Shafat E Nabi ﷺ
Intercession of Holy Prophet ﷺ In The Day of Judgement
Shafat E Mustafa ﷺ
To Read Post No 01 of Shafat E Nabi ﷺ Shafat E Nabi صلى الله عليه وسلم Post 01 Hadees 13:
Hazrat Anas Radi Allahu Anho Se Ek Taveel Rivayat Bayan Farmayi Huzoor Nabi E Akram ﷺ Ne Irshad Farmaya
Jab Kayamat Ka Din Hoga To Log Ekhatta Kar Hazrat Adam عليه السلام K Pass Hazir Honge Aur Arz Karenge K Aap Apne Rab Ki Bargaah Me Hamari Shafat kijiye,
Woh Farmaynge Iske Liye Mai Nahi, Lekin Tum Hazrat Ibrahim عليه السلام ka Daman Pakdo Kyuki Wo Allah Kay Khalil Hai,
To Wo Hazrat Ibrahim عليه السلام Kay Pass Jaynge To Wo Bhi Farmaynge Mai Iske Liye Nahi Hoon, Lekin Tum Sayyedina Moosa عليه السلام Kay pass Jao Kyuki Wo Allah K Kalim Hai Wo Farmaynge Mai Iske Liye Nahi,

Lekin Tum Hazrat Isaa عليه السلام Ki Bargaah Me Jao Kyuki Wo Roohullah Hai Aur Kalimullah Hai wo bhi farmaynge Mai Isliye Nahi Hoon, Lekin Tum Hazrat Sayyadina Muhammad Mustafa ﷺ Ki Bargaah Me Chale Jao,
Woh Mere Pass Aaynge Mai Farmaunga k Mai Hi To Shafat Karne K Liye Hoon,

فَأَسْتَأْذِنُ عَلَى رَبِّي فَيُؤْذَنُ لِي وَيُلْهِمُنِي مَحَامِدَ أَحْمَدُهُ بِهَا لاَ تَحْضُرُنِي الآنَ، فَأَحْمَدُهُ بِتِلْكَ الْمَحَامِدِ وَأَخِرُّ لَهُ سَاجِدًا فَيُقَالُ يَا مُحَمَّدُ ارْفَعْ رَأْسَكَ، وَقُلْ يُسْمَعْ لَكَ، وَسَلْ تُعْطَ، وَاشْفَعْ تُشَفَّعْ. فَأَقُولُ يَا رَبِّ أُمَّتِي أُمَّتِ
Phir Mai Allah Taala Se Izazat Talab Karunga To Mujhe Izazat Milegi Aur ALLAH TAALA MERE KALB ME AISI HAMD DALEGA K JO MERE ILM ME HAZIR NAHI,
Mai Un Hamdo Se Hamd Karunga Aur ALLAH K Huzoor Sazde me Gir Jaunga, Kaha Jayga

AYE MUHAMMAD SAR UTHAI’YE KAHIYE AAPKI SUNI JAYGI
MANGIYE ATA KIYA JAYGA SHAFAT KIJIYE KABOOL KI JAYGI,
Mai Arz Karunga YA RABB MERI UMMAT MERI UMMAT
To Farmaya Jayga Jaiyee Aur Apni Ummat K Har Shaks Ko Jahannam Se Nikal Lijiye Jiske Dil Me Jav K Barabar Bhi Imaan Ho Mai Jaunga Aur Unhe Nikal Launga Phir Wapas Aaunga Aur Unhi Hamdo Se Rabb Ki Hamd Karunga Phir Dobara Rab Taala k Huzoor Sazde Me Gir Jaunga
Kaha Jayga

To Farmaya Jayga Jaiyee Aur Apni Ummat K Har Shaks Ko Jahannam Se Nikal Lijiye Jiske Dil Me Rai k Daane K Barabar Bhi Imaan Ho Mai Jaunga Aur Unhe Nikal Launga,
Phir Wapas Aaunga Aur Unhi Hamdo Se Rabb Ki Hamd Karunga Phir Dobara Rab Taala k Huzoor Sazde Me Gir Jaunga
Kaha Jayga
AYE MUHAMMAD SAR UTHAI’YE KAHIYE AAPKI SUNI JAYGI
MANGIYE ATA KIYA JAYGA SHAFAT KIJIYE KABOOL KI JAYGI,
Mai Arz Karunga YA RABB MERI UMMAT MERI UMMAT To Farmaya Jayga Jaiyee Aur Jiske Dil Me Rai K Daane Se Bhi Kamtar Imaan Ho, Usse Bhi Aag Se Nikal Lijiye, Chunache Mai Jaunga Aur Aisa Hi Karunga”

References :
(Sahi Bukhari, Vol :09, Kitabut Tawheed, Baab : Kalam Al Rabbi Yaum Al Kiyamati, Hadees : 7510)
(Sahi Muslim Vol : 01, Pg : 307, Kitabul Imaan, Baab : أَدْنَى أَهْلِ الْجَنَّةِ مَنْزِلَةً فِيهَا, Hadees : 311)

Sahi Bukhari Cover Pic 786sho.blogspot.in |
Sahi Bukhari Hadees 7076 Hadees E Shafat Anas bin Malik, 786sho.blogspot.in |

Hakimul Ummat Mufti Ahmad Yaar Khan Naeemi Alaihrehma Is Hadees Ki Shara Me Farmate Hai
“Yaad Rahe Ki Hum Baa Jaat E Khud Rab Taa’la Ki Hamd Nahi Kar Sakte Hai Jab Tak K Humko Huzoor Naa Sikhaye, Hamari Hamd Huzoor k Sikhane Se Hai Aur Huzoor Ki Rab Taala K Sikhane Se Rab Taa’la Ki Jaise Hamd Huzoor E Anwar Ne Ki Hai Aur Karenge Makhlook Me Kise Ne Aisi Hamd Naa Ki, Isliye Aapka Naam ‘AHMAD’ Hai bahot Zyada Tarif Bayan Karne Waala Mazid Farmate Hai us Sazde Me Huzoor E Anwar Rab Taala Ki Bemisal Hamd Karenge Aur Makam E Mehmood par Rab Taala Huzoor Ki Aisi Hamd Karega Jo Koi Naa Kar Sakega Isliye Huzoor E Anwar Ka Naam Muhammad Hai”
(Miratul Manajih Shara E Mishkat Al Masabih Vol : 07, Pg : 417)

Phir Issi Tarah ki Rivayat Hazrat Anas bin Malik Radi Allahu Anhu Kay Turk Se Imam Bukhari Rahmatullah Alaih Ne Apni Sahi me rivayat ki ab Har Rivayat likh paana Munasib nahi yahan isliye Chand hawale Pesh hai
* Sahi Bukhari Vol : 06, Pg: 23, Kitabut Tafseer, Hadees : 4476
*Sahi Bukhari Vol : 08, Pg: 302, Kitab Ar Riqar Baab : Jannat Aur Jahannam kay Sifaat, Hadees : 6565
*Sahi Bukhari Vol : 09 , Pg :304, 325, Kitabut Tawheed Hadees : 7410, 7440
Is rivayato me Logon Ka Hazrat Nooh Alaihsalam Kay Pass Jaana Ka Bhi Zikr hai Phir Hazrat Nooh Unhe Hazrat Ibrahim Kay pass Bhejenge.
Hazrat Abu Hurraira Radi Allahu Anhu Se Bhi Is tarah ki rivayat marvi hai * Sahi Bukhari Vol : 06, Pg: 23, Kitabut Tafseer, Hadees : 4476
*Sahi Bukhari Vol : 08, Pg: 302, Kitab Ar Riqar Baab : Jannat Aur Jahannam kay Sifaat, Hadees : 6565
*Sahi Bukhari Vol : 09 , Pg :304, 325, Kitabut Tawheed Hadees : 7410, 7440
* Sahi Bukhari Vol : 06, Pg : 188, Kitabut Tafseer, Hadees : 4712
* Sahi Bukhari Vol : 04, Pg : 341, Kitabun Nabi, Hadees : 3361
*Sahi Muslim Vol : 01, Pg : 323, Kitabul Imaan, Hadees : 194
* Sunan Tirmizi Vol 04, Pg : 442 , Kitab Shafat E Kayamat Ar Riraak Wal Wara Rasool Allah, Hadees : 2434
* Imam Nawawi Riyadusalaheen, Hadees : 1866
Hazrat Abu Saeed Khudri Radi Allahu Anhu Se Marvi bhi rivayat jikso Imam Muslim Ne apni Sahi me rivayat kiya hai
Sahi Muslim Vol :01, Pg : 289, Kitabul Imaan, Hadees : 289
Yaha ab dekhne ka makam hai kay aakhir ye itna Lamba Process kyun ? Allah Taala Ne To Shafat di hai Huzoor Rasool E Akram Ko to phir direct logo ko Huzoor kay pass bhej diya jaana chahye tha log pahle se hi itne pareshan haal phir itna lamba process kyun ? Kabhi khwarij wahabi ne ispe gaur o fikr kiya hai jo aaaj kahte hai Jiska naam Muhammad Ya Ali ho usko koi authority nahi hai.
Pahle Aadam Phir Nooh, Phir Ibrahim, Phir Moosa Phir Isaa In sabke paas kyun bheja jaa raha hai aur direct hi Kyun nahi Huzoor Kay Pass bheja jaa raha hai ?
Allah Ko Tamam Logo ko Ye Makam E Muhammad Dikhana Hai kay Aaj koi Nahi Bolega Mahshar ka Khatib Mera Mehboob hoga Allah Kay Arsh Kay Sidhe Jaanib Makam Huzoor ko Milega jo Log jindagi bhar Huzoor Ki azmat kay munkir rahe wo Aaj Huzoor Ki Allah Kay Mehboob ki Azmat Shan E Bulandi ko dekhle.
Aala hazrat ne kya khoob likha hai
Faqat Itna Sabab Hai In'eqaad E Bazme Mehshar ka kay
Unki SHAAN E MEHBOOBI dikhai jany wali hai.
* Sahi Bukhari Vol : 04, Pg : 341, Kitabun Nabi, Hadees : 3361
Hadees :
Hazart Abdullah Bin Umar RadiAllahu Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi E Akram ﷺ Ne Farmaya : Qayamat Ke Din Sooraj Logon Ke Bahut Qareeb Aa Jaa’ega Yahan Tak Ki (Us Ki Tapish Ke Baa’is Logon Ke) Nisf Kaanon Tak Paseena Pahunch Jaa’ega Log Is Haalat Me (Pahle) Hazrat Aadam عليه السلام Se Madad Maangne Jaa’einge, Phir Hazrat Moosa عليه السلام Se, Phir Aakhir Me (Har Ek Ke Inkaar Par) Hazrat Muhammad ﷺ Se Madad Maangeinge.”
References :
(Sahi Bukhari Vol : 02, Pg : 323, Kitabuz Zakat, Hadees : 1475)
(Imam Bayhaqi Shoebul Imaan Vol : 03, Pg : 269, Hadees : 3509)
(Imam Tabarani Muajam Ul Awsat Vol : 02, Pg : 854, Hadees : 884)
(Imam Daylami Al Musnad Ul Firdaus Vol : 02, Pg : 377, Hadees : 3677)
Scan Page
Shafat Hadees From Sahi Bukhari Ibn Umar Narration |
Aala Hazrat Rahmatulah Alaih Isliye Farmate Hai
AAJ LE UNKI PANAH AAJ MADAD MAANG UNSE
PHIR NAA MAANGEGE KAYAMAT ME AGAR MAAN GAYA
Sahabi E Rasool ﷺ Ka Kharjiyo Se Ilmi Munazra
Hazrat Abdullah ibn Jaabir Radi Allaho Anho Ka Khwarijeen Se Bahes O Mubahisa Jarur Padhna aur Dekho
Hadees :
Yazid Al Faqir Kehte Hai Mujhe Kharjiat k Nazariat Pasand Aagye Mai Kharji Hogaya Tha. Hum Jamaat Ki Shakl Me Hajj K Liye Nikle Phir Waha Se Logo Ko Kharjiat Ki Tableeg karne Chal Pade.
Unhone Kaha Hum Madina se Gujre Aur Dekha Hazrat Jabir Bin Abdullah Logo ko Masjid E Nabvi صلى الله عليه و آله وسلم Me Hadees e Rasool صلى الله عليه و آله وسلم Ka Dars De Rahe The.
Jab Unhone Jahannam Ka Zikr Kiya Aur Kaha Nabi Chullu Bharenge Aur Logo Ko Jahannam Se Leke Jannat Me Le Jaaynge. (Yaani Shafat E Rasool Ka Bayan) Maine Kaha Aye Sahabi e Rasool ye Tum Kya Bayan Kar Rahe Ho ? Jabki Quran Me Allah Farmata Hai
“Aye Rab Hamare Beshak Jise Tu Dozakh Me Le Jaaye Use Jarur Tune Ruswayi Di Aur Jaalimo ka Koi Madadgaar Nahi (Surah Al Imraan Ayat 192)” Phir Ek Aur Aayat Padhi “Rahe Wo Jo Behukm Hain Unka Theekana Aag Hai, Jab Kabhi Usme (Jahannam) Se Nikalna Chahenge Phir Usi Me Gira Diye Jaynge - (Surah Sajdaah Ayat 20)” Quran ye Kehte aur Tum Kya Kehte Ho ? Hum Tumhari Maane Ya Quran Ko Maane ? Jabir bin Abdullah Radi Allaho ne Farmaya itminaan se pucha Kya Tumne Quran padha Hai ? Yazid Al Faqir Kehte Hai Haa Humne Padhi Hai Quran (Bahot Josh me Aake Kaha) Jabir bin Abdullah ne Farmaya Kya Tumne Usme MAKAM E MEHMOOD K baare Me Kuch Padha hai ? {*// “Karib Hai Ki Tumhe Tumhara Rab Aisi Jagah Khada Karen Jahan Sab Tumhari Hamd Kare” (Surah Bani Israel/Isra Ayat 79) } Yazid Al Faqir Kehte hai HAA Humne Padha Hai. Jabir bin Abdullah Farmate Hai Padha Hai To Bas Aise Hi Padha Hai. Aage Farmate Hai Makam E Mehmood Wo Makam Hai Jo Allah Ne Apne Mehboob صلى الله عليه و آله وسلم Ko Ata Kiya Hai Jisko Chahenge Jahannam Se Aazad Kara denge. Phir Uske baad Ek Pool (Bridge) Ka Zirk Kiya Jiske Upar Se Log Guzrenge Aur Kaha Mujhe Aur Zyada Yaad Nahi lekin itna mere jahen me hai log Jahannam se Nikale jaynge aur kaha is tarah syaah (kaale) honge (yaani Jahannam ki aag se jalke). Phir Unhe Jannat Ki Naher me daala Jayga waha se jab niklenge bilkul Safed Kagaz (White Ppr) ki trah hojaynge. Yazeed Al Fakeer Kehte Hai Unki Guftgu Sun ne K baad Phir Hum Waha Se Nikle Aur Apne Ustado k Pass pahuche unhone Humse Sabab Pucha Lautne Ka.
Saara Mazra Bayan Kiya Wo Hum Pe Naraz Huwe Phir Maine Kaha Dil Nahi Maanta k Aise Noorani Chehre Waala Sahabi Bhi Allah Kay Rasool Kay Baare Me Jhut Bol Sakta Hai Aur Hum Sabne Khwarijat Se Tauba Karli Jo Jo Gaye The Siwaye Ek kay.
References :
(Sahi Muslim Vol : 01, Pg : 313, Kitabul Imaan Hadees : 191, ‘English : Book 01, Hadees : 381, 371’)
(Imam Abu Nauyem Al Hilyatul Awliya)
Scan Page of Sahi Muslim
Hazrat Jabir Munazra With Khwarij on Shafat Sahi Muslim Hadees : 191 Kitabul Imaan 786sho.blogspot.in |
Is Hadees Pe Ab Kuch Lamha E Fiqriya Guftgu Bahot se log padh k gujar jaate hai par samajhte nahi hai lihaja iska khulasa jaruri hai.
1) ADAB E MADINA SHARIF NAHI : Kya Kaha Madeene Se Gujar Gaye matlab kya huwa Tazeem nahi thi dil nahi tha bas achanak se Gujar gye aur Masjid E Nabvi pahuch gye dekho aaj ka munafik khwarij bhi yehi kahta hai dil me azmat nahi hoti bas pahuch gye Ek Gulam Hota hai jo MADEENA SHARIF jaane k liye tadapta hai k kaash MADINA ME HI ZINDGI GUJAR JAAYE Aur Ek ye hai bas ghumte phirte pahuch gaye pata chala ye Makamat(Places) Ki Tazeem o Taukeer nahi hoti dekho aaj ka khwarij ko wo bhi yehi karta hai.
2) SAHABI E RASOOL صلى الله عليه و آله وسلم K SAAMNE QURAN SUNA RAHE HAI : Ye The Sahaba K Jamane K Young Generation Khud apna haalat Bayan kar rhe hai k wo Kharji hogaye the unke Haath Me Kya Tha ?
Haath Me Kya Tha Quran Jaban PE Aayat E Ilahi Tha
QURAN aayat Padhne lage kiske aage Sahabi E RASOOl صلى الله عليه و آله وسلم, Hazrat Abdullah ibn Jaabir Radi Allaho Anho k saamne wo jinhone QURAN kinse padha Nabi E KARIM صلى الله عليه و آله وسلم se unko QURAN sunane lage.
3) JARURI NAHI HAR QURAN KI AAYAT PADHNE WAALA HAWALE DENE WAALA SACCHA HO : aaj Ye bhi fitna failaya jaa raha hai k dekho hum QURAN ki aayat pesh karte hai aur tum hume bura bolte ho ab andaza lagao Musalmano dekho SAHABA k aage bhi SAHI aayat padhi gayi Sahi Hawale wo bhi QURAN hi se de raha tha na par Us aayat se Aqeeda aur Matlab galat bayan kiya jaa raha tha.
4) HAR QURAN KI AAYAT SUNANE WAALA HAQ PE NAHI HAI : Dekho ab kaha se Sazra Mila Hai nazdiyo kaa aaj jis Musalmaan k aage koi QURAN padhte QURAN ki aayat sunade wo soch aur fiqr me padh jaata hai k ab kya karu QURAN ki aayat pesh ki jaari hai.
Dekho QURAN padha jaa raha hai kiske aage aaj k aam Musalmano k aage nahi balki 1400 Saal pahle wo Bhi Sahabi k aage waha bhi logo ne isi tarah QURAN padhi hai.
5)Hazrat Abdullah ibn Jaabir Radi Allaho Anho Dars Kya De Rahe The ? : Huzoor Nabi E KARIM صلى الله عليه و آله وسلم ki SHAFAT kaa AAKA KARIM صلى الله عليه و آله وسلم ki Shan o Azmat Ka Huzoor صلى الله عليه و آله وسلم Ki Hazaat Rawayi Ka Jahannam se Aazad karana kitni badi Hazaat Rawayi Dastagiri hai Huzoor صلى الله عليه و آله وسلم K FAIDE KA Inkaar kisne kiya ?
Khwarijeen ne pata chala Nasl Kaha se aayi hai ? Nishaniyaa aaj bhi mauzood hai.
6) QURAN KI AAYAT SAHI ISTEDLAAL GALAT BAYAN KARNA : Khwarijeen ne Kya Kiya Raddh karne lage nahi nahi aisa kuch nahi hai aur daleel kin cheezo se de rahe the QURAN se , To pata chala Har QURAN ki baat bolne waala QURAN ki Sahi aayat padhne waala Jaruri nahi Aqeeda bhi sahi bayan karde. QURAN ko koi nahi bigaad sakta balki QURAN ki aayat k maane ko uske maksad ko badal ke Sahaba k aage padhte the khwarijeen.
7)KUFFARO WAALI AAYAT KO CHISPAN MUSALMANO PE KIYA : Aayat konsi padhi wo aayat jinka Talluk Kafiro se tha aur us aayat se raddh kar rhe kiska Huzoor Nabi E KARIM k Faide ka to jo KAFIRO K talluk se aayi thi aayat k wo Jahannam se nikalna chahenge dobara palta diye jaaynge unko koi nahi bacha sakta us aayat ko chispaan kiya Musalmano pe balki Musalmano k Liye SHAFAT E NABI صلى الله عليه و آله وسلم hai.
Pata Chala KAFIRO Ki AAYAT MUSALMANO PE CHISPAAN kar dena ye koi aaj ki baat nahi SAHABA k saamne bhi ye Khwarijeen k shakl me the NISHANI aaj bhi bas Naam aur Chehre badadlte hai.
8) QURAN K LIYE KABHI KABHI CHEHRE BHI DEKHNE HOTE HAI: Pata chala k Hazrat yazid jo kuch kharji the tauba ki aur Musalman huwe aur kya kaha k CHEHRE dekho aisa noorani chehra jhut nahi bol sakta ab dekho to sahi aaj unke Ulma k Manhoos chehre ko dekho hamare akabireen k chehre ko pata chal jaayga kon Saccha hai kon jhuta hai.
9) HAR QURAN PADHNE WAALA QURAN SAMAJH LE JARURI NAHI : ye bhi masla maloom huwa har insaan jo Quran padhe jaruri nahi k usko Quran fehmi bhi ho yakinan QURAN ko sikhna hai Samajhna hai to tareek pe sikho Jo Manhaj Sahaba ka Auliya Fukaha Sufiya ka hai agar Khwarijio k nazariat se padhoge is tarah aayat talash karoge ye nahi kar sakte wo nahi pata ye nahi pata to QURAN to padhloge par wo tumhe kaam nahi aaygi Jahannam me jaoge.
In Sha Allah Taala Iske aage ki post Shafat E Auliya Shohda Gair E Ambiya Alaihumsalam pe hogi Keep Remembrance at your prayer Shaikh Sher Ali Hanafi

as salamalekum bhai..jab hum yeh hadees paish kare aur wahabi yeh keh de ki yeh hadees Zaeef hai to kya kiya jaye..aur is hadees ko sahi kaise sabit kiya jaye.
ReplyDeleteisme saare hawale bukhari muslim kay hai
Deleteagar kahe to uske kahne se zaeef nahi hoti
zaeef ka reason pucho kis jagah jaeef hai kyun zaeef hai kin muhadiseen kay nazdeeq zaeef hai aur uska reason kya hai
ye saare sawal karo wahabi binaa bole bhag jayga
jazakallah
DeleteMasha ALLAH SUBHAN ALLAH
ReplyDeleteAye Mushkil kusha kijiye mushkil kushaayi
ReplyDeleteTarrap kar jo main ne sadaa ye lagaayi
To Aaqa ki rehmat ye paighaam laayi
Ab aayi shafa'at ki sa'aat ab aayi
Zara chain lay meray Ghabraanay waalay..
(Aala Hazrat)
GOOD INFORMATION
ReplyDeleteJazak allah khair
ReplyDelete