Khawarij Wahabia (Deobandi Tabligi Gahair Muqallid Salfi Jamate Islami Wa Jamatul Muslimin) Tamam Giroh Huzoor ﷺ Kay Mubarak per Anghothay Chomne Ko Najaz Wa Biddat Kehtay Hain
Jab ki Ahe Sunnat Kay Akabarin Ka Ye Maumul Tha Kay Wo Anghothay Chomne Ko Jayaz Samjhtay Thay Aur Unahon Nay Apni Kutub Mein Bhi is baat ko likha Hai
Hazrat ismail haqqi rohul Bayan Mein likhtay Hain”Qasasul Ambiya Wagera Kutub Mein Hain Kay Jab Hazrat aadam Aleslam Ko janat Huzoor ﷺ Ki Mulaqat Ka Ishtiyaq Howa Tu Allah Nay Unki Taraf Wahee Bheji Kay Tumhare Salb Say Aakhir Zamane Mein zahor Farmayen Gay Tu Hazrat Aadam Alehsalam Nay Aapki Mulaqat Ka sawal Kiya tu Allah Nay Hazrat Aadam kay Daiyen Hath kay Kalime Ki Ungli Mein noor Muhammadi ﷺ Chamkaya Tu Us Noor Nay Allah Ki Tasbeeh bayan Ki isi Wastay is Ungli Ka Naam Kalime ki Ungli Howa Jaisa kay Rauzul faiq Mein Hai Aur Allah Nay Apne Habib Kay jamal Muhammadi ﷺKo Hazrat Aadam Alehsalam Kay Dono Anghoton Kay Nakhono Mei misle Aaina Zahir Farmaya Tu Hazrat Aadam Alesalam Nay Apnay Anghoton Kay Nakhono ko Choom Kar Aankhon per Phera aur ye Sunnat Unki Aulad Mein Jaari Howi Phir Jab Jibril Ameen Nay Huzoorﷺ Ko isi Khabar di tu Aap Nay Farmaya Jo Shaks Azan Mein Meera Naam Sune Aur Apne Anghothon Kay Nakhono Ko Chom Kar Ankhon Say Lagaye Wo Kabhi Andha nahi Hoga..
*Tafsir Rohul bayan V 7 Page 229*
Hazrat imam Sakhawi Riwayat Naqal Faramatay hain Hazrat Tauoos Farmatay hain Unaho Nay Khawaja Shamshuddin Abi Nasar Al BukharinSay Ye Hadees Suni Kay Jab Mauzin Say Kalima Shahadat Sun Kar Anghothon Kay Nakhon Choom e Aur Aankhon Say Lagayae Aur Dua padhay “الھم احفظ حدقنی الخ” Tu wo Andha Na Ho Ga..
*AL Maqaidul Hasna, Page 608*
Hazrat Abukar Siddiq ؓNay Mauzin Kay Qaul اشہدان محمد رسول اللہ ko sunkar Anghothon Ko Choma Aur Aankhon Say Lagay Tu
Huzoorﷺ Nay Irshad Farmayaa ما فعل خلیلی فقد حلت علیہ شفاعتی Jis Tarah Mere Khalil Abubakar Siddiq Nay Kiya jo bhi Aisa Hi Kare Ga Us Kay liye Meri Shifaat Wajib Hogai..
*KASHFUL KHIFA V 1 Page 206*
Hazrat imam Quhastani Likhtay hain “jaan Lo Be Shak Azan ki Pehli Shahadat Ki Sunne Per صلی اللہ تعالی علیک یا رسول اللہ Aur Dusri Shahadat Kay Sunne per قرۃ عینی بک یارسول اللہ Kehna Mustahab Hai Phir Apne Anghoton Ko Choom Kar Apni Ankhon Per Rakhe Aur kahe اللھم متعنی بالسمع والبصر Tu Huzoorﷺ Aisa Karnay Wale ko Apnay Piche piche Jannat mein Lay jayen Gay jaisa ki Kanzul Ibad Mein hai۔۔
*Hashiya Tahtawee page 205*
Fiqah ki mustanad Kitab Jame ur Roomuz Mein likha Hai”Aur Maloom Ho Kay Ye Mustahab Hai Kehna Dusri Shahadat Mein Say pehli Ko Sunne kay Waqat صلی اللہ تعالی علیک یا رسول اللہ Aur dusri Ko Sunnne kay baad قرۃ عینی بک یارسول اللہ kahe Phir Kaheاللھم متعنی بالسمع والبصر Tu Huzoorﷺ Aisa Karnay Wale ko Apnay Piche piche Jannat mein Lay jayen Gay..
*Jame ur Romoz page 7*
Hazrat imam Noruddin khirasanai ko kisi Nay Azan Kay Waqat AnghoThon Ko Ankshon per MaltayHowe Dekh Kar pocha Tu Aap nay Farmaya kay main Pehle Anghothy Chom kar Ankhon Per lagata Tha Bad Mein Tark kar diya Meri Ankhen Kharab Hogai main Nay Khawab Mein Huzoor ﷺ Ko Dekha Tu Farmaya Tu nay Azan Kay Waqat AnghoTay Chom Kar Aankhon say lagana Kiyun Tark kar Diya Agar Tu Chahta Hai Kay Teri Ankhen dursut hojayen Tu Wo Amal Phir Say Shuro Kar Day Pas Mein Bedar Howa aur Ye amal main Nay shuro kar diya Tu Meri Ankhen Durust hogai Aur Uskay bad Ab Tak Wo marz nahi Lauta….
*KIFYATUL Talib ur Rabbani vol 1 page 482*
Hazrat Wahab Bin Munba Farmatay hain kay bani israil Mein Ek Aisa Mard Tha Jiskay 100 Saal Jurm Wa Khata Mein Guzre Jab Uska inteqal Howa Tu bani israil nay Usay Bila Kafan Wa Dafan Aise Hi Phenk diya Allah nay Hazrat Mosa Ko Wahi Bheji Kay us Shaks Ko Kafna kar Bani israil Ko Bulakar usper Namaz janaza padhi Jaye Jab Allah Say iska Sabab Dariyafat Kiya gaya Tu Allah Nay Farmaya is Liye Kay isnay Tauraat Mein Mere Habeeb Ka isme Girami Dekha Tu Use Bosa Day Kar Aankhon Per Rakha Aur Durood Bhi Padha isi Liye Main Nay Usay Baksh Diya Aur Use Hoor Bhi inayat Kardi
*AL KHASAIS UL KUBRA V 1 PAGE 29*
Shafai Maslak Ki Kitab Eiyanatul Talibeen Mein Likha Hai “Jis waqat Mauzin Ko اشھد ان محمد رسول اللہ Kehtay Sunay Tu Kahe Mere Aaqa Mere Aankhon Ki Rahat wa Thandak Huzoor ﷺ Ko Khosh Aamadid Aur Phir Dono Anghothon Ko Apni Aankhon Per Rakhe Tu Na Kabhi Andha Ho Aur Na Kabhi Ankhen dukhen “
*Eiyanatul Talibeen vol 1 page 243*
Hazrat Imam Shami Likhtay hain”Mustahab Ye Hai Pehli Martaba اشھد ان محمد رسول اللہ Suntay Waqat صلی اللہ علیک یا رسول اللہ Aur dusri Martaba اشہدان محمدا رسول اللہ Suntay waqat قرۃ عینی بک یارسول اللہ kahe Phir Dono Anghothon kay nakhono ko Dono Aankhon Per Rakhkarnاللھم متعنی بالسمع والبصر Kahe Tu Huzoor Usko Apne Piche piche Jannat Mein Le Jayen gaynAisa Hi kanzul ibad imam QuhastaninMein Aur isi Tarah Fatawa Sufia Aur Kitab al firdaus Mein Hai Kay Jo shaks Azan Mein اشھد ان محمد رسول اللہsunkaar Apne Anghoton Ko Nakhono Ko Chome {Uskay mutaliq Huzoor irshad hai} Mein Uska Qaid banon Ga Usko Jannat Ki Safon Mein Dakhil karon ga iski Puri Tashreeh Aur Bahas bahar ur Raiq Kay Hawashi Ramli Mein Maujod Hai”….
*Raddul Muhtaar Vol 2 Page 68*
Wahabi Deobandi Ghair Muqallid Ka Mutafiqa imam Molvi Abdul Hai Lukhnavi Say Sawal Howa Kay “Huzoor Ka Naam Azan Mein Sunkar Anghotay Chomna Kaisa Hai? Is Sawal kay Jawab Mein Molvi Abdul hai Lukhnavi Jawab Deatay hain Kay “Baaz Fuqah Kay Nazdik Mustahab Hai Jaame Ur Romoz Mein Hai اعلم انہ یستحب ان یقال عند سماع الاول من الاول من الشھادۃ صلی اللہ علیک یا رسول اللہ وعند سماع الثانیۃقرۃ عینی بک یا رسول اللہ ثم قال اللھم متعنی بالسمع والبصر و بعدہ وضع ظفر الیدین علی العینین فانہ صلی اللہ علیہ وسلم یکون قائدا لہ الی الجنۃ کذا فی کنزالعباد janna Chahiye kay {Azan Mein} Pehli Shahadat Ko Sunkarصلی اللہ علیک یا رسول اللہ Aur Dusri Ko Sunkar قرۃ عینی بک یارسول اللہ Phir اللھم متعنی بالسمع والبصر
Kehna Mustahab Hai Uskay Baad Dono Hathon Kay Dono Nakhono Ko Aankhon Per Rakhe Pas Aanhazrat Us Shaks Ko Jannat Mein Le Jayen Gay Aisa Hi Kanzul ibad Mein likha Hai”
*Majmua Fatawa Abdul Hai vol 1 page 196,197 Mutarajim Barkat ullah Deobandi*
Deobandi Dharam Kay Molvi Fareed Apne Fatwe Mein Anghothay Chomnay kay Sawal Kay jawab Mein Likhta hai “Jame Ur Romuz Kanzul ibad Fatawa
Sufia Aur kitab Al firdaus Wagera Mein is {Anghotay} Chomnay Ko Jayaz Kaha gaya Hai Aur isi Baab Mein Ahadees Marfoo Zaeef marwi Hain Pas Baaz
Auqat Bataur Ahteyat Ye {Anghotay Chomnay Wala} kaam Qabile Aitraz Nahi Hai”
*Fatawa fareedia Vol 2 Page 182,183*
Hazrat Maulana Room Masnavi Shareef Safa 114 mein Farmatay hain
بوسہ داندے بر آں نام شریف رو نہادندے بداں وصف لطیف
Is Masnavi ka Tarjama Qazi Sajjad Husain Deobandi Karta hai Ki
“is Mutbarrak Naam {Muhammadﷺ} Ko Bosa Dete is Paak Tareef Per Moon Rakh Detay”
Tafsir e Jalalain mein Likha Hai
”Hazrat Abu Talib Makki Quwatul Qulob Mein Syedna ibne Ainiya Say Riwayat Kartay Hain Huzoor ﷺMasjid Mein Tashrif Laye Aur Hazrat Abubakar Siddiq Nay Apne Dono Anghothon Kay Nakhono Ko milaya Aur Kaha قرۃ عینی بک یارسول اللہ Aur Jab Hazrat Bilal Azan Say Faragat Pakar Hazir Howe Tu Huzoorﷺ Nay Farmaya Aye Abubakar Jo Shaks Wo Kahe Jo Tu Nay kaha Aur Jo Shaks Wo Kare Jo Tu Nay Kiya Shauq Aur Meri Mohabbat Ki Waje Say Tu Allah Use Baksh Dega Uskay Gunah Kitne Hi Hun Nay Hun Ya Puranay Qasdan Hun ki Bhol Kar Chupe Howe Hun Ki Zahir Aise hi Jame Ul Muzmirat Mein Naqal Kiya Hai Kay Huzoor ﷺ Ka irshad hai Ky Jisnay Azan Mein Mera Naam Suna Phir Usnay Apnay Dono Anghoton Kay Nakhono Ko Choma Aur Apni Dono Aankhon Per Lagaya Wo Kabhi Andha Na hoga..
*Tafsir e Jalalain Page 405*
BarnaBas Ki injeel kay Taluk Say Deobandi molvi Ameen Safdar tajalliyat Safdar Mein likhta Hai “Barnabas Ki injeel hi Asli injeel Hai vol 1 page 665” pata Chala Ki Jo injeel Mein likha Hai Wo sab Sahi hai Ab isi injeel Mein Hazrat Adam ka Ek Amal Bhi Zikr Kiya Howa Barnabas Ki injeel Mein likha hai “ Pas Aadam nay Ba Minnat Ye kaha Ky Aye Parwardigar Ye Tahrir mujhe mere Hath Ki Ungliyaun Kay Nakhono Per Ata Farma,,Tab Allah Nay Pehle Insan Ko Ye Tahrir Uskay Anghothay Kay Nakhon Per Ye ibarat لا الہ الااللہ Aur Bayen hath Kay Anhghothay Kay Nakhon Per Ye ibarat محمد رسول اللہ Tab Pehle insan nay Un Kalimat Ko Pidri Mohabbat Kay Sath Bosa Diya Aur Apni Dono Ankhon Say Malaa Aur kaha Mubarak hai Wo Din Jis Mein Ky Tu Duniya Ki Taraf Aaye Ga
*INJEEL BARNABAAS page 171 {MUTARJIM DEOBNAADI MUHAMMAD HALIM}*
Hazrat Mulla Ali Qari Anghotay Chomne Wali Hazrat Abubakr Siddiq ؓwali Riwayat Kay Taluk Say Tahrir Farmate Hain “Main Kehta Hun Kay Jab is Hadees Ka Rafa Hazrat Siddiq Akber ؓTak Sabit Hai Tu Amal Kay Liye Kaafi Hai Kiyun Kay Huzoor ﷺka Farman Hai Kay Main Tum Per laazim Karta hun Apni Sunnat Aur Apne Khulfa e Rashadeen Ki Sunnat”
*Al israr Ul Marfooa Page 306*
Kahan Wo Jahil Molvi Jo Naam e Mustafa Chomne Walon Ko Biddati Kehtay Hain Imam Ahmad Raza Ki ijad Kehtay Hain kiya Hazrat Mulla Ali Qari Bhi Biddati Thay Kiya Mulla Ali Qari Bhi Barelvi Thay? Wahabdon Himmat Karo Aur Hazrat Mulla Qari Per Fatwa Laga Do Dekhtay Hain Kismein Himmat Hai
Deokhani Deobandi Dharam Kay Molvi Abdul Shakoor Likhta Hai”Azan Sunne Wale Ko Mustahab Hai Ki Pahli Martaba اشہدان محمد رسول اللہ Sune Tu Ye Bhi Kahe صلی اللہ علیک یا رسول اللہ Aur Jab dusri Martaba Sune Tu Apne Hath Kay Anghoton Kay Nakhono Ko Aankh Per RakhKar Kahe اللھم متعنی بالسمع والبصر قرۃ عینی بک یا رسول اللہ
*Ilmul Fiqah Page 158*
Kiya Koi Deobandi Wahabi hai Jo Apne is Molvi Ko Biidati Hone Ka Fatwa De Sake?
Ye baten jo hazrat adam k bare me likhi hain ye sab bten qurano hadees se to ni milti to in ko kese pta chali ye bate?
ReplyDeletelikha to hai hawala TAFSEE RROOH ULL BAYAN
DeleteBhai waise he jaise jaise Qur'an m likha h nabi noor h is liye hm unhe noori bashar kahte h pr aap log unko insaan mante ho jb quran ki nhi sunte to hadees k hawale kyo
Deletemashallah
ReplyDeletePyaray Bhai koi aik hadees kisi mustanad ahadees ki kitab se Bata den Sahih Bukhari ya Sahih Muslim waghera se. Sirf aik.
ReplyDeleteAp jo buhtan laga rahay hain Hazrat Adam Elaihe Salam per aur Hazrat Abu Bakar RA per, yaqeenan iska jawab akhirat me Dena ho ga.
😂😂koi authentic hadith book ki baat ni krenge...
DeleteFirqe parast log kya hi islam ki izzzt rkhengey
Allah rehm kren. Ameen
Bhai jb devbandi Qur'an ko na manin to sahi muslim or sahi bukhari kya h. Quran surah maidah Allah k rasool bhi madad kr sakte h. Usi Qur'an m likha h nabi ko gaib ka ilm h to devbandi jb quran ko nhi mante to hadees p hasi udana koi badi baat nhi.. or devband to wo h jo Muhammad ﷺ ko jo ye kahe ki unhe peedh peeche ki khbr nhi unka ilm janwar jaisa h or uske bavjood tm sb aise alim ko follow krte ho jo quran ka na hua wo hadees k hawale mangte firre aaj
Delete