Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Wednesday, 1 January 2020

Fazail E Hasnain Karimain

  Hasnain Karimain Kay Naam Rakhne Ka Bayan Hadees 01: “Hazrat Maula Ali Radiallahu Anhu Farmate Hain Kay Jab Hazrat Hasan Paida Huwe To Unhone Unka Naam Hamzah Rakha Aur Jab Hazrat Hussain Paida Huwe To Un Ka Naam chacha kay naam par Jafar Rakha Rizwanullahim Azmayeen. Maula Ali Farmate Hai Huzoor Nabi E Akram ﷺ Ne mujhe bulakar Unke Yeh Naam Tabdeel Karne Ka Hukm Diya Gaya Hai. Hazrat Ali Radiallahu Anhu Farmate Hain Mein Ne Arz Kiya Allah Aur Uska Rasool  ﷺ Behtar Jaante Hain. Aap ﷺ Ne UnKe Naam Hasan Wa Hussain Rakhe.” References : (Imam Ahmad Ibn Hanbal Al Musnad, Vol : 01, Pg : 159, #) (Imam Hakim Al Mustadraq, Vol : 04 Pg : 308, #7734) (Imam Abu Yaala Al Musnad, Vol : 01, Pg : 384, #498)

AQIQA KI KHUSHI ME DO DUMBA ZIBAH KARNA
Hadees 02 :
“Hazrat Abdullah ibn Abbas Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Ki Huzoor Nabi E Karim Ne Hasnain Karimain (Imam Hasan Aur Imam Hussain) Rizwanullahim Azmayeen Ki Taraf Se Aqiqe Me 02 Dumbe Zibah Kiye”
(Imam Nasai As Sunan, Kitab Al Aqiqah, #4219)
HASNAIN KARIMAIN SE MUHABBAT
Hadees 03 :
“Hazrat Salman Farsi Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Unhone Huzoor Nabi E Karim Ko Farmate Huwe Suna Hasan Aur Husain Mere Bete Hain Jis Ne Hasan Aur Hussain Se Muhabbat Ki, Us Ne Mujh Se Muhabbat ki, Aur Jis Ne Mujh Se Muhabbat Ki Us Se Allah ﷻ Ne Muhabbat Ki Aur Jis Se Allah ﷻ Ne Muhabbat Ki Allah ﷻ Ne Use Jannat Me Daakhil Kar Diya.
Jis Ne Hasan Aur Husain Se Bughz Rakha Us Ne Mujh Se Bughz Rakha, Aur Jis Ne Mujh Se Bughz Rakha Us Par Allah ﷻ Ka Ghazab Huwa Aur Jis Par Allah ﷻ Ka Ghazab Huwa Allah ﷻ Ne Use Aag Me Daakhil Kar Diya.”

(Imam Hakim Al Mustadrak, Vol : 03, Pg : 181, #4776)
(Imam Tabarani Al Mujam Ul Kabir Vol :03, Pg : 50, #2655)
DUNYA E GULSHAN KAY PHOOL
Hadees 04:
“Hazrat Abdullah ibn Umar Radiallahu Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi E Karim Ne Hasnain Karimain (Imam Hasan Aur Imam Hussain) Rizwanullahim Azmayeen ke baare me farmaya ye DONO mere Gulshan E Duniya Kay Do Phool Hain”
(Sahih Bukhari, Kitab Fazail E Ashabun Nabi, Baab : Manaqib Hasan Wa Hussain, #3753)
(Imam Tirmizi, Jamai Tirmizi, Kitab Ul Manaqib, #3770)
(Imam Ahmad Ibn Hanbal Al Musnad, Vol : 02, Pg : 93, #5675)
(Imam Ibn Hibban As-Sahih, Vol : 15, Pg : 425, #6969)
HUM SHABIH E MUSTAFA
Hadees 05 :
“Hazrat Ali Radiallahu Anhu Riwayat Karte Hain Ki Jis Shakhs Ki Yeh Khwaahish Ho Ki Woh Logo’n Me Aisi Hasti Ko Dekhe Jo Gardan Se Chehre Tak Huzoor Nabi Ki Sab Se Kaamil Shabih Ho To Woh Hazrat Hasan Bin Ali Radiallahu Anhu Ko Dekh Le Aur Jis Shakhs Ki Yeh Khwaahish Ho Ki Woh Logo’n Me Aisi Hasti Ko Dekhe Jo Gardan Se Niche Tak Rangat Aur Soorat Donon Me Huzoor Nabi Ki Sab Se Kaamil Shabih Ho To Woh Hazrat Husain Bin Ali Radiallahu Anhu Ko Dekh Le”
(Imam Tabarani Al Mu’jam ul Kabir, Vol : 03, Pg : 95, #2768, 2759)
Kya Khoob Sawar Hai
Hadees 06 :
Hazrat Abu Jafar Radiallahu Anhu Riwayat Karte Hain Ki Ek Martaba Huzoor Nabi E Karim Hasnain Karimain Rizwanullahim Azmayeen Ko Uthaaye Huwe Ansaar Ki Ek Majlis Se Guzare To Unhone Kaha Ya RasoolAllah ﷺ !
Kya Khoob Suwaari Hai!
Aap Ne Farmaya Suwaar Bhi Kya Khoob Hain”

(Imam Ibn Abi Shaybah Al Musannaf, Vol : 06, Pg : 380,#32185)
Jannati Jawano Kay Sardar
Hadees 07 :
“Hazrat Abu Saeed Khudri Radiallahu Anhu Riwayat Karte  Hai Ki Huzoor Nabi E Karim ﷺ Ne Farmaya Hasan Aur Husain Jannati Jawaanon Ke Sardaar Hain”
(Imam Tirmizi Sunan, Vol : 05, pg : 656, Kitab Al Manaqib, #3768)
(Imam Ibn Majah, Sunan Vol : 01, Pg :44, #118)
(Imam Ahmad ibn Hanbal Al-Musnad, Vol : 03, Pg : 03,#11012)
(Imam Ibn Abi Shaybah Al-Musannaf, Vol : 06, Pg : 378,#32176)
Ars Kay Do Sutoon
Hadees 08 :
“Hazrat Uqbah ibn Aamir Radiallahu Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi E Akram ﷺ Ne Farmaya Hasan Aur Husain Ars Ke Do  Sutoon Hain Lekin Woh Latke Huwe Nahin Aur Aap ﷺ Ne Farmaya Jab Ahle Jannat, Jannat Me Muqim Ho Jayenge To Jannat Arz Karegi Aye Parwardigaar !
Tune Mujhe Apne Sutoonon Me Se Do Sutoonon Se Muzayyan Karne Ka Waa’da Farmaya Tha Allah Taala Farmayega Kya Mein Ne Tujhe Hasan Aur Husain Kee Maujudgi Ke Zariye Muzayyan Nahin Kar Diya ? (Yahi To Mere Do Sutoon Hain).’

(Imam Tabarani Al-Mujam ul Awsat, Vol : 01, Pg : 108, #337) Hasnain Karimain Ko Ismail Wa Ishaq Alaihsalam Ki Tarah Dam Karna
Hadees 09 :
“Hazrat Abdullah Bin Abbas Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi E Akram ﷺ Hasan Aur Husain Radiallahu Anhuma Azmayeen Ke Liye (Khusoosi Taur Par) Kailmate Ta’wwuz Ke Saath Dam Farmaya Karte Aur Farmate Ki Tumhare Jadd E Amzad (Ibrahim عَلَيْهِ السَّلَام Bhi) Apne Donon Saahibzaadon Ismail Wa Is’haq (عليهما السلام  Ke) Liye In Kalimaat Ke Saath Ta’wwuz Karte They :
Mein Allah Ta’ala Ke Kaamil Kalimaat Ke Zariye Har (Waswasae Andaazi Karne Waale) Shaitaan Aur Bala Se Aur Har Nazare Badd Se Panaah Mangta Hoo’n.”

References :
(Sahih Bukhari, Kitab Al Ahadees Al Ambiya, #3371)
(Imam Abu Dawood Sunan Kitab Al Sunnat #4737)
(Imam Ibn Majah Sunan Kitab Al Tibb, #3525)
(Imam Tirmizi Sunan, Kitab Al Tibb, #2060)

4 comments:

  1. Asslam Alaykum Hazrat mashaallah Bahut acchi website hai apki aise hi Hawalo ke saath articles post karte rhae

    ReplyDelete
  2. Apse ek guzarish hai ke Hazrat Ameer Muawiya Radi'Allahu'Anhu ke fazilat Manaqib Par Ek post banaye with reference books ke saath

    ReplyDelete
    Replies
    1. ji uspe kaam chalu hai
      In Sha Allah Taala wo bhi line me one by one aayega

      Delete
  3. Masha ALLAH, haqq husain Maula Hussain

    ReplyDelete

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers