka Kayde Me Baithne Ka Tareeka
·
Hazrat Abu Saed Khudri Radialla Taala Anhu
Farmate Hai Ki Nabi Swallallahualaihiwasallam Mardo Ko Hukum Farmate The K
Sajdo Me Apni Rano Ko Apne Pait Se Juda Rakhe Aur Aurto Ko Hukum Dete Ki Simat
Kar Sajda Kare Aur Mardo Ko Hukum Dete Ki Tashahud Me Baye Pair Bichakar Usper
Baith Jaye Aur Daye Pav Ko Khada Rakhe Aur Aurto Ko Hukum Dete Ki Char Zanu
Baithe.
Sunan Al Kubra Lil Behki , Jild 2 , Hadees 3198
·
Hazrat Nafe Rehmatullah Alayh Farmate Hai Ki
Hazrat Abdullah Bin Umar Radialla Taala Anhu Se Kisi Ne Pucha K Daur E
Nabuwat Me Aurat Kistarah Namaz Padhti
Thi Toh Apne Farmaya Pehle Wo Char Zaanu Hokar Baithti Thi Phir Unhe Simat Kar
Baithne Ka Hukum Diya Gaya.
Musnad Abu
Hanifa Lil Harisi , Safa 40 , Hadees 79
Jame Ul
Musanid , Jild 1 , Safa 400
·
Hazrat Ibn Abbas Radialla Taala Anhu Se Aurto Ki
Namaz K Mutalik Pucha Gaya Toh Apne Farmaya Khub Simat Kar Namaz Padhe.
Musannaf Ibn Abi Shayba , Jild 1 , Hadees 2794
·
Hazrat Nafe Rehmatullah Alayh Farmate Hai Ki
Hazrat Safiya Radialla Taala Anha Jo Hazrat Ibn Umar Radialla Taala Anhu Ki Biwi
Hai , Namaz Me Char Zaanu Hokar Baiththi Thi.
Musannaf Ibn Abhi Shayba , Jild 1 , Hadees 2800
·
Hazrat Ayesha Radialla Taala Anha Apni Sureen
Per Baithti Thi Aur Apni Rano Ko Milati Thi Aur Baaz Awkat Char Zanu Baithti
Thi.
Ibn Rajab Fee Fath Ul Bari , Jild 5 , Safa 152-153.
Namaz Me Aurto Ko Sir Per Dupatta Lapetna Zaruri Hai
·
Hazrat Ayesha Radialla Taala Anha Farmati Hai Ki
Nabi Swallallahualaihiwasallam Ne Farmaya Baligh Aurat Ki Namaz Bina Dupatta K Kabul
Nahi Hoti .
Sunan Abi
Dawud , Kitab Us Salat , Jild 1 , Hadees 638
Sunan
Tirmizi , Kitab Us Salat , Jild 1 , Hadees 358
Aurto Ko Ghar Me Namaz Padhne Me Zyada Sawab Hai
·
Hazrat Abdullah Ibn Masud Radialla Taala Anhu
Riwayat Karte Hai Ki Huzur Nabi Swallallahualaihiwasallam Ne Farmaya ALLAH K
Nazdeek Aurat Ki Sabse Pasandida Namaz Wo Hai Jisey Wo Andheri Kohtri Me Adaa
Karti Hai.
Sahih Ibn Khuzeyma , Jild 3 , Hadees 1691
·
Ummul Momineen Hazrat Umme Salama Radialla Taala
Anha Riwayat Karti Hai Ki Huzur Nabi
Swallallahualaihiwasallam Ne Farmaya Aurat K Namaz Padhne K Liye Sabse
Behtareen Jagah Unke Gharo K Tehkhane Hai.
Musnad Ahmed
, Jild 12 , Hadees 27077
Sahih Ibn Khuzeyma
, Jild 3 , Hadees 1683
Mustadaral Al
Hakim , Jild 1 , Hadees 759
·
Hazrat Umme Humayd Radialla Taala Anha Riwayat
Karti Hai Ki Mene Huzur Nabi Swallallahualaihiwasallam Ki Bargah Me Hazir Hokar
Arz Kiya Ya Rasul ALLAH Me Apke Saath Namaz Padhna Pasand Karti Hu, Toh Apne
Farmaya Me Janta Hu Ki Tum Mere Saath Namaz Padhna Pasand Karti Ho Lekin
Tumhara Ghar K Andruni Kamre Me Namaz Padhna Bahar K Kamre Me Namaz Padhne Se
Behter Hai Aur Bahar K Kamre Me Namaz Padhna Sahan Me Namaz Padhne Se Behter
Hai Aur Sahan Me Namaz Padhna Apne Mohalle Ki Masjid Me Namaz Padhne Se Behter
Hai Aur Tumhara Apne Mohalle Ki Masjid Me Namaz Padhna Meri Masjid Me Namaz
Padhne Se Behter Hai , Rawi Kehte Hai Ki Phir Umme Humayd Ne Apne Ghar K Ek
Kone Me Masjid Banane Ka Hukum Diya Aur Jab Tak Zinda Rahi Usi Kone Me Namaz
Padhti Rahi.
Musnad Ahmed
, Jild 12 , Hadees 27630
Sahih Ibn
Khuzeyma , Jild 3 , Hadees 1689
Sahih Ibn
Hibban , Hadees 2214
Meri Islami Behno Se Guzarish Hai Ki Apni Namaz Ko Hukum
Rasul ALLAH Swallallahualaihiwasallam K Mutabik Durust Karne Ki Koshish Kare
Wallah Hu Alam Bil Sawab
No comments:
Post a Comment