Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Monday, 16 February 2015

MUNAFIK KI NAMAZ E JANAZA - HAKIKAT KYA HAI ?

MUNAFIK KI NAMAZ E JANAZA PADHNA JAIZ YA NAZAIZ ? ?
ABDULLLAH BIN UBAI MUNAFIK KI NAMAZ E JANAZA KYU PADHAYI ? ?
WHY PROPHET OFFER FUNERAL PRAYER OF HYPOCRISE ABDULLAH BIN UBAI ?? 


Haal hi me Gulabi Wahabi Devbandi Ameer e Tablighi Jamat Pakistan Maulana Tarik Jameel ka ek bayan Manzar e aam par aaya jisme Tarik Jameel Sahab ne khoob Bhand pana kiya aur nautanki magarmach k aansu ro ro k ummat e muslima bilkhusus Sunnio ko gumraah karne ki napak koshish ki apne Is Bayan me Tarik Jameel Sahab ne jo kaha wo hum yaha unke alfaz likh rahe hai

"Tum Musalman Hoke Ek Dusre ko Salam karna chod bethe tum ek dusre pe kufr k fatwe dete ho Sunnio ne Kaha Wahabi Kafir Devbandi ne Kaha Shia Kaafir, Barelvi ne Kaha Deobandi Kafir phir Jannat me kon jayga. Ek Dusre ki masjid me Nahi jaate ek dusre k piche Namaz Nahi Padhte Mere Nabi to Munafik Abdullah Bin Ubai ka Namaz e Janaza padhne chale gaye – Ummat ban ke raho Muslim banke Raho apne akeede pe pakke raho muslim banke raho kyu is kadar julm o sitam daah hue ho" 



aur jinko chahye ye bayan net pe bhi easily available hai 
ab Zara gaur o fikr ek aam musalman in takreer aur background emotional music k saath sune to yakinan wo inke makar aur fareb me aajayga baatein kitni pyari lagti hai par hai ye SLOW POISON ZAHER hai jo Imaan lut le. Iske pehle hum is takrir ka jaiza le ek hadees e paak mulahiza kare taaki baat aur acchi samjhe.
Hazrat Ali Radi Allahu Anho bayan karte hai Maine Huzoor Sal Allahu Alaihi Wassalam ko ye Farmate Hue Suna Hai ki 
"Aakhri Jamane Me Nau Umr Aur Kam Samajh Logon Ki Ek Jamaat Niklegi Baatein Wo Bazahir Acchi Kahenge Lekin Imaan Unke Halak k niche Nahi Utrega Wo Deen Se Aise Nikal Jaynge Jaise Teer Kamaan Se Nikal Jaata Hai Bas Tum Unhe Jahan Paana Katl Kardena ki Kayamat k Din Unke Kaatil k Liye Azro Sawab Hai"
(Bukhari Sharif Vol : 08, Kitab No 88 Kitab Al Murtideen, Baab No 06 : Katlul Khwarij Wa Mulhideen, Hadees : 6930)


Hadees e paak me kuch aise logo ki nishan dehi ki gayi k inki baatein to bahot meethi maloom hogi magar hoga dar asal zaher itna sakht Hukm Farmaya k inhe katl karne ka hukm diya Imaan inke sine se nikal jayga.
Tareek Jameel Sahab k is Bayan me Kuch Baat Saaf saaf jaahir hogayi aur chor ki chori pakdi gayi kuch baatein jo gaur o fikr ki hai dekhe
1) Jameel Sahab kehte hai Musalman Ek Dusre ko Kafir kafir bolta hai.
Ans ) Maaf kare Tarik Jameel sahab Hum Ahle Sunnah Kisi Musalman ko Kaafir nahi bolte haa tumhare akabir ko jarur bolte hai kyuki unki kitabe kufr se bhari padhi hai Tauheen e Risalat se bhari padhi hai isliye hum unhe kaafir kehte hai jo unka kufr tha us bunyaad pe aur agar Tabligi Jamat wale is bayan se muttafik hai Jameel sahab k to Hamara challenge hai tumko Jo naara lagate ho
SHIA SHIA KAAFIR KAFIR JO NA BOLE WO BHI KAAFIR,
KADIYANI KAFIR JO NA BOLE WO BHI KAFIR
Himmat dikhake ab inhe bhi Musalmaan maanlo aap aur inki Imamat pe Devband se bhi fatwa maang lo.
(2) Aye Musalman Nabi ne Munafik ki Namaz Padhi Aur tum Aaj ek dusre k piche namaz nahi padhte.
Ans) Ye baat Tarik Jameel Sahab Sunnio k liye bol rahe hai k Aye Sunni tu Wahabio Devbandi k saath unke piche namaz kyu nahi padhte ho ? Goya wo hume bol k khud ka Munafik Hona to kabool kar rahe hai ye baat to bilkul saaf hai. Beshak tum mardoodo ko piche hamari namaz nahi hoti isliye Sirf Sunni Sahi Akeeda Imaam k piche padhte hai tum gustakho k nahi.
Aur agar yehi paimana hai to Tableegi boriya bistar leke ghumne waale Deo k bando ko chahye k jaake NAMAZ SHIO AHLE TASHEEH AUR QADIYANIO ko apna imaam bana le aur shuru hojaye unke piche padhna aur jor jor chillaye tarik jameel ne ye hi dars tableeg me diya hai hume aur dekhte hai hum kitna namaz tum padhte ho unke piche.
Kab banaynge SHIO AUR QADIYANIO ko Imam Hume Uska Intezar rahega ??
3) Ek dusre pe zulm maaf kare Tariq sahab ye zulm ka bazar tumhare devbandi tanzeemo ne market me garmaya hai Sunni hazrat kahi BOMB BLAST ye deshat gardi nahi karte Sunni Apne Buzurgo ki mehfil Zikr e Habib Alaihi salam milad me khush rehte hai wo pakistan me zulm o sitam saare nazar aarehe hai jo aapki tanzeem e devbandio ne faila rakha hai jaha tum devbando ki majority nahi hoti waha isi tarah makar o fareb mithi mithi baatein karte ho par jaha thoda tadad hua waha sunnio pe zulm o sitam karte ho buzurgo ki mazarat pe public place pe bomb blast karte ho unhe hi jaake dars do ye kab denge dars ?? ye dogli policy band karo aap.
Ye kuch ahem baat thi taaki awaam inke makar o fareb ko notice kare aur inse bole is bayan ki bunyaad pe tablighi devbandi jamat ko chahye k Shio aur Qadiyanio ko apna imaam bana le.
Ab aaye Bukhari Sharif ki ek Hadees e paak Mulahiza kare taaki kuch baatein mazid samajh aajaye.

Hadees :
Hazrat Abdullah ibn Umar Radi Allahu Anho se rivayat hai
"Jab Abdullah bin ubai faut ho gayaa , to uska beta Nabi E kareem sallALLAHu ta’aalaa alaihi wasallam ki baargaah mein hazir ho kar arz guzaar hua , apni qamees ataa farmaye , ki usmein unhey kafnaaoo , aur unper namaz padhiye aur dua e maghferat farmayiye , Nabi e kareem sallALLAHu ta’aalaa alaihi wasallam ney usey apni qamees ataa farmade
aur farmaya ki mujhey itlaa’ kar denaa taaki usper namaz padhoo , pas itlaa’ di gayee , jab aapney us per namaz padhney ka iraadah farmaya , to hazrat umar (radiALLAHu anh) ney aapko rokaa aur arz guzaar huey , kahaa ALLAH ta’aalaa ney aapko munafeqeen per namaz padhney sey mana’a nahi farmaya hai ,
Irshad Hua Ki
Mujhey dono baato kaa ikhteyaar detey huey farmaya hai , unkey liye dua e maghferat karo yaa na karo , agar unkey liye 70 martabah duaa e maghferat tab bhi ALLAH unhey nahi bakhshegaa , pas aapney us per namaz padhi to wahee naazil hui
unmein sey kisi per kabhi namaz nahi padhnaa (9:84)"
(Sahi Bukhari, Vol :01, Kitab No : 23 Kitabuz Janaiz, Baab no : 22 'Kafane FilKamees ' , Hadees : 1269)
Is hadees e mubaraka se kuch chiz pata chali
Abdullah bin Ubai Munafik ka beta ek Sahabi e Rasool the unki guzarish thi k magfirat ki dua kare, kameez ata kare namaz e janaza padhe ye baat hadees e paak padhne se samajh aagayi.
Ab aaye dekhe k Munafeek E Aazam Abdullah Bin Ubai ki Namaz e Zanaja ka pura tehkeeki mamla tha kya
1st Point : JUNG E BADR K BAAD HAZRAT ABBAS Bin Abu Muttalib Chacha Jaan HUZUR E AKRAM ALAIHI SALAM ko Apna Jhubba Dena :
Jung e Badr ki fateh me jin jin logo ko giraftar kiya gaya tha unme Nabi E Karim Alaihi Salam k Chacha Jaan Hazrat Abbas bin Abu Muttalib bhi un qaidiyo me the
aapke badan par kamees na tha aur aapki height zyadah hone k sabab kisi ka Kurta aapko thik nahi aata tha us wakt Munafik e Aazam Abdullah Bin Ubai ne apna kurta diya tha.
Huzoor E Akram Sal Allahu Alaih Wassalam ka Apne Ahle Bait bilkhusus Apne Chacha jaan ki Walid e Muhtaram ki tarah Tazim karte the aur Nabi E Karim Alaihi Salam ko gawara na tha k koi ehsan bhi Huzoor ki Ahle Bait par kisi ka rahe ye us ehsaan ka badla chukta kiya jo Munafik Abdullah Bin Ubai ne Jung e badr k mauke pe Hazrat Abbas radi Allahu Anho pe Kiya tha taaki baroze mehshar ye koi sawal na kar sake k maine aapki ahle bait pe ehsan kiya aur uska azr maange ab uska ehsaan jo Hazrat Abbas Radi Allahu Anho pe kiya tha us ehsaan ka karz is dunya me hi utar diya ab koi ehsaan baaki na raha.
2nd Point :Rayeesul Munafik Abdullah bin Ubai k bete Ek Sahabi E Rasool the :
Munafik Abdullah bin Ubai k bete Hazrat Abdullah Radi Allaho Anho ek mukhlis aur ibadat guzaar Sahabi e Rasool Sal Allahu Alaihi Wassalam The jinki baat Nabi e Karim Alaihi Salam taal nahi sakte the ye bhi wo ahem wajah thi k apna jhubba ata kiya aur namaz e janaza padhi dua e magfirat ki kyuki Aaka Alaihi Salam ko dua karne ka ikteyar tha par Hazrat Umar Radi Allaho Anho is baat k khilaf the k Huzoor Alaihi Salam waha jaake Namaz e Janaza padhe aur dua kare. Chunache Allah Rabbul Izzat Quran e Mukaddas me irshad Farmata hai
" Tum Unki Maafi Chaho ya Na Chaho Agar Tum 70 Baar Unki Maafi chaho To Allah Hargiz Unhe Nahi Bakhshega, Aur Isliye ki wo Allah Aur Rasool k Inkari Hue Aur Allah Fasiko ko Raah Nahi Deta"
(Surah Tauba Ayat 80)
is aayat e karima se ye baat bhi pata chali k Allah Tabarkawa'tala ne Nabi Alaihi Salam ko mana nahi farmaya Ikteyar diya tha dua karo ya na karo par unki bakshis nahi honi.
3rdPoint : Is Namaz E Janaza padhane se 1000 se zyada Munafik Sacche dil se Huzoor e Karim Alaihi Salam ka Husn o Akhlaak Dekh k Musalman Hogaye :
Nabi e Kareem Alaihi salam is baat ko jaante the k Abdullah bin Ubai munafik e aazam hai aur zindagi bhar Islam aur paigambare Islam k khilaf kaam karta raha jis se Musalman to uske kaam se wakif the aur uske saath bahot badi jamat Munafikeen ki thi jo Andar hi andar Islam ko nuksaan pahuchati usko apna peshwa maanti thi. Sabka guman yehi tha k Huzoor E Akram Alaihi Salam uski namaz e janaza na padhaynge magar maamla iska ulta hua zindagi bhar jisne Nabi E Kareem Alaihi salam ko takleef ajiyat di uske sath bhi RAHMATALLIL ALAMEEN ka is tarah se pesh aana aisa asar hua k 1000 k almost munafikeen ne sacch dil se tauba karli aur aagosh e Islam me aagaye.
4Th Point : Quran E Mukkadas me Ab Tak Munafikeen k Namaz e Janaza Aur Unki Kabr k Talluk Se Koi Mumaniat ki Ayat na Aayi Thi : 
Allah Taa'la ne Quran me koi aayat us wakt tak nazil nahi ki thi k Munafik Ki Namaz e Janaza na padhayi jaaye.
5Th Point : Quran ka Hukm Nazil Hua aur ab ye Dalil Pakadne waala Quran k baagi hai : 
Huzoor E Akram Alaihi Salam k is amal k baad Allah Taala ne Quran me Aayat naazil farmayi ab dekhe Allah kya farmata aur Tarik Jameel k chele bhi aankh khol k padhe isko
"Aur Ab unme Se Kisi Ki Mayyat Par Namaz Na Padhna Na Padhaana Aur Na Unki Kabr Par Khade Hona" 
(Surah Tauba Ayat 84)
Is aayat ki tafseer Maulana Naimuddin Muradabadi likhte hai
“Lekin Chunki Us Wakt Tak Mumaniat Nahi Hui Thi Aur Huzoor Alaihi Salam ko Maloom Tha ki Aapka yeh Amal Ek Hazar Aadmio k Imaan Laane ka Bayis Hoga Isliye Huzoor Alaihi Salam Ne Kamiz Ata ki aur Namaz Padhayi” 
(Tafseer e Khazainul Irfan Surah Tauba Ayat 84) 
ye ayat nazal hui ab aagayi Quran me Mumaniyatab kayamat tak liye har musalmaan ko jaruri hogaya hai k naa kisi kaafir munafik ki kabr pe jaaye na kisi munafik badmazhab ki namaz e janaza padhe agar ye aayat na hoti to aaj tarik Jameel jaise gumraah mubaligo ko apni munafikat failane ka ye rasta mil jaata k jab NABI ALAIHI SALAM ne munafik ki namaz e janaza padhayi to hum kyu ek dusre ki namaz me shamil nahi hote musalmano ko emotionally gumraah kiya jaata aur Tarik Jameel isi tarah munafikat failate ALLAH RABBUL IZZAT ne wo rasta hi inka band kar diya is aayat ko nuzool karke.
Par Sad Afsos hai Tarik Jameel padhte likhte kuch nahi bas nautanki drama expert hai jo awaam ko gumraah karte hai unke nazdik wali ki haisiyat rakhne waale unke hi jamat k allama dhaher baani e jamat e islami maudidiyat Sayyad Abul Aala Maududi ki Qurani Tafseer pe unki nazar tak nahi gayi shayad likhte hai is wakye k baare me
 
“Aakhir aap Namaz padhane k liye khade hi hogaye the to ye aayat Nazil hui baray rast hukm khudawandi se aapko rok diya Gaya 
(Tafhimul Quran Surah Tauba Ayat 84) 
Abu Aala Maududi ne to saaf saaf namaz padhane ka hi inkaar kar diya hai ab Tariq Jameel kya karenge na inke pass koi tehkeek hoti hai na koi dalil bas gumraah karne k ek se ek tarike jarur talash karte hai.
Ye Hai Tarik Jameel ki hakikat inhe Quran k ahkamat tak ka ilm nahi hai ye bas apne tarike se awaam me gumrahiyat daalte hai.
ye hai puri tehkeek jo Tableegi aur jaamil sahab k ilm me nahi hai shayad Quran k ahkam inhe samajh kaha aate hai.
Allah Musalmano ko aise makkaro fareb kaaro se bachaye. Aamin
Dua ki Guzarish Sher Ali Hanfi  

29 comments:

  1. Bhai dusro Ki bate pe ilzam lagane se pehle apni bate sudhare us molana ne ye kaha fala sahks ne yaha ye bate kar kar kana fusi na mare....... Hm musalma no ko 1 ummat ban k rehne do sunni aur tabligh me na banto... Aap bat kar k dusre Ki gibat kar rahe ho ye islaaam jaiz he....

    ReplyDelete
    Replies
    1. Abe chutiya hai kya
      Muzhe phone kar 9834686808 tu atankwadi zahannami mushrik kaafir murtad hai

      Delete
  2. Soheb bhai kisi ki galti batana gibat nahi hota agar nahi batayege to log us ko hi sahi samajh kar us par amal shuru kar dege to deen ka nuksaan hoga or bhai deen ka nuksaan na to allah ko pasand hai na nabi kareem ko allah huq kehene or huq samajhne ki tofique de

    ReplyDelete
    Replies
    1. to phir logon ko haq samjhwo , masjidon ke membaronpar baith kar Allah ke nabi ne Haq bat logon tak nahi pahunchayi ..!!! baqayada gali gali kuche kuche aur muhalla dar muhalla fire hai mere nabi ..masjid me baithkar kafiron ko galiya nahi di ..!!! agar aisa karte to aaj me aur aap kisi ghantaghar ghanti bajate hote ..!!! agar aaj bhi apko kisi ek bhi kafir ko musalman banana hai to vahi sharte lagu hai jo mere nabi ko thi ..!!! Firoun ko musa ne dawat di , gali galoch nahi ki , bura bhala nahi kaha ..hikmat istemal ki ..!!! Allah ne ek nabi se kaha hikmat istemal karo ..tumhare gali galochwale tarike se to tumhare apne bhi tumse dur ho jayenge ...!!!

      Delete
  3. Tum log nahi sudhroge. Har sahi baat ko galat batakar ummat ko gumrah to tum kar rehe ho aur tumhare kahe jane wale akabir jo gairkom ke piththu hai.

    ReplyDelete
  4. YE bayan mere bhai adhura suna hai aapne,, iske aage ka kissa bhi molana ne kai martaba sunaya hai..... aapki nadani pe taras aata hai,, bayan me molana ne kaha ki munafik ka janaza padne chale gaye... to beshak gaye the par hazrate umar ka rokna or wahi ka aana bhi hua ...wahi me farmaya gaya ki MERE MEHBUB AGAR AAP 70 MARTABA BHI IS MUNAFIQ KI NAMAZ PADENGE TAB BHI MAUF NAHI KARUNA... TO IS PAR AAKA NE FARMAYA THA LOGO KO KI... AGAR MERA ALLAH YOU KAHTA KI AGAR IS MUNAFIQ KI NAMAZ 70 MARTABA PADOGE TO MAAF KAR DUNGA TO MAI IS KAMBAKHT KA JANAZA 70 MARTABA PAD DETA TAKI BKHSHA JAYE.... MOLANA NE YE BHI KAHA OR KAI BAYANO ME KAHA... MERE BHAI AADHI ADHURI BATE SUNKAR NA ETTEFAKI FELANA KAHA KI SHARAFAT HAI... IS WAKIA KA SUNANA HI IS LIYE THA KE AAKA KE DIL ME MUNAFIKO KE LIYE BHI HUMDARDI HAI... OR AAP OR HUM EK DUSRE KE DUSHMAN HAI... ALLAH KE LIYE AISA MAT KARO THIK HAI APNE AQIDO PAR JAME RAHO PAR .... EK DUSRE KE LIYE GUNJAISH RAKHE.... ALLAH HUM SAB KO NEK AMAL KI TOUFIK ATA FARMA YE

    ReplyDelete
    Replies
    1. janab mujhe aap pe taras aata hai chunki shayad tumhare jaise jhola chaap jo tareek jaise k andhe bhakt ho unhe is statement ka matlab hi nahi samjha idiot

      Tarik jameel ne ye wakya bayan karke jo matlab nikala ye nahi maloom aapko ?

      Tarik Jameel ka kahna hai tum ek dusre k piche namaz nahi padte ?

      hum to yehi kahte hai tumhare bandaro k piche hamari namaz nahi hoti

      Shia bole sunni kafir sunni bole shia kaafir jannat me kaun jayga ?

      one more Idiotic response by Tarik Followers janab jao shia k piche namaz pdho

      wo tanzeem jinka talluk atankwad se hai jo bomb blast karti hai wo Devbandi Nahi hai

      kitne munafikat karoge idiot

      Delete
    2. jab tum haq par ho to allah tumhari madad kyoun nahi kar raha ..kya haq itna kamzor hai ki batil ki burai karna shuru kar de ? batil to batil hai wo apni mehnat me laga hai ..!!! Tum bhi mehnat jamkar karo.. agar haq par ho to allah tumhari madad jarur karega , aur tum hi sarbuland rahoge aur tum hi galib rahoge ..!!! Apni muhubbat ka dikhlawa aur dawa na kiya kare ..!! riyakari shirk hai ..!!! Mera nabi Kafir ke janaje par roya hai ..yahudi tha bagair iman ke gaya ..aur hum Allah ke naam leva aur rasul ko manne walon ke liye zahar ugal rahe hai ..!!! halvachhap moulvi na bano ..tumhara dard samjh sakte hai hum ..!!! Allah apke aqayid ko durust kare aur hidayat se malamal farmaye ..

      Delete
    3. kab tak adhura deen batauge yaar aapme Himmat hoti to jawab e La jawab laate par koi maa kaa laal nhi dekha jo jawab laaye yahan kaa

      kya ye hakikat nahi hai kay saare atankwadi jo Tarik jameel kay follower hai wo devband maslak kay hai ? Wahabiyat Se Unka Talluk hai

      Ek Kaam karo Tarik Jameel Ki baat pe amal karo Shiya Chakadalwi Gair Mukallideen kay saath unke piche namaz padha karo tum

      Adhura Deen kyu batate ho tum log kyu nahi batate kay Nabi Ne To 300 Se Zyada Munafiko ko Masjid Se nikala tha yaha Tak kay Unki banayi Fitna parwar Masjid E Jarar Ko aag kay hawale kar diya tha

      Delete
  5. Ye koi kanjar indian hindu lagta hai

    ReplyDelete
  6. Ye koi kanjar indian hindu lagta hai

    ReplyDelete
  7. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  8. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  9. Assallamu allaikum,,,,bhaiyo
    Jawab pesh hai

    ReplyDelete
  10. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  11. Assallamu allaikum,,,jawab pesh hai

    Barelvio ka aitheraaz per hasi athi hai barelvio ne thareek jameel sahab per aitheraaz kiya aur khatal Karna b munasib samjha,

    kisi ne khaha hai,,

    Har jahil barelvi nhi hotha
    Jo barelvi hotha hai,wo jahil zaroor hotha hai

    Abb barelvio ki zubani sunne,,,aur aitheraaz b

    Sunni Hanfi Organization

    Haal hi me Gulabi Wahabi Devbandi Ameer e Tablighi Jamat Pakistan Maulana Tarik Jameel ka ek bayan Manzar e aam par aaya jisme Tarik Jameel Sahab ne khoob Bhand pana kiya aur nautanki magarmach k aansu ro ro k ummat e muslima bilkhusus Sunnio ko gumraah karne ki napak koshish ki apne Is Bayan me Tarik Jameel Sahab ne jo kaha wo hum yaha unke alfaz likh rahe hai

    Thareek jameel sahab
    "Tum Musalman Hoke Ek Dusre ko Salam karna chod bethe tum ek dusre pe kufr k fatwe dete ho Sunnio ne Kaha Wahabi Kafir Devbandi ne Kaha Shia Kaafir, Barelvi ne Kaha Deobandi Kafir phir Jannat me kon jayga. Ek Dusre ki masjid me Nahi jaate ek dusre k piche Namaz Nahi Padhte Mere Nabi to Munafik Abdullah Bin Ubai ka Namaz e Janaza padhne chale gaye – Ummat ban ke raho Muslim banke Raho apne akeede pe pakke raho muslim banke raho kyu is kadar julm o sitam daah hue ho"

    aur jinko chahye ye bayan net pe bhi easily available hai
    ab Zara gaur o fikr ek aam musalman in takreer aur background emotional music k saath sune to yakinan wo inke makar aur fareb me aajayga baatein kitni pyari lagti hai par hai ye SLOW POISON ZAHER hai jo Imaan lut le. Iske pehle hum is takrir ka jaiza le ek hadees e paak mulahiza kare taaki baat aur acchi samjhe.

    Hazrat Ali Radi Allahu Anho bayan karte hai Maine Huzoor Sal Allahu Alaihi Wassalam ko ye Farmate Hue Suna Hai ki
    "Aakhri Jamane Me Nau Umr Aur Kam Samajh Logon Ki Ek Jamaat Niklegi Baatein Wo Bazahir Acchi Kahenge Lekin Imaan Unke Halak k niche Nahi Utrega Wo Deen Se Aise Nikal Jaynge Jaise Teer Kamaan Se Nikal Jaata Hai Bas Tum Unhe Jahan Paana Katl Kardena ki Kayamat k Din Unke Kaatil k Liye Azro Sawab Hai"
    (Bukhari Sharif Vol : 08, Kitab No 88 Kitab Al Murtideen, Baab No 06 : Katlul Khwarij Wa Mulhideen, Hadees : 6930)

    Hadees e paak me kuch aise logo ki nishan dehi ki gayi k inki baatein to bahot meethi maloom hogi magar hoga dar asal zaher itna sakht Hukm Farmaya k inhe katl karne ka hukm diya Imaan inke sine se nikal jayga.
    Tareek Jameel Sahab k is Bayan me Kuch Baat Saaf saaf jaahir hogayi aur chor ki chori pakdi gayi kuch baatein jo gaur o fikr ki hai dekhe

    barelvio ne ek hadees pesh ki aur usse murad tableeg jamat ko nishana bannaya,aur kaha ki,,Imaan unke halakh k niche nhi uthrega,,abb mujhe ye bathai barelvio wo hadees kisko naseehath thi hazrath ali radi allahu anho ko,k Bas Tum Unhe Jahan Paana Katl Kardena

    Maine pahele hi kaha tha k
    Har jahil barelvi nhi hotha
    Jo barelvi hotha hai,wo jahil zaroor hotha hai
    Imaan Unke Halak k niche Nahi Utrega Wo Deen Se Aise Nikal Jaynge Jaise Teer Kamaan Se Nikal Jaata Hai
    Barelviyath wo khom hai jo ankhein,hone k bawajood andhe ki misal hai

    ReplyDelete
  12. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  13. Hadees shareef me saf saf likha hai,Imaan Unke Halak ��k niche Nahi Utrega Wo Deen Se Aise Nikal Jaynge Jaise Teer Kamaan Se Nikal Jaata Hai

    Abb ye hadees per gaor kare,aur tableeg jamath per gaor kare,,,keya tableeg jamat me deen,halak se niche nhi uthar tha,,jab
    3din 10din 40din 4month ya ek saal
    Koi b waqt lagatha hai tho, wo shaks apne zeendagi me din ko latha hai,,jab wo dhadi nhi rakha kartha tha abb jamath me waqt lagane k badh dhadi raktha hai
    ,ye tableegh jamath ki mahenath ko allah ne khubl kiya aur bohath se logo ko hidayat di,,apne habeeb k thareekh per rakha ,tableegh jamath k boll b aur zaban b allah ne aqlaakh se bhardiye aur allah se tableegh jamath ye dua hamesha mangi thi hai,,ya allah apne meheboob k thareekhe per chala,aur sahab k thareekhe per chala,,ayesi kaheen hasthiya hain,jinko allah ne aqlaakh k boll atha kiye,,,aur jaise k khud thareek jameel sahab ek barelvio k gharane se the,,aur wo b jamath line se chidte the,aur wo singer banna chathe the,,tho allah ne khuble unko,aur allah ne iman ko dil mein ,naksh kardiya,unke,ye iman hi tho hai,thareekh jameel sahab,
    NABI naam yaad kiye aur khandan k naam.yaad kiye, aur unke thareef bayan kiya Jo shaks NABI mantha tha ,,thareek jameel sahab k bayanath se NABI ko janne wale bann gaya,Seerat e nabi ki thareef keya bayan hai jameel sahab ka,

    bas barelvio ko yahi daar hai,k barelvi log tableeg jamat me janne lag gain hain,
    khud sunno upar k line mein barelvio ka daar,,

    nautanki magarmach k aansu ro ro k ummat e muslima bilkhusus Sunnio ko gumraah karne ki napak koshish ki apne Is Bayan me Tarik Jameel Sahab ne yakinan wo inke makar aur fareb me aajayga baatein kitni pyari lagti hai par hai ye SLOW POISON ZAHER hai jo Imaan lut le,

    ReplyDelete
  14. Ayea hazrath hum apko jo laafz thareek jameel sahab ne kahi hai,wo bathein hum QURAN se puchthe hain, quran ki roshni mein

    Bismillaah ir rahmaan ir raheem
    Surah Al - Imran :102&103

    يٰۤـاَيُّهَا الَّذِيْنَ اٰمَنُوْا اتَّقُوا اللّٰهَ حَقَّ تُقٰتِهٖ وَلَا تَمُوْتُنَّ اِلَّا وَاَنْـتُمْ مُّسْلِمُوْنَ
    وَاعْتَصِمُوْا بِحَبْلِ اللّٰهِ جَمِيْعًا وَّلَا تَفَرَّقُوْا‌ وَاذْكُرُوْا نِعْمَتَ اللّٰهِ عَلَيْكُمْ اِذْ كُنْتُمْ اَعْدَآءً فَاَ لَّفَ بَيْنَ قُلُوْبِكُمْ فَاَصْبَحْتُمْ بِنِعْمَتِهٖۤ اِخْوَانًا ۚ وَكُنْتُمْ عَلٰى شَفَا حُفْرَةٍ مِّنَ النَّارِ فَاَنْقَذَكُمْ مِّنْهَا ‌ؕ كَذٰلِكَ يُبَيِّنُ اللّٰهُ لَـكُمْ اٰيٰتِهٖ لَعَلَّكُمْ تَهْتَدُوْنَ

    اے ایمان والو! اللہ تعالیٰ سے اتنا ڈرو جتنا اس سے ڈرنا چاہئیے اور دیکھو مرتے دم تک مسلمان ہی رہنا(102)

    اللہ تعالیٰ کی رسی کو سب مل کر مضبوط تھام لو اور پھوٹ نہ ڈالو، اور اللہ تعالیٰ کی اس وقت کی نعمت کو یاد کرو جب تم ایک دوسرے کے دشمن تھے، تو اس نے تمہارے دلوں میں الفت ڈال دی، پس تم اس کی مہربانی سے بھائی بھائی ہوگئے، اور تم آگ کے گڑھے کے کنارے پہنچ چکے تھے تو اس نے تمہیں بچا لیا۔ اللہ تعالیٰ اسی طرح تمہارے لئے اپنی نشانیاں بیان کرتا ہے تاکہ تم ہدایت پاؤ(103)

    Surah Al - Imran : 105

    وَلَا تَكُوْنُوْا كَالَّذِيْنَ تَفَرَّقُوْا وَاخْتَلَفُوْا مِنْۢ بَعْدِ مَا جَآءَهُمُ الْبَيِّنٰتُ‌ؕ وَاُولٰٓٮِٕكَ لَهُمْ عَذَابٌ عَظِيْمٌۙ

    تم ان لوگوں کی طرح نہ ہو جانا جنہوں نے اپنے پاس روشن دلیلیں آ جانے کے بعد بھی تفرقہ ڈاﻻ، اور اختلاف کیا، انہیں لوگوں کے لئے بڑا عذاب ہے

    Surah Al - An'aam 6 :159

    اِنَّ الَّذِيْنَ فَرَّقُوْا دِيْنَهُمْ وَكَانُوْا شِيَـعًا لَّسْتَ مِنْهُمْ فِىْ شَىْءٍ‌ ؕ اِنَّمَاۤ اَمْرُهُمْ اِلَى اللّٰهِ ثُمَّ يُنَـبِّـئُـهُمْ بِمَا كَانُوْا يَفْعَلُوْنَ

    بےشک جن لوگوں نے اپنے دین کو جدا جدا کردیا اور گروه گروه بن گئے، آپ کا ان سے کوئی تعلق نہیں بس ان کا معاملہ اللہ تعالیٰ کے حوالے ہے۔ پھر ان کو ان کا کیا ہوا جتلادیں گے

    Surah Al - Hajj 22:78

    وَجَاهِدُوْا فِى اللّٰهِ حَقَّ جِهَادِهٖ‌ؕ هُوَ اجْتَبٰٮكُمْ وَمَا جَعَلَ عَلَيْكُمْ فِى الدِّيْنِ مِنْ حَرَجٍ‌ؕ مِلَّةَ اَبِيْكُمْ اِبْرٰهِيْمَ‌ؕ هُوَ سَمّٰٮكُمُ الْمُسْلِمِيْنَ ۙ مِنْ قَبْلُ وَفِىْ هٰذَا لِيَكُوْنَ الرَّسُوْلُ شَهِيْدًا عَلَيْكُمْ وَتَكُوْنُوْا شُهَدَآءَ عَلَى النَّاسِ‌ ‌ۖۚ فَاَقِيْمُوا الصَّلٰوةَ وَاٰتُوا الزَّكٰوةَ وَاعْتَصِمُوْا بِاللّٰهِؕ هُوَ مَوْلٰٮكُمْ‌ۚ فَنِعْمَ الْمَوْلٰى وَنِعْمَ النَّصِيْرُ

    اور اللہ کی راه میں ویسا ہی جہاد کرو جیسا جہاد کا حق ہے۔ اسی نے تمہیں برگزیده بنایا ہے اور تم پر دین کے بارے میں کوئی تنگی نہیں ڈالی، دین اپنے باپ ابراہیم (علیہ السلام) کا قائم رکھو، اسی اللہ نے تمہارا نام مسلمان رکھا ہے۔ اس قرآن سے پہلے اور اس میں بھی تاکہ پیغمبر تم پر گواه ہو جائے اور تم تمام لوگوں کے گواه بن جاؤ۔ پس تمہیں چاہئے کہ نمازیں قائم رکھو اور زکوٰة ادا کرتے رہو اور اللہ کو مضبوط تھام لو، وہی تمہارا ولی اور مالک ہے۔ پس کیا ہی اچھا مالک ہے اور کتنا ہی بہتر مددگار ہے

    Surah Fussilat -41:33

    وَمَنْ أَحْسَنُ قَوْلًا مِّمَّن دَعَا إِلَى اللَّهِ وَعَمِلَ صَالِحًا وَقَالَ إِنَّنِي مِنَ الْمُسْلِمِينَ

    اور اس شخص سے بات کا اچھا کون ہوسکتا ہے جو خدا کی طرف بلائے اور عمل نیک کرے اور کہے کہ میں مسلمان ہوں

    Allahumdulillah
    Allah ka ye ehesaan hai,jo humein apne apko musalman banaya,aur naam b musalman rakha,aur musalman bankar rahene ki thaqeed ki,,,aur musalman k naam se jaanne lagaya,,,

    Abb,,thareek jameel sahab,ne jo b kaha wo tho bas quran k alfaz ko dheyan me rakhar,jo kaha wo tho bilkul sahi kaha hai

    ReplyDelete
    Replies
    1. This comment has been removed by the author.

      Delete
    2. This comment has been removed by the author.

      Delete
    3. Pura jawab ek sath send nhi hiraha hai,,,,

      Delete
    4. Salam.

      Muje kareena e zindagi pdf kitab chahiye

      Delete
  15. Bhai to ek baat bata do na aap..k jab nabi ne farma diye k mere ummat me 73 firqe banege.usme se ek firqa jannati..to aap deobandi log apne aap ko jannati mante ho..phir to bache 72 firqe jahannami hue..to aap k ullu ma tarik jamil sahab kehte h k sab k piche namaz padho..sab ek ho jao..is ka mtlb deo k bande taril jameel sarkar sallallahu alaiwasallam ki hadees ko jhutla raha h..aur jisne quran aur hadis ko jhutlaya wo kafir h...pehle tmlog aqal k ghode mat dodao..samjho k kya bole h maulana ne..phir react kro..tmloh k aqal me to baat jaati nai..jahil h saale deo k bande..

    ReplyDelete
    Replies
    1. Ager esa tu hota tu jameel saab ye nhi kehtey k ummat Banu
      Ab tum keh 4ahey ho k jannti kon hai ager tumko maloom hay tu achi bat hay not bad

      Delete
  16. TAREEQ JAMEEL EK NUMBER KA MUNAFIQ HAI....SHAITAAN GUMRAAH...IMAAN WAALO KO AISE FITNO SE BCHAAYE PARWARDIGAAR

    ReplyDelete
  17. What is the name of Sunni hanfi organization chief
    Who Wrote this post

    ReplyDelete

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers