Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Thursday, 22 September 2016

Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa

Namaz Me Rasool Allah صلى الله عليه وسلم Ka Khayal Aana Kaisa ?

Kariban 200 Saal Kabl Deobandi Aur Wahabi Gair Muqallideen Kay Aaka Aur Maula Jinko ye Dono Firqa Apna Akabir Peshwa Maanta hai Jo Hindustan ki sarjamin me Wahabi Firqe kay baani hai bahot si gustakhiya ki usme se ek ibarat ye bhi hai. “Zeena Kay Waswase se apni Biwi ki muzamiyat ka khayal behtar hai Namaz Me agar badkari ka khayal aaye usse bahtar hai aur Shaykh Jaise Ustad, Peer Ya Ussi Jaise Aur Buzurgo ki Taraf Khwah Janab Risalat Maab Hi Ho Yahan Apni Himmat ko Laga Dena Apne Bail aur Gadhe ki surat me mustagrif hone se zyada bura hai, kyuki Shaykh Ka Khayal to tazeem aur buzurgi kay saath insaan kay dil me chimat jaata hai aur bail aur gadhe kay khayal ko naa  to is kadar chaspidgi hoti hai aur naa tazeem balki hakeer aur jalil hota hai aur gair ki ye tazeem aur buzurgi jo Namaz me malgub ho to ye chiz shirk ki taraf le jaati hai”
(Seerat E Mustaqeem Pg : 150, Malik Sirajudin & Sons Publication Lahore November 1956, Musannif Shah Ismail Dahelvi )
Ye badi Gaadi urdu me likha hai Shah Ismail ne wo likhte hai Namaz Me Agar Zeena Ka Waswasa aaye to usse accha hai kay apni biwi kay saath Hambistari ka khayal karlo,  Ab Aage likhte hai Agar Shaykh, Ustad, Peer yaa koi wali buzurg yahan tak kay Nabi E Akram صلى الله عليه وسلم Ka Khayal aaye to ye khayal in sabse badtar hai balki Janwaro kay khayal aane se bura hai.  
Ab Aisa nhi tha kay Ismail Dahelvi ne koi galti se likh diya ho nahi balki baqayda Ismail Dahelvi ne ussi safah pe apni issi ibarat ko samjhaya hai kay usne aisa kyun likha hai Nabi E Akram صلى الله عليه وسلم , Auliya, Peer kay khayal aana Zeena Aur Zanwaro kay khayal se baddtar hai wo iski dalil dete hai kay Nabi ka Khayal aayga to tazeem kay saath aur janwar ka khayal aayga to zillat ruswayi kay saath aur Namaz me Allah kay elawa kisi ka khayal Tanzeeman aana ye Shirk tak le jaata hai.
Issi gustakhana ibarat ka nichod Ahle Sunnat Kay ulema kahte hai wahabio tumhari kitab me likha hai Namaz Me Nabi صلى الله عليه وسلم ka Khayal aana Aurat se hambistari aur janwar kay khayal se bura hai Ye hai wo Gustakhi Shah Ismail Ki.
Nukta : Ab Yahan hamara sawal hai Namaz Me Rasoolullah صلى الله عليه وسلم Ka Khayal aayga to 02 surato me aayga i)Tazeem Kay Saath ii) Gustakhi Beadbi Hakeeriyat kay saath.

Awwal to Ismail Dahelvi ne khud kaha Agar Tazeem kay saath aata hai lihaja ye shirk ki taraf le jaata hai dusri ek hi surat hai wahabi Firqa Namaz Me Rasoolullah صلى الله عليه وسلم ka khayal kya gustakhi beadbi aur Huzoor صلى الله عليه وسلم ko haqeer jaan key  laata hai ?
Agar Tazeem se laate ho to aapke Mujadid Sahab Kay farmaan kay mutabik wahabi Shirk kay kunwe me jaa gire hai aur agar beadbi se to Kufr kay gustakhi kay daldal me.
Ye naa nigal sakte ho naa ugal sakte ho bas ek hi surat hai Ismail Dahelvi ki ibarat ko gustakhana tasleem karke apna damaan bachalo.
Ab Aaye Hum Dekhe Sahaba Ka Kya Aqeeda Aur Wahabi Ka Kya Hai Jo Aqeeda Aapko Ain Quran Aur Hadees Se Mile Wo Accept karle aur Jo Gustakhi Beadbi Waala Giroh Mile Unhe Chod De
Hadees 01: “Hazrat Anas Ibn Malik Radi Allaho Anho Se Rivayat Hai Huzoor Nabi E Karim صلى الله عليه وسلم kay bimari k wakt Hazrat Abu Baqr Siddique Radi Allaho Anho Namaz padhate the Wo Peer Ka Din Tha Jab Log Namaz Me Saff Bandhe Khade Huwe The, To Huzoor Rehmat E Aalam صلى الله عليه وسلم Ne Apne Huzre E Mubarak Se Parda hataya aur Hamari Taraf Dekh Rahe The Aapka Chahre Mubarak Goya Mushaaf Ka Waraq Tha Huzoor Nabi E Karim صلى الله عليه وسلم Muskura Rahe The Hume Itni Khusi Huwi k Khatra Hogaya k Kaheen Hum Sab Aap Nabi E Akram صلى الله عليه وسلم Ko Dekhne Me Hi Naa Mashgul Hojaye Aur Namaz Tod De, Hazrat Abu Bakr Piche Hatke Saaf k Saath Aa Milna Chahte The Wo Samjhe Huzoor Rehmat E Aalam صلى الله عليه وسلم Namaz K Liye Tashrif Laa Rahe Hai Lekin Huzoor Rehmat E Aalam Ne Ishara Kiya Kay Namaz Puri Karlo phir Huzoor Nabi E Akram صلى الله عليه وسلم Ne Parda daal Diya Aur Ussi Din Aap ki Wafat huwi”
References : (Sahi Bukhari Vol : 01, Pg : 386, Kitabul Azaan, Hadees : 680 & 681) (Sahi Bukhari Hadees No : 704, 1205, 4448) (Sahi Muslim, Vol : 01, Pg : 534, Kitabus Salat, Hadees : 944, ‘Online No : 419’) (Sunan Nasai Kitabuz Janaiz, Baab : Peer Kay Din Wisal Hone Ka Bayan, Hadees : 1831) (Sunan Ibn Majah Kitabuz Janaiz, Hadees : 1624) Scan Page Sahi Bukhari 
Sahi Bukhari Front Cover

Sahi Bukhari hadees 680
Sahi Bukhari ki hadees se wajah huwa sahaba ka apna amal dekhe kay Huzoor صلى الله عليه وسلم ka khayal to dur Huzoor صلى الله عليه وسلم ko dekh rahe hai aur namaz bhi horahi hai . Subhan Allah
Aur Ek Dusri hadees e paak me to Quran E Karim Ki aayat E Karima Ki tafseer Huzoor صلى الله عليه وسلم Ne Khud farmayi Hai
“Aye Imaan Waalo Allah Aur Rasool Kay Bulane Par Hazir Ho”
(Surah Anfaal Ayat 24)
Is aayat E Karima ki khuli Tafseer khud Rasool Allah صلى الله عليه وسلم ne Ki Hai kay ye aayat koi ek wakt kay liye nahi thi kay sirf Namaz Kay bahar ki baat ho balki
Hadees 02 : Hazrat Abu Saeed bin Al Mu’alla radi allahu anho Se Marvi Hai Farmate hai Mai Masjid Me Namaz padh raha tha Rasool Allah صلى الله عليه وسلم ne Mujhe Bulaya Maine Jawab Na Diya. Phir Mai Khidmaat Me Haazir Hokar Kaha Yaa Rasool Allah صلى الله عليه وسلم Mai namaz padh raha tha. Rasool Allah صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya kya Allah Taala ne yeh Nahi Farmaya Aye Imaan Waalo Allah Aur Rasool  Kay Bulane Par Hazir Ho - Surah Anfaal Ayat 24, Nabi E Karim صلى الله عليه وسلم Ne Mujhse Farmaya Mai tumhe Masjid Se Jaane Se pahle Ek Surah Bataunga Jo Quran ki Sabse Azeem Surah hai. Phir Nabi E Karim صلى الله عليه وسلم Ne Unhe Surah Fatiha batayi Jo 07 Aayat Hai. References : (Sahi Bukhari Vol : 06, Pg : 21, Kitabut Tafseer, Baab - > Surah Fatiha : Maa Jaa Fi Fatiha Al Kitab , Hadees : 4474) (Sahi Bukhari, Hadees : 4647, 4703, 5006) Scan page
Sahi Bukhari Hadees 4474
Yaha Nabi E Rehmat 
صلى الله عليه وسلم ne Sahaba ko bulake aur unko Jawab ata karke ye aayat padhi aur bayan kar diya kay yaha Jab bhi Huzoor صلى الله عليه وسلم Bulaye to namaz tod do aur Huzoor صلى الله عليه وسلم kay pass chale jao naa namaz tutegi naa gunaah hoga.
Imam Ghazali Rahmatullah Alaih Apni Kitab Ihya Ul Uloom Vol :01, Pg : 552 me Tash'hadud yaani Attahiyat Kay muttalik likhte hai
"Neez jaat e paak e Mustafa صلى الله عليه وسلم  aur Aapke Makam Aur Martabe Ko Haazir Kah kar kaho السلام عليك أيها النبي و رحمة الله و بركاته، Yaani Salam Ho Aap Par Aye Nabi صلى الله عليه وسلم  Aur Allah Ki Rehmatein Aur Barkatein “ aur Kawi Ummid rakho kay ye Salam Aap tak pahuchta hai Aur Aap صلى الله عليه وسلم  Is Se Bahter Jawab Marhamat Farmate Hai”
Ye Hai Aqeedah E Sahaba Rizwanullahim Azmayeen, Buzurgan E Deen ka Aqeeda aur wo tha Aqeeda E Wahabiya. Whom To Follow Wahabi Or Sahabi ? Post by Shaikh Sher Ali Hanfi - Share To Others Also

7 comments:

  1. Wow Ajeeb Baat Hai Isse TO Radd Aapka Hi Hua Janab Zara Hadees Par Gor Karen

    ReplyDelete
  2. Si .MALIK
    Janab

    Azib bat ye hai k jb SHO apka radd kiya to baqayeda dalail diye.....
    aur apne radd kiya to qayas krke chale gaye......

    ReplyDelete
  3. Adaye Deed Sarapa Niaz Thi Teri
    Kisi Ko Dekhte Rehna Namaz Thi Teri
    Azan Azal Se Tere Ishq Ka Tarana Bani
    Namaz Uss Ke Nazare Ka ik Bahana Bani

    The charm of your longing for the Sight was the embodiment of supplication
    The continuous sighting of someone was your prayer
    Since eternity the adhan was the anthem of your Love
    Prayer was the subtle pretext for the Sight

    (Dr. Iqbal- Title: Hazrat Bilal R.A.)

    ReplyDelete
  4. Replies
    1. Jnab apko Nabiye pak se itni hi dkkt h to unka sdqa jo sare jahan me bt rha h vo q khate ho... Or ap hi ghor krva do hadees pr

      Delete
  5. Surah al nisa mein Allah irshad fermata tha Jo uske Nabi aur sahabao ke raste Chala wahi sacha iman wala hai wahi jannati hai .. dil se kaho hm Sunni hai aur Nabi k chahne wale hai .. jis Nabi ka Naam b Allah ta'ala ne poore Quran mein Mohammad kehkr nahi pukara us Nabi ki Shan Kya hogi.. Mustafa Jane rehmat par lakhon salam

    ReplyDelete

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers