Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Tuesday 30 April 2019

Ramzan Chand kay Masail Eid Ka Chand



بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيم

Ramzan-ul-Mubarak kay aate hi sabse pahle Musalmano me jo mauzu kuch saalo se bahes ka bana hai wo hai Chand ka yahan tak ab ispe bhi munazre shuru hone lage hai, hamare society me ek tabka wo hai jo Shaban kay 29 tarikh par hi Ramzan kay chand ko jabardasti bahar nikalne pe aamada hojata hai, aur yehi haal Eid kay liye hone lagta hai lihaja ek fitna failaya jaata hai kay Saudi me Chand Dikh gaya falan falan shaher me dikh gaya hamare Maulvi sahab Chand ka kyun ailaan nahi karte In Sha Allah Taala In sabka Jawab Hum Hadees E Paak Se Denge isko padhe aur share karen taaki gumraah gar logo kay fitne se bache.
Chand Dekh Kar Roza Rakho Aur Chand Dekh Kar Eid Karo
Hadees 01 :
“Hazrat Abdullah Ibn Umar Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Wo Kahte Hai Maine Nabi E Akram ﷺ Se Suna Aap ﷺ Ne Farmaya Kay Jab Ramzan Ka Chand Dikhe To Roza rakho aur Jab jab tum (shawwal ka) chand dekho toh roza mouqoof kro – agar mtalaa abr aalood ho toh iss ke liye andaza krlo ”
(Sahih Bukhari, Kitabus Sawm, Hadees : 1900)

Hadees 02 :
“Hazrat Abdullah Ibn Umar Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Nabi E Karim ﷺ  ne Ramzan Al mubarak ka zikar kiya aur farmaya roza nah rakho hatta k chand dekh lo aur aur iss waqt tak roze rakhna band na kro hatta k chand dekh lo phir agar tum per badal cha jaye toh andaza (kar k mahina poora) kro”
(Sahih Bukhari Kitabus Sawm, Hadees : 1906)

Hadees 03 :
Hazarat Abdullah bin Umar Radiallahu Anhu hi se riwayat hai ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya mahina untees (29) raat ka bhi hota hai lehaza tum chand dekh lo toh roza rakho  aur agar mutala aber alood ho to tees din ki ginti poori kro “
(Sahih Bukhari Kitabus Sawm, Hadees : 1907)

Hadees 04 :
Hazrat Abdullah Ibn Abbas Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Nabi E Karim Ne Irshad Farmaya Ramzan Kay Roze Ko Shuru Na Karo Jab Tak Tum Naya Chand Naa Dekhlo, Agar Chand tum par Jahir Naa Ho to 30 Din Muqammal Karo”
(Imam Malik Al Muwatta, Kitabus Sawm, Hadees : 635)
Upar bayan karda in 04 hadees e paak se maloom huwa kay ye farmaan Nabi E Karim ka hai kay 30 din pura kare agar chand naa dikhe to Shawwal ka pura 30 kare aur issi tarah Ramzan Ul Mubarak ka kare, aqsar hota hai yehi hai kay aasman me badal hone ki wajah se Chand nazar nahi aata aisi surat me apne Shaher kay Qazi kay Ailaan ka intezaar kare kay wo kya ailaan karte hai unhe is talluk se koi sharai gawahi hasil huwi yaa nahi aur unke faisle ka intezar kare naaki Phone Watsapp Internet pe pata karle kay UP Bihar Maharastra etc me chand dikh gaya yahan eid kyun nahi Roza Nahi.
ab kuch logo ko ye bhi aitraaz hota hai kay ye Qazi E Shaher ka farmaan par aitamaad Sharayi gawahi ki kya jarurat hai hadees e paak padhe aur soche.
Chand Kay Liye Gawahi Kyun Li Jaati Hai
Hadees 05 :
“Hazrat Abdullah Ibn Abbas Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Ek Baddu, Nabi E Akram ﷺ kay paas Haazir huwa aur Kaha Maine Chand ko Dekha Hai,
Imam Hasan Ibn Ali Radiallahu Anhu Farmate hai Wo Ramzan kay waqt ki baat thi,
Nabi E Karim ﷺ Ne us baddu se Pucha Kya Tu Gawahi Deta Hai Allah Kay Siwaye Koi Mabood Nahi ? Usne Kaha Haan,
Phir Pucha Kya Tu Gawahi deta Hai Muhammad ﷺ Allah Taala Kay Rasool ﷺ Hai ?
Usne Kaha Haan, Phir Usne Chand Dekhne Ki baat Kahi,
Aap ﷺ Ne Hazrat Bilal Radiallahu Anhu Se Kaha Jao Aur Ailan Kardo kay Kalse Roza Rakhe”
(Sunan Abu Dawood, Kitab As Siyam, #2340)
Ahle Madina ko Chand Naa Dikha Magar ek Arab Baddu ko dikha lihaja Nabi E Karim kay paas wo haajir huwa Nabi Ne uski gawahi li aur phir Hazrat Bilaal Radiallahu Anhu ko hukm diya kay ailaan karo kyun aisa ?
Log us Baddu ko sunkar khud rakh sakte they magar jab Nabi ne gawahi li uske baad ailan huwa isliye ab ulema Nabi kay wariseen hai lihaja jab aise mamlaat aate hai Ulema Chand dekhne waale ki sharayi gawahi lete hai kay jisne dekha hai wo kabil e kabool hai yaa nahi agar yakin hojaye to us lihaj se Qazi E Shaher Chand Ka Ailaan Karte hai aur sab par us din se wo Roza shuru - khatm karna lazim hota hai.
Aur Jo Hazrat Chand Kay liye Saudi Ki Council yaa apne shaher ko chodkar dusre mulk state ki council par aitemaad karte hai unhe kya Saal Bhar jo dusre Islami Mahine aate hai usme bhi unhi kay faisle maante hai ? Nahi na. Phir khas Ramzan ul karim kay liye ye fitna kyun karte ho matlab bas ummat me inteshar karna hota hai. Ye sab bas isliye hota hai kay logo ko Ulema E Ahle Sunnat Se badzan kiya jaaye lihaja aap dekhoge har saal kahin na kahin ye log Saudi ya deegar area ko dekh kar ailaan kardete hai aur ummat me fitna karte hai jabki Farmaan E Nabwi ﷺ saaf saaf hai agar Chand Naa Dikhe to 30 Ka Mahina pura karen phir 29 ko karne ki itni jald baji kyun ?
EK AUR FITNA CHOTA CHAND MOTA CHAND KAY NAAM SE Gujista saal ek aur naya fitna choda gaya kay 2018 yaani 1439 Hizri Kay Shawwal ka Chand Mota Tha aur Is bina par Kayi Wahabi Idaro ne Ahle Sunnat ko taana diya kay tumhare Ulema Ne tumhara Ek Roza Chudwa Diya Aur Aam Sunni isse pareshan hogaye aur awaam to Allah Rahem farmaye Har Damru ghumane waale kay piche afwaah me jaa padti hai naa ki ulema se rabta karti hai aur gaali phir ulema ko deti hai
CHAND KAY CHOTE BADE HONE KA MASLA
Imam Muslim (Al Mutwaffa 261 Hizri) Rahmatullah Alaih Ne Apni Sahih Muslim me Ek Baab issi talluk se kayam kiya hai jiska naam hai
باب بَيَانِ أَنَّهُ لَا اعْتِبَارَ بِكُبْرِ الْهِلَالِ وَصِغَرِهِ وَأَنَّ اللَّهَ تَعَالَى أَمَدَّهُ لِلرُّؤْيَةِ فَإِنْ غُمَّ فَلْيُكْمَلْ ثَلَاثُونَ
"IS BAAT KI WAZAHAT KE (PAHLI KE) CHAND KE CHOTE YA BADE HONE KA KOI AITBAAR NHI HOGA- BESHAK ALLAH TALA ISE BADA KARSKTA HAI AUR AGAR BADAL WAGAIRA CHAYE HO TO MAHINE KE 30 DIN PURE KIYE JAYE"
Hadees 06:
“Hazrat Abu’l Bakhtari Radiallahu Anhu Bayan Karte Hai Kay Hum Umraah karne Kay liye rawana huwe Jab hum Batan E Nakhla Mein Pahuche to humne Pahli Ka Chand Dekha,
Hazireen me se kisine Kaha Ye Teesri Raat Ka Chand Hai, to kisine Kaha ye dusri raat ka chand hai,
Jab Hamari Mulaqat Hazrat Ibn Abbas Radiallahu Anhu Se Huwi to humne inhe bataya jab humne chand dekha tha, to kisine kaha kay ye Teesri raat ka chand hai to kisine kaha ye dusri raat ka chand hai,
Hazrat Ibn Abbas Radiallahu Anhu Ne Daryaft Kiya Tumne Konsi Raat me usse Dekha tha ?
Humne Bataya Kay falan falan raat me to Hazrat ibn Abbas Radiallahu Anhu ne Kaha Nabi E Karim ﷺ Ne Irshad Farmaya Allah Taala (Baaz Auqat) dekhne waalon (Ki Sahulat kay liye pahli ke chand ko) Badha Deta hai,
Phir Hazrat Ibn Abbas Radiallahu Anhu ne Farmaya Wo ussi raat ka Chand tha Jisme tumne usse dekha tha”
(Sahih Muslim, Kitabus Sawm, Pg : Baab No 06, #1088 (A))

Ye Pura baab aur uske niche Imam Muslim ne hadees e paak naql ki jisse samajh aagaya ki Chand Mota tha isliye kuch log usse 03 raat purana kah rahe they kuch 02 din aur aisa aqsar aaj bhi hota hai jaisa guzista saal bhi huwa lekin Allah Taala Baaz Auqat Chand ko mota kar deta hai par wo hota Pahli raat ka hi hai, lihaja Mota Chand Patla Chand Naya Chand Purane Chand ki fizul bahes me na uljhe usko ussi raat ka samjhe aur apne Shaher kay Ahle Sunnat Qazi par aitemaad karen.
Allah Pak se dua hai kay logo ko gumrahi se mehfuz rakhe.

CHAND DEKH KAR PADHNE KI DUA
Hadees 07:
Hazrat Talha Ibn Ubaidullah Se Radiallahu Anhu se Rivayat Hai Nabi E Karim Jab Chand dekhte to ye dua padhte

‏اللهم أهله علينا بالأمن والإيمان والسلامة والإسلام، ربي وربك الله، هلال رشد وخير

“Allahumma ahillahu 'alaina bil-amni wal-iman, was-salamati wal-Islam, Rabbi wa Rabbuk-Allah, Hilalu rushdin wa khairin
YAA ILAHI IS CHAND KO HUM PAR BARKAT KAY SAATH AUR IMAAN WA SALAMTI AUR ISLAM (Kay Sath Tulu Farma) AYE CHAND TERA AUR MERA RAB ALLAH TAALA HAI”
(Imam Tirmizi Jamai Tirmizi, Kitab Ad Duwat, #3451)
(Imam Nawawi Riyadusalaheen, Kitabul Fazail, #1228)

Our Detail Post About Ramzan Ul Kareem 
Post 01 : Fazail E Ramzan Quran Hadees Ki Roshni Me Click Here To Read  Fazail E Ramzan Quran Hadees Ki Roshni Me 

Post 02 : Ramzan Kay Chand Kay Mutallik Dalil Se Post Click Here to read  Ramzan Kay Chand Ka Masla 

Post 03 : Sehri Kay Fazail Masail Aur Kiye Jaane Waale Amal  Click To Read Sehrki Kay Fazail Masail Amaal
Post By Shaikh Sher Ali Hanfi

2 comments:

  1. Masha Allah Bahut Acha Kaam Karna Rahe Ho Allah Mazeed barkate ata farmaye....

    ReplyDelete
  2. MASHAALLAH ALLAH MAZEED BARKATEIN ATABFARMAI

    ReplyDelete

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers