Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Monday, 25 March 2019

Fazail E Hazrat Usman E Gani Radiallahu Anhu

 بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ


Hazrat Usman Ibn Affan Radiallahu Anhu Aapki wiladat Aamul Fil kay waqaye hone kay 06 Baras baad Taif Me Huwi.
Aap Radiallahu Anhu ibteda E Islam me hi Syedna Ameerul Momineen Abu Bakr Siddique Radi Allahu Anhu ki tableeg se Islam laaye, Aap Hafize Quran bhi they aur As-Sabiqun al-Awwalun bhi they, 18 Zil Hijjah 35 Hizri Me 12 Saal Mansab E Khilafat me rahne kay baad Aap Radiallahu Anhu ko Mazloom balwayi tabke ne munazzam shazish kay tahet shaheed kar diya.
Imam Jalaluddin Suyuti Rahmatullah Alaih ne Apni Kitab Tarikh Al Khulafa Pg : 159 me Imam Ibn Ishaq Rahmatullah Alaih kay hawale se likha hai kay Aap Syedna Abu Bakr Ali Ibn Abi Talib Aur Zaid Ibn Harisa Rizwanullah Azmayeen kay baad Islam Kabool kiya. Aap Radiallahu Anhu se 146 Hadees E Paak Marvi Hai.
Hazrat Usman Radi Allahu Anhu Ka Nasam E Girami
Usman → Affan → Abu Al Aas → Umayya → Abd Ash Shams → Abd Manaf
Hazrat Muhammad → Abdullah → Abdul Muttalib → Hashim → Abd Manaf

Chunache 05 wi Pusht Se Hazrat Usman E Gani Radiallahu Anhu ka Silsila E Nasab Abd Manaf par jaake Nabi E Akram Se Jaa Kar Mil jaata hai.

Sahibul Hizratain : Aap Radiallahu Anhu ko Sahibe Hizratain bhi Kaha jaata kyuki Aapne Do Hizrat Ki Sabse pahle Habsha jahan Aapne Nabi E Akram ki shahabzadi Hazrat Ruqayya Radiallahu Anha kay Saath Hizrat ki Jisko Ethopia kaha jaata hai Dusri Hizrat Aapne Madina E Munnawara ki.

Hadees 01:
Hazrat Ubaidullah ibn Adi Bin Khayaar Ek Taweel Rivayat Karte Hai Hazrat Usman Bin Affan Radiallahu Anhu Ne Farmaya Beshak Allah Ta’ala Ne Huzoor Nabi E Akram Ko Haque Ke Saath Bheja Aur Mein Un Logo’n Me Se Tha Jinhone Allah Aur UsKe Rasool Kee Da’wat Par Labbayk Kaha Aur Us Par Imaan Laaye Jo Huzoor Ko De Kar Bheja Gaya.
Phir Jaisa Ki Mein Ne Kaha Mein Ne Do Hijratein Kee’n Aur Huzoor Nabi E Karim Ka Rishta-E-Damadi Paaya Aur Mein Ne Huzoor Nabi E Akram Ke Dast-E Mubarak Par Bait Bhi Ki Aur Khuda Ki Qasam Maine Kabhi Huzoor Ki Nafarmani Nahin Ki Aur Na Hi Kabhi Aap Ke Saath Dhoka Kiya Yaha’n Tak Ki Aap Wisaal Farma Gaye.”

(Imam Ahmad Ibn Hanbal Al Musnad, Vol : 01, Pg : 264, #480)
Kunniyat : Abu Amr ya Umar Aur baaj ne Abu Abdullah Kaha.
Hadees 02:
“Hazrat Abu Huraira Radiallahu Anhu Rivayat Karte Hai Kay Ek Dafa’ Ruqayyah Bint Rasool  Mere Paas Aayin Aur UnKe Haath Me Kangha Tha.
Unhone Farmaya Ki Huzoor Nabi E Akram Abhi Abhi Mere Paas Se Gaye Hain.
Mein Ne Aap Ke Mubarak Gesu Sanwaare Hain Aap Ne Farmaya : Aye Ruqayyah Tum Abu Abdullah (Ya’ni Usman) Ko Kaisa Paati Ho ? Mein Ne Arz Kiya Behtareen Insaan.
Aap Ne Farmaya Us Kee Izzat Baja Laao, Beshak Wo  Mere Sahaba Me Se Khulq Ke I’tibar Se Sab Se Ziyadah Mere Mushaabih Hai.
References :
(Imam Ahmad Ibn Hanbal Fazail us Sahaba, Vol : 01, Pg : 284, #834)
(Imam Tabarani Al Mu'jam Ul Kabir Vol :01, Pg : 76 #99)
(Imam Abul Abbas Muhibuddin Tabari, Riyaz Un Nazara Vol : 03, Pg : 14)
Laqab Dhu al-Nurayn (The Possessor of Two Lights) Zunnurain (02 Noor wala) -- 02 Sahibzadiya Ruqayya,Umm Kulsum Hadees 03: “Hazrat Abdulllah Bin Abbas Radiallahu Anhu Huzoor Nabi E Akram Se Riwayat Karte Hain Ki Aap Ne Farmaya Beshak Allah Ta’ala Ne Meri Taraf Wah’iy Farmayi Hai Ki Mein Apni Saahibzadi Kee Shaafi Usman Se Karu’n.” References : (Imam Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, Vol :  01, Pg : 512,#837) (Imam Tabarani Al-Mu’jam-us-Saghir, Vol : 01, Pg : 253, #414) (Imam Tabarani Al-Mu’jam-ul-Awsat, Vol : 04 Pg : 18, #3501) Hadees 04: “Hazrat Ummi Ayaash Radiallahu Anha Se Riwayat Hai Woh Farmati Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabi E Akram Ko Farmate Huwe Suna Ki Mein Ne Usman Kee Shaadi Apni Sahabzadi Umm Kulsoom Se Nahin Kee Magar Faqat Wah’iy E Ilaahi Ki Bina Par” References : (Imam Tabarani Al-Mu’jam ul Kabir, Vol : 25, Pg : 92, #236) (Imam Tabarani Al-Mu’jam ul Awsat, Vol : 05, Pg : 264 #5269) (Imam Haythami Majma Uz Zawaid, Vol : 08, Pg : 83)
Hadees 05:
“Hazrat Abu Huraira Radiallahu Anhu Se Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabi E Akram Apni Doosri Sahibzadi Kee Qabr Par Khade Huwe Jo Hazrat Usman Ke Nikaah Me Thi’n Aur Farmaya :
Khabardar Aye Kunwari Ladki Ke Baap !
Aur Khabardar Aye Kunwari Ladki Ke Bhai !
Is(Meri Beti) Ke Saath Usman Ne Shaadi Ki Aur Agar Meri Das Betiya’n Hoti’n To Mein Un Ki Bhi Shaadi Yake Ba’d Deegare Usman Ke Saath Kar Deta Aur (Un Ke Saath) Usman Ki Shadi Wah’iy-E-Ilahi Ke Mutabiq Ki Aur Beshak Huzoor Nabi E Akram Hazrat Usman Radiallahu Anhu Se Masjid Ke Darwaze Ke Nazdeek Mile Aur Farmaya Aye Usman Yeh Jibra’il Ameen ‘Alayh-is-Salam Hain.
Jo Mujhe Yeh Batane Aaye Hain Ki Allah Ta’ala Ne Tumhari Shaadi Umm Kalthoom Ke Saath Us Ki Bahan Ruqayya (Huzoor Kee Pahli Saahibzadi) Ke Mahr Ke Badle Me Kar Di Hai.”

References :
(Imam ibn Asim As Sunnah, Vol : 02, pg : 590, #1291)
(Imam Tabarani Al Mu'jam Ul Kabir, Vol : 22, Pg : 436, #1063)
Aala Hazrat  Rahmatullah Alaih Farmate hai
Noor Ki Sarkar Se Paaya Do Shala Noor Ka Ho Mubarak Tumko Zunnurain Joda Noor ka

Allah Taala Aur Uska Mehboob Usman Se Muhabbat Rakhte Hai
Hadees 06:
Hazrat Abdullah Bin Abbas Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ki Hazrat Umme Kulsoom Radiallahu Anha Huzoor Nabi E Akram  Ke Paas Aaein Aur Arz Kiya : Ya Rasool Allah Kya Fatima Kay Shohar Mere Shohar Se Behtar Hai ?
To Huzoor Nabi E Akram Ne Thodi Der Ke Liye Khaamosh Rahe fir Farmaya Tumhara Khaawind Allah Aur UsKe Rasool Se Muhabbat Karta Hai Aur Allah Aur UsKa Rasool Us Se Muhabbat Karte Hain Aur Tumhare Liye Mein Mazaeed Izaafa Farmata Hoo’n Ki Agar Tum Jannat Me Daakhil Hogi To Ek Aisa Maqam Dekhogi Ki Mere Sahabah Me Se Kisi Ko Us Maqam Par Nahin Paaogi.”
References :
(Imam Tabarani Al-Mu’jam-ul-Awsat, Vol : 02, Pg : 212, #1764)
(Imam Tabrani Musnad Al Shamiyyin, Vol : 01, Pg : 99, #148)
(Imam Haythami Majma uz Zawaid Vol : 09, Pg :88)
Dast E Aqdas ko Usman Radiallahu Anhu Ka Haath Kahna
Hadees 07:
“Hazrat Anas Bin Malik Radhiyallahu  Anhu Se Riwayat Hai Ki Jab Huzoor Nabi  E Akram Ne Bayt E Rizwan Ka Hukm Diya To Us Waqt Hazrat Usman Bin Affan Radiallahu Anhu Aap Ke Safeer Ban Kar Makkah Waalon Ke Paas Gaye They.
Raawi Kahte Hain Ki Logo’n Ne Huzoor Nabi E Karim Ke Haath Par Bayt Ki.
To Huzoor Nabi E Kareem Ne Farmaya :
Usman Allah Aur Uske Rasool Ke Kaam Me Masroof Hai.
Yeh Farma Kar Aap Ne Apna Ek Haath Dusre Haath Par Maara Pas Hazrat Usman Ke Liye Huzoor Ka Dast-E-Mubarak Logo’n Ke Apne Haatho’n Se (Kai Guna) Accha Tha.”
(Imam Tirmizi, Sunan Tirmizi, Kitab Ul Manaqib, #3702)

Usman E Gani Radi Allahu Anhu Ko Jannat Ki Basharat
Hadees 08:
“Hazrat Abu Moosa Ashari Radiallahu Anhu Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabi E Akram Ek Baagh Me Daakhil Huwe Aur Mujhe Baagh Ke Darwaze Ki Hifaazat Par Maamoor Ne Farmaya Ek Aadami Ne Aa Kar Andar Aane Ki Ijaazat Talab Ki To Aap Ne Farmaya Use Ijaazat De Do Aur Jannat Ki Bashaarat Bhi De Do.
Dekha To Woh Hazrat Abu Bakr Radiallahu Anhu They Phir Doosre Shakhs Ne Aa Kar Ijaazat Talab Ki To Aap Ne Farmaya
Use Bhi Ijazat De Do Aur Jannat Ki Basharat De Do.
Darwazah Khola To Woh Hazrat Umar Radiallahu Anhu They Phir Ek Aur Shakhs Aaya Aur Us Ne Bhi Ijaazat Talab Ki To Aap Thodi Der Khaamosh Rahe Phir Farmaya :
Use Bhi Ijaazat De Do Aur Jannat Ki Bashaarat De Do Un Masa’ib Wa Mushkilaat Ke Saath Jo Use Pahunchegi, Dekha To Woh Hazrat Usman Radiallahu Anhu They.”
References :
(Sahih Bukhari, Kitab Ul Manaqib, Baab : Manaqib E Usman Ibn Affan Radiallahu Anhu, #3695)
(Sahih Bukhari, #7262)

Jannat Me Nabi Kay Rafiq
Hadees 09:
“Hazrat Talha ibn Ubaidullah Radiallahu Anhu Se Riwayat Hain Huzoor Nabi Ne Farmaya Har Nabi Ka Rafiq Hota Hai Aur Jannat Me Mera Rafiq Usman Radiallahu Anhu Hai.”
References :
(Imam Tirmizi  Sunan, Vol : 05, Pg : 624, Kitab Ul Manaqib, #3698)
(Imam Ibn Majah Sunan, Vol :  01, Pg : 40, Kitab Al Muqaddimah, #109)
(Imam Ahmad Bin Hanbal Fazail Us Sahaba, Vol : 01, Pg : 401,#616)
(Imam Abu Ya'la Al Musnad, Vol :  02, Pg : 28, #665)
(Imam Ibn Abi Asim Sunnah, Vol : 02, pg : 589, #1289)
Ummat Me Sabse Zyada Hayadar
Hadees 10:
Hazrat Abdullah Bin Umar Radiallahu Anhu Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabi E Akram Ne Farmaya Mere Ummat Me Se Sab Se Ziyadah Hayaadaar Usman Bin Affan Hai
References :
(Imam Ibn Asim As Sunnah, Vol : 02, Pg : 587, #1281)
(Imam Abu Nu'aym Hilyat Ul Auliya Vol : 01, Pg : 56)
Aaj Se Usman Kuch Bhi Kare Uspe Koi Pakad Nahi
Hadees 11:
Hazrat Abdur Rahman Ibn Khabbab Radiallahu Anhu Se Marwi Hai Farmate Hai Mai Nabi E Karim Ki Bargaah E Aqdas Me Hazir tha Huzoor Nabi E Akram Ghazwa E Tabuk kay liye Targeeb irshad farma rahe they Hazrat Usman Ibn Affan Radiallahu Anhu ne Uthkar Kaha Ya Rasool Allah ! Palan aur deegar mutallika Saaman samet 100 Oont(Camel) Mere jimme hai.
Huzoor Nabi E Karim Ne Sahaba E Kiram Rizwanullahim Azmayeen Se phir targeeban farmaya Dobara Hazrat Usman E Gani Radiallahu Anhu Khade Huwe aur Arz Ki Ya Rasoolullah ! Mai 200 Oont(Camel) Mere jimmedari leta hoon.
Huzoor Nabi E Karim Ne Sahaba E Kiram Rizwanullhim Azmayeen Se phir targeeban farmaya Dobara Hazrat Usman E Gani Radiallahu Anhu Khade Huwe aur Arz Ki Ya Rasoolullah ! Mai 300 Oont(Camel) Mere jimme Kabool karta hoon.
Ye Sunkar Nabi Ne Apne Mimber se niche utar kar Aaj se Usman Jo kuch kare usse Koi Muwa-khaza (puchtach) Nahi”
(Imam Tirmizi, Jamai Tirmizi, Kitabul Manakib, #3700)

Hazrat Usman E Gani Radiallahu Anhu Ki Saadgi
Hadees 12:
“Hazrat Surahbil Ibn Muslim Radiallahu Anhu Farmate Hai Hazrat Usman E Gani Radiallahau Anhu Logo Ko Ameero Waala Khana Khilate aur khud Ghar Jakar Sirka aur Zaitoon Par Gujara Karte”
(Imam Ahmad Ibn Hanbal, Kitabuz Zuhd Pg :100, #684)

Hazrat Usman Ka Khauf E Ilahi
Hadees 13:
“Hazrat Usman Radiallahu Anhu Jab Kisi Kabr Kay Pass Khade Hote to itna rote kay Aansuo Se Apki Dadi Tarr Hojati”
(Imam Tirmizi Jamai Tirmizi Kitabuz Zühd, #2308)
(Imam Abu Nu'aim Hilyatul Auliya, Vol : 01, Pg : 139)

Gustakh E Usman E Gani Ka Janaza Naa Padha
Hadees 14:
“Hazrat Jabir Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi E Karim Ki Khidmat Me Ek Janazah Laaya Gaya Us Par Namaz Padhi’n Magar Aap Ne Us Par Namaz Nahin Padhi Arz Kiya Gaya Ya Rasool Allah Hum Ne Aap Ko Kisi Ki Namaz E Janazah Chhodte Nahin Dekha Aap Ne Farmaya Yeh Usman Se Bughz Rakhta Tha To Allah Ne Bhi Is Se Bughz Rakkha Hai.”
References :
(Imam Tirmizi, Sunan Kitabul Manakib, #3709)
(Imam Ibn Asim Sunnah, Vol : 02, Pg : 596, #1312) Usman Ahle Jannat Se Hai
Hadees 15: Hazrat Abdulllah Bin Umar Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ki Mein Huzoor Nabi E Akram  Ke Saath Tha Us Dauran Ek Aadmi Huzoor Nabi E Akram Ke Paas Aaya Aur Usne Aap Ke Saath Musaafaha Kiya To Huzoor Nabi E Kareem   Ne Apna Haath Us Shakhs Se Haath Se Us Waqt Tak Na Chudaya Jab Tak Khud Us Aadmi Ne Aap Haath Na Chhoda Phir Us Aadmi Ne Aap Se Arz Kiya Ya Rasool Allah   ! Hazrat Usman Tashrif Laaye Hain Aap Ne Farmaya Woh Ahle Jannat Me Se Hai.” References : (Imam Tabarani Al Mu’jam al Awsat, Vol : 01, Pg : 98, #300) (Imam Tabarani Al-Mu’jam al Kabir,  Vol : 12, Pg : 405, #13495)


Puri Jannat Usman E Gani Radiallahu Anhu Se Chamak Uthegi Hadees 16: Hazrat Sahl Bin Saad Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ek Aadami Ne Huzoor Nabi E Akram   Se Puchha Kya Jannat Me Bijli Hogi Aap Ne Farmaya Haa’n Us Zaat Kee Qasam Jis Ke Qabza E Qudrat Me Meri Jaan Hai ! Beshak Usman Jab Jannat Me dakhil Hoga To Poori Jannat Us Kee Wajah Se Chamak Utthegi." Reference : (Imam Hakim  Al-Mustadrak, Vol :  03, Pg : 105, #4540)

Shahadat E Usman E Gani Radiallahu Anhu Ka Bayan Hadees 17: Hazrat Anas Bin Malik Radi Allahu Anhu Se Riwayat Hai Huzoor Nabi E Akram   Uhad Pahaar Par Tashreef Ley Gaye Aur Aap Key Humraah Hazrat Abu Bakr, Hazrat Umar Aur Hazrat Usman Radialalhua Anhuma Azmayeen Bhi They Achanak Pahaar Un Key (Aaney Ki Khushi) Key Ba’is (Joshe Musarrat Sey) Jhoomney Laga To Aap Ney Farmaya : Aye Uhad! Thahar Ja,  Tujh Par Ek Nabi, Ek Siddique Aur Do Shaheed Hain.” References : (Sahih Bukhari Vol : 05, Pg : 27  Kitab Al Fazail E Sahaba,Hadees : 3675 (Sahih Bukhari Hadees : 3686) (Sunan Abu Dawood  Hadees : 4651) (Jamai Tirmizi  Hades : 3697) Yahan Siddique Se Murad Abu Baqr Radiallahu Anhu Hai Aur Do Shaheed Se Murad Ek Farooque E Azam Aur Ek Syedna Usman E Gani Radiallahu Anhu Hai. Hazrat Usman E Gani Ko Mazloom Shaheed Kiya Jayega Hadees 18: “Hazrat Abdullah Bin Umar Radiallaha Anhu Se Riwayat Hai Huzoor Nabi E Karim Ne Fitne Ka Zikr Kiya Aur Hazrat Usman Bin Affan Radiallahu Anhu Ke Muta’alliq Farmaya Us Me Ye Mazlooman Shaheed Hoga” (Imam Tirmizi Sunan, Vol : 05, Kitabul Manakib, #3708) Imam Tirmizi Kahte Hai Ye Hadees Hasan Hai.
Khwab Me Rasoolullah Ki Basharat Iftar Hamare Saath Karoge Hadees 19: “Hazrat Abdullah Bin Umar Radiallahu Anhu Bayan Karte Hain Ki Subh Ke Waqt Hazrat Usman Radiallahu Anhu Ne (Hamein) Farmaya Beshak Mein Ne Huzoor Nabi E Akram Ko Guzashta Raat Khwaab Me Dekha Hai Aap Ne Farmaya Aye Usman Aaj Hamare Paas Rozah Iftar Karo  Pas Hazrat Usman Radiallahu Anhu Ne Rozah Kee Haalat Me Sub’h Kee Aur Usi Roz Nahi Shaheed Kar Diya Gaya” Reference : (Imam Hakim Al Mustadrak, Vol : 03, Pg :110, #4554) Hadees 20: “Hazrat Usman ibn Affan Radiallahu Anhu Ke Khadim Hazrat Muslim (Abu Saeed) Se Riwayat Hai Ki Hazrat Usman Radiallahu Anhu Ne Bees 20 Ghulamo’n Ko Aazaad Kiya Aur Ek Paajaama Mangwaya Aur Use Zayb Tan Kar Liya, Use Aap Radiallahu Anhu  Ne Na To Zamanae Jaahiliyyat Me Kabhi Pahna Tha Aur Na Hee Zamana E Islam Me, Phir Unhone Bayan Kiya Ki Mein Ne Guzashta Raat Huzoor Nabi E Akram Ko Khwaab Me Dekha Hai Aap  Ke Saath Abu Bakr Wa Umar Radiallahu Anhuma Bhi Hain, Un Sab Ne Mujhe Kaha Hai Aye Usman ! Sabr Karo Pas Beshak Tum Kal Iftaari Hamare Paas Karoge Phir Aap Radiallahu Anhu Ne Mus’haf Mangwaya Aur Us Ko Apne Saamne Khol Kar Tilawat Farmane Lage Aur Usi Asna Me Aap Radiallahu Ta’ala ‘Anhu Ko Shaheed Kar Diya Gaya Aur Woh Mus’haf Aap Ke Saamne Hi Tha.” Reference : (Imam Ahmad Ibn Hanbal Al Musnad, Vol : 01, Pg : 72, #526)

Post By Sher Ali Hanfi

3 comments:

  1. Farooq sahab ne jo bayan diya tha Sayyedna usman e gani raziyallahu taala anhu par k aap se Qiyamat k din hisaab kitaab nahi liya jai ga ye haddis isme. Maujood nahi hai agar hai to plzz post zaroor kare

    ReplyDelete

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers