Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Sunday, 25 September 2016

Khilafat E Rashida Fazail Manakib Khulfa Rashideen


Fazail Manakib E Khulfa E Rashideen
Huzoor Nabi E Akram Ne Apni Hayat e Aqdas me aane waale tamam baato ka zikr apne Ashab Se bayan kar diya tha jo hadees ki surat me ummat tak pahucha usme Khilafat E Rashida Kay baare me bhi bahot si baatein thi.
Yaha hum unme se kuch peshangoyi aur Fazail E Khulfa E Rashida bayan karnge.
Nabi E Karim Kay Baad Khilafat Kitne Saal Rahegi
Hadees 01 :
Hazrat Safinah Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Rasoolullah Ne Farmaya Khilafat E Nabuwat 30 Saal Tak Rahegi phir Jise Allah Taala Chahega Usse Apna Mulk Ata Farmayga,
Phir Hazrat Safinah Radiallahu anhu ne Apne Shagird Saeed bin Jumhaan ko Khulfa E Rashideen ki tadad Aur Muddat Gin Kar Samjhayi Abu Baqr Siddique ki khilfat 2 Saal, Hazrat Umar ibn Khattab ki Khilfat 10 Saal, Hazrat Usman Junnurain ki khilfat 12 Saal aur baaki Hazrat Aliyul Murtaza ibn Abu Talib kay.
Saeed bin Jumhaan Kahte Hai Kay Maine Hazrat Safinah Se Kaha Kay Banu Ummaya Kay log Samajhte hai Kay Hazrat Ali Khalifah Nahi The, Ye Baat Sunke Hazrat Safinah Ne Kaha Ye Banu Marwaan bin Hakam Ki peeth Se nikla huwa jhoot hai balki Unki Hukumat to Shadid tareen Badhshahat Hai.
References :
(Sunan Abu Dawood , Kitabul Sunnat, Baab : Fi Khulfahi, Pg : 831, Hadees : 4646 & 4647)
(Jamai Tirmiz Vol : 04, Pg :275,  Kitabul Fitan, Baab : Maa Jaa Fi Khilafatihi, Hadees : 2226)
Scan Page Sunan Abu Dawood Hadees 4646 / 4647
Sunan abu dawood cover page

Sunan Abu dawood 4646 - 47 

Hadees E Sahi se Maloom huwa Kay Khilafat E Rashida 30 baras rahi hai lekin yaha Imam E Hasan Kay Daur E Khilafat ko bhi khilafat E Rashida maana jayga aur Ahle Sunnat ka is baat pe ittefaq hai kay Imam Hasan ki khilafat jo 6 maah rahi hai wo bhi Khilafat E Rashida hai Hazrat Safinah ki ye rivayat me faqat 30 baras exact kiye gaye hai jabki Khifat kay saal aise the.
Hazrat Abu Baqr Siddique 02 Saal + Hazrat Umar ibn Khattab 10 Saal +  Hazrat Usman ibn Affan 12 Saal + Hazrat Ali ibn Abu Talib 5 ½ Saal + Imam Hasan ibn Ali 6 Maah. Rizwanullahim Azmayeen.
Is tarah se 2 + 10 + 12 + 5 ½ + ½ (6 month) = 30 Years Khulfa E Rashideen kay Is tarah Se Mukammal Huwe.
Phir Imam E Hasan Mujtaba Radiallahu anhu ne kuch sharait kay saath ye Hazrat Ameer Mauviya Radiallahu anhu ko de diya yaha se phir Malukiyat Wa Badshahihat Ka Aagaz huwa jaisa bahot si hadees se saabit hai.
Huzoor  Ne Khulfa Rashideen Kay Maqam ko Pahle hi Bayan Kar Diya
Hadees 02:
“Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Marvi Hai Ke Huzoor Nabi E Akram Hira Pahaar Par Tashreef Farma They Aur Aap Nabi Key Saath Hazrat Abu Bakr, Hazrat Umar, Hazrat Usman, Hazrat Ali, Hazrat Talha Aur Hazrat Zubair RadiyAllahu Ta’ala Anhum Aj’maeen They Itney Mey Pahaar Ney Harkat Ki,  To Aap Ney Farmaya :
Thahar Ja Kay Tere Upar Nabi, Siddique Aur Shaheed Key Siwa Koi Nahin.”
References :
(Sahih Muslim Pg :1205, Kitab Fazail E Sahaba, Baab : Min Fazail E Talha Wa Zubair, Hadees :2417)
(Jamai Tirmizi Kitab Manaqib, Hadees : 3696)
هَذَا حَدِيثٌ صَحِيحٌ ‏
(Imam Ahmad Al Musnad Ahmad Ibn Hambal Vol : 02, 419, Hadees : 9420)
(Sahih Ibn Hibban Vol : 15, Pg : 441, Hadees : 6983)
Scan Page Sahih Muslim Arabic Nusqha Kitabul Fazail E Sahaba, baab Manakib E Talaha Wa Zubair Hadees 2417 Pg :1205
Front Cover Sahih Muslim
Sahi Muslim hadees 2417
Hadees 03 :
Hazrat Anas Bin Malik RadiAllahu Anhu Se Riwayat Hai Huzoor Nabi E Akram   Uhad Pahaar Par Tashreef Ley Gaye Aur Aap Key Humraah Hazrat Abu Bakr, Hazrat Umar Aur Hazrat Usman RadiyAllahu Ta’ala Anhum Aj’maeen Bhi They Achanak Pahaar Un Key (Aaney Ki Khushi) Key Ba’is (Joshe Musarrat Sey) Jhoomney Laga To Aap Ney Farmaya : Aye Uhad!
Thahar Ja,  Tujh Par Ek Nabi, Ek Siddique Aur Do Shaheed Hain.”
References :
(Sahih Bukhari Vol : 05, Pg : 27  Kitab Al Fazail E Sahaba,Hadees :  3675)
(Sahih Bukhari Hadees : 3686,
(Sunan Abu Dawood Hadees : 4651)
(Jamai Tirmizi Hades : 3697)

Scan page Arabic Sahih Bukhari Pg : 904 Hadees : 3675
Sahi Bukhari Front Cover

Sahi Bukhari Hadees 3675
In Hadees E Paak Se Rasool E Karim Ka Ilm E Gaib Bhi Jahir hogaya Kay Rasool E Akram  ne Khilafat E Rashida Ka Waqt bhi bata Diya aur ye Bhi Dusre hadeeso me bayan huwa kay kiska Wisal Is dunya Se kis wajah se hoga Kon Shaheed hoga ye bhi bata diya par afsos hai chand naa ahel logo pe jo din raat bas Huzoor  Ko Ilm E Gaib Nahi tha ki ratt lagaye bathe kya Bukhari nazar nahi aati unko.
Abu Baqr Wa Umar Rizwanullahim Azmayeen Rasoolullah Kay Zameen Me Wazir Hai
Hadees 04 :
Hazrat Abu Saeed Khudari RadiyAllahu Ta’ala Anhu Sey Riwayat Hey Ke Huzoor Nabi E Akram Ney Farmaya :
Har Nabi Key Liye Do Wazeer Aasmaan Waalon Mey Sey Aur Do Wazeer Zameen Waalon Mey Sey Hotey Hain To Aasmaan Waalon Mey Sey Merey Do Wazeer Jibrail Aur Mikail Alaihimussalam Hain Aur Zameen Waalon Me Se Mere Do Wazeer Abu Bakr Aur Umar RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Hain.” References :
(Imam Hakim Al Mustadraq Vol : 02, Pg : 290, Hadees : 3046/3047)
Imam Hakim Farmate hai ye Hadees Sahi Ul Isnaad hai.
(Jamai Tirmizi, Kitabul Manakib, Hadees : 3680)
(Imam Ibn Ul Jaad Al Musnad Hadees 2026) Scan Pg Imam Hakim Al Mustadraq



Mustadraq Front Cover

Hadees 05 :
Hazrat Abdullah Bin Hantab RadiAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ke Huzoor Nabi E Akram Ney Hazrat Abu Bakr Aur Hazrat Umar RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Ko Dekha To Farmaya :
Yeh Donon (Merey Liye) Kaan Aur Aankh Ki Haysiyat Rakhtey Hain.”
References :
(Jamai Tirmizi Vol :06 , Pg : 354 , Kitabul Manakib, Hadees : 3671)
Yehi Rivayat  Hazrat Abdullah ibn Amr Se Mursal bhi rivayat Hai.


Front Cover Jamai Tirmizi 
Jamai Tirmiiz Hadees 3671
Shaykha’in Hazrat Abu Baqr Wa Hazrat Umar - Ambiya Mursaleen Kay Elewa Tamam Jannatiyo Kay Sardar Hai
Hadees 06 :
Hazrat Anas ibn Malik  رضي الله عنه  Se Riwayat Hai Ke Huzoor Nabi E Akram Ne Hazrat Abu Bakr رضي الله عنه  Sey Aur Hazrat Umar رضي الله عنه  Kay Baarey Mey Farmaya Yeh Donon Ambiya Wa Mursaleen Alaihimussalam Kay Elaawa Awwalin Wa Aakhireen Mey Sey Tamam Umar Raseeda Jannatiyon Key Sardar Hain.”
References  :
(Jamai Tirmidhi Vol : 06, Pg : 349, Kitabul Manaqib, Hadees : 3664, 3665)
(Sunan Ibn Majah , Vol : 01 Pg : 36, Kitab Al Mukadamah, Hadees :95, 100)
(Musnad Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, Vol : 01 Pg : 425, Hadees : 602)
(Sahih Ibn Hibban Vol : 15, Pg : 330, Hadees : 6904),

(Imam Abu Yala Al Musnad, Vol : 01 Pg : 405,Hadees : 533)

Hadees 07 :
“Hazrat Irbaaz Bin Saariya رضي الله عنه  Sey Riwayat Hai Ke Ek Din Huzoor Nabi E Akram ﷺ Ne Fajr Ki Namaz Kay Baad Hamey Nihayat Faseeh Wa Baleegh Waa’z Farmaya :
Jis Sey Aankhon Mey Aansoo Jaari Ho Gaye Aur Dil (Khashiyyatey Elaahi Sey) Kaanpney Logey.
Ek Shakhs Ney Kaha Yeh To Alwida Kehney Waaley Shakhs Key Waa’z Jaisa (Khitaab) Hey.
Ya RasoolAllah ﷺ!
Aap Hamey Kya Waseeyat Farmatey Hey?
Aap ﷺ Ney Farmaya :
Mein Tumhey Parhezgaari Aur Sun Ney Aur Maan Ney Ki Waseeyat Karta Hoo’n, Chaahey Tumhaara Haakim Habashi Ghulam Hee Kyun Na Ho.
Is Liye Ke Tum Mey Sey Jo Zinda Rahey Ga Woh Bahut Sey Ikhtilaf Dekhey Ga Khabardaar (Shariat Key Khilaaf) Baaton Sey Bachana Kyun Ke Yeh Gumraahi Ka Raasta Hey.
Lihaaza Tum Mey Sey Jo Shakhs Ye Zamana Paaye Usey Chaahiye Key Meri Aur Merey Hidayat Yaafta Khulafa Ki Sunnat Ikhtiyar Karey, Tum Log Usey (Sunnat Ko) Daanton Sey Mazbooti Sey Pakar Leyna.
References :
(Sunan Abu Dawood , Kitabul Sunnah, Baab : Sunnat Pe Amal Karne Ka Bayan, Pg : 832,Hadees : 4607)
(Jamai Tirmizi Vol :05, Pg : 44, Kitabul Ilm, Hadees : 2676)
عِيسَى هَذَا حَدِيثٌ حَسَنٌ صَحِيحٌ
(Sunan Ibn Majah Vol : 01 Pg : 32,Kitabul Mukadamah, Hadees : 42)
(Imam Hakim Al Mustadraq Vol : 01, Pg : 174, Hadees : 329)
Abu Dawood Hadees 4607 Hidayat Yafrta Khulfa ki sunnat ko thamo
FAZAIL E KHULFA E RASHIDEEN EK HI HADEES ME
Hadees 08 :
Hazrat Abdullah ibn Masood Radi Allahu Anho Se Marvi Hai
Nabi E Karim صلى الله عليه وآله Ne Irshad Farmaya k MAI ILM KA SHAHER HOON Abu Baqr uski Bunyaad, Umar Uski Deewar, Usmaan Uski Chatth(Roof) Aur ALI USKA DARWAJA
(Imam Daylami Al Musnadul Firdaus, Vol : 01, Pg :76, Hadees: 108)
Scan Page
Fazail E Shaykh’in Baa Jaban E Maula Haider Damad E Rasool E Konain ﷺ
Hadees 09 :
Hazrat Imam Muhammad bin Al Hanafiyah Tabai Radiallahu anhu Farmate hai Maine Apne Walid E Buzurg Ameerul Momineen Imam Ali Ibn Abu Talib Radiallahu anhu Se Pucha Rasoolullah ﷺ Kay Baad Ummat Kay Logo Me Sabse Afzal Shaksiyat Konsi Hai ?
To Sayyidna Aliyul Murtaza Radiallahu anhu ne Farmaya Abu Baqr Phir Pucha Unke Baad ?
Farmaya Umar, Phir Mujhe Andesha Huwa Ki Abki Baar Pucha To Hazrat Usman E Gani Ka Naam Lenge.
To Maine Arz Ki Phir Abu Baqr Wa Umar Kay Baad To Aap Hi Afzal Hai ?
To Maula Ali Radiallahu anhu Ne (Inkesari Kay saath) Farmaya Mai To Aam Musalmano Me Se Ek Musalman Hoon” Rizwanullahim Azmayeen
Reference :
(Sahih Bukhari Kitab Fazail  E Ashabun Nabi , Pg : 902, Hadees : 3671)
Scan page 

Sahi Bukhari Hadees 3671

Post by Sher Ali Hanfi ,
Share Subscribe & Tagg To Others

No comments:

Post a Comment

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers