Iman E Walidein E Mustafa Swallallahualaihiwasallam
Bade Sochne Ki Baat Hai K Jiske Sadke Me Qaynat Bani
Unke Walidein K Iman Per Deobandi Wahbiyo Ne Humla Kiya Tha , Iska Jawab Humare
Ullema Kya , Inse B Pehle Salaf Khalaf Ne Diya Aur Kitabein Likhdi Hai Phir Jo
Abhi Abhi Paida Hue 200 Saal Me , Inhe Aqal Na I Aur Nabi E Rehmat Alayhissalam
K Walidein Ko Kafir Kehdiya , Maz ALLAH.
Sochne Ka Maqam Hai Yeh Wahi Deobandi Wahbi Hai Jo Kafir Ko
Kafir Kehne Se Hume Rokte Hai Lekin Jab Baat Nabi Alayhissalam Per I Toh Inke
Walidein Ko Kafir Bolna Kya Apni Kitabo Me Likh B Diya.
Ibn Taymiyah Jo 661 Hijri Me Paida Hua Mulk E Sham Me ,Isne
Ek Kitab Likhi , Iktsa Us Siraate Mustaqeem, Is Kitab Me Ibn Taymiyah Ne Bada
Zor Lagay K Nabi Alayhisssalam K Walidein Dono Kafir Thay Aur Unka Inteqal Kufr
Per Hua .
Ibn Taymiyah Ki Taqleed Karte Hue Tamam Wahbi Nabi
Alayhissalam K Walidein Ko Kafir Kehte Hai , Maz ALLAH
Isi Tarah Deoband K Bahut Bade Alim Guzre Hai Jinka Naam
Rasheed Ahmed Gangohi Hai , Inhone B Apne Fatwe Me , Yaani Fatawa Rasheediya Me
Safa 104 Per Ek Sawal K Jawab Me Kaha K Hazrat Swallallahualaihiwasallam K
Walidein K Imaan Me Ikhtelaf Hai ,Hazrat Imam Sahab Ka Mazhab Yeh Hai K Inka
Inteqal Halat E Kufr Me Hua Hai Faqat.
Maz ALLAH.
Yeh Haal Hai Deobandi Wahbi Ka
Qara'en Yeh Bataye K , Kya Yeh Mumkin Hai K Jo Rehmatullil
Alameen Ho , Unke Walidein Kafir Ho ?
Aaye Ab Daleelo Ki Taraf
Yeh Baat Chupi Hui Nai Aur Naahi Isme Koi 2 Rai Ya Ikhtelaf
Hai , K Jis Chiz Ko Nabi Alayhissalam Choo Le Usey Duniya Ki Aag Nai Jala Sakti
, Duniya Kya , Usey Jahannam Ki Aag B Nai Jala Sakti Toh Bataye Jis Maa K
Shikamb Me 9 Mahine Aapne Aaram Farmaya Ho Wo Jahannum Me Kaise Jaye ??
Quran O Hadees Se Daleel Pesh Karrau
Surah Bani Israel Ayat 15
Tarjuma Kanzul Iman : Aur Humari Sunnat Nai K Rasool Bhejne
Se Pehle Hi Azaab Karne Lage.
Is Ayat K Mutabik ALLAH Taala Fermata Hai K Jabtak Rasool Na
Bheje Toh Azaab Na Karega , Aur Jab Elaan E Nabuwat Hua Tab Nabi Alayhissalam K
Walidein Thay Hi Nai Toh Kafir Kaise Hue ?
Jo Zamana Nabi Alayhissalam K Walidein Ne Paya Usey Zamana E
Fatrat Kehte Hai ,Fatrat Per Inka Wisaal Hua, Lihaza Jannati Hue.
Hadees
Hazrat Abu Huraira Radialla Taala Anhu Se Riwayat Hai Rasoollah
Sallallaho Alaihe Wasallam Farmate Hain:
Har Qarn-O-Tabqa Me Tamam Quroon Bani Aadam Ke Behtar Se Mai
Bheja Gaya, Yahan Tak Ki Us Qarn Me Hua Jisme Paida Hua.
(Saheeh Bukhari Kitabul Manaqib, Baab Sifatun Nabi
Sallallaho Alaihe Wasallam Jild 1 Pg.503 Hadees 3557 )
Yaani Aap Behter Qarn Me Paida Hue , Qarn Kehte Hai Zamane
Ko , Is Hadees Se Yeh B Malum Hota Hai K Jis Pusht Me Nabi Alayhissalam Thay Wo
Zamana Behter , Wo Tabka Behter Yaani Wo Shaks Behter Aur Agar Apke Walidein Kafir Hote Toh Yeh Fakr Ki Baat Nabi
Alayhissalam Kabhi Nai Karte.
Hadees
Tirmizi Jild 5 Safa 543 Kitabut Dawat Hadees 3532
Hazrat Muttalib Ibn Wadaa Radialla Taala Anhu Se Riwayat Hai
K Nabi Alayhissalam K Paas Hazrat Abbas Apke Chacha Aaye Aur Kaha K Baaz Kafir
Apke Baare Me Galat Jumle Kehte Hai , Aapne Pura Kaha B Nai Aur Nabi
Alayhissalam Ne Jaan Liya Aur Fir Mimber Per Tashreef Le Gaye Aur Farmaya Me
Kaun Hu ? Sahaba Ne Arz Kiya Aap ALLAH K Rasool Hai , Aap Alayhissalam Ne
Farmaya Me Mohammad Hu Abdul Muttalib Ka Beta , Aur Jab ALLAH Taala Ne Makhlooq
Ki Takheeq Farmai Aur ALLAH Ne Mujhe Behtareen Makhlooq Me Mujhe Maboos Kiya
Aur ALLAH Ne Makhlooq K 2 Hissey Kiye , 1 Ko Arab 1 Ko Ajam , Aur Mujhe
Behtareen Hissey Me Maboos Farmaya Yaani Arab K Andar , Aur Fir ALLAH Ne Isme
Qabile Banaye , Aur Behtareen Qabilo K Andar Mujhe Sabse Behtareen Qabile Me
Maboos Kiya , Aur In Behtareen Qabilo Me Behtareen Ghar Banaye , Fir In
Behtareen Me Sabse Behtareen Ghar Me Mera Intekhab Kiya ,Aur Behtareen Ghar Me
Behtareen Nasab Ka Intekhab Kiya ,Toh Zahiran B Tumse Behter Hu Aur Batinan B
Tumse Behter Hu.
Is Hadees Ko Imam Tirmizi K Alawa
Musnad E Ahmed Me Jild 1 Safa 210 Hadees 1788
Imam Haythami Ne Majmua Uz Zawaid Jild 8 Safa 216
Imam Behqi Ne Dalail Un Nabuwa Jild 1 Safa 179
Imam Hussamuddin Hindi Ne Kanzul Ummal Me Jild 11 Safa 415 Hadees 31950
Imam Tirmizi Ne Iski Sanad Ko Hasan Kaha Hai .
Hadees
Hazrat Ameerul Mumineen Syyeduna
Ali Murtaza Radialla Taala Anhu Ki Saheeh Hadees Me Hai:
Ru-E-Zameen Par Har Zamane Me Kam
Se Kam 7 Musalman Zarur Rahe Hain. Aisa
Na Hota To Zameen-O-Ahle-Zameen Sab Halaak Ho Jate. Isko Abdur Razzaq Aur
Ibn Munzir Ne Shaikheen Ki Shart Par Saheeh Sanad Ke Sath Riwayat Kiya.
Sharah Zarqani Alal Mawahib Ladunya, Ba-Hawala Abdur Razzaq Wa
Ibn Munzir Jild 1 Pg.174
Imam Abdur Razzaq Ne Al Musannaf Me Likha Aur Farmaya K Iski
Sanad Sahi Hai
Gaur Karne Ka Maqam Yeh Hai K Is Hadees K Mutabik Hamesha Se
7 Musalman Zameen Per Rahe Hai Aur Wahbiyo Ki Aqal Dekhe K Nabi Alayhissalam K
Walidein Kafir Toh Wo 7 Musalman Us Waqt Kaun Thay Duniya Me? Yeh Kitne Taajub
Ki Baat Hai ,
Ayat 2
Surah Tauba Ayat 28
Tarjuma Kanzul Iman : A Iman Walo , Beshak Mushrik Bilkul Hi
Naapaak Hai.
Imam Ibn Hajar Al Makki Al Haythami Al Shafai ; Kitab Afzalul
Qura’a Me Farmate Hai Jitney Nabi Alayhissalam K Silsila E Nasab Me Aaye Inme
Koi Kaafir Nai Tha , Isliye K Kafir Ko Paak Pasandida Nai Kaha Jaa Sakta.
Aur Hadees Me Aaya Hai
Hamesha ALLAH Ne Mujhko Paak,
Suthri Pushton Me Naqal Farmata Raha, Saaf Suthra Araasta, Jab 2 Shakhen Paida
Huin, Unme Behtar Shaakh Me Tha.
(Al-Hawi Lil Fatawa Ba Hawala Abu
Naeem Masaalikul Hanfa Fi Waalidil Mustafa Jild 2 Pg.211)
(Dalailun Nabuwwa,Abi Naeem , Fasl
Saani Pg.11-12)
Isko Naeem Ne Dalailun Nabuwwa Me Ibn Abbas Radialla taala anhu Se Riwayat Kiya. Aur Ek Hadees Hai Nabi Sallallaho
Alaihe Wasallam Farmate Hain:
Hadees
Mai Hamesha Paak Mardon Ki
Pushton Se, Paak Beebiyon Ke Peton Me Muntaqil Hota Raha.
(Sharah Zarqani Alal Mawahib
Ladunya Ba-Hawala Abi Naeem An-Ibn Abbas Jild 1 Pg.174)
Hadees
Nabi Sallallaho Alaihe Wasallam
Farmate Hain:
Hamesha ALLAH Ne Mujhe Karam Wali Pushton Aur
Taharat Wale Shikamo Me Naqal Fermata Raha, Yahan Tak Ki Mujhe Mere Maa Baap Se
Paida Kiya. Isko Ibn Abi Amru Al-Adi
R.A Se Riwayat Kiya.
Imam Qazi Ayaz Ne As Shifa Jild 1 Safa 132
Imam Zarqani Ne Sharah Mawahib Ladunya Jild 1 Safa 327
Imam Abu Nuaym Ne Dalail Un Nabuwa Me Likha
Ayat 3
Surah Hood Ayat 46
Tarjuma Kanzul Iman: “ALLAH Taala Ne Farmaya A Nooh Yaqeenan
Wo Tere Gharane Se Nai Hai”
Yaani Jab Hazrat Nooh Alayhissalam Ka Beta Jab Paani Me
Doobne Laga Tab Hazrat Nooh Alayhissalam Ne ALLAH Taala Se Dua Ki Tab ALLAH Taala
Ne Farmaya K Wo Yaqeenan Tere Gharane Se Nai Yaani Nasab Cut Gaya.
Isi Tarah Agar Koi Sayed Kafir Hojaye Maz ALLAH ,Ullema
Farmate Hai Tab Uska Nasab Cut Gaya Ab Uski Taazeem Na Hogi.
Is Ayat Ko Zahen Me Rakhe Aur Hadees B Dekhte Hai
Hazrat Ashas Ibn Qais Radialla Taala Anhu Se Riwayat Hai
Nabi Alayhissalam Ne Irshad Farmaya Hum Nasar Bin Kinana K Bête Hai , Hum Apne
Baap Se Apna Nasab Juda Nai Karte.
Imam Ahmed Bin Hanbal Ne Apni Musnad Jild 10 Safa 270 Hadees
22183
Imam Ibn Majah Apni Sunan Me Hadees 2612
Imam Bayhaqi Ne Dalail Un Nabuwa Me Jild 1 Safa 173
Albani Ne Ibn Majah Ki Sharah Me Kaha K Iski Sanad Hasan
Hai.
Imam Abu Sirri Rehmatullah Alayh Ne Kaha Iski Sanad Sahi Hai
Quran Kehta Hai K Agar Koi Kafir Ajaye Toh Nasab Cut Jaata
Hai Aur Nabi Alayhissalam Ne Apna Nasab Juda Nai Karte Farmaya Toh Goya Bata
Rahe Hai K Hazrat Adam Alayhissalam Tak Apke Nasab Me Koi Kafir Tha Hi Nai ,
Sab Musalman.
Isi Tarah Nabi Alayhissalam Ne Apna Nasab Abdul Muttalib Se
Bataya Hai , Agar Kafir Hote Dada Toh Kya Aap Alayhissalam Nasab Batate ???
Samae’en Hawala Note K Kin Kin Ahadees Me Nabi Alayhissalam Ne Apna Nasab
Bataya Aur Kaha K Me Beta Hu Abdul Muttalib Ka.
Sunan Ibn Majah Hadees 4087 , English Book 36 Hadees 162
Sahih Bukhari Hadees 4316 , English Book 64 Hadees 347
Jami Tirmidhi Hadees 1688 , English Book 23 , Hadees 19
Sahih Bukhari 2874 , English Book 56 , Hadees 90
Sahih Bukhari 4315 , English Book 64 Hadees346
Sahih Bukhari 2930 , English Book 56 , Hadees 143
Sahih Bukhari 2864 , English Book 56 , Hadees 80
In Tamam Hadees Me Nabi Alayhissalam Ne Farmaya K Aap
Alayhissalam Abdul Muttalib K Bête Hai ,
Agar Kafir Hote Toh Quran Ki Ayat Per Amal Karke Apna Nasab Cut Karlete Lekin Aap
Alayhissalam Ne Bata Diya K Aapke Nasab Kafir Nai Tha.
Aitraz Per Jawab
Sahih Muslim Kitab Ul Janaiz Hadees No 2154
Hazrat Abu Huraira Radialla Taala Anhu Se Riwayat Hai K Nabi
Alayhissalam Ne Farmaya Mujhe Apni Walida Ki Qabr Per Jaane Ki ALLAH Taala Se
Ijazat Milgai Lekin Unke Astagfar Ki Ijazat Nai Mili.
Is Hadees E Paak Ko Lekar Wahbi Aitraz Karte Hai K Agar
Momin Hoti Toh Ijazat B Milti Lekin Kafir Thi Isliye Ijazat Na Mili , Maz ALLAH
Humara Jawab Yun Hai
Agar Nabi Alayhissalam Ki Walida Ki Qabr Mushrik Wa Kafira
Ki Hoti Toh Quran Yun Fermata Hai
Surah Tauba Ayat 84
Tarjuma Kanzul Iman : In Me Se Koi Marjaye Toh Aap Uske
Janaze Ki Hargiz Namaz Na Padhe Aur Na Uski Qabr Per Khade Ho Ye ALLAH Aur Uske
Rasool K Munkir Hai Aur Marte Dumtak Badkar Aur Be Itaat Rahe Hai.
Ab Gaur Farmaye K Hadees K Mutabik Walida Ki Qabr Ki Ijazat
Milgai , Agar Walida Ki Qabr Kafira Ki Hoti Toh Quran Ki Ayat K Mutabik Iijazat
Nai Milti , Ijazat Milna Is Baat Ki Daleel Hai K Wo Momina Thi
Aur Magfirat Ki Dua K Liye Q Rok Diya Gaya ? , Isliye Roka K
A Mehbub Aap Magfirat Ki Dua Karege Toh Baad Walo Badgumani Hogi K Gunahgaar
Thi Kafir Thi Isliye Magfirat Karrahe Thay.
Toh Badgumani Na Ho Aur Apki Walida Bakshi Hui Hai Toh Dua
Ki Kya Zarurat Hai
Ab Mumkin Hai K Sawal Uthe K Fir Qabr Ki Ijazat Talab Q Ki ?
Toh Iska Jawab Yun Hai
Imam Jalaluddin Suyuti Ne Al Hawi Lil Fatawa Jild 2 Safa 230
Per Likha
Hujjatul Wada K Mauke Per Yeh Ayat Nazil Hui K “Aaj Humne
Tumhara Deen Tumhare Liye Mukammal Kardiya”
Phir Hajj Se Farig Hue Aur Madina Aate Waqt Wo Maqam Aaya
Toh ALLAH Se Dua Ki Maula Mujhe Ijazat De K Me Apni Walida Ki Qabr Ki Ziyarat
Karu , ALLAH Taala Ne Farmaya Jo Aap
Chahte Ho Kijiye , Phir Nabi Alayhissalam Qabr Per Aye , Walidein Ko Awaz Di ,
Dono Apni Qabro Se Zinda Hue , Aur Aap Alayhissalam Ne Salam Kiya Aur Kaha Ammi
Jaan Me Apka Beta Mohammad , Me Nabi Banakar Maboos Kiya Gaya Hu, Aap Pichli
Ummat Me Uthai Jaati , Me Chahta Hu K Is Ummat Me Uthai Jaye ,Aap Qalma Padh
Lijiye Take Is Ummat Me Uthne Ka Apko Sharf Hasil Hojaye,Dono Ko Qalma Padhaya
, Fir Dono Apni Qabr Me Aram Farmane Chale Gaye.
Is Waqiye Ko
Imam Ibn Hajar Makki Ne Afzalul Qura’a
Imam Ibn Shaheen
Khateeb Bagdadi Ne Tareekh E Bagdad Me Likha
Imam Quratbi Ne Apni Tafseer Me Likha
Imam Tabri Ne Likha
Imam Zarqani Ne B Likha
Aur Imam Ibn Kaseer Ne B Isey Likha
Aitraz 2
NABI Alayhissalam Ne Farmaya ; Beshak Mera Aur Tera Baap
Jahannam Me Hai.
Sunan Abi Dawood Hadees 4718 & Sahih Muslim Hadees 347.
Jawab :
Is Hadees Me Nabi Alayhissalam K Baap Se Murad Abu Talib Yaani Apke Chacha Hai ,
Digar Ahadees Me Aata Hai Jiska Mafhoom Hai
“Nabi Alayhissalam Ne Farmaya Chacha Baap Ki Jagah Hota Hai”
Sahi Muslim Jild 1 Kitab Uz Zakat Hadees 2173
Sahi Bukhari Jild 1 Hadees 1399
Sunan Abi Dawood Hadees 1623
Imam Nasai Ne Apni Sunan Me Hadees 2464
Imam Ahmed Bin Hanbal Ne Musnad Ahmed Me Hadees 8266
Imam Ibn Hibban Ne As Sahih Me Hadees 3273
Imam Ibn Khuzayma Ne Apni Sahih Me Hadees 2329
Imam Bayhaqi Ne Shuayb Ul Iman Me Hadees 7160
Me Naqal Kiya Hai.
Aur Iski Taeed Yeh Hadees Karti Hai Jo Bukhari Me Riwayat
Hai
Huzur Syed Aalam Sallallaho Alaihe Wasallam Ne Abu Talib Ki Nisbat Farmaya:
Maineusey Saraapa Aag Me Duba
Paaya To Kheench Kar Takhno Tak Ki Aag Me Kar Diya.
Ek Aur Saheeh Riwayat Me Farmaya:
Agar Main Na Hota To Abu Talib Jahannam
Ke Sabse Neeche Tabqe Me Hota
Sahi Bukhari Hadees 3670
Sahi Muslim Hadees 4418
Yeh Tamam Hadees K Sharah Karne Wale Mufassir Ne Kaha K Yaha
Baap Se Murad Abu Talib Hai.
Iska Dusra Jawab K Yeh Riwayat Shaaz Hai Aur Iski Mehfooz
Riwayat Musannaf Me Milti Hai Jiska Tarjuma Hai
Araabi Ne Nabi Alayhissalam Se Pucha Ki Mera Baap Kaha Hai ?
Toh Farmaya Jahannam Me , Phir Dobara Pucha Ki Apke Baap Kaha Hai ? Toh Usko
Nabi Alyhissalam Ne Farmaya Ki Jab B Tum Kisi Mushrik Ki Qabr Per Se Guzro To
Usko Jahannam Ki Khush Khabri Dediya Karo
Musannaf Abdur Razzaq Kitabul Jaame Hadees 19687.
Muslim Aur Abu Dawud Ki Riwayat Me Hammad Bin Salma Ne Sabit
Se Aur Unhone Hazrat Anas Se Ye Riwayat Kiya Hai Jisme Kaha Gaya Hai Ki Beshak Mera
Aur Tera Baap Jahannam Me Hai Jabki Musannaf Ki Riwayat Batati Hai Ki Yeh Alfaz
Nahi The Balki , Jab Bhi Tum Kisi Mushrik Ki Qabr Per Se Guzro To Usko Jahannam
Ki Khushkhabri De Diya Karo , Yeh Alfaz Thay , Yaad Rahe Yaha Aap Alayhissalam
Ne Yeh Nai Farmaya Ki Mera Baap Jahannam Me Hai.
Muslim Aur Abu Dawud Ki Riwayat Me Hammad Bin Salma Maujud
Hai Aur Inke Hafize Per Muhaddiseen Ka Kalam Hai.
Imam Zehbi Imam Ahmed K Hawale Se Likhte Hai
Hammad Bin Salma Khata Karte Thay.
Siar Alam Nubla
Aur Isliye Imam Bukhari Ne Inse Koi Riwayat Nai Li,Aur
Musannaf Ki Riwayat Me Ma’mar Ne Zuhri Se Riwayat Kiya Hai Aur Hammad Bin Salma
K Muqable Ma’mar Muhaddiseen K Nazdeek Awsaq Rawi Hai Aur Inki Riwayat Imam
Bukhari Ne B Li Hai.
Surah Ahzab Ayat 57 Tarjuma Kanzul Iman : Jo Log ALLAH Aur
Uske Rasool Ko Ezaa Dete Hai Inper Duniya Aur Akhirat Me ALLAH Ki Phatkar Hai
Aur Inke Liye Nihayat Ruswakin Azaab Hai.
Bukhari Ki Sharah Imam Qastalani Likhte Hai ; Walidein Ko
Kisi Nuqs K Saath Zikr Karne Se Bacho Ki Issey Huzur Alayhissalam Ko Ezaa Hone
Ka Andesha Hai
Mawahibul Ladunya Jild 1 Safa 111
Afzalul Quraa Li Qari Ummul Qura Sher 6
Aitraz 3
Hazrat Imam E Azam Abu Hanifa Ki Kitab Fiqh Ul Akbar , Usme
Imam E Azam Ne Likha K Nabi Alayhissalam K Walidein Kufr Per Mare.
Aur Hazrat Mulla Ali Qari Rahimahullah Unhone Sharah Fiqh Ul
Akbar Likhi Hai , Safa 312 Per , Imam Jalaluddin Suyuti Ka Radd Karte Hue Likha
Hai K Nabi Alayhissalam K Walidein Kufr Per Mare.
Jawab
Sabse Pehle K Imam Abu Hanifa Ki Kitab Al Fiq Al Akbar Per 3
Aqwal Hai Ullema K Is Ibarat Ko Lekar
1 Tabqa Imam E Azam Abu Hanifa Ki Kitab Ko Nai Manta K Yeh
Imam E Azam Ki Hai Lekin Kuch Ullema Mante Hai
2 Yeh Ibarat Guzishta Edition Me Nai Thi Yeh Baad Me Bad
Aqeedo Ne Badai
3 Fiqh Ul Akbar Ki Ibarat Me Tehreef Hai
Haqeeqat Yeh Hai K Imam E Azam Abu Hanifa Ne Likha K Nabi
Alayhissalam K Walidein Kufr Per Hargiz Hargiz Nai Mare
Aur Hazrat Mulla Ali Qari Rahimahullah Ne Apne Is Qaul Se
Ruju Karliya Tha Jab Unhone Sharah Shifa Shareef Likhi Jild 1 Safa 6 Per
Alhamdulillah In Dalailo K Baad Deobandi Aur Wahbiyo Ki
Challenge Deraha Hu
Sahih Bukhari Hadees 1385 Jiska Tarjuma Hai
Hazrat Abu Huraira Radialla Taala Anhu Se Riwayat Hai Ki
Nabi Alayhissalam Ne Farmaya ; Har Baccha Imaan Ki Haalat Per Paida Hota Hai
,Phir Uske Aaba O Ajdad Usko Yahudi Ya Nasrani Bana Dete Hai.
Is Hadees Ki Bahut Saari Shawahid Hai ,
Sahi Muslim Hadees 22
Sunan Abi Dawud Hadees 4714
Sunan Tirmidhi Hadees 2138
Jaame Ma’mar Bin Rasheed Hadees 20087
Muatta Imam Malik Hadees 278
Musanad Abu Dawud Tayalsi Hadees 2480
Musannaf Abdur Razzaq Hadees 6611
Iske Alawa Aur B Bahut Si Shahwahid Maujud Hai
Is Hadees Se Saabit Hua Ki Har Baccha Imaan Per Paida Hota
Hai Toh Is Hadees K Mutabik Nabi Alayhissalam K Walidein B Iman Per Paida Hue.
Yaani Jabtak Wo Kufr Wa Shirk Na Karege Wo Iman Wale Hi
Rahege
Ab Duniya K Tamam Wahbiyo Deobandiyo Ko Challenge Hai Ki Wo
Sabit Kare Kisi B Hadees Se Ki Nabi Alayhissalam K Walidein Ne Kabhi Koi Kufr O
Shirk Kiya Hai
Agar Sabit Na Kar Sake To Is Hadees Se Unka Iman Wala Hona
Sabit Ho Gaya.
ALLAH Taala Se Dua Hai Ki Hume Deobandi Wahbiyo K Fitno Se
Bachaye Aur Hamesha Haq Per Rehne Ki Taufeeq Ataa Farmaye
Aameen Sum Aameen
-Shaikh Mohammad Imran Saifi.
Assalamu Alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakatuh, Aap Jaise Alim Aur Khadim E Deen Ko Allah Ajjawajal Hamesha Hifazat kare, Aap logo ke umr me daraji aye. Aap log aise hi Hoozur sallallahu sallam ke pyare pyare Ghulamo me aur Jyada mohabbat bhar de. Amin
ReplyDeleteMashaallah Imran bhai bahut acche se explain kiya h Allah umer Me barkat ata farmaye
ReplyDeleteAmeen