Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Monday, 13 May 2019

Iftar ki fazilat dua

بِسْمِ اللهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيمِ بِسْمِ

Assalaamu Alaykum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu Assalaatu Wassalaamu Alayka Ya Rasoolallah Sallal Laahu Ta'ala Alaika Wa Sallam

Rozedar Ko Do Khushi
Hadees 01 :
“أَبِي هُرَيْرَةَ، قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ ﷺ‏ ‏ لِلصَّائِمِ فَرْحَتَانِ فَرْحَةٌ حِينَ يُفْطِرُ وَفَرْحَةٌ حِينَ يَلْقَى رَبَّهُ”
“Hazrat Abu Huraira Radiallahu Anhu se marvi hai Nabi E Karim ﷺ ne farmaya Rozedar kay liye do khushi hai ek jab wo Iftar kare aur jab Allah se jaa mile”
(Imam Tirmizi Jamai Tirmizi, Kitabus Sawm, #766)
قَالَ أَبُو عِيسَى وَهَذَا حَدِيثٌ حَسَنٌ صَحِيحٌ
Imam Tirmizi Farmate Hai Ye Hadees Hasan Sahih Hai
(Imam Nasai As Sunan, Kitabus Sawm, #2213)
(Imam Muslim As Sahih, Kitabus Sawm, #1151

Iftar Me Jaldi Karne ka Hukm
Hadees 02 :
“Hazrat Sahal Bin Saad Radiallahu Anhu Bayan Karte Hain Ke, Rasulullah ﷺ Ne Farmaya Ke Log Us Waqt Tak Bhalayi Me Rahenge Ke Jab Tak Iftar Me Jaldi Karte Rahenge”
(Imam Bukhari Sahih Bukhari, Kitabus Sawm, #1957)
(Imam Muslim As Sahih, Kitab Al Sawm, #1098)
(Imam Malik Al Muwatta, Kitabus Sawm, #639, #640)
(Imam ibn Majah As Sunan, Kitabus Sawm, #1697)
(Imam Tirmizi As Sunan, Kitabus Sawm, #699)
(Imam Nawawi Riyad Us Saliheen, Kitab Ul Fazail, #1233)
(Imam Ibn Hajar Asqalani, Bulugh Ul Maram, #679)

Hadees 03 :
“Hazrat Abu Hurairah Radiallahu Anhu Bayan Karte Hain Ke, Rasulullah ﷺ Ne Farmaya Ke Allah Rabbul Izzat Farmata Hai Ke, Bandon Me Se Wo Banda Mujhe Sabse Zyada Pasand Hai Jo Roza Iftarne Me Jaldi Karta Hai”
(Imam Tirmizi Jamai Tirmizi, Kitabus Sawm, #700)
(Imam Nawawi Riyad Us Saliheen, Kitab Ul Fazail #1235)
(Imam Ibn Hajar Asqalani Bulugh Ul Maram, #680)


Iftar Me Jaldi Na Karne Ka Nuqsan
Hadees 04 :
“Hazrat Abu Hurraira Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Nabi E Karim ﷺ Ne Irshad Farmaya Ye DEEN Hamesha Ghalib rahega Jab tak Log Iftaar me Jaldi karte rahengey (kyu) ki Yahood-o-Nasara Taqeer karte Hai”
(Sunan Abu Dawood Vol : 02, Pg : 446, Kitab Al Siyam # 2353)
(Sunan Ibn Majah, Kitabus Sawm, #1698)
Hadees No 2, 3, 04 se maloom huwa Iftar me jald karna kitna jaruri hai Yahud Aur Nasara ka kaam hai takheer karna lihaja jaise hi waqt ho fauran iftar kare kay ye waqt bada barkat ka hai aur isme dua kabool ki jati hai logo ki magfirat ki jaati hai, Kayi baar dekha gaya kay waqt hojata hai musalman yahan wahan bazaar me ya kisi kaam me masruf hokar iftar me takhir karta hai aisa nahi karna chahye ye amal bada bura hai.

Iftar Karne Ka Sahi Waqt
Hadees 05 :
“Nabi E Karim ﷺ Ne Irshad Farmaya Meri Ummat Meri Sunnat par rahegi, Jab tak Iftaar me Sitaaro ka Inteyzaar Na kare”
(Imam Ibn Hibban As Sahih Vol : 05, Pg : 209, #3501)

Khajur Se Iftar Karna Sunnat Hai Khajur Na Ho Paani Se Karen
Hadees 06 :
“Hazrat Anas Ibn Malik Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Nabi E Karim Ne Irshad Farmaya Jinke Pass Khushk Khajur Ho to usse Iftar Karo Aur Agar Agar Khajoor Na Mile To Pani Se Roza Iftaro Isliye Ki Wo Paak Hai”

(Imam Tirmizi, Sunan Tirmizi, Kitabus Sawm, #694, #696)
قَالَ أَبُو عِيسَى هَذَا حَدِيثٌ حَسَنٌ غَرِيبٌ
Imam Tirmizi Farmate Hai Ye Hadees Hasan Gharib Hai
(Imam Tirmizi, Sunan Tirmizi, Kitab Uz Zakat, #658, Rivayat Hazrat Salman Ibn Aamir Radiallahu Anhu)
(Imam Nawawi, Riyad Us Saliheen, Kitabul Muqaddama, #332)


Hadees 07 :
Hazrat Anas ibn Malik Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Nabi E Karim ﷺ Namaz se pahle Tarkhajooroo se Roza Iftaar farmatey, Tar khajoorey Na Hoti to Chand Khushk-khajooro se Aur Ye bhi Na Hoti toh Chand Chullu Paani pitey”
(Sunan Abu Dawood Vol : 02, Pg : 447, Kitabus Sawm # 2356) Maloom huwa kay Khajur Se roza kholna ye Sunnat bhi hai aur barkat bhi aur science ki tehkeek se bhi Khajur ko bahot bahtareen ghiza bataya gaya hai, Kuch Musalmano me ye mashoor hai Khajur Naa ho to Namak Se Roza Kholna Chahye ye sahih nahi hai balki hadees e paak me saaf mauzud hai Aur agar ALLAH naa kare Khajur na mile to Paani Se Roza khole,

Rozedar ko Iftar Karane ki Fazilat
Hadees 08 :
Hazrat Zaid bin Khalid Al Juhani RadiAllahu Anhu Se rivayat hai Allah ke Rasool ﷺ ne irshad farmaya Jisne kisi Rozedaar ko Iftaar karaya to usay bhi is Rozedaar kay baraabar Sawab milega, bagair is ke ki Rozdar ke Sawab me se Zara bhi kam kiya jae"
(Imam Tirmizi Jamai Tirmizi Kitabus Sawm, #807)
قَالَ أَبُو عِيسَى هَذَا حَدِيثٌ حَسَنٌ صَحِيحٌ
Imam Tirmizi Farmate Ye Hadees Hasan Sahih Hai
(Imam Ibn Majah As Sunan, Kitabus Sawm, #1746)
(Imam Ibn Hibban As Sahih, Vol : 08, Pg : 216)
(Wahabi Shaykh Nasiruddin Albani, Sahih Al Jami, #6415)

Hadees 09 :
Hazrat Salman Farsi Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai Kay Rasool Allah ﷺ Ne Irshad Farmaya Jis Ne Halaal Khane Ya Paani Se Kisi Musalmaan Ko Roza Iftar Karwaya To Farishtay Maa-e-Ramzaan Ke Auqaat Me UsKe Liye Astaghfar Karte Hai, Aur Jibreel Alaihay Salam Shab-e-Qadr Me Uss Ke Leye Astaghfar Karte Hai”
(Imam Tabarani Al Mu’jam Ul Kabir, Vol : 06, Pg : 242, #6162)


Hadees 10 :
“Rasool Allah ﷺ Ne Irshad Farmaya Jo Rozdaar Ko (Iftari Me) Paani Pilayega Allah Usey Mere Houz Se Paani Pilayega Ke Jannat Me Dakhil Hone Tak Pyasaa Na Hoga.”
(Sahih Ibn Khuzaima, Vol: 03, Pg :192, #1887)

Hadees 11 :
“Nabi E Karim ﷺ Jisne kisi Ghaazi Ya Haaji ko Samaan (Zaad-E-Raah) diya, Ya uske pichey uske ghar walo ki dekh’bhaali ki, Ya kisi Rozeydaar ka Roza Iftaar karwaya, toh usey bhi unhi ki Misl Ajr Milega Baghair Is ke, ki un ke Ajr me kuch kami Ho”
(Imam Nasai As Sunan Ul Kubra Vol : 02, Pg : 256 #3330)

Hadees 12 :
“Hazrat Amr bin Aas Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Nabi E Karim ﷺ Beshak Rozedaar Ke Liye Iftaar Ke waqt Ek Aisi Dua Hoti Hai, Jo Radd Nahi ki Jati”
(Sunan Ibn Majah, Kitabus Sawm, Vol :02, Pg : 250, #1753)
(Imam Munziri At-Targheeb Wat Tarheeb Vol :02, Pg : 93, #29)



Hadees 13 :
“Hazrat Abu Hurraira Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Nabi E Karim ﷺ Teen 03 Shaksh Ki dua radd Nahi ki Jati, i) Ek Rozedar Ki Ba Waqt E Iftar, ii) Badhshah E Aadil Ki Aur
iii) Teesre Mazloom Ki, In Teeno Ki Dua Allah Taala Badalo Se Bhi upar utha leta hai, Aur Aasman Kay Darwaze Uske liye khul jaate hai Aur Allah Paak Farmate hai Mujhe Meri Izzat ki kasam mai jarur teri madad farmaunga Agarche kuch der baad ho”

(Sunan Ibn Majah, Kitabus Sawm, Vol :02, Pg : 349, #1752)
Hadees 14 :
“Hazrat Jabir Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Nabi E Karim ﷺ Ne Irshad Farmaya Allah Taala Har Iftar kay waqt kuch logo ko Jahannam Se Azad karta hai, Aur ye (Ramzan Ul Karim) ki har raat ko hota hai”
(Sunan Ibn Majah Kitabus Sawm, #1643)

Hadees 15 :
"Hazrat Anas Ibn Malik Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Nabi E Karim ﷺ Hazrat Saad ibn Ubaydah Radia'Allahu Anhu Kay paas aaye to unhone Aap ﷺ ki bargaah me Roti aur Zaitoon (Oil) pesh e khidmat kiya aur Aap ne usse khaya, phir Nabi E Karim ﷺ ne dua padhi Tumhare Pass rozedar iftar kiya karen, Nek log tmhara khana khayen or tmhare Liye Dua karen"
(Sunan Abu Dawood Kitab Al At’imah, #3854)

Iftar Kay Baad Ki Dua
Hadees 16 :
“Hazrat Mua’z Ibn Zuhrah Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Nabi E Karim ﷺ ye dua karte jab Karte  
‏ اللَّهُمَّ لَكَ صُمْتُ وَعَلَى رِزْقِكَ أَفْطَرْتُ
Allahumma inni laka sumtu wa bika aamantu [wa 'alayka tawakkaltu] wa ‘ala rizq-ika aftarthu
Aye ALLAH! Maine Tere liye Roza Rakha Aur Tere hi Ata karda Rizq Se Iftar kiya”
(Sunan Abu Dawood Vol : 02, Pg : 447 Kitab Al Siyam, # 2358)

“Aye ALLAH! Maine Tere liye Roza Rakha Aur Tujh par Imaan Laya Aur Tujhi par Bharosa kiya Aur Tere diye hue Rizq Se Iftaar kiya”
(Fatawa Alamgiri Vol : 01, Pg : 200)
Clicke Here for more Ramzan Ul Karim Post with full references CLICK HERE TO READ

Post By Shaikh Sher Ali Hanfi

1 comment:

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers