Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Friday 26 June 2015

Taraweeh Par Hadees e Hazrat Ayesha Ka Wahabiyo Ko Jawab

سم الله الرحمن الرحيم


♥ السلام عليك يا رسول الله ♥ ♥ السلام عليك يا حبيب الله ♥

Post 03 : Sahi Bukhari Umool Momineen Ayesha Siddiqa Radi Allaho Anha ki Bayan karda Hadees Par Wahabi Gair Mukallideen Ko Jawab  
Hadees :
Hazrat Abu Salma Bin Abdur Rahmaan Se Riwayaat Hai Ke Inhone Hazraat Ayesha Radhi Allahu Anha Se Pucha Ke Rasool E Akram ﷺ Ki Namaz Ramzaan Ul Mubarak Me Kaise Hoti Thi ?Aap Ne Farmaaya Rasoolullah ﷺ RAMZAAN AUR GAIR RAMZAAN 11 RAKAAT SE ZYADA NAHI PADHTE The Aap 4 Rakaat Padhte Na Pucho Ke Wo Kaisi Haseen Aur Kitni Daraaz Hoti Thi ,
Phir Aap 4 Rakaat Padhte Na Pucho Ke Wo Kaisi Haseen Aur Kitni Daraaz Hoti Thi
PHIR AAP 3 RAKAAT AADA FARMAATE ,
HAZRAT AYESHA RADHI ALLAHU ANHAA FARMAATI HAI MAI NE ARZ KIYA AYE ALLAH KE RASOOL ﷺ WITR PADHNE SE PEHLE SOJAATE HAI ? AAP ﷺ NE FARMAAYA AYE AYESHA MERI AANKH SOTI HAI MERA DIL NAHI SOTA.
Reference :
(Sahi Bukhari, Vol : 01, Kitab No 31 Kitab Assalato Taraweeh, Baab : Fazl E Man Qiyaam E Ramzaan ,Hadees : 2013) Ye Hadees bahot se makam par Muhadiseen Ne Likhi hai hum yaha kaafi reference bayan karnge jo khud padhne k baad samajh aajayga Is Hadees ko Wahabi Sabse Zyada Motebar Dalil Banake Awaam K Saamne Pesh karte hai aur kehte hai dekho Nabi e Karim ﷺ Ramzan me 08 Taraweeh padhte the Chunki Imam Bukhari Rahimullah ta’ala ne Isko SALAT O TARAWEEH me Kiyam e Ramzaan me likha hai to wahabi ye bolte hai k dekho SAHI Hadees hai ye Taraweeh ki awaam phir inke dhoke me aajati hai. Magar hakeekat bahot alag hai is se jo yaha hum almost khulasa kar denge dhyan se padhe phir gair mukallid na nigal sakenge na ugal sakenge aur yaha bahot shara e hadees bhi aage bayan karnge taaki koi wahabi ye na kahe k khud se hadees ki shara kardi. Important Point To Notice :
1) Ye Sawal hi Namaz e Tahazud k baare me hai agar Sawal Taraweeh k liye hota to umool momineen ne jawab Ramzan ki taraweeh ka dena tha Par Jawab diya RAMZAN AUR GAIR RAMZAN matlab Nabi e Rehmat Ramzan me bhi aur dusre mahine jaise Shawwal, Jilhajja, Rajjab etc me bhi is trah hi kayam karte hai agr sawal Taraweeh ka hota to gair Ramzan ka zikr hi na hota kyuki Taraweeh Gair Ramzaan me padhi hi nahi jaati Kya Wahabi Ramzan k Elava bhi dusre Mahino me Taraveeh padhte hai ?
2) Yaha Sawal karne waale ko puchna maksad ye tha chunke Ramzan me Nabi E Karim Taraweeh 20 Rakaat padhte hai phir Tahajjud kaise ada karte hai kahin tark to nhi karte the aur yehi jawab Umool Momineen ne diya hai agr wo iska yehi maana samajhti jo wahabio ne samjha hai k yaha Taraweeh ki namaz hai to jarur Jawab sirf Ramzan ka deti naaki gair ramzan ko shamil karti. 3) Ye Hadees se fil farz maan bhi le k Taraweeh hai tab bhi ye hadees aapke favour me nhi jaati hai kyuki Hadees me hai 4 + 4 Rakaat bahot lambi aur taweel padte uske baad 03 Rakaat yaani witr ek saath padte to pata chala yaha witr 03 Rakaat saaf sabit hogayi hai aur wo Ramzan aur Gair Ramzaan dono k liye saabit hai to Tum to 03 witr padhne ko biddat tak bakte ho aur 01 rakaat witr maante ho to yaha dalil tumhare kaam ki nahi hai. Iska khulasa thoda last post me bhi kiya tha. 4)Hadees k aakhri hisse me padhe to pata chalta hai k Ummol Momineen ne Nabi e Karim se pucha k aap WITR padhe sojate hai to jawab diya MAI SOTA HOON MERA DIL JHAGTA HAI aur ye 11 namaz ek saath padte the aur kon apni ammi ka accha baccha wahabi hai jo Isha padh sojata hai aur raat me uthke Taraweeh padhte hai ? balki saare wahabi Taraweeh Sone se pehle hi padte hai to ye dalil tumhare kaam ki nahi hai. Chunki Taraweeh ko Sone se pahle padhna hota hai aur Tahajjud ko sone k baad to pata chala ye hadees Taraweeh ki nahi balki Tahajud ki hai yaha tak k is hadees me TARAWEEH lafz tak nahi hai bila wajah isko Taraweeh banana ki koshish ki jaa rhi hai halanki ye Namaz e Tahajud hai. Ab aaye Iski is Hadees ki kuch shara dekh le yu to bahot hai par kuch hi yaha likh rahe hai ye utne me hi inke haath pair thande padh jaynge In Sha Allah Taa’la 1. Imam Shamsuddin Kirmaani Rehmatullah alaih Shaareh Bukhaari Is Hadees Me Farmaate Hai : Is Hadees Se Muraad Witr (Tahajjud) Ki Namaz Hai Aur (Hazrat Ayesha Radi allaho anha ) se Sawaal Aur (Unka) Jawaab Tahajjud Ke Mutalliq Tha. (Al Kaukab Dur-ri Sharah Bukhari Vol : 01, Pg : 155)

2. Imam Abu Bakr Ibn Arabi Radi allaho anho Shaareh Tirmizi Farmaate Hai : Nabi ﷺ Ramzaan Aur Ghair Ramzaan Me 11 Rakaat Se Zyaada Nahi Padhte The.Yeh Nabi e Karim ki Namaz Qiyaam E Lail (Tahajjud) Thi.Pas Waajib Hai Ke Is Me Aap Sal allahu alaihi wassalam Ki Iqtedaa Ki Jaaye.
(Aarizatul hauzi Sharah Tirmizi, Vol: 04, Pg: 19)
3. Imam Ibn Hajar Asqalaani Rahmatullah alaihi Sharah Bukhari Is Riwayat E Ayesha Radiallaho anha Ko Tahajjud Se Mutalliq Qaraar Dekar 11 Rakaat (Tahajjud Ma’a Witr) Ki Hikmat Yeh Bayaan Farmaate Hai : وَظَهَرَ لِي أَنَّ الْحِكْمَةَ فِي عَدَمِ الزِّيَادَةِ عَلَى إِحْدَى عَشْرَةَ أَنَّ التَّهَجُّدَ وَالْوِتْرَ مُخْتَصٌّ بِصَلَاةِ اللَّيْلِ وَفَرَائِضَ النَّهَارِ الظُّهْرُ وَهِيَ أَرْبَعٌ وَالْعَصْرُ وَهِيَ أَرْبَعٌ وَالْمَغْرِبُ وَهِيَ ثَلَاثٌ وِتْرُ النَّهَارِ فَنَاسَبَ أَنْ تَكُونَ صَلَاةُ اللَّيْلِ كَصَلَاةِ النَّهَارِ فِي الْعَدَدِ جُمْلَةً وَتَفْصِيلًا Mere Liye Zaahir Huwa Ke 11 Rakaat Se Zyaad Rakaat Na Hone Ki Hikmat Yeh Hai Ke Tahajjud Aur Witr Raat Ki Namaz Ke Saat Khaas Hai Aur Din Ke Faraaiz 11 Hai. Zohar Ke 4 Farz , Asar Ke 4 Farz Aur Maghrib Ke 3 Farz Jo Din Ke Witr Hai Pas Munaasib Huwa Ke Raat Ki Namaz Bhi Ajmal Aur Tafseel Dono Me Din Ki Namaz Ke Mushaabe Hojaaye. (Fathul Baari Sharah Bukhari Vol : 03, Pg : 21) 4. Qaazi Ayaaz Maliki Rahimullah Ne Bhi Hazrat Ayesha Radiallaho anha . Ki Tamaam riwaayat Ko Jinme Rasoolullah ﷺ Ki Namaz Ka Zikr Hai , Taraveh Ki Bajaaye Salaatul Lail (Namaz E Tahajjud) Ke Mutalliq Qaraar Diya Hai.
(Sharah Muslim Lil Nawawi, Vol : 06, Pg:19)
5. Hazrat Shaik Abdul Haq Muhaddis Dehelwi Rahimullah . Is Hadees Ke Mutalliq Likhte Hai : Saheeh Yeh Hai Ke Nabi e Karim Sal allahu alahi wassalam Jo 11 Rakaat Padhte The Wo Tahajjud Ki Namaz Thi.
(Ashiatul Lamaat, Vol : 1, Pg : 269)
In tamam upar bayan karda dalail ne Gair Mukallideen k Bhagne k saare raste band kar diye aur bhi bahot hai yaha tak k inke ghar k sanad bhi pass me hai k yaha Tahajjud Murad hai par ye mauzuda khwarij apni akabir k bhi baagi hai itni dalil dene k baad bhi ye kaum ek dhoka deti hai wo ye hai k
objection : IMAM BUKHARI ne is Hadees ko Salato Taraweeh Kayam e Ramzan me likha hai is se proof huwa k ye Taraweeh hai ye aakhir hathyaar hai wo bhi ab fuski hojayga yaha
Al Jawab :
Imam Bukhari ka Is Hadees ko Salato o Taraweeh me laana kuch wajah se tha aur ye unka apna ijtehad hai aur sabse ahem cheez baab hadees nahi hota ye Muhadiseen ka apna faisla hai wo hadees ko jaha chahe jis baab me chahe likhe jo aage aur khulasa hoga
Jin jahilo ko baab aur hadees me fark nahi pata wo aaj khud ko ahle hadees keh rhe hai.
01) Imam Bukhari Rahimullah ka isko Salato taraweeh me Kayam e Ramzan me likhne ka matlab ye nhi wo is hadees ko Taraweeh samajhte the balki wo batana chahte the k Tahajjud Ramzaan me bhi padhna hai aur gair e Ramzan me bhi matlab ye hai. 02) Imam Bukhari Isko us baab me laake Ramzan ki Fazail bata rahe hai Yahi Wajeh Hai Ke Inhone Baab Ka Naam “Baab Fazl E Man Qiyaam E Ramzaan “ (Fazail E Qiyaam E Ramzaan ) Rakha Hai. Agar Imam Bukhari Rahimullah Ka Maqsad Taraveh Ki Rakaat Batanaa Hota Jaisa Ke Ghair Muqallideen Ka Dawa Hai Toh Aap Is Baab Ka Naam “ Baab Adad e Qiyaam e Ramzan “(Yaani Baab E Tadaad E Qiyaam E Ramzaan) Rakhte.Lekin unhone Aisa Nahi Kiya ye khud me ek dalil hai k ye namaz e Taraweeh na thi.
03) Agar bakaul tumhare (wahabio) Imam Bukhari ka kisi hadees ko baab me laana hi uski taraweeh hone ki dalil hai to Khud Imam Bukhari Rahimullah ne bukhari sharif me ek hi hadees ko kaafi alag alag baab me laaya hai wo kyu nahi maante ?
04) Agar Imam Bukhari k khud ka Ijtehad ya soch ye hoti k is se murad Taraweeh hai to wo kabhi is hadees ko dusre baab me naa laate balki Sawal karne waale ne ye sawal kiya Ramzan k talluk se to Imam Bukhari ne waha bhi bayan kardi balki Imam Bukhari ne khud is hadees ko Salato Taraweeh k elawa apni hi Sahi Bukhari me aur bhi jagah likhi hai jo ye hai hawale

Imam Bukhari ne khud is hadees ko 02 aur alag jagah laaya alag baab me laaya kya wo huzzat nahi ?
(Sahi Bukhari, Vol : 02, Kitab No. 61 Manakib e Nabi Wa Ashabun Nabi , Baab : Nabi ki aankh Soti Hai par Dil Jhagta Hai, Hadees : 3569) (Sahi Bukhari, Vol : 01, Kitab No. 19 Kitab At Tahazzud, Baab : Kiyameen Nabi Bil Lailee Fi Ramjaan Wa Gairihi, Nabi e Karim K Raat Me Kayam Karne Ka Bayan Ramzaan aur Gair E Ramjan Me, Hadees : 1147) Imam bukhari ne isko Tahajjud me bhi laaya hai wo kyu nhi maante ? apne matlab ka hazam baaki chod diya halanki imam Bukhari ka akeeda bhi taraweeh ko leke 08 rakaat ka naa tha balki khud unhone apni kitab Al Kuna me Taraweeeh k 20 rakaat hone ki hadees likhi hai.
عن ابي الخصيب قال كان سويد بن غفلۃ يؤمنا في رمضان عشرين ركعۃ ( الکنی، از امام بخاری، حدیث 234) Abu Al Khusaib Radi allaho anho Farmaate Hai Ke Suwaid Bin Ghafalah Radi allaho anho Ramzaan Me 20 Rakaat Taraveh Padhaate The. (Al-Kuna : Vol : 2 ,Pg : 234) Pata chala k Imam Bukhari khud 20 Rakaat Taraweeh k kayal the aur bil farz baab me laana hi tum dalil maante ho to bas ek Sawal kya tum Siha Sitta k dusre Imamo ko Imam Muslim, Imam Nasai, Imam Abu Dawood, Imam Tirmizi Rahimullah azmain ko nahi maante ho ?
Kya Unke Kayam karda baab huzzat nahi hai ?
Kya Imam Malik Rahimullah ko Nahi maante Unke Kayam Karda Baab Huzzat nahi ?
Un sabne is hadees ko Kayam e Lail Tahajjud me laaya hai kya karoge iska ?? Pata Chala Muhadiseen ka Baab me laana wo nahi hai jo tumne tehkeek kar nikala hai niche reference mauzood hai dekhlo
Other Than Bukhari & Other Than Taraweeh References
(01. Imam Maalik ne Al Muwatta Imam Malik Vol : 01, Kitab No 07 Assalatul Lail ‘Tahajjud’, Hadees : 263  {English Version : Book : 07, Hadees : 09})
(02 . Sahi Muslim, Vol : 01, Kitab No 06, Kitabu Salat Al Musafiree’n Wa Kasrihi, Hadees : 738, ‘English - 1607’)
(03. Sunan Tirmizi, Vol : 01, Kitab No 02 Kitabus Salat, Baab : Maa Zaa’a Fihi Wasafi Salateen Nabi ﷺ Bil Laili) - ye Rivayat Hai Saeed bin Abi Saeed Al Maqburi Se Unhone Hazrat Abu Salma Bin Abdur Rahmaan se Suna.
(04. Sunan Abu Dawood, Vol : 01, Kitab No 05 Kitab كتاب التطوع, Baab : Fi Salatil Lail, Hadees : 1341)
(05. Sunan Nasai, Vol : 01, Kitab No 20 Kayam Al Lail, Baab : Kaifa Witr Bi Salat, Hadees : 1697)
Yaha se saaf maloom huwa k Majority Muhadiseen ne is hadees ko Tahajuud hi bayan kiya hai aur shara me bhi wohi hai aur khud Imam Bukhari bhi Tahazzud hi maante the.
Agar Is Namaz se Murad Taraweeh hota KASAM ALLAH RABBUL IZZAT ki jab Baa Jamat Taraweeh Daur e Umar bin Khattab Radi allaho anho ne shuru karwaayi to Umool Momineen bolti k Taraweeh 08 hai balki wo khamosh rhi sahaba ki majority ne 20 padhi hai baa jamaat padhi hai kya kisi ko nhi samjha k taraweeh 08 hai balki sabne 20 hi likhi hai aur amal 1400 saal se itne muhadiseen ne bayan kiya taraweeh k 20 hone ki kya tamam musalman ye biddati the aur tum padhe likhe hogye ho akal k naakhoon lo aur hosh me aao kin jahilo k piche chal pade ho
Ab bhi koi aankh me patti bandhe apni hi khud sakhta tehkeek ko leke aage badhe apna dimaag lagaye aur awaam ko gumraah khud gumraah ho aiso ko samajhna chahye k kaha jaa rahe hai.
Allah se Dua hai k Tamam Musalmano ko is daur k fitna e azeem gair mukallideen k maker o fareb se mehfooz rakhe. For Post 01 Proof of 20 Rakat Taraweeh CLICK HERE For Post 02 Refutation of Wahabis Regarding Muwatta Imam Malik of Taraweeh CLICK HERE
Keep Remembrance at your prayer Sher Ali Hanfi

3 comments:

  1. Bohot sahi explanation karke gair mukalladin ko jawab diya hai...
    Allah taala aap ke ilm mai barkat de

    ReplyDelete
  2. Where I can download the book Al kuna by imam bukhari ra

    ReplyDelete

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers