Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Sunday 1 March 2015

WASEELA AUR BUZURGO K AKEEDE

WASEELA AUR BUZURGO K AKEEDE FAITH OF SALF SWALEEHEEN ON WASEELA
Pichli Teen post me humne Waseele k jawaj pesh kiye ye link me aap visit karle CLICK HERE FOR POST 1 Click Here For Post 02 CLICK HERE FOR POST 03 POST 04 : Waseele k talluk se Salf Swalaheen Buzugane Deen k Akeede yaha hum unke wakt k saath pesh kar rahe hai .. Mulahiza farmaye
01) Noman Bin Saabit Imam E Aazam Abu Hanifa Rahmatullah Alaihi (80 Hizri - 150 Hizri) :


Aye Sayyadus Sadat ! Main Aapke Pass Kasd Kar K Aaya Hoon.
Mai Aapki Khushnoodgi ka Ummid Waar Hoon Aur Aapki Panah Gaah me Panaah Guzin Hoon.
Aapki Wo Jaat Hai Aap Na Hote To Koi Aadmi Paida Na Kiya  Jaata Aur Koi Na Koi Makhlook Aalame Wazood Me Aati.
Mai Aapke Joode Karam Ka Ummidwaar Hoon Aapke Siwa Tamam Makhlook Me Abu Hanifa Ka Koi Sahara Nahi.
(Qasida E Nomaniya)
02) Imam Malik Radi Allaho Anho (Born 90 to 179 Hizri) :  
Khalifa Abu Jafar Mansoor Madina Sharif Tashreef Laaye Aur Inhone Imam Malik Radi Allaho Anho Se Sawal Kiya ki Mai Dua Mangte wakt apna rukh Kaabe Ki taraf rakhu ya phir NABI SAL ALLAHU ALAIHI WASSALAM Key ROZA E MUBARAK ki taraf, Is par Imam Malik Ne Kaha Ki Tum Nabi Sal Allahu Alaihi Wassalam ki taraf Rukh Karlo kyukay yehi hamare Zariya hai Aakhirat me Shafaa’t Ka Nabi Sal Allahu Alaihi Wassalam ka Waseela abhi talab karo taaki aakhirat me bhi hume inka waseela mile.
(Qazi Al Ayaz ne Sahi Sanad se ASH SHIFA Vol : 2 Pg : 596)
(IMAM  Taqyudin Subki ne Shifa Us Siqam Fi Ziyaratil Khar Il Anam)
(Imam Samhudi ne Khulasat Ul Wafa)
(Imam Qastalani ne Al Mawahibul Laduniyyah)
(Ibn Jamaah Ne Hidayat Us Salik)
(Ibn Hajar Haythami ne Al Jawarul Munazzam)
aaj hum Sunni Roza E Rasool Sal Allahu Alaihi Wassalam k saamne haath uthake dua karle to hume Mushrik hone ka fatwa wahabi dete hai kya fatwa denge wahabi Imam Malik par Qazi Al Aayaz Alaihi Rehma Azmain par ?? 03) Imam Muhammad Bin Al Munkadir (Al Mutwaffah 205 Hizri)
Mashoor Hafizul Hadees Hazrat Muhammad Bin Al Munkadir Rahmatullah Alaihi Bayan karte hai
“Ek Shaks Ne Mere Waalid k Pass 80 Deenar Bataur Amanat Rakhe Aur Ye Kehkar Chala Gaya k Mere Zihad Se Waapas aane tak agar Tumhe Iski Zarurat pade to kharch kar lena. Kahet Saali me Walid ne wo rakam kharch kar daali wo shaks zihad se aaya aur apni rakam ka mutalba kiya Walid ne unse waada kar liya k kal aana aur raat Masid E Nabvi Sal Allahu Alaihi Wassalam me guzari kabhi Roza E Akdas se lipte kabhi mimber se chimte isi haal me subah kardi abhi thoda andhera tha ek shaks namudar hua aur keh raha tha AYE ABU MUHAMMAD ye lo walid ne haath badhaya to kya dekhte hai thaila (bag ya Jhola) me 80 deenar hai subah me walid sahab ne wo deenar us shaks ko de diye”
(Imam Samhoodi ne Al Wafa Ul Wafa Jild : 01, Pg : 1380-1381)
04) Imam Abu Abdullah Imam Waqidi (Born 130 to 207 Hizri) :
Islam ki Tareekhi aur Mashoor Jung e Yarmook pe Fateh paane k liye Sahaba e Kiram Rizwanullahi Azmain ka Huzoor E Akram Alaihi Salam ka Waseela “Ameerul Momineen Farooque e Aazam Radi Allahu Anho ne ek khat Hazrat Abdullah bin Karaa’t Radi Allaho Anho k haath Hazrat Abu Ubaida ibn Jarrah Radi Allaho Anho k pass bheja. Hazrat Abdullah bin Karaa’t Radi Allaho Anho Roza e Rasool par Jaane se pehle Hazir Hue waha Ummol Momineen Hazrat Ayesha Siddika, Hazrat Abbas Wa Hazrat Ali Wa Hazrat Imam Hasan Wa Hazrat Imam Hussain Radi Allaho Anho Azmain hazir the Hazrat Abdullah bin Karaa’t Radi Allaho Anho ne unse Jung E Yarmook pe fateh paane k liye dua karne ko kaha Hazrat Ali Wa Hazrat Abbas Radi Allaho Anho ne Haath uthake dua Maangi
“YA ALLAH Hum Us Nabi Mustafa Aur Rasool E Mustafa Sal Allahu Alaihi Wassalam jinke  Waseele se Aadam Alaihi Salam ki dua kabool hogayi aur Allah ne unhe maaf farma diya inhi k waseele se dua karte hai k tu Hazrat Abdullah bin Karaa’t Radi Allaho Anho k raste ko aasan farma aur door ko nazdik karde aur apne Nabi Sal Allahu Alaihi Wassalam k ashaab ki madad ata farma aur unko fateh ata farma.
Iske Baad Hazrat Ali  Radi Allaho Anho ne Hazrat Abdullah bin Karaa’t Radi Allaho Anho se farmaya ki ab aap jaaye Allah Taa’la Ummol Momineen Hazrat Ayesha Siddika, Hazrat Abbas ,Hazrat Imam Hasan, Hazrat Imam Hussain Radi Allaho Anho Azmain ki dua ko raddh nahi farmayga in logo ne Allah ki bargaah me us Nabi Alaihi Salam Ka waseela pakda hai jo AKRAMUL KHALK hai ”
(Imam Wakdi ne Futuhaat-e-Sham Jild 01, Pg : 105)
Hai koi wahabi jo lagaye sahaba e Kiram pe fatwa Imaam Wakdi Radi Allaho Anho pe fatwa.
05) Imam Shafai Radi Allahu Anho (Born 150 to 204 Hizri) :
Hazrat Imam Shafai Radi Allaho Anho Ne Farmaya Ki Mai Imam Abu Hanifa Se Barkat Hasil Karta Houn Aur Unki Qabr Ke Paas Aata Houn. To Jab Mujhe Koi Hajat Pesh Hoti Hai To Mai Do Rakaat Namaaz Padta Houn Aur Unki Qabr Ke Paas Allah Taala Se Duaa Karta Houn To Hajat Jald Puri Ho Jati Hai.
(Khatib Bagdadu ne Sahi Sanad Se Tarikh E Baghdad Jild 01 Pg : 123)
(Ibn Hajar Al Haytami ne Al Khayratul Hisan Fi Manaqib Al Imam Al Aazam Abu Hanifah Pg 94)
(Muhammad Zahid Al Kawthari ne AL Maqalat pg : 381)
(ibn Aabideen As Shami Ne  Raddulmuhtar Zild : 1, Pg. 41)  

“Huzoor Sal Allahu Alaihi Wassalam Ka Gharana hamari zindagi me Waseela hai Zindagi k baad bhi, Unke Zariye se mai ummid karta hu baroze Mehshar Allah mere Naam e Aamal Sidhe haatho me dega”
(Diwan E Imam Shafai Pg 162, Ashar 34, Print Darul Fikr, Lebanon Beirut 2005) 
06) Imam Ahmad Bin Hambal Radi Allaho Anho (Born 164 to 241 Hizri)

Abdullah Bin Ahmad Bin Hambal Rahmatullah Alaihi Farmate hai Maine Apne walid Hazrat Imam Ahmad Bin Hambal Radi Allaho Anho Se Suna k Farmate hai “Maine 5 hajj kiye, 3 Hajj Paidal safar karke aur 2 Haj Sawari se ya ye farmaya 2 Haj Paidal aur 3 sawari se, Ek baar Jab Mai Paidal Tha mai Apna Raasta Bhul Gaya maine nida (Awaaj) lagayi Aye Allah K Bando Mujhe Sidhi Raah Dikhao, Mai ye kahta Raha aur apni manzil par aagaya” 
[Imam Baihaqi ne Shu’ayb ul Iman, Vol : 6, Pg  No 128, Hadees :  7697]


Al Mardavi Rahimullah Farmate Hai “Hambali Mazhab k nazdeek ye amal jaiz o durust hai k apni duao me Swaleehin ka tawassul le ye mustahab amal hai. Imam Ahmad Radi allaho Anho ne Al Marwaji se farmaya ‘ k logo ko Duao me Huzoor Alaihi Salam ka tawassul lene do k ye Allah se kurbiyat ka jariya hai”
(Al Insaaf vol : 02, Pg : 456)
(Ibn Taimya ne bhi isko apne fatawa Al Majmua Al Fatwa Vol : 01, Pg : 140 pe likha)
07) Imam Ibn Abi Shaybaah  (Born 159 Hizri to 235 Hizri) Malik Ad Dar Se Rivayat hai, Hazrat Umar Radi Allahu Anho k Daur e khilafat me ek martaba Kahat (Sookha) Pad gaya to Hazrat Bilal Bin Haaris Mazni Radi Allahu Anho Roza E Anwar Par Hazir Huwe Aur Arz Kiye : Ya Rasool Allah Sal Allahu Alaika Wassalam ! Aapki Ummat Halaak Ho Rahi Hai, Barish Nahi Hoti. Huzoor Sal Allahu Alaihi Wassalam Unhe Khwab Me Mile Aur Farmaya Aye Bilal ! Umar K Pass Jao. Usse Mera Salam Kaho Aur kah do ki barish hojaygi. Umar se ye bhi kehna ki kuch Narmi Ikteyar Kare (Yaha Huzoor Sal Allahu Alaihi Wassalam ne isliye Farmaya ki Hazrat Umar Farooque Radi Allaho Anho ki khidmat me Hazir huwe aur Huzoor Sal Allahu Alaihi Wassalam ka Salam Wa Paigam Pahucha Diya. Hazrat Umar Radi Allaho Ta'la Anho Yah Salam Aur Paigam E Mehboob Paakar Pahucha Diya. Hazrat Umar Radi Allaho Taa'la Anho Yah Salam Aur Paigam E Mehboob Paakar Roye Aur Kaha. "Aye Allah, Mai Apni Puri Koshish karta Hu, Jab Tak Ki Mai Thak Na Janam" Aur Fir Barish Khoob Huwi. [Al Musannaf ibn Abi Shaybah Vol : 11, Pg No : 118, Hadees : 32538, Published by Maqtabah Ar Rashid, Riyadh, Saudi Arabia]
Kon Hai Imam Ibn Abi Shaeba hum jaante ye hadees hazam nahi hogi wahabio ko Imam Abi Shaeba ustad hai Imam Bukhari & Muslim, one of the Peer of Imam Ahmad Ibn Hambal Radiallahu anho azmain k lagao Imam Abi Shaeba pe fatwa hai himmat to ?? 08) Imam Abu Hatim Muhammad ibn Hibban Imam Ibn Hibban (Al Mutwaffa 354 Hizri) 
Imam Ali Raza Ki Qabr Par Jaane Aur Unke Tawassul K Baare Me Imam Ibn Hibban Likhte hain Ki "Jab Bhi Mai Kisi Musibat Me Hota To Ali Bin Moosa Radi Allahu Alaihi ki kabr pe chala Jaata aur Unke Waseele Se Dua karta Allah unke Dada Par Rahem Farmaye Aur Allah Se Kehta Ki meri pareshani ko door karde. Is Cheez ko maine aksar kiya aur ye asardar paaya" [Sahi Ibn Hibban, Kitab ul Sikaat, Vol : 08, Pg : 456-457, Hadees : 14411, Published by Al Kutoob Al Thamafiyah, Hyderabad Deccan, India] 09) Abul Qasim Suleman bin Ahmad bin Al Tabrani Imam Tabrani (Born 260 Hizri - 360 Hizri) : Imam Abu Bakr Makri Rahmatullahi Alaihi kehte hai mai aur Imam Tabrani aur Abu Shaikh teeno harme Nabvi Sal Allahu Alaihi Wassalam Pe Faake se the jab Isha ka Wakt aaya Maine Roza E Akdas pe haazir hoke arz kiya YA RASOOL ALLAH Sal Allahu Alaika Wassalam ! Hum Log Bhuke Hai Aur ye keh ke mai laut aaya. Imam Tabrani Ne mujhse kaha betho RIZK aayga Ya MAUT. Imam Abu Bakr Makri farmate hai Mai Aur Abu Shaikh to sogaye par Imam Tabrani bethe rahe ek Alvi ne aake Darwaja khat khataya. Humne Khola to phir kya dekhte hai uske saath do gulam the dono k haath me khane se bhari thokri hai jo bahot kism k khano se bhari hai. Hum logo ne khana khaya aur socha k bacha khana us gulam ko de dein taaki le jaaye magar wo baaki khana bhi hamare pass chod gaya khane se farig hoke us ALVi ne humse pucha kya aap logo ne RASOOL ALLAH SAL ALLAHU ALAIHI WASSALAM se khane ki faryaad ki thi ? Kyuki Mujhe Rasool Allah Sal Allahu Alaihi Wassalam ne khwab me hukm diya tha k tumhare pass kuch khana le jaaye. (Imam Samhoodi ne Al Wafa Ul Wafa Jild : 01, Pg : 1380/1381) [AL-HAFIZ IBN JAWZI, KITAB AL WAFA, PAGE 818]     
10) Imam Abu Abdullah Muhammad ibn Abdullah Imam Hakim Al Nishapuri (Born  321 Hizri to 401 Hizri)
Yahya Bin Yahya par tehqiq se Imam Ibn Hajar aur Imam Hakim ka Aqeeda hai ki Awliya ki Qabro par jaakar Waseela lena jaez hai:
Ibn Hajar likhte hain ki Imam Hakim ne kahai ki maine Abu Ali Nishapori se suna tha ki ek bar wo bahot zyada sadme me the, tab unhone Nabi sallallaho alaihe wasallam ka khwab me deedar kiya, aur Nabi sallallaho alaihe wasallam ne hukm farmaya ki Yahya Bin Yahya ki Qabr ke paas jaao, aur istighfar karo aur unke Waseele se madad mango,
Abu Ali Nishapori farmate hain ki maine aisa kiya to meri pareshani door ho gayi.
[Ibn Hajr, Tahdhib ut-Tahdhib Volume 004, Page 398]
10) Imam Abu Bakr Ahmad bin Hussain Imam Bayhaqi (Born  384 Hizri to 458 Hizri)
Imam Bayhaqi Ka akeeda
Hazrat Abu Ishaq Ash'ari Radi Allahu Anho farmate hain, Madina me hamare sath ek admi rehta tha, jab bhi wo Kisi burai ko dekhta aur usey apne hath se rokne ki quwwat na rakhta, tab wo Huzur sallallaho alaihe wasallam ki Qabr ke paas chala jata aur is tarah kehta ki
"Aye Sahib-e-Qabr, Nabi sallallaho alaihe wasallam, Aye Sahaba, Aye hamare madadgar, hamare halaat ko dekhiye"
[Shua'b ul Iman by Imam Bayhaqi, Publish: Maqtabah ar-Rashad, Riyadh/Saudia Hadith Number 3879]
11) Imam Muhammad ibn Muhammad Huzzatul Islam Imam Ghazali
(Born 450 Hizri to 505 Hizri) Imam Ghazali Alaih Rehma Farmate hai "Jab Bhi koi Shaks Musibat Me Ho To Wo Qabr Waalo se Madad Maange, Jo Ruhani Taqat Waale Hote Hain aur isme koi shak nahi k unki kabr ki jiyarat se roohani madad milti hai aur faiz haasil hota aur bahot baar jab unka waseela ALLAH ki bargaah me pesh kiya jaata hai to Musibato ko khatm kar diya jaata hai" [Tafseer e Roohul Maani Vol 30, Pg : 24]
12) Peeran E Peer Sayyad Abdul Qadir Jilani Al Baghdadi Huzoor Gausul Aazam (Born 470 Hizri to 561 Hizri)
Hazarat Allama Nooruddin Shatnaufi R.A. Farmate Hai Ki Khabar Di Ham Ko Abul Hasan Bin Zakariya Bagdadi Ne. Unhone Kaha (629 Hizri) Me Ham Ko Qaziyul Qaza Abu Saleh Bin Hafiz Abu Bakr Abdurrazaq Bin Shaikhul Islam Muhayyuddin Abu Muhammad Abdul Qadir Zilani Radiallahu Ta’aala Anhu Ne Bagdad Me Khabar Di. Unhone Kaha Hamko Shaikh Abu Abdurrazzaq Ne Khabar Di Aur (690 Hizri) Me Hamko Shaikh Abu Muhammad Alhasan Faqiya Abu Imran Musa Bin Ahmad Bin Alhasan Karshi Shafaee Ne Kaahira Me Khabar Di. In Dono Ne Kaha Ki (613 Hizri)Me Hamko Shaikh Peshwa Abul Hasan Karshi Ne Damishq Me Khabar Di Ki Maine Shjaikh Abu Muhammad Abdul Qadir Jilani Radiallahu Ta’aalal Anhu Se Suna Wah Farmate The. “Jab Tum Allah Ta’aala Se Koi Hajat Talab Karo To Mere Wasile Se Talab Karo.”
(Ref : Bahjatul Asrar Pg: 23)

13) Abul Faraz ibn Al Jawzi Imam ibn Ul Jawzi (Born 508 Hizri 597)
“AUR  Ibrahim Bin Ishaq Harabi Ki QABR SABKE KAY LIYE KHULI HAI,LOG YAHA SE FAIZ PAATE HAI”  
(Ibn Jawzi Sufi Sifat Us Safwaah Jild 02 , Pg : 266)

“HAZRAT ADAM ALAIHISSALAM ki dua waseela e Mustafa Sal Allahu Alaihi Wassalam se kabool hui”
(Al Wafa Bi Ahwal lil Mustafa Jild : 01, Pg : 33)

14)Sayyad Moinudinn Chisti Hasan Sanjari Sultanul Hind Khwaja Garib Nawaz Alaihi Rehma (Born  536 to Hizri 633)

GANJ BAKSH E FAIZ E AALAM, MAZHAR E NOOR E KHUDA
NAQISAAN RA PEER E KAAMIL, KAAMILAAN RA RAHNUMAN

ye sher khud Hazrat Moinudin Chisti Alaih Rehma ne Hazrat Ali Hazveri k mazar e akdas par likha hai jo Hindustan me sabse zyada Islam ki khidmat kare wo khud kya shirk ki taalim dega ??
15) Abu Zakaria Mohiuddin Yahya Sharaf Al Nawawi , Imam Nawawi As Shafai (Born 631 - 676 Hizri Imam Nawawi wo hai jinki shara e muslim kaafi mashoor o maroof kitab hai Al Minhaj Bi Shara e Muslim, Riyadhusalahin k musannif apni kitab me Al Idaah k 6th Baab me Waseele pe behas ki, kitab Al Azkaar Pg 212 Waseele k jawaz saabit kiya.
16) Qari Sufi Hamidudin Nagaori Rehmatullah Alaihi (Al Mutawaffah 677 Hizri)
Aap Farmaya Karte The Jis Shakhs Ko Koi Hajat Darpesh Ho Wah Meri Biwi Sayyada Khadija Ki Qabr Par Jakar Arz Kare Kyun Ki Aap Ne Kisi Hajatmand Ko Apne Darwaje Se Mahrum Nahi Kiya
(Sultanuttarikn Pg.93)

17) Muhammad bin Ahmad Imam Dhahabi or Imam Jahabi  (Born 673 Hizri 748)
Imam Dhahabi Shagird Ibn Taymiya Samarkand ka Ek Wakya Naqal kiya hai aapne aur kaha Imam Bukhari kay kabr Par Jaakar Waseela talab kare Aur Bilkul logo ne aisa hi kiya, Imam Bukhari Ki Kabr PAr Pahuche waseela talab kiya tab usi wakt Allah Taa'la ne barish kay badalo'n ko bhejdiya. [As Siyar Al Alam An Nabula Vol : 12, Pg : 469] 18) Khatib Al Tabrezi Mussanif Mishkat Al Masabih ( Al Mutwaffa 741 Hizri)
Hazrat Aliyul Murtaza Radi Allaho Anho ki Mauzoodgi me kisine kaha Aye Ameerul Momineen Lanaat bhejiye Sham (Syria) Par
Aliyul Murtaza Radi Allaho Anho farmate hain mai laanat nahi bhejunga Maine Nabi sallallaho alaihe wasallam se suna k waha
‘Abdaal’ raha karte hai aur unki tadad 40 hai un Abdalo me se jab koi ek wisal karta hai to Allah uski jaga dusra muqarrar kar deta hai,
Inke Wasile se tumhe Rizk diya jaata hai Barish Hoti hai aur
Inke Wasile se Jang me fateh milti hai,
aur inke Wasile se Sham walo par se Azab dafa kiya jata hai."
(Miskaat Al Masabih jild 03 , Kitab Al Fitan , Baab :Zikre Yamani Shami Wa Owais karni, Hadees : 6015) 19) Muhammad Ibn Al Haj Al Abdari Al Maliki
Imam Ibn Al Haj Al Maliki 7th Century Mujadid (Born 670 Hizri - 756 Hizri)
Imam Ibn Al-Haaj Alaih Rehma ne Ziyarat-e-Auliya ke talluq se ek mukammal chapter likha hai, isme likhte hain, Mutallim(Students) ko Auliya aur Saliheen ki Ziyarat-e-Karte rehna chahiye, ki inki ziyarat se Dilo ko zindagi milti hai, logo ke dil khil jate hain, jaise ki Barish se zameen khil jati hai. Inki duayen Allah ki bargah me hamesha maqbul hoti hai, Allah inki duayen aur niyaten kabhi radd nahi karta, aur jo log inki mehfilo me shirkat karte hain aur jo llog inse Muhabbat karte hain, wo isliye ki ALLAH aur RASOOL ke baad ye Auliya rhmat hain. Jo har insan ke liye hain,
to jis kisi me ye khobiya ho to jaldi hi aise shaks se faizyab ho, aur unse barkat hasil karen, jo inse mulaqat karte hain wo Behtarin Ilm aur zehniyat hasil karte hain jise samjhaya nahi ja sakta. Isi maane ke tehet aapne kuch logo ko Ilm aur wajd me Bakhoobi dekha hoga, jo bhi in tabarrukat ki tazim karta hai, wo kabhi inki barkat aur rehmat se door nahi hota. Lekin shart ye hai ki jo inse faizyab hona chahe, wo Sunnato ka paband ho, aur uske amal se sabit ho.
[Imam Abu Abdullah Ibn al-Haaj al-Maliki, Al-Madkhal Volume 002, Page No. 139, Publish: Dar-al-Turath, Qahira]
20) Allama Muhammad Al Jazri (Born 751 to 833 Hizri)
Adab e Dua likhte hai
"Har Shaks ko Dua me Ambiya aur Salehin ka Waseela lekar dua mangni chahiye.
(Kitab ke akhir me Imam Ibn Jazri rehmatullah alaihe farmate hain)
Dua puri hone ke baad Insan ko apne chehre par hath pher lena chahiye.
[Al Hisnul Hiseen, Page No. 25]

21) Al Hafizh Shihabuddin Abul Fazl Ahmad ibn Hajar Asqalani (Born 773 Hizri to 852 Hizri)
.“Fir Hazarat Umr R.A. Ne Logo Ko Khitab Karte Hue Farmaya Ki Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam Hazarat Abbas Ke Sath Waisahi Suluk Karte The Jaisa Ki Beta Apne Baap Ke Sath Karta Hai. Lehaza Aye Logo! Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Chacha Hazarat Abbas Ke Sath Huzur Ka Tarika Apnao Aur Unhe Khuda-E-Ta’ala Ki Bargah Me Wasila Banao.
(Fatahul Bari, Sharah Bukharee Zild 2, Pg.413) 22) Abul Fazl Abdur Rehman ibn Abu Bakr Jalaluddin Suyuti As Shafafi (Born 849 Hizri to 911 Hizri) Imam Jalaludin Suyuti As Shafai Mujadid apne sadi k apni tafseer ki kitab Durre Mansoor me Hazrat Adam Alaih Salam ki dua Waseele e Mustafa Sal Allahu Alaihi Wassalam se saabit ki. Khasaisul Kubra Me Waseela ka Jawaz likha hai.

23)Allama Saavi Maliki Rehmatullah Alaih Ka Akida
Aap Ayate Karima “Wabtagu Ilaihilwasila” Ki Tafsir Me Farmate Hai Ki Auliya Allah Ki Ziyarat Ke Sabab Musalmano Ko Is Khyal Se Kafir Kahena Ki Un Ki Ziyarat Allah Ke Alawah Ki Ibadat Hai Sarasar Gamrahi Aur Khuli Hui Halakat Hai.(Auliya Allah Ki Ziyarat Allah Ke Alawahki Ibadat) Hargiz Nahi Balki Yah ‘Alhubbu Fillah’ Yani Allah Ki Mohabbat Me Se Hai.
(Ref : Tafsire Saavi Jild : 01, Pg.245)

24) Hazrat Khwaja Muhammad Nizamuddin Auliya (Al Mutawaffa 725 Hizri)
Aap Ne Farmaya Ki Maulana Katheli Ne Mujh Se Bayan Kiya Ki Dilli Me Ek Saal Kahat Padaa. Mai Kirbasi Bazaar Se Gujar Raha Tha Aur Bhukha Tha. Maine Khana Kharida Aur Khud Se Kaha Ki Is Khane Ko Tanha Nahi Khana Chahiye. Kisi Ko Bulakar Khane Me Usko Bhi Sharik Karoo. Ek Kamali (Chadar) Wale Fakir Ko Maine Dekha Jo Gudrhi Pahene Hue Mere Samne Se Gujar Raha Tha.Maine Usse Kaha Ki Aye Mere Khwaja! Mai Darvesh (Fakir) Hun Aur Tum Bhi Darvesh (Fakir) Ho. Aur Mai Garib Hun Aur Tum Bhi Garib Dikhaee Dete Ho. Kuch Khana Maujud Hai Aao Milkar Khayen. Wah Darveah Razi Huwe. Hum Nanbai Ki Dukan Ke Upar Gaye Aur Khana Khaya.
Is Douran Mai Us Darvesh Ki Taraf Mutawajjah Huaa Aur Kaha Aye Khwaja! Mujh Par Bis Rupeeya Karz Ho Gaya Hai Mera Wah Karz Adaa Hona Chahiye. Us Darvesh Ne Kaha Tum Aaram Se Khana Khao. Mai Bis Rupya Tum Ko Deta Hoo. Maulana  Katheli Ne Kaha Ki Mere Dil Me Aaya Ki  Is Fate Haal Shakhs  Ke Paas Bis Rupya Kaha Se Honge. Jo Mujh Ko Dega. Algarz Jab Khana Khaa Chuke Wah Uthe Aur Apne Sath Mujh Ko Le Chale. Wah Masjid Ki Taraf Gaye.Masjid Me Ek Qabr Thi Uske Sarhane Khade Hokar Unhone Kuchh Manga. Aur Ek Chhoti Lakdi Unke Hath Me Thi Aahista Se Usko Dobara Qabr Par Mara Aur Kaha Is Darvesh Ko Bis Rupye Ki Jarurat Hai Isko Do Yah Kaha Aur Meri Taraf Muh Kar Ke Mujh Se Kaha Maulana ! Wapas Jao Bas Aap Ko Bis Rupye Mil Jaenge.
Maulana Katheli Ne Kaha Jab Maine Yah Baat Suni Us Darvesh (Fakir)Ka Hath Chuma Aur Un Se Juda Ho Kar Shahar Ki Taraf Chal Padaa. Mai Us Waqt Hairat Me Tha Ki Wah Bis Rupye Mujhko Kaha Se Mil Jaenge. Mere Paas Ek Khat Tha Jo Kisi Ke Ghar Par Mujhe Dena Tha. Us Din Wah Khat Lekar Darwaje Kamaal Pahuncha. Ek Turk Apne Ghar Ke Chhajje Par Baithha Tha. Us Ne Mujh Ko Dekha Aur Aawaz Di Aur Apne Gulamo Ko Daudaya Wah Mujhe Puri Koshish Se Upar Legayen.Us Turk Ne Mujhe Bahot Khush Kiya. Maine Har Chand Koshish Ki Magar Us Ko Nahi Pahchan Saka. Wah Turk Yahi Kahta Kya Tum Wah Akalmand Nahi Ho Jis Ne Falaa Jagah Mere Sath Bahut Neki Ki Thi. Maine Usse Kaha Mai Tum Ko Nahi Pahchanta. Usne Kaha Mai Tumko Pahchanta Houn.Khud Ko Kyun Chhupate Ho. Algarz Is Kism Ki Bahut Si Baate Ki. Uske Baad Bis Rupye Laaya Aur Badi Guzarish Ke Sath Mere Hath Me De Diya. (Fawaaidul Fawaad Majlis 21 Pg.124)     
25)Allama Nuroodin Abdul Rehman Jaami Alaihi Rehma (Al Mutwaffa 898 Hizri)
Aap Likhte Hai Ki Hazarat Shaikh Abulhaarish Olasee Rahimullah Ne Bayan Farmaya Ki Maine Hazarat Zunnun Misri Alaihi Rehma Ki Bahut Shohrat Suni Thi. Chand Maslo Ke Hal Karne Ke Liye Maine Un Ki Ziyarat Ka Irada Kiya. Jab Mai Misr Pahuncha To Logo Ne Mujhebataya Ki Unka To Kal Intikal Ho Gaya. Yah Sun Kar Mai Un Ke Mazar Par Gaya Waha Pahuchkar Murakbe (Khuda Ke Dhyan) Me Baith Gaya.Kuchh Der Ke Baad Mujhe Nind Aagaee Khwab Me Unka Didar Huaa Aur Mujhe Jo Mushkil Mas’ale Darpesh The Wah Maine Unse Daryaft Kiye Unhone Un Sab Ka Mujhe Jawab Inayat Farmaya.     
(Nafahatul Al Uns Pg.193)
26)Allama Ibne Hajar Al Makki Haythami Alaihi Rehma (909 Hizri - 974 Hizri)
Aap Farmate Hai Ki Hamesha Ulema Aur Hajatmand Ka Tarika Raha Hai Ki Wah Hazarat Imam Aazam Abu Hanifa R.A. Ke Mubarak Mazaar Ki Ziyarat Karte Aur Uske Wasile Se Ada-E-Hajat Chahate Aur Us Jariye Se Kamyabi Ka Yakin Rakhte Aur Muh Mangi Murade Pate The. Iske Ilawa Hazarat Imam Shafaee R.A. Jab Bagdad Me Maujud The Farmaya Ki Mai Imam Abu Hanifa Se Barkat Leta Hu.Un Ki Mubarak Qabr Ki Ziyarat Karta Hu. Jab Mujhe Koi Hajat Pesh Hoti Hai Do Raka’at Namaz Padh Kar Un Ki Qabr Ke Paas Jata Hu. Khudawande Kuddus Aalam Se Wahan Duaa Karta Hu To Fauran Hajat Puri Hoti Hai
(Alkhairatulhisaan Mutarajam Pg.166)

27)Shah Abdul Haq Muhaddis Dahelvi Alaih Rehma (Born 925 -1052 Hizri)
Hazarat Shaikh Abdul Haq Muhaddis Dehlavi Bukhari Rahmatullahi Alaihi Farmate Hai Ki Hazrat Imam Shafai Ne Farmya Ki Qabr Duaa Ki Maqbuliyat Ke Liye Anmol Azmai Hui Jagah Hai. (Ref : Ash’atullam’aat Zil.1, Pg.715)

Aap Farmate Hai Ki Qabro Ki Ziyarat Bil Ittefak Mustahab (Behtar) Hai (Ash’atullam’aat Zild: 1 Pg.715)
Aur Farmate Hai Ki Mayyat Ka Ehtaram Us Ki Ziyarat Ke Waqt Wajib Haikhas Kar Buzurgane Din Ka. Aur Adab Ki Ziyarat Un Logo Ke Martabe Ke Lihaj Se Jaruri Hai Jaisa Ki Unki Jahiri Zindagi Me Tha. Is Liye Ki Buzurgo Ki Madad Un Ki Ziyarat Karnewalo Ke Liye Adab Ke Etabar Se Pahunchti Hai
(Ash’atullam’aat Zild: 1, Pg.720)

28) Shah Waliyullah Dehlvi Alaihi Rehma (Born 1114 - 1176 Hizri)
Aap Likhte Hai Ki Walid Giramee (Pita Shree) Shah Abdurrahim Qibla Ne Farmaya. Ek Baar Mai Hazarat Khwaja Qutqbuddin Bakhtyar Kaki Rahmatullah Ta;Ala Alihi Ke Mazar Ki Ziyarat Ke Liye Gaya. Aap Ki Mubarak Ruh Jahir Hui Aur Mujh Se Farmaya Ki Tumhe Ek Farzand Paida Haga. Us Ka Naam Qutubuddin Ahmad Rakhna. Us Waqt Meri Umar Ke Us Hisse Tak Pahuch Chuki Thi Jis Me Aulad Ka Paida Hona Namumkin Hota Hai.Maine Soncha Ki Sayad Is Se Murad Bete Ka Farjand Yani Pota Hai. Mere Is Waham Par Aap Fauran Aagah Hogaye Aur Farmaya Mera Maqsad Yah Nahi Balki Yah Farzand (Jiski Khushkhabri Di Gayi Hai) Khud Tumhare Nutfe Se Hoga. Kuchh Arso Baad Dusre Nikah Ka Khyal Paida Huaa Aur Usi Se Fakir Waliyullah Paida Huaa. Meri Paidais Ke Waqt Walid Majid Ke Jahan Se Yah Waqiya Utqr Gaya. Is Liye Unhone Waliyullah Naam  Rakh Diya. Kuchh Arsa Baad Jab Unhe Yah Waqiya Yaad Aya To Unhone Mera Naam Qutubuddin Ahmad Rakkha. (Anfaasul’aarifeen Pg.110)

29) Sayyad Tahtavee Alaihi Rehma (Al Mutawaffa 1231 Hizri)

Aap Farmate Hai Ki Shari’at Ke Khilaf Koi Tarika Ikhtiyar Kiye Bagair Budhi Aurate Buzurgo Ki Qabro Ki Ziyarat Se Barkat Hasil Kare  To Koi Harj Nahi. Aur Jo Un Aurto Ke Liye Najaaiz Hai Jaise Ki Un Ka Masjido Me Jama’ato Ke Liye Hazir Hona Jaaiz Nahi.Khulasa Yah Hai Ki Aurto Ke Liye Ijazat Sirf Us Surat Me Hai Jab Ki Ziyarat Aise Tarike Par Ho Ki Usme Koi Fitna Na Ho.
(Tahtavee Ala Maraki Pg.341)

30) Shah Abdul Aziz Dehlvi Alaihi Rehma (Al Mutawaffa 1239 Hizri)
Aap Famate Hai Ki Sharhe Maqadis Me Hai Ki Qabro Ki Ziyarat Aur Nek Logo Ki Zat Se Intikal Ke Baad Faeda Hasil Kiya Jata Hai. Beshak Intiqal Ke Baad Nafs(Ruh) Ka Badan Aur Qabr Ke Sath Ek Ta’alluk Rahta Hai. Lihaza Jab Koi Shakhs Us Qabr Ki Ziyarat Karta Hai Aur Mayyat Ke Nafs Ki Taraf Mutawajjah Hota Hai To Dono Nafso (Ruh) Ke Darmiyan Mulaqat Aur Faizan Ka Ta’alliq Qayam Ho Jata Ha. Is Me Ikhtilaf Hai Ki Zinda Ki Imdad Takatwar Hai Ya Mayyat Ki. Baaz Muhaqqiqeen Ne Mayyat Ki Imdad Ko Takatwar Karar Diya Hai Baaz Hazrat Ne Is Siolsile Me Rawayat Ki Hai Ki Huzur Sallallahu Ta’aala Alaihi Wasallam Ne Farmaya Jab Kisi Kam Me Hairan Ho Jao To Qabr Walo Se Madad Talab Karo. Shaikh Azal Hazarat Abdul Haq Muhaddis Dehlvi R.A. Ne Mishkat Ki Sharah Me Farmaya Hai Ki Kitab Wa Sunnat Aur Buzurgane Din Ke Kaul Me Koi Esi Baagt Nahi Paaee Jati Jo Oske Mukhalif Ho Aurbaat Ko Radd Kare
(Fatawa Aziziya Zild.2, Pg.108)

31) Allama Ibne Aabideen ShameeAlaihi Rehma (Al Mutawaffa 1253 Hizri)
Aap Farmate Hai Ki Auliya Allah Khuda-E-Ta’aala Ki Bargah Me Mukhtalif Darja Rakhte Hai. Aur Ziyarat Karnewalo Ko Apne Ma’aarif Wa Asrar (Ruhani Raj) Ke Lihaj Se Faida Pahunchate Hai.
(Ref : Raddulmuhtaar Zild 1, Pg:604)
Aur Farmate Hai Kibuzurgo Ki Qabro Ki Ziyarat Se Barkat Hasil Karna Budi Aurto Ko Harz Nahi Aur Jab Ki Jawan Ho To Najaiz Hai. Jaise Ki Jama’at Ke Liye Masjido Me Hazir Hona Ja
(Ref : Raddulmuhtar Jild : 01, Pg : 604) ye 31 Akabir Buzurgo k kitabo se humne saabit kiya k waseela lena koi aaj ke logo ka akeeda nahi balki salf salaahin se chala aaraha hai Subhan Allah Insha Allah hum aur bhi details update karenge. Ab bhi koi na maane to na maane hume manwaana nahi ALLAH HUM SABKO SALF SALAHEEN SE JODE RAKHE AUR AHLE SUNNAT K SACCHE PAKKE MASLAK PE KAYAM RAKHE. AAMIN Dua ki GUZARISH KHADIM E AHLE SUNNAH SHER ALI HANFI

  

9 comments:

  1. Masha Allah... Bahaut Khoob.
    Alah apki Umar ,Ilm mein mazid abarkate de.
    aur apko duniya aur akhirat mein kamyab kare.
    Jazak Allah

    ReplyDelete
  2. Waseela baad e visal par dalail chahiye .

    ReplyDelete
    Replies
    1. Shuru se check kariye saare posta miljayega aapko baad e wafaat bhi

      Delete
  3. Hazrat Huzoor Ki Qabr pe Hazir hokar dua karne waali jo hadees hai Sahi muslim me scan page ke sath baraye karam bhej dijiye scan page ya fir link

    ReplyDelete
    Replies
    1. Sahih Muslim Me Aisi Koi rivayat hamare ilm me nahi hai
      http://786sho.blogspot.com/2015/01/waseela-tawwasul-intercession-quran.html
      Ye Links line se padhe shayad jo aap dhund rhe hai inme mil jaye

      Delete
  4. Gair nabi ka waseela ka saboot kaha hai bhayi.
    Surf nabi ka wassela we mangna hai game.

    ReplyDelete
  5. Qabro se maddad pe likhiye baaz log ko jab waseel sabit kar do toh kehte waseela le sakte hai maang ni sakte

    ReplyDelete

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers