Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Friday 5 April 2019

Fazail E Abu Bakr Wa Umar

Fazail E Abu Baqr Wa Umar Radiallahu Anhuma Azmayeen

Abu Bakr Wa Umar Radiallahu Anhuma Azmayeen Ki Muhabbat
Hadees 01 :
“Hazrat Anas Se Marvi Hai Huzoor ﷺ Ne Hazrat Anas Radiallahu Anhu Se Farmaya Tum Jis Se Muhabbat Rakhoge Ussi Kay Saath Rahoge, Hazrat Anas Radiallahu Anhu Ne Farmaya Mai Abu Baqr Wa Umar Kay Saath Muhabbat Karta hoon Aur Mujhe Ummid hai Kay In dono kay saath hounga”
(Sahih Bukhari,Kitab Fazail E Ashab, Baab : Manaqib E Umar, #3688)

“Hazrat Malik ibn Anas Se Rivayat hai Farmate Hai Buzurgaan E Deen Apni aulaad ko Shaiykhen (Abu Baqr Wa Umar) Rizwanullahim Azmayeen ki muhabbat Aise Sikhate jaise Quran Ki Suratein”
(Imam Lalakai Shara E Usool E Aiteqad E Ahle Sunnat Wa Jamaat Pg :1085, Raqam :2325)
(Imam ibn Asakir Tareekh ibn Asakir Vol : 44, Pg : 383)

Buland Martabe Waale

Hadees 02 :
“Hazrat Abu Saeed Khudri Se Marvi Hai Nabi E Akram Ne Irshad Farmaya Buland Baala Darje Walo Ko Kam Martabe Waale Aise Dekhenge Jis Tarah tum Aasman Kay Ufaq Me chamakte Sitaron Ko Dekhte ho, Abu Baqr Umar Unhi Buland Martabe waalo me se hain” (Imam Ibn Majah, Sunan Ibn Majah,Kitab Al Sunnah, #96)
(Imam Tirmizi, Jamai Tirmizi, Kitab Ul Manaqib,#3678)


Kaan Aur Aankh Ki Haisiyat
Hadees 03 :
“Hazrat Abdullah Bin Hantab Radiallahu Anhu Sey Riwayat Hai Huzoor ﷺ Ne Hazrat Abu Bakr Aur Hazrat Umar Radiallahu Anhuma Azmayeen Ko Dekha To Farmaya Ye Dono (Merey Liye) Kaan Aur Aankh Ki Haysiyat Rakhtey Hain.”
(Imam Tirmizi Jamai Tirmizi Vol : 05, Pg : 613, Kitab Ul Manaqib, #3671)
(Imam Hakim Al Mustadrak Vol : 04, Pg : 14, #4489)

Zameen Me Do Wazeer
Hadees 04 :
“Hazrat Abu Saeed Khudri Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ke Huzoor Nabi E karim ﷺ Ne Farmaya Har Nabi Kay Liye Do Wazeer Aasmaan Waalon Mey Se Aur Do Wazeer Zameen Waalon Me Se Hote Hain To Aasmaan Waalon Mey Sey Merey Do Wazeer Jibra’il Aur Mika’il Alaihimussalam Hain Aur Zameen Waalon Mein Se Merey Do Wazeer Abu Bakr Aur Umar Radiallahu Anhuma Azmayeen Hain”  
(Imam Tirmizi, Jamai Tirmizi, Vol : 05, Pg : 616, KItab Ul Manaqib, #3680)
(Imam Ali Ibn Al Jaad Al Musnad Vol : 01, Pg : 298,#3047)
(Imam Hakim Al Mustadrak Vol : 02, Pg : 290, #3047)

EK Kay Saath Jibra’il Aur Ek Kay Saath Mika’il
Hadees 05 :
“Hazrat Ali Radiallahu Anhu se rivayat hai Ghazwa E Badr kay mauke par  Nabi ﷺ Ne Abu Baqr Aur Umar Rizwanullahim Azmayeen Se Irshad farmaya Ek Kay Saath Jibra’il Aur Mika’il Alaihimussalam Hain”   
(Imam Ibn Abi Shayba Al Musannaf Vol : 07, Pg : 475, #32 Kitab Ul Fazail Baa Ma Zikr E Abu Bakr)
(Imam Ibn Asakir, Tarikh E Madina Damishq Vol : 42, Pg : 71)

Abu Bakr Aur Umar Radiallahu Anhuma Azmayeen Ki Iqteda Karna 
Hadees 06:
“Hazrat Huzaifa Radiallahu Anhu se marvi hai Nabi ﷺ ne farmaya mere baad Abu Bakr aur Umar ki iqteda karna”   
(Imam Ibn Majah, Sunan Ibn Majah kitab ul Sunnah, Vol : 01, Pg :74, #97)
(Imam Tirmizi, Kitab Ul Manaqib, #3662)
(Imam Hakim Al Mustadrak Vol : 04, pg :22, #4508)

Shaykheyn Ki Iqteda Me Hi Kamyabi Hai
Hadees 07 :
“Hazrat Aliyul Murtaza Se Marvi hai Nabi ﷺ Ne Farmaya Mere Baad Abu Baqr Wa Umar Radiallahu Anhuma Azmayeen ki Itaat Karo Hidayat Paa Jaoge aur In dono ki iqteda karo kamyaab Hojaoge”  
(Imam Ibn Asakir Tarikh E Madinatul Damishq Vol : 30 Pg : 226)

Shaykhain Ki Muhabbat Imaan Aur Inse Bugz Kufr Hai
Hadees 08: 
“Hazrat Jabir ibn Abdullah Radiallahu Anhu se marvi hai Abu Baqr aur Umar Radiallahu Anhuma Azmayeen ki muhabbat Iman Hai aur inse bugz Kufr Hai”   
(Imam Daylami Al Musnadul Firdaus Vol :01, Pg : 356, #2541)
(Imam Suyuti Tarikh Al Khulafa Pg : 50)
Shaykhain Par Koi Hukmarani Nahi Karega  
Hadees 09:
“Hazrat Bistaam Ibn Muslim Radiallahu Anhu se marvi hai Nabi E Akram 
 Ne Irshad Abu Bakr Wa Umar Radiallahu Anhuma Azmayeen Se Irshad Farmaya Mere Baad Koi Bhi Tum Dono Par Hukmarani Nahi Karega”  
(Imam Ibn Abi Shayba Al Musannaf Vol :07, Pg :475, Kitab Ul Fazail, Baab Zikr E Abu Bakr Siddique #33)

Shaykhain Kay Makam Ko Pahchan Na Sunnat Hai  
Hadees 10:
“Hazrat Abdullah ibn Masood Radiallahu Anhu se marvi hai Nabi E Akram ﷺ Ne Irshad Farmaya Abu Baqr Wa Umar Ki Muhabbat Aur Inke Makam Martabe ko Pahchan Na Sunnat me Se hai ”
(Imam Hindi Kanzul Ummal, Vol :11, Pg :261, #32701 Kitab Ul Fazail,Fazail E Abu Bakr Wa Umar)
Shaykhain Ka Bugz Aur Muhabbat E Maula E Kainat Ali Ul Murtaza   
Hadees 11:
"Hazrat Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه farmate Hai Nabi E KARIM ﷺ k baad Sabse behtar Hazrat Abu Baqr Aur Hazrat Umar Radi Allaho Anhuma Azmain Hai Aur aage Farmaya MERI MUHABBAT AUR SHAIKHEN KARIMAIN (Abu Baqr Aur Umar) Ka Bugz Kisi Momin k Dil Me Jama Nahi Hosakta"  
(Imam Tabarani Al Maj'mau Ausat Vol : 03, Pg : 79, Hadees : 3920)

Shaykhain Ka Buzg Rakhne Wala Nabi ﷺ Ka Muhib Nahi Ho Sakta 
Hadees 12:
Jalilul Qadr Tabayi Imam Muhammad Ibn Sirin Rahmatullah Alaih Farmate hai Meri Nazar Me Jo Abu Baqr Wa Umar Ki Shaan Wa Azmat Me kami Kare Wo Nabi ﷺ ka Muhib Nahi Hai”  
(Imam Tirmizi, Jamai Tirmizi, Kitab Ul Manaqib, #3685)

Afzaliyat E Shaykhain
Hadees 13:
“Hazrat Zuhaifa Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Maula Ali Radiallahu Ne Farmaya Allah Kay Habib ﷺ Kay baad Is Ummat Me Sabse Bahtareen Shaksiyat Abu Baqr Aur Phir Umar Hai” (Imam Ahmad Ibn Hanbal Al Musnad, Vol : 01, Pg : 227 #836)

Hadees 14:
“Hazrat Abdullah ibn Umar Se Marvi hai Hum Ashaab Rasoolullah ﷺ Kay Baad Sabse Afzal Abu Bakr Siddique Ko Jante They Aur Phir Hazrat Umar Ko” (Sahih Bukhari, Kitab Fazail E Sahaba, Baab Fazail E Abu Bakr Siddique, #3655)
(Imam Tirmizi Jamai, Kitab Ul Manaqib, #3707)

Hadees 15:
“Hazrat Maula Ali Radiallahu Anhu se marvi hai Nabi ﷺ Kay baad sabse afzal Abu Baqr hai aur unke baad Umar hai” (Imam Ibn Abi Shayba Al Musannaf Vol :07, pg : 475, #28 Kitab Ul Fazail Baa Ma Zikr E Abu Bakr Siddique)

Hadees 16:
“Hazrat Abduallah Ibn Salimah Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Farmate Maine Maula Ali Radiallahu Anhu ko farmate huwe Suna Nabi ﷺ Kay baad sabse afzal Abu Baqr hai aur unke baad Umar hai”
(Imam Ibn Majah Sunan, Kitab Al Sunnah, #106)
Hadees 17:
”Hazrat Jabir ibn Abdullah Se Rivayat hai Hazrat Umar ne Abu Bakar razi allahu anho se kaha Rasool Allah sallahu alehi wassallam ke baad sab se behtar insaan ! Us per Abu Bakr Radiallahu anhu ne kaha : Suno! Agar tum aisa keh rahe ho toh mai ne Rasool Allah sallahu alehi wassallam ko farmate hue suna hai : Umar se behtar kisi admi per suraj tulu nahi hua.
(Imam Tirmizi Jamai Tirmizi, Kitabul Manaqib, #3684)
Nabi ﷺ Kay Mehboob  
Hadees 18:
“Hazrat Amr Ibn Al Aas Radiallahu Anhu Farmate hai Maine Rasoolullah ﷺ Se Pucha Logo me Aap ﷺ kay Nazdiq Sabse Mehboob Kaun hai ?
Irshad Farmaya Ayesha, Maine Kaha Mardo Me Farmaya Inke Walid (Yaani Abu Baqr) Phir Farmaya Uske Baad Farmaya Umar Ibn Khattab”
(Sahih Bukhari, Kitab Fazail E Ashabun Nabi,#3662)

“Imam Nawawi Rahmatullah Alaih Farmate hai Ahle Sunnat Ka Is baat par ittefaq hai Kay Sahaba E Kiram Se Afzal Abu Bakr Siddique Aur Hazrat Umar Hai”
(Shara E Sahih Muslim, Kitab Ul Fazail, Vol :08, Pg : 148)
Wisaal Ki Umr Bhi Rasoolullah ﷺ Kay Musabe  
Hadees 19:
“Hazrat Anas Ibn Malik Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Nabi E Akram ﷺ ki wisaal ki umr 63 Baras thi, Hazrat Abu Baqr Aur Hazrat Umar Rizwanallahim Azmayeen Ki Bhi Umr 63 Baras rahi ”
(Imam Muslim, Sahih Muslim,Kitab Ul Fazail, #5796,#5803, #5804)
(Imam Tirmizi, Jamai Tirmizi, Kitab Ul Manaqib, #3653 Riwayat Hazrat Ameer Muawiya)
(Imam Tirmizi, Shamail E Muhammadiya #363)

Jannat Kay Sardar 
Hadees 20 :
“Hazrat Anas Bin Malik Radiallahu  Anhu Se Riwayat Hai Ke Huzoor Nabi E Akram ﷺ Ne Hazrat Abu Bakr Radiallahu Anhu Se Aur Hazrat Umar Radiallahu Anhu Ke Baare Me Farmaya Yeh Donon Ambiya Wa Mursaleen Alaihimussalam Kay Elawa Awwalin Wa Aakhireen Me Se Tamam Umar Raseeda Jannatiyon Key Sardar Hain”
(Imam Tirmizi, Jamai Tirmizi,Kitab Ul Manaqib Vol : 05, Pg : 610, #3664,3665)
(Imam Ibn Majah, Sunan Ibn Majah Vol : 01, Pg : 36, #100)
(Imam Ibn Hibban Sahih, Vol : 15, Pg : 330, #6904)

Jannat Kay Umr Daraj Logo Kay Sardar   
Hadees 21 :
Hazrat Ali Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Nabi E Akram ﷺ Ne Farmaya Abu Baqr Aur Umar Jannati Budho Kay Sardar hai”
(Imam Tirmizi Jamai Tirmizi Kitab Ul Manaqib, #3666)

Hadees 22 :

“Hazrat Awn Ibn Abi Juhaifah Radiallahu Anhu Apne Walid se rivayat Karte Hai Abu Bakr Wa Umar Jannati Budho Kay Sardar hai Siwaye Ambiya Wa Mursaleen Alaihumsalam Kay”
(Imam Ibn Majah, Sunan Ibn Majah, Kitab Ul Sunnah, #105)
Nabi ﷺ Kay Baad Sabse Pahle Kabr Se Uthenge
Hadees 23 :
“Hazrat Abdullah Ibn Umar Se Marvi Hai Nabi ﷺ Ne Irshad Farmaya Sabse Pahle Meri Kabr Shak Hogi Phir Abu Baqr Ki aur Phir Umar ki iske baad Mai Jannatul Baqi Me Aaunga Wahan Log Kabro Se uthenge phir hum Ahle Makkah Ka Intezar karenge Hatta Kay Dono Harmo kay darmiyan log jama honge”
(Imam Tirmizi, Jamai Tirmizi Kitab Ul Manaqib #3692)

Hadees 24 :
“Hazrat Abdullah Ibn Umar Se Marvi Hai Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Darmiyaan they aur farmaya Hum Is tarah kayamat kay din uthaye jayenge”
(Imam Ibn Majah, Sunan Ibn Majah, Kitab Ul Sunnah #99)
Hadees 25 :
“Hazrat Abdullah Ibn Umar Se Marvi Hai Nabi ﷺ ek din nikle aur masjid me dakhil huwe, Abu Bakar wa Umar Razi Allahu anhuma Azmayeen me Aap 
ﷺ kay daijanib thek aur dusre bai janib khade they, aur Aap  un dono ka hath pakade hue the Aap ﷺ ne farmaya " isi tarha hum qiyamat ke din uthae jaenge ". 
(Imam Tirmizi, Jamai Tirmizi, Kitab ul Manaqib #3669)

Gustakh E Sahaba Ki Sohbat Rakhne Waalo’n Ka Bura Anzaam
“Ek Shaks Ki Maut ka Karib Aagaya to usse kalima e tayyaba padhne kay liye kaha gaya usne jawab diya kai mai is kalima padhne par Kadir nahi hoon, kyuki aise logo kay saath nashist barkhast(Yaani Uthna Bethna) rakhta tha jo mujhe Syedna Abu Baqr Wa Umar k bura bhala kahne ki talkeen karte they”
(Imam Ibn Asakir, Tarikh Ibn Asakir Vol : 30, Pg : 403)
(Imam Jalaluddin Suyuti, Sharausudoor Pg : 38)


Shaykhen Ka Gustakh Nasrani Kay Saath Hogaya    
"Hazrat Abu Baqr Sairfi Alaihrehma bayan karte hai ki Ek Shaks Hazrat Syedna Abu Baqr Siddique Aur Hazrat Umar Farooque E Azam Ko galiya diya karta tha aur firqa e Jahimya kay aqaid rakhta tha, jab wo mara to ek shaksh ne usse khwab me barhana halat me dekha ki uske sar aur sharmgaah par ek siyaah chitda tha, usne pucha Allah Taala ne tere saath kya muamla farmaya ?
Usne kaha Allah ne mujhe Baqr ibn Qais Aur Aun ibn Aasar kay saath kar diya ye dono Nasrani they”
(Imam Ibn Abi Dunya, Al Mawsu’at Kitab Al Manamat, Vol : 08, Pg : 274, #222)
(Imam Jalaluddin Suyuti, Sharausudoor Pg : 474)

Kabr Me Wasila Kaam Aa Gaya  
“Tarikh Ibne Nazzar Me Abul Qasim bin Haibtullah ibn Salaam Muffasir Se Marvi Hai ki Hamare Ek Ustaad The JInke Ek Saathi Ka Inteqal Hogaya To Shaykh ne Unhe Khwab me dekha aur pucha ki Khuda Ne Tumhare Saath Kya Barta’u kiya ?
Kaha Ki Allah Taala Ne Meri Magfirat kardi.
Shaykh Ne Pucha Ki Munkar Nakir Ke Sath Kaise Guzri ?
To Unhone Kaha Aye Shaykh Jab Unhone Mujhe Uthaya Aur Sawalat Kiya To Allah Taala Ne Mujhe Ilhaam Farmaya Ki Unse Kahoo’n ki Abu Baqr Wa Umar (Radiallahuma Azmayeen)Kay Waseela E Jalila Se Tum Mujhko Chodh do,
To Unme Se Ek Ne Kaha Tune Bahot Hi Buzurg Shaksiyat Ka Waseela Pesh Kiya Isliye Isko Chodh do, Chunache Unhone Mujhe Choddiya aur Chale gaye”
(Imam Ibn Jauzi, Kitab Al Muntazam Vol : 15, Pg : 138, #3096)
(Imam Jalaluddin Suyuti Sharausudoor, Baab : Fitna E Kabr Wa Sawalat E Malaika,Pg :256)

Post by Shaikh Sher Ali Hanfi

No comments:

Post a Comment

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers