Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Wednesday, 15 April 2026

,

 



Auliya ALLAH Aur Khauf E Ilahi

 

Maujooda Daur Ko Dekha Jaye To Har Jagah Ek Ajeeb Rawayya Dekhne Ko Milta Hai — Log Apne Peero Ki Karamaat Bayan Karne Me Mashghool Hain, Aur Mureedon Ko Is Tasalli Me Rakha Jata Hai Ke “Tum Fikr Na Karo, Peer Qabr Me Aa Kar Nijaat Dilayega.”


Beshak, Hum Karamaat Ke Munkir Nahi Hain. Lekin Jab Karamaat Ka Zikr Itna Badh Jaye Ke Insaan Ka Dil Khauf-E-Ilahi Se Khaali Ho Jaye, To Yeh Fikr Ka Maqam Hai.


In Sha ALLAH Hum Is Risale Me Chand Aisi Baatein Likhege Jissey Yeh Yaqeenan Sabit Hoga K Jo Asal Wali Ya Peer Wo Hai Jo Khud Bhi ALLAH Se Darte Hain Aur Dusron Ko Bhi Khauf-E-Ilahi Ki Talqeen Karte Hain.Khuaf E Ilahi Asal Kamyabi Hai.

 

Quran Me ALLAH Taala Farmata Hai

 

Ø  Surah Bayyinah Ayat 08

Tarjuma Kanzul Iman : Inka Sila Inke Rabb K Paas Basnay Kay Baagh  Hai Jinkay Niche Nehre Bahey Inmay Hamesha Hamesha Rahe, ALLAH Insay Raazi, Aur Wo Ussey Razi, Yeh Uskay Liye Hai Jo Apnay Rabb Se Daray.

 

Ø  Surah Fatir Ayat 28

Tarjuma Kanzul Iman : ALLAH Se Uske Bando Me Wahi Darte Hai Jo Ilm Wale Hai.

 

Ø  Surah Al Araf Ayat 154

Tarjuma Kanzul Iman: Aur Jab Musa Ka Gussa Thama, To Unhone Takhtiyan Utha Lein, Aur Unki Tehreer Mein Hidayat Aur Rehmat Hai Un Logon Ke Liye Jo Apne Rab Se Darte Hain.

 

Ø  Surah Zumar Ayat 23

Tarjuma Kanzul Iman: ALLAH Ne Utari Sab Se Achhi Kitab, Ke Awwal Se Aakhir Tak Ek Si Hai, Dohre Bayan Wali. Is Se Un Logon Ke Badan Par Rongte Khade Ho Jate Hain Jo Apne Rab Se Darte Hain, Phir Unki Khalain Aur Unke Dil Narm Padh Jate Hain ALLAH Ki Yaad Ki Taraf Ragbat Mein. Yeh ALLAH Ki Hidayat Hai, Jisay Chahe Is Se Raah Dikhaye, Aur Jise ALLAH Gumrah Kare Usay Koi Hidayat Dene Wala Nahi

Ø  

      Surah Mulk Ayat 12

Tarjuma Kanzul Iman: Beshak Jo Bay Dekhe Apne Rabb Se Darte Hai, Unkay Liye Bakshish Aur Bada Sawab Hai

 

Ø  Surah Naziya't Ayat 40 - 41

Tarjuma Kanzul Iman: Aur Wo Jo Apne Rabb K Huzur Khade Hone Se Dara Aur Nafs Ko Khwaish Se Roka, Toh Beshak Jannat Hi Thikana Hai

 

Ø  Surah Hajj Ayat 35

Tarjuma Kanzul Iman: Kay Jab ALLAH Ka Zikr Hota Hai Inkay Dil Darne Lagte Hai.

 

Ø  Surah Qaf Ayat 33-34

Tarjuma Kanzul Iman: Jo Rehman Se Bay Dekhe Darta Hai Aur Ruju Karta Hua Dil Laya ,Unsay Farmaya Jayega Jannat Me Jao Salamati Kay Saath, Yeh Hameshgi Ka Din Hai.

 

Ø  Surah Rahman Ayat 46

Tarjuma Kanzul Iman: Aur Jo Apne Rabb Kay Huzur Khade Hone Say Daray, Uskay Liye 2 Jannatein Hai

 

Ø  Surah Al Imran Ayat 175

Tarjuma Kanzul Iman: “Woh To Shaitan Hi Hai Jo Apne Doston Se Darata Hai, To Tum Unse Na Daro Aur Mujh Se Daro Agar Tum Iman Rakhte Ho



Hadees:


Hadees 01:

“Hazrat Anas RadiyALLAHu Ta’ala Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram Ne Farmaya :

(Roz-E-Qayamat Ke Din) ALLAH Azza Wa Jalla Farmayega :

Dozakh Me Se Aise Shakhs Ko Nikaal Do Jis Ne Aik Din Bhi Mujhe Yaad Kiya Ya Mere Khouf Se Kabhi Bhi Mujh Se Dara.”

Imam Tirmidhi As-Sunan,Jild 04 Safa 712, Hadees-2594,

Imam Hakim Al-Mustadrak, Jild 01 Safa 141, Hadees-234,

Is Per Hukm Hai Kay Yeh Hadees Sahih Hai.

Jild 05 Safa 244, Hadees-8084,

Ibn Abi Asim Kitab-Us-Sunnah, Jild 02 Safa 400, Hadees-833,

Imam Bayhaqi Kitab-Ul-I’tiqad, Jild 01 Safa 201

 

Hadees 02

Hazrat Abdullah Bin Abbas RadiyALLAHu Ta’ala Anhuma Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabi-E-Akram Ko Farmate Huwe Suna :

Do² Aankhon Ko (Dozakh Ki) Aag Nahin Chhuyegi :

(Aik) Woh Aankh Jo ALLAH Ta’ala Ke Khouf Se Royi Aur (Dusari) Woh Aankh Jis Ne ALLAH Ta’ala Kee Raah Me Pahra De Kar Raat Guzaari.”

Imam Tirmidhi As-Sunan, Jild  04 Safa 92, Hadees-1639,

Imam Hakim An Abi Hurairah RadiyALLAHu Ta’ala Anhu Fi Al-Mustadrak, Jild 02 Safa 92, Hadees-243

Qada’i Musnad-Ush-Shihab, Jild 01 Safa 212, Hadees-321,

Tayalisi Al-Musnad, Jild 01 Safa 321, Hadees-2443,

Abd Bin Humayd Al-Musnad, Jild 01 Safa 422, Hadees-1447,

Bayhaqi Shuab-Ul-Iman, Jild 04 Safa 16, Hadees-4235,

Daylami Musnad-Ul-Firdaws, Jild 03 Safa 48, Hadees-4125,

Mundhiri At-Targhib Wat-Tarhib, Jild 02 Safa 158, Hadees-1918,


Hadees 03

Hazrat Anas RadiyALLAHu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram Ne Farmaya :

Jis Ne ALLAH Ta’ala Ko Yaad Kiya Aur Us Ke Khouf Se Us Kee Aankhe Is Qadar Ashkbaar Huwi Ki Zameen Tak Us Ke Aansoo Pahunch Gaye To ALLAH Ta’ala Use Qayamat Ke Din Azaab Nahin Dega.”

 

Imam Hakim Al-Mustadrak, Jild 04 Safa 289, Hadees-7668,

Imam Tabarani Al-Mu’jam-Ul-Awsat, Jild 02 Safa 178, Hadees-1641, 6170,

Imam Mundhiri At-Targhib Wat-Tarhib, Jild 04 Safa 113, Hadees-5023,

 

Hadees 04

Hazrat Abu Umama Radialla Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram Ne Farmaya :

ALLAH Ta’ala Ko Do² Qatron Aur Do² Nishaanon Se Zyaada Koi Cheez Pasand Nahin :

ALLAH Ta’ala Ke Khouf Se (Bahne Waale) Aansuon Ka Qatra Aur ALLAH Ta’ala Kee Raah Me Bahne Waala Khoon Ka Qatra.

Rahe Do Nishaan To Aik (Hai) ALLAH Ta’ala Kee Raah (Me Chalne) Ka Nishaan Aur (Dusara Hai) ALLAH Ta’ala Ke Fara’iz Me (Padh Jaane Waale) Kisi Farize (Kee Adaaygi) Ka Nishaan.”

 

Imam Tirmidhi As-Sunan, Jild 04 Safa 190, Hadees-1669,

Imam Tabarani Al-Mu’jam-Ul-Kabir Jild 08 Safa 235, Hadees-7918,

Imam Mundhiri At-Targhib Wat-Tarhib, Jild 02 Safa 192, Hadees-2067,

Imam Ibn Abi Asim Kitab-Ul-Jihad, Jild 01 Safa 323, Hadees-108

 

Hadees 05

Hazrat Abu Hurairat Radialla Ta’ala Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram Ne Farmaya :

ALLAH Ta’ala Ne Farmaya : Mujhe Apni Ijzat Kee Qasam ! Mein Apne Bande Par Do² Khouf Aur Do² Aman Ikat’the Nahin Karunga, Agar Woh Mujh Se Duniya Me Khouf Rakhega To Mein Use Qayamat Ke Roz Aman Me Rakhunga Aur Agar Woh Mujh Se Duniya Me Bekhouf Raha To Mein Usey Qayamat Ke Roz Khouf Me Mubtila Karunga.”

 

Imam Ibn Hibban As-Sahih, Jild 02 Safa 406, Hadees-640,

Imam Bayhaqi Shuab-Ul-Iman, Jild 01 Safa 482, Hadees-777,

Imam Ibn Mubarak Kitab-Uz-Zuhad, Jild 01 Safa 50, Hadees-157,

Imam Mundhiri At-Targhib Wat-Tarhib, Jild 04 Safa 131, Hadees-5110,

Imam Haythami Mawarid-Uz-Zaman, Jild 01 Safa 617, Hadees-2494, &

Majma’-Uz-Zawa’id, Jild 10 Safa 308,

 

 

Hadees 06

Hazrat Abu Hurairah Radialla Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram Ne Farmaya :

Aik Aadami Apne Upar Zulm Wa Ziyadati Karta Raha ( Ya’ni Bahut Zyaada Gunaahon Me Malawwis Raha), Jab Us Kee Mout Ka Waqt Aaya To Us Ne Apne Beton Se Kaha :

Jab Mein Faut Ho Jaaun To Mujhe Achchhi Tarah Jala Dena, Phir (Mere Jale Huwe Jism Ko) Pees Dena, Phir Meri Raakh Hawa Me Uda Dena, ALLAH Kee Qasam !

Agar Mere Rab Ne Mujhe Pakad Liya To Woh Aisa Azaab Dega Ki Us Jaisa Azaab Kabhi Kisi Ko Na Diya Hoga, Jab Woh Faut Ho Gaya To Us Ke Saath Usi Tarah Kiya Gaya.

ALLAH Ta’ala Ne Zameen Ko Hukm Diya :

Apne Andar Maujud Us Ke (Bikhre Huwe Zarraat) Jama’ Kar De, Zameen Ne Zarrat Jama’ Kar Diye To Woh (Poore Jism Ke Saath ALLAH Ta’ala Ke Saamne) Khada Ho Gaya. ALLAH Ta’ala Ne Farmaya :

Tumhein Is Kaarwaa’i Par Kis Chiz Ne Aamaada Kiya Tha ?

Us Ne Kaha : Aye Mere Rab ! Teri Khashiyyat Ne, Ya Arz Kiya : Aye Rab ! Tere Khauf Ne.

To ALLAH Ta’ala Ne Use Bakhs Diya.”

 

Imam Bukhari As-Sahih, Jild 03 Safa 1283, Hadees-3294, &

Jild 06 Safa 2725, Hadees-7067, & Jild 03 Safa 1273, Hadees-3266,

Imam Muslim As-Sahih, Jild 04 Safa 310, Hadees-2756,

Imam Nasa’i As-Sunan, Jild 04 Safa 112, Hadees-2079, 2080, &

As-Sunan-Ul-Kubra, Jild 01 Safa 666, Hadees-2206,

Imam Ibn Majah As-Sunan, Jild 02 Safa 1421, Hadees-4255,

Imam Malik Al-Muwatta’, Jild 01 Safa 240, Hadees-570,

Imam Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, Jild 02 Safa 269, Hadees-7635,

Imam Tabarani Musnad-Ush-Shamiyyin, Jild 01 Safa 89, Hadees-128,

Ibn Mubarak Az-Zuhad, Jild 01 Safa 372, Hadees-1056,

Ibn Rashid Al-Jami’, Jild 11 Safa 283,

Imam Mundhiri At-Targhib Wat-Tarhib, Jild 04 Safa 130, Hadees-5105, 5107

 

Hadees 07

Hazrat Anas Radialla Ta’ala Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram Ne Farmaya :

ALLAH Azza Wa Jalla Farmayega :

Dozakh Me Se Aise Shakhs Ko Nikaal Do Jis Ne Aik Din Bhi Mujhe Yaad Kiya Ya Kabhi Kisi Muqaam Par Mujh Se Dara.”

Imam Tirmidhi As-Sunan, Jild 04 Safa 712, Hadees-2594,

Imam Hakim Al-Mustadrak, Jild 01 Safa 141, Hadees-234,

Imam Ibn Abi Asim Kitab-Us-Sunnah, Jild 02 Safa 400, Hadees-833,

Imam Bayhaqi Al-I’tiqad, Jild 01 Safa 201.

 

Yeh Tamam Ayatein Aur Ahadees-E-Mubarak Is Baat Ko Roshan Taur Par Bayan Karti Hain Ke Asal Kamyabi Khauf-E-Ilahi Me Hi Hai. Peer Ka Farz Hai Ke Woh Apne Mureed Ko Khauf-E-Ilahi Ki Taraf Rehnumai Kare, Aur Mureed Ki Zimmedari Hai Ke Woh Apne Peer Ki Batayi Hui Seedhi Raah Par Chale.


Lekin Afsos Ke Maujooda Daur Me Tasawwur Bilkul Badal Chuka Hai. Aaj Ka Mureed Aksar Yeh Sochta Hai Ke Chahe Woh Gunahgar Hi Kyu Na Ho, Uska Peer Usey Bacha Lega. Agar Is Soch Ko Aage Badhaya Jaye To Har Shakhs Apne Se Upar Wale Par Bharosa Karta Nazar Aata Hai — Aur Yeh Silsila Yunhi Chalta Hua Sahaba-E-Kiram Aur Phir Nabi Kareem Tak Pahunch Jata Hai.


Ab Agar Yeh Baat Haq Hoti, To Kya Nabi Kareem Apne Sahaba Se Yeh Na Farmate Ke “Tum Kuch Na Karo, Main Tumhe Bacha Lunga”? Lekin Haqeeqat Is Ke Bilkul Bar’aks Hai. Nabi Kareem Ne Sahaba-E-Kiram Ko Khauf-E-Ilahi Sikhaya, Sahaba Ne Tabai Ko, Aur Tabai Ne Tabe Tabai Ko — Yahi Asal Silsila Tha. Magar Waqt Ke Saath Yeh Silsila Badal Kar Khauf-E-Ilahi Se Hat Kar Sirf Karamaat Ke Zikr Tak Mehdood Ho Gaya, Jisse Log Be-Fikr Ho Gaye Aur Apni Nijaat Ko Yaqini Samajhne Lage.


Yeh Bhi Samajhna Zaruri Hai Ke Peer Hona Koi Aasaan Zimmedari Nahi. Peer Par Yeh Farz Aaid Hota Hai Ke Woh Apne Mureed Ki Sahih Islah Kare Aur Usey Khauf-E-Ilahi Se Aagah Rakhe. Agar Mureed Gumrahi Me Hai Aur Peer Sirf Karamaat Suna Kar Usey Tasalli Deta Rahe, To Aisi Surat Me Pakad Ka Imkaan Dono Par Ho Sakta Hai — Khas Taur Par Jab Peer Khud Kamil Na Ho Aur Awam Ko Ghalat Itminaan Me Mubtala Kar Raha Ho.


Aakhir Me Phir Wazeh Kar Dena Zaruri Hai Ke Hum Karamaat Ke Munkir Nahi Hain, Lekin Jab Karamaat Ka Zikr Insaan Ko Khauf-E-Ilahi Se Door Kar De, To Is Par Zarur Aitraaz Hai.

 

Buzurgo Ka Tareeqa

Ø  

     Hazrat Abu Bakr Siddique Ka Qaul Hai K Jo Shaks Ro Sakay Toh Usey Chahiye K Wo Roye Aur Jo Aisa Na Kar Sake Toh Usey Chahiye Wo Kam Az Kam Ronay Wali Soorat Hi Bana Lay

Imam Al-Ghazali Fi Ihya Uloom Al-Din, Jild 4 Safa163

 

Ø  Riwayat Hai Kay Hazrat Abu Bakr Siddique Nay Ek Parinde Se Kaha "Aye Parinde Kash Me Tujh Jaisa Hota Aur Insan Paida Na Kiya Gaya Hota

Al-Marji‘ Nafsahu, Jild 4 Safa 183

 

Ø  Hazrat Umar Bin Khattab Kisi Ayat Ki Tilawat Farmate Toh Aap Ka Dum Ghutne Lagta , Chunanche Kai Kai Din Aap Ghar May Padhe Rehte . Log Apko Mariz Guman Karte , Apki Iyadat Ki Jaati.

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Zuhd, 176

 

Ø  Hazrat Jafar Bin Zaid Badi Bayan Karte Hain Ek Tareek Raat Mein Hazrat Umar Radialla Taala Anhu Shehar Madina Mein (Gasht Ke Liye) Nikle To Musalmano Mein Se Ek Shakhs Ke Ghar Ke Paas Se Guzre. Aap Ne Use Namaz Ke Dauran Halat-E-Qiyam Mein Paya To Us Ki Qiraat Sunne Ke Liye Thehar Gaye. Woh Surah Tuur Tilawat Kar Raha Tha. Jab Woh Is Ayat Par Pahuncha: "Inna ‘Adhaba Rabbika La Waaqi’" (Beshak Aap Ke Rab Ka Azaab Zaroor Waaqi Hokar Rahega), To Hazrat Umar Radialla Taala Anhu Ne Farmaya: "Rab Ki Qasam! (Azaab Ka Waaqi Hona) Haq Hai." Aap Ne Darwazon Se Aage Badh Kar Ek Deewar Ke Saath Tek Laga Kar Kuch Der Waqf Kiya, Phir Apne Ghar Wapas Aaye Aur Chand Din Bimar Rahe. Log Aap Radialla Taala Anhu Ki Iyadat Ko Aate The, Lekin Kisi Ko Maloom Na Tha Ke Aap Ko Kya Marz Laahiq Hai.

 

Ibn Qudamah Fi Al-Riqqah Wal-Buka, 92–93, Hadees 80; Wal-Ghazali Fi Ihya Uloom Al-Din, Jild 4 Safa 184.

 

Ø  Hazrat Abdullah Bin Isa Bayan Karte Hai Kay Hazrat Umar Kay Chehre Per Kasrat E Girya Wa Baka (Yaani Ansu Girne Kay ) Ki Wajah Say 2 Siyah Lakeerein Padhgai Thi.

Imam Ahmed Bin Hanbal , Fazail As Sahaba , Jild 1 Safa 253 , Hadees 318

Imam Bayhaqi , Shueb Ul Imaan , Jild 1 Safa 493, Hadees 806


Gaur O Fikr Karne Ki Baat Hai Ke Hazrat Abu Bakr Siddique Aur Hazrat Umar Farooq Ka Martaba Aalam-E-Islam Mein Kitna Buland Hai. Ambiya Ke Baad Bila Shuba Sab Se Afzal Bashar Hain—Pehle Hazrat Abu Bakr Siddique Aur Phir Hazrat Umar Farooq Radialla Taala Anhum Ajmaeen.


Yeh Woh Muqaddas Hastiyan Hain Jo Ashra Mubashara Mein Shamil Hain—Jinhein Duniya Hi Mein Jannat Ki Basharat Ata Ho Chuki Thi. Lekin Is Ke Bawajood, Unka Haal Yeh Tha Ke Khauf-E-Ilahi Se Laraz Jaate, Rota Rehte, Aur Itna Rote Ke Kabhi Kabhi Bemaar Ho Jaate.


Zara Sochiye… Jab Itni Buland Martaba Aur Yaqeen-E-Jannat Rakhne Wali Hastiyan Bhi ALLAH Ke Khauf Se Kanp Uthi, To Phir Aaj Hum Kis Bunyaad Par Itminaan Mein Hain?


Aaj Kuch Peer Wa Alim Jo Stages Per Karamatein Bayan Karte Hai Wo Apni Zaat Ki Koi Guarantee Diye Baghair, Dusron Ko Jannat Ki Guarantee Dete Phirte Hain. Kuch “Peer” Apne Kam-Ilm Mureedon Ko Tasalli Dete Hain Ke Qabr Mein Peer Bachane Aa Jayenge, Ya Aakhirat Mein Tumhe Koi Saza Nahi Hogi.


Kya Yeh Baat Qur’an O Sunnat Ke Mizaj Se Mail Khati Hai?


Hosh Mein Aaiye…
Apne Aamaal Ko Barbaad Mat Kijiye.
Apne Dil Mein Khauf-E-Ilahi Paida Kijiye—Kyunki Najat Ka Asal Zariya Sirf ALLAH Ki Rehmat Aur Apne Aamaal Hain, Na Ke Kisi Shakhs Ki Be-Bunyad Guarantee.

 

Ø  Hazrat Ubee Bin Ka'ab Nay Farmaya , Tum Per Shariat Aur Sunnat Lazim Hai , Is Duniya May Jo Bhi Shaks Shariat Aur Sunnat Per Rehte Hue ALLAH Taala Ko Yaad Karay Aur ALLAH Taala Kay Khauf Say Uski Aankhon Say Aansu Jari Hojaye Toh ALLAH Taala Usey Azaab Nahi Dega.

Imam Abi Shayba , Musannaf, Jild 7 Safa 223, 35526

 

Ø  Hazrat Abdullah Bin Umar Farmate Hai ALLAH Kay Khauf Say Meri Ankhon Say Aansu Ka Ek Katra Girna Mere Nazdeek Hazar Dinar Sadka Karne Say Zyada Pasandida Hai.

 

Toh Is Se Yeh Baat Wazeh Ho Jati Hai Ke Aaj Ke Daur Me Aksar Mureedon Ko Is Tarah Ki Soch Me Uljha Diya Gaya Hai Ke Woh Apne Aamaal Ki Fikr Chhod Kar Sirf Peer Ki Karamaat Par Bharosa Karne Lagte Hain — Goya Jo Chahe Karte Raho, Nijaat To Ho Hi Jayegi.


Haalanke Qur’an O Hadees Aur Asal Auliya ALLAH Ke Tareeqe Se Bilkul Mukhtalif Paighaam Milta Hai. Woh Humein Yeh Sikhate Hain Ke Nijaat Ka Raasta Khauf-E-Ilahi, Ita’at Aur Apni Islaah Me Hai, Na Ke Be-Fikri Aur Ghalat Umeedon Me.


Is Liye Zarurat Is Baat Ki Hai Ke Hum Karamaat Ke Zikr Me Ghul Mil Kar Asal Maqsad Na Bhool Jayein, Balki Khauf-E-Ilahi Ko Apni Zindagi Ka Markaz Banayein Aur Apni Akhirat Ki Taiyari Me Lag Jayein.

 

Dua

ALLAH Ta’ala Humein:

  • Khauf-E-Ilahi Ata Farmaye
  • Apni Yaad Me Rone Wali Aankhein Ata Farmaye
  • Aur Humein Apne Nek Bandon Me Shamil Farmaye

Aameen Sum Aameen

-Faqeer Shaikh Mohammad Imran Fazle Rehmani.


Saturday, 22 March 2025

,

 




Peer Mureed aur Bait

Sawal : Bayt lena aur Bayt karna kaisa ? Nayz peeri mureedi ki sharai hesiyat kya hai ? 

Jawab : Bayt ka lugvi mana beek jana hai aur istelah sharai wa tasawwuf mein iski mutadid surtein hai jinn mein ek yeh hai kay kisi peer e Kamil kay haatho mein haath dekar guzishta gunaho say tauba karne , ainda gunaho say bachte hue nek amal ka iradah karne aur usey ALLAH kareem ki marifat ka zariya banane ka naam Bayt hai . 


Yeh sunnat hai , aaj kal kay urfey aam mein isey 'peeri mureedi" kaha jata hai, 


Bayt ka saboot Quran e kareem mein maujud hai

Parah 15 Surah Bani Israel ki ayat 71 mein hai ,Tarjuma Kanzul iman : jis din hum har jamat ko uske imam kay saath bulayege.


Is ayat mubaraka kay tahet mashur mufassir hakim ul ummat mufti ahmed yaar khan rehmatullahi alayh farmate hai "issey malum hua kay duniya mein kisi saleh yani nek ko apna imam bana lena chahiye,shariat me taqleed kare aur tareeqat me Bayt kare taakey hashr accho kay saath ho. Agar nek imam na hoga toh uska imam shaytan hoga, is ayat me taqleed, Bayt aur mureedi sabka saboot hai, : Noor ul irfan 


Ala hazrat imam ahmed raza khan rehmatullahi alayh farmate hai "Bayt beshak sunnat e mehbubiya hai, imam ajal Shaikh ash shuyook shihab ul haq wa Deen umar rehmatullahi alayh kay awraf shareef say shah wali Ullah dehlvi ki "Qawlu Jameel" tak uski tasreeh aur aimma wa akabir ka isper amal hai aur rabb e kareem farmata hai , Tarjuma Kanzul iman : wo jo tumhari Bayt karte hai wo toh ALLAH hi say Bayt karte hai, inke haatho per ALLAH ka haath hai"Surah Fath ayat 10


Aur farmata hai ,Tarjuma Kanzul iman : beshak ALLAH razi hua iman walo say jab wo paid (tree) kay niche tumhari Bayt karte thay. Surah Fath Ayat 18.


Aur Bayt ko khaas jihad samajhna Sahih Nahi ya kam aqli hai


ALLAH taala farmata hai : Tarjuma Kanzul iman: "aye nabi jab tumhare huzur musalman aurtein hazir ho usper bayt karne ko kay ALLAH ka shareek kuch na tehrayegi aur na chori karegi aur na badkari aur na apni aulad ko qatal karegi aur na wo bohtan layegi jisey apne haatho aur pao kay darmiyan yaani mawze wiladat mein uthaye aur kisi nek baat mein tumhari na farmani na karegi toh inse bayt lo aur ALLAH say inki magfirat chaho beshak ALLAH bakashne wala maherban hai.


Sawal : kya Hadees e Mubaraka mein bhi bayt ka zikr aya hai ?

Jawab : g haa , ahadees e mubaraka mein b bayt ka zikr aya hai aur yeh bayt mukhtalif chizo maslan kabhi taqwa wa itaat per kabhi logo ki khair khwai aur kabhi gair ma'asiyat (yani gunah kay alawa) wale kamo mein ameer ki itaat wagaira per hua karti thi.iske alawa digar kamo per bhi sahaba e ikram radialla taala anhum ajmaeen ka huzur sayyed e alam sal lal laho alay hi wasallam say bayt hona sabit hai chunanche hazrat sayedna ubadah bin samit radialla taala anhu farmate hai "humne rasul ALLAH sal lal laho alay hi wasallam say mushkil aur asani mein ,khushi aur na khushi mein khud per tarjih diye jane ki surat mein ,sunne aur itaat karne per bayt ki aur is per bayt ki kay hum kisi say iske iqtedar kay khilaf jung nahi karege aur hum jaha bhi ho haq kay siwa kuch nahi kahege aur ALLAH kareema kay baare mein malamat karne wale ki malamat say nahi darege. Sahih muslim Hadees 4771.


Hazrat sayyedna ubada radialla taala anhu bayan karte hai hum rasul ALLAH sal lal laho alay hi wasallam kay saath ek majlis mein they,aap sal lal laho alay hi wasallam nay farmaya tum log mujhsay is per bayt karo kay tum ALLAH kay saath kisi ko shareek nahi karoge aur zeena nahi karoge aur chori nahi karoge aur jis shakhs ko ALLAH paak nay qatal karna haram kardiya hai usey be gunah qatal nahi karoge, tum mein say jis shaks nay is ahad ko pura kiya uska ajar ALLAH kareem per hai aur jisne in muharramaat mein say kisi ka irtekab kiya aur usko saza di gai wo uska ka kaffara hai aur jisne usmein say kisi haram ko kiya aur ALLAH kareem nay uska pardah rakha toh uska muamla ALLAH kay supurd hai agar wo chahe toh usey muaf karde aur agar chahe toh usey azab de : Sahih Muslim Hadees 4461


Imam Fakhruddin Raazi Tafseer e Kabeer mein naqal farmate hai jab Makkah mukarrama "zaadahaa ALLAHU shareefanwwa ta'azeeman mein laylatul uqba ko 70 sahaba e ikram radialla taala anhum ajmaeen nay rasul ALLAH sal lal laho alay hi wasallam say bayt ki toh hazrat e sayyedna Abdullah bin rawaha radialla taala anhu nay arz ki "ya rasul ALLAH sal lal laho alay hi wasallam aap apnay rabb e kareem kay liye aur apni zaat kay liye jo shart chahe manwa le, rasul ALLAH sal lal laho alay hi wasallam nay farmaya tere rabb e kareem kay liye yeh shart hai kay tum uski ibadat karo aur uske saath kisi ko shareek na tehrao aur mere liye yeh shart hai kay tum apni jaano aur maalo ko jin chizo say baaz rakhte ho unko mujhse bhi baaz rakhna (yaani jis Tarah apne jaan aur malo ki hifazat karte ho usi Tarah meri hifazat karna) toh sahaba e ikram nay arz ki ya rasul ALLAH sal lal laho alay hi wasallam jab hum aisa karlege toh kya seela milega ? toh rasul ALLAH sal lal laho alay hi wasallam nay farmaya "Jannat" Sahaba e ikram radialla taala anhum ajmaeen nay arz ki "yeh toh nafamand bayt hai , hum is bayt ko na todege aur na he todne ka mutalba karege , is maukay per yeh ayat e kareema nazil hui , ALLAH taala Irshad fermata hai Surah Tawba Ayat 111 Tarjuma Kanzul Iman : "Beshak ALLAH nay Muslamano say inkay maal aur jaan khareed liye hai badlay per kay inke liye Jannat hai.


Sawal : Mureed Hone ka Asal maqsad?

Jawab : Mureed hone ka Asal maqsad yeh kay insaan mursheed e Kamil ki rehnumai aur batini tawajjo ki barkat say sidhey raste per chal kar apni zindagi shariat wa sunnat kay mutabik guzar sakey aur agar raah e batini wa marifat per chalna ho toh phir bayt hona zaroori hai kyukay rasta inteha he mushkil aur barik hai jisey bagair kisi rehbar kay taye karna apne aap ko halakat per pesh karna hai lihaza is rastey ko kamyabi wa kamrani kay saath taye karne kay liye insan ko mursheed e Kamil ki zaroorat hoti hai, Hujjat ul Islam Hazrat Sayedna Imam Mohammad Ghazali rehmatullahi alayh ihya ul uloom mein farmate hai  "mureed ko kisi mursheed wa ustaz ki hajat hoti hai jo uske sidhey rastey ki taraf rehnumai kare kyukay Deen ka rasta inteha he barik hai jabke inke muqable mein Shaytani rastey ba kasrat aur numaya hai toh jiska koi mursheed na ho jo uski tarbiyat kare toh yaqeenan shaytan usey apne rastey ki taraf le jata hai, jo pur khatar wadiyo mein bagair kisi ki rehnumai kay chalta hai wo khud ko halakat per pesh karta hai jaise khud ba khud ugne wala paudha jaldi he sookh jata hai aur agar wo lambe arsey tak baki bhi rahe toh uske pattey nikal ayege lekin wo phaldar nahi hoga , mureed per zaroori hai kay wo mursheed ka daman is tarah thaam lay jis tarah andha nahr kay kinare apni jaan nahr paar karane kay hawale kardeta hai aur uski itteba mein kisi qism ki mukhalifat nahi karta aur naahi usey chorta hai.


Sawal : Bayt honay say kya kya fawaid aur barkat hasil hoti hai ?

Jawab : kisi peer e kamil kay haath per haath dekar bayt honay say peer e kamil say nisbat hasil hoti hai jiski badaulat batin ki islah kay saath saath nekiyo say mohabbat aur gunaho say nafrat ka jazba bedaar hota hai, peer e kamil ki sohbat aur uske fawaid bayan karte hue hazrat sayyedna faqih abdul wahid bin ashir rehmatullah alayh farmate hai : Arif kamil ki sohbat ikhtiyar karo, wo tumhe halakat kay raste say bachayega, uska dekhna tumhe ALLAH paak ki yaad dilayega aur wo bade nafees tareekay say nafs ka muhasba karate hue aur "khatraat Qalb" (yani dil mein paida honay wale shaytani waswees)say mehfooz farmate hue tumhe ALLAH paak say mila dega,uski sohbat kay sabab tumhare faraiz wa nawafil mehfooz hojayege, "Tasfeeya Qalb" (yaani Dil ki safai) kay saath "Zikr e Kaseer" ki daulat mayassar ayegi aur ALLAH paak say mutalika saaray umoor may tumhari madad farmayega (Adaab e Murshid e Kamil Safa 82)


Ala Hazrat Imam Ahmed raza khan rehmatullah alayh ki bargah me sawal hua kay "Mureed hona Wajib hai Ya Sunnat?" Mureed Q hua karte hai? Mursheed ki Q zaroorat hai? aur iske kya kya fawaid hasil hote hai?

Toh aap rehmatullah alayh farmate hai Mureed hona Sunnat hai aur issey fayde huzur Sayyedi Alam Sal lal laho alayhi wasallam say ittesaal e musalsal "rasta unka jinn per tune ehsan kiya" may uski taraf hidayat hai, yaha tak farmaya gaya, jiska koi peer nahi uska peer shaytan hai


Sehat e aqeedat kay saath silsilo kay akabirin wa baaniyan apnay mureedin wa mutalqeen say kisi bhi waqt gafil nahi rehteaur mushkil kaam per unki madad farmate hai chunanche hazrat sayyedna abdul wahab Sha'arani rehmatullah alayh farmate hai beshak sab auliya wa ullema e rabbaneen apne pairo kaaro aur mureedo ki shafa'at karte hai, jan inke mureed ki ruh nikalti hai, jab munkar nakeer ussey qabr may sawal karte hai, jab hashr may uska naama e amal khulta hai, jab ussey hisab liya jata hai, jab uske aamal tolay jaate hai aur jab wo pull seeraat per chalta hai toh in tamam marahil mein wo uski nigehbani karta hai aur kisi bhi jagah ussey gafil nahi hota. (Meezan ul Kubra Jild 1 Safa 65)


Sawal : Mursheed e kamil kay jis haath per bayt karna durust ho , uski kya sharait hai ?

Jawab : Mursheed e kamil kay jis haath per bayt karna durust ho , uski sharait bayan karte hue ala hazrat imam ahmed raza khan rehmatullah alayh farmate hai "bayt lene aur musnad Irshad per baithne kay liye char(4) shartein zaroori hai.

1) yeh kay Sunni Sahih ul Aqeeda ho isliye kay badmazhab dozakh kay kutte hai aur badtareen makhlooq, jaisa kay hadees mein aya hai.

2) Zaruri Ilm hona, isliye kay bay ilm khuda ko pehchan nahi sakta

3) yeh kay kabira gunaho say parhez karna, isliye kay fasiq ki tauheen wajib hai aur Mursheed Wajib ut Taazeem hai, dono chizein kaise ikhatta hogi.

4) Ijazat Sahih muttasil ho jaisa kay usper Ahle batin ka ijma ho


jis shaks mein in sharait mein say koi sharait na ho toh usko peer nahi pakadna chahiye : Fatawa Razwiya Jild 21 Safa 491-492


Hazrat Allama Mohammad Amjadi azmi rehmatullah alayh farmate hai : Jab mureed hona ho toh acchi tarah tafteesh karlein awrna agar badmazhab hua toh iman say bhi haath dho baithege : Bahar e Shariat Jild 1 Safa 277


Sawal : 1 peer kay mureed hote hue kisi dusre peer say bhi mureed hosakte hai ya nahi ? kisi dusre peer sahab say talib hona kaisa ?

Jawab : 1 peer kay mureed hote hue dusre peer se mureed nahi hosakte chunanche sayyedna ali bin wafa rehmatullah alayh farmate hai "jis tarah jahan kay 2 mabood nahi, 1 shaks kay 2 dil nahi, aurat kay ba ek waqt 2 shohar nahi isi tarah mureed kay 2 peer nahi " ala mananul kubra baab us Saman  Safa 346.


al batta dusre ja'ame shariat peer say bayt e barkat karte hue talib hone may harj nahi hai.

isi tarah kay ek sawal kay jawab mein ala hazrat farmate hai "jo shaks kisi shaikh ja'ame shariat kay haath per bayt hochuka ho toh dusre kay haath per bayt na chahe, akabir e tareeqat farmate hai "jo mureed 2 peero kay darmiyan mushtarik howo kamyab nahi hota, khususan jabkay usset matlab ka husool bhi ho chuka ho.Hadees may irshad hua jisey ALLAH kay paas kisi shay mein rizq de wo usko lazim pakde : Shueb ul Iman jild 2 Hadees 1241.

Dusre ja'ame shariat say talib faiz mein harj nahi agarche wo kisi silsila sareeh ka ho magar apni iradat e shaikh e awwal he say rakhe aur ussey jo faiz hasil ho usey bhi apne shaikh he ka faiz jaane : Fatawa Razwiya Jild 26 Safa 579


Gulam Mazhar Fazle Rehmani madda zilla hu aali wa noorani ka yaani mein Imran Fazle Rehmani yeh Aqeeda rakhta hai kay jab Peer e Kamil ko humne apne aapko bech diya phir kisi say talib hona gawara nahi agarche jayaz bhi ho tab bhi gawara nahi.


ALLAH paak hume apne Mursheed ka wafadar banaye aur inhe raazi rakhne ki taufeeq ata farmaye.


Sawal : Faiz kise kehte hai? Peer o Mursheed say Faiz hasil karne ka tareeqa kya hai ?

Jawab : Faiz ki tareef karte hue ala hazrat rehmatullahi alayh farmate hai "Faiz barkaat aur nooraniyat ka dusre per ilqa farmana hai.Fatawa razwiya jild 26 safa 564


Faiz hasil karne ka tareeqa yeh hai kay mureed apne peer say Kamil Mohabbat kare, uske ehkam baja laye aur har wo jayaz kaam kare jissey wo khush aur razi ho, uski Kamil taazeem wa tawqeer kare, aur apne aqwal wa af'aal wa harkaat wa saknaat mein uski hidayat kay mutabik (jo shariat kay khilaf na ho) paband raha taakey ussey fuyuz wa barkaat hasil karne mein kamyabi hosake.


Peer o Mursheed say Faiz hasil karne kay liye zaroori hai kay mureed hamesha apne aapko kamalat say khali samjhe agarche kitna he ilm wa fazal wala q na ho kay kuch hone ki samajh insan ko kahi ka nahi rehne deti chunanche shaikh saadi rehmatullahi alayh kay farman ka khulasa hai "bhar lene wale ko chahiye kay jab kisi chiz ko hasil karne ka irada kare toh agarche kamalat say bhara hua ho magar kamalat ko darwaze per he chorde (yaani ajizi ikhtiyar kare) aur yeh khayal kare kay mein kuch janta he nahi, khali hokar ayega toh kuch payega aur jo apne aapko bhara hua samjhega toh yaad rahe kay bhare bartan mein koi aur chiz dali nahi jaa sakti (Bostan Sadi Safa 140)


ALLAH taala hume apne Peer o Mursheed ki sacchi Mohabbat ata farmaye aur unke fuyuz wa barkaat say malamal farmaye 

Aameen sum aameen

-Imran Fazle Rehmani.

Tuesday, 28 January 2025

,


Aitraz 2:
Imam Bukhari Alaihrehma Ne Muawiya Radiallahu Anhu Ki Fazilat Ka Koi Baab Nahi Bandha Hai Bas Zikr E Muawiya Ka Baab Kayam kiya hai lihaja Imam Bukhari Alaihrehma bhi fazilat ke kayal na they warna baab zikr ke jagah fazail manakib ka rakhte ? 
Al Jawab:
i) Imam Bukhari Rahmatullah Alaih ko Bunyad banake ye aitraz siwaye bugz jahalat ke kuch bhi nahi hai, Imam Bukhari ne apni Sahih me Kitab Fazail E Ashaab Un Nabi ﷺ Kayam kiya uske tahet Alag Alag Hasti ke naam se baab Kayam Kiye, Muawiya Radiallahu Anhu ka zikr karte baab kaa naam diya Zikr E Muawiya Radiallahu Anhu aur us baad me hadees layi Aap Radiallahu Anhu ke Faqih Sahabi Hone ki ye fazilat kam ilmo ko nazar naa aayi, lekin ussi kitab me dusre bade buzurg sahaba ka tazkira bhi kiya to wahan bhi Zikr Se Baab Kayam kiya Fazail Se nahi muhalihaja kare kya in sahaba ke baare me bhi wohi nazariyat hai ?

Sahih Bukhari Kitab 62 ( باب فَضَائِلِ أَصْحَابِ النَّبِيِّ ﷺ )  Scan Page
باب ذِكْرُ الْعَبَّاسِ بْنِ عَبْدِ الْمُطَّلِب رضى الله عنه (11)
Baab Zikr E Abbas ibn Abd Al Mutallib Radiallahu Anhu, Hadees: 3710 Scan Pg
باب ذِكْر طَلْحَةَ بْنِ عُبَيْدِ اللَّهِ (14)
Baab Zikr E Talha ibn Ubaydullah Radiallahu Anhu, Hadees: 3722, 3723, 3724
باب ذِكْرُ أَصْهَارِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم مِنْهُمْ أَبُو الْعَاصِ بْنُ الرَّبِيعِ (16)
Baab Nabi E Karim ﷺ Ke Damado Ke Zikr Ka Baab, Hadees: 3729
باب ذِكْرُ أَسَامَةَ بْنِ أَزَيْدٍ (18)
Baab Zikr Usama Ibn Zaid Radiallahu Anhu,
Hadees: 3732, 3733,3734,3735,3736,3737
بَابُ ذِكْرِ مُصْعَبِ بْنِ عُمَيْرٍ (21)
Baab Zikr E Musab Ibn Umair Radiallahu Anhu
باب ذِكْرُ ابْنِ عَبَّاسٍ رضى الله عنهما (24)
Baab Zikr E Ibn Abbas Radiallahu Anhu, Hadees: 3756
باب ذِكْرُ مُعَاوِيَةَ رضى الله عنه (28)
Baab Zikr E Muawiya Radiallahu Anhu Hadees: 3764, 3765, 3766 Scan Page
Kya Ab Ye Bugz me dube log ye kahenge ke Hazrat Talha ibn Ubaidullah, Hazrat Abbas, Abdullah ibn Abbas, Hazrat Osama ibn Zaid, Hazrat Musab ibn Umair Radiallahu Anhuma Azmayeen Jaisa jalilul qadr Ashab E Rasool Ki bhi koi fazilat Imam Bukhari Alaihrehman ko na mili ?

Balki is kitab ke baad dusri kitab kayam ki 
Sahih Bukhari Kitab Manaqib Al Ansar scan Page 
Usme bhi do azim sahabi ka tazkira kiya 
21 باب ذِكْرُ جَرِيرِ بْنِ عَبْدِ اللَّهِ الْبَجَلِيِّ رضى الله عنه
Baab : Zikr Jarir ibn Abdullah Al Bajali Radiallahu Anhu Hadees : 3822, 3823
22 باب ذِكْرُ حُذَيْفَةَ بْنِ الْيَمَانِ الْعَبْسِيِّ رضى الله عنه
Baab : Zikr Huzaifa ibn Al Yaman Radiallahu Anhu Hadees: 3824
Scan Page 
In Kam Aqlo ko aitraz karne ke waqt ye bhi na sochne ki taufeek mili ke Imam Bukhari Rahmatullah Alaih ne Agarche Baab Zikr E Muawiya Radiallahu Anhu ka bandha hai par jis kitab ke tahet Baab bandha us kitab ka naam hi Fazail E Ashaab Un Nabi ﷺ rakha yani Sahaba ke Fazail Ki kitab aur phir hadees leke aayi baab ke tahet Hazrat Muawiya Radiallahu Anhu ke Faqih Sahabi Hone ki ye fazilat nahi? Kya Sahaba Me Faqih hona koi aam baat hai.

Imam Bukhari Rahmatullah Alaih Ne apni kitab 
Khud Imam Bukhari ne apni dusri kitab Tarikhul Kabeer Me Muawiya Radiallahu Anhu ki fazilat pe rivayat naql ki hai
"Hazrat Abdur Rahman Ibn Abu Umaira Radiallahu Anhu Bayan karte hai ke Nabi E Karim Ne Hazrat Muawiya Radiallahu Anhu Ke baare me Farmaya Aye Allah! Tu Inko hidayat de aur hidayat yafta bana aur inke jariye logon ko hidayat de"
(Imam Bukhari At Tareekh Al Kabeer, Vol : 05, Pg: 220, Raqam : 791)Scan Page
Imam Bukhari Rahmatullah Alaih Ne apni ek aur kitab Al Adab Ul Mufrad ne Hazrat Muawiya Ibn Abu Sufiyan Radiallahu Anhu ko Ameer Ul Momineen likha hai 

Hazrat Zaid Ibn Saabit Radiallahu Anhu Ne Hazrat Ameer Muawiya Radiallahu Anhu Ki Janib ek khat tahreer kiya jisme likha بِسْمِ اللهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيمِ
Allah Pak Ke Naam Se Shuru Jo Nihayat Maherban Rahem Wala Hai, Allah Pak Ke Bande Ameer Ul Momineen Muawiya Radiallahu Anhu ki taraf Zaid Ibn Sabit Radiallahu Anhu ki taraf se, Aye Ameer ul Momineen Aap Par Salam Rahmat Ho, Allah Ki Hamd Sana Pesh karta hoon jiske siwaye koi ibadat ke layak nahi, Amma Baad"
(Imam Bukhari Adab Ul Mufrad, Kitab Al Khutoot, Hadees 1122)
Iske Alawa In Rivato Me Bhi Ameer Muawiya Radiallahu Anhu Ko Ameer Ul Momineen Kahke Khitab Sahaba Ne Kiya hai
(Sahih Bukhari Hadiths: 3765)
(Imam Bukhari Al Adab Ul Mufrad Hadith: 1024, 1127, 1131, 1160)
(Imam Tirmizi Sunan, Hadith: 1393)
(Mishkat Al Masabih Hadees: 1277)

Ilawa ek aisi rivayat jo hum ahle sunnat ke aqaid ki badi dalil hai wo Nabi E Karim Ke Qasim E Naemat Hone k hawale se Jisko Imam Bukhari Alaihrehma ne likha hai is hadees ko saare Neem rafzi bhi apne jalse aqaid ke liye bayan karte hai

Hadees :
عَبْدِ الرَّحْمَنِ سَمِعْتُ مُعَاوِيَةَ، خَطِيبًا يَقُولُ سَمِعْتُ النَّبِيَّ صلى الله عليه وسلم يَقُولُ ‏ "‏ مَنْ يُرِدِ اللَّهُ بِهِ خَيْرًا يُفَقِّهْهُ فِي الدِّينِ، وَإِنَّمَا أَنَا قَاسِمٌ وَاللَّهُ يُعْطِي، وَلَنْ تَزَالَ هَذِهِ الأُمَّةُ قَائِمَةً عَلَى أَمْرِ اللَّهِ لاَ يَضُرُّهُمْ مَنْ خَالَفَهُمْ حَتَّى يَأْتِيَ أَمْرُ اللَّهِ ‏"‏‏.‏

Abdur Rehmaan Ne Kaha Ke Mai'n Ne Hazrat Mu'aawiya Radiallahu Anhu Ko Khutba Dete Huwe Suna Woh Keh Rahe The Ke Mai'ne Nabi E Karim ﷺ  Ko Yeh Farmaate Huwe Suna Ke Jis Shakhs Ke Saath Allah Azzowajal Khair (Bhalaayi) Ka Iraadah Farmaata Hai To Usko Deen Me'n Fiqh Ata Farmaata Hai (Usko Deen Ka Faqeeh Banaata Hai) (Phir Nabi e Karim ﷺ Ne Irshaad Farmaaya) Aur Mai'n Qaasim Ya'ni Taqseem Karne Waala Hoo'n Aur Allah Azzowajal Ata Farmaata Hai Aur Yeh Ummat Humesha Allah Azzowajal Ke Deen Par Qaayem Rahegi Aur Kisi Ki Mukhaalefat Se Isko Nuqsaan Na Hoga Yahaa'n Tak Ke Allah Ka Hukm (Qayaamat) Aa Jaaye.
(Sahih Bukhari, Kitab Al Ilm, Hadees : 71) Scan page
Kya ye sab fazilat nazar nahi aayi ?
Allah pak samajh ata kare

Post By Shaikh Sher Ali Hanfi 
,
Aitraaz 01 : 
Hazrat Imam Ishaq Ibn Rahwayh Rahmatullah Alaih Al Mutwaffa 237 Hizri Ki taraf baaj log ek qaul ki nisbat karte hai ke Hazrat Ne Kaha Ke Muawiya Radiallahu Anhu Ki fazilat pe koi hadees Sahih Nahi aur is qaul par ye dalil dete hai.

"Abu Abdullah Hakim Kahte hai ke maine Abu Abbas Muhammad ibn Yakub ibn Yusuf Al Aslam se wo apne walid Yakub ibn Yusuf ki jaban se Imam Ishaq Ibn Ibrahim ibn Ruwayh ka qaul suna Muawiya Radiallahu Anhu ki fazilat me Nabi E Karim Ki koi bhi sahih hadees sabit nahi hai"
(Tareekh E Damishq Vol 59, pg: 106)
(Imam Dhahabi Siyar Alam Al Nubla Vol: 03, Pg: 132)
(Al Maujuwat Imam Ibn Jauzi Vol 02, Pg: 263) Scan Page 

Al Jawab:
i) Imam Ishaq Ki taraf is qaut ki nisbat hi mashkuk hai aur ye qaul sanad se sabit nahi hai.
Aii) Is liye ke Imam Ishaq se is qual ko nakl karne wala sirf ek raavi Muhaddis Abul Abbas Muhammad ibn Yakub Al Asmi ke Walid Yakub Ibn Fazal hai aur ye ravi wo hai jiski koi tauseeq ya tanzeef sabit nahi hai dusre alfaz me kaha jaye to ye ek mazhul hai aur mazhul ravi ke qaul pe aitamad nahi kiya ja sakta.
Khatib Bagdadi Alaihrehma Likhte Hai Isme Ek ravi Jiska Naam Abu Al Abbas Muhammad ibn Yakub Al Aslam Ke walid Yakub Ibn Yusuf ibn Muaqal Hai Inki Tauseek Kisi Muhadis se sabit nahi aur ye ravi zaeef hai
(Tareekh E Bagdad, Vol: 14, pg: 286, Raqam : 7586)
Scan Page 
ii) Khud Imam Ibn Asaqir Rahmatullah Alaih ne is qaut ko likha aur baad me qaul ko baatil mardood jhuta likha hai Is Qaul Ka koi aitbar nahi kyuki Hazrat Muawiya Radiallahu Anhu Ki Fazilat Me Ek nahi mutadid sahih rivayat mauzud hai Iske baad Apni Sanad se tamam rivayat ki takhreej farmakar is qaul ko batil sabit kar diya ye line kha gaye mukhalifeen


Kayi Muhadiseen ne is qaul ko batil karar diya Jisme Imam Suyuti, Imam Ibn Hajar Makki aur deegar aqabireen shamil hai.

iii) Bilfarz Imam Ishaq Alaihrehma ke is qaul ko sahih maan liya jaye to bhi koi harz nahi hai kyuki unhone usoolan sahih ka inkar kiya hai, Hasan darje ki hadees to ahkam me bhi li jati hai zaeef to fazail me bhi makbul hai, bahut si hadees Hazrat Muawiya Radiallahu Anhu ki fazilat me hasan darje ki bhi hai jo hadees Imam Ibn Asaqir Rahmatullah Alaih ne bhi is kaul ko likh kar iska raddh kiya aur wahan un hadees ko likha jiska scan page upar hai.

iv) Agar Imam Ishaq Ka qaul durust bhi huwa to bhi kayi aimma muhadiseen ke nazdeek Sahih Hasan Rivayatein mauzud hai to kisi muhadis ke nazdeek hadees e sahih ka inkar lazim nahi ke usulan ye sabke nazdik wohi hoga,

Ab yahan hum kuch usooli jawab bhi de rahe hai padhe jisko padhne ke baad aitraz bilkul khatam hojate hai
Hafiz Imam Ibn Hajar Al Makki Haythami Rahmatullah Alaih (Al Mutwaffa 974 Hizri) Likhte hai
"Fasle Dom
Baab : Hazrat Muawiya Radiallahu Anhu Ke Fazail Wa Manaqib Me Aur Unke Khususiyat aur Uloom Aur Ijtehad Ke Bayan Me Aur Wo Bahut Hai Yahan Maine Sirf Thodi Bayan Ki Hai
Tanbiyah :
Baaz logo ne bayan kiya hai ke Bukhari Rahmatuallah Alaih ne bas Baab mein Hazrat Muawiya Radiallahu Anhu ke halaat bayan kiye hai us baab ka unwaan ye rakha hai " Baab Zikr E Muawiya" Ye nahi kaha ke Fazail E Muawiya Radiallahu Anhu na ye ke Manakib E Muawiya Radiallahu Anhu is ka sabab ye hai ke Hazrat Muawiya Radiallahu Anhu ke fazail me koi sahih hadees warid hi nahi huwi jaisa ki Ishaq ibn Rahwayh Rahmatuallah Alaih ne bayan kiya hai.
Iska jawab ye hai ke agar ye murad hai ke ‘Bukhari' ke shart ke muwafiq koi riwayat sahih nahi hui toh aksar sahaba ki yehi halat hai aur agar shart ‘Bukhari’ ki qaid na lagayi jaye toh ye baat galat hogi kyunki unke fazail me baaz hadees hasan hai.
Hatta ke Imam Tirmizi ke nazdik jaisa ke Unhone Jamai Tirmizi me bayan kiya hai aur ankareeb tumko malum hoga aur Hadees Hasan Lizatihi bil Ijma hujjat hai balke manakib me to zaeef hadees bhi hujjat ho jati hai.
Al Mukthasar Ishaq ibn Rahwayh Rahmatuallah Alaihne jo kuch bayan kiya hai wo Hazrat Muawiya Radiallahu Anhu ke fazail me kaidah nahi ho sakta”
(Naqd Kitab Tatheer Ul Jinan Wal Lisan, Pg : 37
Sahib E Nibras Imam Abdul Aziz Parharvi Chisti Rahmatullah Alaih (Al Mutwaffa 1239 Hizri) Farmate Hai  
“Iska jawab ye hai ke iske pahle do hadees pesh ki jaa chuki hai ek Musnad Ahmad aur Dusri Sunan Tirmizi ki pas's agar ad'm e sehat se murad ad'm e sabut hai to ye kaul mardood hai, Aur agar sehat se sehat mastalah indal Muhadiseen hai to koi harj nahi, kyuki iska dusra tabka hai, Hadees e sahih ki killat ki wajah se basharat e ahkam wa fazail hadees e Hasan se sabit hai,
Aur Musnad, Sunan Ki Hadees darje e hasan se kam tar nahi aur fann e hadees me to ye hochuka hai Fazail ke baab me hadees e zaeef par amal bhi Jaiz hai hadees e hasan ki to kya baat hai”
(An Nahaya Ana Taan E Muawiya Radiallahu Anhu, Pg : 67-68)
Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Rahmatullah Alaih (Al Mutwafffa 1340 Hizri) Farmate Hai
“Baaz jahil bol uthe hai ke Ameer Muawiya Radiallahu Anhu ki fazilat me koi hadees sahi nahi, ye unki nadani hai ulmae mohaddiseen Apni Istelahat per kalam farmate hai, ye be samjhe khuda jane kaha se kaha tak le jaate hai, azyaz wa muslim ke sehat nahi phir Hasan kya kam hai, Hasan bhi na sahih yaha Zaeef bhi mustahkam hai.”
(Fatwa Razviya Vol : 05 Pg : 480) 
Is link me Padh sakte hai Ameer Muawiya Radiallahu Anhu ke talluk se sahih Hasan rivatein Click Here To Read

Post by Shaikh Sher Ali Hanfi 


Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers