Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Thursday 11 January 2018

Hadees E Abdal

بسم الله الرحمن الرحيم 

Topic : Hadees E Abdal 

Daur E haazir me hamare jamane me ek aisa firqa wajood me hai jisne apna

naam to Wahabi se Ahle hadees Aur Musalman Mumalik me khud ko SALAFI rakha par naa to kabhi hadees padhi hai naa hi unke aqaid aur amal hai hadees kay mutabik hai na salaf kay.
Is Firqe ki ek badi nishani hai kay ye ummat ko Allah Paak kay waliyo se dur karne ka har mumkin kaam jo kar sakte hai karte hai phir ye khauf bhi nahi karte kay unki gustakhi karke Allah Taala Se jung le rahe hai unka inkaar karke munkireen e hadees bhi ban rahe hai par chunki ummat me tafarka daalna maksad hai unka amal mission badastur chalu hai.
Awliya Allah k Makam Aur Martabe k Lihaj se phir unme bhi Darje hote hai ye bande Allah Taala k nazdik wo kurbiyat paate hai jo aam farishto ko bhi nahi mil paati aur unhe wo ata kiya jaata hai jo aam insaan kay samajh soch o fikr se bhi baa’la tar hai. 
Ye jamat hakiki maayne me Jameen par Allah Taala kay khulfa hote hai. 
Wahabi Shaykho Ne Yaha Badi Chalaki dikhayi aur awaam k dil dimag me ye baat daalne ki har wakt koshish ki hai k kisi tarah saabit karde k Auliya Allah k jo ye darje hai Gaus,Abdal,Qutoob wagairah ye tamam chiz Brahmano Se Unani falsafo se aayi hai jinka talluk Islam se Nahi hai balki jhooth ki inteha hai kahte hai iski izaad Ahmad Raza Khan Aala Hazrat Alaihrehma ne ki hai.
Ye fakat jhoot aur galat afwaah faila kar Musalmano ko in Auliya Allah se dur karne ka ek tarika hai yaha hum saabit karenge k Auliya k ye darje hai Gaus,Abdal Maan na ye chiz koi aaj k India Pakistan se aayi balki Hadees e Paak me iska zikr hai.
Par Aaye pahle ek bunyaadi Chiz Dekhe Kya Har Musalman Ek Darje kay hai yaa unme bhi Ek Musalman Dusre Musalman se darje me alag hai baaj ko baaj par makam aur martabe k lihaj se fazilat hai. 
Quran Me Awliya Allah Ka kaafi Zikr hai jisme ek mashoor ayat e karima hai 
Ayaat 01: 
أَلا إِنَّ أَوْلِيَاء اللّهِ لاَ خَوْفٌ عَلَيْهِمْ وَلاَ هُمْ يَحْزَنُونَ
“Sunn Lo Beshak Allah k Waliyo Par Na Kuch Khauf hai Na Gum” (Surah Yunus Ayat 62)
Chunache yaha hum unke darjaat k lihaj se naam aur hadees se inke wajood (existence) ko likh rahe hai.

* Gaus (Madadgaar)
* Qutoob (Pole)
* Nuqaba (Chiefs)
* Awtaad (Pegs)/Aqtab (Poles)
*  Abraar (Pious) 
* Abdal (Substitutes)
* Akhyaar (Chosen)
Imam Jalaluddin Suyuti Alaihrehma (Al Mutwaffa 911 Hizri) ne is unwaan pe apne Fatawa Al Hawi me baab kayam kiya Baab no 70 me naam rakha    
“Al-Khabarud Dal ala Wujudi’l Qutubi wa’l Awtadi wa’n Nujabayi wa’l Abdal” Aur apne Fatawa Al Hawi Lil Fatawi me likhte hai 
“Ye Baat Mujh Tak Pahuchi k kuch log jinhe kuch ilm nahi wo is baat ka inkar  karte hai Jo Auliya me hoti hai jinhe Abdaal, Nujaba, Awtaad Aur Aqtaab hai halanki unke wajood par bahot si hadisey aur rivayat mauzood hai, Lihaja Ispe maine is kitab me rivayat jama ki hai jo nafa degi aur jaan le k jo munkir hai iske unhe koi ahemiyat na de”
Iske aage Imam Suyuti ne Un Sahaba kay naam likhe jinse unhone in rivayato  ko naql kiya hai Hazrat Umar ibn Khattab, Hazrat Ali ibn Abu Talib, Hazrat Anas ibn Malik, Hazrat Huzaifa Ibn Yaman, Hazrat Ubada Ibn Saamit, Hazrat Abdullah Ibn Abbas, Abdullah ibn Amr, Hazrat Abdullah Ibn Masood, Hazrat Auf ibn Malik, Hazrat Wasela ibn Aski,  Hazrat Maaz Ibn Jabal, Hazrat Abu Saeed Khudri, Hazrat Abu Darda, Hazrat Abu Hurraira, Ummul Momineen Umme Salamah Radiallahu Anhuma Azmayeen. 
(Al Hawi Lil Fatawi Vol : 02, Pg : 229 - 230, Chapter 70 Al Khabaru Dal Ala Wujudi'l Wa'l Awtadi Wa'n Nujabayi Wa Al Abdaal) 

Scan Page : Al Hawi lil Fatawa Page 229 - 230 Front Cover & Scan Page

Uske Baad Imam Suyuti Alaihrehma Ne Agle 15 Safo Tak 50 Rivayat Jama Ki Hai  Iske wajood par yahan hum kuch hadees e paak Abdal kay wajood pe scan pages kay saath jama kar rahe hai jisme baaj Zaeef hai to baaj hadees Sihat se sahih hai jisko padhne kay baad aapka dil wa dimaag yakini taur pe khush hojayga Aur Imaan Taaza Hojayga.
Hadees 01: 
Shurai Ubaid radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Hazrat Ali Radi Allahu Anhu Jab  Iraq Me They To Unki Mauzoodgi Me Ahle Shaam Kay logo Ka Zikr Kiya gaya. Logo Ne Kaha Aye Ameerul Momineen Ahle Shaam Par Lanaat Karein, Hazrat Ali Radiallahu Anhu Ne Farmaya Nahi Mai Un Par Lanaat Nahi Karunga, Maine Rasool Allah ﷺ Se Suna Hai Shaam Me Abdaal Raha karte Hai Jinki Tadad 40 Hai. Jab Unme Se Koi Ek Intekal Farmata hai to Allah Taala Uski Jagah Dusre Ko Mukarrar kar deta hai Aur Unhi Kay Sadqe tum par barish hoti hai Unhi Kay Sadqe Rizk Ata Kiya Jaata Hai Tum Dushmano Par Fateh paate Ho Aur  tumse Musibat Taali Jaati Hai”
References : 
(Musnad Ahmad Ibn Hanbal Vol :  01, Pg : 438, Hadees : 896) 
(Hafiz Ibn Kathir, Jami Al Masaneed Wa Sunan , Vol : 01, Pg : 230/231, Hadees :2920)
(Mishkat Al Masabih , Baab Zikr E Yamani ,Hadees : 6015) 
(Imam Tabrani Al Majma Ul Kabeer Vol : 10, Pg : 181, Hadees : 10390)
(Imam Haythami Mazma Uz Zawaid, Vol : 10, Pg : 63)

Scan Page Musnad Ahmad 


Scan Page Jami Al Masaneed Wa Sunan Ibn kathir


Hadees 02 :
“Hazrat Anas ibn Malik Radiallahu Anhu Se Rivayat hai Nabi E Akram ﷺ Ne Irshaad Farmaya Jamin un 40 shakhs se Khali naa hogi jinka Qalb Hazrat Ibrahim Alaihsalam kay qalb pe hoga unhi kay waseele se Allah fateh aur barish dega unme jab bhi kisi ka inteqal hota hai ALLAH Taala Uske jagah kisi dusre ko mussallat kar deta hai”
Hazrat Qatada Kahte hai hume is par koi Shak nahi kay Hazrat Hasan Basari unme se ek hai”
References : 
(Imam Tabarani Al Mujam Al Awsat Vol : 04, Pg :247, Hadees : 4101)
(Imam Tabarani Al Mujam Al Kabir Vol : 10,Pg : 224, Hadees : 10390)
(Imam Abu Nu’aym Asfahani Marifat As Sahaba, Hadees : 4013)
(Imam Ibn Asaqir Tareekh Vol : 01, Pg : 298)
(Imam Haythami Majma Az Zawaid Vol : 10, pg : 63 , Hadees : 16675 , Farmaya Ye hadees Hasan hai)

Issi tarah ki ek hadees Imam Ibn Hibban ne Tarikh me Hazrat Abu Hurrairah Radiallahu Anhu Se Naql ki 
Scan page Mujam Al Awsat Lil Tabarani 

Hadees 03: 
“Hazrat Abdullah Ibn Jarir Radiallahu Se Rivayat hai Wo Kahte Hai Maine Hazrat Ali Radiallahu ko ye Farmate huwe Suna Aye Logo Ahle Shaam Par Lanaat Naa Kare Kyuki Unme Abdaal Rahte Hai, Haan Unhe Bura Kaho Jo unme Jaalim Hai”
References : 
(Imam Hakim Al Mustadraq Vol : 04, Pg : 596, Hadees : 8658)
(Imam Ahmad Fada’il as-Sahaba Vol : 02, Pg : 905)
(Imam Abdur Razzaq Al Musannaf, Vol : 11, Pg : 249 Hadees : 20455) 
(Imam Tabarani Al Mu’ajul Awsat, Vol : 04, Pg : 176 , Hadees : 3905)
(Imam Ibn Abi Dunya Kitab Al Awliya’, Hadees : 70)
(Imam Bayhaqi Dala’il Un Nubuwwa, Vol : 6 Pg : 449)
(Imam Haythami Mazma Uz Zawaid, Vol : 07 Pg : 317 )
(Imam Ziya Al-Maqdisi Ahadees Al Mukhtara, Vol :02, Pg : 111- 12)
Imam Ziya kisi hadees ko al Mukhtara me naql karna gair muqalideen kay nazdeek kam az kam wo hadees ka hasan hona saabit hai. 
(Imam Ishaq ibn Rahawayh Kitabul Matalib, Vol : 03, Pg : 377) 
(Imam Nu’aym ibn Hammad , Kitabul Fitan Hadees : 651 Sahih Sanad), 
(Imam Ibn ‘Asakir, Tareekh Vol :01, Pg :296-97)
(Imam Busiri  Vol : 10, Pg : 332, Hadees : 7930) 
Sanad Sahih 
Scan Page Imam Hakim Al Mustadraq Farmate hai ye hadees Sahih hai 


Hadees 04 :
Hazrat Abdullah ibn Masood Radiallahu Anhu Nabi E Karim ﷺ Ne Irshad Farmaya Meri Ummat me 40 log aise rahenge jinke dil Hazrat Ibrahim Alaihisalam Kay Qalb ki tarah hai inke wajah se Allah Jameen se azaab ko taal deta hai inhe Abdaal Kaha jaata hai. 
References : 
(Imam Tabarani Al Mujam Ul Kabeer Vol : 10, Pg : 224, Hadees :10390)
(Imam Abu Nuayam Hilyatul Awliya Vol : 07, 173) 

(Imam Haythami Al Majma Uz Zawaid, Vol : 10, Pg : 63)
Scan Pages Mujam Ul Kabeer 


Aisi kam az kam 50 Rivayat khud Imam Suyuti Rahmatullah Alaih ne apne Al Hawi lil Fatawa me naql ki hai deegar sahaba aur tabain se zyada tafseel kay liye usse refer karen ab yahan itni hadees e paak se ye to saaf wajeh hai kay ABDAL ka wajood hai to gair muqallid firqa e wahabiya iska khul kay inkaar karta hai mumkin ho in hadees ko padhke koi wahabi apna ye mantik laa de kay bhai ye to us waqt kay they sahaba kay baad koi nahi raha. Lihaja yahan hum 02 hadees pesh kar rahe hai jo is masle me naaki puri wajahat karegi balki Haq jamaat jannati jamaat ki nishani bhi saamne rakhdegi. 
Imam Bukhari kay dada ustad Imam Ibn Abi Shayba apni hadees ki kitab Al Musannaf me hadees likhte hai 
Hadees 05: 
عن أم سلمة رضي االله عنها, قالت: قال رسول االله ﷺ يبايع لرجل من أمتي بين الركن والمقام كعدة أهل بدر
, فيأتيه عصب العراق وأبدال الشام
“Hazrat Ummul Momineen Umme Salama Radiallahu Anha Riwayat Karti Hain Ke 
Rasoolullah ﷺ Ney Farmaya Meri Ummat Key Ek Shakhs (Mahdi) Ki Rookn Aur Maqaame Ibrahim Key Darmiyan Ahle Badr Ki Tadad (313 Afraad) Ki Misl Bayt Ki Jaayegi. Is Key Baad Us Imam Key Paas Iraq Key Awliya Aur Shaam Key ABDAAL (Bayt Key Liye) Aayenge.
References : 
(Imam Ibn Abi Shaybah Al Musannaf, Vol :  07 Pg : 460, Hadees : 37223)
(Imam Hakim Al Mustadrak, Vol : 04, Pg : 478, Hadees : 8328)
(Imam Tabarani Al Mujam ul Kabir Vol : 23, Pg : 296,390, Hadees : 656, 930)
(Imam Manawi  Fayd-ul-Qadir Vol : 6, Pg : 277)
(Imam Hussamul Hindi, Kanz-ul-Ummal Vol : 04, Pg : 271, 272, Hadees : 38696)
(Imam Jalaludin Suyuti Tafseer Durr Al Mansoor Vol : 5, Pg :241)
Scan page Al Musannaf ibn Abi Shayba 


Hadees 06:
عَنْ أُمِّ سَلَمَةَ، زَوْجِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم عَنِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم قَالَ ‏"‏ يَكُونُ اخْتِلاَفٌ عِنْدَ مَوْتِ خَلِيفَةٍ فَيَخْرُجُ رَجُلٌ مِنْ أَهْلِ الْمَدِينَةِ هَارِبًا إِلَى مَكَّةَ فَيَأْتِيهِ نَاسٌ مِنْ أَهْلِ مَكَّةَ فَيُخْرِجُونَهُ وَهُوَ كَارِهٌ فَيُبَايِعُونَهُ بَيْنَ الرُّكْنِ وَالْمَقَامِ وَيُبْعَثُ إِلَيْهِ بَعْثٌ مِنَ الشَّامِ فَيُخْسَفُ بِهِمْ بِالْبَيْدَاءِ بَيْنَ مَكَّةَ وَالْمَدِينَةِ فَإِذَا رَأَى النَّاسُ ذَلِكَ أَتَاهُ أَبْدَالُ الشَّامِ وَعَصَائِبُ أَهْلِ الْعِرَاقِ 
Hazrat Umme Salama RadiAllahu Anha Rivayat Karti hai RasoolAllah ﷺ ka Irshad naqal Karti hain ke ek khalifa ke wafaat ke baad (naye khalifa keintekhaab par Madina ke musalamano me) ikhtelaf hoga. 
Ek shakhs (yaani Mahdi is khayal se kahi log mujhe na khalifa bana den) Madina se chale jaenge. Makka ke kuch log (jo Unhe ba-haysiyat-e-Mahdi pehchan lenge) Unke paas aaenge aur unhe (makaan) se baahar nikaalkar Hajr-eAswad wa Maqam-e-Ibrahim ke darmiyan Unse Baiyat (-e-Khilafat) karlenge. 
(Jab Unki khilafat ki ki khabar aam hogi) to  Mulk-e-Shaam se ek lashkar unse jang keliye rawana hoga (jo Aap tak pahunchne se pehle he) Makkah wa Madina ke darmiyan Baida (chatiyal maidan) me zameen ke andar dhansa diya jayega. (Is ibrat khez halakat ke baad) Shaam ke Abdal aur Iraq ke Aulia aakar Aapse Baiyat-e-Khilafat karenge.
References :
(Sunan Abu Dawood, Kitabal Mahdi, Pg : 467 Hadees : 4286)
(Imam Ahmad Ibn Hanbal Al Musnad Vol : 06, Pg : 316)
(Imam Ibn Abi Shayba Al Musannaf Vol: 08, Pg : 609)
(Imam Abdur Razzaq Al Musanna Vol : 11, Pg : 371, Hadees : 20769)
(Imam Tabarani Al Mujam Al Awsat Vol : 02, Pg : 35, Hadees : 1153)
(Imam Ibn Hibban As Sahih Vol : 15, Pg : 158-59)
(Imam Abu Yaala Al Musnad Vol : 12, Pg : 370, Hadees : 6940)
(Imam Ibn Asakir Tarikh E Damish Vol : 01, Pg :292 - 93)
(Imam Hakim Al Mustadraq Vol : 04, pg : 431)
(Imam Haythami Mazma Uz Zawaid Vol : 07, Pg : 315)
(Imam Khatib Tabrezi Mishkat Al Masabih Vol :03, pg : 171, Kitabul Fitan, Hadees : 5456)
(Imam Hussamudin Hindi Kanjul Ummal Vol :14, Pg : 265, Hadees : 38668)
Scan Page Sunan Abu Dawood


Ye hadees e paak se wajeh huwa k Abdaal is ummat me hamesha honge
yahan tak kay Imam Mahdi Radiallahu Anhu kay haath jo Giroh unko
pahchanega wo koi Aam Musalman nahi balki Abdaal hi honge jo sabse
pahle Imam Mahndi Radiallahu Anhu kay haath me bayt karenge. 
Ab yahan jo sabse ahem nuqta hai har firqa khud ko haq pe hone ka dawa karta hai par ye bhi sab maante hai kay Imam Mahndi kay giroh me jo hoga wo haq pe hoga ab yahan in hadees ko padhne kay baad saaf saaf maloom
hota hai kay jo jamaat Imam Mahndi Radiallahu Anhu ki aakhri jamane me shinakt karegi unke haath pe bayt karenge wo jamaat khud Abdaal ki hogi to jo asal me wo Abdaal ka hi inkaar kare wo Imam Mahndi Radiallahu Anhu ka iqraar kaise karega ? 
Wahabi to Abdaal maan na hi Shirk Biddat kah rahe hai aur hadees to aakhri jamane me Imaan ki shinakt hi Abdal kay jariye karwa rahi hai Aur Jo unki mukhalifat kare wo dajjal ka saathi banega isliye ye munafik wahabi ye mission dar asal hume Abdal se hatane kay liye nahi balki wo future me Haq se Imam Mahndi Radiallahu Anhu Se hi hatane kay liye hai taaki inke Saudi Aaka jo Yahud kay gulaam hai khush hojaye aur Dajjal ko jagah mile Munafik to saath hi honge uske, To Jo Allah Kay Wali Abdaalo ko manega wohi Imam Mahndi kay haath me unke lashkar me shamil hoga unse bayt karke unko Khalifa tasleem karega asal masla ye hai hum jaante hai hum aam Wahabi to is baat ko janta nahi par farmaya hai Na Rasoolullah ne Musnad Ahmad ki rivayat Gumraah Ulema Se bhi is ummat ko khatra hai Ibn Kathir likhte hai kay Is Ummat pe Quran ka bhi khatra hai kay iske padhane waale Munafik bhi honge Aaj Wohi Horaha hai log aise logo se Deen Sikh Rahe hai jinhe Court Pant English Stage ko dekh kay muttasir hojate hai kay kitne padhe likhe hai hawale dete hai.
ALLAH TAALA HAMARE SUNNIO KO SAMAJH ATA KARE. 
Ab Mumkin ho yahan ye ek sawal leke aajaye Munafik kay agar Wajood E Abdaal Itna ahem tha to Imam Bukhari ne is tarah ki hadees kyun naa likhi ? Siha Sitta me humne hadees no 06 Sunan Abu Dawood me iska ek hawala diya hai aur Khud Imam Bukhari se bhi bade Aimma Imam Ahmad Ibn Hanbal aur Imam Bukhari Aur Imam Muslim kay ustaad dada ustaad ki kitab kay hawale bhi jagah diye kay wo bhi in hadees ko apni kitab me naql karke bata rahe hai, 
Ab yahan hum aur kuch aisi dalil de rahe hai jo koi wahabi inkaar nahi kar sakta balki Imam Ibn Majah, Imam Abu Dawood Aur Imam Bukhari kay nazariye ki bhi wajahat hojaygi.

Proof 01 :
Imam Ibn Majah Al Mutwaffa 275 Hizri apni Sunan me hadees ki 
sanad likhte hai
حَدَّثَنَا يَحْيَى بْنُ عُثْمَانَ بْنِ سَعِيدِ بْنِ كَثِيرِ بْنِ دِينَارٍ الْحِمْصِيُّ، - وَكَانَ يُعَدُّ مِنَ الأَبْدَالِ -
Imam Ibn Majah Radiallahu Anhu Hazrat Yahyah bin Uthmaan bin Saeed Radiallahu Anhu ko Hadees Ki Sanad Me hi ABDAAL Likh rahe hai.
(Sunan Ibn Majah Vol : 04,  pg : 365, Hadees : 3348)

Proof 02 :
Imam Abu Dawood Aur Imam Abu Jafar ka 
Aqeeda Hadees naql karte huwe Sanad bayan karte Imam Abu Dawood Hadees naql karte huwe likhte hai Hadees ki Sanad me 
حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ عِيسَى، حَدَّثَنَا عَنْبَسَةُ بْنُ عَبْدِ الْوَاحِدِ الْقُرَشِيُّ، قَالَ أَبُو جَعْفَرٍ - يَعْنِي ابْنَ عِيسَى  كُنَّا نَقُولُ إِنَّهُ مِنَ الأَبْدَالِ قَبْلَ أَنْ نَسْمَعَ أَنَّ الأَبْدَالَ 
Muhammad bin Isaa → Ambasa ibn Abdul Wahid Al Qurahi ko Abdaal Jaante They.
Reference :  
(Sunan Abu Dawood Vol : 03, Pg : 492 Kitabul Kharaj,Wai Fai Wal Amararah , Hadees : 2990)
Yaani Imam Abu Dawood ye Likh kay apna nazariya pesh kar rahe hain

Proof 03 : Imam Bukhari Ka Abdaal Kay Talluk Se Nazariya apni kitab Tareekh Ul Kabeer me likhte hai 
“Logo ko Isme koi Shak Nahi Tha Kay Farwa ibn Mujalid Abdaal Hain”
Reference : 
(Imam Bukhari Tarikh Ul Kabeer Vol : 07, Pg : 127, )
Scan Page 
Ab Aakhri me Ek hawala us Azeem Hasti Ka jo tamam Sunniyo ki Dili dhadkan hai Syed Peeran E Peer Meera Dastageer Shaykh Mohiuddin Abdul Qadir Al Gilani Gaus E Aazam Radiallahu Anhu ka us baare me nazariya Apni mashoor kitab me Tarbiyat kay baab me Jab Hazrat Adam Alaihisalam ka Aur Huzoor ﷺ ka Apne Sahaba unke tabain kay tarbiyat peer muridi kay ahkaam likhte huwe likhte hai
“Tamam AULIYA ALLAH Aur ABDAAL Aur Siddiquen Ka Silsila bhi is tarah chalta aaya hai koi ustaad huwa koi shagird”
(Gunyatutalibeen Fi Tarikhul Haq pg : 449 Baab 25 )
Scan Page


Ab itne saare dalail humne yahan wajah scan kay saath likhe hai aise aur bhi hai par jo haq parast hai unke liye itna kaafi hai aur jinke dil me hasad hai waliyo se unhe hazaro bhi kaafi nahi hai. 
Huzoor ﷺ Kay Farmaan Se Leke Sahabi Tabain Aimma Muhadiseen Salaf sabka aqeeda yehi tha jo aaj hamara hai inme se koi samjha kay Abdaal kaa wajood tasleem karna shirk hai biddat hai aaj 1400 saal baad naam nihad Ahle Hadees ko wo samajh aaya hai ? 
Aur wo apne fatwa factory ki machine se kis kisko mushrik kah rahe hai biddati kah rahe hai ? 
Gaur O Fikr Karne ka makam hai unke liye. 
Sochne ki baat hai jo Ahle Sunnat logo ko Quran Wa Hadees Salafus Salaheen ka mazhab maslak dikha rhi hai aaj usiko Mushrik Aur Biddati kaha jaa raha hai aur jo firqa nayi nayi biddat nikal kay har cheez ko hi inkaar kar raha hai wo haq par hone ka gurur kar raha hai. 
Keep Our Remembrance In Dua Post by Shaikh Sher Ali Hanfi

8 comments:

  1. Replies
    1. If you want to join Ahle sunnaah female group you can msg me
      +919004706234

      Delete
  2. Haq Haq Haq
    Allaah Paak Rasoolullaah Sallallaahu Alaihi Wasallam Ke Sadqa O Tufail Se
    Awliyaa Allaah Paak Ke Sadqe
    SHO Ko Aur Kaamyaabi De
    Aur Huzoor Taajushshari'ah Ke Mauqqif Par Chalne Ki Taufeeque De


    Aameen Summaa Aameen!

    ReplyDelete
  3. Allah aap ke ilm mai aur barkat de.

    ReplyDelete
  4. ❣️❣️❣️❣️❣️❣️❣️

    ReplyDelete
  5. SUBHANALLAH, Imaan taaza ho gaya in hadeeso ko padhkar.

    ReplyDelete

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers