Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Monday, 31 January 2022

Ameer Mauwiya Par Tahirul Qadri Sahab Ka Nazariya


Aksar Social Media Me aur khule taur pe bhi dekha gaya hai Tehreek Minhaj Ul Quran aur TUQ Sahab Se Jude log Hazrat Ameer Muawiya Radiallahu Anhu Par Laan Taan karte hai usme hi Inke Bade Alim hai Janab Habib Hyderabadi Sahab bhi hai halanki Is maamle me khud Tahirul Qadri Sahab Ka Mauquf aksar inse jude logo se thoda mukhtalif hai unki ek rai ko to maana ja sakta hai magar dusri rai unki Ahle Sunnat kay manhaj se dur nazar aati hai jab wo kahte hai Ameer Muawiya Radiallahu Anhu ki koi tareef bhi bayan na ki jaye ye karna Nasbiyat Kharjiat hai.

Baab 01 : Hazrat Ameer Muawiya Radiallahu Anhu Sahabi Hai Unki Khata Ijtehadi Hai Aur Unka Ehteram Wajib Hai
Janab Prof Tahirul Qadri Sahab likhte hai 
Sahaba E Kiram Ke Ba-hum Ektelafat Par Ummat
¨Sayedna Ali Ul Murtaza Radiallahu Anhu ki khilafat Rasheeda (jo bila izma aur bila shak wa subhat ke khilafat haq thi) ke is waqiya ki taraf hai jab Hazrat Ameer Muawiya Radiallahu Anhu Ne Ijtehadi Khata Ka Irteqab karte huwe Aap Radiallahu Anhu Ki Khilafat Par Bait Karne Kay Bajaye Shaam Me Apni Khilafat Ka Ailan Kar Diya¨
(Islam Din E Amn Wa Rahmat Hai Pg : 430)
Scan Page
"Hazrat Ameer Muawiya Radiallahu Anhu Ka Iqdaam Hazrat Ali Radiallahu Anhu Kay Khilaf khuruj Tha, Magar Sahabi E Rasool ﷺ Hone Kay naate Un par malamat, taan ya tankid HARAM Hai, aur unke mamle me khamoshi aur suqut wajib hai, Albatta unke is iqdaam ko Syedna Ali Ul Murtaza Radiallahu Anhu Kay Muqable Na durust karar de sakte hai aur naahi un par taan wa tasmi kar sakte hai, 
Isliye Kay sahabi E Rasool ﷺ hone Kay naate tamam Aimma e ahle sunnat ne inke maamle Allah Pak Par Chodte hai aur Adab wa tazim aur suqut ekteyar karte hai"
(Islam Din E Amn Wa Rahmat Hai Pg : 432)
Scan Page 
Ameer Muawiya Radiallahu Anhu Ke Baare Me Ahle Sunnat Ka Mauquf
Hazrat Ameer Mauwiya Radiallahu Anhu Yakinan Islam Aur Musalmano Ke Khairkhwah they, wo maaji ki tarah masla e khilafat par Musalmano ke aapas me qatl wa gaarat aur khuruj nahi chahte they, sabika halat ke peshenazar wo bhi samajhte they ke agar khilafat aur imarat ke masle ko yunhi chod diya ya kisi majlis e shura ko khilafat ke intekhab ke liye mukarrar kar diya to log kabhi bhi kisi ek shaksh par khilafat ke liye muttafique na honge aur mukhtalif ilako se khilafat ki madh uth khade hogi jisse ek azeem fasad barpa hojayega,  
Unhone durust kiya ya galat lekin ye baat Mussalam hai ke ye sab kuch unhone Musalmano ke darmiyan qatl wa gaarat khuruj ko rokne ke liye kiya, is baat ki shaheed aapki ye dua hai jo Aap Radiallahu Anhu ne Yazeed ko wali ahed banane ke baad mangi,
Aye Allah Tere ilm me hai ke maine Yazeed ko iski ahliyat ke peshe nazar isko wali ahed karar diya hai to iski walid ahedi ko pura karna aur agar Maine Iski Muhabbat ke sabab Isko Wali Ahed Kiya to iski wali ahedi ko pura na karna,
Hazrat Ameer Muawiya Radiallahu Anhu Ke Is ikdaam ko sahih kaha jaaye ya galat lekin is baat se inkar nahi kiya ja sakta ke iske piche jazba e bhalayi kar farma they, ulema ne is baat ke peshe nazar aur rishte e nisbat e Risalat ke peshe nazar Ameer Muawiya Radiallahu Anhu Ki shaan me Jaban taan daraj karna tankeed karna umko galiya dena unko bura bhala kahna haram karar diya hai”
Dar Hakikat Imaan Huzur ki muhabbat wa tazeem Aap Ke Sahaba E Kiram Aur Aap Ke Khanwade ki muhabbat wa tazeem ka naam hai, Jo Shaks Nabi E Karim Ki Muhabbat Se Aara Hai Aur Unme Se Kisi Ki Shan me Jaban taan daraj karta hai, Aur Jo Shaks Ahle Bait Ki Muhababat Wa Tazeem Se Khali hai, Goya Imaan Ki Daulat Se Mehroom Hai”
(Falsafa E Shahadat E Imam Hussain Radiallahu Anhu Falsafa Wa Talimat, Pg : 109-110)
Scan Page
Hazrat Ameer Muawiya Radiallahu Anhu Katib E Wahi Hai Ummat Ke Roohani Mamu Hai Janab Prof. Tahirul Qadri Sahab Aur Minhajul Quran Ka Faisla 
"Hazrat Ameer Muawiya Radiallahu Anhu Nabi E Karim ﷺ kay azeemul martabat Sahabi Hai Katib E Wahi Hai Ummul Momineen Umme Habiba Radiallanhu Anha ke bhai hai is lihaj se tamam Musalmano kay roohani mamu hai, lihaja koi musalman unki shan me gustakhi ka tasawwur bhi nahi kar sakta"
(Mahnama Minhaj Ul Quran 2013 January Pg :20) Scan Page  
Katib E Wahi Hazrat Ameer Muawiya Radiallahu Anhu
(Seerat E Rasool Ki Shakhsi Wa Risalati Ahmiyat Pg : 59)Scan Page 
Hazrat Ameer Mauwiya Radiallahu Anhu Ka Amal Khata E Ijtehadi Hai
¨Hazrat Ali Shere Khuda KarramAllahu Ta´ala Wajhahul Karim Ke Eilane khilafat ke saath hee mulk e Shaam(Syria) me Hazrat Ameer Muawiya Radiallahu Anhu ne Apni Aazad hukumat ka eilan kar diya aur Hazrat Ali Radiallahu Anhu ko khalifa tasleem naa kiya. Is Par Pur Ummat E Muslima Ka Muttafique Rahi hai ki khilafat Bahar taur Sayyedna Ali Murtaza ka haque tha aur Aap Radiallahu Anhu Khalifa Bar Haque Aur Khalifa E Rashid They. Hazrat Ameer Muawiya Radiallahu Anhu Ka Yeh Faisla Aur Iqdaam Jami’Aimma Ahle Sunnat Kay Haa´n IJTEHADI KHATA par Mahmool Kiya Jata hai¨
(Shahadat E Imam Hussain Haqaik Wa Waqiyat Ki Roshni Mein, Pg :11)
Scan Page 
Mujtahid Ki Galti Par Bhi Azr Hai Prof. Tahirul Qadri Sahab likhte hai
¨Ye sirf mujtahid ki shan ke Ijtehad sahi tha magar natija galat nikla Toh uske lie bhi ajar hai. 
(Aqsam E Biddat Ahadees Wa Aqwaal E Aimma ki Roshni Mein Pg : 92)
¨Mujtahid agar galti kar baithe Toh uske lie bhi ajar hai Kyun ke momin mujtahid ka har faisla har surat baise ajar hai¨
(Aqsam E Biddat Ahadees Wa Aqwaal E Aimma ki Roshni Mein Pg : 93)
Scan Page
Khwarij Ka Giroh Hazrat Maula E Kainat Ali Ul Murtaza Aur Ameer Muawiya Radiallahu Anhuma Azmayeen Dono Ki Takfeer Karta
¨Issi Daur Mein Ek Teesra Tabka Wajood Me aaya jisne Hazrat Ali Radiallahu Anhu Aur Hazrat Ameer Muawiya Radiallahu Anhu Dono Ki Mukhalifat ki. Is Tabke ne un dono Hastiyo kay khilaf ek musallah Kashmakash ka Aaghaz Kiya ye tabka Khawarij Kehlata hai, Ye Kharji Namaz, Roze Aur Zakat kay paband they, nawafil, tahajjud, kasrat e zikr aur kasrat e tilawar jaise amal bhi baja laate thye, innal hukmu illa lillah ke hukmarani ka nara buland karte they, Lekin (Maaz Allah) Hazrat Ali Aur Ameer Muawiya Radiallahu Anhu Ko Wajib Ul Qatl Aur Kafir gardaante they,
Chautha tabka Kasir Sahaba Aur Unke Mutabbiyeen Ka tha Jo Hazrat Maula Ali Radiallahu Anhu ki khilafat ko bar haque jante they lekin Hazrat Ameer Muawiya Radiallahu Anhu Ke baare me bhi khamosh they¨
(Shahadat E Imam Hussain Haqaik Wa Waqiyat Ki Roshni Mein, Pg :12-13)
Scan Page
Maloom huwa kay Sahaba ka ek bada giroh bhi is masle me khamoshi ikhtiyar karta tha aur Hazrat Ameer Muawiya Radiallahu Anhu ki koi takfeer na karta na laan taan karta balki khamosh rahta magar aaj kuch in tehreek se jude log takfeer laan taan se khud ko nahi rokte.

Baab 02 :  Sahaba E Kiram Ki Tauheen Karne Wala Shaksh Tahir Ul Qadri Sahab ki Nazar Me
Hadees :
Hazrat Abdullah Bin Mughaffal Sey Riwayat Hai Ke Huzoor Nabi E Akram ﷺ Ney Farmaya Merey Sahaba Ridwanullahi Ta’ala Alaihim Aj’maeen Ke Baarey Mey Allah Ta’ala Sey Daro, Allah Sey Daro Aur Merey Baad Inhey Tanqeed Ka Nishaana Na Banaana, Kyun Ke Jis Ney In Sey Muhabbat Ki Us Ney Meri Wazah Sey Un Sey Muhabbat Ki Aur Jis Ney Un Sey Bughz Rakha Us Ney Merey Bughz Ki Vajah Sey Un Sey Bughz Rakha Aur Jis Ney Unhey Takleef Pahunchaayi Us Ney Mujhey Takleef Pahunchaayi Aur Jis Ne Mujhe Takleef Pahunchaayi Us Ney Allah Ta’ala Ko Takleef Pahunchaayi Aur Jis Ney Allah Ta’ala Ko Takleef Pahunchaayi Anqareeb Allah Ta’ala Usey Pakdega.”
(Al-Minhaj us-Sawi, Pg : 620, Raqam : 686)
(Imam Tirmizi Sunan, Hadees : 3862) Imam Tirmizi Farmate Hain Ye Hadees Hasan Hai.
(Imam Ibn Abi Asim As-Sunnah, Hadees : 992)
(Imam Bayhaqi Shuab-ul-Iman,Hadees 1511)

Hadees :
Hazrat Abdullah Bin Umar Radiallahu Anhu Se Riwayat Hey Ke Rasoolullah ﷺ Ney Farmaya
Jab Tum Un Logon Ko Dekho Jo Merey Sahaba Ko Bura Bhala Kahtey Hain To Tum (Unhey) Kaho Tumharey Sharr (Burayi) Par Allah Ta’ala Ki Lanat Ho.”
(Al-Minhaj-us-Sawi, Pg :620, 621, Raqam-687)
(Imam Tirmizi Sunan,Hadees : 3869)
(Imam Tabarani Al-Mu'jam-al-Awsat, Hadees : 8366)
Scan Page Minhaj Us Sawi Hadees : 686, 687
Hadees :
“Hazrat Jaabir Bin Samurah Radi Allahu Anhu Se Riwayat Hai Unhone Bayan Kiya Ki Hazrat Umar Radi Allahu Anhu Ne Jaabiya Key Maqaam Par Hamey Khutba Diya, Phir Farmaya :
Hamarey Darmiyan Huzoor Nabi E Karim ﷺ Yoo’n Qiyam Farmatey They Jaisey Mey Tumharey Darmiyan Khara Hoo’n Aur Aap ﷺ Ney Farmaya
Mere Sahaba Key Barey Mey Meri Hifazat Karo (Ya’ni Un Ki Izzato Ehteraam Karo.) (Aur Un Logon Ki Izzato Ehtram Karo) Jo In Ke Baad Aaney Waaley Hain. Phir (Un Logon Ki) Jo In Key Baad Aaney Waaley Hain  Aur Hazrat Abdullah Bin Umar Radi Allahu Ta’ala Anhuma Sey Marwi Ek rivayat Me Farmaya Merey Sahaba Sey Achchha Sulook Karna.”
(Al Minhaj Us Sawi, Pg 624-625, Raqam : 694)
(Imam Ibn Majah Sunan, Hadees : 2363)
(Imam Ahmad Ibn Hanbal Al Musnad, Hadees : 144)
(Imam Hakim Al Mustadraq Hadees : 388-390)
(Imam Tabarani Al-Mu'jam-al-Awsat, Hadees : 6483)
(Imam Bayhaqi As-Sunan-al-Kubra, Hadees : 13299)
Scan Page Minhaj Us Sawi Lil Tahirul Qadri Hadees 694

Sahaba - Ahlebait Me Se Kisi Ek ko Bhi Choddna, Jaban Daraji Karna Nabi E Karim ﷺ Ki Gustakhi Hai
Tahirul Qadri Sahab Likhte hai
“Beshak Tamam Sahaba E Kiram Aur Ahle Bait E Athaar Ka Adab Wa Ahtaram Muhabbat Wa Mawaddat Ain Imaan Hai, Dono Me Se Kisi Ek Ko Bhi Chodna Bila Wasta Rasoolullah ﷺ Ki Gustakhi Hai,”
Albaatta Islam ki hadh ko kabhi todne ki koshish na kijiye, ye hadh Sahaba E Kiram Aur Ahle Bait E Pak Kay adab aur ahteram ki hadh hai, jo shaksh Sahaba E Kiram Ki taraf Kufr Mansub karta hai Ya gali deta hai wo shaksh dayera Islam Se Kharij hai, Kufr Mansub Karna gali dena Chahe Jahir ya baatin ho, Ishare se ho ya kahne se ho bila wasta ho ya bil wasta ho, Kyuki Aise shaksh ka Rasoolullah ﷺ Ki jaat e girami se koi talluk nahi ke wo bila wasta taur par apni is gustakhi wa jaban daraji ka nishana jaat E Mustafa ﷺ Ko bana raha hai jo yakinan kufr hai ”
(Falsafa E Shahadat E Imam Hussain Radiallahu Anhu Pg : 270)
Scan Page
Gustakh E Rasool ﷺ Sahaba Wa Ahle Bait Ko Fansi Hona Chahye Inko Zinda Rahne Ka Haq Nahi Tahirul Qadri Sahab Ka Mutalba
“Gustakh E Rasool ﷺ Agarche Saari Umr Namaz padhta rahe, tahajjud ki baqayda adaygi kare aur shariat ki baat karta rahe, wo insaan nahi shaitan hai, isse Jine ka koi haq hasil nahi, jo shaks kalima to Islam Ka padhe aur Rasoolullah ﷺ Ki gustakhi kare isse Fansi par latka dena chahiye, Issi tarah jo koi sahaba e kiram ahle bait ki shan me gustakhi karen iss bhi fansi pe latka dena chahiye, ”
(Falsafa E Shahadat E Imam Hussain Radiallahu Anhu Pg : 272)
Scan Page
Hadees E Pak Aur Tahir Ul Qadri Sahab Ka qaul ko unke murideen muhibeen tehreek se munsalik log aankh khol kholke padhe kay jo gustakh e Sahaba hai wo asl me Gustakh E Nabi ﷺ hai, kya Tahirul Qadri Sahab aise logo ko apni tehreek muridee se kharij karenge ?
Yahan Humne In hadeeso ko Tahirul Qadri Sahab ki hi kitabo se post kiya hai aise saikdo hadees hai inhe padhkar logo ko kam az kam apni jaban par jab baat kisi bhi Sahabi ki ho to apni jaban ko rok lena chahiye, padhne wale kay liye ek hadees kaafi hai jo nahi samjhe unke liye saara jakhira e hadees bhi kam hai. 

Baab 03 : Hazrat Ameer Mauwiya Radiallahu Anhu Kay Mutallik Tahir ul Qadri Sahab Ka Darul Ifta Fatwa Minhaj Ul Quran By Senior Mufti Abdul Qayyum Hazarvi Sahab
Sawal No 3990:
Hazrat Ameer Muawiya Radiallahu Anhu Kay Baare Me Ahle Sunnat Ka Aqeeda Kya Hai ? 
Al Jawab :Hazrat Ameer Muawiya Radiallahu Anhu Huzur Nabi E Akram ﷺ ke azeem ul martabat Sahabi, Qatib, Aur Ummul Momineen Umme Habiba Radiallahu Anha ke bhai hai. Quran E majid sahaba e kiram Rizwan Allah Alaihim Ajmaeen ke ghode ke tapo se udne wale gard wa gubar ki kasme khata hai "
(Maidan e jihad me) tej daudne wale ghodo ki kasam jo hapte hai, fir jo patharo per sham mar ker chingariya nikalte hai, fir jo subah hote hai ( dushman per ) achanak hamla ker dalte hai, phir wo us (hamle wale) jagha se gard wa gubar udate hai (Surah Al Adiyat Ayat 1-4)
(Online fatwa Sawal No 3990) 

Sawal No. 2618 : Ahle Sunnat Ka Hazrat Ameer Muawiya Radiallahu Anhu Kay Baare Me Kya Aqeeda Hai ? 
Al Jawab : 
Hazrat Ameer Muawiya Radiallahu Anhu Huzur Kau biradar e nisbat aur Sahabi they, Fateh Makkah Kay mauqe par apne walid Abu Sufiyan Radiallahu Anhu Kay hamraah Musalman huwe Aur Aakhri Dam tak Islam ki khidmat karte rahe, 20 saal tak Islami Riyasat Ke Governor Aur 20 Saal tak Ameer Ul Momineen Kay Oohde Par Faeez rahe.
Hazrat Ali Radiallahu Anhu Se Jung Aur Deegar tanazat mein Hum Hazrat Ali Radiallahu Anhu Ko Barsara E Haq Aur Hazrat Ameer Muawiya Radiallahu Anhu ko Khata E Ijtehadi Ka murtakib mante hai, Taa hum kisi ko sabb wa shitam karna aur Kisi ki be-adabi karna haram hai,
Ye Akbari Ka maamla hai isse apni baato me nahi lena chahye

Hazrat Ameer Mauwiya Radiallahu Anhu Ko Ameer Ul Momineen Kahna Kaisa ?
Sawal No. 2961 : Mera Sawal Hai Kay Hazrat Ibn Abbas Radiallahu Anhu Aur Hazrat Imam Hasan Radiallahu Anhu Ne Ameer Mauwiya Radiallahu Anhu Ko Ameer Momineen Kaha Is baare me kuch bataye ye baat kahan tak sahih ?
Al Jawab : Isme to koi shak nahi kay Hazrat Ameer Muawiya Radiallahu Anhu Ameer Ul Momineen They iska to inkaar hi nahi kiya jaa sakta. Online Fatwa Link 2961
Baab 04 : Hukumat E Ameer Muawiya Radiallahu Anhu
Hazrat Abu Sufiyan Ibn Harb, Ameer Muawiya Radiallahu Anhuma Azmayeen Ko Aman Hai
“Ibn Jauzi Se Yazeed Aur Ameer Muawiya Radiallahu Anhu Ke Baare Me pucha gaya to unhone kaha Rasoolullah ﷺ Ne Farmaya Jo Abu Sufiyan Ke Ghar Dakhil hogaya wo Aman me hai, hum ye jante hai ke Yazeed ke walid Ameer Muawiya Radiallahu Anhu us ghar me dakhil huwe they to wo bhi Aman Me hai aur Beta (Yazid) kabhi us ghar me dakhil na huwa tha”
(Zikr E Shahadat E Imam Hussain Radi Allahu Anhu Hadees E Nabwi ﷺ Ki Roshni Mein, Pg : 111)
Scan Page
Islam Ke Pahle Badhshah - Hukumat Par Sahaba Tabayin Ka Ijma
“Tees saal Guzarne ke baad Rasooullah ﷺ ke lakhte zigar Hazrat Hasan Ibn Ali Radiallahu Anhu Ne Momino ki duwa giroh me amr e khilafat se dast bardar hokar Jamadil Aula Sann 41 Hizri Me sulah kari, Is saal ko Jamiat (Ittefaque) ke saal ka naam diya gaya, Kyunki Logo ka isme Hazrat Ameer Muawiya Radiallahu Anhu Ki (hukmarani) par Izma huwa aur woh Pahle Badhshah Huwe”
(Zikr E Shahadat E Imam Hussain Radi Allahu Anhu Hadees E Nabwi ﷺ Ki Roshni Mein, Pg : 65)
Scan Page
Maula E Kainat Asadullah Hazrat Ali Karmallahu Wajjuh Radiallahu Anhu Ka Farman Muawiyah Radiallahu Anhu Ki Hukumat Ko Na Pasand Na Kar
“Imam Bayhaqi ne Hakim Se Rivayat Kiya hai….… Imam Shabi Bayan Karte hai ke Jab Hazrat Ali Radiallahu Anhu Siffin Se Wapaas Aaye to Farmaya Aye Logoń Muawiya ki hukumat ko na pasand naa karo, kyuki agar tumne inhe kho diya to saro ko kandho par aisa uchalte dekhoge jaise andrayan”
(Zikr E Shahadat E Imam Hussain Radi Allahu Anhu Hadees E Nabwi ﷺ Ki Roshni Mein, Pg : 39)
Scan Page
Hazrat Muawiya Radiallahu Anhu Ki Hukumat Ko Tham Lo
“Hazrat Abu Huraira Radi Allahu Anhu Madina ke bazaro me Chala karte they aur Farmate they Mujhe Sannt (60) naa paa le, tumhara Satyanash ! Hazrat Muawiya (ki hukumat) ko thame rakho, Aye Allah Mujhe Awbaash Ladko ki hukumat naa paa len ”
(Zikr E Shahadat E Imam Hussain Radi Allahu Anhu Hadees E Nabwi Ki Roshni Mein, Pg : 39)
Scan Page
¨8/8 Hazrat Abu Huraira Radiallahu Anhu Madina Ke Bazaro me chalte huwe Dua karte they, Aye Allah mai sann saan´t (60) ka jamana naa paa loon, tumhara satyanash ! Hazrat Muawiya ki kanpati (yaani hukumat) ko majbuti se thaam lo, Aye Allah Mujhe Launde Ki Hukumat jamana naa paaye
(Zikr E Shahadat E Imam Hussain Radi Allahu Anhu Hadees E Nabwi Ki Roshni Mein, Pg : 45)
Scan Page
Baab 05 : Ameer Muawiya Radiallahu Anhu Jannat Ki Basharat Paane Wale Sahabi Hai
¨123/45 : Umair bin Aswad Al Ansi se riwayat hai ke Hazrat Ubada bin Samat Radiallahu Anhu ke pas gaye jab ke wo sahile mahash per apne makan me faroksh the unke sath (unki aheliya) Hazrat Umme Haram Radiallahu Anha bhi thi. Hazrat Umair farmate hai ke Hazrat Umme Haram Radiallahu Anha ne hume bayan kiya ke unhone Huzoor Nabi E Akram ﷺ ko farmate huwe Suna : Meri ummat me se jo giroh sab se pehle behri jihad karega unke liye jannat wajib hogi.
Hazrat Umme Haram Radiallahu Anha arz guzar huwi: Ya Rasool Allah ﷺ! kya mai bhi unme hu? Aap ﷺ ne farmaya han tum unme shamil ho. Us ke baad Huzoor Nabi Akram ﷺ ne farmaya: Meri ummat ka wo pehla lashker jo kaiser e room ki paya takhat me jung karega uski magfirat farma di gai hai. Maine arz kiya Ya rasool allah ! Kya mai bhi unme hu? Aap ﷺ ne farmaya nahi. 
Isse Imam bukhari, Hakim aur Ibn Abi Asim ne riwayat kiya hai.
Allama Badruddin Al Aini Rahmatullah Alaih Huzur Nabi Akram ﷺ ke farman meri ummat me se jo giroh sab se pehle behri jihad karega ke sharah me likhte hai : Isse Aap ﷺ ki murad Hazrat Muawiya Radiallahu Anhu ka lashkar hai. Mahahib ne kaha hai : Hazrat Muawiya Radiallahu Anhu wo pehle shaksh hai jinhone behri jung ki"
(Jannat ki Khasoosi Basharat Pany Waly 60 Sahaba E Karam Radiallahu Anhuma Azmayeen Pg : 194-195, Raqam : 123)
Scan Page 

Imam Hasan Basri Radiallahu Anhu Ke Ustad Ameer Muawiya
Imam Hasan Basri Radiallahu Anhu Tabain (Al Mutwaffah 110 Hizri) Ke Sha'uykh 

"Hazrat Syedna Hasan Basri Radiallahu Anhu ne Masjid Nabwi Shareef mein Huzoor Nabi Akram ﷺ ke kabair sahaba e karaam ke samnay jaanu e talammuz teh kya aur un se kaseer ahadees ko riwayat kya, un mein se chand ke Asma girami darj zail hain : Hazrat Usmaan Ibn Affan , Hazrat Ali Ibn Abu Talib, Hazrat Abu Moosa Ashri, Hazrat Abdullah Ibn Umar , Hazrat Abdullah Ibn Abbas, Hazrat Anas Ibn Malik, Hazrat Jabir Ibn Abdullah, ban Abdul Allah , hazrat abbu بکرہ النقصی, Hazrat Imran Ibn Hussain Hazrat Mughira Ibn Shauyba, Hazrat Abdul Rahman Ibn Samurah , Hazrat Noman ibn Basheer , Hazrat Qais Ibn Asim, Hazrat Jundub, Hazrat Abdullah Ibn Amr Ibn Aas, Hazrat Samura Ibn Jundab, Hazrat Muawiya Ibn Abi Sufyan, Hazrat Maqil Ibn Yasar aur Hazrat Aswed Ibn Saree ke ilawa mutadid sahaba karaam rizwan allah تعالى علیهم اجمعین aap ke shyokh hain"
(Al-Qaul-ul-qawi Fi Sima-e-Hasan Ibn-e-Ali, Pg : 21,23)
Saare naqli Sufiyon neem rafzi ke muh par Janab Tahirul Qadri Sahab Ne Kalik poth di jisko saare neem Rafzi sabse zyada gali dete hai usko Us hasti ka Ustad likha hai jis hasti ke bina Inki peer muridi ka jaal nahi chalega yaani Imam Hasan Basri Radiallahu Anhu Ke Ustad Hazrat Muawiya Radia Allahu Anhu Hai 

Baab 06 : Janab TUQ Sahab Kahte Hai Ameer Muawiya Radiallahu Anhu Sahabi to hai lekin Unke Fazail ko Bayan Na Kiya Jaye.
i) Ameer Muawiya Radiallahu Anhu Ke Fazail bayan karna Urs Zikr Karne Ki Jarurat Kyun Padi ? 
Al Jawab : Pichle Kuch Saalo’n se jo tufan e badtamizi kuch Peer mashaikh mujawar aur neem rafzi tabke ne shia zakireen se mutasir hoke Ameer Muawiya Radiallahu Anhu Ki shaan me jo bakwas karne ka silsila shuru kiya hai kuch to Sahabi Manke kahte ke unke fazail na bayan ho, kuch sahabi bhi mante hai aur unki tauheen bhi karne se baaj nahi aate to koi unhe direct kafir munafiq kahne se piche nahi rahta, aisi surat e haal me ab Ulema E Haq par lazim hai ke wo apne ilm ka izhar kare aur aise logo ko jawab de aur azmat e sahaba bayan kare kya ye mahez ittefaq hai jo tabka Ameer Mauwiya Radiallahu Anhu ki shan me tauheen kar raha hai wohi tabka Afzaliyat ke masail ko bhi awaam me jabran ched raha hai wohi tabka Iman E Abu Talib ko bholi bhali awaam ke saam ne laake tamam ummat ke aqabireen ko nasbi kafir kahne se bhi nahi bach raha,
Kya Aisi Surat e haal me ab chunki baaj kam ilm awaam aur ye aise peer hazrat jo khud rafziyat ki gandi naali me kadam rakh chuke hai aur ulama agar ab bhi azmat e sahaba difa e sahaba naa kare to kya khamosh khade hoke tamasha dekhte rahe ?
Jaisa Fitna Uthega Ulema E Haq Jawab bhi waisa hi denge jahan Qadiyaniat ka fitna hoga wahan Khitab Tehreer Khatme Nabuwat Par Hoga, Jahan Rafzi honge wahan khitab Azmat E Sahaba Wa Ahle Bayt par hoga, Jahan Deobandi honge wahan unke nazariyat ka raddh hoga, jahan Imam E Azam Aimma E Arba ke Munkireen ka fitna hoga wahan In Aimma Ka Fiqh ka kaam jyada hoga ab yahan Azmat E Sahaba Ke Munkireen ka fitna hai aur khud ko ye rafzi bata rahe hai Sunni Lihaja aisi jagah Ameer Muawiya Radiallahu Anhu ki shan azmat ka izhar kiya jayega ye hai usool,
Ye Asl Wajah Hai Izhaar E Azmat E Muawiya Radiallahu Anhu Bayan karne ki kyon ki agar inhe roka na gaya to wo din dur nahi jab ye Peer log, Syedna Siddique E Akbar Radiallahu Anhu par bhi tabbara shuru karenge.

Aqabireen Farmate Hai Ameer Muawiya Radiallahu Anhu Diwar Hai aur ye kaul bilkul aaj samne dekhne mil raha hai 

“Hazrat Imam Abu Tauba’h Rabih Ibn Nafaye Rahmatullah Alaih Farmate hai Hazrat Ameer Muawiya Radiallahu Anhu Sahaba E Kiram Rizwanullahim Azmayeen ke darmiyan parda hai jo ye parda chaak karega woh dusre sahaba e kiram Par bhi aitrazat karne pe jari ho jayega”
(Hafiz Ibn Kathir Al Bidaya Vol :6 Pg : 186 Mutarzim Urdu)
Scan Page 
Hazrat Imam Nasai Rahmatullah Alaih Se Ameer Muawiya Radiallahu Anhu ke mutalliq Pucha gaya to Imam Nasai Rahmatullah Alaih Ne Farmaya :
¨Islam koi Ek ghar hai jiska darwaza hai, Islam Ka darwaza Sahaba E Kiram Radiallahu Anhuma Azmayeen Hai Pas Jisne Sahaba Radiallahu Anhuma ko aziyat di goya usne Islam Ko aziyat dena ka irada kiya, kyuki jo darwaza todna chahta hai wo ghar me dakhil hona chahta hai, Jo Ameer Muawiya Radiallahu Anhu Ke Darpaye hota hai to wo jami sahaba e kiram Rizwanullahim Azmayeen ke bhi darpaye hota hai ¨
(Imam Jamaluddin Mizzi Tehzeeb Ul Kamal Fi Asma Ur RIzal Vol : 01,Pg : 339, 349)
Scan Page
Imam Abdul Wahab Sharani Rahmatullah Alaih (Al Mutwaffa 971 Hizri) Farmate hai 
¨Jisne Sahaba E Kiram ki izzat par hamla kiya yakinan usne apne Iman par Hamla kiya isliye uska sadde baab lazim hai khas taur pe Hazrat Ameer Muawiya Radiallahu Anhu Aur Hazrat Amr Ibn Al Aas Radiallahu Anhu ke hawale se ye zyada ahem hai¨
(Al Yawakit Wa Al Jawahir, Pg : 334)
Scan page
Hukm E Shariat Aur Ulema E Haq Ki Jimmedari
Hazrat Imam Abu Baqr Al Ajurri Rahmatullah Alaih Al Mutwaffa 360 Hizri  
Sahaba E Kiram Radiallahu Anhuma Azmayeen kay darmiyan huwe aapsi ektelafat par Ahle Sunnat Ka nazariya pesh karte hai 

Baab : Nabi E Karim ﷺ ke Sahaba Kay Darmiyan Ektelaf Kay Hawale Se Khamoshi Ekteyar Karne ka Tazkira 

Imam Ajurri Rahmatullah Alaih Farmate hai Hum Nabi E Karim ﷺ kay sahaba aur ahle bait Kay fazail ke hawale se jo kuch tehreer kiya hai jo koi usme gaur o Fiqr karega, uske liye munasib hai Kay un sabse muhabbat kare unke liye dua e rehmat kare o magfirat kare,  
ALLAH PAK KI BARGAAH ME UNKE WASEELE SE DUA KARE, ALLAH PAK ka shukr ada kare Kay Allah pak Ne ye taufiq di hai, 
Sahaba Ke kiram Kay darmiyan huwe baa hum Ektelaf ka Tazkira naa kare unpar tankid naa kare in masail me bahes na kare. - pg 536
Aage Dusre Baab Me Gustakh E Sahaba Ka Tazkira Karte Huwe Likhte hai
Baab : Jo Shakhs Nabi E Karim ﷺ kay Sahaba Ko Bura Bhala Kahe Us Par laanat ka Tazkira 
Imam Ajurri Rahmatullah Alaih Farmate Hai 
Nabi E Karim ﷺ Ye baat jante they Kay aakhir jamane me kuch aise log bhi aayenge jo Aap ﷺ ke sahaba par laan taan karenge unhe bura bhala kahenge.

Nabi E Karim ﷺ Ne Irshad Farmaya Jo Mere Sahaba par lanat karega us par Allah Ki Farishto Ki Insano ki sabki lanat hogi aise shakhs ki koi farz ya nafal ibadat kabul na hogi.

Nabi E Karim ﷺ Ne Sabko Hukm Diya kay Mere Sahaba Ka Khayal rakhna aur unka ahteram karna.
Imam Ajurri Rahmatullah Alaih Farmate hai Jo Shakhs Sahaba Ko Taan karta hai ya unhe bura kahta hai wo Nabi E Karim ﷺ ko bura kahta hai aur Jo Nabi E Karim ﷺ ko bura kahta hai wo Allah Aur uske farishte aur tamam insano Kay lanat ka mustahik ban jata hai.
Nabi E Karim ﷺ Ne Farmaya Jab Is Ummat Kay aakhri log pahle wale logo par laan taan karne lagen to jo shakhs Kay pass ilm ho to usse jahir kare kyuki us mauke par ilm ko chupana wala shakhs uske manind hoga jo us chiz ko chupata hai jo Allah Pak Ne Hazrat Muhammad ﷺ par nazil ki hai" 
(Kitab Al Shariya Imam Al Ajurri - Vol : 03, Pg : 536 & Pg :543 Raqam : 2038)
Scan Page


ii) Hazrat Ameer Muawiya Radiallahu Anhu Ke Fazail Me Ek Bhi Hadees Sahih Nahi Hai Lihaja Unke Fazail Bayan Nahi Karna chahye ?
Al Jawab :  Neem Rafzi is baat par sabse zyada jor dete hai aur baaj Muhadiseen ke kalam ko apna rang deke awaam me pesh karte hai ke Ameer Muawiya Radiallahu Anhu ke Fazail Me koi hadees Sahih nahi hai, Albatta hakikat ye hai ke Hazrat Ameer Muawiya Radiallahu Anhu ke Fazail Me baaj hadees Hasan hai baaj Zaeef hai magar ye kahna ke fazail hi bayan naa kare ye kahan ka usool banaya gaya hai ? 

Hafiz Imam Ibn Hajar Al Makki Haythami Rahmatullah Alaih (Al Mutwaffa 974 Hizri) Likhte hai
"Fasle Dom
Baab : Hazrat Muawiya Radiallahu Anhu Ke Fazail Wa Manaqib Me Aur Unke Khususiyat aur Uloom Aur Ijtehad Ke Bayan Me Aur Wo Bahut Hai Yahan Maine Sirf Thodi Bayan Ki Hai
Tanbiyah :
Baaz logo ne bayan kiya hai ke Bukhari Rahmatuallah Alaih ne bas Baab mein Hazrat Muawiya Radiallahu Anhu ke halaat bayan kiye hai us baab ka unwaan ye rakha hai " Baab Zikr E Muawiya" Ye nahi kaha ke Fazail E Muawiya Radiallahu Anhu na ye ke Manakib E Muawiya Radiallahu Anhu is ka sabab ye hai ke Hazrat Muawiya Radiallahu Anhu ke fazail me koi sahih hadees warid hi nahi huwi jaisa ki Ishaq ibn Rahwayh Rahmatuallah Alaih ne bayan kiya hai.
Iska jawab ye hai ke agar ye murad hai ke ‘Bukhari' ke shart ke muwafiq koi riwayat sahih nahi hui toh aksar sahaba ki yehi halat hai aur agar shart ‘Bukhari’ ki qaid na lagayi jaye toh ye baat galat hogi kyunki unke fazail me baaz hadees hasan hai.
Hatta ke Imam Tirmizi ke nazdik jaisa ke Unhone Jamai Tirmizi me bayan kiya hai aur ankareeb tumko malum hoga aur Hadees Hasan Lizatihi bil Ijma hujjat hai balke manakib me to zaeef hadees bhi hujjat ho jati hai.
Al Mukthasar Ishaq ibn Rahwayh Rahmatuallah Alaihne jo kuch bayan kiya hai wo Hazrat Muawiya Radiallahu Anhu ke fazail me kaidah nahi ho sakta”
(Naqd Kitab Tatheer Ul Jinan Wal Lisan, Pg : 37)
Scan Page

Sahib E Nibras Imam Abdul Aziz Parharvi Chisti Rahmatullah Alaih (Al Mutwaffa 1239 Hizri) Farmate Hai  
“Iska jawab ye hai ke iske pahle do hadees pesh ki jaa chuki hai ek Musnad Ahmad aur Dusri Sunan Tirmizi ki pas's agar ad'm e sehat se murad ad'm e sabut hai to ye kaul mardood hai, Aur agar sehat se sehat mastalah indal Muhadiseen hai to koi harj nahi, kyuki iska dusra tabka hai, Hadees e sahih ki killat ki wajah se basharat e ahkam wa fazail hadees e Hasan se sabit hai,
Aur Musnad, Sunan Ki Hadees darje e hasan se kam tar nahi aur fann e hadees me to ye hochuka hai Fazail ke baab me hadees e zaeef par amal bhi Jaiz hai hadees e hasan ki to kya baat hai”
(An Nahaya Ana Taan E Muawiya Radiallahu Anhu, Pg : 67-68)
Scan Page
Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Rahmatullah Alaih (Al Mutwafffa 1340 Hizri) Farmate Hai
“Baaz jahil bol uthe hai ke Ameer Muawiya Radiallahu Anhu ki fazilat me koi hadees sahi nahi, ye unki nadani hai ulmae mohaddiseen Apni Istelahat per kalam farmate hai, ye be samjhe khuda jane kaha se kaha tak le jaate hai, azyaz wa muslim ke sehat nahi phir Hasan kya kam hai, Hasan bhi na sahih yaha Zaeef bhi mustahkam hai.”
(Fatwa Razviya Vol : 05 Pg : 480) 
Scan Page
Ye baat tamam neem rafzi acche se jante hai ke Usool e hadees me fazail manaqib bayan karne k liye koi hadees e sahih ki shart nahi hai balki Hadees e hasan aur zaeef bhi chal jati hai magar chunki awaam me ek alag raub dalna hota hai ke koi hadees sahih nahi to awaam bholi samajhti hai saari hadees iska maana jhuti hai jabki Muhaddiseen ki istelah me jab ye kaha jata hai hadees sahih nahi to iska maana ye nahi ke wo mauzu kah rahe ho balki un muhadiseen ke nazdeek un rivayato ke ravi unke nazdeek baaj wajah se zaeef hote hai magar ye jaruri nahi ke tamam muhadiseen ka ispe bhi ittefaque ho, Khud Tahirul Qadri sahab bhi jante hai magar apna maksad jahan jis andaz me chamkana hai wo bakhubi jante hai ke lafzo se kaisa khela jaaye aur chizo ko apna rang kaise diya jaye jabke Aqabireen se upar saabit hai ke Fazail me hadees Hasan tak ke darje ki maujud hai.

iii) Ameer Mauwiya Radiallahu Anhu Ke Fazail Manaqib Kisi ne bayan na kiye unke fazail bayan karna Nasbiyat hai Hume Bas Kaf E Lisan karna chahye Khamosh rahna chahye NA ACCHA KAHO NA BURA KAHO ?
Al Jawab : Ye Irani Safeero Tafzeeli aur neem rafzi giroh ki zuban se nikla bahut bada jhuth hai Ahle Sunnat Ke Aqabireen Buzurgo ne Ameer Mauwiya Radiallahu Anhu Ke Na Sirf Fazail Bayan kiye hai balki unki shan azmat par kitabein tak likhi hai.

Kaf E Lisan Musajarat E Sahaba Par Hai Fazail Manaqib Bayan Karne Par Nahi 
Agar Fazail Manaqib Bayan Karne Par Kaf E Lisan Hota To Nabi E Kairm Khud Fazail Bayan Na karte aur Aimma E Muhadiseen Fazail Par Baab aur Uske Tahet hadees ko na likhte aur na hi koi kitab likhte, mulahija kare Fazail Ka unwan

Imam Ahmad Ibn Hanbal Rahmatullah Alaih Al Mutwaffa 241 Hizri Fazail E Sahaba 

Imam Abu Isa Tİrmizi Al Mutwaffa 279 Hizri Sunan Tirmizi

Imam Abu Baqr Ibn Khuzayma Al Mutwaffa 311 Hizri Sahih Ibn Khuzayma 

Imam Muhammad Ibn Al Ajurri Al Mutwaffa 360 Hizri Kitab Ashariya

Imam Al Lalakai Al Mutwaffa 418 Hizri Shara Usool I'tiqaad Ahle Sunnah

Imam Abdul Baqir Jurqani Rahmatullah Alaih Janab E Shara E Al Mawahibul Laduniya

Imam Abu Zakariya Yahya Ibn Sharf Al Nawawi Shafai Rahmatullah Alaih Al Mutwaffa 676 Hizri Likhte hai
“Hazrat Ameer Muawiya Radiallahu Anhu Ka Shumar Aadil, Sahibe Fazilat Aur Mumtaz Sifaat ke hasil sahaba me hota hai”
(Shara Sahih Muslim Lil Nawawi, Vol : 15 Pg : 159. Kitab Fazail E Sahaba)

Inke elawa aur bhi kayi hawale mauzud hai algarz kayi Aqabireen ne to Kitabein bhi tasneef ki hai Ameer Muawiya Radiallahu Anhu ke Manaqib Fazail Difa Me ek choti se fehrist padhe

Imam Ibn Abi Dunya Al Mutwaffa 281 Hijri “Hilm E Muawiya Radiallahu Anhu”
Imam Abu Baqr Ibn Abi Asim Al Mutwaffa 287 Hizri “Hilm E Muawiya Radiallahu Anhu”
Imam Abul Qasim Ubaidullah Ibn Muhammad Saqati Al Mutwaffa 406 Hizri
“Fazail E Ameer Momineen Muawiya Ibn Abu Sufiyan”
Imam Ibn Hajar Al Makki Haythami Al Mutwaffa 961 Hizri “Tatheer-ul-Jinan”
Imam Muhammad Ibrahim Makhdoom Hashmi Thattvi Sindhi Al Mutwaffa 1174 Hizri “Al Qaul Al Razi Bi Tasheeh Hadees Tirmizi Fi Fazail E Muawiya Sahabi Radiallahu Anhu”
Imam Abdul Aziz Parharvi Chisti Rahmatullah Alaih Al Mutwaffa 1239 Hizri
“Hazrat Ameer Muawiya” 
Imam Syed Mehmood ibn Abdullah Al Hussaini Al Alusi Rahmatullah Alaih Al Mutwaffa 1270 Hizri, “Al Ajwibah Al Iraqiyah Ala Al As Silah Al Lahuriya”
Allama Hazrat Shah Tajul Fahool Abdul Qadri Badayuni Rahmatullah Alaih Al Mutwaffa 1319 Hijri “Taseeh-ul-Aqeedah-Fi-Baab-Al-Muawiya”
Hazrat Allama Hakimul Ummat Sahib E Jaal Haq Mufti Ahmad Yaar Khan Naeemi Rahmatullah Alaih “Hazrat Ameer Muawiya Par Ek Nazar”
Hazrat Syed Deedar Ali Shah Muhadisul Wara Al Mutwaffa 1354 Hizri “Shan E Ameer Muawiya”

Imam Ahle Sunnat Aala Hazrat Fazil E Barelvi Rahmatullah Alaih Ne to kul 5 Risale Tasneef Kiye Hai

Kaf E Lisan Musajarat Par Fazail Par Nahi Muhadiseen Ka Mauquf 
Allama Hasan Ibn Ali Al Barhari Hanbali Rahmatullah Alaih (Al Mutwaffa 329 Hizri) likhte hai
“Aur Wo sahabi jinhe Nabi E Karim ﷺ ki sohbat me ek lamha, ek din, ya ek saal ya usse jyada guzara hum un per rehmat ki dua karte hai aur unke fazail bayan karte hai Aur unke ektelafat ke mutallik khamoshi rakhte hai aur unme se har ek ka tajkira bhalai aur khair se karte hai, Rasool Allah ﷺ ka irshad hai jab mere sahaba ka tazkirah ho toh apne aap ko rok lo. 
Hazrat Shaykul Islam Sufiyan bin Uyayna Rahmatullah Alaih kehte hai jo koi sahaba e kiram me se kisi ke khilaf kehta hai wo shaksh ahle biddat me se hai aur apne nafs ka peroh hai
(Sharh us Sunnah Lil Barhari, Pg : 76-77, Raqam : 28)
 Scan Page
Imam Ibn Abi Zamanin Rahmatullah Alaih (Al Mutwaffa 399 Hizri) Likhte hai
¨Ahle Sunnat Ka Ye qaul hai ke Har shaksh Nabi E Karim ﷺ Ke Sahaba Ki muhabbat ka aqeeda rakhe aur Unke MAHASIN AUR FAZAIL nashr kare aur unke darmiyan Musajarat me khamosh raha jaye¨
(Usool Us Sunnah Lil Ibn Abi Zamanin, Pg : 263)
Scan Page
Khud ko Qadri Kahna Aur Qadri Hona ye dono me bada farq hai Sarkar E Gaus E Azam Syed Abdul Qadir Gilani Rahmatullah Alaih Likhte hai
¨Ahle sunnat Ka muttafiqa Faisal Hai kay sahaba Kiram Kay Bahami Ikhtelafat per Bahas Wa Mubahisa Na kiya Jaye unki Burai Say Zubane Rok li Jayen unaky Fazail Wa Mahasin Ka izhar Kiya Jaye jo Waqiyat Aur ikhtilafat Ronuma Howe Uneh Allah Kay Sapurd Kiya Jaaye jaisa kay Hazrat Ali Hazrat Talha Hazrat Zuber Hazrat Aaisha Hazrat Ameer Muawiya Radi Allah Anhuma Azmayeen wagera kay ikhtelafat ka zikar kiya gaya hai¨
(Gunyatutalibeen Pg : 113)
Scan Page

Imam Ibn Qudama Al Maqdisi Hanbali Rahmatullah Alaih (Al Mutwaffa 620 Hizri) Likhte hai 
“Sunnat par amal ka takaza hai ke Sahaba E Kiram Radiallahu Anhuma Azmayeen Se muhabbat aqeedat rakhi jaaye unke Mahasin bayan kiye jaaye, unke liye Allah Pak Se Rehmat Aur Bakshish Ki dua ki jaaye, unki shan me koi naa zeba baata naa kahe, Aur Unke Baham jo ekhtelaf ho usme khamoshi ikhtiyar ki jaaye, saath hi unke Afzalul Ummat hone ka aqeeda rakha jaaye aur sabkat e Islamiya ki afzaliyat ka qarar kiya jaaye”
(Lumat-ul-Itiqad Ibn Qudama Pg : 20)
Scan Page

Shah Abdul Haq Muhaddih Dahelvi Rahmatullah Alaih (Al Mutwaffa 1052 Hizri)
¨Sahaba E Kiram Ki Tazeem Wa Tauqeer : Huzur E Akram ﷺ Ki tazeem wa taukeer aur adab wa hukuk ke silsile me sahaba E Kiram Ridwanullah Azmayeen ki izzat wa azmat unke haq wa Ehsaan ki marefat aur us ki adayegi aur unki itteba wa ikteda karna hai aur unke afaal wa amal aur unke adab wa Ikhlaq ke rausho wa sunnato Per amal karna is hadh tak jaha tak aqal Wa khuro ki taab nahi Aur unke acche perya me tareef kerna Unke adab ka lehaj kerna Aur unhe dua istegfar se yad karna har Ek Sahabi ka haq hai. Kyunki ke Haq Taala ne har sahabi ki ye tarif farmayi hai ke wo unse raazi hua hai. Har sahabi e rasool iska mustahik hai ke uski tareef ki jaye Aur estegfar kiya jaye.

Isi tarha sahaba e kiram Ridwanullah Azmayeen ke bahimi tanajaat wa manaqashat aur guzre hue awqat ke izhar wa bayan se pehlauti kerna aur jaban ko rokna bhi hai Aur murakheen ke Be hangam khabro aur jahilo ki riwayato aur gali shio aur be deen wa gumrah rafzio aur mubtadeen ki bato se aeraj wa ijtenab kerna chaiye Kyunke ye badlagam log unke jin aebo buraiyo aur khatao ko bayan karte hai unme aksar wa beshtar jhoot aur iftrah per bani hai Aur sahaba e Kiram Ridwanullah Azmayeen ke bare me jo unke mashajarat aur maharabaat tarikhiyo me pae jaate hai Unko justuju wa talash ker ke Unhe ahasan tareekhio se behtar wa sawab mahal per Mahmul kerna jiske wo mustahik hai har musalman per lazim hai. Aur un ke kisi aeb wa burai ko kabhi jaban per na lana chaiye balke unki nekio, khubio, Seerato aur fazail wa mahamad hi ko bayan kerna chaiye aur us ke elawa jo kuch Hua usse agmaz wa sukut kerna chahiye ¨
(Al Madarij-un-Nabuwat Vol : 01, Pg : 392, Mutarjim)
Scan Page
Hazrat Tajul Fahool Allama Maulana Abdul Qadir Badayuni Qadri Rahmatullah Alaih 1319 Hizri Likhte hai
¨Ahle Sunnat Ka Aqeeda Hai ke tamam Sahaba Ko Paak Samajhna aur unki aisi tareef wa tausif karna jaisa Allah Taala aur Uske Rasool ﷺ Ne bayan ki hai aur jo Kuch Hazrat Ali Aur Hazrat Muawiya Radiallahu Anhuma Azmayeen ke darmiyan huwa wo ijtehad par mabni tha,
Ahle Sunnat Is par Mutaffique hai ke Sahaba E Kiram Ki aapsi ikhtilafat aur ki unki burayio se khamoshi ikhtiyar karna jaruri hai, Aur unke Fazail Wa Mahasin ka Izhar Karna, Aur unke tamam mamlaat jaise bhi they Allah ke Supurd Karna jaruri hai¨
(Radde Rawafiz Taseeh-al-Aqeedah-Fi-Baab-Al-Muawiya Radiallahu Anhu, Pg :68,75)
Scan Page
Lihaja Maloom huwa ke Suqoot ka hukm Musajarat ke masail par hai jo Sahaba E Kiram Radiallahu Anhuma Azmayeen ke darmiyan huwa chahe ho Siffin, Jung E Jamal ya deegar mamlat ho jahan tak unke Mahasin Fazail bayan karne ki baat hai isme to koi ekhtelaf nahi hai warna bataye ke un muhadiseen par kya hukm lagayenge jinhone fazail par hadees aur kitabein likhi hai aur sabit hai ki hadees mauzu nahi hai to Khud iska Zikr Nabi E Karim ﷺ Se sabit huwa to kya ye fatwa Nabi E Karim ﷺ par lagayenge ye neem rafzi ?

iii) Baaz log Ameer Muawiya Radiallahu Anhu Ko Hazrat Ali Radiallahu Anhu Se Zyada Badhate ho unko Hazrat Ali Radiallahu Anhu ke barabar mante hain ?
Al Jawab : Jara bataye kaun sa sunni hai jo Maula Ali Radiallahu Anhu Se Afzal Ameer Muawiya Radiallahu Anhu ko manta hai ?
Ahle Sunnat Wa Jamaat me Afzaliyat ki tarteeb hai jo har bande ko jaan lena chahiye Mulahajiha Kare khud Dr. Sahab ne apni kitab me ye tarteeb likhi hai 
{Chatta Amr : Sahaba E Kiram Ridwanullahim Azmayeen Me Afzaliyat Ki Tarteeb}
Imam Abu Mansoor Baghdadi Kahte Hai : Hamare Ashaab Ka Is baat par Izma Hai kay tamam sahaba E Kiram Me se khulfa e Arba sabse afzal hai phir unke baad Ashra E Mubasshara Me Baaki Chey (6) Sahaba Phir Badri Sahaba Phir Ghazwa E Uhad Me Sharik Hone wale sahaba, Phir Hudaibiya Ke Makam Par Bait ur Rizwan me sharik karne wale sahaba hai”

Is aage phir Janab Dr. Sahab ne Sahaba Ke 12 Tabke bayan kiye aur 11we Tabka pe Hazrat Abu Sufiyan Aur Muawiya Radiallahu Anhu ka Zikr Kiya 

11wa Tabka : Un Sahaba Par Mushtamil hai jo Fateh Makka ke Din imaan laaye ye Hazrat Abu Sufiyan Ameer Muawiya Radiallahu Anhuma Aur Quraish E Makkah me se deegar afraad they”
(Azmat E Sahabiyat Aur Hakikat E Khilafat, Pg : 161, 167)
Scan Page
Lihaja Isme Ameer Muawiya Radiallahu Anhu Ka Shumar Us Darje Ke Sahabi me hota ab batayen wo Kahan Maula Ali Radiallahu Anhu Se Afzal ho gaye ya unhe Afzal mana gaya hai Khud Dr. Sahaba hi isko bata den ? 

Aala Hazrat Imam Ahle Sunnat Fazil E Barelvi Rahmatullah Alaih Jinhe Khud Janab Dr. Tahirul Qadri Sahab 5 Wasto Se Apna Dada Ustad Qarar dete hai jinse aalam E roya me kayi saal Dr Sahab Ne Ilm Faiz Hasil kiya hai jo dawa wo karte hai Wo Imam E Ahle Sunnat Kya Farmate hai padhen
“Farq Maratib Beshumar Aur Haq Ba Dast Haider E Karrar, Magar Muawiya Bhi Hamare Sardar, Taan Un Par Bhi Kare Fuzzar,
Jo Muawiya Radiallahu Anhu Ki Himayat Me Iyaazubillah Asadullah ke Sabkat Wa Awwaliyat Wa Azmat Wa Akmaliyat Se Aankh Pher Le Woh Naasbi Yazeedi Aur Jo Maula Ali Radiallahu Anhu Ki Muhabbat Me Muawiya Radiallahu Anhu Ki sahabiyat Khidmat Wa Nisbat E Baargah E Risalat ﷺ Bhula De wo shia Zaidi¨
(Fatwa E Razviya Vol :10 Pg : 205)
Scan Page 
Yaani Aala Hazrat Rahmatullah Alaih Farmate Hai Maula Ali Shere Khuda Radiallahu Anhu Aur Ameer Muawiya Radiallahu Anhu Ke Darje Makam me beshumar darje ka farq hai jisko koi Shumar nahi kar sakte, Haq Maula Asadullah Karmallahu daste mubarak Ke Saath hai, Lekin Ba Haisiyat E Sahabi In tamam ikhtilaf ke bawajud bhi Ameer Muawiya hamare Sardar hai chunki wo Sahabi hai, Jo Maula Ali Radiallahu se Ameer Muawiya Radiallahu Anhu Ki Fazilat Afzaliat bataye wo nasbi hai aur Ameer Muawiya Radiallahu Anhu Par Shab Wa Sitam karne wale badbakht shia Rafzi hai aur ye aqeeda tamam ahle sunnat ka hai.


Jaari....
Note : Jitne scan page pending hai wo jald se jald insha allah laga diye jayenge 

4 comments:

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers