Firqa e Wahabia Najdia ki Purani Khaslat Rahi Hai kay Ye Log Jayaz wa Halal mubah chizon Ko Bina Tahqiq kay Na jayaz Haram Shirk Keh detay Hain Hadees ko Jo Maana wa Mafhoom Muhaddasin wa Fuqah Nay Samjha Hai Usko Lenay Kay Bajayae Apni Naqis Aqal ka istemal kartay Hain aur Bholi Bhali Awam ko Dhoka Denay ki Koshish Kartay Hain
In mein Say Ek Masla Taweez Ka bhi Hai ye wahabi Ghair Muqallid Taweez Ko Na jayaz wa Shirk kehtay Hain jab kay Ahadees wa Akabarin Say Taweez Ka Saboot Milta hai yahi Nahi Balki wahabi Dharam kay jo Pehle Molvi thay wo Bhi taweez ko Jayaz Samjhtay thay Aur is per unki Kutub wa Fatwa Bhi Maujod Hai
Huzoor Irshad Faramate Hain Jab Koi Tum Mein Say Neend Mein chaunk Pade kahe “اعوذ say یحزرونTak Yani Main Allah puri Bataun Ki Panah Mein Aata Hun Uskay gazab Say Aur Azab Say Aur Uskay Bandun Kay Fasad Say Aur Waswasaun say Shaitan Kay Aur us Say Kay wo hamare pas Aayen So Wo Khawab use Zarar na Kare ga Abdullah Bin Umro Sikhate Thay Usko Jo Balig Hota Tha Unki Aulad say Aur Jo Na Baligh Hota Tha Us Kay Galey Mein Latka Detay Thy
*{Tirmizi Vol 2 Page 972 Wahabi Tarjama}*
Hazrat Mulla Ali Qari Aur Masla Taweez
Huzoor Irshad Faramate Hain Jab Koi Tum Mein Say Neend Mein chaunk Pade kahe “اعوذ say یحزرونTak Yani Main Allah puri Bataun Ki Panah Mein Aata Hun Uskay gazab Say Aur Azab Say Aur Uskay Bandun Kay Fasad Say Aur Waswasaun say Shaitan Kay Aur us Say Kay wo hamare pas Aayen So Wo Khawab use Zarar na Kare ga Abdullah Bin Umro Sikhate Thay Usko Jo Balig Hota Tha Unki Aulad say Aur Jo Na Baligh Hota Tha Us Kay Galey Mein Latka Detay Thy
{Tirmizi Vol 2 Page 972 Wahabi Tarjama}
*Tirmizi Ki isi Hadees Kay tahat Hazrat Mulla Ali Qari Likhtay Hain “Jin Tawizat Mein Allah Kay Amaa Hun Unko latkane Kay Liye Ye Hadees Asal hai*
(Mirqat Sharah Mishqat Vol 5 Page 384,)
Imam Malik Kay Nazdik Taweez Jayaz Hai
Imam Ibne Abdul bar Likhtay Hain Kay Hazrat imam Malik Nay Kaha “Jab Taweez Latkane Say Ye Irada Na Ho kay is say Nazar Nahi Lage Gee Ya Koi Bimaari Nahi Hogi Tu Taweez {Galy Mein} Latkana Jayaz Hai Kisi Bhi Tandrust Aadmi Kay Galay Mein Taweez Latkana Jayz Nahi hai Aur Kisi Musibat Kay Nazil Hone Kay Baad Galay Mein Taweez Latkana Jayaz hai jab Kay is Taweez Mein Allah Tala kay Asma Likhe Howe Hun Aur Is Tawakko Per Taweez Latkaya Jaye Kay is Sa Musibat Tal Jaye Gi Aur Shifa Hasil Hogi
*Al Tamheed Ibne Badulbar vol 17 Page 161*
Imam ibne Hajar Kay Nazdeek Taweez Jayaz Hai
Hazrat Imam Ibne Hujar Hasqalani Likhtay hain “Wo Tamaim {taweez} Jismein Quran Aur Zikr Ullah Kay Alfaz Hun Un Kay Istemal Mein Koi Harj Nahi hai Kiyun Kay Wo Tabarruk Kay Manind hai Aur Un Taweez Mein Allah Ka Naam Aur Zikr Hota Hai
*Fatul Baari Sharah Sahih Ul Bukhari Vol 6 Page 147*
Hazrat Imam Malik Kay Nazdik Taweez Jayaz Hai
Hazrat Imam Malik Faramate Hain “is Baat Mein Koi Harj Nahi kay Hayez Aurten Ya Bachchun Kay Galay Mein Taweez Latkaya jaaye bashrat Ye ki Taweez Kisi Lohe Ya Cahamde Mein Band Ho
*Al Majmoo Sharah Ul Muhazzab vol 2 Page 71*
Hazrat Imam bagwi ؒLikhtay Hain “ Sa,eid Bin Musaiyab SaySawal Pocha Gaya kay Aurtun Aur Chotay Bachon Kay Galay Main Aisay Taweez Latkana Jin Mein Quran Majid Likha Howa Ho Tu iska Kiya Humkam Hai? Hazrat Sa,eid Bin Musaiyab Nay Farmaya Jab Taweez Chamde Mein Bandha Howa Ho Ya Lohe Ki Dibiya Mein Ho Tu Koi Harj Nahi hai
*Saharah Us Sunnah Vol 12 page 158*
Ye Hamare Akabir Ulama e Ahle sunnat ka Mauqaf hai Jo Taweez ko Likhne Aur Pahnne ko jayaz Kehaty hain jab Ki Daure Jadid Ki Nasle Wahabi Taweez Ko Shirk kehtay hain
Hazrat Imam Shami Kay Nazdil Taweez jayaz Hai
Hazrat Imam Shami Likhtay Hain “Logon Kay Aamal is {Taweez} Kay Jawaz Per Hai kay Junbi Ya Haeez {Na Paaki Ki Halat } Kay Bazoo Per Taweez Bandha Howa Ho Aur Wo Kisi Cheez Mein Lipta Howa Ho Tu Koi Harj Nahi
*Raddul Muhtar vol 9 Page 523*
Hazrat Imam Shafai Kay Nazdik Taweez Jayaz Hai
Allama Zarkashiؒ Likhaty Hain “Hazrat Imam shafai Ki Khidmat Mein Ek Shaks Nay Ashobe Chashm Ki Shikayat Ki Tu Aap Nay Ek kagaz Per Usse Ye Taweez Likh Kar Bhejaفکشفنا عنک غطاءک فبصرک الیوم حدید us Shaks Nay Wo Taweez Pehna Tu uski Bimari Door Hogai “
Alburhan Fi Uloom Ul Quran Vol 1 Page 434
Hazrat Ibne Saalaba Huzor ﷺkay Paas Tashrif Laaye Aur Arz karnay Lagay Ya rasool Allah ﷺMere Liye Allah kay Huzoor Shahadat ki Dua Farmayen Huzoor ﷺNay Farmaya Mere Paas Khuch Baal Lawo Hazrat Saalba Baal lekar Hazir Howe Huzoor Nay Farmaya Apne Kandhe Say kapda Hitawo Sahabi farmatay Hain Huzoor Nay Wo Baal Unakay Baazo Per Bandh Diye Phir Unmein Phonk Maar Kar Farmaya Aye Allah Saalba Ka Khoon Mushrikin Aur Munafiqeen Kay Liye Haram Farma Day
Al Asaba Fi Tameez As Sahaba Vol 1 Page 394 {Wahabi Tarjama}
Ghair muqallid wahabi molvi ishaq bhatti likhta hai
“Molana Muhammad Khan Tilli Kay Shadid Dard Mein Mubtila Hogaye ilaj Karaya Ifaqa Na Howa Dam Aur Dua Kay liye Sufi Sahab kay Pas Gaye (Wahabi)Sufi Sahab Uswaqat Kisi Kay Liye Taweez Likh Rahe Thy Unaho Nay Sufi Sahab Say Apni Taqleef Ka Zikar Kiya Tu Sufi Sahab Nay Kagaz Pakda Us Kay Wast Mein Gol Dayera Banaya Us Dayere Mein Gol Nishan lagaya Aur Likha “Tilli Ka Dard Kahatam Hoaye Molana Mohamad Hussain Khan Say Farmaya Ye kagaz Tilli Per Bandh Layen Unahon Nay Kagaz Tilli Per Bandh Liya Aur Dard Khatam Hogay
*Sufi Mohammad Abdullah Halaat khidmat Aasar page 404*
Note
Jamat e Wahabia Kay molvi Tausif Ur Rahman Meraj Rabbani Wa Zakar naik Aur inki parastish mein Mubtala wahabi Awam Ahle sunnat per Taweez kay Taluk Say Shirk kufar kay Fatwe Lagate Hain Kiya Aisa koi wahabi Hai jo Apne is molvi ko Musrik wa Kafir Hone ka Fatwa Day Sakay
is waaiye mein chand chizen Qabile Gaur Hain
1″Wahabi molvi Bimar Hone ka Baad Allah Say Maddad Nahi Manga
2″Apni Bimari ki Mushkil Kushai kay liye Wo wahabi Molvi kay Paas Taweez Lene Per Majboor Hogay
3″.sufi Abdullah wahabi Sufi Taweez Banata tha Matlab wahabi Dharm Kay Hisab say Shirk Mein Mubtila Tha
4″.wahabi molvi Apne sufi ko Muskhil Khusha Samjhta Tha Tabhi tu wo Allah Say Madad Mangbe Kay Bajaye Wahabi sufi Kay Paas Chala gaya
kiya Allah wahabi ko shifa Nahi De sakta tha?
kiya wahabi molvi nay Sufi Abdullah Say madad Mang kar uski Hajat Rawa Muskhil Kusha Nahi Samjha?
agar ye shirk Nahi tu shirk phir kis ko Kehtay hain
5″,Wahabi sufi nay Taweez mein Na Quran Ki aayat Likha Aur Na Hadees sahih wali Dua likha likha tu kiya likha Apna Qaul
kiya sufi Abdullah Ka qaul Quran Wa Hadees Ka Darja Rakhta Hai?
Quran wa Hadees mein Kahan likha Hai ki is tarah ki Taweez pehni jaye?
Kiya Ye Wahabion Ki biddat Nahi Hai?
6″,wahabi kay Taweez dayne Aur Molvi kay Taweez bandne per Usko Shifa mil gai
kiya Allah Kay Alawa Bhi wahabi Mazhab mein Koi illah Hai jo Wahabion ko shifa Deta Hai?
Wahabi Molvi Nazir Hussain Ghair Muqallid Kay Nazdik Taweez Jayaz Hai
Ghair Muqallid imam Nazir Husain dehlvi taweez kay Jayaz hone ka fatwa dete howe likhta Hai “Taweez likh Kar Gale Mein Dalna Jayaz hai Koi Harj Nahi HaiTabain Nay asmein ikhtelaf Kiya Hai Lekin Sahih Yahi Hai Kay Jayaz Hai Quran Sharif Ka Taweez Karne Mein ikhtelaf Hai Maslan Bimar Ya Dase Howe per Padh Kar Dam Dam Kare Ya Kagaz Per Likh Kar Gale Mein Daalay Ya Kisi Thal Mein Likh Kar Mareez Ko Pilaye Tu Ata Mujahid Abu Quaba isko Jayaz Kehty hain Aur Nakhai Aur Basri Makro Galay Mein Taweez Latkane Mein Koi Harj Nahi hai Albatta Qazaye Hajat Kay Waqat Isko Utar Dey”
*{Fatwa Naziriyaa vol 3 Page 298}*
Taweez Kay Jayaz Hone Per Wahabi Ghair Muqallid Molvi Sana ullah Amritasari Ka Fatwa
Sana ullah Amritsari Ghair Muqallid Wahabi Likhta hai “Masla Taweez Mein Ikhtelaf Hai Rajeeh Ye Hai Kay Aayat Ya Kalimat Sahihya Duaiya Jo Sabit Hun Unka Taweez Banana jayaz Hai Hindu Ho Ya Musalman Sahaba Kiram Nay Ek Bimaar Per Sureh Fateha Padh kar Dam Kiya Tha”
*Fatwa Saniya vol 2 Page 339*
Hokasta Wahabi Jan Bachane Kay Liye Kahe Ki Hum is Fatwe ko nahi Mante Janab jab nahi mante Tu Fatwa Kitab Chape kiyun? Aur Apne Wahabi Molvi Ko Abhi Tak ushrik Hone Ka Fatwa Kiyun Nahi Diya Kiyun is kitab Ko Raddi Ki Tokri Mein Abhi Tak nahi dala gaya? Jawab hai ATumhare Paas
Wahabi molvi Abdullah Ropadi likhta Hai
“Quran Majid Ki Aayat Ka Taweez Adab karne Wale Namazi ko Likh Kar deny Mein Koi Harj Nahi Muda Liya Jaaye parda Mein Rahe Peshab Hambistari kay Waqat Utar Liya Jaye
{Fatwa Ahlehadees vol 3 page 420}
Ishaq Bhatti wahabi Ghair Muqallid apni Kitab Mein likhtay hain
Ek Din Moin uddin {Ghair muqallid wahabi Molvi} say Milnay Ko Ji Chaha Tu Lahor Say Awkaday pahunchGaya Wo Taweez Likh Rahe Thay Aur ird Gird Hujoom E Aashiqan Tha phir Aage Likhtay Hain “Ek Din Batay Kay Ek Shaks Un Kay Paas Kisi Mariz Ko lay Kar Aaya Us kay Liye Taweez Likh dain
{Bazme Arjmandanpage 560,561}
Ibne Tamiya Taweez pahenta Tha
Ibne Tamiya Kay Marne kay Baad Jab Usse Nehlaya Jaa Raha Tha Tu Us Kay Galya Say Paare wala Taweez Nikla jo Usnr Joween Ko Bhaghane Kay liye Bandh Rakha Tha
*Tareekh ibne Kasir vol 14 page 159 urdu*
Ye baat ibne Kasir Jo ibne Tamiya Ka Shagird Hai Usnay Likhi Hai lihaza wahabi is Riwayat Ko Mauzo zaif Kehkar Picha Churane Ki Koshish Hargiz Na karen
Mumkin Hai wahabk Ye bhi Keh Dain Kya Hum ibne Taimiya Kay Muqallid Nahi Hain Jo uskay is Amal Ko Maan leyen
Tu janab wahabio
agar Aap ibne Taimiya Kay is Amal Ko nahi Mantay tu Ye Bhi Fatws Tamiya Per Laga dijiye ki Wo Mushrik Tha is liye kay usnay Taweez ko Mushkil Kusha Mana Tha Aur Ye Uskay Marnay Tak Ka Amal Raha Hai
-Shaikh Mohammad Imran Saifi
JAZAKALLAH BHAI,,,BEST POST LIKE EVER,,,,
ReplyDeletePLZ ALSO GIVE CORRECT EXPLANATION OF HADESS WHICH INDICATE THAT TAWIZ IS SHIRK,,,,
HADEES LIKE,,,
TAWEEZ AUR DHAGA*
Hazrat-Abdullah-bin masood(r.t.a) farmate hain ke Rasool-Allah{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam} ne farmaya yaqinan ” raqiyah’ Taweez” ya “Shohar biwi(hasband & wife)” ke liye mohabbat paida karne ke khatir kisi chiz ko pahanna Shirk hai. (*Abu-Dauood/Musnad-Ahmad*)
Hazrat-Aaqbah-Bin-Aamir(r.t.a) farmate hain ke Rasool-Allah{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam}ne farmaya: jisne “Taweez” latkaya Allah iski hajat puri na kare. (*Abu-Dauood*)
Hazrat-Abdullah-Bin-Aakim(r.t.a) farmate hain k Rasool-Allah{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’ sallam} ne farmaya:jisne “Taweez” latkai usne Shirk kiya. (*Musnad-Ahmad/Trmizi*)
Hazrat-Imraan-Bin-Haseen(r.t.a) se rawayat hai ke Nabi{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’ sallam} ne ek Aadmi ke Hanth(hand) me pital ka bana hua “Kada(chodi)” dekha to daryaft kiya: Ye kya hai? Isne jawab diya ke ye kamzori se bachne ke liye hai’ To aap{sall’Allaahu ta’ aalaa alaihi wa’sallam} ne farmaya: isse utaar kar phek do’ isliye ke ye kamzori hi me ezafa karega’aur isse pahne hue teri “wafaat(death) ” ho gai to tu kabhi kamyaab nahi hosakta”. (*Musnad-Ahmad*)
Hazrat-Makeem(r.t.a) se marwe hai Nabi ( sallallahu alaihi wa sallam) ne farmaya: Jisne kisi cheez (taweez,dhaga) ko latkaya to uska bharosa usi par kardiya jata hai. (*Tirmizi/Musnad-Ahmad*)
Hazrat-Abdullah-bin masood(r.t.a) ki biwi( wife) Zainab(r.t.a) ka biyaan hai ke “Abdullah- bin masood(r.t.a)” ne meri garden me ek “ Dhaga” dekha to pucha’ ye kya hai? Main ne kaha” ye dam kiya hua “Dhaga” mujhe diya gaya hai, To “Abdullah-bin masood(r.t.a)” ne wo “Dhaga” kaat dala aur farmaya: yaqinan “ abdullah ka khandaan shirk se door hai”
In Ahadees ki puri daleel chahiye taake asal kitab se dekhkar sahi jawab diya jaye
DeleteAs-salamu alaykum
ReplyDeleteQURAN PAK ME TAWEEZ ZIKAR KAHA AAYA H YEH MUJHE KO JANNA H.
Walekumusalam :
DeleteQuran me taweez ka zikr is tarah nhi balki Aayat e qurani me ishara mauzood hai albatta sahih hadees me mauzood hai taweez ka zikr
Abhi taweez kay mutallik aur details add ki jayegi jisme Taweez pe aitraaz ka jawab bhi hoga
Dusra apka ek comment tha RUDRAKSH MAALa se related wo SHIRK hai RUDRAKSH ki Islam me koi haisiyat nhi hai agr pahna to kufr hai
usse bachna chahye agr aapke pass hai to usko nikaal phenko
Ji updates ka intezar rahega
DeleteAssalamualaikum warahmathullahi wabarakathuhu,
ReplyDeleteJanab maine wo ibn e taymiyyah ka taweez pehenna wali hadees ghar muqallid ke ek admi ko bheja to usne kaha ki wo taweez nahi balke mercury ke dhaage ka zikr usme kiya gaya hai. Kya ye bath sahi hai?
ASSALAMO ALAIKUM
ReplyDeleteTAWEEZ PAHNNA JAIZ HAI YA NAHI OR YE KONSI HADISH MAI PLEASE THODA BTAYE
Kya taweej pahenna jayaz hai ismay to kuch aisa nahi likkha hai jissay ya sabit ho jaya ki taweej pahenna jayaz nahi
ReplyDeleteMASHA ALLAH
ReplyDelete