Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Sunday 7 January 2018

Imam bukhari rahimahullah ki moammal bin ismail per jarah munkir ul hadees ki jarah per kifayatullah sanaballi ko jawab

Imam Bukhari Rahimahullah Ki Moammal Bin Ismail Per Jarah Munkir Ul Hadees Ki Jarah Per Kifayatullah Sanaballi Ko Jawab

Baaz Wahbiyo Ka Kehna Hai K Imam Bukhari Ki Momammal Bin Ismail Per Munkirul Hadees Ki Jo Jarah Hai Wo Moammal Bin Ismail Per Nai Balke Moammal Bin Sa’eed Per Hai Aur Is Baat Ko Sabit Karne K Liye Wo Kai Kalabaaziya Bhi Dikhate Hai

In Kalabaziyo Ki Daud Me Gair Muqallideen K Naamwar Nasabi Alim Kifayatullah Sanaballi Sahab Saff E Awwal Me Shamil Hai,Jo Ki Tehqeeq K Naam Per Logo Ko Dhoka Dene Me Kaafi Mahir Hai.

Chunanche Kifayatullah Sanaballi Sahab Ne Apni Kitab Anwar Ul Badar Me Pura Zor Laga Diya Hai K Moammal Bin Ismail Per Se Imam Bukhari Ki Jarah Hatakar K Isey Siqah Bataya Jaye , Q K Baqaul Inke Hi Ullema K Moammal Bin Ismail Ki Riwayat Seene Per Haath Bandhne Ki Sahih Tareen Riwayat Hai Toh Inhone Doobte Ko Tinke Ka Sahara Dene Ki La Haasil Koshish Ki Aur Imam Bukhari Ki Jarah Mufassar Ko Hatane K Liye Kuch Aitarazat Warid Kiye Hai , Aaye Inka Tehqeeqi Wa Tanqeedi Jaayza Lete Hai.

Kifayatullah Sanaballi Sahab Likhte Hai : Arz Yeh K Imam Bukhari Rahimahullah Se Yeh  Qaul
Sabit Nai Hai Balke Imam Mizi Se Yeh Qaul Naqal Karne Me Galti Hui Hai , Dar Asal Imam Bukhari Rahimahullah Ne Moammal Bin Sa’eed Bin Yusuf Ko Munkirul Hadees Kaha Hai , Aur Imam Bukhari Rahimahullah Ki Kitab Me Is Naam Se Pehle Moammal Bin Ismail Ka Tazkeerah Hai , Chunke Imam Bukhari Ki Kitab Me Dono Naam Ek Saath Mazkoor Hai ,Isliye Jaldbaazi Me Imam Bukhari Se Chuk Hogai Aur Dusre Rawi Se Mutaliq Imam Bukhari Ki Jarah Ko Pehle Rawi Se Mutaliq Samajh Liya.
Hawala : Anwar Ul Badar Fi Wazah Ul Yadin Alaa Ul Sadar Safa 176.


Arz Hai K Yeh Qaul Toh Sanaballi Sahab Ki Apni Bado Ki Andhi Taqleed Ka Natija Hai Warna Is Ki Koi Yaqeeni Daleel Nai Hai.

Iske Baad Inhone Apne Bado K Is Dhoke Ko Sahih Karane K Liye Kuch Naam K Dalail Likhe Hai ,
In Sha Allah Taala Iska Silsila Waar Jawab Diya Jayega.

Sabse Pehle Hum Yeh Dekhte Hai K Yeh Qaul Imam Bukhari Se Kin Kin Aimma Wa Muahaddiseen Ne Naqal Kiya Hai.

1) Imam Ibn Hajar Asaqalani , Tehzeeb Ul Tehzeeb Jild 4 Safa 193
2) Imam Hafiz Zarkashi , An Nikat Al Zarkashi Jild 2 Safa 297
3) Imam Zehbi , Al Mugni Fi Al Zuafa Jild 2 Safa 341 ; Meezan Ul Aiteedal Jild 4 Safa 228 ; Siyar Alam Al Nabula Jild 10 , Safa 111
4) Mohammad Bin Ali Al Alvi Al Hussaini , Kitab Tazkirah Marifat Al Rijal Al Kutub Al A’shr , Juz Awwal , Safa 1743 , Raqam 6996
5) Allama Tirmizi , Al Jawahir Al Naqi , Jild 2 , Safa 30-32
6) Abdul Rauf Manavi , Faiz Ul Qadir , Safa 179
7) Imam Mizi ,Tehzeeb Ul Kamal  , Jild 29 , Safa 178
8) Imam Khizrji ,Khulasa Tehzeeb Ut Tehzeeb , Safa 393
9) Imam Badruddin Ayni , Ma’ani Al Khayar , Jild 3 , Safa 99
10) Allama Ibn Kaseer ,Takmil Fi Jarah Wa Taadeel ,  Jild 1 Safa 289 , Raqam 458.
11) Abdul Rehman Mubarakpuri ,Taufa Tul Hawzi , Jild 2 Safa 467
12) Abdul Rehman Bin Yahyi Al Mualmi Al Yamani , Al Tankil , Raqam 253
13) Nasiruddin Albani , Silsilatul Ahadees Al Zuafa , Jild 2 Safa 293 , Jild 5 , Safa 58
14) Shueb Ul Ranoot , Tehreer Taqreeb Ut Tehzeeb , Jild 3 Safa 422
15) Al Duktoor Noor Addin Atar , Alam Al Naam Sharah Balagu Maraam , Safa 498
16) Ibn Maaz Tariq Bin Auzallah Bin Mohammad , Tehzeeb Taqreeb Ut Tehzeeb , Jild 5 Safa 191
17) Gair Muqallid Aqil Ahmed Bin Habeebullah , Hadees No. 116
18) Wahbi Mohammad Saleh Al Madani , Https://Islamqa.Info/Ar/245752 ,Sawal No. 245752.

Lijiye Kifayatullah Sanaballi Sahab Imam Bukhari Rahimahullah Ki Jarah Naqal Karne Me Akele Nai Hai Balke Ek Jamat Ne In Se Yeh Baat Naqal Ki Hai.

Humne Kuch 18 Hawale Bil Tarteeb Naqal Kiye Hai Jisme Bade Bade Ullema Wa Muahddiseen Wagaira Muqallideen B Hai , In Sabne Yeh Jarah Moammal Bin Ismail Per Naqal Ki Hai Aur Kisi Ek Ne B Imam Bukhari Rahimahullah Ki Jarah Moammal Bin Sa’eed Per Nai Naqal Ki.

Aur Aaj Taarikh E Kabir K Matbua Nuskhe Me Jo Jarah Moammal Bin Sa’eed Per Naqal Ki Gai Hai Wo Katib Wa Naaqil Ki Galti Hai Jo Sabiqat Nazr Se Moammal Bin Ismail Ki Jarah Maoammal Bin Sa’eed Per Naqal Kargaye.

Lihaza Yeh Sabit Hota Hai K Imam Bukhari Rahimahullah Ki Jarah Moammal Bin Ismail Per Hi Hai Na K Moammal Bin Sa’eed Per.

Iske Baad Kifayatullah Sanaballi Sahab Inki Taraf Se Banaye Hue Teen Dalail Naqal Karte Hai.
Afsos K Inhone Isey Dalail Ka Naam Diya Warna Asal Me Yeh Mughalta Hai Jo Kifayatullah Sanaballi Sahab Ne Apni Awam Me Apne Biddati Mazhab Ka Barham Banaye Rehne K Liye Diye Hai.

Inki Pehli Daleel Me Kifayatullah Sahab Tarikh E Kabir Se Moammal Bin Ismail Ka Tarjuma Pesh Karte Hai Jis Me Katib Ki Galti Se “Munkirul Hadees” K Lafz Nahi Hai Aur Likhte Hai
“Qaarin E Kram Gaur Farmaye K Imam Bukhari Rahimahullah Ne Moammal Bin Ismail K Pure Tazkirah Me Kahi B Inhe Munkirul Hadees Nahi Kaha Hai”. – Anwar Ul Badr Safa 176.

Iske Baad Moammal Bin Sa’eed Ka Tarjuma Naqal Karte Hai Aur Likhte Hai
“Malum Hua K Imam Bukhari Rahimahullah Ne Moammal Bin Ismail Ko Nahi Iske Baad Mazkoor Moammal Bin Sa’eed Ko Munkirul Hadees Kaha Hai” – Anwar Ul Badr Safa 177

Ji Sanabali Sahab Hum Samjhege Aap Kya Samjhana Chahre Hai

Aap Ye Chahrahe Hai K Hum Kisi Akele Naaqil Ko Khatakaar Na Jaane Balke In Azeem Hastiyo Ko Ba Ek Waqt Khata Kaar Jaane Jinhone Din Raat Apni Is Fann K Liye Qurban Kardi.

Aur Aap Yeh Chahte Hai K Hum In Aimma K Taluq Yeh Jaane K In Me Se Kisi Ek Ne Bhi Tarikh E Kabir Kitab Me Moammal Bin Ismail Wa Moammal Bin Sa’eed  Ka Tazkiraah Na Padha.

Humne Upar 18 Logo K Hawale Naqal Kiye Hai Jinhone Imam Bukhari Rahimahullah Ki Yeh Jarah Moammal Bin Ismail Per Naqal Ki Hai

Aur Kisi Ne Bhi Moammal Bin Sa’eed Per Imam Bukhari Rahimahullah Se Munkirul Hadees Ki Jarah Nahi Naqal Ki Hai.

Jis Se Yeh Sabit Roz E Roshan Ki Tarah Wazeh Ho Jaate Hai K Imam Bukhari Rahimahullah Ki Yeh Jarah Moammal Bin Ismail Per Hai Aur Sabiqat Nazr Se Yeh Jarah Moammal Bin Sa’eed Per Naqal Hogai.

Dusri Daleel :

Agar Imam Bukhari Ne Moammal Bin Ismail Ko Munkirul Hadees Kaha Hota Toh Imam Bukhari Rahimahullah Is Ka Tazkirah Apni Zuafa Wali Kitab Me B Karte Lekin Imam Bukhari Rahimahullah Ne Zuafa Wali Kitab Moammal Bin Ismail Ka Tazkirah Nai Kiya Hai Jo Is Baat Ki Daleel Hai K Imam Bukhari Rahimahullah K Nazdeek Moammal Bin Ismail Munkirul Hadees Hargiz Nai – Anwar Ul Badr Safa 177

Arz Hai K Kifyataullah Sahab Maslaki Wafa Me Aap Ki Tang Nazr Ki Me Daad Deta Hu K Apne Maslak K Ek Zaef Aur Shaaz Amal Ko Sabit Karne K Liye Aap Aankhen Bhi Band Karne Ko Tayar Hai.

Sabse Pehle Toh Yeh Baatde K Kya Imam Bukhari Rahimahullah Ki Saari Kitabein Chap Kar Manzar E Aam Per Aa Chuki Hai ? Imam Bukhari Rahimahullah Ki Zuafa Wali Ek Aur Kitab Zuafa Al Kabeer Jo Na Jaane Kis Library Ki Zeenat Hai Ya Mafqood Ho Chuki Hai.

Ain Mumkin Hai K In Me Se Kisi Kitab Me Yeh Jarah Maujud Ho.

Toh Aap Itne Yaqeen Se Kaise Keh Sakte Hai ? Kya Aap Ko Ilm E Gaib Hai ?

Dusri Baat Yeh K Aap Ne Jo Yeh Kaha K Tarikh E Kabir Ki Yeh Jarah Zuafa Wali Kitab Me Nahi Hai Aur Yeh Daleel Hai Is Baat Ki K Yeh Jarah Imam Bukhari Ki Nahi Hai ,

Toh Arz Hai K Kya Yeh Koi Qaida K Liye Hai ?

Agar Aap Kehte Hai “Haa” Toh Arz Hai Aise Kai Rawi Hai Jin Per Imam Bukhari Rahimahullah Ne Tarikh Kabir Per Munkir Ul Hadees Ki Jarah Ki Hai Per In Rawiyo K Naam Zuafa Al Sager Me Maujud Nai Hai.

Lihaza Aap K Qaida Se Yeh Saare Hazraat Bhi Phir Imam Bukhari Rahimahulla Ki Jarah Se Bari Hue ?

Zayl Me In K Naam Darj Kiye Jaa Rahe Hai , Waise Toh Naam Kai Diye Jaasakte Hai Magar Barwhi

Shareef Ka Mahol Hai Isliye Hum Barwhi Shareef Ki Barkat Hasil Karne K Liye Sirf 12 Rawiyo K Tazkirah Karte Hai.

1) Ishaq Bin Sa’eed Bin Zubair – Munkirul Hadees
2) Ibrahim Bin Jarir Bin Abdullah – Munkirul Hadees
3) Ismail Bin Makhraq Madini – Munkirul Hadees
4) Ayub Bin Zakwan – Munkirul Hadees
5) Al Hakam Bin Ya’ali Bin Ataa Al Maharbi Koofi –Munkirul Hadees
6) Hakim Bin Khizam Abu Samir Al Basri –Munkirul Hadees , Zahbi Ul Hadees
7) Hammad Bin Waqid Abu Amr Al Safaar- Munkirul Hadees
8) Hammad Bin Sa’eed Bin Basri – Munkirul Hadees
9) Hamid Bin Wahab Al Quraish – Munkirul Hadees
10) Mohammad Bin Ismail Al Zabi – Munkirul Hadees
11) Mohammad Bin Kaseerabu Ishaq Al Quraish – Munkirul Hadees
12) Mohammad Bin Abi Za’yza – Munkirul Hadees

Note : Humne Sirf Chand Rawiyo K Hawale Diye Hai Wo Bhi Sirf Munkirul Hadees Ki Jarah Wale.
Toh Ab Aap Se Guzarish Hai K In Rawiyo Aur Is Ke Alawa Wo Tamam Rawi Jis Per Imam Bukhari Rahimahullah Ki Kisi Na Kisi Kitab Me Jarah Toh Hai Per Zuafa Al Sagir Me In Ka Tazkeerah Nahi Hai , Toh Ab In Hazraat K Taluq Se Kya Yaqeen Rakha Jaye ?

Umeed Hai Aap In Tamam Rawiyoko Bhi Apni Batai Is Dusri Daleel K Tahet Imam Bukkhari Ki Jarah Se Bari Manege.

Teesri Baat Yeh K Agar Tarikh Kabir K Kisi Rawi Ki Jarah Zuafa Al Sagir Me Maujud Hona Zaruri Hai Toh Arz Hai K Aap K Batai Rawi Moammal Bin Sa’eed Ka Tazkeerah Bhi Imam Bukhari Rahimahullah Ki Zuafa Al Sagir Me Nai Hai.

Lihaza Aap K Usool Se Bhi Moammal Bin Sa’eed Bhi Is Jarah Se Bari Hue.
Kifayatullah Sanaballi Sahab Ki Teesri Daleel

“Imam Bukhari Rahimahullah Ne Sahih Bukhari Me Moammal Bin Ismail Se Shahwahid Me Riwayat Li Hai Aur Agar Imam Bukhari K Nazdeek Yeh Munkirul Hadees Hote Toh Imam Bukhari Rahimahullah Inse Shahwahid Me Bhi Riwayat Nahi Lete Q K Imam Bukhari Rahimahullah Ka Khud Kehna Hai “Mene Jisey B Munkir Ul Hadees Kaha Hai Issey Riwayat Jaiz Nai”
In Dalail Se Malum Hua K Imam Bukhari Rahimahullah Ne Moammal Bin Ismail Ko Munkirul Hadees Nai Kaha Hai Balke Iske Baad Mazkoor Isi Naam K Dusre Rawi Moammal Bin Sa’eed Ko Munkir Ul Hadees Kaha Hai” – Anwar Ul Badr Safa 177

Arz Hai Kifayatullah Sanaballi Sahab Ne Yaha Do Chizen Batai Hai , Ek Imam Bukhari Rahimahullah Jisey Munkir Ul Hadees Kehte Aur Uski Riwayat Nai Lete Yaani Uski Riwayat Likhne K Qail Nai Hai.

Dusri Yeh K Imam Bukhari Rahimahullah Ne Moammal Bin Ismail Se Shahwahid Me Riwayat Li Hai.

Ab Zayl Me In Sha Allah Taala Dono Chizo Ka Jawab Dete Hai.

Sabse Pehle Hum Kifayatullah Sahab K Aziz Gair Muqalllid Alim Irshad Ul Haq Asri Sahab Se Jawab Pesh Karte Hai ,

Likhte Hai “Is Tarah Ek Baat Maaruf Hai , Imam Bukhari Rahimahullah Kehte Hai K “Munkirul Hadees” Imam Zehbi Likhte Hai K Imam Bukhari Ne Kaha K “ Issey Riwayat Halal Nai Hai Ab Issey Baadi An Nazr Me Malum Yeh Hota Hai Wo “La Yaktub Hadees” K Darjah Me Hai Lekin “La Tahal Ar Ruwayah” Ka Mafum Yaha Yeh Nai , Yaha Murad Yeh Hai K “La Tahal Al Ehtajaj Baruwayah” Yaani Iski Riwayat Se Ehtajaj Jaiz Nai , Q K Baaz Aise Rawi Maujud Hai Jin Ko Imam Bukhari Rahimahullah Ne Munkirul Hadees Kaha Hai Aur Inki Hadees Bhi Imam Bukhari Rahimahullah Ne Likhi Hai Toh Iski Tauzi Phir Yahi Hogi K Isse Murad “La Tahal Ehtijaj Baruwayah” Yahi Wajah Hai K Imam Sakhawi Rahimahullah Ne Fath Ul Mughis Me Yeh Kaha Hai K Imam Bukhari Rahimahaullah K Nazdeek Munkir Ul Hadees Ka Mehfum Yeh Bhi Hai K Issey Murad La Tahal Al Ehtajaj B Hai”

Zawabit Al Jarah Wa Tadeel , Gair Muqallid Irshad Al Haq Asri , Safa 113

Yaani Irshad Al Haq Asri Sahab Ne Yaha Kifayatullah Sahab K Bayan Kardah Mafhum Ka Radd Karte Hue Kaha K Imam Bukhari Rahimahullah Jab Kisi Rawi Ko Munkir Ul Hadees Kehte Hai Toh Is Ka Matlab Yeh Nai K Is Ki Riwayat Likhi Hi Nai Jayegi Balke Asal Mafhum Yeh Hai K Is Ki Riwayat Likhi Toh Jasakti Hai Lekin Iski Riwayat Se Ehtijaj Nai Kiya Jayega

Aur Is Mafhum Ki Tauzi Khud Imam Bukhari Rahimahullah Ki Kitab Se Bhi Hoti Hai

Imam Bukhari Rahimahullah Ek Rawi K Taluq Se Likhte Hai “ Mohammad Bin Zaadan , Munkirul Hadees , La Yaktub Hadees”

Tarikh E Kabir , Raqam 242 Jild 1

Yaha Imam Bukhari Rahimahullah Ne Munkirul Hadees Ki Jarah Karne K Baad La Yaktub Hadees Kaha Hai Agr Imam Bukhari Rahimahullah K Nazdeek Munkirul Hadees Ka Maani La Yaktub  Hadees Hi Hai Toh Mazeed La Yaktub Hadees Likhne K Kya Zarurat Thi ?

Lihaza Yeh Baat Bhi Isi Taraf Ishara Karti Hai K Imam Bukhari Rahimahullah K Nazdeek Munkirul Hadees Se La Tahal Al Ruwayah Ka Asal Mafhum La Yaktub Hadees Nai Balke La Tahal Al Ehtejaj Baruwaya Hai.

Aur Imam Bukhari Rahimahullah Ne Moammal Bin Ismail Se Ehtijaj Nai Kiya Hai Balke Sirf Taliqiya Riwayat Likhi Hai Lihaza Imam Bukhari Rahimahullah K Munkir Ul Hadees Ki Jarah Aur Unka Taliqiya Riwayat Karna Dono Me Koi Ta’aruz Nai Hai Aur Naahi Issey Imam Bukhari Rahimahullah Munkirul Hadees Ki Jarah Saqit Hoti Hai.

Dusri Baat Yeh K Imam Bukhari Rahimahullah Ne In Se Shahwahid Me Riwayat Li Hai Aur Iska Matlab Yeh Nikala K Imam Bukhari Rahimahullah K Nazdeek Moammal Bin Ismail Siqah Hai , Munkir Ul Hadees Nai.

Ab Kifayatulllah Sanaballi Sahab K Is Daweh Ki Hesiyat Inke Ghar K Bado Se Hi Dekh Lete Hai.
Gair Muqalliddeen K Muhaddis Asr Zuber Ali Zai Sahab Likhte Hai,

Fayda 1 : Sahihein K Usool K Rawiyo Ka Siqah Wa Sudooq Hona Is Baat Ki Daleel Nai Hai K Sahihein K Shawahid Wa Mutabiat Wale Rawi Bhi Zarur Bil Zarur Siqah Wa Sudook Hi Hai , Dalail Qati’a Aur Rajeh Dalail Se Sabit Hai K Sahihein Me Mutabiat Wa Shahwahid Me Zaef Wa Majhrooh Rawi B Maujud Hai.
-Sahi Bukhari Per Aitrazat Ka Ilmi Jaiza – Safa 26

Kifayatullah Sahab K Aziz Irshad Al Haq Asri Sahab Ka Hawala Bhi Mulahiza Farmaye.
Lais Bin Abi Salim Jisey Imam Bukhari Rahimahullah Ne Taliqiya Aur Imam Muslim Ne Mutabiat Me Apne Sahih Me Liya Hai Is Ko Zaef Tasleem Karte Hue Likhte Hai

“Hum Daweh Se Kehte Hai K Koi Aisa Rawi Pesh Nai Kiya Jaa Sakta Jissey Sheyckhein Ne Ehtejaj Riwayat Li Ho Aur Us Per Koi Qabil Aitbaar Jarah Ho”

Allama Qurshi Ne Jo Bataur Misal Lais Bin Abi Salim Ka Naam Liya Hai Toh Yeh Durust Nai Hai Jab K Sheyckhein Ne Issey Ehtijaj Koi Riwayat Nai Li,

Lais Se Imam Bukhari Rahimahullah Ne Taliqa Aur Imam Muslim Ne Mutabiat Aur Maqruna Riwayat Li Hai , Iski Riwayat Se Istedlal Wa Ehtijaj Nai Kiya
Hawala – Ahadees Sahih Bukhari Wa Muslim Me Parwez Tashkik Ka Ilmi Muhasba, Irshad Al Haq Asri , Safa 67

Lihaza Taliqa Riwayat Lene Per Moammal Bin Ismail Ko Siqah Sabit Karne Ka Kifayatullah Sanaballi Ka Khwab Bhi Toot Gaya.

Iske Baad Mazeed Arz Karte Hai
“Bataur Fayda Arz Hai K Sabiqat Nazr Ki Wajah Se Naqal Me Is Tarah Ki Galti Ek Dusre Maqam Per Hafiz Ibn Hajar Rahimahullah Se Bhi Hui Hai Chunanche “Abu Ali Jindal Bin Waliq” Naam Ka Ek Rawi Hai , Hafiz Ibn Hajar Rahimahullah Ne Iske Baare Me Imam Muslim Se Sakht Jarah Naqal Karte Hue Kaha

Imam Muslim Al Kani Me Farmate Hai K Yeh Matrook Hai ( Tehzeeb Al Tehzeeb , Ibn Hajar , Jild 2 Safa 102)

Arz Hai K Al Kani Me “Abu Ali Jindal Bin Waliq” Ka Zikr Maujud Hai Lekin Is K Kisi Dastiyab Nusqa Me Is Rawi Per Yeh Jarah Nai Milti Balke Fauran Iske Baad Jo Dusra Rawi “Abu Ali Al Hasan Bin Umro” Hai Iske Baare Me Imam Muslim Ki Jarah Maujud Hai.
Anwar Ul Badr Safa 177-178

Me Kehta U Kifayatullah Sahab Aapka Yeh Qayas Batil Hai Wa Mardud Hai, Q K Aap K Pesh Kardah Rawi Per Imam Ibn Hajar Yeh Jarah Naqal Karne Me Munfarid Hai.

Jabke Moammal Bin Ismail Per Imam Bukhari Rahimahullah Ki Jarah Ek Badi Jamat Ne Naqal Ki Hai Aur Ek Badi Jamat Ki Baat Ko Mahez Ek Munfarid Qaul Ki Misaal Se Radd Karna Kaha Ka Insaf Hai ?

Aur Aap K Aziz Irshad Al Haq Asri Sahab Aap Ki Isi Kitab Anwar Ul Badr K Muqadma Me Likhte Hai “Al Batta Yeh Nakarah Yaha Yeh Baat Kahe Bagair Nai Reh Sakta K Allama Mizi Ho , Allama Ibn Jauzi Ho Ya Allama Zehbi Wo Agar Aimma Mutaqadmeen Se Koi Jarah Naqal Kare Aur Inke Yeh Aqwal Agar Inki Kitabo Me Nai Milte Toh Bila Wajah Inse Inkar Durust Nai,Is Inkar Ka Muntaki Natija Hai K Hum Allama Mizi Wagaira Se Zyada Muhtat Hai Inhone Bila Sabut In Aqwal Ka Intesab Aimma E Kram Ki Taraf Karke Jurm Ka Irtekab Kiya Hai , Yeh Hai Aitmadi Balke Badzanni “An Baaz Al Zann Ism” Ka Misdaq Hai”
-Anwar Ul Badr , Muqadmah , Safa 33

Irshad Al Haq Asri Sahab Toh Kehte Hai K Aimma E Kram Ki Naqal Jarah Ka Inkar Badzanni Hai Aur In Aimma E Kram Per Gair Muhtat Hone Ki Tohmat Lagane K Matradif Hai.

Balke Khud Kifayatullah Sanaballi Sahab Likhte Hai “ Iske Saath Saath Tehzeeb Ya Meezan Wagaira Me Manqul Wo Aqwal Jinhe In Kutub K Mualafeen Ne Sarahat K Saath Kisi Imam Ki Kitab Se Naqal Kiya Hai , Ya Kitab Ki Sarahat Nai Ki Hai Lekin Is Baat K Qara’in Mile K In Aqwal Ko Barah E Raast Aimma Ki Kutub Se Naqal Kiya Gaya Hai ,Humne In Aqwal Se Bhi Hujjat Pakdi Hai Agarche In Qara’in Ki Kitabein Humko Nai Mili Ya Kitabein Mili Magar In Me Yeh Awqal Nai Mile ,Q K Is Baare Me Humara Manna Yehi Hai K In Aimma Ne Jab Mutaqaddameen Ki Kutub Se Naqal Kardiya Hai Toh Kitab Se Naqal Kardah Baat Per Aitmad Karna Chahiye.
-Anwar Ul Badr Safa 24

Arz Hai Yeh Jarah Bhi Tehzeeb Mizan Wa Digar Kutub Me Maujud Hai Aur Jab Aap In Asal Kitabo Me Aqwal K Na Milne Per Bhi Aitmad Karne K Qail Hai Toh Moammal Bin Ismail Per Imam Bukhari Rahimahullah Ki Jarah Jise Ek Badi Jamat Ne Naqal Ki Hai Us Per Aitmad K Liye Aapko Kya Chiz Roki Hai ?

Yahi Na K Aap K Maslak K Khilaf Hai ?

Aur Aap K Zaef Wa Shaaz Amal Per Baqaul Aap K Ullema Is Zaef Hadees Se Zyada Sahih Koi Aur Riwayat Nai Yaani Digar Riwayat Sanad Wa Matan K Aitbaar Se Issey Bhi Zyada Kamzor Hai.
Humne Alhamdulillah Is Jarah Ko Qarib 18 Aimma Jarah Wa Taadeel , Muhaqqin Bashamul Gair Muqalliddeen K Naqal Kiya Hai , Lihaza Kifayatullah Sahab Aur Unke Pairokar Hazraat Ko Chahiye Is Jarah Ko Naqal Karne Wali Jamat Per Aitmad Karte Hue Moammal Bin Ismail Per Imam Bukhari Rahimahullah Ki Jarah Tasleem Karle,Aur In Imamo Per Gair Muhtat Hone Ki Tohmat Se Apne Apko Bachaye Rakhe.

Alhamdulillah Humne Silsila War Kifayatullah Sanaballi Sahab K Tamam Dalail Ka Jawab Dediya Hai,Jis Se Yeh Sabit Wazeh Ho Jaati Hai K Kifayatullah Sanaballi Sahab K Pesh Kardah Dalail Me Se Koi Bhi Aisi Mazbot Daleel Nai Jissey Yeh Sabit Ho K Yeh Jarah Tanha Imam Bukhari Ka Wahem Hai Aur Iski Koi Asal Nai.

Hasil Qalam :

1) Imam Bukhari Rahimahullah Ki Jarah Moammal Bin Ismail Per Ek Badi Jamat Ne Naqal Ki Hai.
2) Imam Bukhari Rahimahullah Ki Jarah Jisey Kifayatullah Sahab Moammal Bin Sa’eed Per Batate Hai Tab’a Shudah Tarikh E Kabir Me Toh Maujud Hai Magar Imam Bukhari Rahimahullah Se Moammal Bin Sa’eed Per Is Jarah Ka Zikr Kisi Imam Ne Nai Kiya.
3) Moammal Bin Ismail Per Imam Bukhari Rahimahullah Ki Jarah Tab’a Shudah Tarikh E Kabir Me Nai Hai.
4) Kifayatullah Sahab Ki Pesh Kardah Rawi Moammal Bin Sa’eed Ka Tarjuma Bhi Imam Bukhari Rahimahullah Ki Zuafa Al Sagir Me Nai Hai.

In Nukat K Madd E Nazr Yeh Baat Mazeed Khul Kar Saamne Aati Hai K Imam Bukhari Rahimahullah Ki Tab’a Shudah Tarikh E Kabir Me Katib Ki Sabiqat Nazr Ki Wajah Se Yeh Jarah Moammal Bin Ismail Ki Bajaye Galti Se Moammal Bin Sa’eed K Tazkira Me Naqal Hogai Hai.

Lihaza Imam Bukhari Rahimahullah Ki Munkir Ul Hadees Ki Jarah Moammal Bin Ismail Per Hi Hai Na K Moammal Bin Sa’eed Per.

Wama Alayna Illal Balag.
 

2 comments:

  1. hahahaha miyan kiski tayyar shuda post churai hai ????

    ReplyDelete
    Replies
    1. churai ?? aap jaiso ki taalim ka andaza hojaata hai apke comments se; yeh mere bhai Dr Affak ki tehqeeq hai ; aur unki ijazat se hi post dali hai.

      tum jaise jahilo ko ijazat ka certificate dikhana zaruri nai hai.....

      Delete

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers