سم الله الرحمن الرحيم
♥ السلام عليك يا رسول الله ♥ ♥ السلام عليك يا حبيب الله ♥
1) Jhoot Aur Makar Fareb se kaam jarur lete hai
2) Bayan me nautanki aur upar se is andaz me takrir karte hai jaise environment create karte ho phir inke chele emotional background music k saath usko awaam me aam karke gumrahiyat daalte hai.
Tarik Jameel Sahab ne ek Bayan Kiya jo ye tha is link me aap sun sakte hai hum yaha likh rahe hai
"Sahaba Ko Kafir Kehne Se Koi Kafir Nahi Hota Ha Jab Tak wo ye na kahe ye wo Quran Nahi Hai Jo Nabi pe utra Jab tak usko Kafir nahi keh sakte Aisa maine apne hi akabir k fatwe me padha hai, Maulana Ahmad Raza Khan Ulema e Devband ko kaafir kahe is se wo khud to kaafir nahi hojate na"
Isi bayan me Tarik Jameel sahab ne Aala Hazrat Imam Ahmad Raza khan Alaihi Rehma ko biddati tak bol diya aur unpe kuch jhoot bohtaan bhi bandha jiska khulasa hum agle kisi post me karnge INSHA ALLAH yaad rahe ye wohi Tariq Jameel hai jo kisi ko bura na kehne ki salaah dete hai halanki inki jabaan kabhi devbandi atankwadi tanzeemo k khilaf nahi khuli hai inka khud uthna bethna hai unke saath unke khilaf kahan se khulegi saamne kuch hai piche kuch hai awaam bas inke makar o fareb me aajaati hai.
Khair Hum Unwaan se hat na jaaye aate hai ab isi bayan ki taraf Tarik Jameel Sahab ne kaha wo points hai ye
1)Sahaba ko kafir kehne se koi kafir nahi hota agar Quran ka inkaar kiya to kafir Hoga.
2) Aisa Tarik Jameel Sahab ne Khud Apne akabir k fatwe me padha hai.
3) Maulana Ahmad Raza Khan Ulema e Devband ko kafir kahe to wo khud kaafir Nahi Hote.
Aakhir Tarik Sahab ne itni mehnat ki kyu ?? Asal maazra ye hai k 100 saal pehle Ulema E Devband ne Rashid Gangohi, Kasim Nanatvi, Khalil Ambhetvi Ashraf Ali Thanvi jinhe akabir ulema e devband maana jaata hai ALLAH AUR USKE MEHBOOB SAL ALLAHU ALAIHI WASSALAM BUZURGAN E DIN Alaihi Rizwanallahu azmain ki shan me bahot si gustakhi ki jis gustakhi ko Maulana Ahmad Raza Khan Alaihi Rehma ne us wakt k ulema e harmain sharifain k saamne rakhi natiza ye hua k un Ulema e Harmain Sharifain ne in charo gustakho ko inki gustakhi ki bunyaad pe Hukm e Kufr lagaya aur inhe murtad kaafir declare kiya jiska pura khulasa AALA HAZRAT ALAIHI REHMA Ki Marakatul Aara Kitab HUSSAMUL HARMAIN me padh sakte hai.
Ab natiza ye hai k puri jamaat ye koshish me lagi hai k kisi tarah in fatwo se jaan bachayi jaaye par gustakhi hai k khatm hoti nahi us aib ko chupane k chakkar me aur gustakhi karte chale jaa rahe hai ek jhoot ko chupane k liye hazar jhoot bolte jaa rahe hai.
Tarik Jameel sahab ye bayan karke awaam ko batane ye chahte hai k jab Koi Sahaba ko Kafir kehne se kaafir nahi hota to Ahmad Raza Khan Alaihi Rehma aur Ahle Sunnat Wa Jamat k ulema inhe kufr ki bunyad pe kafir kahe to bhala kya fark padega mazra ye hai k takat lagayi jaa rahi hai k kisi tarah un fatawe ko kamzor sabit kiya jaaye jo inke akabir k kufr ki poll kholte hai.
Bakool Tarik Jameel koi fark nahi padta koi kisi ko bhi kafir kahe Jab Sahaba ko bolne se nahi padta tab hum aap aur baaki musalman ki kya haisiyat hai Nauzubillah
Jiska dil chahe wo bole mai Abu Bakr Siddik ko Musalman nahi janta Umar Usman Raziallaho azmain ko musalman nahi maanta phir bhi wo Musalman rahega Ahle Sunnat wa jamat rahega MaazAllah Astagfirullah Halanki Fark padta hai kisi musalman ko kafir kehne se jab tak kufr ki pukhta dalil na ho kafir kehne se fark padta hai
Chunache Hadees e paak mulahiza ho Sahi Muslim Sharif ki
Hadees 01:
“Hazrat Abdullah Bin Umar RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Riwayat Karte Hain Ki Rasoolullah SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Jab Koi Shakhs Apne (Musalman) Bhaai Ko Kafir Kehta Hai To Donon Me Se Koi Aik Shakhs Us Kufr Ke Saath Lauta (Ya’ni Agar Jise Kaha Gaya Woh Kafir Na Huwa To Kehne Waala Khud Kafir Ho Jaayega).”
Reference :
(Sahi Muslim Vol : 01, Book 02 : Kitab Ul Imaan, Baab No 26 : Bayani Haali Imaan Man Kaala Lakhi Muslimo ya Kafiro , Hadees : 60)
Hadees e paak se wajeh hua k jab koi musalman kisi dusre musalman ko kafir kahe to dono me se ek kafir jarur hota hai kyuki kufr laut ta hai.
Ab aaye dekhte hai wo akabir hai kaun jinki kitab me Tarik Jameel ne ye padha hai wo hai Devbandi Akabir Gaus ka Darja rakhne waale Maulana Rasheed Ahmad Gangohi devbandio k nazdeek haq wohi hai jo Rasheed Gangohi ki Jaban se nikalta hai.
Dekhe Kya likhte hai Rasheed Ahmad Sahab mulahiza ho hum yaha unke 02 fatwe ek hi kitab k likhenge with scan page aur faisla aawam par chodte hai k haq aur baatil ka faisla kare aur dekhe inke akeede kitne baddtar hai.
Wo Kitab Hai Fatawa E Rashidiya ye uska Front Cover
Writer : Maulana Rasheed Ahmad Gangohi
Print : Shakib Book Depot DevbandFront Cover Fatawa E Rashidiya of Rasheed Ahmad Gangohi |
01) Sahaba ko Kafir Kehne Waala Kaafir Nahi Wo Ahle Sunnat Se Kharij Nahi -
01) Jo Shaks Sahaba E Kiram Rizwanullahi Azmain ko Kafeer Kahe wo Sunnat Jamaat Se Kharij Hoga ya Nahi ?
Al Jawab ) Jo Shaks Sahaba Me Se Kisi Ki Takfeer Kare Wo Maloon Hai. Aise Shaks Ko Imaam e Masjid banana Haraam Hai Aur Wo Apne Is Kabeera k Sabab Sunnat Jamaat Se Kharij Na Hoga.
(Fatwa E Rasheediya Pg : 274)
See Scan Page Below of Fatwa E Rasheediya
Fatwa E Rasheediya Pg : 274 |
02) ISMAIL DAHELVI K MUTTALIK RASHEED AHMAD GANGOHI KA FATWA
2) Ismail Dahelvi ko baaj log Kafir kehte hai ye kehna kaisa hai ?
Al Jawab) Molvi Muhammad Ismail Sahab Aalim Muttaki Biddat k ukhadne waale Aur Sunnat k jaari karne waale aur Quran o Hadis pe pura pura amal karne aur waale khalk o hidayat karne waale aur tamam umr isi haal me rahe aakhir kaar Fi Sabillah Jihad Me Kuffar k haath shaheed hue phir haq taala ki raah me shaheed hua wo kata'ee jannati hai mukhlis wali hai aise shaks ko mardood kehna khud mardood hona hai aise makbool ko kaafir kahna khud kaafir hona hai.
(Fatawa E Rashidiya Pg :192)
Scan page of Fatwa RasheediyaFatawa E Rashidiya Pg :192 |
Aap anadaza lagaye aur dil pe haath rakh k ye faisla kare k kya ye talimaat jo Rasheed Ahmad Gangohi ne di hai aur ussi ki tableeg jo So Called Peace Maker Tareek Jameel Ameer Tablighi Jamat Pakistan kar rahe hai kya wo talimaat wakayi aapko Islam k mutabik hai ?
Jab baat sahaba Rizwanullahi Azmain ki aayi to fatwa diye k koi fark nahi padta bas
Lekin jaise hi inke akabir Ismail Dahelvi k baare me pucha gaya lafz fatwe badal gaye k agar aapne ISMAIL Dahelvi ko kaafir kaha to aap khud kaafir hojate hai ek hi kitab me ye do itne bade alag alag fatwe kya yehi talimaat hai devband ki aapko faisla karna chahye k kiski muhabbat me aap jaa rahae hai. Yaha hum Fazail E SAHABA pe 02 hadees e paak hum yaha pesh kar rahe hai jis se Makam e Sahaba RadiAllahu Anho Azmain bhi dekh lo aur ALLAH ne taufeek di hai to in manhoos jamat k makar o fareb se tauba karlo.
Hadees 01:
Hazrat Abu Hurraira Radi Allaho Anho se rivayat hai k Rasool Allahﷺ ne Irshad Farmaya
"Mere Sahaba Ko Bura Mat Kaho, Merey Sahaba Ko Bura Mat Kaho (Do Martaba Farmaya) Qasam Hey Us Zaat Ki Jis Key Qabza-E-Qudarat Mey Meri Jaan Hai Agar Tum Mey Sey Koi Uhad Pahaad Ke Baraabar Bhi Sona Kharch Kar Dey To Phir Woh Un Ke Ser Bhar Ya Us Sey Aadhey Key Baraabar Bhi Nahin Pahunch Sakta.”
References :
(Sahi Muslim, Vol 04, Pg : 1343, Kitab No 44 – Fazail e Sahaba Radiallahu Anho Azmain, Baab No 54 Sahaba ko Bura Na kaho, Hadees : 3470)
(Sunan ibn Majah, Vol : 01, Pg : 57, Kitab No 01,Hadees : 161)
(Sunan Abu Dawood, Vol : 04, Pg : 215, Book No 42 Kitab Al Sunnah Rasool Allahﷺ, Hadees : 4658)
(Sunan Tirmizi, Vol : 05, Pg : 695, Book No 49 Kitab Manakib Ana Rasool Allahﷺ, Hadees : 3861)
ye hadees abu dawood aur tirmizi me Abu Saeed Khudri Radi Allahu Anho se marvi hai.
Hadees 02:
“Hazrat Abdullah Bin Mughaffal رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Sey Riwayat Hey Ke Huzoor Nabi-E-AkramﷺNey Farmaya :
˝Mere Sahaba Ridwanullahi Ta’ala Alaihim Aj’maeen Ke Baarey Mey Allah Ta’ala Sey Daro, Allah Sey Daro Aur Merey Baad Inhey Tanqeed Ka Nishaana Na Banaana, Kyun Ke Jis Ney In Se Muhabbat Ki Us Ne Meri Wazah Se Un Se Muhabbat Ki Aur Jis Ne Un Se Bughz Rakha Us Ne Mere Bughz Ki Wazah Se Un Se Bughz Rakha Aur Jis Ne Unhey Takleef Pahunchaayi Us Ney Mujhey Takleef Pahunchaayi Aur Jis Ney Mujhey Takleef Pahunchaayi Us Ney Allah Ta’ala Ko Takleef Pahunchaayi Aur Jis Ney Allah Ta’ala Ko Takleef Pahunchaayi Anqareeb Allah Ta’ala Usey Pakreyga.”
References :
(Sunan Tirmizi, Vol : 05, Pg : 696, Book No 49 Kitab Manakib Ana Rasool Allahﷺ, Hadees : 3862)
(Musnad E Ahmad Ibn Hambal, Vol:05,Pg :54&57,Hadees -20549,20578)
(Imam Bayhaqi Shoebul Imaan Vol : 02, Pg : 191, Hadees : 1511)
(Imam Daylami Al Musnad Ul Firdaus, Vol : 01, Pg : 146, Hadees : 525)
Imam Tirmizi ne is hadees ko Hasan likha hai.
Kya kisi sahaba par takfeer karna unhe Kaafir kehne se zyada bura amal hoga ?? Nauzubillah
Allah k Rasool ﷺ ne pehle hi bayan farma diya k kabhi Sahaba k baare me bura na kahna aur Fukaha ne to yaha tak likha hai k jo Shaykhen Ameerul Momineen Sayyidina Siddik E Akbar Aur Sayyidina Farooque E Aazam Radi Allaho Anho Azmain ki Khilafat ka munkir ho to wo kaafir hai aur jo sahaba pe tabbara kare laan taan kare wo kafir hai par Tareeq Jameel ne aur Rashid sahab ne to khuli chutti de di hai Ahle Tasheeh Shiao ko.
Phir kyu inki atankwadi tanzeem shio pe bomb blast karti hai ek taraf se bomb blast karke Khatmalo ko maarna dusri taraf ye fatwa aur takreer me bolna k Sahaba ko kaafir bolne se koi kaafir nahi hota ye do muuh waala chehra kyu ??
pata chala daal me kuch jarur kaala hai par haqikat to yehi hai k puri daal hi kaali hai inki.
YE INKA DOHRA CHEHRA HAI DEKH LO SUNNIO Aur Wo Devbandi bhi dekhe jinhone nahi dekha hai k kahin galat logo ki sohbaat me muhabbat me to nahi jaa rahe hai wo.
ALLAH SE DUA HAI HUM SABKO HUZOOR E AKRAM ﷺ SAHABA RIZWANULLAHIM AZMAIN K SADKE unki Muhabbat me zinda rakhe aur imaan k saath MAZHAB E HAQ AHLE SUNNAT WA JAMAAT ME Maut ata farmaye. Aamin YA RABBIL AALAMIN
Sahaba Ko Kafir Kahne Wala Kafir nahi Hoga ?
Rashid Ahmad Gangohi Sahaba Ko Kafir Kahne wala Kafir Nahi
Post Credit Shaikh Sher Ali Hanfi Keep Remembrance At Your Prayer
My brother, I m not a jamati, okay, nor I m supporting u or MTJ. Tell me what is the problem with you.Try to correct yourself first than criticise others.
ReplyDeleteIslam says spread peace and brotherhood and what are you doing my brother?You r always in Search that where we criticise our brothers and become famous in front of some people.Allah se dro
ReplyDeleteBeshak haq hai mashaallah subhanallah 😘 masla ke Ala Hazrat Zinda baad
ReplyDelete