سم الله الرحمن الرحيم
♥ السلام عليك يا رسول الله ♥ ♥ السلام عليك يا حبيب الله ♥
Ramzanul Mubarak Karib Aate Hi Daur e Haajir Ka Fitna E Azeem Wahabi Gair Mukallid ne Pichle chand saalo se Ek Fitna Choda hai ye barsaati mendak Seasonal hote hai har maah koi na koi kalabaji ka show inka shuru hi rhta hai jaise season ho waise aitraaz karte hai.
Ramzanul Mubarak aate hi ek fitna choda jaata hai wo TARAWEEH ki rakat ko leke fitna failaya jaata hai aur awaam ko shak o subahat me daala jaata hai k jo 20 RAKAT TARAWEEH padhi jaa rhi hai ye khilaf e Sunnat hai Biddat hai etc. Aur Social Network me Chahe Facebook watsapp ya other applications me fitna badi tezi se failaya jaata hai.
Is Topic ko Hum Kuch Posts me Mukammal karnge chunki ye article hai bahot zyada nhi likha jaa sakta bahot zyada tehkeeki hawale SCan pages etc sab Taraweeh k Topic Me Hamari Kitab me aayga par yaha itna likh denge In Sha ALLAH Taa’ala k Mukhalifeen ki bolti band hojaygi.
20 Raka’at Taraweeh Padhna Sunnat E Rasool Allah ﷺ Sunnat e Sahaba Sunnat Aamatul Muslimeen Hai
8 Rakaat Taraweeh Khilaf e Sunnat Hai aur jo Log ye Dawa karte hai 8 Rakat Taraweeh Hone Ki unke pass dalail k naam pe kuch nahi hai fakat akal k ghode hai baat darasl ye hai Ibadat inko bhoj lgti hai ye apni nafs k gulam hai har mahine kuch na kuch Shosha Chodte hai
Taraweeh K 20 Raka'at Hone Ka saboot.Hadees 01 :
“Hazrat Abdullah ibn Abbas Radiallahu Anhu farmate hai Nabi E Karim ﷺ Ramzan Me Witr K Elava 20 Rakaat Taraweeh Padte The”
References:
(Imam Ibn Abi Shaeba Al Musannaf Vol : 02, Pg : 163, Hadees : 7692)
(Imam Tabrani Al Ma’jmaul Ausaat , Vol : 01, Pg : 243, Hadees :798)
(Imam Tabrani Al Ma’jmaul Ausaat , Vol : 05, Pg : 342, Hadees : 5440)
(Imam Tabrani Al Ma’jmaul Kabeer , Vol : 11, Pg : 393, Hadees : 1210)
(Imam Bayhaqi Al Sunan Al Kubra, Vol : 02, Pg : 496, Hadees : 4391)
Is Hadees e Nabvi Se Pata chala k Khud Nabi E Karim ﷺ Bees 20 Rakat Taraweeh Padhte The.
Hadees 02 :
و حدثني عن مالك عن يزيد بن رومان أنه قال
كان الناس يقومون في زمان عمر بن الخطاب في رمضان بثلاث وعشرين ركعة
Yahya ne Malik Radiallahu Anhu se mujhko khabar di unhone Yazeed bin Ruman رَضِیَ اللهُ عَنْهُ se riwayat kiya ki wo farmate hain “Log Hazrat Umar Farooq رَضِیَ اللهُ عَنْهُ ke zamane me 23 rakat ke liye qiyam karte the”
Reference :
(Muwatta Imam Malik, Kitabus Salat, Baab : Ma Ja-a Fi Qayam E Ramzan Volume : 1 Page : 159 Hadith number : 380)
Is se 02 Baat Maloom Huwi ek ye k Taraweeh 20 Rakaat Hai aur Witr 03 Rakaat Hai.
Reference :
(Muwatta Imam Malik, Kitabus Salat, Baab : Ma Ja-a Fi Qayam E Ramzan Volume : 1 Page : 159 Hadith number : 380)
Is se 02 Baat Maloom Huwi ek ye k Taraweeh 20 Rakaat Hai aur Witr 03 Rakaat Hai.
Hadees 03 :
Hazrat Saeb Bin Yazeed رَضِیَ اللهُ عَنْهُ say marwi hai unhone bayan kiya k "Hazrat Umar Bin Khattabرَضِیَ اللهُ عَنْهُ k 'Ehad (door e Khilafat) main Sahaba E Kiram Radi ALLAH T'ala Anhuma Azmain maah-e-Ramzan main bees (20) rakat taraweeh parhty they aur un main soo (100) ayaat wali soortain parhty thy aur Hazrat Uthman رَضِیَ اللهُ عَنْهُ k 'Ehad (Door e Khilafat) main shiddat e Qayam ki waja say wo apni laathiyun say tayk lagaty they."
References :
(Imam Bayhaqi As Sunan Al Kubra Vol : 02, Pg : 498/99, Hadees : 4617)
(Ibn e Hasan Faryabi ,Kitab As Siym Vol : 01, Pg : 131, Hadees : 176
(Ibn e Ja'd Al Musnad Vol : 01, Pg : 413, Hadees : 2825)
Scan Page Of Imam Bayhaqi As Sunan Al Kubra
Scan Page Of Imam Bayhaqi As Sunan Al Kubra
Imam Nawawi ne Iski Sanad Ko Siqah Karar Diya (Al Khulasa Al Ahkam pg : 576, Hadees No : 1961) Below Is Scan page
Imam Badrudin Ayni Rahmatullah Alaih Ne bhi Isko Sahih Qarar Diya Hai (Umdatul Qari Shara E Sahi Bukhari Vol : 05, Pg : 264, Print Darul Fikr Berut) Gair Mukallideen k Famous Scholor Mubarkpuri likhte hai Ye Hadees Sahi Hai (Mubarakpuri, Thofat ul Ahwazi, Vol: 03, Pg : 453) Is Hadith ko Imam Bayhaqi, Imam Faryabi aur Ibn e ja'd nain rawayat nain kiya. Aur Imam Faryabi nain farmaya k is hadith k Rijaal thiqah hain.
Hadees 04 :
حَدَّثَنَا وَكِيعٌ ، عَنْ حَسَنِ بْنِ صَالِحٍ ، عَنْ عَمْرِو بْنِ قَيْسٍ ، عَنِ أَبِي الْحَسْنَاءِ أَنَّ عَلِيًّا أَمَرَ رَجُلاً يُصَلِّي بِهِمْ فِي رَمَضَانَ عِشْرِينَ رَكْعَةً
Hazrat Abu Al Hasan رَضِیَ اللهُ عَنْهُ bayan karty hain k
"Hazrat Ali رَضِیَ اللهُ عَنْهُ nain ek shakhs ko ramzan main paanch (5) tarweehon main bees (20) rakat parhaany ka hukam diya."
"Hazrat Ali رَضِیَ اللهُ عَنْهُ nain ek shakhs ko ramzan main paanch (5) tarweehon main bees (20) rakat parhaany ka hukam diya."
Is Hadith ko Imam Ibn e Abi Shaibah aur Imam Bayhaqi nain rawayat kiya hay. Aur yeh Alfaaz Imam Bayhaqi k hain.
References : (Ibn e Abi Shaibah Al Musannaf, Chapter : Ramzan main (taraweh main) kitni rakatain jaen, Vol : 5, Pg : 163,Hadees : 7763) (Imaam Bayhaqi As Sunan Al Kubra, Vol : 2, Pg : 497, Hadess : 4397) (Ibn e Abul Barr , At Tamheed, Vol : 08, Pg : 115) (Mubarakpuri , Tuhfatul Ahwazi Sharah Jami' Tirmidhi Vol : 03, Pg : 445) (Ibn e Qudamah Al Mughana Vol : 01, Pg : 456)
References : (Ibn e Abi Shaibah Al Musannaf, Chapter : Ramzan main (taraweh main) kitni rakatain jaen, Vol : 5, Pg : 163,Hadees : 7763) (Imaam Bayhaqi As Sunan Al Kubra, Vol : 2, Pg : 497, Hadess : 4397) (Ibn e Abul Barr , At Tamheed, Vol : 08, Pg : 115) (Mubarakpuri , Tuhfatul Ahwazi Sharah Jami' Tirmidhi Vol : 03, Pg : 445) (Ibn e Qudamah Al Mughana Vol : 01, Pg : 456)
Hadees 05 :
حَدَّثَنَا حُمَيْدُ بْنُ عَبْدِ الرَّحْمَنِ ، عَنْ حَسَنٍ ، عَنْ عَبْدِ الْعَزِيزِ بْنِ رُفَيْعٍ ، قَالَ كَانَ أُبَيّ بْنُ كَعْبٍ يُصَلِّي بِالنَّاسِ فِي رَمَضَانَ بِالْمَدِينَةِ عِشْرِينَ رَكْعَةً وَيُوتِرُ بِثَلاَثٍ.
Abdul Aziz bin Rafi رَضِیَ اللهُ عَنْهُ se marwi hai ki Ubay bin Ka’ab رَضِیَ اللهُ عَنْهُ logo Ramzan me Madina Munawwara me 20 rakat padhate the aur 3 witr.Reference :
(Musannaf Ibn Abi Shaybah Volume 005. Page No. 224, Hadith Number 7766) Below Is Scan Page of Ibn Abi Shayba
Hadees 06:
أخبرنا أبو الحسن بن الفضل القطان ببغداد أنبأ محمد بن أحمد بن عيسى بن عبدك الرازي ثنا أبو عامر عمرو بن تميم ثنا أحمد بن عبد الله بن يونس ثنا حماد بن شعيب عن عطاء بن السائب عن أبي عبد الرحمن السلمي عن على رضي الله عنه قال دعا القراء في رمضان فأمر منهم رجلا يصلي بالناس عشرين ركعة قال وكان علي رضي الله عنه يوتر بهم وروى ذلك من وجه آخر عن علي
Abdul rehman Sulami رَضِیَ اللهُ عَنْهُ farmate hain ki Hazrat Ali رَضِیَ اللهُ عَنْهُ ne Quran ke qari’een ko bulaya aur unme se ek ko 20 rakat padhane ka hukm diya. Jabki Hazrat Ali رَضِیَ اللهُ عَنْهُanhu khud bhi 20 rakat padhte the.
Reference :
(Bayhaqi Sunan al-Kubra Vol 002, Pg . 699, Hadees : 4620) Hadees 07 :
Reference :
(Bayhaqi Sunan al-Kubra Vol 002, Pg . 699, Hadees : 4620) Hadees 07 :
عَنِ الْحَسَنِ أَنَّ عُمَرَ بْنَ الْخَطَّابِ جَمَعَ النَّاسَ عَلَى أُبَيِّ بْنِ كَعْبٍ فِي قِيَامِ رَمَضَانَ، فَكَانَ يُصَلِّي بِهِمْ عِشْرِينَ رَكْعَة
Hazrat Hasan Basri رَضِیَ اللهُ عَنْهُ farmate hain ki Hazrat Umar farooq رَضِیَ اللهُ عَنْهُ ne Ubay bin Ka’ab رَضِیَ اللهُ عَنْهُ ke piche logon ko Jama kiya aur 20 rakat padhi.
References :
Siyar al A'lam wa al Nubalah Volume 001, Page No. 400-1, Seerat Ubayy Ibn Kab
References :
Siyar al A'lam wa al Nubalah Volume 001, Page No. 400-1, Seerat Ubayy Ibn Kab
Imam al-Nawawi ne kaha: 'Iski sanad Sahih hai'. (بإسناد صحيح)
[Al-Khulasa al-Ahkam, Hadith Number 1961]
[Al-Khulasa al-Ahkam, Hadith Number 1961]
Hadees 08 :
حَدَّثَنَا وَكِيعٌ ، عَنْ نَافِعِ بْنِ عُمَرَ ، قَالَ كَانَ ابْنُ أَبِي مُلَيْكَةَ يُصَلِّي بِنَا فِي رَمَضَانَ عِشْرِينَ رَكْعَةً، وَيَقْرَأُ بِحَمْدِ الْمَلاَئِكَةِ فِي رَكْعَةٍ
Waki رَضِیَ اللهُ عَنْهُ se marwi hai unhone Naafe bin Umar رَضِیَ اللهُ عَنْهُ se riwayat kiya wo farmate hain ki Ibn Abi Mulaika رَضِیَ اللهُ عَنْهُ hume ramzan me 20 rakat padhate the.
Reference :
[Musannaf Ibn Abi Shaybah Vol 05, Pg : 223, Hadees : 7765]
Reference :
[Musannaf Ibn Abi Shaybah Vol 05, Pg : 223, Hadees : 7765]
Hadees 09:
حَدَّثَنَا أَبُو مُعَاوِيَةَ ، عَنْ حَجَّاجٍ ، عَنْ أَبِي إِسْحَاقَ ، عَنِ الْحَارِثِ أَنَّهُ كَانَ يَؤُمُّ النَّاسَ فِي رَمَضَانَ بِاللَّيْلِ بِعِشْرِينَ رَكْعَةً وَيُوتِرُ بِثَلاَثٍ وَيَقْنُتُ قَبْلَ الرُّكُوعِ
Hazrat Haris رَضِیَ اللهُ عَنْهُ riwayat karte hain ki wo Ramzan me 20 rakat padhte the aur 3 rakat witr padhte the aur Ruku se pehle Qunut padhte the.
Reference :
[Musannaf Ibn Abi Shaybah Vol : 05, Pg : 224, Hadees : 7767]
Hadees 10 :
Imam Tirmizi رَضِیَ اللهُ عَنْهُ ka Nazariya :
Imam Tirmizi رَضِیَ اللهُ عَنْهُ ka Nazariya :
وأَكْثَرُ أهْلِ العِلمِ على ما رُوِيَ عن عليٍّ وعُمر وغَيْرِهِمَا مِنْ أَصحابِ النبيِّ عِشْرِينَ رَكْعَةً. وَهُوَ قَوْلُ الثَّوْرِيِّ وابنِ المُبَارَكِ والشَّافِعيِّ رحمه الله. وقَالَ الشَّافِعيُّ: وهَكَذَا أدْرَكْتُ بِبَلَدِنَا بِمَكَّةَ، يُصَلُّونَ عِشْرِينَ رَكْعَةً
Ahle-Ilm ki ek Jamat 20 rakat padhne par muttafiq hai, jaisa ki ye Hazrat Usman رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Hazrat Ali رَضِیَ اللهُ عَنْهُ aur RasoolALLAH صلى الله عليه و آله وسلم ke dusre sahaba se marwi hai. Sufiyan Sawri, Abdullah ibn Mubarak aur Imam shafaii Rahimullah Azmain ne bhi yehi kaha hai. Imam Sahafaii رَضِیَ اللهُ عَنْهُ farmate hain ki Unhone Makka ke logon ko 20 rakat padhte hue dekha hai..
Reference :
(Sunan Tirmizi, Kitabus Sawm, Baab : Kiyam E Ramazan Vol : 03 Pg No. 169 Hadith No. 806) Scan Page of Imam Tirmizi is Below
Reference :
(Sunan Tirmizi, Kitabus Sawm, Baab : Kiyam E Ramazan Vol : 03 Pg No. 169 Hadith No. 806) Scan Page of Imam Tirmizi is Below
Keep Remembrance at your prayer Shaikh Sher Ali Hanfi
Mashallah
ReplyDeleteBhai plz is daleel k sath youtube par ek video banaiye,bhot se logo ko 20 rakat ki daleel mil jayegi
ReplyDelete