Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Tuesday, 30 June 2015

kya Taraweeh Tahajud Ek Hi Namaz Hai

سم الله الرحمن الرحيم


♥ السلام عليك يا رسول الله ♥ ♥ السلام عليك يا حبيب الله ♥

Kaum E Wahabiya k Pass Taraweeh ki 08 Rakat Hone ki Koi Daleel Mauzood Nahi hai Siwaye Jhut Makkari Farebkari k aur 20 Rakat Taraweeh Pe Izmaa e Sahaba, Izma e Ummat 1400 saalo se Musalmaano ka amal raha hai ek Musalmaan k liye itna hi kaafi hai par jab wahabiya dalail naa laa sake.
To ab kuch saalo se ek naya shosha fitna choda gaya k ab koi raasta bacha nahi aur shaitan k bande hai to tauba karnge nhi hatthdharmi jo hai to direct yehi boldo k TARAWEEH TAHAJUD ek hi namaz hai baat hi khatm hojaygi par iske saboot me dalail nhi sirf akal k ghode hai bas uspe bhi daleel jo dete hai wohi hadees hai bukhari ki wo bhi inke khilaf hai.
Hadees :
Hazrat Abu Salma Bin Abdur Rahmaan Se Riwayaat Hai Ke Inhone Hazraat Ayesha Radhi Allahu Anha Se Pucha Ke Rasool E Akram صلى الله عليه و آله وسلم  Ki Namaz Ramzaan Ul Mubarak Me Kaise Hoti Thi ?Aap Ne Farmaaya Rasoolullah صلى الله عليه و آله وسلم  RAMZAAN AUR GAIR RAMZAAN 11 RAKAAT SE ZYADA NAHI PADHTE The Aap 4 Rakaat Padhte Na Pucho Ke Wo Kaisi Haseen Aur Kitni Daraaz Hoti Thi ,
Phir Aap 4 Rakaat Padhte Na Pucho Ke Wo Kaisi Haseen Aur Kitni Daraaz Hoti Thi
PHIR AAP 3 RAKAAT AADA FARMAATE ,
HAZRAT AYESHA RADHI ALLAHU ANHAA FARMAATI HAI MAI NE ARZ KIYA AYE ALLAH KE RASOOL صلى الله عليه و آله وسلم  WITR PADHNE SE PEHLE SOJAATE HAI ? AAP صلى الله عليه و آله وسلم  NE FARMAAYA AYE AYESHA MERI AANKH SOTI HAI MERA DIL NAHI SOTA.
Reference :
(01 : Sahi Bukhari, Vol : 01, Kitab No 31 Kitab Assalato Taraweeh, Baab : Fazl E Man Qiyaam E Ramzaan ,Hadees : 2013) Is hadees pe humne saabit kiya k ye hadees se Murad Namaz e Tahajud Hai Taraweeh nahi par wahabio ne ab yehi hadees ko base banake bol diya k TAHAJUD TARAWEEH ek hi hai. To Ab inke is dalail ka bhi raddh kar rhe hai.

1) Awaal to ye k Taraweeh Namaz Hai Sunnat e Moekaddah Aur Tahajud Namaz hai Nafil.
Taraweeh padhi jaati hai sirf aur sirf RAMZAN al Mubarak me aur Tahajjud padhi jaati hai Saal k 12 month including Ramzan Sharif.
Jiski Tadad 12 Tak Hai aur 08 darmiyani rakat hai.
2) Ab Is Hadees aur Baab ko base banake dawa kar diya gair mukallideen ne k Tahajud AUR TARAWEEH ek hai aur ye fakat kam ilmi jahalat hai apne galat nazariat ko kaum pe thopna chahte hai bas  ye dono namaz alag jo saabit hai lkin phr bhi yaha kuch khulasa aur kardu.
3) Nabi e Karim 08  + 03(Witr) Rakat padhte the Jo RAMZAAN AUR GAIR RAMZAAN DONO K LIYE  hai yaad rakhe.
4) Ab agr wahabio ki daalil fil farz ek wakt ek lamhe k liye ye maan le k ye taraweeh hai to hadees me 02 namaz ka zikr hai ek  08 rakat jisko ye taraweeh bolte hai dusra 03 witr aur saal k 12 mahino ka hukm hai aur bhagne ka koi rasta nhi hai ye hadees SAHI hai yaad rakho.
RAMZAAN AUR OTHER MONTHS
5) To ab tum wahabio 03 Rakat witr Ramzaan me pdte ho half toli aur half 1 hi padti hai to wohi witr 03 rakat jab gair RAMZAN k liye bhi saabit hai to kyu jaan chudate ho kyu nahi padte gair ramzaan me 03 witr  ?
To ye dalil tumhare kaam ki nahi hai ye sirf tum makkari kar awaam ko ibadat se gafil rakh k dhoka dena chahte ho.
Half hadees ka hissa apne matlab ka leliya par half chod diya ye MUNAFIKAT HAI
6) Is hadees k aakhri hissa me bhi yehi bayan hai k Nabi e Karim Raat me sojate the phr uthke namaz padhte the jaisa k Umool Momineen K sawaal se saaf jaahir hai tum saare wahabi direct ISHA k baad hi kyu shuru hojate ho ? Agr is hadees ko dalil banate ho Taraweeh ki to tum bhi raat me sone k baad utho aur taraweeh padho ? kyu nahi padte ?
Hum jaante hai tumse nahi hoga nafs pe bhari jo hai ye tumhare liye.
07) Ab aakhir baat wahabi karenge Imam Bukhari Rahimullah ne isko Baab : Kiyam e Ramzan kitabo Salato Taraweeh me darj kiye isliye ye namaz Taraweeh hai..
Accha accha ye bahot bade muhakik e jamana hai wahabi awaal to in jahilo ko yehi nahi pata hai k BAAB aur hadees ye dono alag chiz hai.
Baab hadees nahi hota wo Muhadiseen ka apna fiqhi iztehad hai wo hadeeso ko us ijtehad pe darj karte hai khud Imam Bukhari Rahimullah ne Bukhari Sharif k andar ek hi rivayat ko 05 08 10 10 baar alag alag kitabo me alag alag baab me nakl kiye baab k hisab unke akeede badalte jaaynge ? Khud yehi rivayat jisko taraweeh maante ho tum jo Tahajud hai us hadees ko Imam Bukhari ne 03 alag alag makam par darj ki hai ek hawala upar diya jaa chuka ab baaki 02
(02 : Sahi Bukhari, Vol : 02, Kitab No. 61 Manakib e Nabi Wa Ashabun Nabi , Baab : Nabi ki aankh Soti Hai par Dil Jhagta Hai, Hadees : 3569)
(03 : Sahi Bukhari, Vol : 01, Kitab No. 19 Kitab At Tahazzud, Baab : Kiyameen Nabi Bil Lailee Fi Ramjaan Wa Gairihi, (Nabi e Karim K Raat Me Kayam Karne Ka Bayan Ramzaan aur Gair E Ramjan Me), Hadees : 1147)
ye kyu nahi maante ?
Sirf aur sirf Makkari Farebkari pe pura mazhab e wahabiya khada hai tumhara.   KAISA JAAL BICHAYA HAI SHAITAAN NE
    AISI FAUZ BANAYA HAI SHAITAN NE
             ROKE LOGO KO IBADAT SE
AISE SAATHI FAILAYA HAI SHAITAN NE

Gair Mukallid Ka Hazrat Umar Radi Allaho Anho Se Ektelaf Kyu Tehkeeki Hadees e Sahi Se Mooh Tod Jawab  
Aakhir 08 Par hi Hattdharmi Kyu aur Hazrat Umar Radi Allaho Anho k FAISLE SE BHAGAWAT KYU ? Aakhri Jarb
Kaum e Gair Mukallid inke jitne mooh utni baatein koi baat pe muttafik nahi hai inka ek mullah 20 Taraweeh k dalail deta hai dusra 20 ko biddat gumrahi aur pata nhi kya kya bhokte hai ek inka awaara 30 rakat taraweeh Haram me bhi padta hai aur dalail humse mangte hai 20 ki. Algarz aakhir me jab koi dalail nhi rhti charo taraf se phasjate hai to phr new drama Haram me Masaliyat k tehet 20 padte hai accha accha bade masliyat pasand ho tum log ? To Kya Masliyat k chakkar me Saare logo ko biddati banaoge Bakaul tumhare 20 biddat hai gumrahi hai aur khud 30 bhi pdte ho to tumhara asal masla kya hai ? khud confuse raho aur dusro ko bhi confuse kardo ? aur Makkari itni k bolenge Hanfio k dabaw me 20 padte hai aur 30 kya tumhare baap ne izaad ki hai jo baaj mauko pe aakhri ashre me 30 rakat padh rahe ho ? ye kiska dabaw hai ?
Jhut itna k hanfio ne mazboor kiya hai makkaro kya hanfio ne phr Shafai Maliki Hambli in sab k akabireen ko bhi mazboor kiya hai 20 padhe kya saare 03 Mazhab k masajid ko Hanfio ne mazboor kiya hai 20 padho mardoodo kitna makkari karoge tum ?
20 Rakat Taraweeh Baa Jamaat PURA RAMZAN padhna SUNNNAT E KHULFA E RASHEEDEEN HAI Sahaba ka Fukaha ka 1400 saalo ka izma hai aur Izma se hatke uske khilaf baatein laane waala gumraah baddeen hai jo tum ho kisi ko aaj tak pata nhi chala 08 hai tum aaj ke sapolo nau zaida baccho ko pata chal gaya 08 hai Shaitani tola wo aage sabit karunga.


20 Rakat Taraweeh Bajamat Pura Mahina ye Amal Hazrat Farooque E Aazam se saabit hai jispe sabka ittefak aur izmaa hai aap sab jaante hai is baat ko aur khud wahabi jaante hai par maante nahi.
Khair kyu nahi maante wo is hadees se pata chal jaayga sab aine ki trah saaf maloom hojayga  Hadees e paak padhe.
Hadees :
Sa`d bin Abi Waqqas Se rivayat Hai Nabi e Karim صلى الله عليه و آله وسلم  ne farmaya

"Aye Umar Mujhe Us Zaat Ki Qasam Jis Ke Qabze Me Meri  Jaan Hai,Jis Raaste Se Tu Guzaro Ge Us Raste Se Shaitan Nahi Guzarega Bulke Wo Dosre Raaste Se Jayega."
References :
(Sahih Bukhari Book No : 62 kitabul Fazail e Ashabun Nabi, Baab : Manakib e Umar Bin Khattab, Hadees : 3683 {English Version - Sahih Bukhari Book 57, Hadith 32  English})
(Sahih Bukhari, Kitab No : 78 Kitab Al Adab, Baab : Muskurane Ka Bayan, Hadees : 6085)
(Sahih Muslim Book No : 44 kitabul Fazail e Sahaba, Baab : Manakib e Umar Bin Khattab, Hadees : 2396 {English Version : Sahih Muslim Book 44, Hadith 32}) Imam Bukhari Rahimullah ne is hadees ko Bukhari sharif me 03 makam pe likha hai 02 hawala upar hai ek aage likhunga.
Is hadees se pata chala k Shaitan us raste ko chod bhagta hai jaha se Umar Radi ALLAHO Anho ka guzar ho aur aap khud soch le aaj kon bhagta hai Hazrat Umar k Faisle se wo aapke saamne hai tabseera mujhe nhi karna.
Imam Bukhari ne is hadees ko ek aur makam pe kayam kiya aur KASAM ALLAH ki is baab pe kayam karke Gair Mukallido ki haddi tod di Imam Bukhari Rahimullah ne ALLAH ne Apne MEHBOOB  صلى الله عليه و آله وسلم ki Hadeeso ki khidmaat k sadke Imam Bukhari ko bhi itna ilm se nawaza k unhone bhi is fitne ko bilkul inki sifat k maddenazar likha hai bukhari sharif wo hawala ye hai.

(Sahih Bukhari Book No : 59 kitabul Badi al Khalk (Begining of Creation), Baab : Sifat e Iblees Wa Zunudihi (Iblees aur Uski Fauz ki sifaat), Hadees : 3294 )

Imam Bukhari ne is hadees ko Baab : IBLEES AUR USKI FAUZ KI SIFAAT me nakl kiya goya wo ye bata rhe hai dekh lo jaanlo Jo Hazrat Umar se bhagne waale Iblees k fauzi hai aur bata diya gair Mukallid Hazrat Umar se bhagte hai dar asal yehi iblees maloon ki fauz hai.
Awaam ko Samajhna chahye inko pehchan na chahye hadeeso me saaf nishaniya mauzood hai. 20 Rakaat Taraweeh Padhne Waala Faide Me Hai

Bil Farz maalo Taraweeh 08 hai bilfarz waise to hai nahi.
Kal baroze mehshar agar ALLAH Tabarkwatala ne ye pucha
Mere Nabi  صلى الله عليه و آله وسلم ne 08 padhi tum 20 kyu padte the ?
Ek Musalmaan jawab dega Aye ALLAH Tabarakwatala Hume Tere Mehboob  صلى الله عليه و آله وسلم ki Jaban e Paak se nikli baat Aap  صلى الله عليه و آله وسلم ka farmaan pahucha tha tune khud farmaya hai Mera Mehboob  صلى الله عليه و آله وسلم Apni Taraf se Kuch nhi bolta aur Hukm Maano Rasool صلى الله عليه و آله وسلم ka Itaat karo Rasool  صلى الله عليه و آله وسلم Ki jo kalam e Ilahi me mauzood hai lihaja humne wohi kiya. hum tak ye farmaan e Mustafvi  صلى الله عليه و آله وسلم pahucha.

Hadees 01
Abu Jarr Radi Allaho Anho Se Rivayat Hai Unhone Nabi e Karim  صلى الله عليه و آله وسلم ko Farmate Suna
"‏ إِنَّ اللَّهَ جَعَلَ الْحَقَّ عَلَى لِسَانِ عُمَرَ وَقَلْبِهِ ‏"‏ “Allah Ne Umar Ki Jabaa’n Aur Dil Par Haq Jaari Farmaya” References :
(Sunan Abu Dawood, Vol : 03, Pg : 138, Kitab No 20 Kitab Al-Kharaj, Wal-Fai' Wal-Imarah, Hadees : 2962)   Albani ne bhi is hadees ko Sahi Likha 
(Jamai Tirmizi, Kitab No 49 Kitabul Manakib,Hadees : 4046 {English Version Hadees No : 3682}) Is hadees ko Hazrat Nafi Ne Ibn Umar se rivayat kiya.
(Sunan Ibn Majah, Vol : 01, Kitab Al Mukaddama, Hadees : 108)  
ALLAH Farmaan e Nabvi Hai k Hazrat Umar ki Jaban se Haq jaari hai tere mehboob k farmaan k mutabik humne Hazrat Umar k farmaan ko sir aankho pe liya aur 20 padhe hai aur ek jagah irshad farmaya.

Hadees :
يَعِشْ مِنْكُمْ بَعْدِي فَسَيَرَى اخْتِلاَفًا كَثِيرًا فَعَلَيْكُمْ بِسُنَّتِي وَسُنَّةِ الْخُلَفَاءِ الْمَهْدِيِّينَ الرَّاشِدِينَ تَمَسَّكُوا


Hazrat Irbaaj bin Sariya  se rivayat hai Nabi e Karim صلى الله عليه و آله وسلم  Ne farmaya “Tum Me Se Jo Mere Baad Rahega Jarur Bahot Ektelaf Dekhega Jo Shakhs Ye Zamana Paaye Usey Chaahiye Key Meri Aur Merey Hidayat Yaafta Khulafa Ki Sunnat Ikhtiyar Karey, Tum Log Usey (Sunnat Ko) Daanton Sey Mazbooti Sey Pakar Leyna.”
References : (Sunan Abu Dawood, Kitab No 42 Kitabu Sunnah,  Hadees : 4607 {English Version - Bookm 42 Hadees : 12}) Gair Mukallid k Albani ne bhi Sahi Kaha Hai
(Jamai Tirmizi, Book No 41 Kitabul Ilm, Hadees : 2676 {English : Book 41 Hadees : 32}) Hadees Sahi Hai (Sunan Ibn Majah, Vol : 01, Kitab Al Mukaddama , Hadees : 44 and 45 )
Narration Yahya bin Abu Muta Farmate hai maine  Irbaaz bin Sariya se suna K Nabi Ne Farmaya
(Imam Ahmad Ibn Hambal Al Musnad, Vol 04, Pg : 127)
(Sunan Darimi Vol : 01, Hadees : 96)
(Imam Hakim Al Mustadrak Vol : 01, Pg : 164, Hadees 129)
(Mishkat Al Masabih, Vol : 01, Hadees : 157) Mere Baad Khulfa ki pairvi karo lihaza humne bhi is farmaan k maddenazar 20 padhi hai.
Alhamdullilah Musalmano k pass to jawab hoga aur agr bilfarz hamare namaz 12 rakat  zyada hogi baroze mehshar ek ek nekiyo ka insaan mohtaaz hoga ALLAH se ummid hai k ye nekiya hamari wo namazo ka nafli sawab hojayga. Misaal k taur pe ek aam musalman ki umr is ummat me 60 baras hai ek shaks ne 45 yrs taraweeh 20 rakat padhi to ek mahine ki 600 rkat  45 years X 600 Rakat  = 27000 Rakat Taraweeh Hogyi ab agr maanlo 12 rakat zyada padhi tab bhi 45 years X 360 Rakat  = 16200 Rakaat Extra hogyi aur padha Ramzan me Dalil bhi mauzood hai to ALLAH in ibadato ka bhi sawab dedega ab agr aaya number Mukhalifeen ka munkir ka wo kya kahenge unki ibadat bhi kam ek ek nekiyo k mohtaaz
ALLAH Taa’la ne inse agar pucha tumne 08 kyu padhi ?
Kya Tum Tak Mere Mehboob ka Farmaan nahi pahucha k Khulfa e Rasheedin ki Pairvi karo ? ye Kahenge bhi kya K Aye ALLAH humto saare 20 padhne waale ko biddati gumraah bolte aaye hai bas har amal ko biddat biddat bolte aaye uski tehkeek me hi zindagi guzar di hai. Goya ye tamam sahaba ko biddati bolte aaye jinhone 20 padhi hai Hukm e Ilahi hoga unhe biddati mante aaye jinko dunya me hi jannati bana diya gaya tha jinke Imaan par Muhar e Ilahiya Thi. La jawab wahabi dalil to hogi nhi siwaye akli ghodo k inke pass natiza kya hoga neki se mehroom upar se thokai jo wo alag.. Sunnio ko koi tension lene ki jarurat nhi hai hum haq par hai 20 ki motebar dalail mauzood hai aur hadees e paak se bhi wajeh hogaya hai k ye Gair Mukkalid tola Shaitaan k fauzi sipahi hai uska maksad bhi MUSALMANO ko amal se nek kaam se rokna hai wo bhi Umar Radi Allaho Anho se bhagta hai ye bhi bhagte hai samajhdaar padhe sab samajh gye honge.
ALLAH SE DUA HAI IN MAKKARO SE HAMARE BHOLE BHALE AWAAM AUR HUME BHI INKE FITNO SE BACHA.. AAMIN
Keep Rememberance at your prayer Sher Ali Hanfi

7 comments:

  1. Aap to sachche momin hai masha Allah, your language quite impressive, Hats off to you

    ReplyDelete
  2. Aap to sachche momin hai masha Allah, your language quite impressive, Hats off to you

    ReplyDelete
  3. 20 rakat tataraweeh ki shi Hadith dkhao refrencre ke sth or ek hadith ye v dkhao jisme likha ho Nabi Sallallahu alayhi Wasallam ramzan m taraweeh v pdhte the or tahajjud v
    Or ek ye bt ye v sun lo Hazrat Aisha Radi Allahu Tala anhu se jo hadith apne sbse phle phle di h usme srf tahujjad ki namaz zikr nhi h blke ye zikr h ki rasulullah Sallallahu alayhi Salam ne kabhi v raat ki 11 rakat rakat se jyda jhi prhi
    Koi behs nhi krna bs jo hadith maine pucha wo doni hadith sahi refrencre ke sth pesh kro ������

    ReplyDelete
    Replies
    1. http://786sho.blogspot.in/2015/06/taraweeh-ki-rakaat-ka-bayan.html
      http://786sho.blogspot.in/2015/06/refutation-of-wahabis-claim-regarding.html

      http://786sho.blogspot.in/2015/06/taraweeh-par-hadees-e-hazrat-ayesha-ka.html
      Acche Se Padhlo

      Delete
  4. Dusre wale ques ka jawab nhi mila hadith ke sth
    Kya nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ramazan ke mahine m taraweeh v pdhte the or tahajjud v pdhte the?????

    ReplyDelete
  5. Barailvi matlab gali gali barAilvi ki iman hai jabtak wah gali nahi bolenge unka iman mukammal nahi hoga

    ReplyDelete

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers